اقرأ باسم ربك الذي خلق

Showing posts with label Tahaarat (Purification). Show all posts
Showing posts with label Tahaarat (Purification). Show all posts

24 Aug 2021

Tayammum karne ka Step by Step Tarika

hi    

Paani na milne ki soorat me (ya dusre haalaat jiski shariat ne ijazat di ho) paak mitti ko wuzu ya ghusl ki niyat karke apne haatho aur muh par malna tayyamum kahlata hai. Iska tarika ye hai:

1. Tayammum ki niyat karte hue Bismillah kah kar apne dono haath ek baar zameen par maare (rakhhe).

2. Phir daaye hatheli ka ooper waala hissa baaye hatheli par phere.

3. Phir baaye hatheli ka oopar wala hissa daayen hatheli par phere.

4. Phir apne dono haath chehre par phere.

Aapki Tayammum muqammal hui.

(Iske baad wuzu ke baad padhi jaane waali dua padhein.)

•٠•●●•٠•

Is tarike ki tafseel aur daleel is article me padhein: https://www.iqrakitab.com/2017/12/tayammum-ka-tarika.html
Read More »

23 Aug 2021

Bagair Jama Aurat ki Mani Kharij Hona

hi   ur   en  
 Alhmdulillah..

Jab jama (intercourse) ke bagair aurat ki mani kharij ho to use ghusl karna hoga, kyuki Rasool ﷺ ne aurat ko pani dekhne ki haalat me ghusl karne ka hukm diya hai, jaisa ke niche di hui hadees me hai:

۩ Umme Salmah r.a. bayan karti hai ke Abu Talha ki biwi Umme Sulaim r.a. Rasool ﷺ ke paas aayi aur arz karne lagi,

'Aye Allah ke Rasool, Yaqeenan Allah taala haq bayan karne se nahi sharmaata, kya jab aurat ko ihtehlam ho toh woh ghusal karegi?'

Rasool ﷺ ne farmaya, 'Ji haan!, jab woh pani dekhe.'

Muwatta Imam Malik (1/51), Sahih al Bukhaari (282) aur Sunan Nasaai (1/197).

Is hadees me Rasool ﷺ ne aurto ko hukm diya hai ke jab woh paani jo mani hai dekhe toh ghusl kare.

۩ Imam Baghawi r.h. kahte hai,

'Ghusl janabat do umoor mein se ek ke sath wajib hota hai:

Ya to mard ke sharmgaah ka agla hissa (tip of the penis) aurat ki sharmgaah me gayab ho jaye, ya phir mard ya aurat se chalakne waala paani kharij ho.

Ahle ilm ka kahna hai ke jab tak yeh yaqeen nah ho ke nami chalakne waale pani se hai, tab tak ghusl wajib nahi hoga.'

Sharh al-Sunnah, 2/9.

۩   Ibn Qudaamah r.h. kahte hai:

'Nabi ﷺ ne ghusl ko pani se jodte hue farmaya hai :

'Agar tum pani dekho, aur agar pani bahar aa gaya ho to ghusl karo.'

Chunanche is ke bagair (ghusl ka) hukm saabit nahi hoga .'

Al-Mughni, 1/200.

۩ Hafiz ibn Hajr r.h. kahte hai:

'Is me daleel hai ke agar aurat ka inzaal ho (emit fluid) toh us par ghusal wajib hoga.'

Fath al Baari ,1/389.

۩ Ibn Rajab ka kahna hai,

'Yeh hadees zahir karti hai ke jab aurat khawab me ahtehlam dekhe, aur bedaar ho kar pani dekhe toh use ghusl karna hoga, jamhoor Ulema karam ka maslak yahi hai, is me koi ikhtilaf nahi, sirf imam Nakhi r.h. is ke mukhalif hai, aur yeh shaz (odd) hai.'

Al Fath, 1/338.

Chunanche Nabi ﷺ ki yeh hadees wazeh hai, woh yeh ke aurat ka sirf pani kharij hona chahe woh thoda ho ya zyada, ghusl wajib karta hai.

Is bina par aurat ki sharmgah se pani kharij hona jab woh kharij hone ko mahsoos kare chahe woh thoda ho ya zyada, ghusl ko wajib karta hai is liye use ghusl karna hoga, jaisa ki upar ki hadees me bataya gaya hai.

Aur is mein wuzu karna kaafi nahi, lekin agar woh aesa pani ho jisme ghusl ki zarurat nahi hai jaise mazi ka kharij hona toh phir wuzu kaafi hoga.

wa Allahu aalam.

•٠•●●•٠•

Related:

۩ Mani, Mazi Aur Ratubat Me Fark Aur Iske Ahkaam

Read More »

14 Aug 2021

Kya Ghusl ke Baad Wuzu Zaroori Hai ?

