اقرأ باسم ربك الذي خلق

15 Mar 2020

Jiski Takhleeq Uski Marzi


Mard aur Aurat Islam me Allah s.w.t. ki nazar me barabar hai. Jitni Izzat aur Huquq Islam ne Aurto ko diye hai utne kisi aur mazhab ne nahi diye. Balke Islam ne hi Aurto ka darja buland kiya, unhe izzat di aur unse achha suluk karne ka hukum diya.

Jab 1400 saal pahle Aurto ko wo tamaam huqooq deen ne de rakhe hai toh fir ye kis se huquq mang rahi hai aur kyu?

Ham to hairaan hai ke Aurte hatho me play cards uthaye maidan me utar aayi hai aur behuda naare laga rahi hai aur isko aam kar rahi hai.

'Mera Jism Meri Marzi' ka matlab fahashi hai. koi mazhab koi muashra Fahashi ki ijazat nahi deta. Meri bahno ham Alhamdulillah Musalman hai. Ham ne kalma padha hai aur ham ek ba-parda muashre ki numaindagi karte hai.

Aap kya chahti hai? Aazadi?? Khud ko Aam karna chahti hai? Raasto par nikal kar beparda ho kar cheekhne chillane aur huqooq ke naam par be-pardagi ko aam karna kya ye sab Muslman bahno ko zayeb deta hai?

۞ Allah s.w.t. farmate hai,

۩ ❝Aye Aurto! Apne gharo me raho aur zamaan e jahiliyat ki tarah apne aapko dikhati na firo. Namaz qayam karo aur zakaat ada karo. Allah aur uske Rasool ﷺ ke hukmo ki pabandi karo.”

Surah Ahzab (33), ayat- 33.

۩ ❝Aye Nabi ﷺ ! Apni Biwiyo aur Betiyo aur Musalman Aurto se farma do ke apni chaadaron ka ek hissa apne muh par daale rakhe.”

Surah Ahzab (33), ayat- 59.

Beshak 'Aurat' Allah ki ek behtareen takhleeq hai isme koi shak nahi. Islam khwateen ko bahut zyada izzat deta hai. Hamara Deen hame ye batata hai ke Maa ke kadmo ke niche jannat hai, isi tarha biwi se husn suluk ka hukum deta hai,

۩ Mu'awiyah bin Jahimah As-Sulami r.a. riwayat karte hai ki Jahimah Rasoolullah ke paas aaye aur farmaya,
Aye Allah ke Rasool! Mai Jihad karne ka irada rakhta hu aur aap ke paas aap se mashwara lene ke liye aaya hu.
Aap ﷺ ne pucha, 'Kya tumhari Maa maujud hai'?
Unhone kaha, 'Ji Ha'
Aap ﷺ ne farmaya, Unhi ke khidmat me lage raho, kyuki Jannat unke dono qadmo ke niche hai.

Sunan Nisai, kitab ul jihad (25), hadees- 3106. Ise darussalaam ne sahih karaar diya hai.

۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Sabse kamil momin wo hai jiske akhlaq sabse acche ho aur tum maise sabse behtar wo hai jo apni biwiyo ke liye behtar ho.'

Jamia Tirmizi, kitab ar razaa' (12), hadees- 1162. Ise Imam ne ise hasan sahih karaar diya hai.

۩ Abdullah bin Amr r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya, “Dunya ek aarzi (temporary) khushi hai, aur is dunya ki sabse behtareen khushi Ek Nek Biwi hai.”

Sahih Muslim, The Book of Suckling, hadith-3643. Sunan Ibn Maajah, hadith-1855 [Sahih by Zubair Ali Zai].

Aurto ne toh Islam ki Azeem Jango me bhi apna kirdar nibhaya hai. Sahabiyat Jango me Nurse ka kirdar nibhati thi, jango me zakhmi hue logo ko paani pilana, unki marham patti karna,unke liye khana banana, jaanwaro ka khyal rakhna wagaira.

Bibi Fatimah r.a. ne to Jang e Uhad aur Jang e Badr me apna kirdar bakhoob hi nibhaya. Aap taareekh utha kar dekh le aurton ki bahaduri ke kaarnaame, magar kisi ne bhi is tarha ke naare nahi lagaye ke 'Mera Jism Meri Marzi'.

Ham ye tasleem karte hai ke bahot saare Musalman Deen ki doori ki wajah se huqooq ada karne me kotahiya karte hai, unhe nazar-andaaz karte hai. Magar iska ye matlab nahi hai ke Aap raasto par utar aaye huqooq talbi ke liye.

Haq hasil karna hai toh ek mohazzab tarika hai chahe mard ho ya aurat. Agar kisi aurat mard ke khilaf baat karni hai toh zaroor kare ye uska bunyaadi haq hai, lekin uske bhi kuch usool hai.

