اقرأ باسم ربك الذي خلق

31 Dec 2017

Kya Farz Namazon Ke Baad Ijtemaai Dua Karna Biddat Hai ?


Farz Namazon Ke Baad Ijtemaai Dua Karna Beshak Bid'at Hai, Aur Jo Amal Imam ul Ambia Muhammad Rasoolallah ﷺ Se Sabit Nahi To Ham Kaise Use Sunnat Samjh Kar Karlenge?

Namaz Ke Bad Ijtemai Dua Ki Shara'i Hesiat:

۩ Imam Malik: "Yeh Amal Biddat Hai". (Fath Ul Bari 326/2)

۩ Ibn E Qayyam: "Farz Namaz Ke Baad Ijtemai Dua Ap Salalahu Alahi Wasallam Ka Tareeq Nahi Tha". (Zaad Ul Maad 257/1) 

۩ Anwar Shah Kashmiri Deobandi: "Dua Ki Ijtemai Surat Jiska Ajkal Riwaj Hai Sabit Nahi" (Al Arf Al Shazi P#98)

۩ Saudi Majlis Ifta: "Hame Kisi Aisi Daleel Ka Ilm Nahi Jo Is Amal Ki Mashroiat Par Dalalal Karti Ho". (Alfatawa Alislamia 290/1)

۩ Ibn-e-Taymiya: "Yeh Amal Biddath Hai (Majmu Al Fatawa 519/22).

Namaz Ke Baad Ijtamai Dua Karna Biddat Hai Balkay Hamein Namaz Ke Baad Masnoon Azkaar Karna Chaiye Jo Ke Sunnat Se Sabit Hai. Mohammad ﷺ Ne Farmaya Ki Meri Sunnat Aur Khulfa Rashidin Ki Sunnat Ko Daanto Mazbuti Se Pakde Rahna Aur Har Nayi Chiz Jo Deen Me Nikali Jaye Usse Bachna Kyuki Har Nai Chiz Ek Gumrahi Hai.

[Musnad Imam Ahmad (4/126) And At-Tirmidhee (2676)].

Maulana Abdur Rahman Mubarakpuri r.h. Kahte Hain Ki Agar Koi Personally (Akela) taur par Namaz Ke Baad Haath Uthakar Dua Maang Leta Hai To Usme Koi Harz Nahi, Imam Ibne Taymiya Rh, Ibn E Qaiyyam Rh, Ibne Hajar Rh, Aur Bahut Se Muhaqqeen Ulma Ne Farz Namaz Ke Baad Mashoor Ijtemaai Dua Ka Inkaar Kiya Hai Aur Ise Bid'at Kaha Hai.

Aap ﷺ Ne Farmaya:- "Jald Hi Meri Ummat Me Aise Log Paida Honge Jo Paani Ke Istemaal Me Aur Dua Karne Me Hadd Se Aage Badh Jayenge".

Sunan Abu Dawood 1480, Imam Haakim Aur Imam Zahabi Ne Ise Sahih Kaha Hai.

Ijtemaai Dua Ki Daleel Me Bayaan Ki Jaane Waali Tamaam Riwayate Zaeef Hai... Allah Swt Hume Bidat Se Bachne Aur Sunnato Par Chalne Ki Taufiq Ata Farmaye.

•٠•●●•٠•

Prepared By:- A.Sayed.
Read More »

Aurto Ka Masjid Jana


RasoolAllah ﷺ ne Khawateen ko masjid aane ki ijazat di hai aur mardo ko hukum diya hai ke wo apni biwiyon ko masjid janay se na roke. Farmane Rasool ﷺ hai:

1. "Izas taazantim raata ahdikum falaa yamna'haa." 
Tarjuma:-Ager tum may se kisi ki biwi is se masjid jane ki ijazat talab kare to wo use mat roke, ijazat de de.

SAHIH BUKHARI (Volume 1, Book #12, Hadith #824)

2. Ibne Umar(R) se riwayat hi k Nabi kareem ﷺ ne farmaya "Izas Tazanakum Nisaawukum bil laili ilal Masjidi fazanoo lahunna."
 Tarjuma:-Ager tumhari auraten tum say raat ke waqt masjid me jane ki ijazat talab karen to tum log unhe uski ijazat de diya karo.

SAHIH BUKHARI (Volume 2, Book 13, Hadith 22)

3. RasoolAllah ﷺ ka farman hai "Laa tamnawoo ima'a Allahi masajidAllahi."
Tarjuma:-ALLAH ki bandiyon ko ALLAH K Gharon(Masajid) say mat roko.

SAHIH MUSLIM (Book 4, Hadith 886)

Is tarah ki aur bhi kai sahih Ahadees moujood hain.

Jab RasoolAllah ﷺ ne Aurato ko masajid may aane say nahi roka to phir humara kya huq hai unko rokne ka. ALLAH hum sub musalmano ko ALLAH aur USKE Rasool ﷺ ke ahkamat per amal kerne aur amal kerwane ki Towfeeq ata farmaye.Aameen ya Rabbul Aalamin.