Sunnat ke mutabik ghusl karne ke baad alag se wuzu karne ki zarurt nahi hai. Ghusl ke wuzu ke sath hi namaz ya dusri ibadat ki jaa sakti hai, agar ghusl ke dauran ya uske baad apki wuzu tooti na ho.

Jis ghusl ki niyat kar ke ghusl kiya jaaye aur ghusl sahih aur kamil tareeke se ada ho jaaye toh is se taharat e kubra hasil ho jati hai aur taharat e kubra ke zaman me taharat e sughra (hads e asgr se paaki) bhi hasil ho jaati hai isliye is ghusl ke baad agar koi nakis cheez paish nahi aayi toh namaz ke liye alag se wuzu banane ki zarurat nahi aur ghusl masnoon tareeke par kiya jaaye toh is me wuzu karna khud shamil hota hai.

Rasool ﷺ ghusl ke baad wuzu nahi kiya karte the.

۩ Ummul Momineen Ayesha r.a. se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ghusal (janabat) ke baaad wuzu nahi karte the.

Jamia Tirmizi, kitab at Tahaarat (1), hadees- 107. Ise Imam Haakim aur Imam Zahabi ne Sahih aur Imam Tirmizi ne hasan sahih karaar diya hai.

Ya’ani ghusl ke shuru me wuzu karte the, isko kaafi jaante aur (namaz ke liye) dobara wuzu nahi farmate the. Lekin is me ye ahtiyaat zaroori hai ke dauran ghusl, sharm gaah ko haath na lage aur na hi dusre aetebar se wuzu tute.

۩ Imam Tirmizi farmate hai,

'Sahaba e karaam aur Tabayeen me se kayi ahle ilm ka qawl hai ki ghusl ke baad wuzu na karein.'

Jamia Tirmizi, kitab at Tahaarat (1), hadees- 107.

Aur Allah sab se behtar jaanta hai.

•٠•●●•٠•

Related:

Read More »

31 Mar 2021

Paak Hone ke Baad Khoon ke Katre Aane Se Haiz Shumaar Nahi Hoga

Sawal: Maine Ramzan al mubarak ke chaar roze rakhe toh mujhe haiz aagaya, aur haiz khatam hone ke baad maine dobarah roze rakhna shuru kiye lekin khoon ke kuch katre aaye aur phir ruk gaye jab mai ghusal kar ke roze rakhti toh dobarah katre aane lagte aur saara ramzan hi aise hota raha. Baraye maherbani ye bataye ki is ke mutallik kya hukm hai?

 Jawab 

Alhamdulillah..

"Agar aisa hi hai jaisa aap bayan kar rahi hai, toh paak hone ke baad aane waale khoon ke katre haiz shumar nahi honge kyuke yeh khoon jaari nahi rahta, is liye yeh haiz ke hukm me nahi shumar hoga.

Aap ke liye roza rakhna aur namaz ki pabandi karna zaruri hai, har namaz ke liye aap wuzu kare, jis tarha saari istehaza waali aurte karti hai, aur musalsal peshab hone waali mareez karti hai, aap ne jo un ayyaam mein roze rakhhe hai woh roze sahih hai.

Allah taala hi taufeq dene waala hai, aur Allah taalaa hamare Nabi Muhammad ﷺ par aur unki aal aur sahaba karaam par apni rahmate nazil farmaye.

Fataawa Al-Lajnah Al-Daa’imah, 9/83.

•٠•●●•٠•

Read More »

5 Jul 2020

Nange Badan Wuzu Karne ka Hukm

ur   en  
 Sawal 

Ghutne se lekar naaf tak mard ka satar hai, chunanche nange badan ya fir nekar (shorts) pahan kar wuzu karne ka hukm kya hai?

 Jawab 

Alhmdulillah..

Unka wuzu sahih hai, kyunki satar ka nanga hona, ya nekar pahenne se wuzu nahi tut ti, Lekin biwi ya mamluka laundi jis ke sath hambistari kar sakte hai ke ilawa kisi aur ke saamne nanga hona haraam hai.

source: Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah, 5/235.

•٠•●●•٠•
Read More »

30 May 2020

Baalo Pe Mehndi Laga kar Sar ka Masah Karna


Shaykh ibn Uthaymeen se sawaal kiya gaya,

'Agar aurat ne apne sar par mehndi ka lep kar rakha ho (mehndi laga rakha ho), toh kya wo us par masah kar sakti hai?'

 Jawab 

'Jab aurat sar par mehndi wagaira lagaye toh woh is par masah karegi aur is mehndi ko utaarne ki koi zarurat nahi, Nabi ﷺ se saabit hai ke Aap ne ahram ki haalat me baalo par kisi chiz ka lep laga rakha tha, chunanche sar par jo lagaya jaaye woh sar ke baal ka hissa ban jata hai, yeh is baat ki daleel hai ke sar ki taharat me sahoolat hai.'

