اقرأ باسم ربك الذي خلق

15 Mar 2020

Kalonji ke Tibbi Fawaid


۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki maine Rasoolullah ﷺ se suna,

'Siyah daano (kalonji) me har beemari se shifa hai siwaye Maut ke.'

Sahih al Bukhari, kitab at tibb (76), hadees- 5688.

۩ Khalid ban Saad ne kaha ke ham bahar gaye hue the aur hamare sath Ghalib ibn Abjar bhi the. Woh raaste me beemaar pad gaye fir jab ham Madina wapas aaye us waqt bhi woh beemaar hi the.

Ibn Abi Ateeq un ki ayadat ke liye tashreef laaye aur ham se kaha ke inhe yeh kaale daane (kalonji) istemaal karao, is ke paanch ya saat daane le kar pees lo aur fir zaitoon ke tel me mila kar (naak ke) is taraf aur us taraf use qatra qatra kar ke daalo kyunki Ayesha r.a. ne mujh se bayaan kiya ke unhone Nabi ﷺ se suna, Aap ﷺ ne farmaya ke ye kalonji har beemari ki dawa hai siwaye 'Saam' ke.

Mai ne arz kya Saam kya hai? Unhone farmaya ke 'Maut' hai.

Sahih al bukhari, kitab at tibb (76), hadees- 5688.

۩ Hafiz ibn Hajar r.h. kahte hai,

'Ye Daane (Kalonji) har beemari se shifa hai iska matlab ye hai ki isko sirf kisi ke sath milaye bagair hi nahi balki kisi chiz ke sath mila kar aur bina milaye, dono tarike se istemal kiya jaa sakta hai. Aur isko khaya ja sakta hai, piya ja sakta hai, sungha ja sakta hai, marham ke tarha (lagaya ja sakta hai) aur dusre tariko se bhi iska istemal kiya jaa sakta hai.'

Fath ul baari, 10/144.

Aye Allah jo beemaar ho unko shifa ata kar, beshak tu hi shifa dene waala hai. aameen.

•٠•●●•٠•

Related: