اقرأ باسم ربك الذي خلق

14 Jun 2018

Rishtedaro Par Kharch Karne Ka Hukm


Sawal:

Mere waalid ki tankhwah (salary) das hazaar (10000) riyal hai jis me se hum bohat hi kam kharch karte hain aur baki meri walida jama kar leti hai is liye ke meri bahen ki abhi tak shadi nahi hui aur ham bhi abhi padhai se farig nahi hue hai, meri dadi bagair khawand ke mere ek chacha ke sath dada jaan ke ghar meri fufiyon (un maise do ne to shadi  hi nahi ki aur ek bagair khawind ke hai) ke sath rahti hain, aur woh hamari tarha achi bhali zindagi basar kar rahi hai.
Lekin is ke bawujud walid sahab un ki mahana muawnat karte hain (giving monthly allowance) aur unhe kharcha wagaira dete hain, aur walid sahab ka khet (farmland) bhi ek chacha ke control me hai jis ki aamdani woh khud hi istemal karte hain.
To mai ye janna chahtahon ke mere waalid sahib par kitna kuch wajib hai ke woh mahina kharch unhe de, ap ke ilm me hona chahiye ke woh sab achi bhali zindagi basar kar rahe aur in ke sab bhai aur behene zewraat aur makan ke bhi maalik hain.

Alhmdulillah..

Rishtedaro par kharch karne ki do (2) kisme  hain :

۞ Pahli Qism:

Jise 'umoodi' ya upar wala nasab kaha jata hai aur is mein aaba wa ajdad, chahe jitne bhi upar ke kyun na ho aur is tarha aulaad, chahe woh jitne bhi neeche ki janib hi kyun na hon shamil hote hain [aba wa ajdad yaani, maa-baap, dada-dadi, par-dada par-dadi aur isi tarha; aulad yaani beta-beti, pota-poti aur isi tarha], to in par do (2) sharton  ke sath kharch karna wajib (farz) hai :

۩ Pahli shart: Un maise jis par bhi kharch kiya ja raha woh gareeb ho aur unke pas kuch (kamaai ka zarya) na ho ya fir jo kuch un ke paas hai woh unke liye kaafi nahi aur na hi wo kamane ki qudrat ya taaqat rakhte ho .

۩ Dusri shart: Kharch karne wala khud maali taqat rakhta ho aur is ke paas apni aur apne biwi-bachho ki zarurat se zyada ho.

۩ Teesri shart: Deen ek ho (yaani sab musalman ho)

۞ Dusri Qism:

Aaba wa ajdaad aur beta-beti ko chor kar [jo upar bayan kiya gaya hai] baaki tamam rishtedar. In par kharch karna tabhi wajib hoga jab upar ke teen shart ke sath niche bataya gaya chautha shart bhi pura ho:

۩ Chauthi shart: Jis par kharch kiya ja raha hai us par kharch karne wala waris ho ya fir (kanuni taur pe) uska waris banna mumkin ho.

To is bina par agar ap ke chacha aur walid agar kharch karne ki istetaat aur taqat rakhte hai toh in sab ka ap ki dadi par kharch karna wajib hai.

Lekin ap ahsaan ke masle ko na bhule aur fir kareebi rishtedar par sadqa karna to dohre ajar ka baa'is hai isliye ke is mein ek to sila rahmi hai aur dusra sadaqa. Aur Ap Allah ta'la ka ye farmaan bhi yaad rakhen:

"Aur tum jo kuch bhi kharch karte ho Allah taala is ka badla tumhe deta hai aur woh sab se behtar aur achha rozi dene wala hai."

Surah Saba, Ayat-39.

Lihaza kareebi (rishtedar) par kharch karna aur fir khaas kar waalid par kharch karna to sab se bada rozi ke husool ka sabab hai aur baa'is e barkat bhi hai aur iske sath sath Allah ta'la apni janib se ajr wa sawaab se nawaazta hai .

Aur raha mas'ala kharch karne ki miqdaar ke baare mein toh is ke baare me hum guzarish karenge ke yeh kharch karne wale ki hasb istetaat wa qudrat aur jis par kharch kiya ja raha hai is ki zarurat ke mutabiq hai .

