اقرأ باسم ربك الذي خلق

20 Jul 2026

Kya Khwarij Kafir The ?

Kya Khwarij Kafir The

Islami tareekh me 'Khawarij' ka naam ek aisi jamaat ke taur par aata hai jisne bohot khoon-kharaba kiya aur deen mein sakhti ka raasta apnaya. Lekin ek bada sawal jo aksar pucha jata hai: Kya Khawarij kafir the?

Iska seedha jawab hai: Nahi, aksar ulema aur Sahaba ke mutabiq wo kafir nahi the.

Yahan is baat ke kuch aham dalail aur pahlu hai.

۩ Tariq bin Shihaab (Tabayee) r.h. bayan karte hai ke Mai Ali ibn e abi talib r.a. ke paas tha to unse sawal kiya gaya ke Kya Ahl e Neherwaan (yaani khawarij) mushrikeen hai? Ap r.a. ne farmaya ke (Nahi), Shirk se to wo Bhage hai. Fir pucha gaya to kya Fir wo munafiq hai? Ap r.a. ne Farmaya: Nahi! Munafiqeen to Allah ta'ala ko bahut hi kam yaad karne wale hote hai (ya'ani khawarij to had se zyada ibadat guzaar hai to wo munafiq kyun kar ho sakte hai). Fir pucha gaya ke aakhir wo (khawarij) kya hai?
Ali r.a. ne farmaya ye (hamare) aise (Musalman bhai) log hai jinhone hamare khilaaf baghawat ki hai.

Al Musannaf ibn Abi Shaiba, hadees- 39097, Isnad Sahih.

۩ Abu Shihaab rh riwayat karte hai ki Hazrat Ibn Umar r.a. Khasbiya aur Khawarij ko salam kiya karte the jab ki wo apas me jang kiya karte the, aur wo (ibn Umar) kaha karte the ki Jo bhi koi “Hayya Alal Salaah” kahega mai is ka jawab dunga (matlab unke masjid me namaz padhunga) aur jo bhi “Hayya Alal Falaah” kahega mai uska bhi jawab dunga, lekin agar koi kahe ki ham Musalman bhaiyo ka katl kare ya unka maal lute tab ham inka sath nahi denge.

Sunan Kubra Baihaqi, Volume : 3, hadees- 5305. Isnad Sahih.

۩ Imam Nawawi rh kahte hai,

'Ash-Shafi'i aur unke aksar saathi ahle ilm ka mauqif ye hai ke Khawarij ko kafir nahi kaha jayega, yahi hukum Qadariyyah, aksar Mu'tazilah aur khwahishat e nafs ki pairwi karne wale dusre firqo par bhi lagu hota hai.'

Sharah Sahih Muslim, 7/160.

۩ Shaykh Ibn Taymiyya rh farmate hai,

'Khawaarij jo gumrah hue, jinse ladne ka hukm RasoolAllah ne diya tha, aur jinse Ameer al-Mu’mineen ‘Ali r.a., ek hidayat-yafta Khalifa ne jang kari, aur jinse Sahaabah, Taabi‘een aur unke baad aane wale bade ulema bina ikhtilaf unse jang karne se muttakif hue, unhe ‘Ali ibn Abi Taalib, Sa‘d ibn Abi Waqqaas aur durse Sahaabah ne kafir nahi kaha; balki (in sahaba ne) unhe Musalman mana agarche unlogo ne inse jang ki thi…'

Majmoo‘ al-Fataawa, 3/282. source: https://islamqa.info/en/182237

۩ Shaykh Saleh al Munajjid kahte hai,

'Khawarij wo log hain jo apni khwahishat aur bid'at ke pairokar hain aur Ahl as-Sunnah wa’l-Jama‘ah ke raaste se bhatak gaye hain, lekin hum unhe unki biddat ki wajah se kafir qaraar nahi dete, un doosre logon ke bar-aks jo apni khwahishat ki pairwi karte hai.'


Shariat ki roo se Khwarij ko Baaghi, Bid'ati aur Gumraah karaar diya jaata hai 

Khawarij ka kirdar Islam mein shiddat pasandi ki sabse pahli aur badi misaal hai. Hadeeso mein unki sakht muzammat aayi hai aur unhe "deen se aise nikal jane wale jaise teer shikar se nikal jata hai" kaha gaya hai. (bukhari, 3344, 5058, 6931).

Lekin iske bawajood, Islamic Fiqh ke mutabiq unhe Kafir nahi kaha gaya, balki ek bhatki hui, zaalim aur baaghi jamaat maana jata hai jin logo ne deen ko samajhne mein bohot badi galti ki.

•٠•●●•٠•

Related-  Ibn Abbas Aur Khwarij Ka Munazra