۩ AURTO KA AZAN DENA AUR IQAMAT KAHNA:

Aurat sirf aurto ki jamaat ke liye azan de sakti hai. Ya jab wo khud namaz akele me padhti ho.  Aurat ko ijazat hai ki wo sirf apne aurat ki jamat ke liye hi azan de sakti hai. Lekin yahi baat mard ke liye nahi hai. Mardo ke liye ye khas zor dekar ye mustahab hai jaha tak aurto ke liye ye kare to jayz hai aur na kare to bhi jayz hai. Agar aurat azan deti hai use apni awaz niche rakhni chaiye aur sirf utna hi awaz buland karna chaiye jitna jamaat ki aurte sun sake. Sahih ahadiths me hai ki  Umm Salamah r.a. aur Aisha r.a. aurto ki imamat karti thi:

"Hazrat Aaisha r.a. azan kaheti thi aur iqamat aur fir imamat karati thin aur aurton ke darmiyan khadi hoti thi"

(Mustadrak haakim j. 1, page 204, Kitabus salat bab imamatal maratun nisa fil faraiz, AUR Abu dawood p. 1/87)

Note: Abu dawood ki riwayat me umme warqa razi ko Rasool ﷺ ne khud jamat karane ka hukm diya hai aur musdarak hakim ki riwayat me farz namaz ka bhi zikr hai ke wo imamat bhi farz

Arabic ref: بیہقی #٤٠٨/١ .......حاکم #٢٠٣/١ ........ابن ابی شیبہ #٢٢٣/١

۩ AURTON KI IMAMAT KA MASLA

 "Nabi sws ne Umme Warqa ko apne ghar walon ki Imamat karane ka huqm diya”

Sunan Abi Dawud 592 (hasan).

“Hazrat Aisha r.a. Tahira r.a. ke beech me khadi hokar aurton ki imamat karti thi”

(Mustardark haakim, baab imamatul imraat)

Ra’itah Al-Hanafiyyah riwayat karte hai ki Ayesha r.a. kahti hai ki wo Aurto ki Imamat karti thi aur har Farz namaz me unlogo ke sath khadi hoti thi.

Abdur-Raziq (5086), Ad-Daraqutni (1/404) and Al-Bayhaqi (3/131)

۩ Par Jab bhi aurat namaz padhti hai kisi jagah par wo jagah jitna hi poshida ho utna hi behtar hai isliye Aurto ki namaz unki masjid se behtar unke ghar me hai:

Abd Allah kahte hai ki RasoolALlah ﷺ ne farmaya Ek aurat ki namaz aagan se behtar uske ghar me hai aur uske ghar se behtar uske kamre me hai.

ABU DAWOOD (Book 2, Hadith 567) See also Saheeh al-Jaami’, no. 3833..

Abdullah Bin Mas’ud riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya aurto ke liye apne aagan me padhne se behtar hai ki wo apne gharo me padhe aur apne ghar me padhne se behtar hai ki wo apne poshida jagah par padhe.

ABU DAWOOD (Book 2, Hadith 570)

۩ AURAT KA NAMAZ E EID KE LIYE GHAR SE BAHIR NIKALNA JAIZ HAI!

Eidain ki namaz ke liye auraton ka ghar se bahir jana mashro hai, aurton ko iski khas tour per takeed ki gaye hai:

Umm-e-Atiya r.a. farmati hain ke "Hume namaz eid ke liye jany ka hukm diya jata tha, yahan tak ke hum kanwari bachiyon, perdah nasheen larkiyon aur haiza aurton ko bhi sath le jaya karte the taa-ke woh musalmano ke sath mil ke takribat parhain aur inki duaon mai shirkat karen aur is din ke fiyoz-o-barkaat ki umeed rakhen.

Sahih al Bukhari' hadis:324'wa sahi muslim'hadis:890.

Jahan tak haiza aurton ka ta'aluq hai to woh eid gaah mai namaz ki jagah sy alag reh ker kher-o-barakat aur musalmano ki duaon mai shirkat karen. is per Umm-e-Atiya R.A. ny kaha: "Aye Allah k Rasool ! Agar hum mai sy kisi ke pass chadar na ho to phir? App (S.A.W) ny farmaya: "Iski bahen isse apni chader pehna dey."

Sahih muslim'hadis:(12)-890.

Wajeh rahi ke namaz Eid ke liye jate waqt aurton ko khushbo aur fitna angaiz zaib-o-zeenat se ijtanab kerna chahye aur intehai sadgi k saath mardon sy alag thalag rehty huway bahir nikalna chahye. (Shiekh ibn Baaz) 
Kyunki Rasool Allah ﷺ ka irshad garami hai: "Jab tum mai sy koi aurat masjid mai (Namaz k liye) hazir ho to khushbo mat lagay."

[Sahih muslim'hadis:(142)-443.]

aur Hazrat Abu Mosa r.a. ki ravayat mai hai:

"Jab koi aurat khusbu laga kar kisi qaum k pass sy is liye guzrey k woh is ki khusbo ko mehsoos karen to woh aurat aisi aisi, yani zania hai."
[Sunan Abi daud, hadis:4173.]

