اقرأ باسم ربك الذي خلق

31 Dec 2017

Mazaar Par Chadar Chadhane Ki Haqiqat


Aj hamare bich ek galat rasam ne jageh leli hai ke kuch log Chadar chadhane ki mannat mangte hain aur fir mazar pe jakar chadar chadhate hain aur chadaron ki building khadi kar dete hain.

Kuch ghanton ke baad hi woh chadar wahan se ghayab hokar kisi dukan me bech diya jata hai aur aisa karne wale naam nihad Mujaawar hain jo khud ko mazar ka thekedar samjhte hain aur woh chadar ka paisa unki jeb me chala jata hai.
Ek tarah se ajkal mazar in Mujaawar ke liye dhande ki jagah ban gayi hai jo apne kirdar se tamam Muslim Ummah ko badnam karte hain.

Aaiye dekhte hai ki Islam is amal ko kya kahta hai:

Quran wa Sunnah ki ek bhi ayat ya riwayaat nahi hai jo kahti hai ki ek Muslim ko kabr par chadar chadhana chaiye. Balki ye amal haraam hai. Afsos ki baat hai ki aj kuch log is amal ko ibadat samajh kar kar rahe hai jab ki unke ulema aur unke fiqah me khud ye amal na-pasandida aur galat hai jiski koi sharai haesiyat nahi hai.

Qadhi Ibrahim(Hanafi ulema) kahte hai: "Ajkal kuch gumraah log kabr par Hajj karne lage hai aur unhone tarika(rasm) bana liye hai isko. Aur un muamlat me jo unke mazhab aur shariat ne mukhalifat ki hai wo ye hai ki log apni be-basi aur aajzi zahir karte hai mazaro ke paas aur waha chiraga karte hai. Waha par CHADAR CHADHANA, unke liye ek Mujaawar takweez karna, unko chumna, aur unse rizk aur aulaad mangna, ye saare amalo ka koi dalail nahi hai Shari'ah Islamiyyah me"
 [Ja' al-Haq p.302]

Allamah Haskafi al-Hanafi(Hanafi ulema) kahte hai: "Jo chize aur nazr-niyaz qaum karti hai qabr ke pass,chahe wo  nagad(cash) ya Tel(oil) ki shakal me ho to ye aam sahmati me ye baatil aur haraam hai."
[Durr e Mukhtar v.2, p.139]

Aur sath sath IMAM ABU HANEEFA KA AQIDAH bhi kuch aese hi hai. Imam Abu Haneefa farmate hai: "Ambiya wa Awaliya ke Qabron ko Sajda karna,Tawaf karna, Nazrane chadana Haram wa Kufr hai."

(Durr E Mukthar Jild-1 page No : 53)

Hazrat Ibn Abbas Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollall ah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Qabron par masjid bananey walo aur us par chirag karney walon par bhi laanat farmayee hai

Sunan Abu Dawud, vol 2,1459.

Ab itni wazeh dalail hone ke ba-wujud bhi jo nahi manta hai to uske aankh par nahi balki dil par parda chadha hua hai. Allah pak farmate hai
Wo aankh nahi hai jo andhi hoti hai balki wo dil hai jo andhi hoti hai. 
Surah 22 ayat 46.

Allah سبحانہ و تعا لی hum tamam musalmano ko shariat ke mutabik zindagi guzarne aur jahilana rasmo riwaj se bachne ki taufiq inayat farmaye-aameen..

Prepared by:- Faisal Khan
Read More »

Imam Bukhari Aur Imam Muslim (Raheemaullah)


۩ IMAAM BUKHARI (raheemaullah)

Agar Quran ke baad kisi kitab ka darja aata hai to wo hai Imam Bukhari ki saheeha ka jise imam Bukhari ne riwayat kiya hai. Imam Bukhari ek bade Imam, ulema, Ameer hai unke jo hadith par eeman rakhte hai, Abu ‘Abd-Allaah Muhammad ibn Ismaa’eel ibn Ibraaheem al-Bukhaari. Inki wiladat Bukhaara me hui thi 194 AH me, aur wo yateem hi bade hue. Inhone bachpan me hi apni roshni kho di thi fir Allah ne inko roshni ata kari. Wo bachpan se hi hadith yaad karne lage the aur wo gani the isme, Allah inpar apni rahmat kare.

