اقرأ باسم ربك الذي خلق

5 Jan 2018

Zakat Ke Maali Saal Ke Dauraan Hasil Hone Wale Maal Ki Zakat


Sawal: Zakat ke liye mo'atabar maal nisaab pura hone ke waqt wala maal hoga ya ek saal guzarne ke baad maujood maal mo'atabar hoga? Ya'ani agar nisaab pura hone ke waqt maal ki miqdaar 10000 thi aur ek saal guzarne ke baad maal ki miqdaar 50000 hogayi to ab in dono maal se kounsa maal zakat nikalne ke liye mo'atabar hoga?

Alhamdulillah..

Naqdi noto me zakat wajib hone ke liye do cheezo ka hona shart hai:

Pahli baat: Nisaab ke barabar ho.

Duwwam: Nisaab ke barabar Raqam par ek saal guzar jaye.

Chunanche agar maal nisaab se kam ho, to us me zakat wajib nahi hai. Chunache agar maal Naisaab ke barabar ho aur us par ek Qamri(hijri) saal bhi guzar jaye to us waqt us par Zakat waajib hogi.

Aur Nisaab ye hai ke, naqdi raqm 85gm Sona, ya 595gm Chandi ke barabar ho.

Is Nisaab ki Zakat ada karne ke liye chaliswa hissa yaani 2.5% dena zaruri hai.

Dusri baat:

1000 ki Miqdaar me maal Nisaab ke barabar hojaye aur fir saal mukammal hone tak ye maal badh kar 5000 hojaye to is ki zakat kaise dega?

Is me kuch Tafseel hai:

۩1. Agar ye Izafa, Asal (ra'asul maal) ke Nafe ki wajah se hua hai, ya'ani 1000 ki sarmaya kaari ki hui thi, to is me 4000 ka munafa hua toh use saal ke Aakhir me saare maal ki zakat Deni hogi kyunke Nafaa, Asal ke ta'abe hota hai.

۩2. Aur agar ye izafaa Asal maal ki wajah se nahi hua balke Wirasat, Tohfa ya kisi cheez ke faroqht karne ki waja se ya phir kisi aur tareeqe se aaya hai to us ki Zakat ke liye alag saal shumar hoga jo ke is Izaafi maal ke, Apke milkiyat me aane se shuru hoga, aur agar Aap is izaafi maal ki zakat pahle wale 1000 ke saath dena chahe to ye Ap ki taraf se is izafi maal ki zakat advance ada hojayegi jis me koi harj wali baat nahi hai.

۩3. Basa'auqaat Izaafa hone wala maal batadreej haasil hota hai, maslan", Insan ki bachat se ye izafa hua, har maah 500 bachaye, to saal ke aakhir tak uske paas 4000 hogaye, to is Surat me aap ko ikhtiyaar hai ke Ap saare maal ki ikhatti zakat ada kare.

To is Surat me Ap us raqam ki zakat waqt se pehle ada kar denge, jis par abhi ek saal nahi guzra, aur agar har maah hasil hone wale maal ke liye alag se saal shumar karte hai to ye bhi jayez hai lekin is me Ap ko hisab rakhne me mashaqqat hogi, kyunke is tarah se aapko saal me kai baar zakat ada karni padegi.

Wallahu Aalam.

source:- Islamqa
Read More »

Adam a.s. Ki Tauba Ki Dua


Allah subhana wa tala' Quran me batate hai ki adam (alaih-as salam) ko Allah ne muaf kaise kiya. Allah pak farmate hai,

فَتَلَقَّى آدَمُ مِن رَّبِّهِ كَلِمَاتٍ فَتَابَ عَلَيْهِ إِنَّهُ هُوَ التَّوَّابُ الرَّحِيمُ-

Aadam (alaih-as salam) ne apne Rab se chand qalemaat seekh li aur Allah Taalaa ne un ki tauba Qabool farmaee, be-shak wohi tauba qubool karne wala aur raham karne wala hai.

Surah Baqarah, ayat-37.

Allah subhana wa tala' Quran me us dua ka zikr bhi karte hai jis dua ke wajah se Adam a.s. ko Allah ne muaf kiya tha. Allah pak farmate hai,

قَالاَ رَبَّنَا ظَلَمْنَآ أَنفُسَنَا وَإِن لَّمْ تَغْفِرْ لَنَا وَتَرْحَمْنَا لَنَكُونَنَّ مِنَ الْخَـسِرِينَ-

[Adam aur Hawwa a.s. ne] kaha Aey humara Rab! Hum ney apna bara nuksan kiya aur agar tu humari maghfirat na karayga aur hum par raham na kare ga toh waqaee hum nuksan paney walon mein say hojayen gay.

To ye bilkul wazeh ho gai ki kaise Adam a.s. aur Hawwa a.s. ko muafi mili. Kuch log ka kahna hai ki Adam a.s. ne RasoolAllah ﷺ ke wasile se dua ki thi tab unhe Allah ne muaf kiya tha jab ki Quran ki is dua ke alfaz me waseele ka kahi zikr hi nahi hai. Kuch log is sil sile me Hadith bhi dete hai lekin wo hadith usool e Muhaddiseen par Mauzu hai. Us hadith ki tahkeek is artlcle me pesh ki gai hai:


Allah se dua hai ki wo hame haq samajh kar us par amal karne ki taufeek ata kare. aameen.

•٠•●●•٠•
Read More »

Biddati Imam Ke Piche Namaz Padhne Ka Hukm | Salaf Ke Fahm Ke Mutabik


Jaha tak biddati Imam ke piche namaz padhne ka sawal hai to is ke bareme ek bhi riwayat nahi hai jo Usool e Muhaddiseen par sahih ho. Ek bhi RasoolAllah ki hadith nahi hai jisme milta ho ki fula ke piche namaz padho aur fula ke piche namaz na padho. Aur is muamle me aksar sirf ulemao aur buzurgo ke fatwe milte hai, wahi jo hamari purani bimari hai ki fula Buzurg farmate hai, fula Hazraat farmate hai. Musalman hone ke haisiyat se hamara pahla source QalaAllah wa QalaRasoolAllah hona chaiye aur uske baad fir sahabao ka amal dekhna chaiye fir Tabaeen ka aur fir Tabe-Tabaeen ka aur fir ulemao e deen ka. Aur aksar Ulema is hadith ko chupate hai biddati imam ke piche namaz padhne ke mutallik jise ham pesh karenge in shaa Allah.

۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki Agar Imam ne thik namaz padhai to iska sawab tumhe milega aur agar galti ki to bhi (tumhari namaz ka) sawab tumko milega aur galti ka wabaal un par rahega.

Sahih al-Bukhari, Kitabul Aazan, Vol. 1, Book 10, Hadith-694.

۩ Hasan al Basri (Tabaeen) Farmaye hai,

                                                  صَلِّ وَعَلَيْهِ بِدْعَتُهُ

"Biddati ke piche namaz padhlo, uski biddat ka wabal usi par hoga".

Sahih al Bukhari, Kitab ul Aazan, Baab- Fitno ke Imam aur Biddati ke piche namaz padhne ka hukm, Moallik riwayat.

۩ 'Ubaid-Ullah bin Adi bin Khiyar r.a. riwayat karte hai ke wo Hazrat Usman ghani r.a. ke paas gaye jab ke baghiyon ne unko gher rakha tha. Unhone kaha ke Ap hi aam Musalmano ke imam hain magar Ap par jo musibat hai wo aapko maloom hai. In halaat mein baghiyon ka muqarrah Imam namaz padha raha hai. Ham darte hain ke uske piche namaz padh kar gunehgaar na ho jaein.
Hazrat Usman r.a. ne jawab diya, “Namaz to, jo (un) log kaam karte hain un kaamo mein sabse behtareen kaam hai toh wo jab accha kaam karein toh Tum bhi un ke saath mil kar achcha kaam karo aur jab wo bura kaam karein to tum unki burai se alag raho.”

Sahih al-Bukhari, Vol. 1, Book 10, Hadith-695.

Aur Quran bhi bilkul yahi Hukm deta hai, Allah pak farmate hai  

..Neki aur parhezgari mein aik doosray ki madad karte raho aur gunah aur zulm-o-ziyadti mein madad na karo.

Surah Maida (5) ayat 2.