۩ EIDGAAH ME AURTON KO NAMAZ KA HUQM

" RasulAllah ﷺ sahaba aur sahabiyaat ko (yahan tak ki haiz waali aurat ko bhi) saath lekar eidgaah ki taraf jaate, aapki eidgaah masjid e nabwi se hazaar feet ke faasle par Thi(fathul bari), yeh eidgaah baqi ki taraf thi"
(Sahih Bukhari fatah,2/465, hadith 976, kitabul eidain)

۩ LEKIN SATH ME KUCH SHARTE BHI HAI AURTO KO MASJID JANE KE LIYE:

1) Use pure Hijab me hona chaiye [for details refer to Al-Qur’an [SURAH AN NUR 24 VERSE 31]]

2) Use Khushboo laga kar nai jana chaiye.[for details refer to SAHIH MUSLIM (Book 4, Hadith 892, 893, 894)]

3) Use apne Shauhar se ijazat lena chaiye. Uske bahar nikalne se kisi tarah ki mamnoo chize shamil nai honi chaiye jaise na-mehram driver ke sath akele car me hona wagaira. Agar Aurat kuch galat karti hai to uske shauhar ka pura haq hai use rokne ke liye balki uska farz hai rokna. 

4) Aurto ko Aadmiyo se pahle masjid se nikalna chaiye.[for details refer to SAHIH BUKHARI (Volume 1, Book #12, Hadith #799, 809, 825, 829)]

5) Ek doosra darwaze ka intzam hona chaiye Masjid me sirf Aurto ke aane aur jaane ke liye.[for details refer to ABU DAWOOD ( Book 2, Hadith 484)]
Read More »

Mardo Aur Aurton Ki Namaz Me Fark Ka Jayez


Muqqalido Ki Janib Se Aurat Ki Namaz Me fark krna aur Zaif Riwayaten Dekar Awam ko bewkuf bnana Unki Taraf Se Di Jane Wali Zaif Riwayto Par Ek Nazar.

AURAT KA TARIQAE NAMAZ Buhut Se Masail Ki Tarah Namaz ke tariqe Ke Masail Me Bhi Ikhtilat hain magar Sirf Zaeef Ahadis Ki Bunyad Per Aur Is Bat Ko Buhat Ziada pehlaya Gya Hai k Aurat Ka Tariqa Mard Se Alag Hai jab Ke Sahi Ahadis me 1 Bhi Aesi Hadis Nahi Jo Ise Qowat Bakshe IN SHA ALLAH un Zaif Dalail Ko Wazeh Kiya Jaega Jo Ikhtilafat Ka ba'es Bane Hue Hain ALLAH amel Ki Tofeeq De......aameen

۞ Ibe Umar Rz.a Se Pucha Gaya ke Aurat NABI s.a.w. Ke Ahed Mubark Me Kis Tarah Namaz Parha Karti Thi? To Inhone jawab Diya K Pehle 4 Zano Ho Kar Bethti Thi Phr inhain Hukum diya Gaya Ke Khuob Simat Kar Namaz Ada Karen.
(jamiaul masanid_1/400).

► Wazahat:
Isme Ravi ABU MUHAMMAD BUKHARI hai Iske Bare Me AHMED SULEMANI Ne Kaha Ye Sanad aur matan ko dusri sanad aur matan ke sath laga diya karta tha AHMED BIN HUSAIN RAZI ne Kaha ZAEEF hai.
(lisanul mezan ibne HAJAR_3/358,349 mezanul Aetadal Zehbi_2/496).

۞ Wail Bin Hajer R.a Farmate Hai Ke "Mujhe RASULLULLAH saw ne namaz Ka Tariqa Sikhaya To Farmaya Ae Wail Bin Hajer R.a Jab Tum Namaz Shuru Karo To Apne Hath Kano Tak Uothao Aur Aurat Apne Hath Chhatiyan Tak Uthae"
(majmo'ae Zawaid_2/103).
► TEHQIQ:
Isme Ravi UMME YAHYA binte Abdul Jabbar Majhola Hai aur Iske Bare Me Isi Book Me Likha Hai Ke LAM ARAFAHA yani nahi Jante.

۞ Rasullullah s.a.w. 2 Aurto Ke Pas Se Guzre Jo Namaz Parh Rahi Thi Ap s.a.w. Ne Inko Dekh Kar Farmaya Ke "Jab Tum Sajda Karo To Apne Jism Ke Ba'az Hisso Ko Zameen Se Chimta Do Isliye Ke Isme Aurat Mard Ki Manind Nahi Hain"
(behqi_2/223).
► TEHQIQ:
Is hadis Me Rawi Yazid Bin Abi Habib hai Magr Inhone NABI alaihisalam Ka zamana Nai Paya To Ye Hadis Kese Riwayt Ki??? 43 Sal Bad Yazid Bin Habib Peda Hua
(Tehzibul Zehzeeb_11/ 279)
Ye Hadis munqata hai aur ravi mudalis hai. Lehaza ye ZAEEF hai..

۞ Rasul s.a.w. Ne Farmaya "Jab Namaz Ke Dauran Aurat Bethe To Apni Aik Ran Ko Dosri Ran Per Rakhe
Aur Jab Sajda Kare To Apne Pet Ko Apni dono Rano se Milale Is Tarah Ke IsSe Ziada Se Ziada sater Ho Sake
Aur ALLAH iski Tarf Dekhte Hain Aur Farishto Se Farmate KE FARISHTO! Tum GAWAH RAHO MENE IS AURAT KO BAKSH DIYA".

