اقرأ باسم ربك الذي خلق

23 Jun 2018

Ya Muhammad ﷺ Kahna Kaisa Hai ?


"Ya Muhammad" ya fir "Aye Muhammad" kahne me koi harj nahi hai. Balki Ham log apni  har namaz me kahte hai "Aye Nabi". Aur agar ye galat hota to hame apne Nabi se ye kahne ki taleem hi nahi milti. Ham namaz ke tashahhud me padhte hai:

التَّحِيَّاتُ لِلَّهِ وَالصَّلَوَاتُ وَالطَّيِّبَاتُ السَّلامُ عَلَيْكَ أَيُّهَا النَّبِيُّ وَرَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ السَّلامُ عَلَيْنَا وَعَلَى عِبَادِ اللَّهِ الصَّالِحِينَ أَشْهَدُ أَنْ لا إِلَهَ إِلا اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ

"(Meri Saari) Qauli Badani aur Maali Ibaadat Sirf Allah Ke Liye Khaas Hai. Aye Nabi Aap par Allah Ta’ala Ki Rahmat, Salamati aur Barkatei’n Ho’n aur Ham par aur Allah ke (Dusre) Nek Bando’n par (bhi) Salaamati ho, Main Gawahi Deta Hu’n ke Allah Ke Siwa Koi (Saccha) Ma’abood Nahi Hai aur Main Gawahi Deta Ho Ke Muhammad Allah Ke Bande Aur Rasool Hain."

Sahih al Bukhari, Kitab al Istezaan (79), hadith- 6265.

Yaha par Tashahhud ka jo ek lafz hai "Ayyuhan Nabiyu" iska tarjuma hai "Aye Nabi" jiska maltab hi 'Ya Nabi' hai.

Lekin RasoolAllah ﷺ ko madad ke liye pukarna chahe wo "Ya" alfaaz laga kar ho ya bina "Ya" alfaz lagaye, ye Allah ke yaha sabse bada gunah hai jiski qayamat ke din muafi nahi hai kyuki kisi se ghaib me madad mangna Dua hai aur Dua ek ibadat hai aur ibadat sirf Allah ki hi honi chahiye.

۩ Hazrat Numan Bin Bashir r.a. Se Riwayat Hai Ki Rasoollallah ﷺ Ne Farmaya, “Dua Ek Ibadat Hai.” Fir Aap ﷺ Ne (Surah Momin” Ki “Aayat-no-60 Ki) Tilawat Ki (Jiske Alfaz Hai) “Aur Tumhare Rab Ka Farman Hai Ki Mujhe Pukaro, Main Tumhari Dua Qubool Karunga, Aur Jo Log Meri Ibaadat Se Takabbur Karte Hain Woh Zaleel-o-khuwar Hokar Jahannum Main Dakhil Honge.”

Jamia Tirmizi, kitab-ul- Dua, Hadith-no: 3372. Classed As Hasan Sahih by Imam Tirmidhi and Sahih By Sheikh Zubair Ali Zai.

Baaz auqat sher o shayri ya nasheed ke alfaz me 'Ya Nabi' ya isi tarha ke alfaz hote hai toh wo galat nahi hoga jab tak ke us sher o shari ya nasheed me ye alfaz ko laga kar Nabi ﷺ se madat na mangi ja rahi ho. 

Isi tarha agar koi muhabbat ya jazbaat me kisi ko 'Ya' alfaz istemal kar ke pukarta ho chahe ghaib me ya zahir me to isme bhi koi harj nahi hoga jab tak ke wo ghaib me madad ke liye na pukar raha ho us shaks ko.

Isi Tarha Labbaik ya RasoolAllah (RasoolAllah mai apki itaat ke liye hazir hu) bhi kahne me koi harj nahi hai agar koi is alfaz ke zarye muhabbat ya apne jazbaat ka izhar karta hai ya agar koi ise sher o shayri ya nasheed me istemal karta hai.
Lekin Jis chiz ki ijazat nahi hai wo ye hai ki koi ise Labbaik Allahumma labbaik ke mukable pe kahe ya fir ye ke in alfaz ke zarye ghaib me RasoolAllah ﷺ se madad mange kyuki ye sabse bada gunah hai jiski qayamat ke din muafi nahi hai aur ye RasoolAllah ﷺ ke talimaat ke khilaf bhi hai.