Ye nahi ke rasto par banners leker bepardagi ke hudood ko paar kiya jaaye.

Mard ke khilaf baat karna, play cards nikalna, zamana e jahiliyat ki tarha udham machana, apne haq ke liye cheekhna chillana, naare baazi karna wagaira.

Kya ye sab Hawwa ki betiyo ko zayeb deta hai?

Agar Apko mard ke khilaf baat karni hi hai toh pahle apne walid ke bare me baat kare. Apne bhai ke khilaf baat kare, apne shauhar ke khilaf baat kare, apne bete ke khilaf baat kare, apne daamaad ke khilaf baat kare fir kahe ke mard bure hai.

Koi baap, koi bhai, koi beta, koi shauhar ye ijazat nahi dega ke unki ghar ki aurate is tarha ke fuzul banners leker road par utre aur be-pardagi ka hissa bane.

Allah s.w.t. ne unhe Aapka sarparast banaya hai,

۩ Mard auraton par qawwam (protectors and maintainers) hai.

Surah Nisa, ayat- 34.

Ye jo bahas chhidi hai 'Mard' aur 'Aurat' ye ek la-hasil fuzul bahes hai.

Allah s.w.t. ne dunya me saare mard nahi banaye, ya sari aurte nahi banayi balke Allah s.w.t. ne Mard aur Aurat dono ko banaya hai taake ye duniya ka nizam chal sake. Dono ek dusre ke bagair adhure hai.

Meri Masoom bahno Aap Aazad hai, Apne Rab ki qayam karda hudud me. Apne aapko aam aurat mat banao. Allah ne Aapko ek khas mukam ata kiya hai.

Ye jo naare Aap laga rahi hai, 'Mera jism meri marzi' ye khilaf e sharah naara hai. Har Aurat ka Jism usi ka hai jo ke Allah ne use diya hai.

Magar ye nahi ke is jism ko jaise chaahe istemal kare, bad-akhlaqiyo me, bepardagi failaane me. Hamara Deen is baat ki Ijazat nahi deta woh toh Aapko Parde me rahne ka hukm deta hai, gharo me thahre rahne ka hukum deta hai.

Meri Bahno sharam-haya ke janaze nikaal kar Aap kis raaste par ja rahi hai, zara soche?

Meri bahno jin logo ki baate sun kar Aap Fahashi par utar aayi hai, ye yaad rakhiye jab Aap mar jayengi toh ek bhi N.G.O. Aapko bachane nahi ayega, fir qabar me aapko apne amal ke mutabik saamna karna padega.

Fir maidan e hashar me alag sharmsaar honge Aap khadi hongi sar jhukaye aur fir Jahannam ka aazab alag. Allah Raham kare.

Chand Khwateen hai jo puri duniya ki aurto ki numainda bani hui hai, inhe kisi ne vote dekar apna numainda nahi banaya balke ye social media hai jisne inhe itni tarakki di hai ke ye be-pardagi ke raasto par nikal kar aam kar rahi hai.

Meri guzarish hai khaas taur par un bahno se jo college, university wagaira jaati hai ke hargiz jazbati na ho. Hame is duniya ko chhod kar jaana hai.
Hamesha Aap in logo ke bich is dunya me nahi rahengi jinki guftugu se aapko apni khatao ka ahsaas na ho, afsos mahsus na ho, magar Apko Allah ki taraf laut kar jaana hai. Allah ko jawab dena hoga, har is behayi ka jise Aap faila kar apne aapko aazad khyaali samjh rahi hai.

Achhe laqab laga kar Aap Burayi ko faila nahi sakti. Mardo ka ek alag dayera e kaar hai aur Aurto ka alag.

Jiski Aap takhleeq hai usi ki marzi rahegi, Aap Islam ki Shahzadiya hai. Allah s.w.t. ne Apko ek mukam diya hai Izzat ka, ise Aap is duniya walo se mat maange. Haya ko apna kar is ummat ka naam roshan kare.

Quran me toh puri ek muqammal surat hi khwateen par hai, Surah Nisa, jisme unke kirdaar, unki zimmedari aur unke hukuk ka zikr hai.

Haya ek aham kirdaar ada karta hai Rab aur uske bando ke bich. Hamare deen ne haya ko kirdaar ka ek aham hissa bataya hai.

Warna ..  Warna ..

“Jab sharam hi na rahe toh jo fir jo jee chaahe wo karo.”

Sahih al bukhari, kitab al adab (78), hadees- 6120.

Allah s.w.t. hamari kotahiyo ko muaf kare, hame burayio se door rakhe aur ummat ko fitno se mahfooz rakhe.

Ameen Ya Rabbul Aalameen

Aur Allah sabse behtar janta hai ❤

•٠•●●•٠•

Prepared by: A. Sayed