اقرأ باسم ربك الذي خلق

9 Jun 2018

Asr Ki Namaz Ka Waqt


Shuru ka waqt: Jab har cheez ka saya uske barabar ho jaye aur (plus) zawaal ke waqt ke saye ke barabar ho. [Sunan Tirmizi: Kitab As Salah, Hadith- 149. Ise Imam Tirmizi aur Imam Ibn E Khuzaima Ne Saheeh Kaha Hai.] [Note]

Khatm waqt: Jab suraj pura doob jaye [Bukhari, hadith no. 531].

Note: Sunan Abu Dawud ki hadith me toh sirf ek misl saya ka zikr hai lekin ahle Ilmo ka ye kahna hai ki isse muraad zawal ke waqt ka saya aur ek misl saya hai. Ye raaye hai Imam Shafi, Imam Ahmad ibn Hambal, Imam Malik aur Imam Abu Hanifa ke 2 shagird jinka naam hai: Qazi Abu Yusuf aur Muhammad ibn al-Hasan.

Hamare yaha kuch logo ka ye kahna hai ki Asr ka shuru ka waqt 1 misl nahi balki 2 misl hai. Ye baat sahih hadith ke khilaf hai kyuki Sunan Tirmizi (hadith-149) me hai ki RasoolAllah ﷺ ne Asr awwal waqt me padhi aur wo waqt tab tha jab ek misl saya tha na ki do misl saya.

۩ Rafi bin Khadij r.a. riwayat karte hai: "Ham RasoolAllah ﷺ ke sath Asr ki namaz padhte the aur apne oont (camel) ko zabah karte the jiske ham 10 hisse karte the. Ham usko paka kar khate aur fir bhi suraj gurub na hota tha."

Sahih al-Bukhari, book of partnership, hadith- 2485.

Agar ap kisi kasaai (butcher) se puche ki Ek oont ko zabah kar ke 10 hisse karne me kitna waqt lagta hai to wo apko kahega ki Do (2) ya Dhai (2:30) ghante ke aas paas lag jate hai, kyuki itne bade oont ki sirf khaal utaarne me hi kaafi waqt lag jata hai. Aur fir usko paka kar khane me to aur zyada waqt lagega.

Isse bhi ye baat pata chala ki jo kuch logo ka kahna hai ki 2 misl ke saaye ke baad Asr ka waqt shuru hota ya jis tarha se Hanafi masjid me Asr ki Namaz ki Jamaat hoti hai wo galti par hai kyuki uske baad itna waqt nahi hota ki 1 oonth ko zabah karke uska 10 hisse kiya jaye fir use paka kar khaya jaye aur fir bhi suraj gurub na ho.

۩ Anas bin Malik r.a. kahte hain: ‘RasoolAllah ﷺ namaz e Asr padhte the aur aftaab bulad (zardi ke baghair raushan) hota tha, agar koi shaks namaz e Asr ke ba’ad Madeena shahar se ‘A’awaali’ (Madeena ki ek kareebi basti)  (T: Village close to Madeena)  jaata to jab iske paas paho’nchta to suraj abhi buland hota. Ba’az A’awaali Madeena se 4 kos ke faasle par maujud hai.’

[4 kos (4 miles) = 6.43 km (approx)]

Sahih al Bukhari, hadith- 550. Sahih Muslim: al Masaajid, hadith- 621.

۩ Anas r.a. riwayat karte hain ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya: ‘Munaafiq ki namaz e Asr ye hai ke wo baitha aftaab (ke zard hone) ka intezaar karta rahta hai. Yahaa’n tak ke jab wo zard ho jata hai aur shaitaan ke do seengho’n ke darmiyan ho jata hai. To wo namaz ke liye khada ho jata hai aur 4 thongei’n maarta hai aur is mein Allah ko nahi yaad karta magar thoda.’

Sahih Muslim: al Masajid, hadith- 622.

•٠•●●•٠•