Ek aur alfaz hai "Ya Rasool allahi unzur halana Ya Habibullaha isma qal'ana" iska matlab hai ki "Aye Allah ke Rasool hamare haal ke taraf apni nigah kare, Aye Allah ke habib hamare duae sune". Ye kahne ki ijazat nahi hai kyuki isme RasoolAllah se Dua kari ja rahi hai jab ki Dua ek ibadat hai jo ki sirf Allah ke liye khas hai.

Hamare muashre me ye galat fehmi hai ki 'Attahiyaat...' jiska zikr upar kiya gaya hai wo  Meraj ke raat ki Allah aur Rasool ﷺ ki guftutgu hai halanki iski koi daleel maujud nahi hai. Toh ye kahna sahih nahi hai ki 'Attahiyaat...' Meraz ki raat ki guftugu hai.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame Rasool ﷺ ke tarike par chalaye aur hame unlogo me shamil na kare jo qayamat ke din Allah ka gussa kamayenge. aameen.

Related: Allah ke alawa kisi aur se dua karna aur Sahaba ka Aqidah
Read More »

22 Jun 2018

Keedo (Insects) Ko Bijli Ka Jhatka Dekar Marne Ka Hukm

hi    

Alhamdulillah..

Hamare muashre me ye galat fehmi hai ki electrick shock dekar keedo ko marna mana hai kyuki ye machine jalane ka kaam karti hai jisse RasoolAllah ﷺ ne mana farmaya hai. Aiye dekhte hai ki iski haqiqat kya hai.

Shariyat me Aag se jala kar kisi cheez ko maarna mana hai, jaise ki Abu Huraira r.a. ki riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ka farmaan hai : "Beshak aag ka azaab sirf Allah taala hi de sakta hai."

Sahih al Bukhaari, hadith-3016.

Isi tarha Aap ﷺ ne chuntiyon (ants) ki ek abadi dekhi jise kuch sahaba ne aag se jala diya tha to Aap  ne farmaya: "Be-shak yeh baat bilkul bhi munasib nahi hai ke aag ke parwar-digaar ke alawa koi aur bhi aag ka azaab de."

Narrated by Abu Dawood (2675), classed as saheeh by Imam Nawawi in Riyadh as-Saaliheen (519).

Lekin Wo machines jo keedo (insects) ko electric shock dekar marne ka kaam karti ho use istemal karne me koi harj nahi hai. Aur isse ye taabeer karna ki ise istemal karke keeda aag se jal kar marta hai to ye raaye sahih nahi hai kyuki bijli ka jhatka aag nahi hota aur kyunki bijli ke jhatko ke zarye kisi bhi cheez ki khalyaat (cells) intehai buri tarha toot-foot ka shikaar ho jati hain aur fauri taur par khoon ki ragein fat jati hain, aur agar current zyada quwat mein ho to is ki wajah se maqtool ke jism ka rang tabdeel ho jata hai aur basa auqaat koyla ban jata hai aur aisa lagta hai ke jaise use aag se jalaya gaya hai lekin haqeeqat mein woh current hota hai aag nahi.

Shaykh ibn Uthaymeen se isi mutallik sawal kiya gaya jiske jawab me wo farmate hai:

"Ham ye samajte hain ke is mein koi harj nahi hai aur ye aag ke zariye azaab dene ke zumre me shaamil nahi hota kyunki hamein yeh baat maloom hui hai ke is ke zariye hashraat current lagne se marta hai, is ki Daleel yeh hai ke agar ap kagaz (paper) ka tukda laa kar is par rakh de to ye kagaz ke tukde ko nahi jalata, jis se maloom hota hai ke yeh aag nahi hai, balke current hai, jaise ke agar koi insan nangi taar ko haath laga de to jale bagair mar jata hai." End quote.

Liqaa’aat al-Baab il-Maftooh (no. 59/ sawal no. 12).

Aur Allah sab se behtar janta hai.