Imamo ne inki achi yad-dasht, durustgi, Ilm, Riazat aur ibadat ki tashdeek ki hai. Imam ahmad r.a. ne inse kaha: Khorasan(ek jagah ka naam hai) ne inki tarha kisi ko nahi banaya hai.
Ibn Khuzaymah r.a. ne kaha: Maine inki tarha aasmaan ke saye ke tale kisi ko nahi dekha hai jinhe inse zyada RasoolALlah ke hadith ka ilm ho aur jisne Inse zyada hadiths yaad ki hai.

Al- Tirmidhi r.a. kahte hai: Maine Iraq ya Khorasan me kisi ko  nai dekha hai jiske pas hadith ki tankeed, tarikh aur sanad ka Imam bukhari se zyada ilm ho.

Al-Bukhari ke pas ek hazar se zyada shaykhs the jinse ye mulko aur shahro me mile jaha inhone safar kiya. Unmese:  Imam Ahmad ibn Hanbal, Hammaad ibn Shaakir, Makki ibn Ibraaheem aur Abu ‘Aasim al-Nabeel the.

Jinhone Imam bukhari se riwayat kiya wo ye the:

Muslim ibn al-Hajjaaj jo ke al-Saheeh ke likhne wale the; al-Tirmidhi; al-Nasaa’i; Muhammad ibn Nasr al-Marwazi;  aur bhi boht se the.

Al-Bukhari ne boht se kitabe likhi thi, kuch mashhoor ye hai:  al-Jaami’ al-Saheehal-Tareekh al-Kabeeral-Adab al-MufradKhalq Af’aal al-‘Ibaad, Juzz Raful yadain.

Unki wafat nao(9) Eid al-Fitr, 256 AH. ko hui thi.

۩ IMAM MUSLIM (raheemaullah)

Ye ek bade Imam, hafiz aur ulema the,  Abu’l-Husayn, Muslim ibn al-Hajjaaj ibn Muslim al-Nisaboori. Inki wiladat 204 ya 206 AH me hui thi. Ye Imam Bukhari ke student the.

Unhone apna waqt hadith me waqf kiya. Aur inhone hadith ki talaash me boht se safar kiye aur kadi mehnat ki is field me jab tak ke wo boht mashhoor ho gaye. Inke ham-asar inki fazaail ki tashdeek karti thi. Inke shaykh  Muhammad ibn Bashshaar (Bandaar) ne kaha: Duniya ke char Hafiz hai: al-Ray ke Abu Zar’ah, Nisapur ke Muslim, Samarqand ke ‘Abd-Allaah al-Daarimi, aur Bukhaara  ke Muhammad ibn Ismaa’eel the. 

Ahmad ibn Salamah al-Nisaboori ne kaha: Maine Abu Zar’ah aur Abu Hatim ko dekha ki woh Muslim ibn al-Hajjaaj ko ilm e saheeh ke binah par us zamane ke baki shaykhs par Fazilat de rahe hai.

Ibn ‘Abd al-Barr ne inke bare me kaha: Wo sare ek raae pe razi the unke azeemiyat, kiyadat aur buland martaba pe.

Inke shaykhs the: Ahmad ibn Hanbal, al-Bukhaari, Yahya ibn Yahya al-Teemi, Ishaaq ibn Raahawayh, Yahya ibn Ma’een, Abu Bakr ibn Abi Shaybah  aur boht se dusre.

Inke student the:  Abu Haatim al-Raazi, Abu ‘Eesa al-Tirmidhi, Ibn Khuzaymah, Abu ‘Awaanah al-Isfaraayeeni and Makki ibn ‘Abdaan.