Allah subhana wa ta'la ka farman hai :

"(Aye Muhammad) Wo Aap se puchte hai ke wo kya kharch kare? Aap kah dijiye ke jo maal tum kharch karo wo maa baap ke liye hai, aur rishtedaro aur yateemo aur miskeeno aur musafiro ke liye hai aur tum jo kuch bhalayi karoge Allah ko us ka Ilm hai."

Surah Baqarah, Ayat-215.

•٠•●●•٠•
Read More »

Bhai Ya Bahen Ko Zakat Dena


Agar isse murad nawafil sadqa hai to ye ap apni bahno ko ghar ke kharche ke liye de sakti hai kyunki sadqa me bahut si cheeze shaamil hain.

Lekin agar is sadqe se murad (farz) Zakat hai to fir ye baat kabile tafseel hai jo niche bayan ki gai hai:

Bahen-bhai agar gareeb ho aur ap par un ka kharch wajib na ho to inhe zakat di ja sakti hai, kyunki ap un ki waris nahi hai, ya kyuki ap un ke akhrajaat (zarurato ko) bardasht karne ki istetat na rakhti ho.

Isi tarhan bahen bhaiyo par agar qarza (debt) ho toh inhe Zakat di ja sakti hai agar wo khud se qarz na ada kar sakte ho, chahay un ka kharch ap par wajib ho ya nahi kyunki qarze ki adaigi kharcha bardasht karne wale ke zimma nahi hoti.

Shaykh Muhamamd al-Saalih al-‘Uthaymeen se isi ke talluq se ek sawal pucha gaya, jiske jawab me wo ye farmate hai,

"Ap ka ye sawal ki agar ap ka sautela bhai (half brother) ya sagi bahen (full sister) ho to kya inhe Zakat dena jaiz hai. Iska jawab yeh hai ke Agar ap ke zakat dene ki wajah se ap par wajib karda cheez saaqit (waive) hoti ho maslan iska nafqah (zarurat ke kharch) ap par wajib hai, aur ap use zakat de taake is par kharch karne se apna maal bacha sake to ye jaiz nahi kyuki zakat maal ke bachao ka zarya nahi ho sakta, aur agar ap ke zakat dene se wajib kardah cheez saqit nahi hoti maslan ap ke zimma is ka kharcha wajib hi nahi tha, kyuki ap is ke waris nahi hai ya yeh ke apne khandan (family) ke sath ap is par bhi kharch karne ki istetat nahi rakhte, ya woh karz ki adaegi ki istetat nahi rakhta toh is qarz ko ada karne ke liye ap use apni zakat de sakte hai, balke ye kisi dusre ko dene se afzal aur behtar hai kyuki use dena ek to sadaqa aur dusra sila-rahmi hai." End quote.

Majmoo’ Fataawa Ibn ‘Uthaymeen, 18/422, 423.

•٠•●●•٠•
Read More »

13 Jun 2018

Wo Gareeb Jo Zakat Ke Mustahiq Ho


Alhamdulillah..

۞ Pahli Baat:

Allah ne Quran e kareem me unka zikr kiya hai jinhe Zakat diya ja sakta hai:

Sadaqa (Zakat) to darasal fakeero aur miskeeno ke liye hai aur un (zakat) ke wusul karne walo ke liye jo is (sadaqat ke) kaam par muqarrar hai aur unke liye jinka dil rakhna matlub hai, aur gulam aur laundiyo ko aazaad karne ke liye aur karzdaro ke karz utarne ke liye aur Allah ke raste me aur musafir ki imdaad me, ye ek fareeza hai Allah ki taraf se, aur Allah ilm wala, hikmat wala hai.

Surah Tawbah, Ayat-60.

Gareeb wo hai jiski koi aamdani (income) na ho, ya jiski aamdani toh ho lekin wo unki zarurato ke liye kaafi na ho.

Aur ye waqt, jagah aur khandan (family) ke hisab se mukhtalif hoti hai. Lekin kuch log aese hote hai jin par sab log muttafik hai ki wo zakaat ke mustahiq hai kyuki unki aamdani boht kam hai.

Fuqaha kahte hai: Gareeb, jo zakat ka mustahiq ho wo hai jo itna nahi kama sakta ki khud ki aur apne khandan (family) ki zarurate puri kar sake.