Ab Quran, Sahaba aur Tabaeen ke wazeh qaul ke baad shak ki koi gunzaish baki nahi rahti aur agar ham in ke muqable me ulemao ya buzurgo ke qaul lene lage to isse bada koi zulm nahi hoga wo kyu na ham apne ap ko ahle sunnat jamaat se hone ki ya salaf ke fahm ke mutabik deen samajhne ka dawa karte rahe. 

Ye to tha Biddati/Baagi Imam ke piche namaz padhne ka hukm Quran aur salaf se. Ab apko ye jaan kar hairani hogi ki Sahabah Abdullah bin Umar (Umar r.a. ke bete) jinhe RasoolAllah ﷺ ne kaha hai ki Abdullah bin Umar Nek Mard hai, wo kahte kahte the ki Jab tak Khwarij ke masjid se Hayyalas-Salaah, Hayyalal Falaah ki awaze ayingi ham inke piche namaze bhi padhenge aur jab ye hame salam karenge ham inke salam ka jawab bhi denge. Puri hadith aesi hai:

۩ Abu Shihaab riwayat karte hai ki Hazrat Ibn Umar r.a. Khasbiya aur Khawarij ko salam kiya karte the jab ki wo apas me jang kiya karte the, aur wo (ibn Umar) kaha karte the ki Jo bhi koi “Hayya Alal Salaah” kahega mai is ka jawab dunga (matlab unke masjid me namaz padhunga) aur jo bhi “Hayya Alal Falaah” kahega mai uska bhi jawab dunga, lekin agar koi kahe ki ham Musalman bhaiyo ka katl kare ya unka maal lute tab ham inka sath nahi denge.

Sunan Kubra Baihaqi, Volume : 3, Hadith Number: 5305. [scan]

SubhanAllah ye hai akhlaq ek sahabi ka jo jhagdo aur fitno aur takfeer ka darwaza band karne ki koshish karte the aur aj ham log hai jo band darwazo ko bhi kholne ki koshish karte hai. 
Khawarji wo log the jo sahabao ko muh par kafir kahte the fir bhi itne bade bade sahaba inke piche namaze padhte the. Aur aj ham log hai jo thode se ikhtilaf me bhi dhed inch ki masjid alag karlete hai. Allah hame salaf ke manhaj par amal karne ki taufeek ata kare.
Imam Bukhari ne jo baab bandha hai hadith no. 695 se pahle: "Fitno ke Imam aur Biddati ke piche namaz padhne ka hukm" aur fir sahabao ke qaul la kar jo result nikala hai isse ye bhi pata chalta hai ki Imam Bukhari ka Aqidah bhi yahi tha ki Fitno ke Imam aur Biddati Imam ke piche namaz padh leni chaiye. Aur aese masjid me sunnat tarike se namaz padhe ne se hame Islah ka mauka bhi milta hai jise hame nahi khona chaiye. Ye alag baat hai ki agar koi behtar Aqide wala Imam maujud hai to behtar aqide wale Imam ko priority deni chaiye. 

Allah se dua hai ki wo hame sidhi raah par chalaye. aameen.

•٠•●●•٠•
Read More »

Kya Maahe Safar Manhoos Hai ?

hi  -
Mahe safar Islaami saal aur Hijri calender ka dusra mahina hai, Jiske mutaaliq bar-e-sagheer ke khurafati tabqe ne mukhtalif qisam ki biddatein, ghalat fehmiyaan aur bad gumaniyaan muslim samaj mai phela rakhi hai, isse manhoos wa na-mubarak samajhna, aafat wa museebat ka gehwara tasawwur karna, shar wa fasaad ka ganjeena batlaana, aur nuqsaan wa zar ka mahina bawar karana, kuch naam, nihaad-musalmano ki adat ban chuki hai. Halaan ke Islaam ka bunyaadi aqeedah hai ke iss poori Qaynaat ka khaaliq wa maalik aur tamaam tasarrufaat ka mukhtaar kul sirf Allah Ta'ala hai. Tamaam nafa wa nuqsaan ka maalik sirf Allah ta'ala hai.

Baaz Log Maahe Safar Ke Bare Mein Bohot Si Ghalat Fehmiyon Ka Shikaar Hain, Ye Article Isi Baat Ko Clear Karne Ke Liye tayar Ki Jaa Rahi Hai. Maahe Safar Allah Ta’ala Ke Banaye Hue Mahino Mein Se Ek Mahina Hai. Allah Aur Rasool Allah ﷺ Ki Taraf Se Is Mahine Ki na Koi Fazilat Bayan Ki Gayi Hai Aur Na Hi Koi Aisi Baat Jiski Wajah Se Is Mahine Mein Kisi Bhi Halaal Aur Jayaz Kaam Ko Karne Se Roka Jaye. Jo Mahine Faizlat Aur Hurmat Wale Hain Un Ke Bare Mein Abu Bakr r.a. se riwayat hai ki Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya,

"Saal Apni Usi Halat Mein Palat Gaya Hai Jisme Us Din Tha Jab Allah Ne Zameenay Aur Aasman Banaye The, Saal Barah (12) Mahinay Ka Hai Jin Mein Se Chaar Hurmat Waale Hain, Teen Ek Saath Hain; Dhillqad, Dhul-Qa'da, Dhul-Hijja aur Al-Muharram, Muzr Wala Rajjab Jamad Aur Shabaan Ke Darmiyaan Hai."

Sahih Al Bukhari, Hadees- 4662.

Do jahaano ke sardar hamare Rasool ﷺ ne saal ke barah mahino mein se 4 ke bare mein bataye khwah chaar mahine hurmat wale hain yani un chaar mahino mein ladai aur qatl nahin karna chahiye, is ke alawa kisi bhi maah ki koi aur khususiyat bayaan nahi hui hain aur na Allah ta’ala ki taraf se aur na RasoolAllah ﷺ ki taraf se. Hairangi ki baat ye hai ke Allah aur Rasool Allah ﷺ ki taraf se koi khabar na hone ke bawajood kuch mahino ko ba barkat mana jata hai aur manghadant rasmo aur ibadat ke liye khaas kiya jata hai aur kuch ke bare mein ye khayal kiya jata hai ke unme koi khushi wala kaam, karobar ka aghaaz, rishta, shaadi biyaah ya safar wagaira nahin karna chhaiye, hairangi is baat ki nahi hai ke is tarha ke khaylat kahan se aye, ye to maloom hai jiska zikr in shaa Allah abhi karna baki hai, hairangi is bat ki hai ki jo baatein kisi suboot aur sachhi dalil ke baghair kaano, dilon aur dimaagho me dale jate hain unhe fauran qubool kar liya jata hai. Lekin jo baat Allah aur Rasool Allah ﷺ ki taraf se batayi jaati hain puri tahqiq ke sath sachhi aur saabit shuda hawala jaat ke saath batai jati hai usey mante hue tarha tarha ke bahane, muntaq o falsafa, dil o aqal ki kasautiyan istemaal kar kar ke raahe farar talash karne ki bharpoor koshish ki jati hai. Jaisa ke Allama Iqbal kahte hai:
Haqiqat Khurafat Mein Kho Gayi
Ye Ummat Rawayaat Mein Kho Gayi.
 In hi khurafat mein se maahe safar ko manhoos janna hai, pahle to ye sun lijiye ke Allah ta’ala ne kisi cheez ko manhoos nahin banaya, haan ye Allah ta’ala ki hikmat aur marzi hai ke wo kisi chiz mein kisi ke liye barkat de aur kisi ke liye na de. Aaiye Allah ke Rasool ﷺ ka ek farman aapko suna du jo hmare is mauzu ke liye faisla kun hai.

Abdullah ibn Umar radi allahu anhuma se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ke samne Nahusat ka zikr kiya gaya to Aap ﷺ ne farmaya, "Gar Nahusat kisi chiz mein hoti to un teen cheez mein hoti aurat, ghar aur ghoda."

Sahih Muslim, Book 26, Hadith 5529.

RasoolAllah ﷺ ka ye farmana ke "agar nahusat kisi cheez mein hoti" saaf baayan farmana hai ke koi chiz manhus nahi hoti aur ye baat bhi har koi samajhta hai ke jab koi chiz kaha jayega to usme maaddi aur ghair maaddi har chiz shamil hogi yani waqt aur us ke paimany bhi shamil honge, lehaza RasoolAllah ﷺ ke is farmaan e mubarak se ye baat bilkul waazeh hogai ke nahusat kisi cheez ka zaati juzz nahi hoti, Allah ta’ala jis chiz ko jis ke liye chahe barkat wala banaye aur jis chiz ke liye chahe be-barkati wala banaye. Ye sab Allah ki hikmat aur maslihat se hota hai na kisi chiz ki apni sifat se.