Inki Kitabe: al-Jaami’ al-Saheeh; al-Kuna wa’l-Asma’;al-Tabaqaat; al-Tamyeez; and al-Munfaridaat wa’l-Wahdaan

Inki wafat Rajab me 261 AH me hui thi.
Read More »

Khate Waqt Salam Karne Ke Ahkaam


Khate waqt salam karne me koi harj nahi hai, naahi sunnah me aisa kuch hai jo kahta hai ki ye amal ki ijazat nahi hai. Ye door tak faili hui afwah hai ki khane ke waqt salaam nai karna chaiye (“la salaam ‘ala ta‘aam”) ya salam ka jawab nai dena chaiye.

Al-‘Ajlooni (raheemaullah) ne Kashf al-Khafa’ me kaha: (Ye jumla) Khane ke waqt salaam nahi karna chaiye ye hadith nahi hai. End quote.

Kuch ulema ne kaha hai ki khana khate waqt hath nai mila sakte lekin salaam karne me koi harj nai hai.

Imam Nawawi (raheemaullah) al-adhkaar me farmate hai. Iski ek misaal kuch aisi hai ki agar koi kha raha ho aur us ke muh me niwale ho, agar koi use salam karta hai to wo salam ke jawab ka mustahik nahi hai. Lekin agar wo khana kha raha ho aur uske muh me niwale na ho to usko  salam ka jawab dena chaiye.

Shaykh ‘Abd al-Rahmaan al-Suhaym (raheemaullah) kahte hai: Ye kalaam logo ki baate hai aur koi hadith nahi hai. Iska matlab sahih hai agar ye hath milane ke pashemanzar me kaha gaya hai lekin agar ye sirf salam kahne ke bareme me hai to ye mana nai hai jab koi kha raha ho. End quote.


Aur Allah sab se behtar janta hai.
Read More »

Kya Farz Namazon Ke Baad Ijtemaai Dua Karna Biddat Hai ?


Farz Namazon Ke Baad Ijtemaai Dua Karna Beshak Bid'at Hai, Aur Jo Amal Imam ul Ambia Muhammad Rasoolallah ﷺ Se Sabit Nahi To Ham Kaise Use Sunnat Samjh Kar Karlenge?

Namaz Ke Bad Ijtemai Dua Ki Shara'i Hesiat:

۩ Imam Malik: "Yeh Amal Biddat Hai". (Fath Ul Bari 326/2)

۩ Ibn E Qayyam: "Farz Namaz Ke Baad Ijtemai Dua Ap Salalahu Alahi Wasallam Ka Tareeq Nahi Tha". (Zaad Ul Maad 257/1) 

۩ Anwar Shah Kashmiri Deobandi: "Dua Ki Ijtemai Surat Jiska Ajkal Riwaj Hai Sabit Nahi" (Al Arf Al Shazi P#98)

۩ Saudi Majlis Ifta: "Hame Kisi Aisi Daleel Ka Ilm Nahi Jo Is Amal Ki Mashroiat Par Dalalal Karti Ho". (Alfatawa Alislamia 290/1)

۩ Ibn-e-Taymiya: "Yeh Amal Biddath Hai (Majmu Al Fatawa 519/22).

Namaz Ke Baad Ijtamai Dua Karna Biddat Hai Balkay Hamein Namaz Ke Baad Masnoon Azkaar Karna Chaiye Jo Ke Sunnat Se Sabit Hai. Mohammad ﷺ Ne Farmaya Ki Meri Sunnat Aur Khulfa Rashidin Ki Sunnat Ko Daanto Mazbuti Se Pakde Rahna Aur Har Nayi Chiz Jo Deen Me Nikali Jaye Usse Bachna Kyuki Har Nai Chiz Ek Gumrahi Hai.

[Musnad Imam Ahmad (4/126) And At-Tirmidhee (2676)].

