اقرأ باسم ربك الذي خلق

9 Nov 2018

Islam Me Biwiyon Ke Huqooq


Islam me jis tarah bachho ke maa-baap ke huquk hain usi tarah biwiyon ke bhi huqooq hai.

Allah farmate hai:

 وَمِنْ آيَاتِهِ أَنْ خَلَقَ لَكُم مِّنْ أَنفُسِكُمْ أَزْوَاجًا لِّتَسْكُنُوا إِلَيْهَا وَجَعَلَ بَيْنَكُم مَّوَدَّةً وَرَحْمَةً ۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَاتٍ لِّقَوْمٍ يَتَفَكَّرُونَ-

Aur us ki nishaniyon mein say hai kay tumhari hi jins se biwiyan peda ki takay tum in se aaram pao us ne tumhare darmiyan mohabbat aur humdardi qayem kardi. Yaqeenan gaur-o-fikr karne walon ke liye iss mein boht si nishaniyan hai.

Surah Rum (30), ayat 21.

Jaisa ke muashre me aam hame dekhne ko milta hai ke kuch log apni biwi ko pasand nahi karte aur unhe talaaq dena chahte hain, Lekin talaaq ke baad jo biwi ko maher ka haq dena hota hai, isliye wo shauhar apni biwiyon ke saath badsulooki(zulm) kar dete hain, taaki tang aakar biwi khud hi khul'aa le le.

Aur is tarah Shauhar ko haq e maher ada nahi karna padega. Islam ne is cheez ko bhi roka hai, Jaisa ke Irshad e baari tal'a hai: 

 یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا یَحِلُّ لَکُمۡ اَنۡ تَرِثُوا النِّسَآءَ کَرۡہًا ؕ وَ لَا تَعۡضُلُوۡہُنَّ لِتَذۡہَبُوۡا بِبَعۡضِ مَاۤ اٰتَیۡتُمُوۡہُنَّ  اِلَّاۤ اَنۡ یَّاۡتِیۡنَ بِفَاحِشَۃٍ مُّبَیِّنَۃٍ ۚ وَ عَاشِرُوۡہُنَّ بِالۡمَعۡرُوۡفِ ۚ فَاِنۡ کَرِہۡتُمُوۡہُنَّ فَعَسٰۤی اَنۡ تَکۡرَہُوۡا شَیۡئًا وَّ یَجۡعَلَ اللّٰہُ فِیۡہِ خَیۡرًا کَثِیۡرًا-

Aye' Eemaan walo! Tumhen halal nahi ke zabardasti aurton ko wirse me le baitho, unhe is liye rok na rakho ke jo tum ne unhe de rakha hai us mein se kuch le lo. Haan yeh aur baat hai ke woh koi khuli burayee aur be-hayaee kare. Un ke sath ache tareeqe se guzar-basar karo, agar wo tumko na-pasand ho toh ho sakta hai ki ek cheez tumko pasand na ho magar Allah ne usme tumhare liye bohut badi bhalaai rakh di ho.

Surah Nisa, (4) Ayat - 19.

Agar biwi burai aur be-hayaai par utar ayi hai tab use chora ja sakta hai. Aisa nahi hai ke khwaah-ma-khaa choti choti baton par ladaai kar ke chor diya jaye.
Jaisa ke saalan me namak zyaada pad gaya to is baat par ladaai ki, use mara aur aye din jhagda shuru kar diya, taaki tang aakar biwi khul'aa le le aur aur mujhe haq e mehar ada na karna pade.

Ek baat dhyan rakhein ke duniya me koi bhi insan kamil (perfect) nahi hai. Maa-baap, achhe rishto ke intezaar me bachho ki umar guzaar dete hain, aur fir baad me kahte hain hame kisi bhi qism ka ladka mil jaye, ham apni beti ki shaadi uske saath kar denge.
Aur isi tarah muqammal (perfect) ladki ki talaash me ladke ke bhi umar nikal jati hai.