Dekh lijiye koi do shahks jo ek hi marz ka shikar ho ek hi dawa istemal karte hain ek ko shifa ho jati hai aur dusre ko usi dawa se koi aaram nahi aata balkay baaz auqaat marz badhta jata hai. Kayi log ek hi jagah me ek jesa karobar karte hain kisi ko faida hota hai kisi ko nuqsan to koi darmiyani halat me hota hai kayi log ek hi jaisi sawari istemal krte hain kisi ka safar khair o aafiyat se tamam hota hai aur kisi ka nahi. Isi tarha har ek chiz ka mamla hai yahan ye baat bhi acchi tarha se zahn-nasheen karni hai ki barkat aur izafe mein bohat farq hota hai. Kisi ke liye kisi chiz mein izafa hona ya kisi ke pas koi chiz zyada hona is baat ki dalil nahi hota ke usay barkat di gai hai umuman dekhne mein ata hai ke kafiron aur badkaaron ko musalmano aur nek logon ki nisbat maal aur daulat, aulad, hukumat aur duniyawi taqat waghaira zyada milti hai to iska ye matlab nahi hota ke unhe barkat di gayi hai balkay ye Allah ta’ala ki taraf se un par akhirat mein mazeed azaab tayyaar karne ka samaan hota hai ke lo aur khoob akhirat ka azaab kamao. Safar ke mahine ki koi fazilat na to Quraan aur Sunnat se milti hai aur na hi koi aisi baat jiski wajah se is ko be-barkat ya bura samjha jaye.

Islam ke pahle Arab ke kafir is mahine ko manhus aur ba’as e nuqsaan samjhte the aur samjhte the ke safar ek keeda ya saanp hai jo paith mein hota hai aur jis ke paith mein hota hai usko qatal kar deta hai aur dusron ke paith mein bhi muntaqil ho jata hai, yani chhoot ki bimaari ki tarha is ke jarasim bhi muntaqil hote rahte hain. Lekin RasoolAllah ﷺ ne mundraja bala in sab aur in jaise dusre aqido ko ghalat qarar farmaya,

Abu Huraira radi Allahu tala anhu se riwayat hai ki Rasool Allah ﷺ ne farmaya, "Na koi chhoot ki bimari hai, Na Hama hai, Na Nahusat hai, na safar (koi bimari ya nahusat wala mahina hai aur na koi iski kisi aur mahine ke sath tabdili hai)."

 Sahih Muslim, hadees no. 2220.

Alfaz ke kuch farq ke sath ye hadees digar sahaba se bhi rawayat ki gai hai. Arab safar ke mahine ke bare mein manhoos hone ka aqida rakhte the afsos ke isi qism ke khayalat aaj bhi Musalmano mein paaye jate hain aur wo apne kayi kaam is mahine mein nahi karte, Aapne ne dekha ke RasoolAllah ﷺ ne iss mahine ke bare mein paye jaane wale har galat aqide ko ek hurf me band kar ke mustarid farma diya. Saal ki digar mahino ki tarha is mahine ki tarikh me bhi hame kayi acche kaam milte hain jo Allah tala ki masliht se us ke bandon ne kiye maslan—hijrat k baad jihad ki ayat Allah ta’ala ne isi mahinay me nazil farmayi, aur RasoolAllah ﷺ ne apne Rab ke hukm par amal karte hue pahla ghazwa is mahinay mein kiya jise "Ghazwa Al-Abwa" bhi kaha jata hai. Aur ‘’Waddan‘’ bhi imaan walo ki walida mohtarma khadija bint khuwaylid radi allahu anha se RasoolAllah ﷺ ki shaadi mubarak bhi is mahinay mein hui. Khaibar ki fatah isi mahinay mein hui

Ye sab janne ke baad bhala kon aisa Musalman hoga jo is mahinay ko ya kisi bhi mahine ko manhoos janay?? Aur koi nek kaam krne se khud ko rokay, Allah ta’ala ham sabko hidayat de aur uspar amal karte hue hamara khatma farmaye. Allah ta’ala in mukhtasar malumat ko padhne walon ko hidayat ka sabab banaye aur meri ye koshish Qubool farmaye aur ham sab ke liye aakhirat mein asaani aur maghfirat ka sabab banaye. aameen.

•٠•●●•٠•
Read More »

Libas Ko Takhno Se Niche Latkana

۩ ALLAH TAALA KI NAZAR E RAHMATT, HAM KALAAMI AUR GUNAAHON KI SAFAAI SE MAHROOMI, AUR DARDNAAK AZAAB:

Hazrat Abu Dharr r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, "Teen qism ke logon se Allah Qayamat ke din na ham'qalaam hoga, na unki taraf nazar (rahmat) farmayega aur na hi unko gunaahon se paak wa saaf karega, aur unke liye dardnaak azaab hoga. Pahla, koi chiz de kar ehsaan Jatanay wala, Dusra apne Libaas ko Takhno se neeche latkane wala, Teesra, Jhooti qasam kha kar apna samaan bechne waala."

Sahih Muslim, Kitabul Eemaan, Hadith- 493.

Toh fir ek momin bande ko ye kaise gawaara hona chahiye ke woh koi aisa amal kare Jisse us se muhabbat karne waala Rabb usse ruth jaaye, usse ham kalaami band kar de, aur gunaaho se bojhal uske kandho ko azaad na kare balke rahmat ki jagah ghazab aur pyar ki jagah nafrat ki nigaah se dekha jaaye.

Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya Takhno se niche ka izaar aag me hai.

Sahih Al Bukhari, Hadith no. 5787.



۩ Libas Ko Takhno Se Niche Latkane Ke Mutallik Pahli Galat Fehmi:

Aksar log samajhte hai ki Agar Dil me ghamand na ho to apna libas niche latkane me koi harj nahi hai. Lekin ye mahez ek galat fehmi hai Kyuki sirf ghamand wajah nahi hai, aur bhi wajuhaat aur hikmat hai libas to takhne se upar rakhne ki, 

۩ Pahli wajah: Libas ko Saaf rakhna

`Amr bin Maimun r.a. riwayat karte hai ki Umar r.a. ne (apne bhai ke bete se) farmaya, "Ae Mere bhai ke bete! Apne libas ko uncha rakho, Ye tumhare libas ko saaf rakhega aur tumhe tumhare Rab ke azaab se mahfuz rakhega.

Sahih al-Bukhari, Kitab Fazail Ashaab an-Nabi ﷺ, Hadith no: 3700.

۩ Dusri wajah: RasoolAllah ﷺ ki itaat karna 

Muslim Ummat me har Makatib-e Fikr, chahe wo kisi bhi masklak ya jamaat se ho, wo sab tasleem karte hai ki Takhno se upar libas rakhna sunnat hai. Saare fikr ki dalail dene ki zarurat nahi hai lekin Dawat e Islami ke Ameer Ilyas Qadri ka qawl zarur pesh karunga kyuki isi jamaat me aksar ye confusion paayi jati hai.

Imam Tirmidhi ne ek Hadith riwayat ki hai:

Hazrat Ubaid bin Khalid radiAllahu anhu kahte hai, "Mai ek bar Madinah Munawwarah jaa raha tha. Maine apne piche ek shaks ko kahte hue suna, "Apni Lungi ko uchi karo kyuki ye jismani aur roohani najasato (impurities) ko dur karti hai.
Jab mai piche muda dekhne ke liye ki kaun kah raha hai, maine dekha ki wo RasoolAllah ﷺ the. Maine kaha, "Ae" RasoolAllah ﷺ, Ye sirf ek mamuli si chadar (lungi) hai (ek shaks ko isse ghamand kaise ho sakta hai, aur kya is pe dhyan dena zaruri hai)?
RasoolAllah ﷺ ne farmaya, Agar tumhe isme koi bhalai nazar nahi aati, Kya tumhe meri pairwi karna kaafi nahi?
Jab RasoolALlah ﷺ mujhse ye kah rahe the, maine dekha ki unki lungi aadhe pindli (shin) tak pohchi hui thi.