Maulana Abdur Rahman Mubarakpuri r.h. Kahte Hain Ki Agar Koi Personally (Akela) taur par Namaz Ke Baad Haath Uthakar Dua Maang Leta Hai To Usme Koi Harz Nahi, Imam Ibne Taymiya Rh, Ibn E Qaiyyam Rh, Ibne Hajar Rh, Aur Bahut Se Muhaqqeen Ulma Ne Farz Namaz Ke Baad Mashoor Ijtemaai Dua Ka Inkaar Kiya Hai Aur Ise Bid'at Kaha Hai.

Aap ﷺ Ne Farmaya:- "Jald Hi Meri Ummat Me Aise Log Paida Honge Jo Paani Ke Istemaal Me Aur Dua Karne Me Hadd Se Aage Badh Jayenge".

Sunan Abu Dawood 1480, Imam Haakim Aur Imam Zahabi Ne Ise Sahih Kaha Hai.

Ijtemaai Dua Ki Daleel Me Bayaan Ki Jaane Waali Tamaam Riwayate Zaeef Hai... Allah Swt Hume Bidat Se Bachne Aur Sunnato Par Chalne Ki Taufiq Ata Farmaye.

•٠•●●•٠•

Prepared By:- A.Sayed.
Read More »

Aurto Ka Masjid Jana


RasoolAllah ﷺ ne Khawateen ko masjid aane ki ijazat di hai aur mardo ko hukum diya hai ke wo apni biwiyon ko masjid janay se na roke. Farmane Rasool ﷺ hai:

1. "Izas taazantim raata ahdikum falaa yamna'haa." 
Tarjuma:-Ager tum may se kisi ki biwi is se masjid jane ki ijazat talab kare to wo use mat roke, ijazat de de.

SAHIH BUKHARI (Volume 1, Book #12, Hadith #824)

2. Ibne Umar(R) se riwayat hi k Nabi kareem ﷺ ne farmaya "Izas Tazanakum Nisaawukum bil laili ilal Masjidi fazanoo lahunna."
 Tarjuma:-Ager tumhari auraten tum say raat ke waqt masjid me jane ki ijazat talab karen to tum log unhe uski ijazat de diya karo.

SAHIH BUKHARI (Volume 2, Book 13, Hadith 22)

3. RasoolAllah ﷺ ka farman hai "Laa tamnawoo ima'a Allahi masajidAllahi."
Tarjuma:-ALLAH ki bandiyon ko ALLAH K Gharon(Masajid) say mat roko.

SAHIH MUSLIM (Book 4, Hadith 886)

Is tarah ki aur bhi kai sahih Ahadees moujood hain.

Jab RasoolAllah ﷺ ne Aurato ko masajid may aane say nahi roka to phir humara kya huq hai unko rokne ka. ALLAH hum sub musalmano ko ALLAH aur USKE Rasool ﷺ ke ahkamat per amal kerne aur amal kerwane ki Towfeeq ata farmaye.Aameen ya Rabbul Aalamin.

۩ AURTO KA AZAN DENA AUR IQAMAT KAHNA:

Aurat sirf aurto ki jamaat ke liye azan de sakti hai. Ya jab wo khud namaz akele me padhti ho.  Aurat ko ijazat hai ki wo sirf apne aurat ki jamat ke liye hi azan de sakti hai. Lekin yahi baat mard ke liye nahi hai. Mardo ke liye ye khas zor dekar ye mustahab hai jaha tak aurto ke liye ye kare to jayz hai aur na kare to bhi jayz hai. Agar aurat azan deti hai use apni awaz niche rakhni chaiye aur sirf utna hi awaz buland karna chaiye jitna jamaat ki aurte sun sake. Sahih ahadiths me hai ki  Umm Salamah r.a. aur Aisha r.a. aurto ki imamat karti thi:

"Hazrat Aaisha r.a. azan kaheti thi aur iqamat aur fir imamat karati thin aur aurton ke darmiyan khadi hoti thi"

(Mustadrak haakim j. 1, page 204, Kitabus salat bab imamatal maratun nisa fil faraiz, AUR Abu dawood p. 1/87)

Note: Abu dawood ki riwayat me umme warqa razi ko Rasool ﷺ ne khud jamat karane ka hukm diya hai aur musdarak hakim ki riwayat me farz namaz ka bhi zikr hai ke wo imamat bhi farz

Arabic ref: بیہقی #٤٠٨/١ .......حاکم #٢٠٣/١ ........ابن ابی شیبہ #٢٢٣/١

۩ AURTON KI IMAMAT KA MASLA

 "Nabi sws ne Umme Warqa ko apne ghar walon ki Imamat karane ka huqm diya”

Sunan Abi Dawud 592 (hasan).

