اقرأ باسم ربك الذي خلق

31 Dec 2017

Islam Me Khwateen Ke Huqooq


Ye jo Magribi nara aazadi e niswa ka hai haqiqat me aurat ke izzat ko lut ta hai, aurto ke aabru ko lut ta hai, aurto ko zaleel karta hai. Ye magribi tahzeeb jo kahti hai ki khwateen ko ham uncha mukam de re hai par haqiqat me unhe eek tawaif banata hai, unhe bazaar ki zeenat banata hai art aur culture ke rangeen parde ke piche. Islam ne alhamdulilah khwateen ko 1400 saal pahle hukuk diye. Jab Quran nazil hua us daur ko kahte the ayyamul jahilya (days of ignorance) us waqt alhamdulilah Islam ne khwateen ko apne hukuk diye. Islam me khwateen ke hukuk ke liye musalman muashre ko nai dekhna chaiye na hi muslims ko dekhna chaiye, hame dekhna chaiye Quran aur Sunnah ko.

Islam me Mard aur Aurat ka darja barabar hai lekin hubahu yaksaa nahi hai. Kyuki Allah pak ne aurat aur mard ko biologically, psychologically aur physically alag banaya hai. Ham Islam me khwateen ke hukuk ka zikr karte hai jo ki maine 5 hisso me bata hai

1. Islam me khwateen ke Roohani Hukuk

2. Islam me khwateen ke Mu-ashi hukuk

3. Islam me khwateen ke Muashrati hukuk

4. Islam me khwateen ke Talimi Hukuk

5. Islam me khwateen ke Qanooni Hukuk

1. ISLAM ME KHWATEEN KE ROOHANI HUKUK:

Aksar gair muslim ko galat famy hai ki Islam me Jannat sirf mardo ke liye hai, Khwateen jannat me ja hi nahi sakti,  unki ye galat famy hai..Unki ye galat famy ko dur karne ke liye Quran ki ek ayat hi kafi hai. Allah pak surah nisa ayat 124 me farmate hai:

وَمَن يَعْمَلْ مِنَ الصَّالِحَاتِ مِن ذَكَرٍ أَوْ أُنثَىٰ وَهُوَ مُؤْمِنٌ فَأُولَٰئِكَ يَدْخُلُونَ الْجَنَّةَ وَلَا يُظْلَمُونَ نَقِيرًا-

Jo eman wala ho mard ho ya aurat aur woh nek aamaal keray yaqeenan aisay log jannat mein jayen gay aur khujoor ki guthli kay shigaf kay barabar bhi unn ka haq na maara jaye ga. 

Allah pak is paigam ko firse dohrate hai Surah Nahl 16 ayat no 97 me

مَنْ عَمِلَ صَالِحًا مِّن ذَكَرٍ أَوْ أُنثَىٰ وَهُوَ مُؤْمِنٌ فَلَنُحْيِيَنَّهُ حَيَاةً طَيِّبَةً ۖ وَلَنَجْزِيَنَّهُمْ أَجْرَهُم بِأَحْسَنِ مَا كَانُوا يَعْمَلُونَ-

Jo shaks nek amal keray mard ho ya aurat lekin ba-eman ho to hum ussay yaqeenan nihayat behtar zindagi ata farmyenge. Aur unn kay nek aemaal ka behtareen badla bhi unhen zaroor zaroor den gay.

Allah pak surah Nisa ayat 1 me farmate hai

يَا أَيُّهَا النَّاسُ اتَّقُوا رَبَّكُمُ الَّذِي خَلَقَكُم مِّن نَّفْسٍ وَاحِدَةٍ وَخَلَقَ مِنْهَا زَوْجَهَا-

Aey logo apney perwerdigar say daro jiss ney tumhen aik jaan say peda kiya aur us jaan se uske jaisa joda banaya hai.

In ayato ka matkab yahi nikalta hai ki admi aur aurat roohani taur pe yaksa hai.

