اقرأ باسم ربك الذي خلق

Showing posts with label Nikah. Show all posts
Showing posts with label Nikah. Show all posts

27 Jan 2020

Naye Shadi-Shuda Jode ko Mubarakbaad Dene ka Nabawi Tarika


۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai,

Nabi ﷺ Shadi karne par jab kisi ko mubarakbaad dete toh farmate,

بَارَكَ اللَّهُ لَكَ وَبَارَكَ عَلَيْكَ وَجَمَعَ بَيْنَكُمَا فِي خَيْرٍ

(Barak Allahu laka wa baraka alaika, wa jama'a bainakuma fi khair)

'Allah tumhae barkat ata kare, aur tum par barkat nazil farmaye aur tum dono ko khair par jama kare.'

Jamia Tirmizi, kitab un nikah (11), hadees- 1091. Ise Imam Tirmizi ne hasan sahih aur darussalaam ne sahih karaar diya hai.

•٠•●●•٠•
Read More »

11 Dec 2019

Khula ke Baad Iddat kaha Guzaare?

en   -
Alhamdulillah..

Bunyadi usool ye hai ki jis aurat ka Talaq e ba'in (irrevocably divorced) hua hai ya jisne khula liya hai wo apni iddat maaike me guzaaregi. Lekin agar ye mumkin na ho toh wo apni iddat kahi bhi guzaar sakti hai jaha par wo mahfooz rah sakti ho.

Agar uska pichla shuhar jisne use talaaq diya hai use ijazat de deta hai ki iddat khatm hone tak wo apne sasural me rahe, toh isme koi harj nahi hi, ek shart par ki wo waha par mahfooz rah sakti ho aur uske paas aesi rahne ki jagah ho jo uske pichle shauhar ke rahne ke jagah se bilkul alag ho.

۩ Ibn Qudaamah kahte hai,

'Jis khwateen ka Talaaq e ba'in hua hai wo iddat kahi par bhi guzaar sakti hai jaha wo chahti ho'.

Al-Kaafi, 3/207.

•٠•●●•٠•

source: islamqa.info
Read More »

2 May 2019

Nikah Ke Din Dulhan Ka Safaid Rang Ka Libas Pahenna

en     ur   -
Shaykh ibn Uthaymeen se sawal kiya gaya:

Suhaag-raat me aurat ke liye safaid rang ka libas pahanne ka kya hukm hai agar yeh ilm ho jaye ke ye kuffar ke sath mushabihat hai?

Shaykh ka jawab tha,

“Aurat ke liye safaid libaas ek shart ke sath pahenna jaiz hai ke woh mardo ke libas ki tarha sila hua na ho, lekin is ka kuffar ke sath mushabihat hona, toh ab ye muamla nahi hai kyuki jab bhi koi Musalman aurat shadi karna chahti hai toh woh yeh safaid libaas pahenti hai, aur hukm is par munhasar hai ki iski wajah maujud hai ya khatm ho gai hai.

Is liye agar ab ye mushabihat na ho aur ab ye kuch aesa ho jo musalmano aur kuffaar dono ke darmiyan mushtarka (common) ho toh fir iska hukm bhi khatam ho jayega .
Lekin yeh ke agar woh fee-zaati cheez haraam ho, na ke mushaba hone ki wajah se, toh woh cheez har haalat me haraam hogi.”

Majmoo’at As’ilat tahumm al-Mar’ah, p. 92. source: Islamqa

Khulasa: Nikah ke din dulhan ka safaid rang ka libas pahenne me koi harj nahi hai.

•٠•●●•٠•
Read More »

4 Sept 2018

Kya Nikah Ka Walima Karna Farz Hai ?

en     ur -
۩ Anas r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne Abd al-Rahmaan ibn Awf se farmaya, “Jaise ki tumne nikah kiya hai toh waleema karo khwah ek bhed se hi.”

Sahih al Bukhari, Book of Good Manners and Form (Al-Adab), hadith-6082.

۩ Shaykh Saleh al Munajjid farmate hai,

“Sharai taur par khawind aur biwi ke mabain shadi aqad nikaah ke sath hi ho jati hai jab is mein aurat ke wali ki muwafiqat aur do gawah aur eejaab qubool ho to ye Aqad nikah mukammal ho jata hai chahe is ke liye taqreeb (waleema) na bhi munaqqid ki jaye.