“Hazrat Aisha r.a. Tahira r.a. ke beech me khadi hokar aurton ki imamat karti thi”

(Mustardark haakim, baab imamatul imraat)

Ra’itah Al-Hanafiyyah riwayat karte hai ki Ayesha r.a. kahti hai ki wo Aurto ki Imamat karti thi aur har Farz namaz me unlogo ke sath khadi hoti thi.

Abdur-Raziq (5086), Ad-Daraqutni (1/404) and Al-Bayhaqi (3/131)

۩ Par Jab bhi aurat namaz padhti hai kisi jagah par wo jagah jitna hi poshida ho utna hi behtar hai isliye Aurto ki namaz unki masjid se behtar unke ghar me hai:

Abd Allah kahte hai ki RasoolALlah ﷺ ne farmaya Ek aurat ki namaz aagan se behtar uske ghar me hai aur uske ghar se behtar uske kamre me hai.

ABU DAWOOD (Book 2, Hadith 567) See also Saheeh al-Jaami’, no. 3833..

Abdullah Bin Mas’ud riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya aurto ke liye apne aagan me padhne se behtar hai ki wo apne gharo me padhe aur apne ghar me padhne se behtar hai ki wo apne poshida jagah par padhe.

ABU DAWOOD (Book 2, Hadith 570)

۩ AURAT KA NAMAZ E EID KE LIYE GHAR SE BAHIR NIKALNA JAIZ HAI!

Eidain ki namaz ke liye auraton ka ghar se bahir jana mashro hai, aurton ko iski khas tour per takeed ki gaye hai:

Umm-e-Atiya r.a. farmati hain ke "Hume namaz eid ke liye jany ka hukm diya jata tha, yahan tak ke hum kanwari bachiyon, perdah nasheen larkiyon aur haiza aurton ko bhi sath le jaya karte the taa-ke woh musalmano ke sath mil ke takribat parhain aur inki duaon mai shirkat karen aur is din ke fiyoz-o-barkaat ki umeed rakhen.

Sahih al Bukhari' hadis:324'wa sahi muslim'hadis:890.

Jahan tak haiza aurton ka ta'aluq hai to woh eid gaah mai namaz ki jagah sy alag reh ker kher-o-barakat aur musalmano ki duaon mai shirkat karen. is per Umm-e-Atiya R.A. ny kaha: "Aye Allah k Rasool ! Agar hum mai sy kisi ke pass chadar na ho to phir? App (S.A.W) ny farmaya: "Iski bahen isse apni chader pehna dey."

Sahih muslim'hadis:(12)-890.

Wajeh rahi ke namaz Eid ke liye jate waqt aurton ko khushbo aur fitna angaiz zaib-o-zeenat se ijtanab kerna chahye aur intehai sadgi k saath mardon sy alag thalag rehty huway bahir nikalna chahye. (Shiekh ibn Baaz) 
Kyunki Rasool Allah ﷺ ka irshad garami hai: "Jab tum mai sy koi aurat masjid mai (Namaz k liye) hazir ho to khushbo mat lagay."

[Sahih muslim'hadis:(142)-443.]

aur Hazrat Abu Mosa r.a. ki ravayat mai hai:

"Jab koi aurat khusbu laga kar kisi qaum k pass sy is liye guzrey k woh is ki khusbo ko mehsoos karen to woh aurat aisi aisi, yani zania hai."
[Sunan Abi daud, hadis:4173.]

