اقرأ باسم ربك الذي خلق

8 Jan 2018

Allah Uski Dua Kaise Qubul Kare


Dua ki qubuliyat ki shart maise ye bhi hai ki ek banda halal zarye ne kamaye. Par ham maise aksar log sood aur digar haraam zarye se rozi hasil karte hai. Aur fir shikayat karte hai ki Allah hamari dua kyu nahi qubul farmata.

۩ Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya tha, "Logo par ek aesa zamana ayega ki admi is baat ki parwah nahi karega ki wo halal tarike se kama raha hai ya haraam tarike se."

Sahih al-Bukhari, Kitab al Buyu', Hadith- 2059. 

۩ Abu Huraira r.a. se riwayat hai ke unhone ne kaha RasoolAllah ﷺ ne farmaya,

"Aye logo Allah Paak hai aur paak (maal) ke siwa koi maal qubool nahi karta. Allah ne momino ko bhi isi baat ka hukm diya hai jiska Rasoolon ko hukam diya hai. Allah ne farmaya, "Aye paigambaraan e karaam! Paak cheezen khaao aur nek kaam karo. Jo amal tum karte ho mai usay achi tarah janne wala hu. Aur farmaaya Jo pak rizq hamne tumhe inayat farmaya hai us maise khaao.

Fir Aap ﷺ ne ek aadmi ka zikr kia "Jo taweel safar karta hai, Baal pur-agard aur jism ghubaar-alood hai wo ( dua ke liye) aasmaan ki taraf apne haath uthata hai, (aur kahta hai) "Aye mere Rab! Aye mere Rab". Jab ke iska khana haraam ka hai, iska peena haraam ka hai, iska libaas haraam ka hai aur isko ghizaa haraam ki mili hai, fir iski Dua kaise qubool ho sakti hai."

Sahih Muslim, Kitab ul Zakat, Hadith no- 1015.

Allah ham sab ko halal rizk ata kare. aameen.
Read More »

Tahiyyatul Wuzu


Tahiyyatul wuzu, wuzu karne ke baad do rakat namaz padhne ka naam hai. Aur riwayato me iski bahot ahmiyat milti hai. Lekin ham maise aksar is namaz se anjaan hai.

۝ Abu Hurairah r.a. bayan karte hai ke Rasoolullah ﷺ ne namaz fajar ke waqt Bilal r.a. se farmaya: ‘Aye Bilal! Mere saamne apna wo aamal bayan karo jo tumne Islam me kiya aur jis par tumhe sawab ki bahot zyada ummeed hai, kyu ke maine apne aage Jannat me tumhare jutiyo ki aawaaz suni hai.

Bilal r.a. ne arz kiya, Mere nazdeek jis amal par mujhe (sawaab ki) bahot zyada ummeed hai. Wo ye hai ke mai ne Raat ya Din me jab bhi wuzu kiya to is wuzu ke sath jis qadr nawafil namaz mere muqaddar me thi zaroor padhi (yaani har wuzu ke baad 2 rakat nawaafil padhe).’

Sahih al Bukhari, kitab al tahajjud, hadees- 1149. Sahih Muslim, fazaael al sahaaba, baab min fazaail bilal, hadees- 2457.

۝ Uqba bin Aamir r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

‘Jo Shaqs wuzu kare aur khoob sanwar kar accha wuzu kare. Fir khada hokar dil aur munh se (zaahiri o baatini taur par) mutawajje hokar 2 raka’at (nawafil) namaz adaa kare to iske liye jannat wajib ho jati hai.’

Sahih Muslim, at-tahaara, hadees- 234.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame is namaz ko kasrat ke sath ada karne ki taufeek ata kare. aameen.
Read More »

Salatul Hajat ke Sharai Ahkaam


۩ Abd-Allaah ibn Abi Awfa al-Aslami r.a. bayan karte hain ki:

Hamare paas Rasoolullah ﷺ aaye aur farmane lage,

“Jis Kisi ko Allah ya kisi makhlooq ke samne zaroorat aur haajat ho to woh shakhs wazu kar ke do rakat ada kare aur fir yeh kahe:

لا إِلَهَ إِلا اللَّهُ الْحَلِيمُ الْكَرِيمُ سُبْحَانَ اللَّهِ رَبِّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ مُوجِبَاتِ رَحْمَتِكَ وَعَزَائِمَ مَغْفِرَتِكَ وَالْغَنِيمَةَ مِنْ كُلِّ بِرٍّ وَالسَّلامَةَ مِنْ كُلِّ إِثْمٍ أَسْأَلُكَ أَلا تَدَعَ لِي ذَنْبًا إِلا غَفَرْتَهُ وَلا هَمًّا إِلا فَرَّجْتَهُ وَلا حَاجَةً هِيَ لَكَ رِضًا إِلا قَضَيْتَهَا لِ-

'La ilaha illallahul-halimul karim. Subhan-allahi rabbil-arshil-azim. Al-hamdu lillahi rabbil alamin. Allahumma inni as’aluka mujibat rahmatika, wa aza’ima maghfiratika, wal-ghanimata min kulli birrin, was-salamata min kulli ithmnin. As’aluka alla tada’a li dhanban illa ghafartahu, wa la hamman illa farrajtahu, wa la hajah hiya laka ridan illa qadaitaha li.'

