اقرأ باسم ربك الذي خلق

3 Jul 2018

Kya Chaar Imam Ka Ijma Hamare Liye Hujjat Hai ?


Islami shariyat aur Islami qanoon kya chiz hai ? Ye Allah aur Allah ke Rasool ke hukm ka Naam hai.

Humare ye chaar aimma hum sab ke liye kabil e ehtaraam hai, unhone Islami kanoon ki taabeer o tashree ki hai, us taabeer aur tashree me agar koi galti ho gayi ho to use dur hona chahiye.
Ye samajhna ki unki taabeer o tashree me galti nahi ho sakti, ye toh Allah aur Allah ke paigambar ke bad baaz dusre logon ko ye paigambar ka darja dena hai.
Wo Insaan the. Unhone humari badi khidmat ki hai, aur humare qanun ke bareme bahut si aala darje ki tasneefaat piche chori hai, bahut aala Ilmi kaam chora hai. Usse hume fayda uthana chahiye.
Lekin ye ki wo galati nahi kar sakte, ye baat meri samajh me nahi aati. 

Imam Abu Hanifah, Imam Malik, Imaam Shafi, Imam Ahmad, ye sab humare yaha bade aimma hai. Lekin ye sab ke sab Insan the, inme se koi bhi paigambar nahi tha.
Agar kisi mumle me ye ittefaq kar ke bhi ek interpretation pesh karte hai to hume dekhna hoga ke wo quran aur sunnat ke dalaail par mabni hai ya nahi h. Usme koi galati to nahi ho gayi hai. Insaani sateh par galtiyan ho sakti hai.

Yahi asal mai wo rawaiyya hai jis rawayye ne is daur me bhi Islam ko duniya ke samne pesh karne ke raaste me rukawaten paida kar di hai.
Jab Ap usool bayan karte ho to ap kahte hai ke Quran ka naam Islam hai, Muhammadur Rasoolullah ki baat ka naam Islam hai. Uske baad ye dusri chize kaha se aa jati hai? Un Imamo ke kaam ko adab ki nigaah se dekhenge, iska muta'ala karenge, unke dalail ka jayza lenge, baat maqool hogi qubul karenge baat maqool nahi hogi to nahi qubul karenge.
Aur Yahi Hamare Eemaan Ka Taqaza Hai Ke Agar Unki Baat Maqool Na Ho To Allah Aur Allah Ke Paigambar Ki Baat Ko Maani Jayegi, Kisi Ke Taabeer (Interpretation) Ko Ye Haisiyat Nahi Di Ja Sakti.

Aur yahi hamare Sahaba ka tarika tha:

Salim bin Abdullah r.a. ne bayan kiya ki unhone Ahle Shaam mai se ek shaks se suna, wo Abdullah bin Umar r.a. se Hajj me Umra se fayda (Hajj e Tamattu) ke bareme puch raha tha. Toh Abdullah bin Umar r.a. ne kaha, "Ye jayz hai". Is par Shaami (sham ka rahne wala) ne kaha, " (Lekin) Apke ke walid (Umar r.a.) ne to isse roka hai?
Abdullah ibn Umar ne kaha, "Zara tum ye batao, agar mere walid kisi chiz se roke aur RasoolAllah ﷺ ne use kiya ho toh mere walid ke hukm ki pairwi ki jayegi ya RasoolAllah ﷺ ki, toh usne kaha, "RasoolAllah ﷺ ke hukm ki", toh unhone kaha, "RasoolAllah ﷺ ne aesa kiya hai".

Jamia Tirmizi, Kitab al Hajj, hadith-824. Classed as Sahih by Shaykh Zubair Ali Zai.

•٠•●●•٠•