اقرأ باسم ربك الذي خلق

22 Dec 2017

Taweez Se Shifa Kaise Mil Jati Hai?


ALHAMDULILLAH..

Aj Muslim ummah ke kuch log ka ye haal hai ki wo nafa pahle dekhte hai aur Deen ko baad me. Agar unhe kisi chiz se fayda mil rahi ho to wo hargiz ye nahi dekhenge ki us ke bareme shariah kya kahti hai aur agar kabhi kadaar dekh bhi liya to fatawa shopping karte hai, matlab kuch molvio se puchte hai aur jo molvi un ke haq me fatawa deta hai use qubul kar lete hai aur baaki sabko gumraah karar de dete hai aur khud aashiq e Rasool ka locket pahen lete hai. Aur agar ap kitab o sunnah ka ilm rakhte hai to isme koi hairani ki baat nahi hai kyuki RasoolAllah ﷺ ye farma kar gaye the:

RasoolAllah ﷺ ne farmaya Tum zaroor apne se pehle Logon ke qadam ba qadam pairwi karoge hatta ke agar woh Goh (Chipkali ke mushaba rengne wala aik Janwar) ke suraakh mein gusein honge aur tum bhi is me dakhil hoge. Arz kiya gaya: Ya Rasoolallah! Kya inse Yahood o Nasara murad hain?

RasoolAllah ﷺ ne Irshad farmaya: (Agar ye nahi)To aur Kon?

Narrated by al-Bukhaari, 1397; Muslim, 4822.

Ye hadith isliye pesh ki hai kyuki yahud aur nasara bhi isi tarha ke amal karte the. Wo apne alimo ki baat ko Allah ki baat se zyada darja dete the. Allah swt farmate hai:

“Inn logon ney Allah ko chor ker apney aalimon aur darwishon ko apna Rab banaya hai aur Marium kay betay Maseeh ko halankay unhen sirf aik akelay Allah hi ki ibadat ka hukum diya gaya tha jiss kay siwa koi mabood nahi woh pak hai unn kay shareek muqarrar kerney say.”

[Tawba(9):31].

Aaj yahi haal Muslim Ummah ke kuch logo ka hai, wo apne liye halal kar lete jo unhe nafa de wo chahe kisi bhi shakal me ho jaise sood, taweez, gande, wagaira. Aur isi ki shakal hai Taweez jise kuch logo ne halal samajh liya hai jab ki is par boht sakht hadith hai jiska aage hoga in shaa Allah. [Taweez ke bareme detail se padhne ke liye ye check kare].Lekin fir bhi log kahte hai ki agar ye galat hai to isse shifa kaise ho jata hai. To un becharo ko ye pata hona chaiye ki Allah to unhe bhi rizk aur nafa deta hai jo Pattharo se mangte hai, toh kya ab ham Pathharo se mangna shuru kar de, nauzbillah!!! Ab rahi baat ki taweez se kaise shifa milti hai to ye sawal ka jawab bhi unhe mil jata agar wo quran aur sunnah ka ilm rakhte lekin inlog ko Quran aur sunnah ka ilm kaise ho jab ki ye Deen ko molvi sahab ka halwa samajhte hai ki jo molvi sahab ne kaha bas wahi shariat ho gai, Deen ki samajh unko naseeb hoti hai jo log koshish karte hai. Lekin inhe halwa khane se fursat mile tab na ye koshish kare.

Taweez se kaise shifa ho jata hai darj zel hadith me zikr hai:

Ibn Mas’ud ki biwi Zaynab r.a. riwayat karti hai ki Abdullah ibn Mas’ud ne unke gale me ek dhaga dekha aur pucha ki ye kya hai?

