اقرأ باسم ربك الذي خلق

29 Apr 2020

Ar Rayyan | Jannat ka Ek Darwaza


۩ Sahl r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Jannat ka ek darwaza hai jise 'Ar Rayyan' kahte hai, Qayamat ke din is darwaze se sirf rozedaar hi Jannat me dakhil honge, unke siwa aur koi is me se nahi dakhil hoga.

Pukara jayega ke Rozdaar kaha hai? Wo khade ho jayenge, unke siwa isse aur koi nahi andar jaane payega aur jab ye log andar chale jayenge toh ye darwaza band kar diya jayeg, fir us se koi andar na jaa sakega.'

Sahih al bukhari, kitab al saum (30), hadees- 1896.

۩ Sahl r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Rozedaar ke liye Jannat me ek darwaza hai jise 'Ar Rayyan' kahte hai. jisme inlogo ke siwa koi aur dakhil nahi hoga. Jab aakhri rozedaar dakhil ho jayega toh darwaza band kar diya jayega. Jo shaks isme dakhil hoga wo piyega aur jis ne ek dafa pi li, kabhi pyasa na hoga.'

Sunan Nasai, kitab al saum (22), hadees- 2238. Ise darussalaam ne sahih karaar diya hai.

۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki unhone Rasoolullah ﷺ ko ye farmate hue suna,

'Jis ne Allah ki raah me do do cheeze kharch ki use Jannat me aawaz di jaye gi ke Aye Allah ke bande! Yeh (darwaaza) bahot achhha hai.

Jo namaz padhne waalo me se hoga, use namaz ke darwaze se puraka jayega, jo jihad karne walo me se hoga, use jihad ke darwaze se puraka jayega, jo sadaqa dene waalo me se hoga, use sadqe wale darwaze se puraka jayega, aur jo rozedaaro me se hoga, use baab e Rayyan se puraka jayega.

Abu Bakr Siddique r.a. ne kaha, Aye Allah ke Rasool ﷺ kisi insaan ko un tamaam darwazo se pukare jane ki zarurat to nahi hai lekin kya koi aisa bhi (khush naseeb) hoga jise un tamaam darwazo se bulaya jayega?

Rasoolullah ﷺ ne farmaya, 'Ji Haan! Aur mujhe ummeed hai Aap unhi me se hoge.'

Sahih Muslim, kitab al zakat (12), hadees- 2371.

•٠•●●•٠•
Read More »

Hai Koi Dua Maangne Waala | Hadees e Qudsi


Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Jab Raat ka pahla tihai hissa guzar jaata hai toh Allah taala aasman e duniya par nuzul farmate hai aur kahte hai ke Mai Baadshah hu, Mai baadshah hu!
Kaun hai jo mujh se dua kare ke mai use qubool kar lu?
Kaun hai jo mujh se sawal kare ke mai use ata karu?
Kaun hai jo mujh se baksish talab kare ke mai use baksh du? Musalsal tuloo e Fajr tak isi tarha hota rahta hai.'

Sahih Muslim, kitab salaat al musafireen (6), hadees- 1773. (pic)

•٠•●●•٠•
Read More »

27 Apr 2020

Ye Ilm Deen Hai Toh Dekho Apna Deen Kis se Le Rahe Ho | Is Qawl ki Tahkeek


Kuch bhai jo bina tahkeek kiye aur aankh band kar ke ulema ki baat maan lete hai wo ek qawl pesh karte hai,

۩ Ibn Sireen kahte hai,

إِنَّ هَذَا الْعِلْمَ دِينٌ فَانْظُرُوا عَمَّنْ تَأْخُذُونَ دِينَكُمْ

'Beshak ye Ilm Deen hai toh ap ye dekho ki ap apna Deen kisse le rahe ho.'

Muqaddamah Sahih Muslim, hadees- 26.

Ab bina is hadees ke aage piche dekhe, bina iska pasmanzar samjhe wo is qawl se Deen ka ek usool bana lete hai ki sirf Apne firqe ke ulema ko sunna chahiye aur sirf unhi se deen ka koi bhi ilm lena chahiye..