► TEHQIQ:
Ye Riwayt BehQI_3/74 me Hai YAHYA Bin MOEN ne ise Zaeef Kaha Iski sanad me ABU MOEET hai
1.jo Zaeef hai
2-.hadise gharta tha.
3.Marji Aur Kazzab Tha
4.Murjio k sarganoN me se tha

5.hadise waza karta aur sunan se adawat rakhta tha.

6.Hadise zabt karne me nakara tha.
(mezan_1/ 11,575,mezanul
A'tad_1/584 ,lisanul Mezan_2/334).
۞ "Agar Namaz Me Koi Esa Amal Jo Namaz Me Harij Ho pesh Hojae To Mard Tasbih Kahen Aur Aurte Sirf Tali".
(sahi muslim1/181).
► TEHQIQ:
Is Sahi Hadis Ka Galat Istadlal Ye karna ke mard aur aurat me fark hai to ye bat galat hai.
1.Jo bat jiske liye Ap s.a.w. Ne Khas kardi jae wo usi ke liye hai
2.Is masle ka tariqae namaz (qayam,ruku,sojod) se ta'luq nahi, Tariqa SALLO KAMA RA'AE TOMONI OSALLI ke tahet hoga.
3. Ahnaf Is Hadis Ke Khilaf Hain Kunki Imam ke bhol jane pe ye TASBIH nai bal'ke TAKBEER kehte hain.

۞ Imam Bukhari Rh.a ke Ustad Kehte Hain Ke " Mene AATA rh.a Se Suna Jab inse Aurat Ke Bare Me Pucha Gaya ke Wo Namaz Me Kese Hath Uthae to Inhone Farmaya Ke Apni Chatio Tak Aur Kaha K Namaz Me Apne Hathon Ko Is Tarah Na Uthae Jis Tarah Mard Uthate Hain Aur Inhone Is Bat Ko Jab Ishare Se Bataya To Hatho Ko Kafi Pust kia Aur Dono Ko Achi Tarah Milaya Aur Farmaya namaz Me Aurat Ka tariqa Mard ki Tarah Nai".
(Ibne abi sheba_1/339)
► TEHQIQ:
1. Pehli Baat Ye Hadis Hai Hi Nahi Qoul e Aata rh.a Hai Dalil Ahadise RASOL hoti Hai QOLE IMAM nahi..!!
2. Iski Sanad Me Hasheem Ke ustad majhol Hain.
3. Sanad me M0hammad Bin Baker jinke Bare Me IMAM NISAI ne Kaha QAWI nahi.

(tehzibul tehzib_9/68)

Ye Qaul Hone Ke Bawajod Sahi sanad se wazeh nahi.

۞ Hazrat Ali R.a Se Riwayt Hai Ke "Jab Aurat Sajda Kare To Sureen Ke Bal Bethe Aur Apni Rano Ko Milaale"
(behqi_vol:2_pg :223).
► TEHQIQ:
Iski Sanad Me HARIS A'OUR hai jiske Bare Me Kaha gaya,
1_IMAM JARIR Ne Kaha K Mardod Hai
2_ABU HATIM ne Ka Ye Qawi Nahi
3_IMAM NISAE ne bhi yahi kaha
4_IMAM DARQUTNI ne kaha Zaef Hai
5_IBNE MADNI ne Kaha KAZZAB hai
6_Imam MOGYYARA kehte Han Ali R.a Ki riwayat Me Inki Tasdiq Nahi ki gai.
7_IMAM muslim ne Bhi Haris Ko Jhuta Kaha (tehzibul tehzib_vol:2_pg :126)
Lehaza Ye riwayat Zaef Hai Aur Isi Tarah IBNE ABBAS r.a Wali Riwayat Bhi Zaef Hai Aurat Ke namaz Ka Tariqe me Jitni Bhi Ahadis Hain Wo Sab Na qable qabol Hai zaef Hai.

►Aurat ka tariqa bhi mard ki tarah hi hai namaz ke hawale se baz masail alag hai magar tariqa nahi!.

۩ "NAMAZ me Aurat ka Sar khula Na ho, jab'k Mard ka khula ho to Harz nahi".
(bukhari 1/532).
۩ "NAMAZ me Aurat ke Thakne nange na ho jb k Mard k takhne Khule ho."
(Abu dawood 1/94).
۩ "AURAT mardo ki imamat nahi kara sakti Jab'k Mard Aurto ki imamat kara sakta hai."
(muhalla ibne hazam 3/136,135un ali r.z).

۩ "IMAM ke bhulne pe Aurat tali bjaegij Jab'k mard SubhanAllah Kahega.

(sahi muslim 1/180un abi huraira r.a) .
۩ "AGAR Aurat Aurton ki imamat karaegi to wo saf ke Darmiyan me Khari Hugi jab'ke Mard Tanha age Khara hota ha."
(behqi 3/131un ibne abbas r.a).
۩ "MUSHTARKA Jamat me aurat ki saf Sabse pichly (last) me hogi jab ke mard ki sabse aage hogi."
(sahi muslim 1/182un abi huraira r.a) .
۩ "Aurat Na Azan De sakti Hai aur mardo ki jamat me Takbeer keh skti ha".
(muhalla ibne hazam 2/16z) .
Note:
Aurat Aurton ki had tak mehdod ho kar Takbeer keh skti hai.

