اقرأ باسم ربك الذي خلق

18 Aug 2018

Ahle Ilm Ki Galti Par Shaykh Saalih al Munajjid (Islamqa.info) Ka Rawayya


Jaise ke Pichle articles me hamne Quran, sunnat aur salaf ke aqwaal se bataya tha ki kisi ahle ilm ke galti par usko zero se multiply kar dena sahih nahi hai aur ye amal hamare Deen ke taaleemaat ke bhi khilaf hai.

Ab is article me ham ek mashoor website Islamqa.info ke Supervisor, Shaykh Muhammad Saalih al-Munajjid ke zarye ye baat ap logo ke saamne rakhnenge ki wo bhi kisi ahle ilm ki galti par use zero se multiply kar dene ke qayil nahi hai balki wo unki achhi baato ko lete hai aur galat baato ko chor dete hai.

Ek Ahle Ilm hai jinka naam Ibn Rushd hai jinko 'Averroes' ke naam se bhi jana jata hai. Shaykh Saalih al Munajjid inke bareme kahte hai,

“Ibn Rushd ke aqeedah par ek lambi bahes hui hai, aur boht si kitabe inke support me aur boht si kitabe inke khilaf me, dono likhi ja chuki hai. Inke asal Aqidah aur nazaryaat me boht zyada shak wa shubah hai.”


Aur ye kahne ke baad Shaykh Saalih, Ibn Rushd ki galtiyo par roshni daalte hai aur wo batate hai ki Shaykh ibn Taymiyya ne bhi inke nazarye ka radd kiya hai.

Ab inke aqeede aur nazarya ke galti ke bawujud Shaykh Salih al Munajjid inhe zero se multiply nahi karte hai balki jab wo kisi raaye par ahle ilm ke qawl ko nakal karte hai to wo ibn Rushd ko bhi ahle ilmo me shumaar karte hai jab ki wo khud upar ke fatwe me inke aqeedah aur nazaryaat ki galti ko gina chuke hai. Ab ham Shaykh Saalih al Munajjid ke un saare fatawo ka link pesh karte hai jin fatwo me unhone bade ahtaraam ke sath Ibn Rushd ki raaye ki madad li hai:











Isi tarha unke aur articles me bhi Ibn Rushd ka zikr hai aur unki raaye ko daleel banayi gai hai.

•٠•●●•٠•