Haalanki agar is usool ko maan liya jaaye toh ek shia zindagi bhar shia hi rahe aur ek barelwi zindagi bhar barelwi hi rahe kyuki is usool ke mutabik toh dusre ulema ki na toh baat sunni chahiye aur na hi ilm lena chahiye. Kyuki jab ek galat aqeedah wala shaks apne ulema ko chor kar dusre ko sunta hai tab hi use pata chalta hai ki kis ki baat behtar hai, agar ye usool maan liya jaye fir kyu kar koi apne firqe ke alawa dusre logo ki baat sune.

Ab aaiye Ibn Sireen r.h. ke is qawl ki haqiqat jaante hai,

Ibn Sireen r.h. ka ye qawl Sahih Muslim ke Muqaddamah se hai ki unhone kaha ki, 'Ye ilm Deen hai toh ap ye dekho ki aap apna Deen kisse le rahe ho.'

Pahli baat ye hai ki Ibn Sireen r.h. ka ye qawl aam ilm ke bareme nahi hai balki isnaad yaani usool e hadees ke ilm ke baare me hai.
Imam Muslim ne is hadees par ye baab baandha hai "باب فِي أَنَّ الإِسْنَادَ مِنَ الدِّينِ" yaani "Isnaad Deen me se hai."
Aur baab me aage ye likha hua hai,

'Isnaad Deen me se hai, aur isnaad ko qubul nahi kiya jaata hai jab tak ke wo siqah (trustworthy) raawi na ho.'


To isse baat wazeh hui ki yaha par Ibn Sireen r.h. isnaad ki ilm ki baat kar rahe hai na ki aam ilm e deen ki. Aur ye dono ilm me bahot farq hai. Usool e hadees ka ilm ek alag ilm ki speciality hai. Aur isme itni zyada sakhti karni bahot zaruri hai kyuki aam ilm toh kitab o sunnat se pata chal jata hai ki kitna sach hai lekin is field me sab kuch ek raawi par depend hota hai, jo bhi raawi Rasoolullah ﷺ ke taraf nisbat kar ke bolega wo Ummat ka Deen ban jayega. Jab ki aam ilm to kitab o sunnat me dekhne ke baad asani se pata chal jaata hai ki kahne wala shaks sach kah raha hai ya jhut.

Misaal ke taur par isi Sahih Muslim ke Muqaddamah ki hadees no. 30 me likha hai,

Ibn Abi Zinad apne walid se riwayat karte hai ki maine Madinah me aese 100 aadmiyo ko paaya hai jo nek sirat the magar unhe hadees riwayat karne ka ahal nahi samjha jata tha, aur unki hadees qubul nahi ki jati thi, kaha jata tha ki ye is (ilm) ke ahal nahi hai.

Sahih Muslim ka Muqaddamah, hadees- 30.

Ye isliye kyuki in logo ko usool e hadees ka ilm nahi tha, yaani koi bhi akar hadees ke naam par inhe kuch suna de to wo ise hadees samajh kar aage bayan kar denge. Toh isi liye usool e hadees ke ilm par aam deeni ilm ka qiyas nahi kiya ja sakta warna fir upar ki hadees ke mutabik toh jo shaks ilm e hadees ya ilm e isnaad se waqif na ho usse ilm lena haraam ho jayega unke usool ke nazdeek.

Dusri baat hamare Deen ne hame ye sikhaya hai ki jab ap kisi se ilm lete ho to uska rang, nasal, zuban, mazhab, zaat, firqa nahi balki uski daleel dekho. Dekho kya wo apni baat ke daleel me Quran ya sahih hadith pesh kar raha hai ya nahi. Rasoolullah ﷺ ne khud farmaya hai ki jab tak Allah ki kitab aur meri sunnat ko mazbuti se pakde rahoge tab tak gumrah nahi hoge. [Mustadrak al Hakim, hadees - 318, sahih].