Aur shadi ki taqreeb aur is ka elaan aur waleeme ki dawat to sirf khushi ka izhaar aur aqad nikah ko mashhoor karne ke liye hai jo ke nikah ke waqt mustahab hai jaisa ke Nabi e akram ﷺ ne farmaya:

'Nikah ka aelaan karo'

Narrated by Ahmad, 4/5; classed as saheeh by al-Haakim, 2/200; classed as hasan by al-Albaani in Saheeh al-Jaami’, 1072.

Dekhe: al-Mughni, 8/105.”


Note: Ye ahkaam ladke ke waleeme ke bareme hai na ki ladki ki kyuki hamare Deen me waleema sirf ladke walo ke taraf se hota hai. Kisi bhi sahih hadith se ye sabit nahi hai ki RasoolAllah ne apni kisi beti ka waleema kiya ho aur na hi ye amal sahaba ki zindagi se sabit hai.
•٠•●●•٠•
Read More »

7 Aug 2018

Dunya Ki Sabse Behtareen Khushi

en  -
۩ Abdullah bin Amr r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Dunya ek aarzi (temporary) khushi hai, aur is dunya ki sabse behtareen khushi Ek Nek Biwi hai.”

Sahih Muslim, The Book of Suckling, hadith-3643. Sunan Ibn Maajah, hadith-1855 [Sahih by Zubair Ali Zai].

۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Aurat se nikah chaar cheezo ki bunyaad par kiya jata hai, us ke maal ki wajah se, us ke khandani sharf ki wajah se, us ki khoobsurti ki wajah se aur us ke Deen ki wajah se. Toh tum deendar aurat se nikah kar ke kamyabi haasil karo, agar aesa na karoge to tumhare hatho ko mitti lagagi (yaani aakhir me nadamat hoge).”

Sahih al Bukhari, Kitabun Nikaah, hadith-5090.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo ham logo ko nek shareek e hayat ata kare. aameen.
Read More »

3 Jun 2018

Shauhar Aur Biwi Ka Ek Dusre Ko Ghusl e Janazah Dena


Shauhar ka Biwi ko aur Biwi ka Shauhar ko Ghusl e Janazah dene ki ijazat shariat ne di hai.

۩ Rasool Allah ﷺ ne Aisha r.a. se kaha ke ‘Agar tum mujh se pahle mar gaei’n to main tumhei’n ghusl du’nga, kafan pehnaaou’nga aur tum par namaz e janaaz padhu’nga aur tumhei’n dafan karu’nga.’ 

Narrated by Ahmad, 25380; Ibn Maajah, 1456; classed as saheeh by Shaykh al-Albaani in Saheeh Ibn Maajah, 1/247.

Shaykh Ash-Shawkaani kahte hai : RasoolAllah ke alfaz, "Mai tumhe nahlaunga", nishandahi karte hai ki Biwi ko Shauhar mayyat ka ghusl de sakta hai.

Nayl al-Awtaar, 4/35.

۩ Asma’ bint ‘Umays r.a. riwayat karti hai ki Fatimah r.a. ne waseeyat ki thi ki Ali r.a. (unke wafat ke baad) unhe ghusl de.

Narrated by ash-Shaafa‘i, 1/312; ad-Daaraqutni, 2/79; al-Bayhaqi, 3/396. Its isnaad was classed as hasan by ash-Shawkaani in Nayl al-Awtaar, 4/35.

Shaykh As-San‘aani r.h. upar bayan ki hui Asma r.a. ki hadith ki tafseer me farmate hai, "Ye (hadith) nishandahi karti hai ki ye ek aesa mumla (Biwi ko mard ka ghusl dena) tha jo RasoolAllah ﷺ ke zamane me achhi tarah jana jata tha.

Subul as-Salaam, 1/478.