Agar koi shaks tankhwah paata hai, to hame uske salana (annual) aamdani ko dekhna hoga aur ye dekhna hoga ki uski salana zarurate kitne (rupyo) ki hai. Misaal ke taur par agar wo saal bhar me Paanch hazaar rupye kama raha hai lekin usko apni aur apne ghar walo ki zarurate puri karne ke liye Das hazaar saal ke chahiye toh wo gareeb aur zaruratmand hai kyuki jitni usko zarurat hai uske mutabik uske pas sirf aadhi kamayi hi hai.

Dekhe: al-Sharh al-Mumti’ (2/672).

Isi tarha agar usko zarurat hai 6000 ki lekin wo sirf 5000 kama raha hai, tab bhi wo zakat ka mustahiq hai.

Ye bhi ho sakta hai ki uske aur uske family ki zarurato ke liye kafi (kamayi) hai lekin wo karzdaar hai aur wo karz ko ada karne ki haisiyat me nahi hai. To use utni zakat de deni chaiye jisse wo karz ada kar sake.

Ya fir ye ho sakta hai ki uske liye khana-pine aur rahne ke liye kaafi ho lekin uske pas shadi karni ke liye itni rakam (money) na ho toh use bhi zakat diya ja sakta jitne paise se wo shady kar sake.

۞ Dusri Baat:

Agar koi ek Nau-Muslim (new-muslim) ho aur wo qaid-khane (Jail) me ho toh isko bhi zakat di ja sakti hai agar wo gareeb ho ya karzdar ho.

Agar uske pas (zarurat ya zarurat se zyada) kamayi ka zarya ho fir bhi use zakat di ja sakti hai, agar usko ye zakat dena uske dil ko mayil (attract) kare aur uske eeman ko mazbut kare aur use Islam me sabit-qadam bana de, khususan agar wo aham ya mashhoor ho apne logo me aur usse (zakat dene se) jo log uske sath me ho unke dil ko mayil karne ka sabab bane. Allah ne zakat ka ek hissa unlogo ko diya hai jinke dil Islam ki taraf mayil hai.

۞ Teesri Baat:

Iski ijazat hai ki zakat se kisi gareeb ke bills jiski adayegi karni baaki ho ada kar diye jaye [to give charity to pay utility bills that are due] kyuki zakat ki gunjaish kafi wasee hai [charity is broad in scope].

Iski bhi ijazat hai ki kisi ke bills ki adayegi kar di jaye agar wo ise ada na kar sakta ho kyuki bills ada na kar paane ka matlab ye hai ki wo karzdaar hai.

۞ Chauthi Baat:

Koshish kare ki zakat ki rakam un tak pohche jinhe iski sabse zyada zarurat hai aur jo sabse zyada iske mustahiq ho.

•٠•●●•٠•
Read More »

12 Jun 2018

Rishtedaro Ko Zakat Dena

hi    

Alhamdulillah..

Jo rishtedar zakat ke mushtahik hai unko zakat dena zyada behtar hai iske banisbat ki jo log apke rishtedar na ho kyuki rishtedaro ko zakat dena sadaqa aur sila-rahmi dono hai.

۩ Salman bin Amir r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, "Kisi Gareeb ko sadaqa dena to (aam;common) sadaqa hai lekin ristedaro ko sadaqa dena (2) chize hai, ek to sadaqa aur dusra sila-rahmi."

Jamia Tirmizi, kitab az zakat (7), hadees- 658. Ise Darussalaam ne sahih karaar diya hai.

Lekin agar ye rishtedar un maise ho jinpar apka kharch karna apke zimme lazim ho aur Ap unhe zakat dekar apna maal bachaye toh ye jaiz nahi hai.

Lekin agar ap ka maal un par kharch karne ke liye kaafi na ho to fir ap inhe zakat bhi de de to is me koi harj nahi, aur isi tarha agar woh logo ke karzdaar (in debt) ho aur ap apni zakat se un ka karz ada kare to is mein bhi koi harj nahi.

Kyuki karz ki adaegi kisi rishtedar ke zimme nahi hoti toh is tarha uski karz ka apke zakat (ke paise) se ada karna jayz hoga hatta ke agar wo apka beta ya walid ho aur unhone kisi se karz liya ho aur wo ise ada na kar sakte ho to apke liye jaiz hai ki apni zakat se wo karz ada karde.

•٠•●●•٠•

Fatawa al-Shaykh Muhammad al-Saalih al-‘Uthaymeen, 1/461.
Read More »