اقرأ باسم ربك الذي خلق

4 Jan 2018

Aakhri Tashahudd Ki Duae

Kya namaz ke aakhri tashahhud me attahiyyat aur darood e ibrahimi ke padhne ke baad duaein hai? Agar hai to kounsi hai, kyunke kuch Imaam hazraat namaz ki akhry tashahhud kuch zyada hi lamba kar dete hai, aur muqtady ko ilm nahi hota ke Imaam kya kah rahe hai?

Alhamdulillah..

۩ღ Ummul Momineen Aisha r.a. kahti hain ke Rasool Allah ﷺ namaz mein (aaqhri qaede mein) you’n dua farmate the:

اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الْمَسِيحِ الدَّجَّالِ وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الْمَحْيَا وَفِتْنَةِ الْمَمَاتِ اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْمَأْثَمِ وَالْمَغْرَمِ-

‘Allahumma Inni A’auzu Bika Min A’azabil Qabri wa A’auzu Bika min Fitnatil Maseehid Dajjal wa A’auzu bika min Fitnatil Mahya wal Mamaati Allahumma Inni A’auzu Bika Minal Ma,aathami wal Maghrami’.

Ya Ilaahi! Main Teri Panah Mein Aata Hu’n A’azaab Qabr Se Aur Teri Panah Mein Aata Hu’n Dajjal Ke Fitne Se Aur Teri Panah Mein Aata hu’n Maut o Hayaat Ke Fitne Se, Yaa Ilaahi Main Gunah Se Aur Qarz Se Teri Panah Maangta Hu’n.

Aaisha r.a. ne arz ki Aey Allah ke Rasool! Aap qarz se bahot panah kyou’n maangte hain. Aap ﷺ ne farmaya: Jab aadmi qarzdar hota hai to wo jhut bolta hai aur wa’ada khilafi bhi karta hai.

(Bukhari: al Azan 832 – Muslim: al Masaajid 589).

۩ღ Isi tarah Nabi ﷺ ne Hazrat Abu Bakar r.z. ko bhi namaz me mangne ke liye dua sikhai thi jaise ke Sahih al Bukhari me hai ke Abu Bakr siddeeq r.a. kahte hai ke maine Rasool ﷺ se arz kiya, "Mujhe koi dua sikha de jise mai apni namaz me manga karu to Aap ﷺ ne farmaya,Tum kaho

اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ جَهَنَّمَ وَمِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ وَمِنْ فِتْنَةِ الْمَحْيَا وَالْمَمَاتِ وَمِنْ شَرِّ فِتْنَةِ الْمَسِيحِ الدَّجَّالِ-

‘Allahumma Inni A’auzu bika Min A’azabi Jahannama Wa Min A’azabil Qabri wa Min Fitnatil Mahyaa wal Mamaati wa Min Sharri Fitnatil Maseehid Dajjal’.

Aye Allah! Main Jahannam Aur Qabro’n Ke Azab Se, Maut o Hayaat Ke Fitna aur Maseeh Dajjal Ke Shar Se Teri Panah Maangta Hu’n.

Sahih Muslim, hadith- 588.

۩ღ Sayyadna Ali bin Abi Taalib r.a. bayan karte hain ke Rasool Allah ﷺ Tashahud ke baad salam pherne se qabl ye dua padhte the:

Allahummagh Firli Maa Qaddamtu wa Maa Aqqhartu wa Maa Asrartu wa Maa A’alantu wa Maa Asraftu wa Maa Anta
A’alamu Bihi Minni Antal Muqaddimu wa Antal Muaqqhiru Laa Ilaaha Illa Anta.

Aye Allah! Tu Mere Agle Piche, Poshida aur Zaahir (Tamaam) Gunah Muaaf Farma Aur Jo Main Ne Ziyadati Ki Aur Wo Gunah Jo Tum Mujh Se Ziyada Jaanta hai (Wo Bhi Muaf Farma) Tuhee (Apni Dargah Izzat Mein) Aage Karne Wala Aur (Apni Baargah Jalaal Se) Peeche Karne Wala Hai. Sirf Tuhi (Saccha) Ma’abood Hai.

Sahih Muslim: Salatul Musafireen, hadith-771.

۩ღ Mahjan bin Al Adra’a r.a. bayan karte hain ke Rasool Allah ﷺ masjid mein dakhil hue to ek shaqs masjid ke aakhir mein ye dua kar raha tha:

Allahumma Inni As,aluka Yaa Allahul Ahadus Samadullazi Lam Yalid wa Lam Youlad wa Lam Yakullahu Kufuan Ahad An Taghfirlee zunoobi Innaka Antal Ghafoorur Raheem.

Aye Allah Main Tujhse Sawaal Karta Hu’n Is Baat Ke Saath Ke Tu Waahid, Akela aur Beniyaaz hai, Jis Ne Na Janaa (T: Has Not Given Birth To Anyone) Na Janaa Gaya (T: Has Neither Been Born) Aur Na Iska Koi Shareek Hai ke Tu Mujhe aur Mere Gunah Muaaf Karde Beshak Tu Bakshne Wala Bahot Maherban Hai.
Rasool Allah ne farmaya: Teri Bakshish hogai, Teri Bakshish hogai, Teri Bakshish hogai.

(Sunan Abu Dawood: 985 – Sunan Nasai: 1301 V3 P 52)

۩ღ Anas bin Maalik se riwayat hai ke main Rasool Allah ﷺ ke sath baitha hua tha aur ek aadmi namaz padh raha tha, is ne tassha‐hud mein ye dua ki:

Allahumma Inni Asaluka Bianna Lakal Hamda Laailaaha Illa Intal Mannanu Badeeus Samaawati wal Arzi Yazal Jalaali wal Ikraami Ya Haiyyu Ya Qayyumu Inni As,aluka.

Aey Allah Main Tujh Se Sawal Karta Hu’n Is Baat Ke Sath Ke Hamd Tere Ley Hai, Tere Alaawa Koi Ibaadat Ke Laaeq Nahi, Behad Ehsaan Karne Wala, Asmaano’n Aur Zameeno’n Ko Banaane Wala Buzrug Aur Izzat Wala, Zinda aur Qaaem Rakhne Wala Main Tujhse Sawal Karta Hu’n.
Rasool Allah ne farmaya: ‘Is zaat ki qasam jiske hath mein meri jaan hai isne Allah ke azeem namo’n ke sath dua ki
hai jo shaqs inke sath dua karta hai, Allah qubool karta hai aur jab wo maangta hai Allah a’ataa karta hai.’

(Sunan Nasaai: al Sahu 300)

۩ღ Abu Bakr Siddiq r.a. riwayat karte hain ke main ne kaha, Ya Rasool Allah! Namaz mein maangne ke liey mujhe (koi) dua sikhaiey (ke ise Attahiyyat aur Darood ke baad padha karu’n) to Aap ﷺ ne farmaya! Padho:

‘Allahumma Inni Zalamtu Nafsi Zulman Katheerau’n walaa Yaghfiruzunooba Illa Anta Faghfirli Maghfiratam Min indika warhamni Innaka Antal Ghafoor ur Raheem’

Ya Allah! Bilaa Shuba Maine Apni Jaan Par Bahot Ziyada Zulm Kiya Hai. Aur Tere Siwa Gunaho’n Ko Koi Nahi Baqsh Sakta, Pas Apni Janab Se Mujhko Baqshde aur Mujhpar Raham Kar, Be Shak Tuhi Baqhashne Wala Maherban Hai.

Sahih al Bukhari: al Azan 834, Sahih Muslim: al Zikr wad Dua 2705.

۩ღ Abu Hurairah r.a. se marwi hai ke Aap ﷺ ne farmaya, "Jab tum maisekoi Tashahhud me baithe to char chizon se Allah ki panah mange- azaab e jahannam se, azaab e qabar se, zindagi wa maut ke fitne se, aur masih dajjaal ke shar se, iske baad apne liye jo chahe maangle.

Sunan Nisai hadith-1293.

•٠•●●•٠•