
Namaz ki kunji wuzu hai, aur wuzu ke bina namaz qubool nahi hoti. Agar aap wuzu karne ka step by step tarika dhoondh rahe hain, toh yahan hamne Quran aur Sahih hadees ki roshni me sahih aur sunnat tarika pesh kiya hai.
Nabi ﷺ ne farmaya: "Jo shakhs achhi tarah wuzu karta hai, uske jism se uske gunah nikal jate hain, yahan tak ki uske nakhuno ke niche se bhi." (Sahih Muslim, 245).
Aaiye jante hain wuzu ka step by step sahih tarika mukammal hawalo ke sath:
1. Bismillah Padhein
Wuzu shuru karne se pehle "Bismillah" padhein.
(Jamia Tirmidhi, 25 | Hasan)
2. Dono Haath Dhoyein
Dono haath kalaayi (wrists) tak 3 baar dhoyein. Ungliyo ke beech paani guzarein (Khilaal karein).
(Bukhari, 159 | Ibn Majah 447 | Hasan)
3. Kulli Karein aur Naak Saaf Karein
Seedhe haath se ek chullu (handful) paani lein. Aadhe paani se kulli karein aur baqi aadhe se naak saaf karein. Is amal ko 3 baar dohraayein.
(Bukhari, 191)
4. Chehra Dhoyein
Apne poore chehre ko achhi tarah 3 baar dhoyein.
(Bukhari, 159)
5. Haath Kohniyo Samet Dhoyein
Pehle apna seedha (Right) hath kohni samet 3 baar dhoyein. Phir ulta (Left) hath kohni samet 3 baar dhoyein.
(Bukhari, 159, 167)
6. Sar aur Kaano ka Masah Karein
Naye pani se dono hathon ko bheega kar poore sar ka 1 baar masah karein. Phir shahadat ki ungliyo se kaano ke andar aur anguthe se kaano ke piche masah karein.
Aurton ke liye: Aurtein sar ka masah aage mathe se shuru karke peeche guddi (gardan ki shuruat) tak karein. Chahe baal khule hon ya choti bani ho, poore lambe baalon par masah karne ki zaroorat nahi hai.
(Bukhari, 185 | Muslim, 236)
7. Paon Dhoyein aur Khilaal Karein
Aakhir mein, pehle apna seedha paon takhno (ankles) samet 3 baar dhoyein, phir ulta paon 3 baar dhoyein. Phir choti ungli se paon ki ungliyo ke beech khilal karein.
(Muslim 226 | Ibn Majah 447 | Hasan)
Alhamdulillah! Aapka Wuzu mukammal hua.
۞ Wuzu Ke Baad Ki Dua
Wuzu mukammal karne ke baad yeh dua zaroor padhein:
أَشْهَدُ أَنْ لَا إِلَهَ إلَّا اللهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ، وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّداً عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ
Ashhadu an la ilaha illal-lahu wahdahu la shareeka lah, wa-ashhadu anna Muhammadan Abduhu warasooluh.
.................................................................................................
❓Wuzu Ke Bare Mein Aksar Puche Jane Walae Sawal (FAQs)
Q1: Kya wuzu ki niyat zuban se bol kar karna zaroori hai?
Jawab: Nahi, wuzu ki niyat zuban se ada nahi karni hai. Niyat dar'asal dil ke irade ka naam hai. Jaise hi aapne wuzu karne ka pukhta iradah kar liya, aapki niyat mukammal ho gayi.
Q2: Kya kulli aur naak ke liye alag-alag paani lena chahiye?
Jawab: Aam taur par log alag-alag paani lete hain, jo ki jayaz hai. Lekin afzal (sunnat) tarika yeh hai ki ek hi chullu paani le kar aadhe se kulli karein aur baaki aadha naak mein daalein.
Q2: Kya sirf bismillah kahna hai ya bismillahir rahmaanir raheem kahna hai?
Jawab: Sahih hadeeso me sirf bismillah kahne ka hukm hai - Jamia Tirmidhi, hadees 25 ko check karein.
•٠•●●•٠•
Post a Comment