Unhone farmaya, “Ye ek dhaga hai jisme mere liye ruqya kiya gaya hai. Unhone us dhage ko unke gale se tod diya aur kaha: ‘Aap’, Ibn Masud ki khandan ko Shirk ki koi zarurat nahi hai. Beshak, maine RasoolAllah ko ye kahte suna ki Kay Daam(wo Daam Jis Mein Shirkya Alfaz hun ) Taweez Or Tawila ye Sab Shirk Hain.
Zaynab ne farmaya, “Ap ye kya kahte hai? Meri aankho me Tashanj(aithan) tha isliye mai fula fula yahudi aadmi ke pas gai thi aur jab bhi wo ruqye se ilaaj karta, dard kam ho jata.
Ibn Masud r.a. ne farmaya: Ye shaitaan ka kaam hai. Shaitan apne hath se chubhata hai aur jab is par ruqyah kiya jata hai, wo apne hath ko hata leta hai. Ye tumhare liye kaafi hoga agar tum wo kaho jo RasookAllah kaha karte the:
‘Athhib il-ba’s, rabb an-nas, washfi ant ash-shafi, la shifa illa shifa uk, shifaan la yughadiru saqama’
Tarjuma:- Aye Insano ke Rab! Door karde ye bimari aur Shifa de tu hi Shifa dene wala hai, nahi koi Shifa teri Shifa ke siwa aur (aisi shifa jisse) koi takleef baki na rahe.

Recorded by Abu Dawud, hadith-3883; judged hasan by al-Albani (Mishkat ul-Masabih no. 4552).

Is hadith se hame ye pata chalta hai ki Taweez pahenna shirk hai jaise ke khud Ibn Masud r.a. ne farmaya hai upar aur sath hi ye bhi pata chala ki Taweez se shifa kaise mil jati hai aur agar ham par bimari ka asar ho jaye to kya padha jaiy. Par afsos aj ke kuch Muslims Allah se se zyada dhaage, kabr aur murdo par Tawakkal rakhte hai.

Allah se dua hai ki wo hame shirk se bachae aur Tawheed ke upar hame maut ata kare. aameen.

•٠•●●•٠•

Prepared by:- Faisal Khan

Read More »

Sahaba Ka Aqidah Aur Tawassul/istighasa


Hamne pahle hi ek article me bayan kiya hai ki aslaaf e ummat ka tarika kya tha waseele ke mutallik. Ab ham kuch aham hadith pesh karna chahenge jisse hame sahaba ka aqida pata chalega ki kya wo Gaibi taur par RasoolAllah ﷺ se madad mangne ka aqida rakhte the?

۝ Abu Huraira r.a. raiwayat karte hai ki RasoolALlah ﷺ ne jasusi ke liye (10 admio ki) ek Jamaat rawana ki aur un par Asim bin Sabit r.a. ko Ameer mukarrar farmaya. Jab wo Usfan aur Mecca Mukarrama ke darmiyan pohche toh Kabila e Bani Hudhail jiska naam Lihyan tha unlogo ne 100 teer-andaazo ka lashkar rawana kiya jo unki khoj lagata hua waha pohucha aur un par teer barsana shuru kiye. Is par Asim bin Sabit ne Arz kiya,

اللَّهُمَّ أَخْبِرْ عَنَّا نَبِيَّكَ صلى الله عليه وسلم


Aye Allah hamare haal ki khabar hamare Nabi ko farma de.
Fir unhone 7 logo ko shaheed kar diya aur 3 log ko qaid kar liya, aur unme bhi 2 shaheed kar diye gaye.