(None has the right to be worshipped but Allah, the Forbearing, the Most Generous. Glory is to Allah, the Lord of the Mighty Throne. Praise is to Allah, the Lord of the worlds. O Allah, I ask You for the means of Your mercy and forgiveness, the benefit of every good deed and safety from all sins. I ask You not to leave any sin of mine but You forgive it, or any distress but You relieve it, or any need that is pleasing to You but You meet it).

Fir Dunyawi aur Akhirat ke mamlaat se jo chahe mange, usay diya jaayega.”

Sunan Ibn Maajah, Iqaamat al-Salaah wal Sunnah, hadees- 1384.

Lekin Is hadith ko Imam Tirmidhi aur digar Muhaddiseeno ne zaif karar diya hai.

۩ Imam Tirmizi farmate hai, "Yeh hadith Hasan Gareeb (zaif ki ek qism) hai, is ki sanad mein kaha jata hai ki 'Faa’id ibn ‘Abd al-Rahmaan' hadees mein zaif hai".

Sunan Tirmidhi, kitab al witr, hadees- 479.

۩ Shaykh Zubair Ali Zai bhi isko Mishkaat ul Masabih me zaif kahte hai.

Mishkaat al-Masaabeeh, Sunan Tirmidhi, Kitab al Witr, Hadith no: 479.

۩ Sheikh Albani kahte hai, "Balki, ye boht zaif hai".

Mishkaat al-Masaabeeh, vol. 1, p. 417.

۩ Imam Hakim kahte hai, "Fa’id ibn ‘Abd al-Rahman, Ibn Abi Awfa se manghadhant hadeese bayan karta hai."

Tahzeeb al Tahzeeb, Jild-8, Page- 256.

۩ Ibn Hajar al-Asqalani kahte hai, "Munkar, wo (ulema e hadith) is par (jhut ka) ilzam lagate hai."

Tahrir al-Maqalat fi Sharh al-Risalah, Jild-3, Page-153.

۩ Ibn e Jawzi ne is riwayat ko apne kitab Al Mawzuat me jama kiya hai. (Al Mawzuat me Ibn Jawzi ne kitab saari zaif aur maudu hadith jama ki hai).

Talkhis Kitab Al-Mawdu'at lil-Ibn al-Jawzi, Page-190.

۩ Al-Sunan wa’l-Mubtada’aat kitab ke Musannif (author), Faa’id ibn ‘Abd al-Rahmaan ke bareme Imam Tirmidhi ki raaye likhne ke baad kahte hai, "Imam Ahmad ne kaha hai ki ye Matrook raawi hai, aur Ibn Arabi ne is raawi ko zaif karar diya hai".

Aur Imam Muslim ne bade saaf Alfazo me Sahih Muslim ke Muqaddame me likh diya hai ki Zaif Hadees Deen me Dalail nahi hoti. (Padhe: Sahih Muslim ka Muqaddama)

•٠•●●•٠•
Read More »

Kasrat Ke Sath Riwayat Karne Wale Sahaba Aur Tabaeen


۩ KASRAT KE SATH RIWAYAT KARNE WALE SAHABA :


Naam- Abu Hurairah

Umar - 78 saal. 

Wafaat - 59 Hijri.

Tadad e riwayat - 5374 riwayate.



Naam-  Abdullah ibn Umar 

Umar - 86 saal. 

Wafaat - 74 Hijri.

Tadad e riwayat - 2630  riwayate.



Naam-  Anas bin Malik

Umar - 102 saal. 

Wafaat - 93 Hijri.

Tadad e riwayat - 2286 riwayate.



Naam-  Ayesha

Umar - 65 saal. 

Wafaat - 58 Hijri.

Tadad e riwayat - 2210 riwayate.



Naam-  Jabir bin Abdullah

Umar - 95 saal. 

Wafaat - 74 Hijri.

Tadad e riwayat - 1540 riwayate.



Naam-  Abdullah ibn Abbas

Umar - 71 saal. 

Wafaat - 68 Hijri.

Tadad e riwayat - 1160 riwayate.



Naam-  Abu Saeed Khudri

Wafaat - 74 Hijri.

Tadad e riwayat - 1100 riwayate.

.....................................

۩ KASRAT KE SATH RIWAYAT KARNE WALE TABAEEN


1. Amir Shaiba

2. Shaiba bin Hajjaj 

3. Ata bin Abi Rabah

4. Ikrama Maula ibn Abbas

5. Saeed bin Zubair

6. Saeed bin Musayyab

7. Hasan Basri .
Read More »

Hadith Ke Darje

۩ DARJA - 1

Jis Ko Imam Bukhari Aur Imam Muslim, Dono Ne Riwayat Kiya Ho, Ise Mutaffik Alaihe Bhi Kaha Jata Hai.

۩ DARJA - 2

Jis Ko Sirf Imam Bukhari Ne Riwayat Kiya Ho.

