اقرأ باسم ربك الذي خلق

5 Jan 2020

Kya Hasne Se Wuzu Tut Jata Hai?


۞ Pahli baat

Ulema me isme koi ikhtilaf nahi hai ki namaz ke bahar hasne se wuzu nahi tut ta, agarche koi shaks namaz ke liye tayaar ho raha ho fir bhi.

۩ Ibn Munzir kahte hai,

“Ulema ka is par Ijma hai ki namaz ke bahar hasne se wuzu nahi tut ta aur firse wuzu banane ki zarurat nahi hai.”

Al-Awsat, (1/166).

۩ Imam Nawawi kahte hai,

“Unka (Ulema ka) is par ijma hai ki namaz ke bahar hasne se wuzu nahi tut ta.”

Al Majmoo, (2/61).

۞ Dusri baat

Ulema me is par ijma hai ki namaz ke dauran hasne se namaz tut jati hai.

۩ Ibn Munzir kahte hai,

“Un sab ka is par ijma hai ki namaz ke dauran hasne se namaz tut jati hai.”

Al-Ijmaa, safa- 3.

Yaha hasne se muraad hai zor se hasna.

۩ Ibn Qudamah kahte hai,

“Hame is muamle me koi ikhtilaf e raaye ka ilm nahi hai.”

Al-Mughni, (2/451).

۞ Teesri baat

Sahih raaye ye hai ki namaz me zor se hasne se sirf namaz tut ti hai aur wuzu nahi tut ta, kyuki wuzu tutne ki koi daleel nahi hai.

۩ Jabir ibn Abdullah r.a. kahte hai, 'Agar koi namaz me hasta hai, toh use apne namaz ko dohrana chahiye lekin use wuzu karne ki koi zarurat nahi hai.'

Sahih al Bukhari, muallaq riwayat. Sunan Daaraqutini,  hadees- 51, mawsool riwayat.

۩ Ibn Hajar kahte hai,

“Ye baat sahih hai lekin ye alfaz Jaabir r.a. ka hai.”

Fath al-Baari, (1/280).

۩ Imam Nawawi kahte hai,

“Hamari aur aksar ulema ki raaye ye hai isse wuzu nahi tut ti hai. Ye aksar Tabayeen aur unke baad aane waale logo ki raaye hai.

Bayhaqi riwayat karte hai ki Abu'z Zinaad kahte hai: Mai kafi zyada ilm rakhne waale ahle ilm se mila jinki raaye faislakun (decisive) hai. Sa‘eed ibn al-Musayyab, ‘Urwah ibn az-Zubayr, al-Qaasim ibn Muhammad, Abu Bakr ibn ‘Abd ar-Rahmaan, Khaarijah ibn Zayd ibn Thaabit, ‘Ubaydullah ibn ‘Abdillah ibn ‘Uqbah, Sulaymaan ibn Yasaar, aur bahut saare qabil e ahtaraam ahle ilm se mila jo kahte hai ki hasne se namaz tut jati hai lekin isse wuzu nai tut ta.”

Al-Majmoo, (2/60).

Jo hadeese kahti hai ki hasne se wuzu tut jata hai wo zaif hai aur unme se koi bhi saheeh nahi hai.

۩ Imam Nawawi kahte hai:

“Muhaddiseen ka is par ijma hai ki unme se saare zaif aur waahin (kamzor) hai.”

Al-Majmoo, (2/61).

•٠•●●•٠•