Sahih al-Bukhar, Kitab Al-Maghaazi (64), Hadith-3989. [summary of a long hadith]

۝ Anas bin Malik r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ki khidmat me kuch log hazir hue aur arz kiya ki hamare sath kuch logo ko bheje jo hame Quran wa sunnat ki taleem de, toh Ap ﷺ ne 70 Ansariyo ko unke sath rawana kiya jinko 'Qurra' (Qirat karne wale) kaha jata tha unme mere mamu 'Haram r.a.' bhi the. Ye log raat ke waqt Quran padhte the, (Quran) ke maane (meaning) par guftugu aur gaur o fikr karte the, aur Din ko masjid me pani lakar rakhte the aur jungle se lakdiya lakar farokh karte the aur usse ashaab e Suffa aur zaruatmando ke liye khana kharidte the.Nabi ﷺ ne inhe unki taraf bheja. Unlogo ne 70 Ansariyo ko manzil par pahuchne se pahle hi shaheed kar diya toh un sahabao ne marte dam ye dua kia,

اللَّهُمَّ بَلِّغْ عَنَّا نَبِيَّنَا أَنَّا قَدْ لَقِينَاكَ فَرَضِينَا عَنْكَ وَرَضِيتَ عَنَّا


Ae Allah ‎ﷻ hamare mutallik hamare Nabi ﷺ ko ittela farma de ki ham tujh se mulaqat kar chuke hai. Ham tujh se raazi aur tu hamse raazi.
(Jibrail a.s. ne) Nabi ko khabar di to Nabi ﷺ ne apne ashaab se irshad farmaya ki tumhare sathi shaheed kar diye gaye hai aur unhone ye dua ki, 'Ae Allah ‎ﷻ hamare mutallik........hamse raazi.'

Sahih Muslim, Kitab al Amara (33), Hadith 4682.

In do Hadith me Ummat ke 3 masail ka hal maujud hai:
  1. Sahaba ne Nabi ﷺ ko nahi balki sirf Allah ko pukara Jab ki Nabi ﷺ faut bhi nahi hue the, zinda the lekin Gaib me the (matlab sahabao se dur the).
  2. Sahaba ka ye aqidah nahi tha ki Nabi ﷺ Hazir wa Nazir hai warna wo Allah se kyu kar kahte ki hamare haal ki khabar Nabi ﷺ ko pohcha de agar Nabi ﷺ hazir wa nazir hai. Aur Nabi ﷺ ko ye waqya khud pata nahi chala balki Jibrail a.s. ne bataya tab unhe pata chala.
  3. In dono hadith me sahabao ne Nabi ﷺ ke wasile ke bagair dua mangi.
Allah se dua hai ki wo hame sahabao ke tarike aur aqide par ta-umr rakhe aur Quran aur Hadith ko samajh kar padhne ki taufeek de. aameen.
Related:
۩ WASEELA AUR ASLAAF E UMMAT KA TARIKA E KAAR
۩
 KYA ALLAH HAMARE LIYE KAAFI NAHI?
۩
 Download PDF : Dua sirf Allah hi se- 
UrduHindi
Read More »

Ataai, Gair-mustakil Biz-zaat Aur Mahdud Ka Fark


Allah ne insano ki chand sifaat ko apni sifat e kamil ka mazhar banaya hai. Masalan niche di gai ayat me batayi gai insan ki sifat e ataai, gair-mustakil bizzaat aur mahdud hai aur Allah ‎ﷻ ki sifat e kamil mukhtalif hai. Isi liye sirf Samee' aur Baseer ke alfaz ek jaise hone se shirk nahi hoga. Allah ‎ﷻ farmate hai,

إِنَّا خَلَقْنَا الْإِنسَانَ مِن نُّطْفَةٍ أَمْشَاجٍ نَّبْتَلِيهِ فَجَعَلْنَاهُ سَمِيعًا بَصِيرًا

Beshak Hamne insan ko mile jule nutfe se paida kiya taaki unko azmaye. Pas ise Samee' aur Baseer (Yani sunne aur dekhne wala) bana diya.

Surah 76, ayat-2.