Allah se dua hai ki wo hame deen par gaur o fikr karne waala talib e ilm banaye aur hame ulema ki taqleed se mahfooz rakhe. aameen.

•٠•●●•٠•

Related

Read More »

26 Apr 2020

Ramzaan ki Mubarakbaad Dena | Jayez ya Na-Jayez


Alhamdulillah..

Ramzaan, Eid ya Juma ki mubarakbaad dena ye hamare muashre ka ek riwaj hai, aur Deen ka usool ye kahta hai ki koi bhi rasm-riwaj ko apnane ki ijazat hai jab tak ki wo Quran ya sahih hadees ke khilaf na ho.

Toh is liye chahe wo Ramzan ki aamad ki Mubarakbaad dena ho ya Eid ki ya fir Juma ki, isme koi harj nahi hai.

۩ Shaykh ibn Uthaymeen se Eid ki mubarakbaad dene ke mutallik pucha gaya gaya:

'Namaz eid ke baad musafah karne, gale milne aur mubarakbaad dene ka kya hukm hai?'

Toh Shaykh ka jawab tha:

'In chizo me koi harj nahi hai, kyuki log use bataur Ibadat aur Allah taala ka qurb samajh kar nahi karte hai, balki log ye bataur riwaaj (custom) aur izzat o ikraam aur ehtram karte hai, aur jab tak shariyat me kisi rasm-riwaj ki mumaniyat (manaahi) na aaye to bunyadi usool ye hai ki us chiz ki ijazat hoti hai.'

Majmoo’ Fataawa Ibn ‘Uthaymeen, 16/208-210.

Aur akhir me, Ramzan ki mubarakbaad dene me koi harj nahi hai, is baat par Ummat e Muslimah ka Ijma bhi hai.

•٠•●●•٠•

Related:

Read More »

25 Apr 2020

Ek Neki Par Saat Sau (700) Neki | Hadees e Qudsi


Allah paak farmaate hai,

'Jo log apna maal Allah ki raah kharch karte hain, unke kharch ki misaal aisi hai, jaise ek daana boya (sow) jaaye aur uske saat (seven) baaliya nikle aur har baali mein sau (100) daane ho, isi tarah Allah jiske amal ko chahta hai zyada kar deta hai, woh bada khule haath waala hai aur sab kuch janne waala bhi.'

Surah baqarah (2), ayat- 261.

۩ Ibn Abbas r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne ek hadees e qudsi me farmaya hai,

'Allah talah ne nekiya aur buraiyya muqaddar kar di hai aur unhe saaf saaf bayan kar diya hai pas jis ne kisi neki ka iradah kiya lekin us par amal na kar saka toh Allah taala ne us ke liye ek mukammal neki ka badla likha hai aur agar us ne irada ke baad us par amal bhi kar liya toh Allah talah ne us ke liye apne yaha das guna se saat sau guna tak nekiya likhi hai ya fir us se bhi badh kar kayi guna aur jis ne kisi burayi ka irada kiya aur phir us par amal nahi kiya toh Allah taala ne us ke liye apne yaha neki likhi hai aur agar uss ne irada ke baad us par amal bhi kar liya toh apne yaha us ke liye ek burayi likhi hai.

Sahih al bukhari, kitab al riqaaq (81), hadees- 6491.

SubhanAllah kitna raheem hai wo jiske gunahgaar bande hai ham. Aye Allah hame muaf kar de aur hame qayamat ke din apne gazab se bacha lena beshak tu hi hifazat karne waala hai, Aye hamare Rab hame jahannam ke aag se bacha le. aameen.

•٠•●●•٠•

Read More »

24 Apr 2020

Chand Dekhne ki Dua


Alhamdulillah..

