اقرأ باسم ربك الذي خلق

2 Jan 2018

Rishtedaro Ko Sadaqah Dene Ke Ahkaam

hi    

Ristedaro Ko Sadaqah Dene Ki Sirf Ijazat Hi Nahi Hai Balki Unko Sadaqah Dene Ka Ajar Dugna Hai.

۩ Hazrat Abdullah bin Masud r.a. ki biwi Zainab r.a. se riwayat hain ki Rasoolullah ﷺ ne ek khutbe main khas taur par aurto ko mukhatib karke farmaya: "Aye Khawateen! Tumko chahiye ki rah e Khuda main sadka kiya karo, agarche tumko apne zewrat main se dena pade. Aagey Zainab r.a. bayan karti hain ki maine jab huzur ﷺ ka ye irshad suna toh main apne shohar Abdullah bin Masud r.a. ke pass ayi aur maine unse kaha: RasulAllah ﷺ hum aurto ko khas taur se sadaqe ki takid farmayi hain aur main ye chahti hu ki mere pass jo kuch hain rah e Khuda main kharch karne ki sahadat hasil karu aur tum bhi tang haal aur khali haath ho, Ab tum RasulAllah ﷺ ki khidmat main hazir hokar daryaft karo ki agar main tumko hi de du toh kya mera sadaqah ada ho jayega? Agar mera tumko dena sahi hain toh tumko hi dedugi warna dusre zarurt mand par kharach karugi, woh kahti hain ke Abdullah ibne Masud r.a. ne mujh se kaha, tum khud hi jakar Huzur ﷺ se daryaft karo.

Main khud gyi waha pahuchi toh dekha ansar mai se ek aurat apke darwaze par khadhi aur uski garaz bhi wahi hain jo meri garaz hain, wo bhi yahi masla malum karne ke liye hazir hui thi.

Aur Rasoolullah ﷺ ne ek khas bait di thi jis ki wajah se har ek ko aapse rubaru baat karne ki jurrat nahi hoti thi isiliye hume khud apke qarib pahuch kar puchne ki himmat nahi hui. Itne main aapke khas khadim aur moazin Hazrat Bilal r.a. bahar nikle hum dono ne unse kaha ki aap RasulAllah ﷺ ki khidmat main arz kijye ke do aurte darwaze par khadi hain aur Aap se ye puchna chahti hain ke agar wo apne zarurtmand shoharo aur yatimo par jo khud unki god main parwarish payi hain sadaqa kare toh kya sadaqa ada ho jayega? Aur humko is sadaqe ka sawab milega? Aur unko ye na batana ki hum kaun do aurte hain.

Hazrat Bilal r.a. Aap ﷺ ki khidmat main hazir hue aur un dono aurto ka sawal aapki khidmat main arz kiya. Aap ﷺ ne pucha wo koun aurte hain? Hazrat Bilal r.a. ne arz kiya ek aurat toh Ansar main se hain aur dusri Zainab hain. Aapne pucha kaun si Zainab?

Hazrat Bilal r.a. ne arz kiya Abudullah bin Masud r.a. ki biwi Zainab. Ap ne farmaya, "Haa!" Unke sadaqe ada ho jayege balki is surat main unko dohra sawab milega ek to sadaqe ka aur dusra sila rehmi ka sawab.

Sahih al Bukhari, kitab az zakat (24), hadees-1466.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki woh hame zyada se zyada sadaqah ada karne ki taufeek ata farmaye. aameen.