اقرأ باسم ربك الذي خلق

3 Nov 2018

Ali r.a. Se Muhabbat Aur Unse Bughz


Sahih ahadees ki roshni me hame Ali r.a. ki kaafi fazeelat milti hai, hatta ke unse muhabbat ko eemaan ki nishani batayi gai hai.

۩ Ali r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Us zaat ki kasam jisne daana faada (aur fasal ugaai) aur makhluqaat paida ki, Nabi ﷺ ne mujhe ye ahad diya tha ki sirf momin shaks hi mujhse muhabbat karega aur munafiq shaks hi mujhse bughz rakhega.”

Sahih Muslim, kitab al eemaan, hadees- 240.

۩ Zaid bin Arqam r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Jiska maula (dili mahboob) mai hu uska maula Ali hai”.

Note: Maula ka matlab Dili mahboob hota hai (aam taur par).

Sunan Tirmizi, chapters on virtues, hadees- 3713. Ise Shaykh Zubair ali zai ne sahih karar diya hai.

۩ Saad bin Abi Waqas r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne  gazwa e tabuk ke mauke par Ali r.a. se farmaya, “Kya tum isse raazi nahi ho ki tumhari mere sath wahi nisbat hai jo Musa ko Haroon ke sath thi siwaye iske ke mere baad koi Nabi nahi hai.”

Sahih al Bukhari, book of Companions of the Prophet, hadees- 3706. Sahih Muslim, book of Merits of the Companion, hadees- 6217.

۩ Zaid bin Arqam r.a. kahte hai, “Pahla shaks jisne Islam qubul kiya tha wo Ali hai”.

Sunan Tirmizi, chapters on virtues, hadees- 3735. Ise Shaykh Zubair ali zai ne sahih karar diya hai.

Note: Is hadees me mazeed alfaaz bhi hai jo kahte hai ki ek Tabayeen kahte hai ki Abu Bakr r.a. sabse pahle Islam laaye. Toh isme ikhtilaf ho gaya, aur Muhaddiseen ka usool ye hai ki jab sahaba aur tabayeen ka ikhtilaf ho jaye to sahaba ki baat ko tarjeeh di jayegi jis tarha jab Rasool aur sahaba ki koi baat ka ikhtilaf ho jaye to rasool ki baat ko tarjeeh di jayegi. Aur aage ki hadees is chiz ko aur wazeh kar deti hai ki shuru me Islam laane waala kaun tha.

۩ Qais bin Abi Hazim (Tabayeen) bayan karte hain ke mai Madine me tha, ek dafa ka zikr hai ke mai bazar ja raha tha, mai muqaam Ahzar al ziyat par pahuncha, mai ne dekha ek shaks sawari par sawaar tha, kafi saare log iske ird gird jama the, wo shaks Ali r.a. ko gaaliyaan de raha tha. Isi aashna me Saad bin abi Waqas r.a. waha tashreef laye aur wo bhi wahi khade ho gaye. Logon se pucha: "Kya hua?"
Logon ne bataya ke ek aadmi Ali bin abi talib r.a. ko gaaliyaan de raha hai.

Saad r.a aage badhe, logo ne unhe raasta de diya. Saad us aadmi ke qareeb aagaye aur farmaya: "Arey tum Ali bin Abi Talib r.a. ko gaaliyaan kyu de rahe ho?
Kya wo sab se pahle Musalmaan nahi hue the?
Kya wo Rasoolullah ﷺ ke peeche namaz padhne wale sab se pahle shaks nahi the?
Kya wo sab se zyada dunya se be-raghbat nahi the?
Kya wo sab se zyada Ilm rakhne wale nahi the?
Is ke alawa bhi Saad r.a. ne Ali r.a. ke bahut se fazail ginwaye. Hatta ke ye bhi kaha: Kya wo Rasoolullah ﷺ ke damaad nahi the? Kya wo gazwaat me huzoor ﷺ ke alambardaar nahi the?

Iske baad Saad r.a. ne qibla rukh hokar, hath buland karke ye dua maangi: "Aye Allah, ye shaks tere ek wali ko gali de raha hai, ya Allah, ye majma khatam hone se pahle tu apni kudrat ka karishma dikha de (aur log tere wali ku gaali dene ka anjaam apni aankhon se dekh le).
Qais r.a. kahte hai: Khuda ki qasam! Hum abhi waha se hate bhi nahi the, ke uski sawari bidak gayi, is sawaari ne us aadmi ko sir ke bal patharon me gira diya jiski wajah se iski khopdi khul gayi aur iska bheja bahar aagaya aur wo wahi par ibratnaak maut mar gaya.