2. ISLAM ME KHWATEEN KE MU-ASHI HUKUK :

Islam ne khwateen ke muashri hukuk kam se kam magrib se 1300 saal pahle diye. Islam me balig aurat ko ye haq hota hai ki wo apni zaaezaat beche ya kharide bina kisi se puch ke. Islam me aurat naukri kar sakti hai wo jo shariat uski ijazat deti hai. Quran me koi ayat ya koi bhi sahih hadith nahi hai jo aurat ko halah naukri karne se rokti hai. Lekin usko hijab ikhtiyar karke naukri karna chaiye. Lekin Islam me khwateen maa-ashri taur par bare-zimma hai. Unke upar koi financial obligation nahi hai. Islam me ma’ashi zimmedari mard ki hai. Aurat ke Nikah se pahle uske walid aur uske bhai ki zimmedari hai aur Aurat ke nikah ke baad uske shohar ki aur uske bête ki zimmedari hai ke wo sara ma’ashi kharcha jo aurat ka hai wo mard uthae chahe wo khane ke liye ho chahe pahenne ke liye ho ye chahe wo rahne ke liye ho. Aurat ko zindagi basar karne ke liye kaam Karne ki koi zarurat nahi hai lekin agar wo chahti hai ki kaam karu aur haath batau to wo kar sakti hai lekin koi bhi usse zabarzasti nahi kar sakta. Islam me aurat ke ma’ashi hukuk boht hai alhamdulilah. Jab shady hoti hai to shady ke waqt alhamdulilah aurat ko mahr diya jata hai. Allah pak surah nisa ayat 4 me farmate hai:

                                     "Aur aurton ko unn kay mehar razi khushi se de do"

Nikah me bina mahr ke nikah ho hi nahi sakta. Afsos ki baat hai ki hamare kuch muashre me ulta hai ki aurat dahej deti hai mard ko. Islam me aurat se dahej directly ya indirectly mangna haram hai. Even indication bhi dena haram hai.

3. ISLAM ME KHWATEEN KE MU'ASHRATI HUKUK:

۞ BETI KE HUKUK:

Allah pak farmate hai surah al Takweer 81  ayat 8-9 me

                                   وَإِذَا الْمَوْءُودَةُ سُئِلَتْ
                                           بِأَيِّ ذَنبٍ قُتِلَتْ

                       "Aur jab zinda gari hui larki say sawal kiya jaey ga.

                        "Ke kis gunha ki waja say wo qatal ki gai."

Is ayah se ye saaf pata chalta hai ki ladkiyo ka katl karna Islam me haram hai. Na hi sirf ladkiyo ka katl karna haram hai balki dono ladko aur ladkiyo ka katl karna haram hai. Allah pak farmate hai surah 6 ayat 151 me

"apni aulad ko gurbat ke kauf se qatal mat karo. Hum tum ko aur unn ko rizk denge"

Islam me na hi sirf bacho ka katl karna zurm hai khususan ladkiyo ka lekih jab apko pata chalta hai ki ladki paida hui aur ap afsos karte hai, Islam me iski bhi mumaniyat hai. Allah pak farmate hai surah nahl 16 ayat 58-59 me:

وَإِذَا بُشِّرَ أَحَدُهُم بِالْأُنثَىٰ ظَلَّ وَجْهُهُ مُسْوَدًّا وَهُوَ كَظِيمٌيَتَوَارَىٰ مِنَ الْقَوْمِ مِن سُوءِ مَا بُشِّرَ بِهِ ۚ أَيُمْسِكُهُ عَلَىٰ هُونٍ أَمْ يَدُسُّهُ فِي التُّرَابِ ۗ أَلَا سَاءَ مَا يَحْكُمُونَ-

"Inn mein say jab kissi ko larki honey ki khabar di jaye to uss ka chehra siyah hojata hai aur dil hi dil mein ghutney lagta hai.Iss buri khabar say logon say chupa chupa phirta hai. Sochta hai kay kiya iss zillat ko sath liye huye hi rahey ya issay mitti mein daba dey. Aah! Kya hi buray faislay kertay hain" ?

Toh Afsos karna ke ek ladki Aap ke ghar me paida hui, ye bhi islam me jurm hai. Aur Allah ke Rasool farmate hai Musnad Ahmad vol. 1 Hadith 2104 me

“ Agar koi bhi shaks apne do betio ko ache tarike se parwarish karta hai jab tak wo baligh ho jati hai toh akhirat ke din me wo shaks mere itne kareeb rahega aur RaoolAllah ne apne do ungli ko eksath karke joda”.