Magar jo sifat e kamila Allah ‎ﷻ ne apne liye khas farma liya hai masalan Ibadat aur Gaib me Madad ke liye pukarna, Yaani Dua ko in sifaat ko ataai, gair mustakil bizzaat aur mahdud ka fark rakhne ke bawujud makhluq me manna khalisatan shirk hai aur na-kabile muafi gunah hai. Is wajah se haqiqat ko samajhne ke liye niche di gai hadith par gaur farmaye:

Abdullah bin Abbas r.a. se riwayat hai ki ek sahabi r.a. Ap ﷺ ki khidmat me hazir hue aur arz kiya,
"Jo Allaah Chahe Aur Jo Aap Chahe”. Nabi ‎ﷺ Ne Farmaya, "Tum Ne To Mujhe Allaah Ke Barabar Bana diya. Balke ye Kaho, "Jo Allaah Akela Chahe"

Musnad Imam Ahmad, Jild 1, Hadith no: 3247.

Ab is hadith par gaur karne se ye haqiqat bilkul wazeh ho jati hai ki wo Sahabi ne yakeenan RasoolAllah ﷺ ko ataai ikhtiyar ka malik aur gair mustakil bizzat ka aqidah rakh kar hi to kaha tha, magar apne use shirk karar diya aur us sahabi ki islah farmayi.  Hamari aakhe kholne ke liye ek hi misaal kafi hai alhamdulillah.
Allah se dua hai ki wo hame Kitab wa sunnat par gaur o fikr karne ki taufeek de. aameen.
Related:
۩ Dua Ek Ibadat hai
Read More »

Wahabi ka matlab kya hai?

536066_384685281581635_112525298_n
Agar Azan se pahle Bilal raziAllaho anhu durud na padhe to unse itni mohabbat
Aur agar koi dusra muslim na padhe to W A H A B I
Agar Jashn e Milad Rasool ﷺ na manae toh unse itni mohabbat
Aur agar koi dusra muslim na manae to W A H A B I
Agar Azan ke baad Bilal raziAllaho anhu salat na padhe to unse itni mohabbat
Aur agar Azan ke baad koi dusra muslim salat na padhe to W A H A B I
Agar Rasool ﷺ kisi ke kabr pe sajda na kare ya un logo se murad na mange to unse itni Mohabbat
Aur agar koi dusra muslim mazaar ya kabr par sajda na kare aur na unse kuch mange to W A H A B I
Agar Rasool ﷺ Rafadain kare to unse itni Mohabbat
Aur agar koi dusra muslim rafadain kare to W A H A B I
Agar Rasool ﷺ seene pe Hath rakhkar namaz padhe to unse itni Mohabbat aur agar koi dusra muslim seene par hath rakhkar namaz padhe to W A H A B I
Agar Allah ke Rasool apne ap ko sirf Muslim kahe to unse itni Mohabbat
Aur agar koi dusra muslim Apne ap ko sirf Muslim kahe toh ?
Read More »

Imam Abu Haneefa Ka Aqidah

536066_384685281581635_112525298_n

1. Yahud wa nasara apne maulvi aur darweshon ka kaha mante the is liyae Allah inhe Mushrik kharar diya.
Aur momino ko hukm diya ki Bado ka Qual mat pooch bal ki yeh poocho Allaha aur is ke Rasool ka ky Hukm hai…

(Ref from Hanafai Fiqh: Alamgiri Jild-1 page No : 12) 

2. Wali ki Qabr Buland makan Banana aur chiraj jalana Biddat wa Haram Hai.

(Ref from Hanafai Fiqh : Durani Jild-4 page No :123, Hidiya Jild-4 Page No : 52) 

3. Qabr ko Bosa dena(Choom na) Haram hai yeh nasara ki adat hai.

(Ref from Hanafai Fiqh : Durr E Mukthar Jild-4 page No : 230) 

4. Ambiya wa Awaliya ke Qabron ko Sajda karna,Tawa f karna, Nazrane chadana Haram wa Kufr hai.

(Ref from Hanafai Fiqh : Durr E Mukthar Jild-1 page No : 53) 

5. Jo Wali ki Qabr ki Ziyarat ke liyae Safar karta hai woh Jahel wa Kafir hai.

(Ref from Hanafai Fiqh : Durr E Mukthar Jild-2 page No : 529) 

6. Gairullah ki Mannat manana shirk hai aur is Mannat ka khana Haram Hai….

(Ref from Hanafai Fiqh : Bahesti Zaver baab-3 page No :65) 

7. Jis Jaanwar per Gairullah ka naam pukara gaya ho aur zubah kie waqt Bismillah Allaha hu Akbar kaha ho toh who zabah Haraam hai.