Al Mustadrak al Hakim, hadees- 6121. Is hadees ke bareme Imam Hakim kahte hai ki ye Bukhari aur Muslim ki shart par sahih hai. Yahi hukm Imam Zahabi ka bhi hai.

۩ Abu Sayeed khudri r.a. ne farmaya, “Ham Ansaar ke munafikeen ko Ali r.a. se bughz ki wajah se pahchante the.”

Imam Ahmad ibn Hambal ki kitab- 'Fazail e Sahaba', hadees- 979. Ise Shaykh Wasiullah bin Muhammad Abbas ne sahih karaar diya hai. [scan]

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame siraat e mustakeem ata kare. aameen.
Read More »

30 Oct 2018

Tabayeen Azaam Se Muhabbat


Allah ‎ﷻ farmate hai

وَ السّٰبِقُوۡنَ الۡاَوَّلُوۡنَ مِنَ الۡمُہٰجِرِیۡنَ وَ الۡاَنۡصَارِ وَ الَّذِیۡنَ اتَّبَعُوۡہُمۡ بِاِحۡسَانٍ ۙ رَّضِیَ اللّٰہُ عَنۡہُمۡ وَ رَضُوۡا عَنۡہُ وَ اَعَدَّ لَہُمۡ جَنّٰتٍ تَجۡرِیۡ تَحۡتَہَا الۡاَنۡہٰرُ خٰلِدِیۡنَ فِیۡہَاۤ اَبَدًا ؕ ذٰلِکَ الۡفَوۡزُ الۡعَظِیۡمُ

Aur jo Muhajireen aur Ansaar sabiq aur muqaddam hai aur jitne log ikhlaas ke sath unke pairo hai Allah un sab se raazi hua aur woh sab usse raazi hue aur Allah ne un ke liye aise baagh mohayya kar rakhe hai jin ke neeche nahren jaari hongi jin mein hamesha rahenge, yeh badi qamyabi hai.

Surah Tawba, ayat-100.

Yaha itteba karne waalo se muraad Sahaba ke Tabayeen hai.

۩ Rahmatullil aalameen Muhammad ﷺ, sahaba e karaam ki azmat, Tabayeen azaam ki rif'at aur Tabe-tabayeen ki shaan wa shaukat ko apni zuban mubarak se is tarah bayan farmate hai:

Abdullah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Sabse behtareen log mere zamane ke hai (RasoolAllah aur sahaba), aur fir wo jo iske baad ayenge (tabaeen), aur fir wo jo uske baad ayenge (tabe-tabaeen).”

Sahih al Bukhari, Kitab Ar Riqaaq, hadith- 6429.

۩ Abu Sayeed Khudri r.a. se riwayat hai ki Nabi ﷺ ne farmaya, “Ek zamana ayega jis mein log fauze bana kar Jihad karenge, toh unhe pucha jayega, Kya tum mein koi aisa admi (yaani sahabi) maujud hai jis ne RasoolAllah ﷺ ko dekha hai?
Toh wo kahenge, 'Ji haan!' Toh unhe (Allah ki taraf se) fatah hasil hogi. Fir kuch log fauze bana kar jihad karenge toh unhe pucha jayega ki tum me se koi aisa shakhs (yaani Tabayeen maujud) hai jis ne sahaba ko dekha hai? Toh wo kahenge 'Ji haan!' Toh unhe fatah naseeb hogi.
Fir kuch log fauz e tarteeb de kar jihad karenge toh unhe kaha jayega: 'Kya tum mein koi aisa shakhs (tabe tabayeen) maujud hai jisne ne Tabayeen ko dekha hai? Toh wo kahenge, 'Ji haan!', Toh unhe fatah hasil hogi.

Sahih al Bukhari, Kitab al Jihad, hadith- 2897.

۞ Is hadees paak se do (2) baat sabit hoti hai:

1. Sahaba ke baad Tabayeen ki jamaat intehayi muqaddas jamaat hai.
2.Nabi ﷺ ki peshangoyi minn wa ann puri hui aur sahaba, tabayeen aur tabe-tabayeen ke daur mein Islam ghalib raha alhamdulillah lehaza hum par wajib hai ki tamam sahaba, tabaeen, tabe-tabaeen, muhaddiseen, aimma e deen se muhabbat karen.

Allah talah is muhabbat ki wajah se hamare gunah muaf kar ke un muqaddas jamaato ke saath shamil kar dega in sha Allah.