Shama'il Muhammadiyah by Imam Tirmidhi, Kitab no:18, Hadith 120.

Source to Shama'il Muhammadiyah: https://sunnah.com/shamail .

Halanki ye hadith usool e Muhaddiseen ke nazdeek zaif hai lekin ham jiske liye ye hadith pesh kar rahe hai unhe koi mushkil nahi honi chahiye kyuki wo log sahih aur zaif hadith me fark hi nahi karte hai aur unki kitabe zaif hadeeso, kisse-kahaniya se bhari padi hai. Hamare liye to Quran ki wo ek ayat hi kaafi hai jaha par Allah ‎ﷻ farmate hai,

... Aur Jo Kuch Rasool ﷺ De Unhe Lelo Aur Jis Chiz Se Wo Mana Kare Usse Ruk Jao Aur Allah ‎ﷻ Say Darte Raha Karo, Yaqeenan Allah ‎ﷻ sakht azab wala hai. 

Qur'an 59:7.



۩ Libas Ko Takhno Se Niche Latkane Ke Mutallik Dusri Galat Fehmi:

Hazrat Abdullah ibn Umar r.a. se riwayat hai ke Allah ke Rasool ﷺ ne farmaya, "Jisne bhi takabbur ke taur par apne kapde ko zameen me ghaseeta, Allah Qayaamat me uski taraf nahi dekhega", Hazrat Abu Bakr r.a. ne arz Kiya, "Agar main khayal na karun to mere kapde ka ek kona fisal jata hai", Toh Aap ﷺ ne farmaya, "Aye Abu Bakr Tum aisa guroor ke taur par nahi karte."

Sunan an-Nasa'i, hadith-5335, Sahih (Sheikh Zubair Ali Zai).

Kuch log is hadith ka matlab ye samajhte hai ki agar ek shaks ko Gurur nahi hai to wo apna libas takhne se niche latka sakta hai. Is hadith ka matlab bilkul bhi ye nahi hai. Is ka matlab ye hai ki jo insan jaan-bujh kar kapde takhno se niche latkata hai, khwah takabbur ka kasad ho ya nahi, is ke liye ye waeed shareed hai.

Ha! Agar koi aadmi kapda takhno se uper rakhne ki puri koshish karta hai lekin us ke bawujud gair iradah ya gair ikhtiyari taur par kapda niche latak jata hai toh woh is waeed me dakhil nahi hoga, kyuki wo maazur hai, jaisa ki Sayyadna Abu Bakr r.a. farmate hai ki jab mai puri puri muhafizat karta hu toh tahband niche nahi latakta. Kabhi zara si gaflat karu to niche latak jata hai. Hadees me يَسْتَرْخِي ka lafz bhi is baat par Dalalat karta hai ki Tahband khud bakhud niche latak jata tha, wo bhi kabhi kabhar na ki hamesha. Sayydna Abu Bakr r.a. kasratan nahi latkate the. Aap ﷺ bhi samajhte the ki ye Waeed har us insan ko shamil karta hai jo takabbur ke irade se latkata hai ya bagair takabbur ke irade irade se. Tab hi to ye sawal kiya tha ki gair iradai taur par gaflat ki wajah se mera tahband latak jata hai. Kya mai bhi usi Waeed me dakhil hu? Ap ﷺ farmaya, "Nahi".

Ha Agar Sayyadna Abu bakr r.a. ye puchte ki mai khud shalwar takhne se niche latka kar rakhta hu aur mera takabbur ka iradah nahi hota, fir agar Aap ﷺ ijazat de dete to baat sahih hoti. Jabki yaha aesi koi baat nahi hai. Aur hadees me kaha gaya hai ki Allah ki nazar me Apna libas takhne se niche latkana hi takabbur hai aur ye Takabbur ki ek kism hai:

Jaabir ibn Sulaym r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne mujhse farmaya, “Takhne se niche libas latkane se khabardar hona, kyuki ye Ghamand hai aur Allah ghamand ko pasand nahi karta”.

Sunan Abu Dawood, Kitab No : 34, Kitab Al Libas, Hadees-4084, Sahih (Sheikh Albani).

Ek baat aur gaur e Fikr talib hai ki agar libas takhne se upar karne ka hukm sirf takabbur walo ke liye hota to RasoolAllah kabhi bhi apna kapda takhne se upar na rakhte kyuki RasoolAllah ﷺ me takabbur nahi tha. RasoolAllah ﷺ me takabbur nahi tha lekin fir bhi wo apna libas apne takhno se upar rakhte the. Aur is baat par puri ummat ka Ijma hai ki RasoolAllah ﷺ apne libas ko takhne se upar rakhte the aur ye amal sunnat hai. Isi liye hame is amal ko kasrat se karna chaiye kyuki RasoolAllah ﷺ ham sab ke liye ek behtreen misaal hai.



۩ Libas Kaha Tak Uthaya Jaye?

Ibn Umar r.a. kahte hai ki mai RasoolAllah ﷺ ke samne se guzra aur meri chadar latak rahi thi, toh Aap ﷺ ne farmaya ki Ae Abdullah! Apni chadar unchi karo. Maine utha liya toh Aap ﷺ ne farmaya ki aur unchi karo. Maine aur unchi ki. Fir mai (apne tahband ko) uthata raha, yaha tak ke kuch logo ne pucha ki kaha tak uthani chaiye? Ibn Umar r.a. ne kaha ki Nisf Pindli tak.

Sahih Muslim, Kitab al libas wal zinat, hadith no: 5200.

Allah se dua hai ki wo hame qayamat ke din apni rahmat me mahfuz rakhe aur hame gunaho se paak kar de. aameen.

Prepared by:- Faisal Khan
•٠•●●•٠•

Related:- Namaz Padhte Waqt Pant Ko Sametne(Fold Karne) Ka Bayan
Read More »

Andhadhund Pairwi Ka Anjaam



Allah aur Us ke Mahboob ﷺ  ke gustakho se bezari rakhne walo k liye!

Imaan ki asal buniyaad kya hai ?

Alhamdulillah!

Hum Musalman hai aur humare Imaan ki asal buniyaad "ALLAH aur RASOOL ki sachhi muhabbat" hi hai. Yahi wajah hai ke koi Musalman jaan bujh kar, kabhi in do Hastiyo ke mutalliq gustakhana nazariyaat rakhne ka soch bhi nahi sakta kyu ke ye cheez duniya o aakhirat me uski barbadi ka sabab ban sakti hai. Allah pak farmate hai

....ان الذين يوذون الله ورسوله لعنهم اللهم فى الدنيا و الاخرة و اعد لهم عزابا مهينا ه

Beshak jo log Allah aur us ke Rasool saws ko takleef dete hai un par duniya aur Aakhirat me Allah ki phatkaar hai aur us ne Un ke liye zaleel o khwaar kardene wala Azaab tayyar rakha hai...

(Sureh Al Ahzaab: 57)

Yahud o Nasarah ki "Gumrahi" ki badi wajah:

Allah ne Yahud O Nasarah ki gumrahi ki sab se badi wajah ka zikr yun farmaya hai:

.....اتخذ احبارهم و رهبانهم اربابا من دون الله

Un (Yahud O Nasara) logon ne Allah ko chhodh kar apne Durwesh aur Ulemao ko apna Rabb bana liya hai..

(Sureh Al Tauba: 31)

Yaani Wahi ko chhodh kar apne Buzurgo ki baat maante hai.

Yahudiyo aur Isaaiyo ke is Gumraahkun tarz e amal ke bar'aks Allah ne apne Rasool ke zariye WAHI ki taraf rahnumai farmai hai:

.....ائتونىبكتب من قبل هذا او اثرةمن علم ان كنتم صدقين ه

(Kafir Aap  se behes kare to Aap farmade) LAAO MERE PAAS (apni koi) KITAB, IS (Quran) SE PaHLE YA FIR ILM KE (naql shuda)ASAAR, AGAR TUM SACHE HO.