(Ref from Hanafai Fiqh : Durr E Mukthar Jild-1 page No : 249, 273) 

8. Duaa,ba haq Nabi aur Wali (Bashoor Wasila) Mangna makroo hai is liyae ki Makluq ka kuch haq Allah per nahi.

(Ref from Hanafai Fiqh : Hidaya page No : 226).
AGAR AP IMAM ABU HANEEFA KI TADLEED KARTE HAI TO YEH SAB BHI APKO MANNA PADEGA..KYA APKE MOLVI APKO YE SAB NAHI BATATE??? 
Read More »

Kya Nabi ne Allah ko dekha hai ?


Rasool ﷺ ne Allah ko dekha hai ya nahi, is par salaf me ikhtilaf raha hai. Ab ham Quran aur sahih hadees ko roshni me dekhte hai ki haqiqat kya hai.

۞ Kya Nabi ﷺ Meraj waali Raat Allah Rabbul Izzat Ko Dekha?

۩ Sayyadna Abu Zarr r.a. bayan karte hai, “Maine RasoolAllah ﷺ se sawal kiya, kya aapne ne apne Rab ko dekha?”
Unhone farmaya, 'Waha toh noor tha, Mai use kaise dekh sakta hu.'

Sahih Muslim, kitab al eemaan ﴾1﴿, hadith- 178.

۩ Imam ibn Hibban ek hadees ke talluq se kahte hai,

“Iska matlab hai ki Aap ﷺ ne Apne Rab ko nahi dekha balke makhluk (farishto) ke nooro me se ek buland noor dekha tha.”

Sahih Ibn Hibban, tahet e hadees- 5.

۞ Kya RasoolAllah ﷺ ne Allah ko khwab me dekha hai?

Jamia Tirmizi, hadees- 3235 jise Imam Tirmizi ne hasan saheeh karar diya hai, ye ek lambi hadees hai jiska mafum ye hai ki RasoolAllah ﷺ ne Allah ko khwab me dekha hai. Hadees ke alfaz aese hai,

Muaz bin Jabar riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “... Mai raat ko utha, maine wuzu ki aur fir utni namaz padhi jitni mai padh paya, aur fir mujhe namaz ke dauran neend aayi, aur fir mai ek gahri neend me so gaya. Fir maine apne Rab tabarak wa taala ko behtareen surat me dekha ...”

۞ Kya Quran kahta hai ki Rasool ﷺ ne Allah ko dekha hai?

۩ Masruq bayaan karte hai ki Mai Ayesha r.a. ki khidmat me tek lagaye hue baitha tha ke Ayesha r.a. ne farmaya, “Abu Ayesha! (yeh masrooq ki kuniyat thi) teen cheeze hai jis ne un me se koi baat kahi, us ne Allah taala par bahut bada bohtan baandha.” Mai ne pucha: 'Woh baate kaun si hai?'

Unhone farmaya, 'Jis ne ye gumaan kiya ke Muhammad ﷺ ne apne Rab ko dekha hai toh us ne Allah taala par bahut bada bohtaan bandha.'

Unhone (Tabayeen ne) kaha, 'Mai tek lagaye hue tha toh (yeh baat sunte hi) seedha ho kar baith gaya aur kaha: 'Ummul momineen! Mujhe (baat karne ka) mauqa dijiye aur jaldi na kijiye, Kya Allah taala ne ye nahi kaha, 'Beshak unhone use roshan kinare par dekha' (Al-Qur'an, Surat at-Takwir, 81:23), ( isi tarha ) 'aur Aap ﷺ ne use ek baar utarte hue dekha (Surat Najm 53:13).'