Duniya ke har shaks me koi na koi khaami zaroor maujood hai, is ko is khaami ke saath hi qubool karna hoga. Hatta ke Imaam e qainaat ﷺ ki biwiyon, momino ke maao se bhi baaz muqaamat par chand chize sahih nahi hui jiski wajah se Allah paak ne unko samjhaya, Allah farmate hai:

۩ 'Aur yaad karo jab Nabi ne apni baaz aurto se ek poshida baat kahi, pas jab unhone us baat ki khabar kardi aur Allah ne apne Nabi ko us par aagaah kar diya, toh Nabi ne thodi si baat to bataadi aur thodi si taal gaye, fir jab Nabi ne apni us biwi ko ye baat batayi toh wo kahne lagi, iski khabar Aap ko kis ne di, kaha sab jaanne waale, puri khabar rakhne waale Allah ne mujhe ye batlaya hai.

(Aye Nabi ﷺ ki dono biwiyo!) Agar tum dono Allah ke saamne tauba karlo (to bahut behtar hai) yaqinan tumhare dil jhuk pade hai aur agar tum Nabi ke khilaaf ek dusre ki madad karogi, pas yaqinan us ka kaarsaaz Allah hai aur Jibraeel hai aur nek ahle eemaan aur in ke alaawa farishte bhi madad karne waale hai.'

Surah Tahrim (66), Ayat- 3-4.

Apni biwiyon ke saath husn e sulook karo na ke chidchida-pan mahsoos karo. Mumkin hai koi burai tumhare andar bhi ho aur wo tumhari biwi me maujood na ho aur Allah tal'a isi me se khair nikaal de kyunki Allah paak farmata hai:           

۩ 'Tum par jihad farz kiya gaya goh woh tumhe dushwar maloom ho, Mumkin hai Tum kisi cheez ko buri jano aur wohi tumhare liye bhali ho aur yeh bhi mumkin hai ke tum kisi cheez ko achi samjho halanke woh tumhare liye buri ho. Allah janta hai jabki tum nahi jante.'

Surah Baqara (2), Ayat - 216.

Buniyaadi Taur par ye ayat jihaad ke mutallik hai magar usooli taur par duniya ke tamaam muaamlaat ke liye hai.

Aur irshad e rabbul aalameen hai :- 

۩ 'Aur agar tum ek biwi ki jagah dusri biwi laana hi chaho aur tum unme se kisi ek ko bohut sa maal de chuke ho toh usme se kuch wapis na lo, kya tum us par jhuta ilzam laga kar aur khula zulm karke wapas loge.

Surah Nisa (4), Ayat - 20

Ya'ni talaaq dene ke baad apni biwi se koi maal na mango, aur na hi ehsaan jataao, aisa hargiz na karna.

۩ Abu Hurairah r.a. se riwayat hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, "Sabse kamil momin wo hai jiske akhlaq sabse behtar ho aur tum me sabse behtar wo hai jo apni biwiyo ke liye behtar ho."

Jamia Tirmizi, hadees- 1162. Ise Darussalaam ne hasan karaar diya hai.

۩ Momino ki Maa Ayesha r.a. farmati hai ke mai ek safar me Nabi ﷺ ke saath thi. Maine Aap ﷺ se daud (race) ka muqabla kiya, toh mai jeet gayi, fir jab mera badan bhaari ho gaya to maine Aap ﷺ se (dobara) muqabla kiya, toh Aap ﷺ jeet gaye, is par Aap ﷺ ne farmaya 'Ye Jeet us Jeet ke badle hai'.

Sunan Abu Dawood, kitab al jihad, hadith - 2578. (Sahih)

Yaa'ni shauhar aur biwi me is kadar  hasi-mazaak ho sakta hai.