Ummat e Muhmmadiya par Shaitaan ka Hamla kuch aese:

Humara haqeeqi Shaitaan hume Yahud O Nasaraa ki tarah apne Ulma aur Durwesh logo ki (Andha dhund pairavi) karwate hue gustaakh banakar humesha humesha ke liye nakaam karwana chahta hai. Isliye humare Imaam e Aazam, Imam e Qainaat, Sayyad ul Awwaleen o Aakhareen, Imaam ul Ambiya o Mursaleen, Shafeeq ul Aalameen, Rahmatul Aalameen Muhammad ur Rasool Allah ne Allah ki taraf se di gayi Ghaibi khabar ke zariye hume pahle hi is khatre se Aagaah farmaya chunanche:

Hazrat Abu Saeed Khudri r.a. se riwayat karte hai ke,

Rasoolallah Ne Farmaya Tum Zaroor Apne Se Pehle Logon Ke Qadam Ba Qadam Pairwi Karoge Hatta Ke Agar Woh Goh (chipkali Ke Mushaba Rengne Wala Aik Janwar) Ke Suraakh Mein Gusein Honge Toh Tum Bhi Is Me Dakhil Hoge. Arz Kiya Gaya: Ya Rasoolallah! Kya Inse Yahood O Nasara Murad Hain?
Rasoolallah Ne Irshad Farmaya: (agar Ye Nahi)to Aur Kon?

Narrated by al-Bukhaari, 1397; Muslim, 4822.

Is Tahreer ka waahid maqsad "ISLAAH" hai..

Aaj baaz bhaiyyo ko Allah ki WAHI(Quran O Suunah) se Haq baat batai jaati hai to wo apne Firqe ke Ulma aur Durwesho ki Andha dhund pairavi karte hue bilkul Yahud O Nasarah ki tarah us Dawat ko Radd kar dete hain. Lehaza yahan Majburan unhi mashoor Ulma o Durwesho ki likhi hui kitabo se chand ek gustakhana nazariyaat ki nishandahi aur phir WAHI se Sahi Islami aqaaid bhi bayan kiye jaarahe hain taake Log apne Firqon ke Ulma aur Durwesho ki pairavi karne ki bajaye kisi shakhs ki, wohi baat maane jo WAHI ke mutabiq ho kyu ke humari Duniya O Aakhirat me kamyaabi isi par munhassir hai..WAHI ko chhodh kar, sirf halaqat hi halaqat hai...Mulaheza farmaye:

 ۩1. Ulma ka Nazariya:

Rashid Ahmed Gangohi Deobandi, apni kitab me likhte hai..
"Chota hu, kuch nahi hu, tera hi Zall(saya) hai, tera hi wajood hai, main kya hu, kuch nhi hu, aur jo main hu wo Tu hai aur main aur Tu (ka farq karna) Shirk dar Shirk hai."
(Deobandi Maulana Zakariya Saharanpuri,Fazail e Sadaqaat, pg no. 558, kutubkhana Faizi-Lahore)

WAHI KA FAISLA:
.....ليس كمثله شئ و هو السميع البصير

Harghiz nahi KOI bhi shai uski misl aur wo sab kuch sunne wala dekhne wala hai..

(Surah Al Shòra:11)

۩2. Ulma ka Nazariya:

Jab Majmaa hua Kuffar ka, ke Islam ka Qilaa Qama karde ye Ghazwah e Aehzaab ka Waqia hai. Rabb ne madad farmana chahi apne Habeeb ﷺ ki, shumali Hawa ko hukm hua aur Kafiro ko Neest o Nabood karde, Hawa ne kaha: "Bibiyaa, Raat ko bahar nahi nikalti. "To Allah ne us hawa ko Baanjh kardiya. Isi waja se Shumali hawa se paani nahi barasta. Phir Saba se farmaya to us ne arz kiya: "Hum ne suna hum ne Itaat ki" aur wo gayi aur Kuffar ko barbad karna Shuru kardiya.
(Barelvi Maulana Ahmed Raza Khan, Malfuzaat, pg no. 337, book corner-Jhelam).

WAHI KA FAISLA:
....انما امره اذا اراد شيئا ان يقول له كن فيكون

Wo (Allah) jab bhi kisi cheez ka irada karta hai to use farmadeta hai ke.."HO JA"..to wo "Hojaati hai".....

(Sureh Yaseen: 82).

۩3. Ulma ka nazariya:

"Zun noon, Hazrat Yunus a.s. Ka laqab hai kyu ke Aap a.s. Kuch roz machli ke pet me rahe. Ulma farmate hai ke Us Machli ka pet Allah ke Arsh se Afzal hai ke Ek Paighambar ka kuch din tajalligaah raha. Jab Machli ka pet Arsh e Aazam se Afzal hogaya to Hazrat Aamena Khatoon ka wo Shikam jis me Sayyad ul Ambiya 9 maah tak jalwa afroz rahe to wo Arsh e Aazam se kahin zyada Afzal hai."

(Barelvi Mufti Ahmed yaar Naeemi, Sharah Mishkaat,vol 3,pg no.357,Qadri publishers-Lahore)

WAHI KA FAISLA:

ان ربكم الله الذى خلق السموت و الارض فى ستةايام ثم استوى على العرش......

Beshakk tumhara Rabb Allah hai jis ne 6 din me Zameen aur Aasmaano ko banaya aur Arsh e Aazam par jalwa afroz hua (Jaisa k uski shaan hai).

(Surah Al Aaraaf:54)

۩4. Ulma ka Nazariya:

"Wo hissa e zameen (qabr e athar) jo Nabi ke Aaza e Mubarka ko mas kiye hue hai, al ul itlaaq afzal hai yahan tak ke kaba aur Arsh o kursi se bhi afzal hai."

(Deobandi Aalim Khalil Ahmed saharanpuri, Al-hind ala alhind, pg no. 28..Zakariya Saharanpuri,Fazail e Hajj, pg no. 138- maktaba ul ilm Lahore, Kutub khana Faizi Lahore)

WAHI KA FAISLA

.....ما قدروا اللّٰه حق قدر ان اللّٰه لقوى عزيز

Unho ne ALLAH ki qadar na jaani jaisa janni chahiye thi..beshakk ALLAH quwwat wala Ghalib hai..(Sureh Al Hajj: 74)

Hadith:

Hazrat Umar ibn Khattab ra. Riwayat karte hai, Rasool ne irshad farmaya, "Meri shaan ko us tarah mat badhao jis tarah Nasarah ne Isa ibn Maryam a.s. Ki Tareef me (unko Unke muqam se) badhadiya. Main to Allah ka Banda hu, pas tum mujhe ALLAH ka BANDA aur RASOOL hi kahna."

Sahih Bukhari, "Kitab ul Ambiya":3445.

Hazrat Jundab r.a. Se Riwayat hai ke Rasool ﷺ ne apni wafat se 5 din qabl irshad farmaya, "Tum se pahle logon ne apne Ambiya a.s. Aur Nek logon ki Qabro ko Sajda gaah banaliya tha. Khabardaar! Tum log Qabro ko sajda gaah na banana beshakk main tumhe is harkat se mana karta hu."

Sahih Muslim, 1188.

 ۩5. Ulma ka Nazariya

"Ek din Ghaus e Aazam(sab se bada mushkil kushaa) Shaikh Abdul Qadir Jilani 7 Auliya ke hamrah baithe hue the, naagaah, Baseerat se mulaheza farmaya ke ek jahaz gharq hone ke qareeb hai, Aap ne Himmat o Tawajja e Batini se us ko Gharq hone se bachaliya."

(Deobandi Aalim Ashraf Ali Thanvi, Imdaad ul mushtaq,pg no. 45, Islami kutub khana)

WAHI KA FAISLA

....امن يجيب المضطر اذا دعاه و يكشف السوء و يجعلكم خلفاء الارض ء اله مع اللّٰه قليلا ما تذكرون

Bekas ki pukar ko, jab ke wo pukare, kaun qubool karke Sakhti ko door karta hai? Aur tumhe zameen ka Khaleefa banata hai, kya Allah ke siwa aur bhi koi Mabood hai? Tum log bht hi kum ghaur o fikr karte ho!


(Sureh Al Namal:62)

 ۩6. Ulma ka Nazariya

"Arz: Ghaus(mushkil kusha:Wilayat ka ek darja) har zamane me hota hai? Irshad: Baghair Ghaus ke Zameen O Asmman qayem nahi rah sakte!"
(Berelvi Aalim Ahmed Raza khan,Malfuzat vol:1,pg no.166, Book corner Jehlam)

WAHI KA FAISLA

....ان اللّٰه يمسك السموت والأرض ان تزولا و لئن زالتا ان امسكهما من بعدهانه كان حليما غفورا

Beshak ALLAH hi ne Asmano aur Zameen ko Thaam Rakha hai k wo tal na jaye. Aur agar wo Tal jaye to phir ALLAH k siwa koi ek bhi aisa nhi jo un ko Thaam sake. Beshakk wo bardasht karne wala maaf karne wala hai..