•٠•●●•٠•
Read More »

21 Jun 2018

Bachha Paida Hone Ke Istaqbal Me Islami Umoor


Contents

1) HONE WALE BACCHE KE LIYE SALAMTI, AFIYAT AUR HIDAYAT KI DUA KARNA

2) BACCHE KO TAHNEEK KARNA AUR USKE LIYE DUAE KARNA

3) PAHLE DIN YA SAATWE DIN BACHHE KA NAAM RAKHNA 

4) KHATNAH KARANA

5) BACHHE KA SAR (HEAD) MUNDNA AUR USKE SAR PAR ZAFRAN SE MALNA

6) BACHHE KE KAAN ME AZAAN DENA

7) AQEEQAH KARNA
_________________________________________________________________________

1۞ HONE WALE BACCHE KE LIYE SALAMTI, AFIYAT AUR HIDAYAT KI DUA KARNA

Hamare Ilm ke mutabiq wiladat honae wale bachhe ke istaqbaal ki tayari mein koi aisa shari amal nahi hai jo is ki paidaish se ek ya do roz ya is se zyada aur kam din pahle kiye jaaye, siwaye iske ki achhi aur aam duayen ki jayen, maslan bachhae ki salamti aur aafiat ke sath paidaish aur is ki hidayat ki dua karna.

Allah Subhana o Taa'la ne Nek aur Saleh Imran ki Biwi ki Duae Zikr ki hai, jab Imran ki Biwi kahne Lagi :

"Jab Imran Ki Biwi Ne Kaha Ke Aye Mere Rab! Mere Pet Me Jo Kuch Hai Use Mai Ne Tere Naam Aazad Karne Ki Nazar Maani, Tu Meri Taraf Se Qubool Farma! Yaqinan Tu Khoob Sunne Wala Aur Puri Tarah Jaanne Wala Hai.

Jab Bacchi Ko Jana, To Kahne Lagi Ke Parwardigaar! Mujhe To Ladki Hui, Allah Ko Khoob Maloom Hai Ke Kya Aulaad Hui Hai, Aur Ladka, Ladki Jaisa Nahi, Mai Ne Us Ka Naam Maryam Rakha, Mai Use Aur Us Ki Aulaad Ko Shaitaan Mardood Se Teri Panaah Me Deti Hu."

Surah Aal ‘Imraan (3), Ayat-35-36.
__________________________________________________________________________

2۞ BACCHE KO TAHNEEK KARNA AUR USKE LIYE DUAE KARNA

Bachhe Par Tahnik Karna (Yaani Khujur khud chaba kar uska ras bachay ko chatana) aur is ke liye khair aur Barkat ki dua karna .

Abu Moosa r.a. bayan karte hain ki mere yaha ladka paida hua to mai use le kar Nabi ﷺ ki khidmat mein haazir hua. Aap ﷺ ne is ka naam Ibrahim rakha aur khajur ko apne daant mubarak se naram kar ke use chataya aur is ke liye khair aur Barkat ki dua ki fir (bachhe ko) mujhe de diya. 

Sahih al Bukhari, Kitab Al Aqiqah, Hadith-5467 ; Sahih Muslim, Hadith- 2145.

Note: Tahneek Rasool ﷺ ke zamane ka ek rasm tha jisme paida hue bachhe ko Khujoor ya shahad ya kuch mithe chiz ka ras bachhe ko chataya jata tha. Aur ye koi nek shaks karta tha yaani wo nek shaks us chiz ko chaba kar us ka ras bachhe ko chatata tha.
__________________________________________________________________________

3) PAHLE DIN YA SAATWE DIN BACHHE KA NAAM RAKHNA

Anas bin Malik r.a. bayan karte hain ki Rasool ﷺ ne farmay, "Mere yaha ek Raat beta paida hua tha, jis ka naam mai ne apne Baap ke naam par Ibraheem rakha tha."

Sahih Muslim, Hadith- 3126.

Aisha r.a. bayan karti hain ki, "Rasool ﷺ ne Hasan aur Hussain r.a. ki janib se saatwe roz Aqiqah kiya aur un ka naam rakha."

Narrated by Ibn Hibbaan, 12/127; al-Haakim, 4/264. Classed as saheeh by al-Haafiz Ibn Hajar in Fath al-Baari, 9/589.
__________________________________________________________________________

4۞ KHATNAH KARANA

Khatnah karana ye fitrati sunnato me shaamil hai, aur ye bachhe ke liye wajibat (Farz) me shaamil hota hai Aur Khatnah karne se behtar Taharat hasil karne me madad hasil hoti hai.

Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki Paanch chize Fitrat me shamil hain : “Khatnah karana (circumcision), zair e naaf baal mundna (removing the pubic hairs), Bagalo ke baal ukhedna (plucking the armpit hairs), naakhun kaatna (cutting the nails), aur munchen katarna (trimming the moustache).” 

Narrated by al-Bukhaari, Hadith-5550; Sahih Muslim, Hadith-257.

۝ Khatne Ka Waqt

Hamare Ilm Me RasoolAllah ya kisi sahaba se Khatne ka koi khas muqarrar waqt sabit nahi hai. Ek Hadith milti bhi hai is masle me lekin us hadith ko hamare Muhaddiseeno ne sehat ke aetebar se qubul nahi kiya (Yaani wo hadith sahih nahi hai). 

Imam Baihaqi r.h. ne Jabir r.a. se bayan kiya hai ke Rasool ﷺ ne Hasan aur Hussain r.a. Aqiqah aur Khatnah saatwe roz (7th day) kiya.

Sunan Bayhaqi, 8/324.


Lekin is hadith ko boht saare Muhaddiseeno ne Zaif karar diya hai jaise Ibn Adi, Haythami, Sheikh Albani wagaira. [Dekhe: Irwa’ al-Ghaleel, 4/383 by Shaykh Albani. ]

۩ Imam Nawawi kahte hai, "Bachhe ke sarbarah (parent) ke liye ye behtar hai ki bachpan mein hi bachhe ka khatnah kar diya jaye kyuki is me bachhe ke liye zyada aaraam aur shafqat hai."

Al-Majmoo’, 1/351.

۩ Shaykh Ibn Taymiyah kahte hai, "Raha khatna karne ka masla to khatna jab chahe kiya ja sakta hai, Lekin jab bachha balig umar ke kareeb pahonch jaye to bachce ka khatna zaroor kar dena chahiye jaisa ke Arab log kiya karte the, taa keh woh bagair khatna kiye hi baalig na ho jaye."

Al-Fataawa al-Kubra, 1/275.
___________________________________________________________________________ 

5۞ BACHHE KA SAR (HEAD) MUNDNA AUR USKE SAR PAR ZAFRAN SE MALNA

Bachhe ka sar mundana aur fir is ke sar par zafran se malna, is mein azeem fayde hain, fir baalon ke barabar sona ya chandi sadqa karna, is me ye shart nahi ke balon ka wazan zarur hi kiya jaye. Agar ye mushkil ho toh sone ya chandi ki qeemat jo balon ke wazan ke (andaazan) barabar ho sadaqa kiya jaye.

۩ Buraydah ibn al-Hasib r.a. riwayat karte hai, "Hazrat Buraydah r.a. bayaan karte hain ke Daur e Jaahiliyat me jab hamare yahan kisi ko bachha paida hota to wo 1 bakra zibah karke uska khoon bachhe ke sar (head) par malta aur jab Allah ta'ala ne hame Islam ata kiya, Toh ham Bakra zibah karte aur bachhe ka sar (head) mundwaate aur bachhe ke sar (head) par zaafraan (saffron) malte the."

Narrated by Abu Dawood, 2843; classed as Hasan saheeh by Shaykh al-Albaani in Saheeh Abi Dawood.

Note: Zaafraan ek kism ki khushbu hai.

۩ Muhammad bin 'Ali bin Al-Husain riwayat karte hai ki Ali bin Abi Talib r.a. ne farmaya ki RasoolAllah ﷺ ne Hasan r.a. ka Aqiqah ek Bhed (sheep) se kiya, aur kaha: 'Aye Fatima! Iska sar mundao aur iske baal ke wazan ki chandi ko sadaqa kardo. Isliye maine baal ko taula toh uska wazan ek dirham ke barabar ya usse kuch kam hua tha.

