اقرأ باسم ربك الذي خلق

4 Jan 2018

Shab e Barat Ki Fazilat Ke Mutallik Zaif Riwayate


Jab ham apne bhaiyo ko bolte hai ki shaban ke mutallik jo hadiths wo zaif ya maudu hai to wo jawab dete hai ki wo sari hadiths daif wa maudu hai iski dalail kya hai? Toh un bhaiyo ke liye ye rahi dalail:

🎆1.  Hazrat Ali bin talib Radi-Allahu-Anhu farmate hain ki jab Nisf Shaban ( 15 Shaban) ki raat ho to raat ko ibadat karo aur dusrey din roza rakho isliye ki iskey Ghrub-e-Shamsh se Fajar tulu honey tak aasman-e-duniya par Allah subhanahu nuzul farmatey hain aur kahtey hain ki koi Maghfirat ka talabgar hai ki main uski maghfirat karu , koi rozi ka talabgar hai ki main usko rozi du , koi beemar hai ki main use beemari se aafaiyat du , hai koi aisa , yahan tak ki Fajar tulu ho jati hai.

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1388 ( Maudu as per Sheikh Zubair Ali Zai)

Maudu hone ke Dalail: http://www.sunnah.com/urn/1287360



🎆2.  Ayesha Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki ek raat maine Rasoollallah ﷺ ko bistar par na paya to unki talash mein nikli aur dekha ki aap jannatul baqi mein aasman ki taraf sir uthaye huye hain Aap ﷺ ne faramaya ki Aayesha kya tumhey ye khayal hai ki Allah aur uska Rasool tum par zulm karengey mainey arz kiya mujhe aisa koi khayal na tha bulki mainey samjha aap apni kisi biwi ke baas gaye hongey to Aap ﷺ ney farmaya ki Allah subhanahu Nisf Shaban ( 15 Shaban) ki raat aasman-e-duniya par nuzul farmatey hain aur banu kalb ki bakriyon se bhi zyada logo ki bakhshis farma dete hain ( banu kalb ek kabeeley ka naam tha jiskey pass tamam arab se bhi zyada bakriya thi)

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1389 ( Zaeef as per Imam Tirmidhi and Sheikh Zubair Ali Zai)


Zaif hone ki wajah- Is hadith me Hajjaaj bin Artaat an-Nakha’ee hai jo ki Zaif raawi hai kyuki ye Mudallis hai aur An se riwayat kar rahe hai. 


Is hadith ko Imam Tirmidhi ne khud riwayat kar ke niche likh diya hai ke ye riwayat munqate hai, aur saath likh diya hain ke mere ustaad Imam Bukhari ne kaha ke ye riwayat zaeef hai. Ab jo apko ye hadith deta hai usse puche ki jab khud Imam tirmidhi ne is hadith ke niche is hadith ki sehat likh di thi to apne kyu chupaya hamlogo se.

Aur ye kaisi fazeelat wali raat hai ke jis main Nabi e Rahmat khamoshi se uthe, khamoshi se bahar gai, khamoshi se itni afzal ibadat ki, wo Nabi ke jis ke bare me Quran main aya hai ki
"Aye Nabi, pohcha dijiye jo kuch bhi Aap ke Rabb ki taraf se nazil hua hai, agar Aap ne aisa na kiya to apni risalat ka fariza hi ada na kia".

Jo is hadith ko sahih mante hain, wo Huzoor pe khud-gharzi ka ilzaam lagaty hain, ki na kisi biwi ko uthaya,
na hi kisi sahabi ko bataya, balky khud khoofia tor pe itni afzal ibadat karne chale gaye????



🎆3.  Abu Musa Al-Ashari Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah ﷺ ne farmaya Allah subhanahu nisf Shaban ki raat ( 15 shaban) ko tamam makhluq ki bakhshis farma detey hain siwaye shirk karne wale ke aur keena rakhney wale ke.

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1390 ( Zaeef as per Sheikh Zubair Ali Zai)


Zaif hone ki wajah- Isme 2 raawi zaif hai, Ibn Lahya aur Waleed bin Muslim aur dono An se riwayat kar rahe hai aur samaa ki tasreeh nahin maujood. Agarchy is hadith ko Albani sahab apni ijtehadi khata ki waja sy sahih kehty hain..



🎆4.  Shob ul iman, imam Bayhaqi:

"Huzoor e Akram ﷺ ne farmaya ki is raat tamaam paida hony wali, faut hony waly, rizq pane waly, in ke naam likh diye jaty hain aur amaal ALLAH ke yahan pesh ki jaty hain."

Tahkeek: Is ki ek sanad munqaty hai, aur dusri main Ibn e Kaseer al abadi zaeef rawi hai.

Sahih riwayat jo hai wo sunan Nisai main hai, Hadith 2359 main shabaan ke mahine ki fazeelat ke bare me ki is mahine main Huzoor e Akram ﷺ kasrat se roze rakhte the.



Usool e hadith:

Zaeef, mouzu aur munqaty riwayat Huzoor ki taraf mansoob riwayat hoti hain, sahih aur muttasil nahin hoti. Aur is ke bary main Huzoor ki mutawwatir ahadith Sahih Bukhari, Hadith 106 aur muqadma e Sahih Muslim main hai ki
"Jis shakhs ne meri taraf aisi baat mansoob ki jo maine nahin kahi, to wo shakhs apna thikana jahannum main dekh le"

Aur Imam Muslim ne Sahih muslim ke muqadime me ye baat likhi hai jiska khulasa ye hai ke

"Zaeef aur munqaty riwayat na to aqaid main li jaengi aur na hi targheeb wa fazail main. Is tahqeeq ke baad mai nahin samajhta ke koi apni kitab me koi zaeef hadith bayan kare, siwae uske jo jahil hai"

Reference: Muqaddimah Sahih Muslim Vol 1, Pg 185, 186 with the Sharh of al-Nawawi 127_ 123/1.

Haasil e Tahqeeq: Is raat ki khususi ibadat ke baare me na Quran ki koi ayat hai aur na hi koi Sahih ya muttasil aur na koi Hassan darje ki Hadith maujood hai. Balki tamaam riwayat ya to zaeef ya mauzoo hain.

•٠•●●•٠•
Shab e Barat aur uske haqiqat ke ilm ke liye ye link chq kare- https://www.iqrakitab.com/2017/12/shab-e-barat-aur-uski-haqeeqat.html