اقرأ باسم ربك الذي خلق

23 Jul 2019

Yunus a.s. ki Dua


Allah farmate hai,

Aur machli wale (Yunus) ko bhi hamne nawaza, yaad karo jab ke woh bigad kar chale gaye the aur samjhe the ke ham un par giraft na karenge. Aakhir ko unhone andhero me pukara “Nahin hai koi khuda magar tu, paak hai teri zaat, beshak maine kusoor kiya”.

Surah Ambiya ﴾21﴿, ayat- 87.

۞ Is Dua ki fazilat

۩ Sa’d r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Zul-nun (Yunus a.s.) ki dua jo unho ne machhli ke pet me rahne ke dauran ki thi woh ye thi: 

لَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنْتُ مِنَ الظَّالِمِينَ

La ilaha illa anta subhanaka inni kuntu minaz-zalimeen

Nahin hai koi khuda magar tu, paak hai teri zaat, beshak maine kusoor kiya tha

Kyunke ye aisi dua hai ke jab bhi koi Musalman shakhs ise padh kar dua karega toh Allah taala us ki dua qubool farmayenge.'

Jamia Tirmizi, kitab al daawaat ﴾48﴿, hadees- 3505. Ise darussalaam ne sahih karaar diya hai.

•٠•●●•٠•

Aye Allah nahi hai koi khuda magar tu, paak hai teri zaat, beshak maine kusoor kiya tha.