Fataawa al-Mar’ah al-Muslimah, 1/28.

•٠•●●•٠•
Read More »

29 May 2020

Jism me Tel Lagane se Wuzu Par Asar


Shaykh ibn Uthaymeen r.h. kahte hai,

“Jab insaan ki wuzu ki jagah par koi cream ya tel istemaal kare ya toh is ki chiknayi jami hogi jo jild (khaal) par baaki rahegi aur nazar aayegi toh us waqt wuzu karne se pahle use utaarna zaruri hai, kyunki agar yeh aesi haalat me rahi toh khaal tak pani pahonchne me rukawat hogi, toh is tarha wuzu sahih nahi hoga.

Lekin agar tel wagaira jami hui (halat me) na ho balki sirf iske nishani baaki ho wuzu kiye jaane waale hisse par, fir is se koi farq nahi padta.

Lekin is haalat me usko wuzu karte waqt apna haath us hisse par ferna chahiye kyuki aam taur par chiknaayi se paani fisal jaati hai, aur ho sakta hai ki paani saare jism ko na lagi ho.”

Fataawa al-Tahaarah, p. 147.

•٠•●●•٠•
Read More »

13 May 2020

Lagataar Hawa Kharij Hone Waale Shaks ke Liye Wuzu ke Ahkaam


Mustaqil Fatawa committee se sawal kiya gaya:

'Jis shakhs ki lagataar hawa kharij hoti ho woh kis tarha wuzu kar ke namaz ada kare?'

Committee ka jawab tha,

“Agar toh Ap ka haal aisa hai jaisa Ap bayan kar rahe hai, aur aap ki hawa musalsal (lagataar) kharij hoti hai toh Ap har namaz ke liye namaz ka waqt shuru hone ke baad wuzu kare, aur is ke baad kharij hone wali hawa se wuzu par koi fark nahi padega

Lekin namaz e jume ke liye Aap khateeb ke khutba shuru karne se kuch der pahle wuzu kare jis me ap ke liye khutba sunna aur namaz ada karna mumkin ho sake.”

Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah. 5/412.

۩ Shaykh Saalih Munajjid is mauzu par mazeed roshni daalte hai. Shaykh farmate hai,

'Aur agar Ap ke liye har namaz ke liye wuzu kar ke waqt ke andar namaz ada karna mushkil ho toh Ap ke liye do (2) namaze zohar aur asar ek hi waqt me ek wuzu ke sath ada karni jaaiz hai, aur isi tarha magrib aur isha bhi ek hi wuzu ke sath jama kar lein.

Nabi ﷺ ne istihaza waali aurat ko do (2) namaze jama karne ki ruksat di hai.

Is hadees ko allamah Albani r.h. ne sahih Abu dawud hadees- 284 me sahih karaar diya hai.

Aur Ap qiyam ul lail aur Taraweeh Isha ke wuzu ke sath hi ada kar sakte hai.'

source: islamqa.info

Aur Allah sab se behtar jaanta hai.

•٠•●●•٠•
Read More »

21 Feb 2020

Haiz ke Ek Roz Baad Matyaale (brown) Rang ka Paani Kharij Hona

ur -
Haiz se Paaki ki do (2) alamate hai, un me se ek koi bhi ho toh (haiz se) paaki shuru ho jayegi.

۩ Pahli alamat

Safaid mada (discharge) kharij hona, yeh safaid shafaaf pani hai, aur aurte use pahchanti ho.

۩ Dusri alamat

Khoon aana bilkul band ho jaaye, is tarha ke agar raham me rooi (cotton) rakhi jaaye to woh bilkul saaf nikle aur is par khoon ya peela (yellow) rang bilkul na dikhe.

Baaz auqaat haaiza aurat ko ek ya do roz ya is se bhi zyada din khoon aata hai, fir ek ya ek din se zyada paak hoti hai, aur fir dobarah use khoon aa jata hai.

۞ Matyaale rang ka pani (brownish discharge) aur mada (discharge) kharij hona

Agar toh ye yakeeni paaki ke baad kharij ho toh use haiz shumaar nahi kiya jaayega, aur agar paaki se pahle aaye to yeh haiz ka hissa hai.

۞ Is bina par ham kahte hai ke,

1. Pahle din ke baad khoon rukne se agar toh bilkul khoon aana band ho jaaye toh aap ko ghusl kar ke namaz-roza ki adaegi karni hogi kyuki aap paak-saaf ho chuki hai.

Lekin agar bilkul band aur khushk nahi hua toh haiz baaki hai, aur is ke baad aane waala mityaale rang ka mada (discharge) haiz shumaar hoga.

2. Aur agar chaar din ke baad khoon aana band ho gaya aur aap ne safaid pani dekh liya ya fir bilkul khushk aur khoon aana band ho gaya toh fir aap ka ghusl kar ke namaz roza ki adaegi karna sahih hai.

