اقرأ باسم ربك الذي خلق

27 Dec 2019

Dil ko Grahan Lagna | Ibn Qayyim


Imam ibn Qayyim rahimahullah farmate hai,

'Jab Ap dekhe ke dil se Allah tala ki Muhabbat khatam ho gai hai aur is me maklooq ki muhabbat aur dunyawi zindgi par raza o itmanan ne basera kar liya hai to ye jaan lo ke dil ko Grahan lag gaya hai.'

Bada'i al Fawaid, 3/224.

•٠•●●•٠•
Read More »

Taaqatwar Momin Aur Kamzor Momin


Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne faramaya,

'Taaqatwar momin Allah ke nazdik kamzor momin ki nisbat behtar aur zyada mahboob hai, jab ke khair dono me (maujood) hai.

Jis cheez se tumhe (haqiqi) nafa pahunche, us me hirs karo aur Allah se madad maango aur kamzor na pado, agar tumhe koi (nuksaan) pahunche to ye na kaho, Kaash! Mai (is tarah) karta to aisa aisa hota, balke ye kaho, (ye) Allah ki taqdeer hai, wo jo chahta hai karta hai. Isliye ke Kaash (kahna) shaitaan ke amal (ke darwaze) ko khol deta hai.'

Sahih Muslim, kitab al Qadr (46), hadees- 6774.

•٠•●●•٠•
Read More »

24 Dec 2019

Ambiya a.s. ko Pukaarna | Imam Qurtubi


۞ Allah farmate hai,

Inhe pukaro toh woh tumhari duae sun nahi sakte. Aur sun le to unka tumhe koi jawab nahi de sakte. Aur qayamat ke roz woh tumhare shirk ka inkar kar denge. Haqeeqat e haal ki aisi saheeh khabar, tumhe, ek khabardar ke siwa koi nahi de sakta.

Surah Fatir, ayat- 14.

۩ Is ayat ki tafseer me Imam Qurtubi farmate hai,

'Matlab ki agar mushkil haalaat me tum unhe madad ke liye pukaro toh wo sun nahi sakte kyuki wo Jamadaat hai, na wo dekh sakte hai aur na hi wo sun sakte hai.

Ye mumkin hai ki ye ayat farishto, jinno, ambiya aur shaitan ke liye ho kyuki wo tumhare amal ka inkaar kar denge aur ye ki unhone tumse kaha ho ki unki ibadat ki jaaye. Jaise ki Eesa a.s. kahenge, Mai wo chiz kaise kah sakta hu jiske kahna ka mujhe koi haq nahi hai.' alfaz khatm.

Tafseer al Qurtubi, surah fatir, ayat- 14.

۞ Allah farmate hai,

Aur tumhare Rab ka farmaan hai, Mujhe pukaro, mai tumhari duae qubul karunga.

Surah Momin, ayat- 60.

۩ Is ayat ki tafseer me Imam Qurtubi farmate hai.

'Tumhare Rab ka farmaan hai, Mujhe pukaro, mai tumhari duae qubul karunga.', ye is baat ko sabit karti hai ki Dua ek ibadat hai, aur aksar Mufassireen ki yahi raaye hai.' alfaz khatm.

Tafseer al Qurtubi, surah momin, ayat- 60.

•٠•●●•٠•
Read More »

23 Dec 2019

Tawheed | Mulla Ali Qaari

en   -
Mulla Ali Qaari kahte hai,

ولا يسأل غيره ; لأن غيره غير قادر على العطاء والمنع ودفع الضر وجلب النفع ، فإنهم لا يملكون لأنفسهم نفعا ولا ضرا ، ولا يملكون موتا ولا حياة ولا نشورا ، ولا يترك السؤال بلسان الحال أو ببيان المقال في جميع الأحوال ، ففي الحديث : من لم يسأل الله يغضب عليه
إذ السؤال إظهار شعائر الانكسار ، والإقرار بسمت العجز والافتقار والإفلاس عن ذروة القوة والطاقة إلى حضيض الاستكانة والفاقة ، ونعم ما قيل :
الله يغضب إن تركت سؤاله وبني آدم حين يسأل يغضب
( ” وإذا استعنت ” ) أي : أردت الاستعانة في الطاعة وغيرها من أمور الدنيا والآخرة ( ” فاستعن بالله ” ) : فإنه المستعان وعليه التكلان في كل زمان ومكان . ” ”

(Allah ke siwa) kisi se mat maango kyuki dusre de nahi sakte, nuksaan ko bacha nahi sakte na hi nuksaan ko hata sakte hai, koi fayda nahi pahucha sakte, beshak dusre nafa ya nuksaan ka ikhtiyar nahi rakhte, na hi zindagi aur maut ka aur na (qayamat ke din) uthaaye jaane ka ikhtiyaar rakhte hai. Aur kisi bhi haalaat me (Allah ko) pukaarna mat choro, jaisa ki hadees kahti hai ki jo Allah se nahi maangta, Allah usse naraz hota hai.