۞ Waazeh rahe muhabbat ka taqaazah hai, “فَإِنْ آمَنُوا بِمِثْلِ مَا آمَنتُم بِهِ”

Yaani sahaba e karaam r.a. ke naqshe qadam par chalne ki puri koshish ki jaaye.

Allah talah ne Ummat e Musalimah me sahaba karam ke baad tabayeen azaam jaise azeem log paida farmaye, jo Islam ke asman par apni bayan karda hadees ki wajah se, suraj, chand, aur sitaron ki surat me musalsal jagmaga rahe hai.

Kahi Sayeed bin al Musaib, Hasan basri, Urwah bin zubair aur Sayeed bin Zubair hai toh kahi Zain ul aabideen, Muhammad ibn Sireen, Saalim bin Abdullah, Mujahid aur Ataa bin abi Rabaa kitab o sunnat ki roshni faila rahe hai. [Ye sab Tabaeen r.h. hai].

Inki tafseeli haalaat ke liye Hafiz Zahabi ki 'Tazkara tul Hifaaz', Siyar A'lam al-Nubala aur Hafiz Mizzi ki Tahzeeb al kamaal ka mutalla kare. Is azeem jamaat ke fazaail padhne aur sunne ke baad Dil wa Dimaag dang rah jate hai.

•٠•●●•٠•

Aye Allah hamare dilo ko apne aur apne pyare Nabi kareem ﷺ, Nabi ke pyare sahaba, tabaeen, tabe-tabaeen, aimma e karaam aur tamam muhaddiseen ki muhabbat se bhar de aur Rasool ﷺ ke farmaan, 'Aadmi usi ke sath hoga jisse wo muhabbat karta hai (Bukhari, 6170)' misraak bana dein. aameen summa aameen.
Read More »

25 Oct 2018

Allah Aur Rasool Ka Faisla Hi Aakhri Faisla Hai

hi  -
Allah ‎ﷻ farmate hai,

Aur Kisi Momin Mard Aur Kisi Momin Aurat Ko Ye Haq Nahi Hai Ki Jab Allah Taala Aur Uska Rasool Kisi Muamle Ka Faisla Kar De Toh Unke Liye Khud Apne Muamle Me Ikhtiyaar Ho Aur Jo Allah Taala Aur Us Ke Rasool Ki Nafarmani Karega Toh Yakeenan Woh Gumraah Ho Gaya, Waazeh Gumraah hona.

Quran, Surah Al Ahzab (33), Ayat-36. [Tarjuma-Nighat Hashmi]

۩ Is ayat ki tafseer me Imam ibn Kaseer farmate hai,

“Ye Ayat hukm ke aetebaar se aam hai aur ye (ayat) har muamle me laagu hoti hai, wo ye ki jab Allah aur uska Rasool koi faisla karde, toh ye kisi ka haq nahi ki wo iske khilaf jaye aur iske mutallik kisi ke paas koi ikhtiyaar ya zaati raaye wa qiyas ki jagah nahi hai.

Allah farmate hai,

So Qasam Hai Tere Parwardigaar Ki! Ye Momin Nahi So Sakte Jab Tak Ke Tamaam Aapas Ke Ikhtilaf Me Aap Ko Haakim Na Maan Le, Fir Jo Faisle Aap Un Me Karde Un Se Apne Dil Me Kisi Tarah Ki Tangi Aur Na-khushi Na Paaye Aur Farmabardari Ke Sath Qubool Karle.

Lihaaza iske khilaf jane ke muamle ko is tarha ke sakht alfaz me khitaab kiya gaya hai

Aur Jo Allah Taala Aur Us Ke Rasool Ki Nafarmani Karega Toh Yakeenan Woh Gumraah Ho Gaya, [33:36]

Ye is ayat ki tarha hai

Jo Log Hukm e Rasool Ki Mukhalifat Karte Hai, Unhe Darte Rahna Chahiye, Ke Kahi Un Par Koi Zabardast Aafat Na Aa Pade Ya Unhe Dardnaak Azaab Na Pahonche.

Surah Noor (24), ayat-63.” end quote.

Tafseer ibn Kaseer, Surah-33, ayat 36.

۩ Is Ayat ki tafseer me Imam Tabari (d. 310 a.h.) farmate hai,

“(Jis chiz me Allah ya uska Rasool faisla karde) Usme apna ikhtiyar rakhna Allah aur uske Rasool ﷺ ki na-farmani hai aur aesa banda khuli gumrahi me hai.”

Tafseer at-Tabari,  Surah-33, ayat 36.

