اقرأ باسم ربك الذي خلق

14 Apr 2021

Namaz e Witr ki Dua e Qunoot me Hath Uthaya Jaaye Ya Nahi ?

Namaz e witr ki Dua e qunoot me hath uthane ke bare me koi marfoo riwayat nahi hai lekin hadees ke kitabo me baaz Sahaaba e karaam r.a. ke aasaar milte hai. Islamic shariah me jab koi baat Rasoolullah se na mile aur sahaba se wo amal mil jaye bina kisi dusre sahaba ka aetraz kiya to us amal ko apnane me koi harj nahi. Lekin behtar yahi hoga ki hath bandh ke Dua e Qunut padhi jaaye kyuki hath uthane ki koi marfoo hadees nahi hai.

Iske mutalliq Shaykh Zubair Ali Zai ka Risala Al Hadees jo ki Rajab 1430 Hijri ko shaya hua tha us Risale ke safa no. 12 par ek sawal kiya gaya tha ki, Namaz e Witr me ruku se qabl Haath Uthaye bagair Qunoot padhne ki kya daleel hai?

Jiske Jawab me Shaykh Zubair Ali Zai ne farmaya tha,

'Namaz e Witr me ruku se pahle Qunoot padhne ka zikr Sunan Darqutni (2/32, hadees- 1644, Wa Sanad Hasan) aur Sunan Nasai (1,248, hadees- 1700) me hai. Dekhye meri kitab Hidayatul Muslimeen (hadees- 28 faidah- 3).

Qunoot e Witr me Hath Uthana kisi sarih marfu Hadees se sabit nahi hai.'

Malum Hua ki Namaz e Witr me ruku se pahle Hath Uthaye bagair Qunoot padhna sahih hai.

Aur Shaykh Zubair ali zai ke Risala Al Hadees jo Jamadil Awwal 1426 Hijri me shaya hua tha Uske Safa No. 13 par ek sawal kiya gaya tha,

Kya Qunoot e Witr me Hath Utha kar dua karna Sabit hai?

Uske jawab me Shaykh Zubair ali zai ne Qunoot e witr me hath na Uthane ki Daleel me ek Riwayat naqal ki:

۩ Abu Hatim al Raazi (277 hijri) farmate hai, 'Abu Zarah (Al Raazi 264 hijri) ne mujhse pucha, 'Kya Aap qunoot me hath uthate ho?

Maine kaha, 'Nahi!' Fir maine unse pucha, 'Kya Aap (qunoot me) Hath utha te ho?' Unhone kaha: Ji han, maine pucha, aapki daleel kya hai? Unhone kah, Hadees ibn Masood.

Mane kaha, use Lais bin Abu Saleem ne riwayat kiya hai. Unhone kaha: Hadees Abu Hurairah, Maine kaha: Use Ibn Lahya ne riwayat kiya hai. Unhone kaha, Hadees Ibn Abbas, maine kaha, Use Aouf (Al aarabi) ne riwayat kiya hai. Toh unhone pucha, aapke pas (Qunoot me) hath na uthane ki kya Daleel hai?

Maine kaha, Hadees e Anas, ki beshaq Rasoolullah ﷺ kisi Dua me Hath Nahi Uthate the siwaye Istisqa ke to wo (Abu Zarah r.a.) Khamosh ho gaye.

Tareekh Baghdaad, Jild 2, Safa- 76 tahet- 455. Wa sanad Hasan, wa Zikruhu Al Zahabi fi Siyar Aalam Al Nubala 13/253).

Ye Riwayat naqat karke Qunoot e Witr me Hath na uthane ki Daleel dene ke baad Shaykh Zubair Ali zai ne un riwayat ki Tahqeeq pesh ki hai aur aakhir me likha hai ki, 'Behtar yahi hai ki Hadees e Anas r.a. aur deegar dalail ki ru se Qunoot me Hath Na Uthaye jaye.

Wallahu Aalam.

•٠•●●•٠•

Related:

۩ Witr Padhne ka Nabawi Tarika