اقرأ باسم ربك الذي خلق

23 Jul 2019

Kya Shauhar ke Liye Zaruri Hai Ki Wo Apni Biwi Ko Hajj Karaye

en   hi   ur  
 Sawal 

Meri biwi ne farz hajj nahi kiya hai, toh kya mere upar zaruri hai ki mai unhe hajj karane ke liye lekar jaau aur kya hajj me unka kharch mere upar zaruri hai?

 Jawab 

Alhamdulillah..

Agar toh biwi ne aqad e nikah (marriage contract) me hajj karane ki shart rakhi thi toh is shart ko pura karte hue unhe hajj karana wajib hai, kyuki Nabi ﷺ ka farmaan hai:

“Woh sharte sab se zyada pura karne ka haq rakhti hai jin ke sath tum ne sharamgaho ko halal kiya hai.”

[Sunan Nasai, 3281 | Sahih]

Aur Allah subhana wa taala ka farmaan hai,

'Aye eemaan walo apne ahad o paimaan poore karo.'

[al-Maa'idah 5:1]

Aur ek muqam par farmaan e baari taala hai,

'Aur apne muahide poore karo kyunke ahad ke mutalliq (tumse) pucha jayega.'

[al-Isra’ 17:34]

Lekin agar aqad e nikah me shart nahi rakhi gai hai toh fir unhe hajj karana laazim nahi, lekin mai unhe kuch baato ki wajah se hajj karaane ki salaah deta hu:

Awwal:

Ajar wa sawaab hasil karne ki khatir unhe hajj karwaye, kyunki unhe (shuhar ko) bhi utna hi ajar milega jitna unki biwi ko haasil hoga, aur woh farz hajj bhi ada kar lengi.

Dusra:

Aesa karne se un dono ke mabain muhabbat o ulfat paida hogi, aur jis cheez ke zarya bhi khawand aur biwi ke mabain muhabbat paida hoti ho, shariat me is ka hukm diya gaya hai.

Teesra:

Unke is amal ki taareef ki jayegi aur wo ek misaal qayam karenge taaki dusre bhi is par amal kar sake.

Chunancha unhe Allah ki madad haasil karte hue biwi ko hajj karwana chahiye chahe unhone aqad e nikah me shart rakhi hai ya nahi, lekin agar aqad e nikah me shart rakhi gai ho toh is ka pura karna wajib hai. [alfaz khatm]

Fataawa Ibn Uthaymeen, 21/114.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame amal ki taufeek ata kare. aameen.