۩ " Mard saf me akela khara nai ho sakta jab ke aurat khari ho sakti ha".

(Bukhari 1/101) .
۩ "Agr 2 admi jamat karaen to muqtadi daen Janib khara hoga jb'ke aurat piche khari hogi.
(bukhari 1/101).
۩ "Mard Par Farz Namazo Ke Liye Masjid Me Ana Mustahab Hai. Jab'ke aurat Ka ana mustahab Nai Bal ke Mubah hai ."

۩  "Mard Masjid Me Aate Waqt Khoshbo Istimal Kar Sakte Hain Khawateen Hargiz Nahi."
(muslim_vo l:1_pg:183).
۩  "Mardo Pe Jumma Farz hai Aurto Pe Nai".
(abu dawood_vol:1_pg :153).

In Masail ko Aurat ki Namaz Ko Alag Dalil Banana Ke Aurat Mard Ki Tarah Nahi Lehaza Iski Namaz bhi Mard Ki Tarah Nahi ye Sirf Inke Moonh Ki Baate hain, Hadeese e Mohammad ﷺ Me Tariqa e Namaz Me Koi Fark nahin.
Read More »

Nek Logo Ka Wasila Laga Kar Dua Mangne Ke Ahkaam


Islam me Ilm ka sabse bada zarya Quran hai aur uske baad sunnah hai yani RasoolAllah ki sahih hadiths. Jab Islam me kisi chiz ko fard ya sunnah ya mubah ya makrooh ya haram ka darja diya jata hai to sirf aur sirf Quran aur sunnah ki roshni me.

Jaha tak duao me waseela ka maslah hai toh ye jaan le ki Quran ya sunnah me kahi bhi nahi likha hai ki dua me Nek logo ka wasilah lagana chaiye ya Nek logo ka wasila lagane se duae jaldi qubul hoti hai. Balki Quran aur sunnat me jitni bhi duae Allah aur uske Rasool ﷺ ne hame sikhai hai wo sab bina wasile ki dua sikhayi hai. Aur Quran me 25 ayate hai jo kahti hai ki waseela haraam hai [Dalail ke liye is article ke comments padhe.] .

Allah pak Quran me farmate hai:

Khabardaar! Allah ke liye hai khalis deen aur wo log jinhone hai uske siwa Auliyao ko  bana rakha (aur wo kahte hai) nahi ham ibadat karte unki magar taaaki wo waseela ban jaye hamko Allah ke qareeb karne ka. Beshak yeh log jiss baray mein ikhtilaf ker rahey hain iss ka (sacha) faisla Allah (khud) keray ga. Jhootay aur na-shukray (logon) ko Allah Taalaa raah nahi dikhata.Quran, Surah az zumar ayat 3 .

Aur yeh log Allah kay siwa aisi cheezon ki ibadat kertay hain jo na unn ko nuksan phoncha sakti hai aur na unn ko nafa phoncha sakti hai aur kehtay hain kay yeh Allah kay pass humaray sifarshi hain. Aap keh dijiye kay kiya tum Allah ko aisi cheez ki khabar detay ho jo Allah Taalaa ko maloom nahi na aasmanon mein aur na zamin mein woh pak aur bartar hai inn logon kay shirk say.Surah Yunus ayat 18.

(kuch log kah sakte hai ham unki ibadat thodi na karte hai balki ham to sirf unse dua karta hai to unke ilm ke izafe ke liye bata du ki RasoolAllah ne farmaya hai ki DUA EK IBADAT HAIJamia -Tirmizi, Vol-no: 2, Book:(Kitab-ul- Dua), Hadees-no:1297 )

Yeh (azab) tumhen iss liye hai ke jabb sirf akelae Allah ka zikr kiya jata to tum inkar kar jatay thay aur agar iss kay sath kissi ko shareek kiya jata tha to tum maan letay thay pus abb faisal Allah buland-o-buzurg hi ka hai.

Surah-Momin-(Fussilat) 40 ayat 12.

Ye ayat saaf taur par mushrikeen e Makkah ki halat bayan karti hai par afsos hai ki Aj ke Muslim ummah ke kuch firke bhi isi aqide ke hai jab ki unke samne Allah ka kalam padha jata hai.

Imam Abu Haneefa farmate hai:

“ Duaa,ba haq Nabi aur Wali ke Wasila se Mangna na-pasandeeda amal hai is liye kyu ki Makluq ka kuch haq Allah par nahi.

( Hidaya page No : 226).

Ab Quran ki ayato ki hi misaal lele. Surah fatiha jise ummul dua bhi kahte hai jo har namazi apne namaz me padhta hai usme kahi bhi wasile ka zikr nahi hai. Ham padhte hai har namaz me اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ jiska tarjuma hai ki (Ae Allah) hame sidhi Raah dikha agar waseela lagana zara bhi behtar ya jaiz hota to is ayat me likha hota ki (Ae Allah) hame Muhammad s.a.w. ke wasile se sidhi raah dikha. Par aisa kuch bhi nahi hai. Jab ki Is surat ko Ummul Quran kaha gaya hai matlab pure Quran ki Maa. Aur sirf yahi surat nahi jitni bhi duae Allah aur uske Rasool ne sikhai hai koi bhi aisi dua nahi hai jisme RasoolAllah ya kisi nek insan ka wasila laga ho.

