اقرأ باسم ربك الذي خلق

3 May 2019

Namaz Me Dua ke Baad Sajda Karna


Sawal: Mere ghar ke log, namaz ke khatm hone par hath utha kar dua mangte hai aur fir sajda karte hai, maine unse iski wajah puchi toh unka kahna hai ki dua maang kar sajda karne se dua ki qubuliyat ka imkaan zyada hota hai. Toh kya ye amal durust hai, shaykh sahab baraye maherbani meri madad farmaye.

Jawab

Alhamdulillah..

Namaz ek khubsurat tareen ibadat hai jisme hame ye ahsaas hota hai ki ham apne Rab ke saamne khade hai, jaisa ke RasoolAllah ﷺ ka irshad e mubarak hai,

Umar bin Khattab r.a. se riwayat hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya ke ‘Ehsaan ye hai ke tum Allah ki ibaadat is tarha (dil laga kar) kar jaise ke usko dekh rahe ho aur agar ye na ho sake to ye khayal karke ki Allah ta’ala tumhe dekh raha hai.’

Sahih al Bukhari, kitab al eeman ﴾2﴿, hadees- 50.

Lekin sath sath har ibadat ke qubul hone ki shart hai ki wo RasoolAllah ﷺ ke tarike par honi chahiye. 

۩ Allah ﷻ farmate hai,

Aur bila shubah yahi mera raasta hai jo sidha hai, chunanche tum is ki pairwi karo aur deegar raasto ki pairwi na karo wo tumhe Allah taala ke raaste se juda kar denge. Ye hai jiska Allah taala ne tumhe taaqidi hukm diya hai taakeh tum bach jao.

Surah al anaam ﴾6﴿, ayat-153.

Jaha tak namaz ke baad, dua mangne ke baad sajda karne ka hukm hai toh is sajde ka hukm hame kitab o sunnat me kahi nahi mila hai, aur jo RasoolAllah ka tarika tha wo ye hai:

۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Banda apne Rab ke sab se zyadah qareeb us haalat me hota hai jab woh sajde me hota hai, lihaza us me kasrat se dua karo.”

Sahih Muslim, hadees- 482.

۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ sajde me ye dua manga karte the, “Aye Allah mere saare gunaah muaf karde, chote aur bade, pahle aur akhir ke, khule hue aur chupe hue.”

Sahih Muslim, hadees- 483. [is dua ki arabic]

Toh hame in hadeeso se ye malum pada ki namaz ke dauran jo sajde hote hai unme duae mangni hai na ki namaz ke baad sajda karna hai (dua ke baad).

Ek shaitani was-wasa aa sakta hai ki Nabi ne nahi kiya toh kya hua, sajda karne me koi burai thodi hai, neki ka hi kaam hai. Iska jawab Allah ne apni kitab me diya hai,

۩ Allah ﷻ farmate hai,

“Laqad Kaana Lakum Fii Rasoolil-laahi Uswatun Hasana.”

“RasoolAllah Tumhare Liye Ek Behtreen Misaal Hai.”

Surah al ahzaab ﴾33﴿, ayat- 21.


Toh jab Rasool hamare liye ek behtareen misaal hai, jinki pairwi kar ke jannat ka rasta milna hai toh fir gair-tariko ki pairwi karne ki na toh zarurat baaki rahi aur na ki koi fayda hoga.

Is was-wase ka jawab ek Tabayeen ne bhi diya hai,

۩ Sa'id Ibn al Musayyib r.h. (Tabaeen) ne ek shaks ko suraj tulu hone ke baad do rakat se zyada padhte hue dekha sajda aur ruko me izafa karte hue, toh unhone use mana kiya ye karne se. Us shaks ne jawab diya: 'Aye Aba Muhammad, kya Allah mujhe namaz padhne ke liye saza dega? Unhone kaha, 'Nahi, Lekin Wo Tumhe Sunnat Se Ikhtilaf Karne Ke Liye Saza Dega'.

Sunan Kubra Baihaqi, 2/466.

Toh Rasool ke tarike se hame muhabbat karni hai aur gair-tariko se Allah ki panaah mangni hai. Aur Allah sabse behtar janta hai.

Ham apko ye bhi naseehat karte hai ki ap apne ghar walo ki islah hikmat aur muhabbat se kare na ki sakhti, tanqeed aur bure akhlaq se. Ye Allah aur uske Rasool ka hukm hai ki logo ko apne Rab ke raste ke taraf hikmat aur khubsurat naseehat ke sath bulaya jaye. Jo quwat hikmat, khubsurti aur muhabbat me hai wo kaafi gair-mamuli hai. Allah hame amal ki taufeek ata kare.

Khulasa: Namaz khatm hone par jo dua ke baad sajda kiya jata hai ye sajda sunnat se sabit nahi nahi hai balki sunnat se ye sabit hai ki namaz ke dauran wale sajde me duae ki jaaye.

•٠•●●•٠•