۩ EIDGAAH ME AURTON KO NAMAZ KA HUQM

" RasulAllah ﷺ sahaba aur sahabiyaat ko (yahan tak ki haiz waali aurat ko bhi) saath lekar eidgaah ki taraf jaate, aapki eidgaah masjid e nabwi se hazaar feet ke faasle par Thi(fathul bari), yeh eidgaah baqi ki taraf thi"
(Sahih Bukhari fatah,2/465, hadith 976, kitabul eidain)

۩ LEKIN SATH ME KUCH SHARTE BHI HAI AURTO KO MASJID JANE KE LIYE:

1) Use pure Hijab me hona chaiye [for details refer to Al-Qur’an [SURAH AN NUR 24 VERSE 31]]

2) Use Khushboo laga kar nai jana chaiye.[for details refer to SAHIH MUSLIM (Book 4, Hadith 892, 893, 894)]

3) Use apne Shauhar se ijazat lena chaiye. Uske bahar nikalne se kisi tarah ki mamnoo chize shamil nai honi chaiye jaise na-mehram driver ke sath akele car me hona wagaira. Agar Aurat kuch galat karti hai to uske shauhar ka pura haq hai use rokne ke liye balki uska farz hai rokna. 

4) Aurto ko Aadmiyo se pahle masjid se nikalna chaiye.[for details refer to SAHIH BUKHARI (Volume 1, Book #12, Hadith #799, 809, 825, 829)]

5) Ek doosra darwaze ka intzam hona chaiye Masjid me sirf Aurto ke aane aur jaane ke liye.[for details refer to ABU DAWOOD ( Book 2, Hadith 484)]
Read More »

Mardo Aur Aurton Ki Namaz Me Fark Ka Jayez


Muqqalido Ki Janib Se Aurat Ki Namaz Me fark krna aur Zaif Riwayaten Dekar Awam ko bewkuf bnana Unki Taraf Se Di Jane Wali Zaif Riwayto Par Ek Nazar.

AURAT KA TARIQAE NAMAZ Buhut Se Masail Ki Tarah Namaz ke tariqe Ke Masail Me Bhi Ikhtilat hain magar Sirf Zaeef Ahadis Ki Bunyad Per Aur Is Bat Ko Buhat Ziada pehlaya Gya Hai k Aurat Ka Tariqa Mard Se Alag Hai jab Ke Sahi Ahadis me 1 Bhi Aesi Hadis Nahi Jo Ise Qowat Bakshe IN SHA ALLAH un Zaif Dalail Ko Wazeh Kiya Jaega Jo Ikhtilafat Ka ba'es Bane Hue Hain ALLAH amel Ki Tofeeq De......aameen

۞ Ibe Umar Rz.a Se Pucha Gaya ke Aurat NABI s.a.w. Ke Ahed Mubark Me Kis Tarah Namaz Parha Karti Thi? To Inhone jawab Diya K Pehle 4 Zano Ho Kar Bethti Thi Phr inhain Hukum diya Gaya Ke Khuob Simat Kar Namaz Ada Karen.
(jamiaul masanid_1/400).

► Wazahat:
Isme Ravi ABU MUHAMMAD BUKHARI hai Iske Bare Me AHMED SULEMANI Ne Kaha Ye Sanad aur matan ko dusri sanad aur matan ke sath laga diya karta tha AHMED BIN HUSAIN RAZI ne Kaha ZAEEF hai.
(lisanul mezan ibne HAJAR_3/358,349 mezanul Aetadal Zehbi_2/496).

۞ Wail Bin Hajer R.a Farmate Hai Ke "Mujhe RASULLULLAH saw ne namaz Ka Tariqa Sikhaya To Farmaya Ae Wail Bin Hajer R.a Jab Tum Namaz Shuru Karo To Apne Hath Kano Tak Uothao Aur Aurat Apne Hath Chhatiyan Tak Uthae"
(majmo'ae Zawaid_2/103).
► TEHQIQ:
Isme Ravi UMME YAHYA binte Abdul Jabbar Majhola Hai aur Iske Bare Me Isi Book Me Likha Hai Ke LAM ARAFAHA yani nahi Jante.