Imam Nawawi kahte hai: (Shauhar ka) Biwi ko Janaze ka ghusl dene ke talluq se, hamare aur aksar ulema ke nazdeek iski ijazat hai. Ye Ibn al-Mundhir se riwayat kiya gaya hai jinhone Alqamah, Jaabir ibn Zayd, ‘Abd ar-Rahmaan ibn al-Aswad,… Maalik, al-Awzaa‘i, Ahmad aur Ishaaq se riwayat kiya. Yahi raaye ‘Ata’, Dawood aur Ibn al-Mundhir ki bhi hai.
(Lekin) Abu Haneefah aur ath-Thawri kahte hai ki iski ijazat nahi hai. Wo is daleel ki bunyad par kahte hai (ki shareek e hayat ki wafat se) Nikah tut jati hai, Lihaza ye ek mukammal aur atal (irrevocable) Talaaq jaisi surat hai.

Sharh al-Muhadhdhab, 5/122.

Note: Toh behtar raaye Imam Nawawi ki hai jis par amal kiya ja sakta hai kyuki unki raaye upar ki hadith se milti hai. Aur jo ye raaye hai ki wafat se nikah tut jati hai iski koi shari haisiyat nahi hai aur ye raaye upar zikr-karda hadith se bhi takraati hai.

Aur Jaha tak sawal hai Biwi ka Shauhar ko ghusl dena ka to iski ijazat hai aur iski daleel ye hai,

Ummul Momineen Ayesha r.a. kahti hai, Agar Mujhe pahle yaad ajata jo baad me yaad aya, Toh Apki Biwiya hi apko Ghusl deti.

Narrated by Abu Dawood, 3141; classed as Hasan by Shaykh al-Albaani.

Imam Nawawi farmate hai: Ibn al-Mundhir ne apne do kitab, al-Ishraaf aur Kitaab al-Ijmaa‘ me kaha hai ki Ummat ka is baat par Ijma hai ki Biwi apne shauhar ko ghusl e Janazah de sakti hai. Aur logo ne bhi kaha hai ki is baat par Ijma hai.

Sharh al-Muhadhdhab, 5/114.

•٠•●●•٠•
Read More »

6 Jan 2018

Halala


Halala Aise Nikah Ko Kahte Hai Jis Me Koi Admi 3 Talaq Wali Aurat Se Sirf Talaq Ki Niyat Se Nikah Wa Mubashart Karta hai Taaki Wah Aurat Pahle Shauhar Ke Liye Halal Ho Jaye. Ise Mansha Se Nikah Ko Halala Kahte Hai .. yaani kare kOi bhare kOi. Ek Interview me ek khatoon ne kaha tha Talaq jab mard deta hai to Halala bhi Mard ka hi hOna chahiye..ye nahi ke Galti koi aur kare aur saza kisi aur ko mile.

۩ RasoolAllah ﷺ Ne Halala Karne Wale Aur Jis Ke Liye Halala Kiya Jaye Dono Par Lanat Farmayi.

Sunan Tirmizi 894, Nasai, Darmi, Baihaqi , Ahmad.

۩ Hazrat Umar r.a Farmate Hai Ahad e Risalat Me Log Halale Ko Badkari Kaha Karte The.

Hakim 2/199 Tabrani Ausat Kama Fil Majma 4/264. Imam Haismi rh Ne Is Rijal Ko Sahi Rijal Kaha Hai.

۩ Hazrat Ibne Umar r.a Se Halale Ke Bare Pucha To Unhone Kaha Dono Badkaar Hai.

Ibn e Abi Shayba 4/294. Shaikh Sabahee Hallaq Ne Ise Sahi Kaha Attaleeq Al-rauztunndiya 2/38.

۩ Hazrat Umar r.a Ne Farmaya Mere Pas Halala Karne Wala Jiske Liye Halala Kia Jaye Dono Laye Gaye To Me Dono Ko Rajam Kar Dunga.

Ibn e Abi Shayba 4/294, Abudur-razzak 6/218.

•٠•●●•٠•

Prepared by:- A.Sayed
Read More »

Khula’ Ki Taareef Aur Iska Tarika


Biwi mua'wiza dee kar alahida ho to ise Khula kaha jata hai. Is tarah qhawind mua'wiza lekar apni biwi ko chorde chahe wo ye maher jo ki qhawind ne dia tha wo ho ya isse zyada aur ya fir kam ho.

