اقرأ باسم ربك الذي خلق

21 May 2019

Ramzan me Ghusl e Janabat ko Tulu e Fajr Tak Muakkhar Karna

en    ur  -
  Sawal  

Mujhe ek martaba sehri se qabl ehtelam ho gaya aur mai ghusl na kar saka. Kyunke mai ghusal karne se bahut zyada sharma raha tha isliye ke mere waledain ko ilm ho jayega ke mujhe ehtelaam hua hai toh is liye maine ghusl kare bagair sehri khayi,aur afsos hai ke is din maine Fajr ki namaz bhi nahi padhi, lekin baad me maine ghusl karne ke baad fajr ki namaz padh li.

Mai yeh janna chahta hu ke kya mera ye roza maqbool hai, kyunke mera khayal hai ke maine (ehtelaam se) janabat ki haalat me sehri kha kar galti ki hai toh kya mera roza maqbool hai?

  Jawab  

Alhamdulillah..

Jis ne apni biwi se raat me jama (intercourse) kiya aur subah tak janabat ki haalat me hi raha uska roza sahih hai, aur is‬ tarha use raat ya din ko sote hue janabat la-haq ho gayi toh uska bhi roza sahih hai aur is par koi harj nahi ke woh tulu fajr tak ghusl ko muakkhar kar de.

Roza toh us waqt tut ta hai jab din me tulu e fajr se lekar gurub e aftab ke dauran jama kiya jaye.

Fataawa al Lajnah al Daa’imah, 10/327.

Lekin ap ka namaz ko tulu e aftab tak taakheer karna jayz nahin hai, balke wajib toh ye hai ke namaz ki adaigi us ke waqt me hi ki jaye, lihaza aise fel se tawba wa istagfar karna ap ke zimma hai.

Allah taala se dua hai ke woh ap ko har kism ki bhalai karne ki taufeeq ata farmaye. Aameeen ya rabbul aalameen.

Wa Allahu aalam.

•٠•●●•٠•

source: islamqa.info
Unknown said...

Assalamualaikum wa rahmtullahi wa barakatuhu.. Mera sawal yeh hai ke din me mujhe jism ki garmi ki wajahse ek ya do qatre ehtelam nikaljata hai toh kya mera roza hoga aur kya me isey saaf karke namaz ada karsakta hun. Air please agar iska kuch ilaj hai toh please bataiye.. Jazakallahu qair

Faisal Khan said...

Ye article chq kr lijiye: https://www.iqrakitab.com/2019/05/ramzan-me-din-ke-waqt-ehtelam-hona.html

Ilaj ke liye ap doctor se rabta kare toh aur behtar hoga!