Aur agar raat ko dobara khoon aana shuru ho gaya to yeh haiz hai, aur is din ki namaz aur roza par is ka koi asar nahi padega, is liye namaz bhi sahih hai aur roza bhi sahih hai.

source: islamqa.info

•٠•●●•٠•

Related

Read More »

31 Jan 2020

Aurat Bhi Mohtalim Hoti Hai


۩ Umm Salama r.a. riwayat karti hai ke Umme Sulaim r.a. ne Rasoolullah ﷺ se kaha,

‘Allah ke Rasool! Yaqeenan Allah haq se nahi sharmata (mai bhi Aap se masla puchti hu) kya aurat par ghusl hai jab ke us ko ahtalaam ho?'

Aap ﷺ ne farmaya, ‘Haa, lekin jab paani (mani ka nishan) dekho.’

Sahih al bukhari, kitab ul ghusl (5), hadees- 282.

Maaloom hua ke aurat ya mard neend se uth kar agar mani ke nishaan dekhe toh (ye ahtelaam ki alaamat hai lehaza) us par ghusl karna farz ho jaata hai aur agar ahtelaam ki kaifiyat yaad ho lekin nishan na paaya jaaye toh ghusl farz nahi hoga, aisi surat me shak karne ki zarurat nahi hai.

•٠•●●•٠•
Read More »

15 Jan 2020

Bhool Kar Bagair Wuzu Namaz Ada Karna

hi   

 Sawal 

Maine bhool kar bagair wuzu hi namaz ada kar li, aur namaz se farig hone ke baad yaad aaya ke mai ne toh wuzu hi nahi kiya tha, kya mujhe namaz dobara padhna hoga?

 Jawab 

Alhmdulillah..

Ji Haa! Jo shakhs bhool kar be-wuzu namaz ada kar le us ke liye dobara namaz ada karna wajib hai, kyuki Abu Hurairah r.a. kahte hai,

Rasoolullah ﷺ ka farmaan hai,

“Allah us shaks ki koi namaz qubul nahi karta jo wuzu tod deta hai, jab tak wo wuzu na kar le.”

Sahih al Bukhari, kitab al wuzu (4),  hadees- 135.

Iske muqable me us shakhs ke jis ne kisi naapaak kapde me bhool kar namaz ada kar li ho toh use us namaz ko dobara padhne ki zarurat nahi hai, kyuki Rasool ﷺ ke paas Jibraeel a.s. tashreef laaye aur inhe bataya ke Aap ke joote me gandagi lagi hui hai, toh Nabi ﷺ ne namaz me hi joote utaar kar baaki bachi hui namaz ada kar li.”

Is hadees ko Imam Ahmad ne Musnad Ahmad me Abu Saeed khudri r.a. se riwayat kiya hai.

Yeh is baat ki daleel hai ki najasat se anjaan shakhs ko namaz dobarah ada karne ka hukm nahi diya jaega, aur isi tarha us shaks ko bhi jo bhool gaya ho ki (kapde me) kuch najaasat (napaki) maujud hai.

•٠•●●•٠•

Source:  I’laam al-musaafireen bi ba’d aadaab wa ahkaam al-safar wa ma yakhuss al-mallaaheen al-jawwiyyeen | Shaykh Muhammad ibn saalih al Uthaymeen, safa- 12.
Read More »

5 Jan 2020

Kya Hasne Se Wuzu Tut Jata Hai?


۞ Pahli baat

Ulema me isme koi ikhtilaf nahi hai ki namaz ke bahar hasne se wuzu nahi tut ta, agarche koi shaks namaz ke liye tayaar ho raha ho fir bhi.

۩ Ibn Munzir kahte hai,

“Ulema ka is par Ijma hai ki namaz ke bahar hasne se wuzu nahi tut ta aur firse wuzu banane ki zarurat nahi hai.”

Al-Awsat, (1/166).

۩ Imam Nawawi kahte hai,

“Unka (Ulema ka) is par ijma hai ki namaz ke bahar hasne se wuzu nahi tut ta.”

Al Majmoo, (2/61).

۞ Dusri baat

Ulema me is par ijma hai ki namaz ke dauran hasne se namaz tut jati hai.

۩ Ibn Munzir kahte hai,

“Un sab ka is par ijma hai ki namaz ke dauran hasne se namaz tut jati hai.”

Al-Ijmaa, safa- 3.

Yaha hasne se muraad hai zor se hasna.

۩ Ibn Qudamah kahte hai,

“Hame is muamle me koi ikhtilaf e raaye ka ilm nahi hai.”

Al-Mughni, (2/451).

۞ Teesri baat

Sahih raaye ye hai ki namaz me zor se hasne se sirf namaz tut ti hai aur wuzu nahi tut ta, kyuki wuzu tutne ki koi daleel nahi hai.

۩ Jabir ibn Abdullah r.a. kahte hai, 'Agar koi namaz me hasta hai, toh use apne namaz ko dohrana chahiye lekin use wuzu karne ki koi zarurat nahi hai.'

Sahih al Bukhari, muallaq riwayat. Sunan Daaraqutini,  hadees- 51, mawsool riwayat.

۩ Ibn Hajar kahte hai,

“Ye baat sahih hai lekin ye alfaz Jaabir r.a. ka hai.”

Fath al-Baari, (1/280).

۩ Imam Nawawi kahte hai,

“Hamari aur aksar ulema ki raaye ye hai isse wuzu nahi tut ti hai. Ye aksar Tabayeen aur unke baad aane waale logo ki raaye hai.

Bayhaqi riwayat karte hai ki Abu'z Zinaad kahte hai: Mai kafi zyada ilm rakhne waale ahle ilm se mila jinki raaye faislakun (decisive) hai. Sa‘eed ibn al-Musayyab, ‘Urwah ibn az-Zubayr, al-Qaasim ibn Muhammad, Abu Bakr ibn ‘Abd ar-Rahmaan, Khaarijah ibn Zayd ibn Thaabit, ‘Ubaydullah ibn ‘Abdillah ibn ‘Uqbah, Sulaymaan ibn Yasaar, aur bahut saare qabil e ahtaraam ahle ilm se mila jo kahte hai ki hasne se namaz tut jati hai lekin isse wuzu nai tut ta.”

Al-Majmoo, (2/60).

Jo hadeese kahti hai ki hasne se wuzu tut jata hai wo zaif hai aur unme se koi bhi saheeh nahi hai.

۩ Imam Nawawi kahte hai:

“Muhaddiseen ka is par ijma hai ki unme se saare zaif aur waahin (kamzor) hai.”

Al-Majmoo, (2/61).

•٠•●●•٠•
Read More »

13 Jun 2019

Junbi Haalat Me Zikr o Azkaar Karna

hi     en   -
Alhamdulillah..

Agar koi shakhs haalat e janabat (post-sex impurity) me ho toh uske liye Allah ka zikr karna aur Allah se dua karna jaiz hai, chahe sone ki duae, ya koi azkaar ho toh woh bhi kar sakta hai.

Is ki daleel Ayesha r.a. ki darj e zail hadees hai:

۩ Ummul Momineen Ayesha r.a. bayan karti hai,

“Rasool ﷺ har haalat me Allah tala ka zikr kiya karte the.”

Sahih Muslim, kitab al haiz ﴾3﴿, hadees- 826.

Baaz shaarheen hadees is ki sharah karte hue kahte hai:

Hadees asal ke liye muqarrar hai, woh yeh ke har haalat me Allah tala ka zikr kiya jaaye, chahe be-wuzu ho ya fir junbi haalat me ho Allah ka zikr, subhanAllah, Laa ilaaha illallah, Allahu akbar, alhamdulillah wagaira dusre jaiz azkaar aur duae padhi ja skti hai, Musalmano ka is par ijma hai.

Lekin junbi haalat me jo azkaar haraam hai woh quran majeed ki tilawat hai, ke koi ek aayat Quran majeed se dekh kar ya zubani padhna jaiz nahi, kyuki Rasool ﷺ se aisa karne ki mumaniyat sabit hai.

Lekin junbi shakhs ke liye mustahab yeh hai ke woh jab sona chahe to apni sharamgaah dho kar wuzu kare.

Is ki daleel darj zail (niche di hui) hadees hai :

۩ Abdullah bin Umar r.a. bayan karte hai ke Umar r.a. ne Rasool ﷺ se arz kiya, 'Aye Allah tala ke Rasool kya ham me se koi shakhs janabat ki halat me so jaya kare?'

Toh Rasool ﷺ ne jawab diya, 'Ji haan! jab woh wuzu karle.'

Sahih al bukhari, kitab al ghusl ﴾5﴿, hadees- 290.

Dekhe: al-Sharh al-Mumti by Ibn Uthaymeen, 1/288; Tawdeeh Ahkaam by al-Bassaam, 1/250; Fataawa Islamiyyah, 1/232.

Allah se dua hai ki wo hame sirat e mustqeem ata kare. aameen.

source: islamqa.info

•٠•●●•٠•

Related: Halat e Haiz me Quran padhne aur zikr karne ke ahkaam
Read More »

28 May 2019

Ramzan me Din ke Waqt Ehtelam Hona

en   
  Sawal  

Kya Ramzan me din ke waqt ehtelam hone se roza batil ho jayega?

  Jawab  

Alhamdulillah..

Ramzan me din ke waqt ehtelam (wet dream) hone se roza tut ta nahi hai, wo isliye ke ye kisi shaks ke ikhtiyar me nahi hota, aur wo ise khud se rok nahi sakta.

۩ Allah ﷻ farmate hai,

'Allah kisi shaks par uski taqat se badh kar bojh nahi daalta.'

Surah baqarah ﴾2﴿, ayat- 286.

Agar kisi shaks ko ehtelam ho jaye toh ye uska roza batil nahi karta, kyuki ye uske ikhtiyar me nahi nahi hai, ye aese hai jaise ke wo soya hua ho aur uske halaq me koi chiz chali jaye.

Dekhe: Ibn Qudamah ki al-Mughni, vol. 3, p. 22.

۩ Mustaqil fatwa aur islami reserch committee se aise shakhs ke mutalliq sawal kiya gaya jise Ramzan me din ko ehtelam ho jaye toh us ka kya hukm hai? 

Toh is ka jawab tha:

“Jise roze ki haalat me ya fir hajj aur umrah ke liye ahraam ki haalat me ehtehlam ho jaye toh us par koi kaffara nahi aur nah hi is ke roze par koi asar hai, agar mani ka khuruj ho toh us par ghusl e janabat laazmi hai.”

Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah, vol. 10, p. 274.

•٠•●●•٠•

Related: 

Read More »

23 May 2019

Sukhi Napaki Chune se Muntaqil Nahi Hoti

en   -
  Sawal  

Agar ek bachha bistar pe peshab kar de aur peshab ke sukh jane par agar mai us bistar par baithta hu, toh kya mera libas napak ho jayega?

  Jawab  

Alhamdulillah..

Sukhi napaki chune se muntaqil (pass, transmit) nahi hoti, toh libas napak nahi hoga aur na hi uska jism napak hoga. Agar ek shaks sukhe peshab par baithta hai, toh is wajah se uska libas napak nahi hota hai aur us libas ko dhone ki zarurat nahi hai.

Najaasat (napaki) sirf gile hone par muntaqil hota hai. Toh agar najasat gili hai ya gili najasat hatho ko chu jaye, fir is wajah se ye muntaqil hoti hai.

۩ Shaykh Abd-Allah ibn Abd al-Rahmaan al-Jibreen se pucha gaya,

“Kya sukha peshab libas ko napak nahi karti? wo is tarha ke agar ek bachhe ne zameen par peshab kar diya hai aur wo peshab bina dhule hi usi jagah par rah kar sukh jaye, fir koi aaye aur us sukhe peshab par baith jaye, toh kya uska libas napak ho jayega?”

Wo jawab me kahte hai:

“Sukhi najaasat ko chune se jism aur sukhe kapde par koi asar nahi padta, aur isse koi farq nahi padta ki agar koi sukhe pair sukhe washroom me jaye, kyuki najaasat sirf gile hone par muntaqil hoti hai.” [alfaz khatm]

Fataawa al-Mar’ah al-Muslimah (1/194).

Aur Allah sabse behtar janta hai.

•٠•●●•٠•
Read More »

13 May 2019

Zer e Naaf Baal Saaf Na Karne Wale ki Namaz


 Sawal 

Kya ek mahine se zyada muddat tak zer e naaf baal saaf na karne wale ki namaz qubool hoti hai?

 Jawab 

Alhamdulillah..

Zer e naaf ke ird gird wale baal mundna fitrati sunnat me shamil hota hai, aur inhe chalees din se zyada der tak nahi rahne dena chahiye balke is se pahle mundna zaruri hai, is ke mutalliq hadees bhi warid hai.

Aur chalees yaum se zyada muddat ki taakheer (delay) se namaz ki sehat par koi asar nahi padta, balke aisa kahna (ki maheene bhar baal na nikale jaye) shari ahkaam se la-ilmi hai.

Fataawa Al-Lajnah Al-Daa’imah, 5/126.

•٠•●●•٠•
Read More »

5 Jan 2019

Kya Beemar Shaks Do Namazo Ko Jama Kar Sakta Hai?

hi     en     ur  -
Sawal- Ek mareez ko maide ka cancer hai, is ke pet me ek surakh rakha gaya hai jahan se fazla (gandagi) wagaira nikala jata hai, mareez ka sawal yeh hai ke kya is ke liye do (2) namazon ko jama karna jaiz hai?

Alhamdulillah

Ji haan. Aesa mareez do (2) namazon ko jama kar sakta hai, toh is ke liye woh Zohar aur Asar ki namaz jama karega, isi tarhan maghrib aur Isha ki namaz jama kar sakta hai, nez apni sahulat ke mutabik jama taqdeem ya jama takheer dono ki ijazat hai jis mein aasani ho wohi kar le kyun ke bimari ki wajah se pesh ane wali mushkilaat do (2) namazon ko jama karne ke asbaab me shaamil hain, Nabi ﷺ ne istihaza (non-menstrual bleeding) wali aurat jise mahwari ke ayyaam ke alawa bhi khoon aata rahta tha use ijazat di thi ke woh do (2) namazon ko jama karle. Is hadees ka zikr Sunan Abu Dawud, hadith-287 aur Jamia Tirmizi, hadith- 128 me hai. Ise Albani r.h. ne sahih Tirmizi me hasan karar diya hai.
aur istihaza bhi ek bimari hai.