Kuch log surah maida ki ayat 35 pesh karte hai ki aur kahte hai ki Allah pak farmate hai ki Waseela lena chaiye,  aiye ham is ayat ki tahkeek karte hai [Is ayat ki detailed tafseer ke liye ye article padhe] :

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اتَّقُوا اللَّهَ وَابْتَغُوا إِلَيْهِ الْوَسِيلَةَ وَجَاهِدُوا فِي سَبِيلِهِ لَعَلَّكُمْ تُفْلِحُونَ-

Is ayat ka tarjuma:

Ae Eeman Walo! Allah Taalaa say dartay raho aur uss ka qurb talash kero aur uss ki raah mein jihad kero takay tumhara bhala ho.

Kuch tarjuma likhne wale jinki Arabic kamzor hai unhone kuch aesa tarjuma kiya hai:

Ae Eeman walo Allah se daro aur uski taraf wasilah dhundo aur uski Raah me jihad karo is ummeed par ki falah pao.

source: https://www.ahadees.com/quran/ayat.php?surah=5&ayat=35

Ab jo Arabic word waseela hai uska matlab urdu lafz wala waseelah nahi hai, iska matlab nazdeeki hai. Zaruri nahi hai ki jo Arabic lafz hai uska matlab bhi wahi ho. Misaal ke taur par jo Quran me surah baqara hai..to Arabic me baqara lafz hai par is lafz ka matlab urdu wala baqara (goat) nahi balki Gaae(cow) hai. Isi tarha waseela ka matlab Arabic me nazdeeki hota hai.

Abu Wail Shaqeeq bin Salma (Tabiyee) is ayat ki tafseer me kahte hai,

"وَابْتَغُوا إلَـيْهِ الوَسِيـلَةَ } يقول: واطلبوا القربة إلـيه بـالعمل بـما يرضيه. "

 "(Allah ki) nazdeeki haasil karo nek amal kar ke".

[Tafsir at-Tabri under 5:35]

Aur RasoolAllah ki hadith hame batati hai ki  kya Allah ki nazdeeki RasoolAllah ke wasile se hasil hoti hai ya fir kuch aur amal karne se:

Abu Huraira (Radi Allahu Anhu) se rivayat hai ki Rasoollallah (SallallahuAlaihi Wasallam) ne farmaya ki Allah Subhanahu tala farmata hai Jisney mere kisi Wali se Dushmani ki usey meri taraf se Elan-e-Jung hai aur Mera banda Jin Jin Ibadaton se Mera Qurb haasil karta hai (unme se) koi Ibaadat mujhko us sey ziyaada pasand nahi hai jo mainey us par farz ki hai (jaisey Namaz ,Roza , Hajj, Zakaat..)
Aur mera banda farz Ada karney ke baad Nawafil Ibaadat karte hue mujhse itna ziyada nazdeek ho jata hai ki main us sey Muhabbat karney lag jata hu phir jab main us se Muhabbat karney lag jata hu to Main uska Kaan (ear) ban jata hu jis sey wo sunta hai, uski Aankh ban jata hu jis se wo dekhta hai , uska haath banjata hu jis sey wo pakadta hai ,uska paaw (leg) ban jata hu jis sey wo chalta hai. Aur agar mujhse maangta hai to main usey deta hu, agar wo kisi Dushman ya shaitan se meri panaah ka talib hota hai to main usey Mehfooz rakhta hu aur main jo kaam karna chahta hu us mein mujhe itna taraddud (hesitation) nahi hota jitna ki mujhe apney momeen bandey ki Jaan nikaalney mein hota hai wo to Maut ko pasand nahi karta aur mujhe bhi usko takleef dena achcha nahi lagta.

(Narrated by al-Bukhaari, 6502)

Islami shariat me hame Allah ke naam aur apne nek aamal ke zarye se  mangne ki ijazat hai aur agar koi nek insan zinda hai to usse dua karwa sakte hai  lekin nek log jo faut ho gaye ho unka waseela laga kar dua mangna galat hai. Allah pak farmate hai:

(Ae Muhammad ﷺ) Jab meray banday meray baray mein aap say puche to aap keh den kay mein(apne bando se) boht hi qarib hun har pukarney walay ki pukar ko jab kabhi woh mujhay pukaray qabool kerta hun iss liye logon ko bhi chahaiye kay woh meri baat maan liya keren aur mujh per eman rakhen yehi unn ki bhalaee ka baees hai.

Surah Baqara ayat 186.
•٠•●●•٠•                       
Related:
۩ WASEELA AUR ASLAAF E UMMAT KA TARIKA E KAAR
۩ SURAH MAIDA 5 AYAT 35 KI TAFSEER
Read More »

Namaz E Nabawi- Shuru Se Akhir Tak (Mukhtasar)


Yeh ibaarat Shaykh Saalih ibn al-Fawzan Hafidhullah ki Kitab ‘Fiqhi Ahkkam wa Masail’ ki Urdu Tarjumey se li gai hai. Page No. 118-120.

Rasoolullah ﷺne farmaaya;

“Tum Namaaz aise parho jaisey tum ne mujhe Namaaz parhtey dekha.” [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azan, Hadees # 361]

۞ Rasoolullah ﷺ jab Namaaz ke liye khadey hotey to Qibla ki taraf rukh karte aur apne haathon ko kandhon ya kaano ke baraabar uthaatey. Apni hatheliyo ko Qibla ki Jaanib karte aur ‘Allaah u Akbar’ kehte the. [Saheeh Muslim Kitab us Salaaat, Hadees No. 390-391] 

۞ Phir Daayein Haath se baayein haath ko pakadtey. [Sunan Nasai, Hadees No. 888] 

۞ Aur Dono Haatho ko seeney par baandh letey. [Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 759, Ibn Khuzaymah, Kitab us Salaat, Hadees No. 243] 

۞ Uske baad aap ek yeh dua parhte they. ‘Subhaanaka Allaahumma wa bihamdika wa tabaarakaasmuka…………………….’ [Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 775-776] 

۞ Phir Aap ‘Auzubillahi min ash shaitaan ir rajeem’ [Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 764]

۞ Aur Bismillaahi ir-Rahman ir-Raheem parhtey the. [Saheeh Muslim, Kitab us Salaat, Hadees No. 399] 

۞ Phir Aap Surah Faatiha parhtey the. [Saheeh Muslim, Kitab us Salaat, Hadees No. 498] 

۞ Jab Surah Faatiha Khatam kartey to ‘Aameen’ kehte. [Sunan Nasai, Hadees No. 880] 

۞ Surah Faatiha ke baad Aap kabhi lambi kabhi chhoti to kabhi darmiyaani Soorah parhtey. [Sunan Nasai, Hadees No. 983] 

۞ Fajr Ki Namaazon mein dusri Namaazo ki nisbat lambi qirat karte. [Saheeh Bukhaari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 771] 

۞ Aap Fajr Ki Namaaz mein aur Maghrib Aur Ishaa Ki Namaaz ki pehli do raka’aton mein buland awaaz se qirat karte the. Baaqi mein Aahista [yani be-awaaz] qirat karte the. 
[Fajr ki Daleel: Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 773. 
Maghrib ki Daleel: Saheeh Bukhaari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 763-764.
Ishaa ki Daleel: Saheeh Bukhaari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 766-767] 

۞ Aapka ye ma’amool tha ke har Namaaz mein pehli Rakaat dusri rakat se lambi hoti. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 758-759]

۞ Phir Aap usi tarha Rafayadein karte jis tarha Namaaz ke shuru karte waqt karte the aur ‘Allaah u Akbar’ kehte hue Haalaat e Rukoo mein chale jaatey. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 736-737] 

۞ Apne haathon ki ungliyaan khol kar ghuton ko ke upar yun rakhte jaisa ke unhein mazbooti se thaamey hue ho. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 828] 

۞ Apni Kamar ko hamwaar rakhtey aur sarr ko kamar ke baraabar iss tarha rakhtey ke won a unchaa hota aur na jhuka hua hota. [Saheeh Muslim, Kitab Us Salaat, Hadees No. 498]

۞ Aur Subhaana Rabbiyal Azeem kehte. [Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 871] 

۞ Phir Sami allaahu liman hamidah kehte hue [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 795]

۞ Rukoo Se apna sarr uthaatey aur Rafayadein karte the. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azan, Hadees No. 736] 

۞ Jab Aap seedhey khadey ho jaatey to’ Rabbanaa wa lakal-hamd’ kehte [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azan, Hadees No. 796].

۞ Phir Allaah u Akbar kehte aur sajdey par chaley jaatey. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 789] 

۞ Iss maukey par Aap Rafayadein na karte the. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 735]

۞ Aap peshaani, naak, dono haathon, dono ghutno aur duno qadmon ki ungliyo par sajdah karte the. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 812] 

۞ Apne Haathon aur Paaon ki ungliyo ko Qiblah ki jaanib rakhtey. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 828]

۞ Haalaat e Sajdah mein Itidaal aur itminaan ka khaas khyaal rakhtey. Peshaani aur naak achi tarha zameen par tikaatey. [Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 858] 

۞ Hatheliyon par bojh daaltey aur kehniyo ko zameen se uthaa kar rakhtey. [Saheeh Muslim, Kitab us Salaat, Hadees No. 494] 

۞ Apne Baazoo badan se alag rakhtey. [Saheeh Bukhari, Kitab us Salaat, Hadees No. 390] 

۞ Pet ko Raanon se aur pindhiliyo se unchaa rakhte. [Saheeh Muslim, Kitab us Salaat, Hadees No. 496] 

۞ Haalat e Sajdah mein Subhaana Rabbiyal Alaa kehte. [Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 871] 

۞ Phir Allaah u Akbar kehte hue apna sarr mubaarak uthaatey. [Saheeh Bukhaari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 789] 

۞ Baayein paaon ko bichhaa kar uss pe baith jaatey aur daayein paaon ko khada kar rakhtey aur haathon ko raano par rakh letey. [Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 957] 

۞ Aur yeh dua parhtey, ‘Allaahmma agh-firli warhamni wa ’ajburni wa ’ahdini wa ‘arzuqni’ [Jama Trimizi, Kitab us Salaat, Hadees No. 284] 

۞ Phir Aap Allaah u Akbar keh kar sajdey mein chaley jaatey. [Saheeh Bukhaari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 803]. 