Ibn Umar r.a. riwayat karte hai, Jab bhi Allah ke Rasool ﷺ naya chand dekhte, toh wo ye (dua) kahte the,

اللَّهُ أَكْبَرُ اللَّهُمَّ أَهِلَّهُ عَلَيْنَا بِالْأَمْنِ وَالْإِيمَانِ وَالسَّلَامَةِ وَالْإِسْلَامِ وَالتَّوْفِيقِ لِمَا يُحِبُّ رَبُّنَا وَيَرْضَى رَبُّنَا وَرَبُّكَ اللَّهُ - (pic)

'Allaahu Akbar, Allaahumma ahillahu alayna bil'amni wal'eemaani, wassalaamati wal-'Islaami, wat tawfeeqi lima yuhibbu Rabbunaa wa yarza, Rabbunaa wa Rabbukallahu.'

अल्लाहु अक्बर, अल्लाहुम्मा अहिल्लहु अलयना बिलअमनी वलईमानी, वस्सलामती वल-इस्लामी, वत तवफीकि लिमा युहिब्बु रब्बुना व यरजा, रब्बुना व रब्बुकल्लहु।

Allah sabse bada hai. Aye Allah ham par is chand ko hifazat aur eeman, salamati aur Islam, aur us hidayat ke sath tulu farma jise hamara Rab pasand karta ho aur raazi ho. Mera Rab aur tumhara Rab Allah hai.

Sunan Darimi, hadees- 1729. Is hadees ko Shaykh Arna’ut ne Sahih ibn Hibban, hadees- 888 me sahih (li ghairi) karaar diya hai.

Ek Dusri riwayat bhi hai Jo Imam Tirmizi (hadees- 3451) apni sunan me le kar aaye hai. Lekin is hadees me hamare Muhaddiso ne hukum lagane ke muamle me ikhtilaf kiya. Shaykh Zubair ali zai (darussalaam) is riwayat ko zaif kahte hai jab ki Shaykh Albani ise sahih kahte hai. Imam Tirmizi is hadees ko hasan gareeb kahte hai aur mere ilm aur tajurbe ke mutabik jab Imam Tirmizi kisi hadees ko hasan gareeb kahte hai toh wo dusre muhaddis ke mutabik aksar toh zaif hoti hai aur chand ek hasan. Lekin ye bas ek tajurba hai, usool e hadees nahi hai.

Aur Allah sabse behtar janta hai.

•٠•●●•٠•
Read More »

22 Apr 2020

Kya Ludo/Chess/Carrom Khelna Waaqai Haraam Hai?


۞ Buraida r.a. apne walid se riwayat karte hai ki Allah ke Rasool ﷺ ne farmaya,

'مَنْ لَعِبَ بِالنَّرْدَشِيرِ فَكَأَنَّمَا صَبَغَ يَدَهُ فِي لَحْمِ خِنْزِيرٍ وَدَمِهِ'

“Jis shaks ne 'Nardashir' kheli toh goya us ne apne hath ko khinzeer ke khoon aur gosht se rang liya.”

Sahih Muslim, book of poetry (41), hadees- 5896.

Ab is Nardashir ke lafz ko kuch tarjumaan ne english me dice tarjuma kar diya. Ab kyuki yaha dice alfaz maujud ho gaya toh baaz Ulema ne fatawa de diya ki ludo haraam ho gai, carrom board haraam ho gaya, shatranj haraam ho gayi.

Halaki agar ham Arabic dictionary 'Al Munzir' padhe toh usme iska meaning ye hai,

'Ye Faarsi baadshah ka khel tha, jiski bisaat khujur ke patto ke sath banayi jaati thi.'

Gaur karne ki baat ye hai ki chess ko arabi me shatranj kahte hai toh agar shatranj khelna galat hota toh hadees ke arabi me khud Shatranj alfaz likha hota. Lekin aesa nahi hai.

Jaha tak ludo ki baat hai toh ye toh abhi 100-150 saal pahle aaya tha. Aap ﷺ ke waqt ye khel maujud bhi nahi tha aur na hi kisi hadees me is ludo game ka zikr tak hai.

Aur Carrom board ko toh zabarzasti is hadees me ghaseet diya gaya. Dur dur tak isse aur upar waali hadees se koi lena-dena hi nahi hai.

Ek aur hadees pesh ki jaati hai,

۩ Ali r.a. kahte hai,

'Shatranj ajmiyo ka juwa hai.'