Imam Ahmad ne mareez shakhs ke liye do (2) namaze jama karne ki Daleel yeh di hai ke bimari, safar se zyada badtar (worse) hoti hai, nez unhone Suraj ghuroob hone ke baad singhi lagwai (hijama karaya) aur fir maghrib aur isha ko jama kar ke ada kya. end quote.

Kashshaaf al-Qinaa’ (2/5).

Notes:

1۩ Yaha is baat ko samajh lein ke jis mareez ke liye do (2) namaze ikathhe karna jaiz ho to woh dono namaze mukammal ada karega, qasar nahi karega kyunke qasar namaz sirf musafir ke liye jaiz hai, to kuch log jo yeh samajte hain ke agar koi shakhs bemari ke wajah se ghar mein namaze ikathhe padhega toh woh qasr bhi karega, un ki yeh baat sahih nahi hai.

2۩ Jama Taqdeem: Yaani Zohar ke sath Asr aur Maghrib ke sath Isha ki namaz padhna.

Jama Taqhair: Yaani Asr ke sath Zohar aur Isha ke sath Maghrib ki namaz padhna.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo Musalmano ko shifa ata kare aur hame sabr karne ki taufeek de. aameen.
Read More »

25 Oct 2018

Sirf Paani Se Taharat


Sawal: Agar gusl e janabat ke waqt sabun wagairah na ho to kya sirf paani se hi paak hua ja Sakta hai? Ya sabun (soap) wagairah zaroori hai?

Jawab:

Paak aur saaf Paani me Allah ne wo wasf rakhha hai ke wo khud paak hai aur paak karta bhi hai,

Irshad e Bari tal'a hai:

وَيُنَزِّلُ عَلَيْكُمْ مِنَ السَّمَاءِ مَاءً لِيُطَهِّرَكُمْ بِهِ

Aur usne tumhare liye asman se Paani utaara hai taaki uske saath tumhe paak kar de.

Surah Anfal (8), ayat no 11.

Is ayat e kareema se ye maloom hua ke Paani me paak karne ki salaahiyat Allah ne rakhhi hai, lihaaza janaabat ki paleedi door karne ke liye Paani kaafi hai.

Sabun, shampoo, wagairah se gandagi behtar tarike se saaf hoti hai lekin paaki hasil karne ke liye sirf paani hi kaafi hai.

Aur is par kitaab Allah, sunnat aur ijma e ummat dalaalat karti hai ke Paani bazat e khud paak hai aur paak karne ki salaahiyat rakhta hai.

wa Allahu Alam.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame amal ki taufeek ata kare. aameen.
Read More »

2 Oct 2018

Libas Ke Napak Hone Ka Shak

en     ur     hi -
Sawal: Mai gair mulq mein padhta hu, aur apna aksar waqt duty par guzarta hu, aur zarurat padne par mai khade hokar peshab karta hu, kyu ke mujhe mahsoos hota hai ke bait ul khala me nasb kursi par najasat lagi hui hai, aur waise bhi mera is par baithne ko dil bhi nahi karta, sath me mai yeh bhi puri koshish karta hu ke peshab ke cheente mujhe na lagen, aur peshaab karne ke baad tissue paper se istinja karta hu, toh peshab ke un chote chote chhinto ka kya hukum hai jo khade hokar peshab karne se meri shalwar ko lag jate hain, mai un se bachne ki mukammal koshish karta hon? Isi tarhan mai yeh bhi janna chahunga ke cheente lagne ke baarey me gumaan, aur yaqeen dono mein farq hoga? aur kya peshab ke cheente lagne ki mutawaqqa jagah ko sirf pani ke cheente ya geelay haath se saaf karna kaafi hoga? Aur kya un umoor ke baarey mein kasrat se sawal karna was-wase me shumaar hoga?

Alhamdulillah..

Sunnat ye hai ki insaan baith kar peshab kare, aur agar khade ho kar peshab kare toh isme koi harj nahi hai jab tak jism aur kapdo ko najasat se paak rakha ja sake.

Aur agar us insaan ne khade ho kar peshab kiya, aur use peshab ke kuch chinte bhi lag gaye toh jis jagah chinte lagi hai us jagah ko dhona laazmi hai, aur us par paani ke chinte marna ya geela haath wagaira ferna kaafi nahi hoga, balke najasat ko dhone ke liye us par paani bahana zaruri hoga. 