۞ Aur usi tarha karte jis tarha pehle sajdey mein kiya tha. Phir Allaah u Akbar keh kar Sarr Mubaarak uthaatey. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 803] 

۞ Phir Aap dono haathon ko zameen par lagaa kar unke sahaarey khadey hotey. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 824]. 

۞ Jab Aap achi tarha khadey ho jaatey to Qirat shuru karte aur phir dusri rakat usi tarha parhtey jis tarha pehle rakaat parhtey they.

۞  Phir Tash’hudd awwal ke liye yun baith’tey jis tarha do Sajdo ke darmiyaan baith’tey the. Daayaan haath daayein raan par aur baayaan haath baayein raan par rakhte. Daayein haath ke angoothey ko darmiyaan waali ungli ke saath milaa kar halqa (circle) ki shaql banaa letey the. Aur shahaadat ki ungli se ishaara karte the. [Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 957]
۞ Aur uss par nazar rakhtey. [Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 990]

۞ Phir yeh kalmaat parhtey, “Attahiyyaatu lillaahi wassalawaatu………….” [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 831, Saheeh Muslim, Kitab us Salaat Hadees No. 402]

۞ Aap darmiyaane tash’hud ke liye thori der baith’tey

۞ Phir aap takbeer kehte hue khdaey ho jaatey. [Saheeh Bukhaari, Kitaab ul Azaan, Hadees No. 803].
Iss mauqey par aap Rafadein bhi karte the. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 739]

۞ Aur teesri aur chauthi rakaat ada kartey. Yeh Rakaatein pehli do rakaato se mukhtasar hoti thi. Kyunki aap inn mein sirf Surah Fatiha parha karte the. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 776, Saheeh Muslim, Ktab us Salaat, Hadees No. 451]

۞ Phir aakhri tash’hud mein iss tarha baith’tey ke baayein paaon ko bichhaa kar daayein paaon ki pindli ke neeche se kadam baahar nikaal letey, daayein paaon ko khada kar letey aur zameen par baith jaatey. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, 828]

۞ Phir aakhri Tash’hud parhtey. Uss mein tash’hud ke ilaawa durood sheriff parhtey. “Allaahumma salli alaa Muhamadin wa alaa aali Muhammadin……………….” [Saheeh Muslim, Kitab us Salaat, Hadees No. 406]

۞ Phir aap aakhir mein Jahannum, azaab e qabr, zindagi aur maut ke fitno aur dajjaal ke fitney se Allaah Ta’ala ki panaah talab karte aur wo duaayein karte jo Kitab o Sunnat mein maujud aur mehfooz hai. Darj e zil Dua apko bahut pasand thi, balke aap ne isey parhne ka hukm diya.

۞ “Allaahumma innee auzu bika min azaabil qabri, wa min azaabi jahannama, wa min fitnatil-mahyaa wal-mamamaati, wa min sharri fitnail-maseehid dajjaal.” [Saheeh Muslim, Kitab ul Masaajid, Hadees No. 588]

۞ Phir aap daayein jaanib aur baayein jaanib ‘Assaamu alaykum wa rehmatullaahi’ keh kar salaam phertey the. [Saheeh Muslim, Kitaab ul Masaajid, Hadees No. 582]

۞ Kalmaat salaam ki ibtidaa Qibla ki taraf moonh kar ke karte aur aakhri kalmaa adaa karne tak chehra mukammal daayein ya baayein taraf pher letey the.

۞ Jab Aap salaam pher letey to teen martaba ‘Astaghfirullah’ kehte aur phir yeh kalmaat kehte; ‘Allaahumma antas-salaamu wa minkas-salaamu, tabaarakta yaa Zal-Jalaali wal-ikraam’. [Saheeh Muslim Kitaab ul Masaajid, Hadees No. 592]

۞ Phir Aap wo duaayein parhtey jo kitub ahadees mehfooz aur maujud hai.

Shaykh Saalih Fawzaan ibn al-Fawzaan hafizullah aagey farmaatey hai; 

‘Aye Musalmaan! Kitab o Sunnat ki roshni mein Namaaz ka yeh mukhtasar sa bayaan hai. Aap ko chaahiye ke apni Namaaz mein inn cheezo ka khoob ihtimaam karey taa ke aapki namaaz hatta al-imkaan Rasoolullah ﷺ ki Namaaz ke mutaabiq ho. Allaah ka irshaad hai;

‘Yaqeenen tumhaarey liye Rasool mein umdah namoona hai, har uss shaqs ke liye jo Allaah Ta’ala ki aur Qayaamat ke din ki tawaqqo rakhta hai aur ba-kasrat Allaah ko yaad karte hai. [Qur’an, Surah, Ahzab, Ayat No. 21].

Allaah Ta’ala se dua hai ke wo humein achey amaal ki taufeeq de, Aameen.

Jazak Allah Khairan.
Read More »