Toh jab Allah ya uske Rasool ﷺ se koi baat sabit ho jaye to fir ye nahi dekhna chahiye ki hamare buzurg, aslaaf, imam ki kya raaye hai is par. Ye hukm ke aetebar se hai. Ha agar koi ilm hasil karne ke liye ya koi dusre jayz maqsad se kisi ki raaye dekhta hai to isme koi harj nahi hai kyuki Quran khud kahta hai ki jab ilm na ho toh ahle ilm se pucho (21:7).

۩ Isi talluq se Imam Shafi (tabe-tabaeen) kahte hai:

“Ulema ka is par Ijma hai ki jab Nabi ﷺ ki sunnat kisi par waazeh ho gai hai toh fir ye us par halaal nahi ki kisi aur ke kahne se ise chor de.”

Ibn al-Qayyim Ailaam al Moqiyeen (2/361), Fulaani (safa. 68).

۩ Shaykh Sulaymaan ibn ‘Abd-Allaah kahte hai:

“Balki Momin par hatman farz hai ke Jab use Kitabullah aur Sunnat e Rasoolullah ﷺ pahunche aur iske maane (meaning) ka ilm hojaye chahe wo kisi bhi cheez me ho toh us par amal kare, chahe wo kisi ke bhi mukhalif ho, hamare Parwardigaar tabaarak wa ta'ala aur hamare Nabi ﷺ ne hame yahi hukm diya hai, aur sub ilaqo ke ulema is par muttafiq hai, siwaye be-ilm qism ke muqallideen aur sakht dil logo ke, aur is tarah ke log ulema me shamil nahi hote.”

Tayseer al-‘Azeez al-Hameed, p. 546.

۞ Ab aaiye dekhte hai ki Surah Ahzaab ki is ayat par sahaba e karaam ne kaise amal kar ke dikhaya.

۩ Salim bin Abdullah r.a. ne bayan kiya ki unhone Ahle Shaam mai se ek shaks se suna, wo Abdullah bin Umar r.a. se Hajj me Umra se fayda (Hajj e Tamattu) ke bareme puch raha tha. Toh Abdullah bin Umar r.a. ne kaha, "Ye jayz hai". Is par Shaami (sham ka rahne wala) ne kaha, " (Lekin) Apke ke walid (Umar r.a.) ne to isse roka hai?
Abdullah ibn Umar ne kaha, "Zara tum ye batao, agar mere walid kisi chiz se roke aur RasoolAllah ﷺ ne use kiya ho toh mere walid ke hukm ki pairwi ki jayegi ya RasoolAllah ﷺ ki, toh usne kaha, "RasoolAllah ﷺ ke hukm ki", toh unhone kaha, "RasoolAllah ﷺ ne aesa kiya hai".

Jamia Tirmizi, Kitab al Hajj, hadith-824. Classed as Sahih by Shaykh Zubair Ali Zai.

۩ Sa`id bin Al-Musaiyab r.a. riwayat karte hai, Umar bin khattab r.a. Masjid mein tashreef laaye toh Hassaan r.a. shayari padh rahe the. (Umar r.a. ne shayri padhne ko na-pasand kiya) Is par Hassan ne kaha, "Mai isi Masjid me shayri padha karta tha un (RasoolAllah ﷺ) ki maujudgi me jo Ap se behtar the. Fir Hassan r.a. Abu Huraira r.a. ki taraf mude (turned) aur kaha ki Mai tumhe Allah ka waasta de kar puchta hu ki Kya Rasool ﷺ ko tum ne ye farmaate nahi suna tha ki 'Aye Hassan! (Kuffar Makkah Ko) meri taraf se (shayri me) jawab do, Aye Allah Roohul Quddus ke zarye Hassan ki madad kar. Abu Huraira r.a. ne kaha, "Ji Ha (maine ye suna tha)".

Sahih al Bukhari, Book of Beginning of Creation, hadith-3212.

۩ Ikrimah r.a. kahte hai ke Ali r.a ne kuch aise logo ko zinda jala diya tha jo Islam se murtad ho gaye the. Jab Ibn Abbas r.a. ko ye baat malum hui to unhone kaha: "Agar (Ali r.a ki jagah) mai hota to inhe qatal karta, kyunki Rasool ﷺ ka farmaan hai "Jo apne Deen ko badal daale use qatal kar dalo." Aur mai inhe jalata nahi kyunki Rasool ﷺ ka farman hai "Allah ke azaab (yaani jalana) jaisa azaab na do".

Fir is bat ki khabar Ali r.a. ko hui to unhone kaha, "Ibn Abbas Ne Sach Kaha."