Jamia Tirmidhi, The Book on Sacrifices, Hadith- 1519. Classed as Hasan by Sheikh Zubair Ali Zai.
__________________________________________________________________________ 

6۞ BACHHE KE KAAN ME AZAAN DENA

Ulema e Karaam ne bachhe ke kaan me Azaan dene ko sunnat kaha hai, taa keh jab duniya me wo aye aur uske kaan khule to sabse pahle wo Tawheed ke kalime ko sune aur iska boht hi azeem aur Mubarak asar padega in shaa Allah. Lekin baaye kaan me Iqamat kahne ka koi subut nahi hai, naa hi Kitab wa Sunnat se aur na hi Ijma e Ummat se. [Dekhe Silsilat al-Da’eefah, 1/491].

Paida hue bacche ke kaan me Azaan dena ka subut na hi hame Allah ki kitab me milti hai aur na hi RasoolAllah ke sunnat me ya Aap ﷺ ke kisi hadees me milti hai. LEKIN HADITH KE NA HONE KE BAWUJUD UMMAT KA IJMAH HAI KI PAIDA HUE BACHHE KE KAAN ME AZAAN DENA MUSTAHAB AMAL HAI.

Iski Tafseel (details) ke liye ye article padhen : https://www.iqrakitab.com/2018/06/paida-hue-bachhe-ke-kaan-me-azaan-dena.html
__________________________________________________________________________

7۞ AQEEQAH KARNA

Aqeeqah ki Tafseel niche di hui link me bayan ki gai hai:

https://www.iqrakitab.com/2018/03/aqeeqah.html

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki woh hame aur hamari aulaad ko har shar aur burai se hifazat farmaye aur hamein duniya aur akhirat mein aafiat se nawaaze . aameen.
Read More »

20 Jun 2018

Padosi Ka Internet Connection Istemal Karna


Padosio ka Internet connection istemal karne ki Do (2) surate ho sakti hai:

1. Agar Usne Ijazat De Rakhi Ho

2. Agar Usne Ijazat Na De Rakhi Ho
___________________________________________________________

1.۞ Agar Usne Ijazat De Rakhi Ho

Padosi ke ijazat se uska internet connection ko use karne me koi harj nahi hai. Aur sirf internet connenction hi nahi balki unki koi bhi chiz jise hamare Deen ne halal kiya hai wo istemal karne me koi harj nahi hai. Is par Ummat ka Ijma hai. Yaani dusre ki malkiyat ki chiz uski ijazat se istemal karne se hamare Deen ne mana nahi kiya hai.

Internet connection ke maa'no me ijazat do tarha se diya ja sakta hai. Pahla ye ki usne internet connection par security (password) rakhi ho aur usne apko iska password bataya ho Internet istemal karne ke liye.
Dusra ye ki usne apne internet connection par security (password) hi na rakhi ho jo ki is taraf ishara hai ki usne kisi ko bhi apna internet connection istemal karne ki aam ijazat de rakhi hai jaisa ki public places jaise Shopping Malls wagaira me hota hai.

2.۞ Agar Usne Ijazat Na De Rakhi Ho

Agar Padosi ne apna intenet connection istemal karne ki ijazat na de rakhi ho fir apko iski ijazat nahi ki ap uska internet connection istemal kare wo chahe jitni bhi badi neki ke liye hi kyu na ap istemal kar rahe ho kyuki ab wo iski malkiyat (property) hai jise istemal karne ki ijazat usne apko nahi di hai.

۩ Ibn Umar r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, "Bila shubah, Allah ne tum par ek-dusre ke liye tumhara khoon, maal aur izzat haraam kiya hai."

Sahih al Bukhari, Kitab al Adab, hadith- 6043. summary of the hadith.

۩ RasoolAllah ﷺ ne farmaya, "Kisi shaks ke liye uske bhai ki malkiyat (property) maise kuch bhi us ke ijazat ke bagair halal nahi."

Musnad Imam Ahmad, hadith-20180.

Agar usne internet connection par security (password) lagai hui hai aur usne apna password aawaam (public) me aam nahi kiya hai to ye maana jayega ki usne iski ijazat apne padosio ko nahi di hai. Agar apko kisi ke zarye uska security key (password) pata bhi chal jata hai tab bhi apko internet istemal karne ki ijazat nahi hogi jab tak wo khud apko na bata de ya fir ap unse istemal karne ki ijazat na lele.

Aur Allah sabse behtar janta hai.

•٠•●●•٠•
Read More »