Aur ek hadith hai jo Ibn Majah ki hai:

“Koi bhi shaks agar do ladkiyo ki parwarish karta hai aur unke sath husn e suluk karta hai to wo jannat me jayega”.

Sunan Ibn Majah, Kitabul Adab, vol. 5 ch. 3 hadith 3670.

۞ BIWI KE HUKUK

Allah pak farmate hai

 " وَمِنْ آيَاتِهِ أَنْ خَلَقَ لَكُم مِّنْ أَنفُسِكُمْ أَزْوَاجًا لِّتَسْكُنُوا إِلَيْهَا وَجَعَلَ بَيْنَكُم مَّوَدَّةً وَرَحْمَةً ۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَاتٍ لِّقَوْمٍ يَتَفَكَّرُونَ "-

Aur uss ki nishaniyon mein say hai kay tumhari hi jins say biwiyan peda ki takay tum inn say aaram pao uss ney tumharay darmiyan mohabbat aur humdardi qaeem kerdi yaqeenan ghor-o-fiker kerney walon kay liye iss mein boht si nishaniyan hain.Quran surah 30 ayat 21.

  " يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا يَحِلُّ لَكُمْ أَن تَرِثُوا النِّسَاءَ كَرْهًا ۖ  "-

 Ae Eman walo! Tumhen halal nahi kay zabardasti aurton ko ikhtiyar karo.

Surah Nisa, ayat 19.

Matlab nikah ke liye shohar aur biwi dono ki ijazat zaruri hai

Ek hadith me..

Ek aurat jis ka naam tha khansa bint Khidam Al-Ansariya tha wo RasoolAllah ﷺ ke paas aati hai aur kahti hai mere walid ne mere marzi ke khilaf meri shady ek admi se ki jise mai pasand nahi karti aur Allah ke Rasool ne nikah e fask kiya(he nullified the marriage).

Sahih al bukhari, kitabun nikah, hadith 69.

Isi liye Islam me shady ke liye mard aur aurat dono ki Razaamandi zaruri hai. Aur islam ne aurat ko “housewife” (ghar ki biwi) nahi balke “Homemaker” (Ghar ki zeenat) kahte hai kyuki wo ghar ko banati hai, wo ghar ki zeenat hai.

Aur Allah pak farmate hai

Agar ap apni biwi se pyar nahi karte fir bhi unke sath husn e suluk karo.

Surah al Nisa ayat 19.

RasoolAllah ﷺ farmate hai ki tum maise sab se behtareen wo hai jinke akhlaq sab se behtar hai aur unmaise sab se behtareen wo hai jo apni biwi ke sath sab se ache hai.

[Narrated in Musnad Ahmad, #7354, and Al-Tirmizi, #1162]

۞ MAA KE HUKUK

Allah pak farmate hai surah Isra (17) me ayat 23-24 me

۩ Aur tumhare Rab ka farman hai ki uski ibadat me kisi ko shareek na karna aur jab tumhare maa baap me se ek ya dono budhi umr par pahoch jaye toh unhe uff tak na kahna aur na hi unse jhirag ke baat karna lekin unse husne suluk ke saath pesh aana aur ye dua karna ki Aye hamare Rab hamare maa baap par raham kar jis tarah inhone rahmat o shafqat ke sath mujhe bachpan me paala tha.

Surah Isra ﴾17﴿, ayat- 23-24.

aur Allah pak farmate hai surah no 6 ayat 151 me 

"Ham ne insano pe farz kiya hai ki wo apne walidain se husn e suluk  kare"

aur ye paigam dohraya gaya hai Surah Lukman (31) ayat 14 me aur surah Al Ahqahf (46) ayat 15 me.

Aur Allah ke Rasool ﷺ farmate hai,

"JANNAT MAA KE KADMO KE NICHE HAI"

Sunan Nasai, Kitaab-ul-Jihaa d, Ch.6 Hadith 3106.

