اقرأ باسم ربك الذي خلق

14 Aug 2021

Kya Ghusl ke Baad Wuzu Zaroori Hai ?

Sunnat ke mutabik ghusl karne ke baad alag se wuzu karne ki zarurt nahi hai. Ghusl ke wuzu ke sath hi namaz ya dusri ibadat ki jaa sakti hai, agar ghusl ke dauran ya uske baad apki wuzu tooti na ho.

Jis ghusl ki niyat kar ke ghusl kiya jaaye aur ghusl sahih aur kamil tareeke se ada ho jaaye toh is se taharat e kubra hasil ho jati hai aur taharat e kubra ke zaman me taharat e sughra (hads e asgr se paaki) bhi hasil ho jaati hai isliye is ghusl ke baad agar koi nakis cheez paish nahi aayi toh namaz ke liye alag se wuzu banane ki zarurat nahi aur ghusl masnoon tareeke par kiya jaaye toh is me wuzu karna khud shamil hota hai.

Rasool ﷺ ghusl ke baad wuzu nahi kiya karte the.

۩ Ummul Momineen Ayesha r.a. se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ghusal (janabat) ke baaad wuzu nahi karte the.

Jamia Tirmizi, kitab at Tahaarat (1), hadees- 107. Ise Imam Haakim aur Imam Zahabi ne Sahih aur Imam Tirmizi ne hasan sahih karaar diya hai.

Ya’ani ghusl ke shuru me wuzu karte the, isko kaafi jaante aur (namaz ke liye) dobara wuzu nahi farmate the. Lekin is me ye ahtiyaat zaroori hai ke dauran ghusl, sharm gaah ko haath na lage aur na hi dusre aetebar se wuzu tute.

۩ Imam Tirmizi farmate hai,

'Sahaba e karaam aur Tabayeen me se kayi ahle ilm ka qawl hai ki ghusl ke baad wuzu na karein.'

Jamia Tirmizi, kitab at Tahaarat (1), hadees- 107.

Aur Allah sab se behtar jaanta hai.

•٠•●●•٠•

Related: