اقرأ باسم ربك الذي خلق

3 May 2020

Namaz me Imamat ki Sharait

hi    

Alhamdulillah..

Imamat ki Shart Rasoolullah ne ye bataye hai:

۩ Abu Mas’ood al Ansaari r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Logo ki Imamat woh karaye jise Allah ki kitab (Quran majeed) ka sabse zyada Ilm ho aur agar woh sab is me barabar ho toh fir sunnat ka sab se zyada janne waala shakhs imamat karwaye, agar wo sunnat (ke ilm) me bhi barabar ho toh wo jis ne un sab ki nisbat pahle hijrat ki ho, agar wo hijrat me barabar ho toh wo jo Islam qubul karne me sabqat rakhta ho (yaani jo pahle musalman hua ho).'

Sahih muslim, kitab al masaajid (5), hadees- 1532.

Is hadees se sabit hua ki Imamat ke liye sabse badi chiz Quran ka ilm hai. Aur is ilm se murad ye nahi hai ki Quran ko kitna zyada khubsurti se padha jaa raha hai balki isse muraad Quran ka sabse zyada yaad hona hai. Is ki daleel hame is hadees se milti hai:

۩ Amr bin Salama r.a. riwayat karte hai,

'Jab Mecca fatah ho gaya toh har qaum ne Islam laane me pahal ki aur mere waalid ne bhi meri qaum ke islam me jaldi ki. Fir jab (Madinah) se wapas aaye toh kaha ke mai Allah ki qasam ek sachhe Nabi ke paas se aa raha hu. Unhone farmaya hai ke fula namaz is tarha fula waqt padha karo aur jab namaz ka waqt ho jaaye to tum me se koi ek shakhs azaan de aur imamat woh kare jise Quran sab se zyada yaad ho.

Logo ne andaza kiya ke kise quran sab se zyada yaad hai toh koi shakhs un ke qabeele me mujh se zyada Quran yaad karne waala inhe nahi mila. Kyunke mai aane jaane waale sawaaro se sun kar Quran majeed yaad kar liya karta tha. Is liye mujhe logo ne imam banaya. Halaanki us waqt meri umar chay (6) ya saat (7) saal ki thi aur mere paas ek hi chaadar thi.

Jab mai (use lapait kar) sajda karta toh upar ho jati (aur peeche ki jagah) khul jati. Is qabeela ki ek aurat ne kaha tum apne qaari ka jism ke peeche ka hissa toh pahle chupa do. Aakhir unhone kapda khareeda aur mere liye ek kameez banayi, mai jitna khush us kameez se hua utna kisi aur cheez se nahi hua tha.'

Sahih al bukhari, kitab al maghaazi (64), hadees- 4302.

Ek baat ka aur khayaal rakhe ki Imamat karne waale ko dusri zaruri cheeze bhi aate ho jaise, Quran ka alfaz achhe se padhna aata ho aur use namaz padhne aur iske sharait ka ilm ho, yaani kaun si duae kab padhna hai, namaz me galti ho jaaye ya wuzu tut jaye toh kya karna hai, wagairah.

۩ Ibn Qudamah r.h. kahte hai,

'Agar un dono me se ek shakhs namaz ke ahkam ka zyada ilm rakhe, aur dusra shakhs namaz ke alawa baaki dusre muamlaat me zyada ilm rakhta ho toh namaz ke ahkaam jaan ne waale ko muqaddam kiya jayegaa.'

Al-Mughni, 2/19.

Hamare muashre me logo ne dadhi ko imamat ki shart rakh di hai, aur ye sahih nahi hai kyuki iski taleem Allah aur uske Rasool ne hame nahi di hai.

•٠•●●•٠•

۩ Imamat ke chand masail