۩ DARJA - 3

Jis Ko Sirf Imam Muslim Ne Riwayat Kiya Ho.

۩ DARJA - 4

Jis Ko Bukhari Aur Muslim Ki Shara'it Ke Mutabik Kisi Dusre Muhaddis Ne Riwayat Kiya Ho

۩ DARJA - 5

Jis Ko Sirf Bukhari Ki Shara'it Ke Mutabik Kisi Dusre Muhaddis Ne Riwayat Kiya Ho

۩ DARJA - 6

Jis Ko Sirf Imam Muslim Ki Shara'it Ke Mutabik Kisi Dusre Muhaddis Ne Riwayat Kiya Ho

۩ DARJA - 7

Jis Ko Sirf Imam Muslim Ki Shara'it Ke Mutabik Kisi Dusre Muhaddis Ne Sahih Samjha Ho.

•٠•●●•٠•
Read More »

Hadith Ki Aqsaam

Rasoolullah ka farman, "Qawli Hadith" kahlati hai.

Rasoolullah ka Amal, "Faeli Hadith" kahlati hai.

Rasoolullah ki ijazat, "Taqreeri Hadith" kahlati hai.

..............................................

Hadith char (4) tarha ki hoti hai: 

۩  Marfu - Jis hadees me sahaba, Rasoolullah ka naam lekar hadith bayan kare.

۩  Mauquf - Jis hadees me sahabi RasoolAllah ka naam liye bagair hadith bayan kare ya apne khayal ka izhaar kare.

۩  Aahaad - Jis hadees me rawi tadad me mutawatir hadith ke rawio se kam ho. Iski 3 kisme hai.

۩  Mutawatir - Jis hadees ke raawi har zamane me itne ho ki unka jhut par ikhatta hona mumkin nahi ho.

•٠•●●•٠•
Read More »

Hadith Ki Pahli Kitab


Hadith Ki Pahli Mudawwan (Jama Ki Gai) Wa Murattab Kitab Muwatta Imam Malik Batayi Jati Hai, Yeh Fiqhi Tarteeb Par Mushtamil Hai. Muwatta Arabic Zuban Ka Lafz Hai. Iska Matlab Hai "Aesa Rasta Jis Par Kasrat Ke Sath Log Chale Ho." Muraad Hai Woh Tarika E Mustakeem Jise Muhammad ﷺ Aur Sahaba E Karaam R.A Ke Baad Salaf Saaliheen, Deen Ke Imamo Aur Akabir Ulema E Millat Ne Apnaya. Ahle Ilm Ne Kaha Hai Kay Ye Kitab 140 Hijri Ke Kareeb Tarteeb Di Gai. Is Me Sahaba Wa Tabaeen Ke Aqwaal Mila Kar Kul 1720 Riwayat Hai, Jinme Marfu Hadeese 600, Mursal Riwayate 222, Maukuf Riwayate 613 Aur Tabaeen Ke 285 Aqwaal Hai.

Mukhtalif Adwaar Me Mukhtalif elako Me Iski Shuruhaat Wa Ta'alikat Likhi Gai, Jinme Imam Ibn Abdul Bar Ki Attamheed Aur Al-Istizkaar, Imam Suyuti Ki Tanweerul Hawalik, Imam Zurkani Ki Al- Muntaqa Aur Shah Waliullah Muhaddis Dehlwi Ki Al-Musaffa (Farsi Me) Aur Al Musawwa (Arabic Me) Kabil E Zikr Hai.

Muwatta Imam Malik ke Murattib Imam Malik r.h. Hai Jinka Pura Naam "Malik Bin Anas Bin Amir Bin Malik" Aur Laqab "Imam Darul Hijra" Hai. Ap 93 Hijri Me Madina Me Paida Hue Aur 179 Hijri Me Madina Me Hi Faut Hue. Ap Ko Allah Ne Kamaal Ka Hafiza Ata Farmaya Tha, Ap Apne Ustado Se Jo Hadith Ek Bar Sun Lete Fir Wo Kabhi Na Bhulte. Ap Takwa Wa Parhejgari Me Bhi Unche Martabe Ke Malik The. Tarteeb Al Madarik Me Hai Ki Ap Mashgale Taleem Ke Baad Har Waqt Allah Ki Ibadat Aur Tilawat E Quran Me Hi Mashroof Rahte The Aur Bataur Khas Jume Ki Raat Ko Saari Ibadat Me Hi Guzarte.

Haq Goi Me Is Qadr Bebaak The Ki Apko Uski Khatir Hakim E Waqt Ki Mukhalfat Aur Uski Tarf Se Izaae Aur Sazae Tak Bardasht Karni Padi Magar Apko Paya E Besbaat Me Kahi Bhi Larzish Nahi Ayi. Garz Allah Ne Apko Jis Qadr Azeem Maqsad Ki Takmeel Ke Liye Paida Farmaya Tha Uske Liye Apko Is Jaisi Azeem Sifat Se Bhi Muttasif Farma Diya Tha.

•٠•●●•٠•
Read More »