Jamia Tirmizi, Kitab Al-Hudud, hadith-1458. Classed as Saheeh Hasan by Imam Tirmizi and Sahih by Shaykh Zubair Ali Zai.

۩ Mujahid riwayat karte hai ki Ibn Abbas r.a. se marwi hai ki ek martaba wo Ameer Muawiya r.a. ke sath Baitullah ka tawaaf kar rahe the, Ameer Muawiya r.a. khana e Kabah ke tamam kono (corners) ko chhune lage, Ibn Abbas r.a. ne unse kaha ki Ap un Do (2) kono ko kyu chhu rahe hai jab ki  Nabi ﷺ ne un (kono) ko nahi chhua ? Unhone farmaya ki Baitullah ke kisi hisse ko chhora nahi ja sakta.
Is par Ibn Abbas r.a. ye ayat padhi ki tumhare liye Paigambar e Islam ﷺ ki zaat me behtareen misaal maujud hai. [Quran, 33:21]. Muawiya r.a. ne farmaya ki Ap ne sach kaha.

Musnad Imam Ahmad, volume-2, Hadith-1877.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame sirat e mustaqeem ata kare. aameen.
Read More »

Sirf Paani Se Taharat


Sawal: Agar gusl e janabat ke waqt sabun wagairah na ho to kya sirf paani se hi paak hua ja Sakta hai? Ya sabun (soap) wagairah zaroori hai?

Jawab:

Paak aur saaf Paani me Allah ne wo wasf rakhha hai ke wo khud paak hai aur paak karta bhi hai,

Irshad e Bari tal'a hai:

وَيُنَزِّلُ عَلَيْكُمْ مِنَ السَّمَاءِ مَاءً لِيُطَهِّرَكُمْ بِهِ

Aur usne tumhare liye asman se Paani utaara hai taaki uske saath tumhe paak kar de.

Surah Anfal (8), ayat no 11.

Is ayat e kareema se ye maloom hua ke Paani me paak karne ki salaahiyat Allah ne rakhhi hai, lihaaza janaabat ki paleedi door karne ke liye Paani kaafi hai.

Sabun, shampoo, wagairah se gandagi behtar tarike se saaf hoti hai lekin paaki hasil karne ke liye sirf paani hi kaafi hai.

Aur is par kitaab Allah, sunnat aur ijma e ummat dalaalat karti hai ke Paani bazat e khud paak hai aur paak karne ki salaahiyat rakhta hai.

wa Allahu Alam.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame amal ki taufeek ata kare. aameen.
Read More »

Muhammad ﷺ Ka Dars e Tawheed

en  -
Ibn Abbas r.a. riwayat karte hai ki Mai ek din Rasoolullah ﷺ ke sath sawari par peeche tha, Aap ﷺ ne farmaya: "Aye ladke! Beshak mai tumhe chand aham baatein batla raha hun, Tum Allah ke ahkaam ki hifazat karo, wo tumhari hifazat farmayega, tum Allah ke huqooq ka khayal rakho use tum apne saamne paoge.
Jab tum koi cheez maango to sirf Allah se maango, (aur) jab tum madad chaho to sirf Allah se madad talab karo, aur ye baat jaan lo ke agar saari ummat bhi jama hokar tumhe nafa pahunchana chahe to wo tumhe is se zyada kuch bhi nafa nahi pahuncha sakti jo Allah ne tumhare liye likh diya hai, aur agar wo tumhe kuch nuqsan pahunchane ke liye jama hojaye to is se zyada kuch nuqsan nahi pahuncha sakti jo Allah ne tumhare liye likh diya hai, qalam utha liye gaye, aur (taqdeer ke) saheefe khusq ho gaye hain.

Sunan Tirmizi, Chapters on the description of the Day of Judgement, Ar-Riqaq, and Al-Wara', hadith-2516. Ise Imam Tirmizi ne Hasan Sahih karar diya hai aur Shaykh Zubair ali zai ne Hasan karar diya hai.

Umar bin Khattab r.a. riwayat karte hai ki Rasool ﷺ ne farmaya: 'Agar tum log Allah par tawakkul karo jaisa ke us par tawakkul karne ka haq hai to tumhe usi tarah rizk milega jaisa ke parindon ko milta hai ke subah ko wo bhuke nikalte hai aur shaam ko wo pet bhar kar wapas aate hai.'

Sunan Tirmizi, Chapters On Zuhd, hadith - 2344. Ise Imam Tirmizi ne Hasan Sahih karar diya hai aur Shaykh Zubair ali zai ne Hasan karar diya hai.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame in taaleemaat par amal karne ki taufeek ata kare. aameen.
Read More »