Iski daleel Allah subhanahu wa ta'alaa ka farmaan hai:

Aur tumhare liye halal nahi ke tum ne jo kuch inhe dia hai is me se kuch wapis le loo magar ye ke wo dono isse khaufzada hoo ke wo Allah ta'ala ki hudood ko qa'im nahi rakh sakenge, to phir in par koi gunah aur jurm nahi ke wo iska fidya dee.

Surah Baqara, ayat-299.

Sunnat e Nabawi  me iski daleel Sabit bin Shimaas r.z. ki biwi ki hadees hai:

Sabir bin Shimaas r.z. ki biwi Nabi ﷺ ke paas aayi aur kahne lagi, "Aye Allah ke Rasool mai Sabit ibn Qays par koi dini ya aqhlaqi a'ib nahi lagaty, lekin mai Musalman hone ke baad koi kufr nahi karni chahti. To Nabi ne ise farmaya ke Kya tum inka Baagh wapis karogi? Kyuki Ye Baagh unhone ise maher me diya tha, to wo kehne lagy "Ji haan".
Toh Nabi ﷺ ne farmaya: Apna Baagh Qubool karlo aur ise chhordo.

Sahih al Bukhari, hadith- 5273.

Ulema e karaam ne is qisse se ye istenbaat kiya hai ke jab aurat apne qhawind ke sath rahne ki taqat na rakhe to Wali ul Amr aur Qaazi iske qhawind se khula talab kare balke ise khula ka hukm de.

KHULA KI SURAT YE HAI KE:

Khawind ke iwaz me kuch le ya fir wo kisi iwaz par muttafiq hojaye aur fir khawind apni biwi ko kahe ke mai ne tujhe chordiya ya qula kar liya is tarah ke dusre alfaaz kahe.

Aur talaq Khawind ka haq hai ye is waqt tak waqa'e nahi ho sakti jab tak wo talaq na dee, isliye ke Nabi ﷺ ka farmaan hai, "Talaq iska haq hai jo pindli ko pakadta hai",
(Ya'ani khawind).

Sunan ibn Majah, Hadith-2081.

Allama Albani r.h. ne Irwa’ al-Ghaleel me ise hasan qaraar dia hai,2041.

Is liye Ulema e karam ne ye kaha hai ke: Jise apni biwi ko talaq dene par zulm ke sath majboor kiya jaye aur isne talaq de di to iski ye talaq waq'aee nahi hogy, dekhe al-Mughni- 10/352.

Aur Aap ne jo ye zikr kia hai ke ba'az auqaat biwi hukumaty kawaneen ke mutabiq apne ap ko talaq de de, to iske baare me hum kahenge ke: Agar tu ye kisi aise sabab ki bina par hai jiski bina par talaq mubah hojaty hai, Masalan agar wo khawind ko na pasand karne lage aur iske sath zindagy na guzaar sake ya fir khawind ke fisq wa fujoor aur haram kaam karne ki jur'at karne ke bina par ise Deeni ai'tbaar se na pasand karne lage wagairah, To ise Talaq ka mutaleba karne me koi harj nahi.
Lekin aisi halat me wo khawind se khula karle aut iska diya hua maher wapis karde.

Aur agar wo talaq ka mutaleba kisi sabab ke bagair kare to aisa karna iske liye jayez nahi aur is halat me adaalat ka talaq ke mutalliq faisla sharayi nahi hoga balke aurat badasutoor is admi ki biwi hi rahegy.

To yaha par ek mushkil pesh aati hai ke Kanooni taur par to ye aurat mutliqa(divorcee) shumaar hogi aur id'dat guzarne ke baad aur kahi shadi karle gi lekin haqeeqat me biwi ko talaq hui hi nahi.

Shaykh Muhammad ibn Saalih al-‘Uthaymeen r.h. ne is jaise masle me kuch is tarah kaha hai: "Ab hamare samne ek mushkil hai, iski zaujiyat aur asmath me rahte hue kahi aur shadi karna iske liye haram hai aur zahiri taur par adaalat ke hukm ke mutabiq ise talaq ho chuki hai aur jab iddat khatam hojaye to kahi aur shadi kar sakti hai.

To meri raaye ye hai ki is mushkil se nikalne ke liye zaroory hai ke ahl e khair aur islaah karne wale loog zaroor is masle me dakhal de taa'ke khawind aur biwi ke darmiyaan sulah ho sake, warna wo aurat apne khawind ko i'waz adaa karde ta'ake sharai taur par khula ho sake.