Ek riwayat me aur aata hai..

Hazrat Abu Huraira ((ra)) se riwayat hai ke 1 aadmi Rasool allah ((saw)) ki khidmat me haazir hua aur arz kiya:

“Ya Rasool allah ((saw)) mere husne suluk ka sab se zyada haq daar koan hai?“
Aap ((saw)) ne irshad farmaya:
“Teri Maa“
Is ne dobara arz kiya :
“phir kaun?"
Aap ((saw)) ne irshad farmaya:
“Teri Maa"
Is ne tisri baar arz kiya:
“phir kaun?"
Aap ((saw)) ne irshad farmaya :
“Teri Maa“
Isne chawthi baar pucha :
“phir kaun?"
Aap ((saw)) ne farmaya :
“Tera Baap".

(Sahih Bukhari # kitabul adab, hadith 2)

4. ISLAM ME KHWATEEN KE TALIMI HUKUK:

Sabse pahli wahee aur sabse pahli hidayat jo Allah pak insano ko Quran me dete hai wo ye nahi ki Ap namaz padho ya Roza rakho ya hajj ke liye jaao. Sabse pahli hidayat jo Allah  pak Quran me dete hai wo hai Iqra', 'Padho' jo aata hai surah Iqra'(96) ayat 1 me. Aur ye sirf mard ke liye nahi ye mard aur aurat dono ke liye hai.

Aur Allah ke Rasool farmate hai Sunan ibn Majah, vol-1, hadith-224 me

" Talabul ilm faridatun ala kulli muslim" .

" ILM hasil karna har ek musalma (mard aur aurat) par farz hai ".

Aur Allah ke Rasool aksar ye kahte the ki apne bacho ko ilm do khususan apne betiyo ko. Aur Allah ke Rasool ye bhi kahte the ki shohar ka farz hai ki wo apne biwi ko ilm de, agar khud nahi de sakta to kamaskam itna intzam karna chaiye ki uski biwi tak ilm pohche.

Sahih al bukhari, kitabul Ilm, hadith 101 me zikr hai ki Kuch khwateen Allah ke Rasool ke pas aati hai aur kahti hai ki hame bhi khitab kijiye kyuki Allah ke Rasool ka sara waqt mard le liya karte the. Aur us din Allah ke Rasool ne wada kiya ki wo aurto se bhi khitab karenge.

5. ISLAM ME KHWATEEN KE KANUNI HUKUK:

Kanuni aetbaar se mard aur aurat barabar hai. Allah pak farmate hai Surah al baqara ayah 178 me

Aey eman walon! Tum per maqtoolon ka qisass lena farz kiya gaya hai aazad aazad kay badlay ghulam ghulam kay badlay aurat aurat kay badlay.

Islam me jo saza mard ko milti hai wohi saza aurat ko milti hai. Aur dono ke liye saza yaksa hai. Allah pak farmate hai surah al Maidah 5 ayat no 38 me 

“Chori kerney walay aurat aur mard kay haath kaat diya kero. Yeh badla hai uss ka jo enhon ney kiya azab Allah ki taraf say aur Allah Taalaa qooat aur hikmat wala hai.”

Allah pak farmate hai

" Zina kaar aurat ya mard mein say har ek ko sao koray lagao "

Surah Noor 24 ayat 2.

Islam me aurat ko shahdat(gawahi) dene ka bhi haq hai jab ki boht se mazahib me unko ye haq nahi milta.

Aur Islam pak daman aurat ki hifazat sakhti se karta hai aur wo bhi practical tarike me. Allah pak farmate hai surah nor ayah 4 me

" Jo log pak daman aurton per zina ki tohmat lagayen phir char gawah na paish ker saken to unhen assi(80)  koray lagao aur kabhi bhi unn ki gawahee qabool na kero. Yeh fasiq log hain. "

Toh alhamdulilah Islam ne Khwateen ko boht sare hukuk diye hai na hi sirf lafzi balke amalan taur par bhi..Allah pak mard aur khwateen ko khitab karte hue faarmate hai:

Woh tumhara libas hain aur tum unn ke libas ho [2:187]

•٠•●●•٠•