Lekin hamare sub continent ke culture me jab kisi ki shaadi hone lagti hai to badi umar ke log kahte hai ke pahle din hi biwi ko lagaam me rakho. Biwiya hamari gulaam nahi hoti ki use lagaam me rakha jaye balki wo hamari shareek e hayaat hoti hai.

Biwiyon ke saath husn e sulook karna, ahtraam ke saath pesh aana, muhabbat karna, ye sab cheeze sawaab me dakhil hai.

۩ Rasool ﷺ ne farmaya, "Jo bhi tum Allah ki raah me kharch karo use sadaqah me shumaar kiya jayega hatta ke us luqme kor jo tum apni biwi ke muh me rakhoge."

Sahih al bukhari, kitab al wasaaya, hadith - 2742.

۩ Aur Nabi ﷺ ne Aurto ko sheeshe ke bartan ke maanind kaha hai.

Sahih al Bukhari, kitab al adab, hadith - 6161, 6202.

Is farman se ye malum padta hai ki aurte nazuk hoti hai aur jaldi jazbaati ho jati hai to isliye unke jazbaat ka khyal rakh kar unse pesh aya jaye taaki unhe takleef na ho. Aur ye baat hamesha yaad rakhe ki izzat kamaai jati hai. Toh biwi se badtameezi karna ya oonchi awaz se baat karne se apko izzat nahi mil sakti, milegi bhi to wo dekhawi izzat hogi balki uski izzat ap acche akhlaq, shafkat aur muhabbat se aasni se paa sakte hai.

۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya , "Aurat ki misaal ek pasli ki hai, agar tum use sidha karna chahoge toh tod doge aur agar us se faidah hasil karna chahte ho toh uski tedh (crookedness) ke sath hi fayda hasil karo."

Sahih al Bukhari, kitab an Nikah, hadith - 5184.

Yaha seedha karne se muraad ye nahi hai ke use shariyat ke ahkaam me nahi chalana hai aur har cheez ki aazadi deni hai balki isse muraad ye hai ke aurto ki ba'az adato ko badalne se gurez karo, lekin agar uski adatein shariyat ke khilaf hain to usko sahih karne ki koshish karna mard ki zimmedari hai.

Agar koi masla hai to use mil kar hal karne ki koshish karni chaiye. Koshish karni chahiye ke muamlat ko samajhdaari aur muhabbat se deal kiya jaye aur talaaq tak naubat hi na aye.

۩ Jabir riwayat karte hai ki Nabi e kareem ﷺ ne farmaya,  "Iblees apna takht paniyo par bichaata hai fir wo apne lashkar rawana karta hai; us (shaitan) ke sabse zyada kareeb wo hota hai jo sabse bada fitna daalta hai. Inme se ek akar kahta hai maine falan-falan kaam kiye hain, wo (shaitaan) kahta hai tumne kuch nahi kiya, fir unme se ek aakar kahta hai maine us shaqs ko (jiske saath wo tha) us waqt tak nahi chhora yahan tak ke shauhar aur uski biwi ke darmiyaan judai ki beech daal di. Shaitan uske kareeb jata hai aur gale lagata hai aur kahta hai tumne achha kiya.

Sahih Muslim, book of characteristics of the day of judgment, paradise, and hell, hadith - 7106.

Lihaaza Miya-Biwi ke jhagda ko jald as jald khatm karna chahiye. Aur ye hamesha yaad rakhe ki wo sirf apki biwi nahi hai, wo kisi ki beti bhi hai aur wo kisi ki maa bhi hai.

Aur akhir me Allah ﷻ ke ek ahkaam ke sath mai apni baat ko muqammal karna chahunga. Allah ﷻ farmate hai,

“Woh tumhara libas hain aur tum un ke libas ho.”

Surah baqarah (2), ayat- 187.

Allah se dua hai ki wo hame amal ki taufeek ata kare. aameen.

•٠•●●•٠•

Anonymous said...

Beautifully explained. JazakAllahu khair Shaykh. May Allah makes us practicing Muslimah.