(Sureh Al Fatir:41)

۩7. Ulma ka Nazariya

"Ek martaba Junaid Baghdadi Darya e Dajlah par tashreef laye aur "YA ALLAH" kahte hue us par zameen ke misl chalne lage, ek Shakhs ne Arz kiya ke mai kis tarah aau?

Farmaya: "Ya Junaid-Ya Junaid" kahta chala aa, Us ne ye hi kiya aur Zameen ke misl paani par chalne laga. Jab beech darya me pohcha to Shaitan Laeen ne dil me waswasaa daala ke Hazrat khud to YA ALLAH kahe aur mujh se Ya Junaid, kahlwate hai. Us ne YA ALLAH kaha, aur sath hi ghotaa khaya. Pukara, Hazrat mai chalaa. Farmaya: Wahi kaho, "Ya Junaid" us ne kaha aur dariya par zameen ke misl chalne laga, Farmaya: Arey Nadaan! Abhi tu Junaid tak nahi pohcha ALLAH tak rasaai ki hawas hai?"

(Barelvi Aalim Ahmed Raza khan, Malfuzat vol 1,pg no. 97, book corner-Jehlam)

WAHI KA FAISLA

HADITH: Hazrat Abdullah bin Abbas bayan karte hai ke mai Rasool ke piche sawari par baitha hua tha to Aap ﷺ Ne irshad farmaya, "Aye Bete! Tu ALLAH ke aehkaam ki hifazat farmayega ALLAH ke huqooq ka khayal rakhega,to use Apne samne payega. Jab tu Sawal kare to sirf ALLAH se karna aur jab tu Madad Talab kare to sirf ALLAH hi se talab karna aur jaan le ke agar puri Ummat bhi jama hokar tujhe koi Fayeda pohchana chahe to nahi pohcha sakegi magar jo ALLAH chahe. Aur agar puri Ummat jamaa hokar bhi tujhe koi Nuqsan pohchana chahe to nahi pohcha sakegi magar jo ALLAH chahe. (taqdeer likhne k baad) Qalam utha liye gaye aur Saheefe khushk hogaye."

(Jamia Tirmidhi: 2516, hasan sahih )

 ۩8. Ulma ka Faisla

Surah Al Kahf, ayat-110: Aye Mehboob farmado ke Main tum jaisa Bashar hu.
Is Aayat me kuffar se khitaab hai. Kyunke har cheez apni ghair jins se nafrat karti hai, lehaza farmaya gaya ke Aye Kuffar tum mujh se ghabrao nahi, Main tumhari Jins se hu, yaani Bashar hu (jaisa ke) Shikari, Janwaro ki awaz nikal kar shikar karta hai. Is se kuffar ko apni taraf Maail karna maqsad hai."

(Barelvi Aalim Ahmed Naeemi, Jaa ul Haq, pg no. 145, qadri publishers-Lahore)

WAHI KA FAISLA:
....انظر كيف ضربوا لك الامثال فضلوا فلا يستطيعون سبيلا

Aye Mehboob! Zara dekho to ye (ghustaakh) log Aap ke mutalliq kaisi kaisi misaale bayan karte hai, so wo Gumrah hogaye phir wo rasta e hidayat nhi paa sakte..

(Sureh Bani Israeel:48, Sureh Al Furqan: 9).

 ۩9. Ulma ka Nazariya

"Agar Baaz uloom e ghaibiya muraad hain to us me Huzoor Akram ki kya takhsees hai, aisa Ilm e ghaib Zaid o Umar balke bacha o majnoon balke Jamee haiwanaat o bahaaim ke liye bhi hasil hai."
(Deobandi Aalim Ashraf Ali Thanvi, Hifzul Imaan,pg no. 13...Deobandi Aalim Khalil Ahmed Saharanpuri, Alhind,pg no. 51)

WAHI KA FAISLA
....علم الغيب فلا يظهر على غيبه احد
....الا من ارتضى من رسول فانه يسلك من بين يديه و من خلفه رصدا

Wo (ALLAH hi) ghaib ka janne wala hai, pas wo apne ghaib par kisi ko muttala nahi karta, siwae apne Rasool ke jise wo chahe, lekin us ke aage piche bhi pahredaar muqarrar kardeta hai..

(Sureh Al Hajj:26-27)

۩10. Ulma ka Nazariya

"(Namaz ke Dauran) Zina ke waswase se apni Biwi ki Muzammiyat ka Khayaal Behtar hai. Aur Shaikh ya usi Jaise aur Buzurgo ki tarah, khwah Janab Risalat maàb  Hi ho, apni himmat ko lagadena apne Baiil Aur Gadhe ki Surat me doob jaane se Bura hai."
(Deobandi Aalim Abdulhai, Sirat e mustaqeem, pg no. 169,Islami Academy-Lahore)

WAHI KA FAISLA.

HADITH:

Abdullah bin Masood r.a. se riwayat hai,Rasool ﷺ ne irshad farmaya: Namaz ki Tashahud me ye kaha karo, التحيات لله ....اسلام عليك ايها النبى و رحمة اللّٰه......... عباد الله الصالحين  (meri Qauli,badani aur Maali ibaadat ALLAH ke liye khaas hai, Salam ho Nabi ﷺ Par aur ALLAH ki rahmat aur barkate, salamati ho Hum par aur Allah ke nek bando par bhi) pas, jab wo aisa kahega to Asmaan o Zameen me Maujood har Nek bande ko (aur khususan Nabi ko) ye Salam pohoch jayega."
Sahih Bukhari, kitab ul Azaan,831. Sahih Muslim, kitab us salath: 897.

 ۩11. Ulma ka Nazariya

"Aur Yaqeen jaan lena chahiye ke har Makhloq bada ho Ya Chota wo ALLAH ki shaan ke aage chamar(cobler) se bhi zaleel hai (aage chal kar khud hi bada ho ya chota, ki taareef bhi bayan kardi, chunancha likhte hai): Ambiya O Auliya ko jo ALLAH ne sab logon se bada banaya hai so un me yahi badai hai ke Allah ki raah batate hain."
(Deobandi Aalim Shah Ismail Dehlvi Shaheed, taqwiyatul imaan,pg no. 25,32-meer muhammad kutub khana,Karachi)

WAHI KA FAISLA

....و لله العزة و لرسوله و للمومنين و لكن المنا فقين لا يعلمون

Aur Izzat to sirf ALLAH ke liye, uske Rasool ke liye aur Iman walo k liye hai, magar Munafiqo ko is ka Ilm nhi hai..

(Sureh Al Munafiqoon: 8)

 ۩12. Ulma ka Nazariya

"Hazrat Dawood a.s. ki nazar jab wahan padi jahan nahi padhna chahiye thi, yaani Aur ki biwi par to Aap a.s. Ko Haq e Taala ki taraf se Tambeeh ka samna karna pada. Humare Paigambar Ki ek isi tarah ki nigah Zaid r.a. ki biwi par padi to Hazrat Zaid r.a. Par unki biwi Haram hogayi (unhi se baad me Nabi ﷺ Ne Nikah farmaya yaani Ummul momineen Zainab ra.) Isliye k Dawood as. Ki nazar Halat e Hosh me thi aur humare Paighambar ki nazar Haalat e Shukr(yaani Madhoshi) me thi."
(Deobandi Aalim Abdulrauf Faruqi, kashaf ul Mahjub,baab 14,pg no. 291...Barelvi tarjuma:Fazluddin Gauhar,pg no. 267..islami kutub khana, Lahore)

WAHI KA FAISLA
....والنجم اذا هوى..ما ضل صاحبكم وما عوى..وما ينطق عن الهوى..ان هو الا وحى يوحى

Qasam hai Sitare ki jab wo utrey.. Tumhare Sathi (Muhammad ﷺ) Na to kabhi Behke hain aur na kabhi tedhi Raah par chale hai aur na hi wo apni khwahish e Nafs se koi baat kahte hai (balke) wo to WAHI hai (jo Allah ki taraf se) unhe ki jaati hai.