۞ Rasullullah s.a.w. 2 Aurto Ke Pas Se Guzre Jo Namaz Parh Rahi Thi Ap s.a.w. Ne Inko Dekh Kar Farmaya Ke "Jab Tum Sajda Karo To Apne Jism Ke Ba'az Hisso Ko Zameen Se Chimta Do Isliye Ke Isme Aurat Mard Ki Manind Nahi Hain"
(behqi_2/223).
► TEHQIQ:
Is hadis Me Rawi Yazid Bin Abi Habib hai Magr Inhone NABI alaihisalam Ka zamana Nai Paya To Ye Hadis Kese Riwayt Ki??? 43 Sal Bad Yazid Bin Habib Peda Hua
(Tehzibul Zehzeeb_11/ 279)
Ye Hadis munqata hai aur ravi mudalis hai. Lehaza ye ZAEEF hai..

۞ Rasul s.a.w. Ne Farmaya "Jab Namaz Ke Dauran Aurat Bethe To Apni Aik Ran Ko Dosri Ran Per Rakhe
Aur Jab Sajda Kare To Apne Pet Ko Apni dono Rano se Milale Is Tarah Ke IsSe Ziada Se Ziada sater Ho Sake
Aur ALLAH iski Tarf Dekhte Hain Aur Farishto Se Farmate KE FARISHTO! Tum GAWAH RAHO MENE IS AURAT KO BAKSH DIYA".

► TEHQIQ:
Ye Riwayt BehQI_3/74 me Hai YAHYA Bin MOEN ne ise Zaeef Kaha Iski sanad me ABU MOEET hai
1.jo Zaeef hai
2-.hadise gharta tha.
3.Marji Aur Kazzab Tha
4.Murjio k sarganoN me se tha

5.hadise waza karta aur sunan se adawat rakhta tha.

6.Hadise zabt karne me nakara tha.
(mezan_1/ 11,575,mezanul
A'tad_1/584 ,lisanul Mezan_2/334).
۞ "Agar Namaz Me Koi Esa Amal Jo Namaz Me Harij Ho pesh Hojae To Mard Tasbih Kahen Aur Aurte Sirf Tali".
(sahi muslim1/181).
► TEHQIQ:
Is Sahi Hadis Ka Galat Istadlal Ye karna ke mard aur aurat me fark hai to ye bat galat hai.
1.Jo bat jiske liye Ap s.a.w. Ne Khas kardi jae wo usi ke liye hai
2.Is masle ka tariqae namaz (qayam,ruku,sojod) se ta'luq nahi, Tariqa SALLO KAMA RA'AE TOMONI OSALLI ke tahet hoga.
3. Ahnaf Is Hadis Ke Khilaf Hain Kunki Imam ke bhol jane pe ye TASBIH nai bal'ke TAKBEER kehte hain.

۞ Imam Bukhari Rh.a ke Ustad Kehte Hain Ke " Mene AATA rh.a Se Suna Jab inse Aurat Ke Bare Me Pucha Gaya ke Wo Namaz Me Kese Hath Uthae to Inhone Farmaya Ke Apni Chatio Tak Aur Kaha K Namaz Me Apne Hathon Ko Is Tarah Na Uthae Jis Tarah Mard Uthate Hain Aur Inhone Is Bat Ko Jab Ishare Se Bataya To Hatho Ko Kafi Pust kia Aur Dono Ko Achi Tarah Milaya Aur Farmaya namaz Me Aurat Ka tariqa Mard ki Tarah Nai".
(Ibne abi sheba_1/339)
► TEHQIQ:
1. Pehli Baat Ye Hadis Hai Hi Nahi Qoul e Aata rh.a Hai Dalil Ahadise RASOL hoti Hai QOLE IMAM nahi..!!
2. Iski Sanad Me Hasheem Ke ustad majhol Hain.
3. Sanad me M0hammad Bin Baker jinke Bare Me IMAM NISAI ne Kaha QAWI nahi.

