اقرأ باسم ربك الذي خلق

22 Dec 2017

Kya Shaheed Duniya Me Zinda Hote Hai?


Shaheedon ki roohain Allah s.w.t. ke pas Jannat may Zindah hain Qabron may nhi. Quran-e-kreem me do muqamaat pe Allah s.wt farmata hai,

“Aur Allah ki rah may qatl kye gae shuhadaa ko murda na kaho, wo zinda hain magr tum nahi samajhte.”

[
surah Al-Baqarah, surat 02, Ayat.154]

Is ayat may on logo ko jo Allah ki raah may qatl kye gae murda kehnay ki mumani’at hai or farmaya k wo zinda hain lekn tumhen sha’oor nhi. Ab swaal ye hai k onki zindagi kis qism ki hai, kia yeh zindagi dunyavi hai?

Ek aur ayat may Allah s.wt nay farmaya,

“Jo log Allah ki rah may shaheed kye gae on ko hergiz murda na samjho, bul k wo zinda hain apne Rub k pas, rozian dye jatay hain. Allah s.wt nay jo apna fazl inhen de rakha hai is say bohat khush hain or khushian mana rahay hain on logo ki baabat jo ab tak insay nhi milay in k peechay hain, is per k inhain na koi khof hai or na wo ghamgeen hongay.”

[surah Aali-Imran, surat 03, Ayat.169]

In dono ayaat may Allah s.wt nay shaheed ko murda samajhnay say mana’ farmaya, lekn inhi ayaat may yeh wazaahat bhi kerdi k “walaa killaa tash’uroon” yani tumhain onki zindagi ka sha’oor nhi, onki zindagi ko apni zindagi say tashbih na do, onki zindagi barzakhi hai dunyavi nhi, or doosri ayat may “inda-Rabbihim” k alfaaz shaahid hain k ‘wo to apne Rub k pas hain’ rozian dye jaatay hain yani wo to bharpoor zindagi guzar rahay hain jannaton may apne Rab k pas is lye in k e’zaaz-o-takreem k lye inhain murda mat kaho. Or wo on mujahideen fee sabeelillah k muta’alliq khushian mana rahay hain jo maidan-e-jang may lar rahay hain or ab tak shaheed ho k on say nhi milay, is bat per k onhain aanay wali barzakhi zindagi may na koi gham hoga or na koi khof.

Sahih Muslim may or deegar sahih rivayaaat may RasulAllah ﷺ Ka farman hai,

“Shaheedon ki roohen (Jannat me) sabz rung k parindon k seeno may hoti hai aur jannat main jis jaga chahen charti, chugti, urti phirti hain. Phir in qandeelon may aa ker beth jati hain jo arsh k neechay latak rahi hain, in k rab ne aik dafa inhen dekha or in say daryaaft kia k ab tum kia chahtay ho? Onhon nay jwab dia,

‘Allah tu nay to humay wo wo day rakha hai jo kisi ko nhi dia phir hamain kis cheez ki zaroorat hogi?’ Insay phir yehi swaal hua. Jab onho ne dekha k ab hamain koi jawaab dena hi hoga to kaha,

‘Ae Allah! hum chahtay hain k too hamain dobara dunya main bhaij day hum teri rah may phir larain phir shaheed ho kr teray paas aaen or shahaadat ka dugna darja paen’

Allah (subhanahu wata’ala) ne farmaya,

‘yeh nhi hosakta yeh to main likh chukka hun k koi bhi marnay k bad dunya ki taraf palat ker nhi jaega. koi or bat ho tou batlao’, 

phir shuhda ne jawab dya, 

‘phir dunya walon ko or humaray aziz-o-aqarab ko is bat say mutla kerdia jae k hum yahan kis qadr khush hain, or her tarah ki ne’maton say lutf andoz ho rahay hain’, 

Allah (s.wt) ne farmaya, 

‘han yeh ittila kiye deta hoon’ 

[chuna cheh is silsilay main mazkoora ayatain (yani surah Aali-Imran ayat 169) nazil hui.]” 

[Sahih Muslim, kitab Al-Imarah: baab beyan arwaahu-sshuhada fil-jannah, [020:4651] ] 

Maloom hua ke shaheedon ki roohen dunya may nhi bhatak rahin bul k jannat k mazay loot rahi hain. Or kisi ko bhi inteqaal k bad dobara dunya main aanay ki ijaazat nhi. 

Allah s.wt ka farman hai, 

“Or tum on logo ko nhi SUNA saktay jo qabron may (madfoon) hain.” 

[surah Al-Faatir, surat 35, Ayat.22] 

“Aur mat pukaro tum Allah k siwa kisi ko jo tumko nafa’ day sake or na nuqsaan pohncha sakay, agr aesa kro ge to MUSHRIK banjao ge.” 

[surah Younus, Surat#10, Ayat#106] .