(Sureh Al Najm :1-4)

HADITH

Abu Saeed Khudri r.a. se riwayat hai ke "Rasool Parda nasheen kunwari ladkiyo se bhi zyada Sharm o Haya rakhte the, jab koi aisi cheez dekhte jo Aap ﷺ ko nagawar hoti to hum, Aap  ke chehra e mubarak se pehchan lete the."
Sahih Bukhari:6102, Sahih Muslim: 6032.

 ۩13. Ulma ka Nazariya

"Khwaja Qitbuddin Bakhtiyar Kaaki (jo khalifa the Moinuddin Chishti ke) ek dafaa unke paas ek shakhs aaya aur Arz kiya k main Mureed hone aaya hu. Khwaja sahab ne farmaya, jo kuch hum kahenge karega, agar ye shart manzur ho to Mureed karunga. Us ne kaha, jo kuch Aap kahenge karunga. Khwaja Bakhtiyar Kaaki ne farmaya, tu kalma is tarah padhta hai,..

....لا اله الا اللّٰه محمد الرسول اللّٰه ..

To ab ek baar is tarah padh


"La ilaha illallah chishti rasool Allah"

Chunke Rasikh ul Aqeeda tha, us ne fauran padh liya. Khwaja sahab ne us se bait li aur bht kuch khalat o nemat ata farmaya aur kaha, main ne tera Imtehan liya tha ke tujh ko mujh se kis qadar aqeedat hai warna mera magsud ye na tha ke tujh se is tarah kalma padhwau."


(Barelvi o Deobandi buzurg: Khwaja Fariduddin shakarganj, hasht bahisht, pg no.19)

WAHI KA FAISLA

HADEETH

Abdullah ibn Umar r.a. riwayat karte hai, Rasool ne irshad farmaya: "Islam ki buniyaad 5 cheezo par rakhi gayi hai, Tawheed(La ilaha illallah Muhammadur Rasool Allah), Namaz, Roza, Zakat, Hajj.

(Sahih Bukhari:8, Sahih Muslim:113)

 ۩14. Ulma ka Nazariya

Ek Shakhs ne khwab me dekha jis me us ne kalma padha: "la ilaha illallah ashraf ali rasool Allah" phir baad me bedaar hokar bhi be- ikhtiyaari me kahne laga Allahumma salli alaa sayedina wa nabiyina wa maulana ashraf ali phir apna waqea likh kar apne peer Ashraf Ali Thanvi ko bheja to unhone jawab diya:"us waqea me tasalli thi k jis ki taraf tum rujoo karte ho(yaani Ashraf Ali) wo baáuna taala muttabae sunnat hai."
(Deobandi Aalim Ashraf Ali Thanvi, AlImdaad,adad 8,maah Safar1336,vol. 3,pg no. 35).

WAHI KA FAISLA

....ان اللّٰه و ملئكته يصلون على النبى يا ايها الذين امنوا صلوا عليه وسلموا تسليما

Beshak Allah aur uske Farishte Nabi Par durood bhejte hai, (to) Aye Imaan walo tum bhi un par Durood aur khub Salam bhejo..

(Sureh Al Aehzab:56)

۩15. Ulma ka Nazariya

"(Qabr me) Aap ﷺ ki hayat duniya ki si hi hai aur ye hayat makhsus hai Aan Hazrat ﷺ Aur Shohda ke saath, barzakhi nahi hai, jo hasil hai tamam musalmano ko, saabit hua k Aap  ki hayat Duniyavi hai."

(Deobandi Aalim Khalil Ahmed Saharanpuri, Alhind ala Alhind, pg no. 30)

WAHI KA FAISLA

....ولا تقولوا لمن يقتل فى سبيل اللّٰه اموات بل احياء ولا تشعرون

Aur mat kaho murda unko,jo log Shaheed kardiye gaye Allah ki raah me, balke wo to zinda hain lekin unki zindagi ka tum ko Shauoor nhi.

(Sureh Al Baqarah:154)

 ۩16. Ulma ka Nazariya

"Ambiya Karam a.s. ki hayat (qabro me) haqeeqi Duniyawi hai balke Sayyedi Muhammad bin Abdul  baqi Zarqani (mere Aaqa) farmate hai k Ambiya a.s. Ki Quboor e muttahera me, Azwaaj e muttaherat pesh ki jaati hain aur wo un ke saath Shab'baashi farmate hain."

(Barelvi Aalim Ahmed Raza Khan,Malfuzat:3,pg no.249)

WAHI KA FAISLA

....و ان تطيع اكثر من فى الارض يضلوك عن سبيل الله ان يتبيعون الا ظن و ان هم الا يخرصون

Aur zameen me aksar aise log hai, agar unka kaha mane to wo aap ko Allah ki raah se bhatkade, Wo sirf GUMAAN par chalte hai aur bilkul QAYAASI bbate karte hai..

(Sureh Al Anaam:116)

 ۩17. Ulma ka Nazariya

"Ab raha Mashaikh ki Ruhaniyat se istefada aur un ke seeno aur Qabro se baatini fayuz hasil karna so beshak ye sahih hai, magar us Tareeq se jo us k Aehel aur Khawaas ko maloom hai, na us tarz se jo Awaam me Raaij hai.."

(Deobandii Aalim Khaleel Ahmed Saharanpuri,Alhind alalhind,pg no.40)

WAHI KA FAISLA

HADEETH:

Anas bin Malik ra. Riwayat karte hai, "Umar bin Khattab r.a. Ke daur e khilafat me, log Qahet se ka shikar hue to Umar ra. Ne (Rasool ki Qabr e athar se faiz lene ki bajaye) ABBAS BIN ABDUL MUTTALIB r.a. (Aap ﷺ ke chacha) se Dua karwaye aur Arz kiye, Aye Allah beshak, pahle hum Apne NABI se dua karwaya karte the aur unki Dua se tu Hum par barish barsadeta tha Ab (Aap ﷺ ki wafaat ke baad) hum teri bargaah me apne NABI ke Chacha ko laye hai pas tu unki Dua se hum par Bariah nazil farma.
Raawi kehte hai., "pas yu hum pe barish barasti."

Sahih al Bukhari: 1010.

 ۩18. Ulma ka Nazariya

"Agar bilgharz, baad Zamana e Nabawi bhi, koi Nabi paida ho to phir bhi Khatmiyat e Muhammadi ﷺ me kuch farq nahi aayega."

(Deobandi Aalim Qasim Nanotvi,Tahzeer un naas,pg no.34)

NOTE: Isi Ibarat ko Ghulam Ahmed Qadiyani ne apni Jhuti Nabuwat ki daleel me pesh kiya tha.

WAHI KA FAISLA

....ماكان محمد ابا احد من رجالكم و لكن رسول اللّٰه و خاتم النبين و كان اللّٰه بكل شىء عليما

Muhammad(saws)tum mardo me se kisi k Baap nhi balke wo to ALLAH k Rasool aur Khatim ul Ambiya hai aur har cheez Allah k Ilm me hai.

(Sureh Al Ahzaab:40)

HADITH:

Hazrat Sobaan r.a. riwayat karte hai, Rasool ne Irshad farmaya, "Meri Ummat me 30 jhute paida honge, un me se Har ek yahi Dawaa karega ke wo ALLAH ka Nabi hai jab ke Main, Khatim ul Ambiya hu mere baad koi NABI nahi."

(Sunan Abu Dawood, kitab ul Fitan, 4252. Sanad:Bil ijmaa e Muhaddiseen;SAHIH)

 ۩19. Ulma ka Nazariya

"Rasool ﷺ ke 650 saal baad Shaikh Abu Yazeed Qurtabi aise Naujawan se mile, jise logo ke mutaliq KASHF hojata tha ke kaun Jannat me hai Kaun Jahannum me. Qurtabi ne uski Maa ko 70,000 baar Kalma baksha aur us k KASHF ke sahih hone ka fauran tajurba bhi karliya."

(Deobandi Aalim Zakariya,Fazail e Aamaal, pg no.484,kutub khana Faizi- Lahore)

WAHI KA FAISLA

.... وما كان اللّٰه ليطيعكم على االغيب و لكن اللّٰه يجتبى من رسله من يشاء

Aur ALLAH (ki ye shaan) nahi ke tum logon ko Ghaib par Aagaah karde, balke ALLAH apne Rasoolo me se jisi chahta hai chun leta hai..
(Sureh Aal e Imran:170)

AAKHRI WASIYAT!