(tehzibul tehzib_9/68)

Ye Qaul Hone Ke Bawajod Sahi sanad se wazeh nahi.

۞ Hazrat Ali R.a Se Riwayt Hai Ke "Jab Aurat Sajda Kare To Sureen Ke Bal Bethe Aur Apni Rano Ko Milaale"
(behqi_vol:2_pg :223).
► TEHQIQ:
Iski Sanad Me HARIS A'OUR hai jiske Bare Me Kaha gaya,
1_IMAM JARIR Ne Kaha K Mardod Hai
2_ABU HATIM ne Ka Ye Qawi Nahi
3_IMAM NISAE ne bhi yahi kaha
4_IMAM DARQUTNI ne kaha Zaef Hai
5_IBNE MADNI ne Kaha KAZZAB hai
6_Imam MOGYYARA kehte Han Ali R.a Ki riwayat Me Inki Tasdiq Nahi ki gai.
7_IMAM muslim ne Bhi Haris Ko Jhuta Kaha (tehzibul tehzib_vol:2_pg :126)
Lehaza Ye riwayat Zaef Hai Aur Isi Tarah IBNE ABBAS r.a Wali Riwayat Bhi Zaef Hai Aurat Ke namaz Ka Tariqe me Jitni Bhi Ahadis Hain Wo Sab Na qable qabol Hai zaef Hai.

►Aurat ka tariqa bhi mard ki tarah hi hai namaz ke hawale se baz masail alag hai magar tariqa nahi!.

۩ "NAMAZ me Aurat ka Sar khula Na ho, jab'k Mard ka khula ho to Harz nahi".
(bukhari 1/532).
۩ "NAMAZ me Aurat ke Thakne nange na ho jb k Mard k takhne Khule ho."
(Abu dawood 1/94).
۩ "AURAT mardo ki imamat nahi kara sakti Jab'k Mard Aurto ki imamat kara sakta hai."
(muhalla ibne hazam 3/136,135un ali r.z).

۩ "IMAM ke bhulne pe Aurat tali bjaegij Jab'k mard SubhanAllah Kahega.

(sahi muslim 1/180un abi huraira r.a) .
۩ "AGAR Aurat Aurton ki imamat karaegi to wo saf ke Darmiyan me Khari Hugi jab'ke Mard Tanha age Khara hota ha."
(behqi 3/131un ibne abbas r.a).
۩ "MUSHTARKA Jamat me aurat ki saf Sabse pichly (last) me hogi jab ke mard ki sabse aage hogi."
(sahi muslim 1/182un abi huraira r.a) .
۩ "Aurat Na Azan De sakti Hai aur mardo ki jamat me Takbeer keh skti ha".
(muhalla ibne hazam 2/16z) .
Note:
Aurat Aurton ki had tak mehdod ho kar Takbeer keh skti hai.

۩ " Mard saf me akela khara nai ho sakta jab ke aurat khari ho sakti ha".

(Bukhari 1/101) .
۩ "Agr 2 admi jamat karaen to muqtadi daen Janib khara hoga jb'ke aurat piche khari hogi.
(bukhari 1/101).
۩ "Mard Par Farz Namazo Ke Liye Masjid Me Ana Mustahab Hai. Jab'ke aurat Ka ana mustahab Nai Bal ke Mubah hai ."

۩  "Mard Masjid Me Aate Waqt Khoshbo Istimal Kar Sakte Hain Khawateen Hargiz Nahi."
(muslim_vo l:1_pg:183).
۩  "Mardo Pe Jumma Farz hai Aurto Pe Nai".
(abu dawood_vol:1_pg :153).

In Masail ko Aurat ki Namaz Ko Alag Dalil Banana Ke Aurat Mard Ki Tarah Nahi Lehaza Iski Namaz bhi Mard Ki Tarah Nahi ye Sirf Inke Moonh Ki Baate hain, Hadeese e Mohammad ﷺ Me Tariqa e Namaz Me Koi Fark nahin.
Read More »