اقرأ باسم ربك الذي خلق

3 Jan 2018

Hajj E Akbar Ke Mutallik Galat Fahmi

hi  -
Aksar logo me ye baat payi jati hai ke agar hajj jumah ke din ajae to uska ajar wa sawab badh jaata hai Aur is hajj ko hajj e akbar kaha jata hai.

Ye ek aisy baat hai jiski hame koi daleel na to Allah ki kitab me milty hai aur na hi Rasool ﷺ ki taalimaat me, Aur na hi sahaba r.z. anhum ajmayeen ke haan, Aur na hi ek lambe arse tak unke saath guzarne walo ke haan. 

Allah ne Hajj ka zikr kisi bade ya chote ya'ni hajj e akbar ya hajj e asgar ki tafreeq(farq) ke baghair hi farmaya hai. Ya'ni isko hajj e akbar hy farmaya hai Jaisa ke

وَ أَذَانٌ مِّنَ اللّهِ وَرَسُولِهِ إِلَى النَّاسِ يَومَ الحَجِّ الأَكبَرِ

ALLAH AUR USKE RASOOL KI TARAF SE TAMAAM LOGO ki TARAF HAJJ E AKBAR KI TARAF AILAAN HAI.

(Surah tauba.9./ayat 3).

Sahih al Bukhari, Muslim, Tirmizi aur Abu da'ood ki hadees ke mutabiq Hajj e akbar ka din 10 zil hajjah ko kaha jaata hai.
Aur isliye kaha jata hai ke is din hajj ke sab se zyada aur ehem manasik adaa kiye jaate hai. Abu da'ood ki hadees:

Hazrat Ibn e Umar r.z. bayan karte hai ke:
RasoolAllah ﷺ ne jis saal hajj kiya us hajj me Aap yaumun'nahar(qurbani) wale din khade hue
Aur farmaya: "Ye kounsa din hai"?
Sahaba ne arz kia: Qurbani ka din.
Rasool ﷺ ne farmaya, “Ye Hajj e Akbar ka din hai.”

(Abu dawud, kitab ul manasik, hadith-1947).

Aur Rasool ﷺ ne ye bataya ke qurbani karne ke dino me se pehla din Ya'ni Eid ul Azha wala din HAJJ E AKBAR hai. Jaisa ke Abdullah bin Umar r.z. se riwayat hai ke Jis saal Rasool ﷺ ne hajj adaa farmaya to us hajj me,qurbani wale din(10zil hajj) jumraat (shaitaano ko pathar marne ke muqamat) ke darmiyan khade hokar Rasool ﷺ ne irshad farmaya:

ہذا یَومُ الحَجِّ الأَکبَرِ

Ye aaj ka din hi Hajj e Akbar wala din hai. Aur Nabi ﷺ ne farmana shuru kardiya

اللَّہُمَّ اشہَد

"Aye allah gawah rehna". Aur logo ko al wada kiya toh logo ne kaha ye hajj ul wida hai (Yani ruqsati wala akhri hajj hai).

(Sahih al Bukhari, hadith-1655,kitab ul hajj/baab.131)

Ho sakta hai ke koi ye khayal kare ke Is ayaat aur hadees me ye kahi nahi ke us din jumah na tha, To iska jawab ye hai ke
Agar us din jumah hota, Ya jumah ke din ko hajj e akbar samjha jana maqsood hota To iske baare me sahaba r.z. aur taba'en ki taraf se hame zarur koi sahih sabit shudah khabar milty. Jab ke aisa nahi hai, Aur jo khabar waha se milty hai wo is mandarje bil hadees ke mutabiq hai. Jaisa Abu Huraira r.z. se riwayat hai ke

بَعَثَنِي أبو بَكرٍ رضي الله عنه فِيمَن يُؤَذِّنُ يوم النَّحرِ بِمِنًى لَا يَحُجُّ بَعدَ العَامِ مُشرِكٌ ولا يَطُوفُ بِالبَيتِ عُريَانٌ وَيَومُ الحَجِّ الأَكبَرِ يَومُ النَّحرِ وَإِنَّمَا قِيلَ الأَكبَرُ من أَجلِ قَولِ الناس الحَجُّ الأَصغَر-

Abu Bakar siddeeq r.z. ne mujhe yaumun'nahar (Yani 10zil hajj qurbani karne wale din) In logo ke sath bheja jo mina me ye ailaan kare ke Is saal ke baad koi mushrik hajj na karega Aur na hi koi nanga ho kar kabe ka tawaaf karega. Aur hajj e akbar yahi yaumun'nahar (Yani qurbani karne wala din)hai. Aur isko akbar isliye kaha gaya hai ke log hajj e asgar kaha karte the

Sahih al Bukhari, hadees- 3002, Sahih Muslim 1347, Kitab bul hajj/baab78)

Us zamane me awaam Umrah ko hajj e asgar kaha karte the. Is liye bhi umrah se mumtaz karne ke liye Hajj ko hajj e akbar kaha gaya hai, Jaisa ke Imaam Timizi r.h. is hadees ke tahat is baat ka izhar karte hai. Awaam me jo baat mashoor hai ke jo hajj jumah wale din aaye wo Hajj e Akbar hai. Ye logo ki failai hui baat hai, Quran wa hadees aur sahaba se kahi sabit nahi. Is liye isse bachna chahiye. 

Iske alawa kutubut tafseer aur hadees me sahaba r.z. anhum Tabaeen, tabe tabaeen Ke bhut se aqwaal mayassir hai Jo yehi sabit karte hai ke Yaumun'nahar yani qurbani wale din, eid ke din ko hi hajj e akbar kaha jata tha, Samjha jata tha. Iske alawa koi aur din hajj e akbar na tha. Aur jo kuch us waqt Deen na tha wo baad me kisi surat Deen nahi ho sakta Kyunke us waqt Allah ne Deen mukammil farma diya tha. Jis me kisi bhi tabdeeli ki koi bhi gunjaish nahi.

Allah hame Deen ki sahih samajh ata kare. aameen.