اقرأ باسم ربك الذي خلق

2 Jan 2018

Shawwal Ke 6 Rozo Ki Fazilat


Shawwal ke 6 rozo ka huqum kya hai aur kya ye roze wajib hai?

Ramzan ul mubarak ke rozo ke baad shawwal ke 6 roze rakhna wajib nahi balki sunnat mustahab hai, aur musalmano ke liye behtareen amal hai ki wo shawwal ke 6 roze rakhe jis me fazl e azeem aur bahot bada ajar o sawab hai, kyuki jo sakhsh bhi ramzan ul mubarak ke roze rakhne ke baad shawwal ke 6 roze bhi rakhe toh pure saal ke roze rakhne ka ajr o sawab likha jata hai hai.

Ye Shawwal ke roze pure shawwal ke mahine me kabhi bhi rakhe ja sakte hai, ye zaruri nahi ki eid ke fauran baad rakhe jaye aur is roze ko lagataar bhi rakh sakte hai aur alag-alag karke bhi.

Nabi ﷺ se bhi ye sabit hai ki isse pure saal ka ajar milta hai.

۩ Abu Aiyub Ansari r.a. bayan karte hai ke Rasool ﷺ ne farmaya,

“Jis ne ramzan ke roze rakhne ke baad shawwal ke 6 roze rakhe toh ye aesa hai jaise pure saal ke roze ho.”

Sahih Muslim, kitab al sawm ﴾13﴿, hadees- 2758.

Nabi akram ﷺ ne iski sharah aur tafsir is tarha bayan farmai hai ki jisne Eidul Fitr ke baad 6 roze rakhee uske pure saal ke roze hai. (Jo koi naiki karta hai use uska ajar dus guna milega).

۩ Aur ek riwayat main hai ki Allah tala ek naiki ko dus guna karta hai lihaza ramzanul mubarak ka mahina dus mahino ke barabar hua aur 6 dino key roze saal ko pura karte hai.

Sunan Nisai, Sunan Ibne Majah, dekhey Sahih al Targib wa al Tarhib (421/1).

Aur Ibn e Khuzaima ne mundarza zail alfaz ke saath riwayat kiya hai: Ramzan ul mubark ke roze das guna aur shawwal ke 6 roze do mah ke baraber hai toh is tarha pure saal ke roze hue.

Imam Hambal aur Shafai ikram ne tashrih ki hai ki: Ramzan ul mubarak ke baad shawwal ke 6 roze rakhna pure ek saal ke farzi rozo ke barabar hai warna toh amumi taur per nafli rozo ka ajro sawab zyada hona sabit hai kyuki ek neki dus ke baraber hai.

Fir Shawwal ke 6 roze rakhne ka ahem fawaid main ye bhi shamil hai ki ye roze Ramzan ul mubarak main rakhe gaye rozo ki kami o beshi aur nuksh ko pura karte hai aur uske awaz me hai kyuki rozedar se kami o beshi ho jati hai aur gunah bhi sarzad ho jate hai jo ki uske rozo main salbi pahlu rakhta hai.

Aur roze qayamat farz main paida shuda nuksh nawafil se pura kiya jayega jesa ki Nabi e karim ﷺ ne bhi farmaya hai roze qayamat bande ke amaal main sabse phele namaz ka hisabo kitab hoga. Nabi ﷺ ne farmaya humara Rab ajjo wajal apne farishto se se farmayega halaki wo zada ilm rakhne wala hai  mere bande ki namazo ko dekho kya usne puri ki hai ki us main nuks hai, agar toh mukammil hongi toh mukammil likhi jayegi aur agar ismain kuch kami hui toh Allah tala farmayega dekho mere bande ke nawafil hai agar toh uske nawafil hoge toh Allah tala farmayega mere bande ke faraiz iske nawafil se pure kar do, fir baki amaal bhi isi tarha liye jayege.

Sunan Abu Dawud, hadees-733.

۩ Sheikh Ibn 'Uthaymeen farmate hai

“Ye Durust hai ki koi shaks Shawwal ke 6 din roze rakhe lagataar ya alag-alag.”

Noor ala ad-Darb no. 376.

•٠•●●•٠•

Allah hame amal ki taufeek ata kare. aameen.