Liqa’ al-baab al-Maftooh by Shaykh Muhammad ibn ‘Uthaymeen, no. 54; 3/174.

Wallahu alam.

•٠•●●•٠•

Source:- Islamqa.info
Read More »

5 Jan 2018

Nikah Ki Raat Do Rakate Padhna


Nikah Ki Raat Ko Do Rakat Namaz Kaise Padhi Jaye?

Alhamdulillah ..

Sabse pahle :

Kuch ulemao ne nikah wali raat me  biwi se milne se pahle do rakat namaz padhna mustahab samjha hai, aur is muamle me Nabi ﷺ se koi tareeka sabit nahi hai balki kuch sahaba raziallaho anhuma se riwayate milti hai:

۩1. Abu Usayd ke aazad karda Gulam Abu Sa‘eed se riwayat hai, unhone kaha : Maine shadi ki jabki mai gulam tha, toh maine Nabi ﷺ ke kuch sahabao ko dawat diya jinme Ibn Masood, Abu Zarr aur Huzaifa r.a. bhi the. Wo kahte hai: Unhone mujhe sikhate hue farmaya : Jab tumhare pas tumari biwi ko laya jaye to tum do rakat namaz padho, fir tum Allah taa'la se us chiz ke liye bhalai ki dua mango jo tumhare pas ayi hai, aur uske burai se Allah se panah mango, fir tum apni biwi ke nazdeek jao.

  Narrated by Ibn Abi Shaybah in al-Musannaf (3/401) and ‘Abd al-Razzzaaq in al-Musannaf(6/191). Shaykh al-Albaani (may Allah have mercy on him) said: Its isnaad to Abu Sa‘eed is saheeh.

Adaab al-Zafaaf, p. 22.

۩2. Shaqeeq se riwayat hai ki unhone kaha: Ek aadmi Abdullah (ibn Masood r.a.) ke paas aya jise Abu Jareer kaha jata tha, toh usne kaha : Maine ek naujawan ladki se shady ki hai aur mujhe ye dar hai ki wo mujhe na-pasand karegi. Wo kahte hai ki toh Abdullah ne kaha: Muhabbat Allah ki taraf se hai aur napasandagi shaitan ke taraf se hai, wo chahta hai ki Allah ne tumhare liye jo chiz halal kar diya hai use tumhare nazdeek napasandida bana de, Isliye Jab wo tumhare pas aye toh use hukm do ki wo tumhare piche do rakat namaz padhe. 

Narrated by Ibn Abi Shaybah in al-Musannaf (3/402); ‘Abd al-Razzaaq in al-Musannaf(6/191); al-Tabaraani in al-Mu‘jam al-Kabeer, 9/204. 

Shaykh al-Albaani (may Allah have mercy on him) said: Its isnaad is saheeh. End quote. 

Adaab al-Zafaaf, p. 24

Sheikh ibn Baaz se pucha gaya ki : Log kahte hai ki shady ke liye ek namaz hai, aur use sunnat ya shady ki sunnat ka naam dete hai, aur wo jama (sex) se pahle hai, aur wo ye kahte hai ki : Do rakat namaz padhi jaye aur uske baad jama kiya jaye. Hamse mashroo kare, shukriya.

Unhone jawab diya:

"Is silsile me kuch sahaba se Hadeese riwayat hai ki jama karne se pahle do rakat namaz padhi jaye, lekin is bare me koi aesi hadith nahi hai jis par sehat ke aetbar se bharosa kiya ja sake, agar wo do rakat padhta hai jaisa ki kuch salaf ne kiya hai to isme koi baat nahi hai, aur agar wo aesa nahi karta hai tab bhi koi baat nahi, aur is silsile me muamla wasih hai, aur mai is bareme koi sunnat nahi janta jis par bharosa kiya jaa sake. End quote.


Dusra:

Jaha tak use buland aawaz se ya dhimi aawaz se padhne ke hukm ka muamla hai: Toh agar wo raat ko padhi ja rahi ho toh buland awaz se padhi jayegi, aur agar din ke waqt padhi ja rahi ho to dhimi awaz se padhi jayegi. In do rakat me Quran ka koi bhi hissa padha ja sakta hai.