Ayesha r.a. ne farmaya, 'Mai is ummat me sab se pahli hu jis ne iske baare me RasoolAllah ﷺ se sawal kiya toh Aap ﷺ ne farmaya, 'Woh yaqeenan Jibrail a.s. hai, mai inhe is shakal me, jis me paida kiye gaye, do dafa ke ilawa kabhi nahi dekha, ek dafa maine inhe aasman se utarte dekha, un ke wujud ki badayi ne aasman o zameen ke darmiyaan ki wusat (jagah) ko bhar diya tha'.

Fir ummul momineen ne farmaya, 'Kya tum ne Allah taala ka farmaan nahi suna, 'Aankhe uska idraak (comprehend) nahi kar sakti aur woh aankhon ka idraak karta hai aur woh baarikhi se har cheez ki khabar rakhne wala hai' (Surat al-An`am 6:103).
Aur kya tum ne yeh nahi suna ke Allah taala farmata hai, 'Aur kisi bashar me taakat nahi ke Allah taala us se kalaam farmaye magar wahee ke zarye se ya parde ke piche se ya woh kisi paigham laane wala (farishte) ko bheje toh woh us ke hukm se jo chahe wahi kare, bilashuba woh bohat buland aur hikmat wala hai' (Surat ash-Shura, 42:51).

(Ummul momineen ne) farmaya, 'Jo shakhs ye samjhta hai ke RasoolAllah ﷺ ne Allah taala ki kitab maise kuch chupa liya to usne Allah taala par bahut bada bohtan baandha kyunki Allah taala farmata hai, 'Aye Rasool ﷺ! Pahuncha dijiye jo kuch Aap ke Rab ki taraf se Aap par nazil kiya gaya aur agar (bil farz) Aap ne aisa na kiya toh Aap ne uska paigaam na pohchaya (fariza e risalat ada na kiya)'  (Surat al-Ma'idah, 5:67).

(aur) Unhone farmaya, 'Aur jo shakhs ye kahe ke Aap ﷺ is baat (ilm e gaib) ki khabar de dete hai ke kal kya hoga toh us ne Allah taala par bahut bada jhut baandha, kyunke Allah taala farmata hai, '(Aye Nabi!) farma dijiye! koi ek bhi jo aasmaano aur zameen me hai, gaib nahi janta, siwaye Allah ke' (Surat an-Naml, 27:65).

Sahih Muslim, kitab al eemaan ﴾1﴿, hadees- 439.

۞ Kya Ibn Abbas ka ye aqidah tha ki Rasool ﷺ ne Allah ko dekha hai?

Ikrimah r.a. riwayat karte hai ki Ibn Abbas ne (is ayat ke mutallik) kaha, “Nazar ne jo kuch dekha, dil ne usmein jhoot na milaya (53:11).” Unhone farmaya, 'Unhone (Rasool ne) use (Allah ﷻ) ko dil se dekha'.

Jamia Tirmizi, kitab at tafseer ﴾47﴿, hadees- 3281. Imam Tirmizi ne ise hasan karaar diya hai.

Ibn Abbas r.a. ka ye aqidah tha ki RasoolAllah ﷺ ne Allah ko dil ki nigaah se dekha hai lekin hame RasoolAllah ﷺ se kisi hadees ke zarye ye khabar nahi mili hai. Aur Ibn Abbas r.a. ne jis ayat ko daleel banayi hai iski wazahat Ayesha r.a. ne upar ki hai ki RasoolAllah ne Jibrael ko dekha tha na ki Allah ko.  Aur Allah behtar janta hai.

•٠•●●•٠•
Read More »