Allah na maangne se naraz hota hai aur bani adam (insan) maangne se naraz hote hai.

Sirf Allah hi hai jise madad ke liye pukarna chahiye aur tamaam zamaan aur makaan inhisaar (depend) hai.

•٠•●●•٠•

Mirqat, 2/159; hadees no. 5302 ke tahat.
Read More »

21 Dec 2019

Kamzor Tareen Eemaan

en   -
Tariq bin Shihab se riwayat ki, Pahla shaks jis ne Eid ke din namaz se pahle khutbe ka aaghaz kiya, wo Marwan tha. Ek aadmi uske saamne khada ho gaya aur kaha, 'Namaz khutbe se pahle hona chahiye?'

Marwan ne jawaab diya, Jo tariqa (yaha pahle) tha, wo tark kar diya gaya hai. Is par Abu Saeed r.a. ne kaha, 'Is insaan ne (jisne sahih baat kahi thi) apni zimmedaari puri kardi hai. Mai ne Rasoolullah  ﷺ se suna tha, Aap farma rahe the,

“Tum me se jo bhi buraai dekhe to woh use apne haath se roke, agar is ki taaqat nah ho toh zuban se roke aur agar is ki bhi taaqat nahi toh dil se ise bura jaane aur ye (dil se bura janna) eemaan ka kamzor tareen darja hai.”

Sahih Muslim, kitab al eemaan (1), hadees- 177.

•٠•●●•٠•
Read More »

18 Dec 2019

Ilm Ke Imtehan Se Kya Muraad Hai ?


Alhamdulillah..

Ham maise aksar log is baat se anjaan hai ki amal ke sath sath Allah hamare Ilm ka bhi imtehaan le raha hai. 

Aur Ilm ke imtehan se murad ye baate hai:

1۩ Kya humne apne apko taa'subaat se paak karne ki koshish ki hai?

2۩ Kya ham ab bhi jazbaat main bah jate hai?

3۩ Kya ab bhi ham usi jagah par khade hai ke pahle agar ek shakhs ki aqeedat (andhi-takleed ; blind-following) me mubtala the toh ab kisi doosre shakhs ki aqeedat me mubtala ho gaye hai?

3۩ Kya is Ilm ke safar me waqayi ab ham khalis daleel ki bunyaad par cheezo ko samjhte hai?

4۩ Agar koi hamari maani hui raa'ye se mukhtalif cheez ki taraf hame bulaye to hamara response gair tassubana hota hai?

5۩ Kya hum aj bhi poori tawajjoh se uski bat sunne ke liye amaa'da ho jaate hai?

6۩ Kya hamare andar ye cheez maujood hai ke agar hamari galti ham par waa'zeh ki jayegi toh hum haq ko maan lenge?

•٠•●●•٠•

Read More »

11 Dec 2019

Khula ke Baad Iddat kaha Guzaare?

en   -
Alhamdulillah..

Bunyadi usool ye hai ki jis aurat ka Talaq e ba'in (irrevocably divorced) hua hai ya jisne khula liya hai wo apni iddat maaike me guzaaregi. Lekin agar ye mumkin na ho toh wo apni iddat kahi bhi guzaar sakti hai jaha par wo mahfooz rah sakti ho.

Agar uska pichla shuhar jisne use talaaq diya hai use ijazat de deta hai ki iddat khatm hone tak wo apne sasural me rahe, toh isme koi harj nahi hi, ek shart par ki wo waha par mahfooz rah sakti ho aur uske paas aesi rahne ki jagah ho jo uske pichle shauhar ke rahne ke jagah se bilkul alag ho.

۩ Ibn Qudaamah kahte hai,

'Jis khwateen ka Talaaq e ba'in hua hai wo iddat kahi par bhi guzaar sakti hai jaha wo chahti ho'.

Al-Kaafi, 3/207.

•٠•●●•٠•

source: islamqa.info
Read More »