اقرأ باسم ربك الذي خلق

12 Jun 2018

Sajda e Tilawat Aur Iski Duae


Sajda e Tilawat sunnat hai, aur iski wajah se salaam ferne ki koi daleel nahi milti, lehaza sajda e tilawat karne wale ke liye salaam ferne ki zarurat nahi hai, aur jis ne bhi sajda e tilawat kiya maslan : surah al-Aaraf, surah al Nazm, aur surah Iqra' ke aakhir me aur woh namaz ada kar raha ho to sajda e tilawat ke baad is ke liye zaruri nahi ke woh sajda ke baad aur ruku karne se pahle tilawat zaroor kare lekin agar wo tilawat kar le to koi harj nahi, aur sajda e tilawat mein namaz ke sajda wali dua hi padhega.

Ulema e karam ke sahih qawl ke mutabiq sajda e tilawat ke liye wuzu shart nahi hai, aur ahle Ilm ke sahih qaul me na toh salaam kahna hai aur na hi sajda se uthte hue takbeer kahna hai.

Aur sajda karte waqt takbeer kahna mashru hai (prescribed), kyuki yeh saabit hai, aur is ki daleel Ibn Umar r.a. ki hadees hai jo is par dalalat karti hai.

Lekin agar sajda e tilawat namaz me ho to sajda me jate hue aur sajda se uthte hue takbir kahna wajib hai, kyuki Nabi ﷺ namaz me jab bhi neeche jate ya upar uthte to takbir kahte the.

aur Nabi ﷺ se saabit hai ke Aap ne farmaya: "Namaz us tarha ada karo jis tarha tum ne mujhe namaz ada karte hue dekha hai".

Saheeh al-Bukhari, hadith- 595.

Aur sajda tilawat mein wahi Dua aur Azkaar karna mashru hai jo namaz ke sajda mein kiye jate hain, kyuki umoomi ahadees is par Dalalat karti hain.

۞ Sajda e Tilawat Ki Dua:

۩ Pahli Dua:

اللَّهُمَّ لَكَ سَجَدْتُ وَبِكَ آمَنْتُ وَلَكَ أَسْلَمْتُ سَجَدَ وَجْهِي لِلَّذِي خَلَقَهُ وَصَوَّرَهُ وَشَقَّ سَمْعَهُ وَبَصَرَهُ تَبَارَكَ اللَّهُ أَحْسَنُ الْخَالِقِينَ-

Allaahumma laka sajadtu wa bika aamantu wa laka aslamtu, sajada wajhi lilladhi khalaqahu wa sawwarahu wa shaqqa sam’ahu wa basarahu, tabaarak Allaahu ahsan al-khaaliqeen.

Aye Allah maine tujhe sajda kiya, aur tujh par imaan laya, aur teri itaat aur farmabardari ki, Mere chehre ne us ko sajda kiya jis ne use paida kiya aur is ki surat banai aur is ke kaan paida kiye aur ankhe banayi. Allah Tabarak wa ta'la sab se behtar khaliq hai.

Sahih Muslim, hadith- 771.

۩ Dusri Dua:

اللَّهُمَّ اكْتُبْ لِي بِهَا عِنْدَكَ أَجْرًا وَضَعْ عَنِّي بِهَا وِزْرًا وَاجْعَلْهَا لِي عِنْدَكَ ذُخْرًا وَتَقَبَّلْهَا مِنِّي كَمَا تَقَبَّلْتَهَا مِنْ عَبْدِكَ دَاوُدَ-

Allaahumma aktub li biha ‘indaka ajran wa’mhu ‘anni biha wizran waj’alha li ‘indaka dukhran wa taqabbalha minni kama taqabbaltaha min ‘abdika Dawood.

Aye Allah is (sajde) ke bina par mere liye apne yahan ajr aur sawab likh de aur is ke bina par mere gunah maaf karde, aur apne paas mere liye ise zakheera kar le, aur meri janib se ye us tarha qubool farma jis tarhan tu ne Dawood (a.s.) se qubool kiya tha. 

Jami` at-Tirmidhi, hadith- 579. Classed as Hasan by Shaykh Zubair Ali Zai.

Sajda e Tilawat me jate waqt 'Subhaana Rabbiy al-A’laa' kahna zaruri hai jaisa ki Namaz ke sajda me ye kahna zaruri hai. Aur iske alawa jo Zikr aur Dua hai wo mustahab hai.

Aur namaz ya namaz se bahar sajda tilawat sunnat hai wajib nahi, Kyuki Nabi ﷺ se Zayd bin Saabit r.a. ki hadees se yeh saabit hai jo is par dalalat karti hai, aur Umar r.a. se bhi saabit hai jo is par dalalat karti hai.

•٠•●●•٠•