Abdullah bin Abbas ra. Se riwayat hai, "Rasool ﷺ ne Apni Wafaat se 3 maah pahle Hajjatul widaa ke mauqe par Wasiyat karte hue Irshad farmaya,"Beshak! Main tum logo me 2 aisi Azeem chize chhodhe jaaraha hu ke agar unhe mazbuti se pakad loge to kabhi Gumraah na hoge:1. ALLAH KI KITAB; 2.USKE RASOOL KI SUNNAT(Hadeeth)

(Al Muwatta lil Malik, Kitabul qadar:1625, Al mustadrak ul Hakim,kitab ul Ilm:318)

ALLAH Ne Apni Wahi ki Hifazat ki Zimmedaari li hai..Ulma aur Durwesho ki Taleemat ki nahi.

(Surah Al Hijr:9)

Duniya me kisi bhi AALIM ya kisi bhi Shakhs ki Baat Sahih ya Ghalat ho sakti hai lekin ALLAH AUR RASOOL ﷺ ki baat nahi!

Aur Jo log Faisla na kare, uske mutabiq, jo ALLAH ne nazil kiya, pas yahi log Kaafir hai.
(Surah Al Maidah:44)

Aye Imaan walo! Aksar Ulma aur Durwesh, logo ka Maal Na-haq khajaate hai aur Allah ki Raah se rok dete hai.

(Sureh Al Tauba:34)

Aur jo kuch Rasool tumhe de, le lo aur jis se rok de ruk jao.

(Sureh Al Hashar:7)

Kah dijiye!(Aye Rasool) agar tum ALLAH se muhabbat karte ho to meri tabedaari karo khud Allah tum se muhabbat karega aur tumhare Gunah maaf karega aur ALLAH taàla bada bakshne wala maherban hai.

(Sureh Aal e Imran:31)

Khabardaar! ALLAH k liye Deen ko khalis karlo aur jin logo ko tum ne Allah k siwa Dost bana rakhe hai, ke ye Allah ke nazdeek humari Risaai karenge ye log jis baare me Ikhtelaaf karrahe hai us ka Faisla ALLAH karega. Jhute aur Nashukre logo ko Allah raah nhi dikhata

(Sureh Al Zumar:3)

Aur Beshakk hum ne is QURAN ko samajhne ke liye Aasaan kardiya hai, pas kya koi Nasihat hasil karne wala hai?

(Sureh Al Qamar:17).

•٠•●●•٠•
Read More »

Ek Qurbani Kis Kis Ke Liye Kaafi Ho Sakti Hai?


Alhamdulillah..

Bheed, bakri aur mendhe ki ek qurbani aadmi aur iske ahel wa ayaal wagaira ke liye kaafi hai.

Iski Daleel mundarja zail hadees hai ;

Ayesha r.z. bayaan karti hai ke Nabi ﷺ ne do kaale paaun, kaali aankhon wale mendhe qurbani karne ka hukm diya, aur Nabi ﷺ ne inhe farmaya, "Aye Ayesha churi lana (mujhe churi pakdao) tou maine inhe churi di inhone wo churi li aur mendha pakad kar litaya phir ise zabah kiya (zabah karne ki tayyari karne lage) aur farmaya ‘بسم الله ، اللهم تقبل من محمد ، وآل محمد ، ومن أمة محمد ثم ضحى به’ Bismillahi Allahuakbar, Aye Allah Muhammad ﷺ Aur Aale Muhammad Aur Ummat E Muhammad ﷺ Ki Janib Se Qubool Farma Aur Phir Ise Zubah Kar Diya"

Sahih Muslim : 1967.

Ata Bin Yasar Riwayat Karte Hai Ki Maine Abu Ayyub Ansari r.a. Se Pucha Ki RasoolAllah Ke Zamane Me Qurbani Kaise Hua Karti Thi? Unhone Farmaya (Ke Nabi ﷺ Ke Daur Me) Ek Shakhs Apna Aur Apne Ghar (Family) Walo Ki Taraf Se Ek Bakre Ki Qurbani Deta Tha, Wo Khate Aur Khilate The, Yaha Tak Ke Log (Zyada Qurbani Par) Faqar Karne Lage Aur Ab Ye Surat Haal Ho Gai Hai Jo Dekh Rahe Ho (Yaani Log Ek Se Zyada Qurbani Karane Lage).

Ise Imaam Tirmizi ne riwayat kiya hai aur Imaam Tirmizi r.h ne ise Hasan sahih kaha hai (Hadith no: 1505, Book of Sacrifice.), aur Allamma Albani r.h ne sahih sunan Tirmizi mei ise sahih qaraar diya hai, Dekhe Sahih Sunan Tirmizi, hadith- 1216.

Imam Tirmidhi Ne Is Hadith Ke Baad Farmaya Hai Ki Ek Ghar Ke Taraf Se Ek Qurbani Hogi Ye Qawl Imam Ahmad Ibn Hambal Aur Imam Ishaq Bin Rahawaih Ki Bhi Hai.

Abu Sarihah r.a. Riwayat Karte Hai, Sunnat Ka Tarika Malum Ho Jane Ke Baad Bhi Hamare Gharwalo Ne Hame Zyadati (Zyada Qurbani) Par Majbur Kiya, (Jab Ke Rasoolallah ﷺ Ke Zamane Me) Ye Haal Tha Ke Ek Ghar Wale Ek Ya Do Bakro Ki Qurbani Karte The. Aur Ab (Agar Ham Ek Karte Hai) To Hamare Padosi Hame Kanjus Kahte Hai.

 Sunan Ibn Majah,Vol. 4, Book 26, Hadith 3148. Classed as Sahih by Sheikh Zubair Ali Zai.

Note: Is hadith me rawi ko shak hai ki RasoolAllah ﷺ ke zamane me ek ya do qurbani hua karti thi lekin upar ki dusri hadith se pata chalta hai ki wo ek hi qurbani hua karti thi RasoolAllah ﷺ ke zamane me.

Lihaza jab koi shakhs bhed, bakri ya mendha zubha karta hai, tou wo ek hi iske aur iske ahel wa ayaal aur apne ghar walon ke janib se wo niyat kare kaafi hai, aur agar wo kuch bhi niyat na kare balke ise aam rakhe ya khaas karde tou iske aur iske ghar walon mei har wo shakhs dakhil hojayega jo arf ya loghat ke lihaaz se in alfaaz mei shamil hota hai.

Arf mei wo log ghar walon mei shamil hote hai jinki wo a'alat karta hai yani biwiyan, aulaad aur rishtedaar aur lughat mei har qaribi shamil hai iski aulaad aur iske walid ki aulaad aur baap dade ki aulaad wagaira.

Aur Oont ya gaaye ka saatwa(7th) hissa ise kafi hai jiske liye ek bakra wagaira kaafi hota hai, lihaza agar kisi ne apne aur apne ghar walon ki janib se oont ya gaye ka saatwa(7th) hissa qurbani kiya tou ye in sab ki janib se kaafi hoga isliye ke Nabi ﷺ ne hadi (yani hajj ki qurbani) mei gaye aur oont ka saatwa hissa ek bakri wagaira ke qayam muqam kiya hai, Tou is tarha qurbani mei bhi kaafi hoga kyunke isme hajj aur aam qurbani mei koi farq nahi.

Ek bakri, mendha wagaira do shakhso ya zyada ke liye kaafi nahi ke wo dono ise khareed kar qurbani kare aur isme shareek hojaye, kyunke iska kitaab wa sunnat mei koi wajood nahi milta.

Aur is tarha oont aur gaaye mei aanth ashkaas shareek nahi hosakte (lekin oont ya gaye mei saat afraad shareek ho sakte hai). Isliye ke ibadaat touqifi hote hai (yani isme koi bhi kami wa beshi nahi ki jasakti) iski kaifiyat aur kamiyat mehduda mei koi kami wa beshi nahi ho sakti, ye sawab mei shirkat ke alawa hai, kyunke sawab mei bila hasar shirkat ki nas milti hai jaisa ke bayaan bhi ho chuka hai.

Wallahu aalam.
•٠•●●•٠•
Read More »