اقرأ باسم ربك الذي خلق

20 Apr 2020

Tableegh ke Aaghaz Me Hikmat | Dr. Farhat Hashmi


Seerat un Nabi ﷺ me, Rasoolullah ﷺ ke shuru ke tableeghi marhale par roshni:

۞ “Islam ke ibtedayi dino me Namaz ke alawa kisi ibadat ya amr o nahi (neki ki dawat, burai se rokna) ka pata nahi chalta, wahee aati thi, Tawheed ke mukhtalif gosho ko bayan karti thi, sahaba e karaam ko nafs ki safaai ki targeeb deti thi, makarim e akhlaq par ubhaarti thi, jannat aur jahannam ke haalaat bayaan karti thi aur aesi zabardast naseehate lekar aati thi ke unse seene khul jaate the, rooh ko giza milti thi.”

Ustazah isko samjhaate hue kahti hai,

'Iska matlab ye hai ki jab ap ibtida (shuru) me kisi ko bhi sikhane lage toh ek taraf Taharat, wuzu, namaz aur akhlaq aur eemaniyaat me Jannat-dozakh ki baate (bataye). Ye basic (ibtedayi) syllabus hai.'

۞ “Idhar Rasoolullah ﷺ bhi kitab o hikmat ki taaleem ke zarye se sahaba e karaam ko yakja (unify) karte. Unhe dilo ki safaai, akhlaq ki pakeezgi, muamlat ki sachhai aur nafs ki iffat (pakeezgi) ki tarbiyat dete (Yaani, Deen sirf ilm ka naam nahi, 'Wa yuzakki him' (Paak karna) bhi sath hi tha).

Tareekiyo (andhero) se nikaal kar roshni me laate, sahih raasta batate, aur Allah ke deen ko mazbuti se pakadne, uski rassi (Quran) ko achhi tarah thaamne aur uske muamle me sabit qadam rahne ki talkeen farmate the.

Yu Teen baras guzar gaye (Yaani teen saal sahaba ki tarbiyat hui) aur sirf afraad ko dawat di jaati rahi. Majliso aur mahfilo me kahi aelaaniya tableegh nahi ki gai (bas one on one base pe).

Lekin Quraish ko iska ilm ho gaya aur baaz ne ispe tankeer bhi ki (tankeer yaani uska inkaar bhi kiya aur thoda resist bhi kiya). Baaz ahle eemaan par kuch zyadtiya ki gai. Taaham umoomi taur par Quraish ne ab tak ise koi ahmiyat nahi di (notice nahi kiya).

Idhar Nabi ﷺ ne bhi unke deen se koi tarruz (mukhalfat) na kiya, na unke mabudo ke bareme koi baat kahi (unke rasm o riwaj aur unke tareeko par koi tanqeed nahi).”

Ustazah isko samjhaate hue kahti hai,

'Achha ham ek aur galti kya karte hai, sabse pahle criticism (tanqeed) se baat shuru karte hai. Ye bhi galat hai, agar kisi ke ghar me tasweere lagi hai toh sabse pahle usko jaake dhanpne lagenge, ya us par baate karne lagenege ya waha nahi ki toh ghar aakar karenge. Ye kya akhlaq hua? Aapko nahi malum kiske kya haalaat hai. Aapne jaana hi nahi. Aur ap aese baato ko lekar shuru ho gaye. Toh jab tak hamare apne dilo ki safai nahi hoti, hamari apni zubano ki safai nahi hoti toh ye paak kalaam aage kaise jayega.

Toh dusro ka tazkiya karne waale khud pahle apne tazkiye ka bandobast farmaye!!!'


Allah se dua hai ki wo hame hikmat aur khubsurat naseehat ke sath hame dawat o tableegh karne ki taufeeq ata kare. aameen.

•٠•●●•٠•