اقرأ باسم ربك الذي خلق

15 May 2019

Witr Ko Magrib Ki Tarha Na Banao


Alhamdulillah..

RasoolAllah ﷺ ka irshad e mubarak hai,

۩ RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Witr ko teen rakat magrib ke tarha na banao.”

Al-Haakim, 1/403; Sunan kubra Bayhaqi, 3/31; Sunan Daraqutni, p. 172. Al-Haafiz ibn Hajar Fath al-Baari (4/301) me kahte hai, 'Iski sanad do Shaykh (Imam Bukhari aur Imam Muslilm) ki shart ko pura karti hai (yaani ye hadees sahih hai).

Witr ko kis tarha magrib ki tarha na banaya jaye, ye baat hame dusri ahadees me pata chalti hai. Hamare deen ne witr ko magrib ki tarha na banane ke do (2) tarike bataye hai,

۞ Pahla Tarika

Teen rakat witr me Tashahhud ke liye sirf aakhri rakat me baithna. Yaani jis tarha ham pahli rakat me bina baithe uth jate hai, usi tarah dusri rakat me bhi bina baithe uth jana hai aur attahiyaat nahi padhna hai.

۩ Ayesha r.a. farmati hai ki RasoolAllah ﷺ teen rakat witr padhte the aur wo aakhri rakat ke alawa kisi rakat me nahi baithte the.

Al-Nasaa’i, 3/234; Sunan kubra bayhaqi, 3/31. Imam Nawawi, al Majmoo (4/7) me kahte hai,'Ye Nasai ne hasan aur Bayhaqi ne sahih isnad se ise riwayat kiya hai.'

۞ Dusra Tarika

Teen rakat witr me do baar salaam ferna. Yaani shuru ke do rakat padh kar salaaf ferna (jaise aam tarike se ham do rakat padhte hai) fir dobara uthna aur ek rakat padh kar salaam ferna.

۩ Ibn Umar r.a. riwayat karte hai ki wo do rakat ko ek rakat se, Tasleem (Salaam) ke sath alag kiya karte the, aur wo farmate hai ki aesa RasoolAllah kiya karte the.

Ibn Hibbaan, hadees- 2435. Ibn Hajar, al-Fath (2/482) me kahte hai: 'Iski isnaad qawi (mazbut) hai.'

Allah se dua hai ki wo hame amal ki taufeek ata kare. aameen.

•٠•●●•٠•