اقرأ باسم ربك الذي خلق

16 Jul 2019

Logo ko Judge Na Karo | Sirat un Nabi


Alhamdulillah..

Hamare muashre me dekha gaya hai ki log badi jaldi dusro ko judge karne lagte hai aur bina Allah ka khauf kare logo ke bareme galat baate karne lagte hai aur badgumaniya karne lagte hai.

Aaiye dekhte hai ki Nabi ﷺ ki seerat hame is chiz ki kya taalim deti hai.

۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki Nabi ﷺ ke zamana me ek shakhs, jis ka naam Abdullah tha aur use gadha ke laqab se pukara jata tha, woh Rasoolullah ko hansate the aur Aap ﷺ ne inhe sharaab peene par maara tha toh inhe ek din laaya gaya aur Allah ke Rasool ne in ke liye hukm diya aur inhe maara gaya.

Haazreen me ek sahib ne kaha, 'Allah is par laanat kare! Kitni martaba isko (iske jurm ke wajah se) yaha laaya jaa chuka hai.' (Is par) Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Is par laanat na karo, wallah maine is ke mutalliq se yahi jaana hai ke ye Allah aur us ke Rasool se Muhabbat karta hai.'

Sahih al-Bukhari, kitab al hudood ﴾86﴿, hadees- 6780.

SubhanAllah kya Ap ise soch sakte hai, Aj ke daur me agar ek shaks sharab pita ho, namaze bhi padhta ho, toh ham uske baareme kya sochenge? Ham kahenge, ye banda munafiq hai, fasiq hai, fajir hai, aur kuch log toh shayad kufr ka fatawa bhi laga de lekin Rasoolullah ﷺ ne kya kaha, ki nahi, ruko, aesa mat kaho, ye Allah aur uske Rasool se muhabbat karta hai. 

Ham kisi shaks ke dil me toh nahi jhaak sakta na, toh isliye hame khuda nahi banna chahiye. Ha ye thik hai ki hame dusro ko naseehat karna chahiye, lekin hame shak o shubhaat me nahi padna chahiye, hame badgumani nahi karna chahiye. Hame naseehat karna chahiye, lekin naseehat aese kare ke apke naseehat me ikhlas nazar aaye. Apke naseehat me ye nai jhalakna chahiye ke Ap khud ko bohut nek samajhte hai aur agle ko ham kuch nahi samajhte.

Badkismati se hamare mazhabi log judgemental ho gaye hai. Mera maqsad kisi ko nicha dikhana nahi hai, mai bas ye kahna chahta hu ki agar hamara deen hame jhagdalu bana raha hai, hame gusse waala bana raha hai, hame judgemental bana raha hai toh iska matlab yahi hai ki ham sahih deen ki pairwi nahi kar rahe.

Hame logo ke liye aasani paida karni chahiye, hame logo ke ayeb chupane chahiye, hame judgements paas nai karni chaiye kisi ke bareme, kisi ki niyat par shak karna hamare deen ne hame nahi sikhaya hai kyuki dil ka haal toh sirf Allah ko malum hai.

۞ Is mauzu par Seerat un Nabawi se ek aur Misaal

Hazrat Usama bin zaid r.a. se riwayat ki, Rasoolullah ﷺ ne hame ek chote lashkar me (jang ke liye) bheja, ham ne subah subah Juhaina ke Qabeela e Huraqat par hamla kiya, Mai ek aadmi par kaabu paa liya toh usne la ilaha illallah kah diya lekin mai ne use neza maar diya.

Is baat se mere dil me khatka paida hua to mai ne iska tazkirah Nabi ﷺ se kiya, is par Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Kya usne la ilaha illallah kaha aur tum ne use qatl kar diya?'

Mai ne arz kiya: 'Aye Allah ke Rasool! usne aslah (weapon) ke dar se kalima padha.'

Is par Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

"Kya Tum ne iska dil cheer kar dekha tha taake tumhe maaloom ho jata ke isne (dil se) kaha hai ya nahi"?

Fir Aap mere saamne musalsal ye baat dohraate rahe yaha tak ke mai ne tamanna ki ke (kaash) mai aaj hi Islam laaya hota (aur Islam laane ki wajah se is kalimago ke qatl ke azeem gunah se bari ho jata).

Sahih Muslim, kitab ul Eeman (1), hadees- 277.

۩ Allah farmate hai,

'Aye Eemaan waalon! Bahut bad-gumaaniya karne se bacha karo, ke baaz bad-gumaaniya gunah hai, Aur ek-dusre ke aib na tatola karo, aur na tum maise koi kisi ki geebat kiya kare. Kya tum me koi is baat ko pasand karega ke apne murde bhai ka gosht khaye. Isse to tum nafrat karte ho, Aur Allah se darte raha karo, Bila shuba Allah khoob taubah qubool karne wala raham wala hai.'

Surah hujurat (49), ayat- 12.

۩ Anas bin Malik r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

“(Deen me) Logo ke liye aasani karo aur sakhti na karo aur khush karo aur (deen se) nafrat mat dilao.”

Sahih al bukhari, kitab al adab ﴾78﴿, hadees- 6125.

Allah se dua hai ki wo hame amal ki taufeek de. aameen.

•٠•●●•٠•