Aur agar insaan ko shak laa haq ho jaaye ki kya uske kapdo ko peshab laga hai ya nahi, toh aisi surat me us kapde ko dhona laazmi nahi hai, kyuki asal (usool) ye hai ki kapde paak hote hai jab tak ke insaan ko yaqeeni taur par maloom na ho jaaye ki waqayi usme najasat lag gayi hai.

Fatawa al-Lajnah ad-Daa'imah ke Ulema e karaam ka kahna hai ki:

“Jab apko achchi tarah yaqeen ho jaaye ki (peshab ka) katra nikal gaya hai toh ap par istinja karna, namaz ke liye wuzu, aur jaha kapde par peshab ka katra laga hua hai use dhona laazmi hoga aur agar sirf shak ho toh aisi surat me ap par kuch nahi hai.

Aur ap shak wa shuba me padne se bache, taaki Ap waswasa ki bimari me mubtala na ho jaaye.” End quote. 

Fatawa al-Lajnah ad-Daa'imah (5/106).

Agar insan faydemand Deeni masail puche toh ye na to ayeb hai aur na hi waswasah balki kamaal talb karne ka zariya, aur neki ki hirs hai.

Allah se dua hai ki hame aur apko har achha kaam karne ki taufeeq de. Beshak woh is baat par qadir hai. 

Wa Allahu alam.
•٠•●●•٠•
source: Islamqa.info
Read More »

1 Oct 2018

Taharat Par Shak Hone Par Kya Kare ?

en  -
Alhamdulillah..

Is article ke ahkaam na-paki ka shak aur wuzu tutne ka shak dono ke mutallik hai.

Bunyadi usool ye hai ki shak hone par naa hi napaki hoti hai aur na hi wuzu tut ti hai. Na-paki aur wuzu ka tutna sirf usi haal me hoti hai jab ek shaks ko pura yakeen ho is chiz par, sirf shak na ho.

۞ 'Abd al-Rahman ibn' Auf r.a. kahte hai ki maine Umme Salma r.a. se kaha: Mai lamba daman rakhne wali aurat hu aur mera gandi jagaho par bhi chalna hota hai, (to main kya karun?) 
Toh Unhone kaha ki Rasool ﷺ ne farmaya hai, “Uske baad ki (Paak) zameen use paak kar deti hai.”

Jamia at Tirmizi, Kitab al Taharat. hadith-143. Ise Shaykh Zubair ali zai ne Hasan karaar diya hai.

۩ Imaam Tirmizi kahte hai: 

“Abdullah bin Masood r.a. se bhi riwayat hai ke ham Rasool ﷺ ke saath gandi jagaho par se guzarne ke baad paaon nahi dhote the.
Ahle ilm me se bahut se logon ka ye qawl hai ke jab aadami kisi gande raste se ho kar aaye to use paon dhone zaroori nahi siwaye iske ke gandagi gili ho to aisi soorat me jo cheez lagi hai ise dho leni chahiye.”

Jamia at Tirmizi, Kitab al Taharat. hadith-143.

۞ Abbad bin Tamim r.a. apne chacha se riwayat karte hai ki Rasool Allah ﷺ ke saamne ek aise shaks ki haalat bayan ki gai jise khayal aaya ke namaz mein iski hawa khaarij hui hai toh Nabi e Akram ﷺ ne farmaya: ‘Namaz us waqt tak na tode jab tak (hawa nikalne ki) awaaz na sun le ya use badbu mahsoos na ho.’

Sahih al Bukhari, kitab al Wuzu, hadith- 137.

۩ Abdullah ibn al-Mubarak r.h. (Tabe-Tabaeen) kahte hai ki jab (hawa kharij) hone me shak ho toh wuzu wajib nahi hota, jab tak ke aesa yakeen na ho jaye ki us par kasam kha sake.

Jamia at Tirmizi, Kitab al Taharat. hadith-75.

۩ Shaykh ibn Uthaymeen kahte hai:

“RasoolAllah ﷺ ki ye hadith jisme unhone ek ahkaam jaari kiya hai use ek aham shari usool maana gaya hai, wo ye hai ki shak ki bunyad par Yakeen ko hataya nahi ja sakta, aur chize waisi hi rahti hai jaisi ki wo hai. Jab tak ke Taharat par yakeen hai, to ise sirf shak ki wajah se nahi badla ja sakta hai. Jab tak ke paaki qayam rahti hai toh use qayam hi maana jata hai jab tak ke sabit na ho jaye ki (paaki) qayam na rah saki hai. Ye hadith ek shaks ko aasani aur firse yakeen dilati hai, kyuki ye waswasa aur shak se dur rakhti hai, kyuki is hadees ke zarye shak dur ho jate hai aur jis par yakeen hai wo qayam rah jata hai, yaani Taharat.” End quote. 

Fatawa Noor ‘ala ad-Darb, 56/119.

•٠•●●•٠•
Read More »