Shobul Eemaan, (Imam Baihaqi) hadees- 6018.  Mishqaat ul Masabih, hadees- 4510.

Lekin ye riwayat munqate hai. Shaykh Zubair ali zai ne Mishqaat ul masabih me is riwayat ko zaif karaar diya hai. [scan]

Is riwayat ki kamzor hone ki wajah ye hai ki Imam Muhammad bin Ali bin Hussain al Bakir ne direct ye hadees Ali r.a. se riwayat ki hai aur Imam Bakir ki mulaqat Ali r.a. se sabit nahi hai.

Lihaza aesi koi sahih riwayat nahi hai jisme shatranj alfaz ka naam lekar ise haraam karaar diya ho.

Ek zaruri nukhta ye hai ki hame kisi cheez ko haraam kahne ke liye boht zyada gaur o fikr karna chahiye, har cheez ko haraam nahi kah dena chahiye kyuki Quran me kayi jagah badi sakhti ke sath is chiz se mana kiya gaya hai:

۩ Aye Nabi, Tum kyu us cheez ko haraam karte ho jo Allah ne tumhare liye halal ki hai? (kya is liye ke) tum apni biwiyo ki khushi chahte ho? Allah muaf karne wala aur raham farmane wala hai.

Surah Tahreem (66), ayat- 1.

۩ Aur yeh jo tumhari zubaane jhuthe ahkaam lagaya karti hai ke yeh cheez halal hai aur woh haraam, toh is tarah ke hukm laga kar Allah par jhoot na baandha karo..

Surah Nahl (16), ayat- 116.

Isi silsile me Rasoolullah ﷺ ki ek taleem hame milti hai:

۩ Abu Salaba r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

“Beshak Allah ne faraiz ko wajib kiya hai toh use nazarandaaz mat karo. Usne hadd muqarrar ki hai toh usse aage mat badho. Usne kuch chizo ko muqaddas rakha hai, unse khilaaf warzi mat karo. (Aur) usne kuch chizo me khamoshi ikhtiyaar ki hai, tum par raham karne ke liye na ki bhool me, toh unhe talaash mat karo.”

Sunan Daraquṭni, hadees- 4316. Ise Imam ibn Qayyim ne I'lam al-Muqi'in'an (1/221) me sahih karaar diya hai.

Toh isliye ye jo hamari teen indoor games hai in par haraam ka fatawa lagana, ye mere nazdeek deen me gulu hai. Sirf zahiri alfaz ke upar fatawe nahi laga dene chahiye balki hame iske bunyad me jakar haqiqi cheez ko samajh kar raaye deni chahiye.

Sath hi sath ek paigam unlogo ke liye jo aankh aur aqal band kar ke apne ulema ki pairwi karte hai, aur inme wo log bhi shamil hai jo khud kisi zamane me 4 Imam ki taqleed se mana karte the aur aj khud apne ulema ki taqleed karte hai,
Aapke liye paigam ye hai ki:
'Kisi shaks ka ahtaraam apko yaha tak na le jaaye ki ap uski galti ko bhi defend karne lage aur kisi shaks par tanqeed apko yaha tak na le jaaye ki ap uska wajibi ahtaraam karna bhi chhor dein.'

۩ Anas bin Malik r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

“(Deen me) Logo ke liye aasani karo aur sakhti na karo aur khush karo aur (deen se) nafrat mat dilao.”

Sahih al bukhari, kitab al adab ﴾78﴿, hadees- 6125.

Allah se dua hai ki wo hame deen ki fiqh (sahih samajh) ata kare. aameen.

Note: Ye khelne ke sath sath is baat ka khyaal bhi rakhe ki zarurat se zyada isme waqt na guzre aur na hi inke wajah se namaz ya dusri ibadat par koi asar pade, mard o aurat ka ikhtilat (mixing) na ho. Yaani sharai ahkaam ka khayaal rakha jaaye.

Aur Allah sab se behtar jaanta hai.
•٠•●●•٠•
Read More »