Teesra

Jaha tak dua ka sawal hai to woh apne hath ko uske sir ke samne ke hisse (Peshani) par rakh kar kahe:

"اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ خَيْرَهَا وَخَيْرَ مَا جَبَلْتَهَا عَلَيْهِ وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّهَا وَمِنْ شَرِّ مَا جَبَلْتَهَا عَلَيْهِ"


Allaahumma inni as’aluka khayraha wa khayra ma jalabtaha ‘alayhi wa a‘oodhi bika min sharriha wa min sharri ma jabaltaha ‘alayhi "

Ae Allah, mai tujhse iski bhalai aur us bhalai ki dua karta hu jis par tu ne ise paida kiya hai, aur mai iske shar aur us shar se tere panah me aata hu jis par tune ise paida kiya hai.

Narrated by Abu Dawood (2160); classed as hasan by al-Albaani in Sunan Abi Dawood.

Aur hamare ilm ke mutabik, hadith me is dua ka waqt ka bayan nahi hua hai, isliye chahe to use do rakat namaz padhne se pahle padhe ya uske baad.

Aur Allah sab se behtar janta hai.

•٠•●●•٠•

Source:- Islamqa.info
Read More »

3 Jan 2018

Kya Nek Shareek e Hayat Ko Talash Karne Ki Koi Dua Hai ?


Kya Achi Biwi Ya Ache Khwaind Ke Husul Ke Liye Koi Khas Dua Hai? Kya koi ayat ya aisy dua hai jise hum mustaqbil me achi biwi ya khawind ki talash ke liye padhe? Aur wo koun koun si ashiya hai jin par ek shaks ko tawajjah markooz karni chahiye ke jis se ye ilm ho sake ke ye ladka/kadki ya wo ladka/ya ladki munasib pasand sabit hoga ya hogy aur kya kisi shaqs ko iska jawab mil sakta hai ke quran majeed ko apne mansoobo ke liye rehnumai ka zariya banaye?

Alhamdulillah, 

Hamare ilm ke mutabiq is muamle ke liye Nabi ﷺ se sabit shuda aur mukaddas dua ka wujood nahi hai lekin aap Allah se khud hi dua kare ke Allah aapko nek biwi muhya farmae, jab ke Nabi ﷺ ne hum sab ko dua e isteqara sikhai hai, jiska matlab hai ke hum Allah se iltemas kare ke hamre Deeni wa duniyawi tamaam umoor ke liye deen aur duniya ke lehaz se behtar cheez hamare liye pasand farmae, aur ye dua Jabir bin Abdullah (r.a)se marwi hai ke Aap ﷺ Tama'am muamilaat ke liye isteqara aise sikhaya karte, jaise Aap hame Quran ki koi surat sikha rahe ho.

Aap ﷺ ne farmaya ki tum me se koi bhi kisi kaam ka irada kare to farz raka'at ke alawa do raka'at nafil ada kare aur phir kahe;

اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْتَخِيرُكَ بِعِلْمِكَ، وَأَسْتَقْدِرُكَ بِقُدْرَتِكَ، وَأَسْأَلُكَ مِنْ فَضْلِكَ العَظِيمِ؛ فَإِنَّكَ تَقْدِرُ وَلاَ أَقْدِرُ، وَتَعْلَمُ وَلاَ أَعْلَمُ، وَأَنْتَ عَلاَّمُ الغُيُوبِ، اللَّهُمَّ إِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الأمْرَ [یہاں اپنے کام کا نام لے]خَيْرٌ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي فَاقْدُرْهُ لِي وَيَسِّرْهُ لِي ثمَّ بَارِكْ لِي فِيهِ، وَإِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الْأَمْرَ [یہاں اپنے کام کا نام لے] شَرٌّ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي فَاصْرِفْهُ عَنِّي وَاصْرِفْنِي عَنْهُ وَاقْدُرْ لِيَ الْخَيْرَ حَيْثُ كَانَ، ثُمَّ أَرْضِنِي بِهِ-

Tarjuma:

Aey Allah! Tehqeeq main (is kaam mein) tujh se tere ilm ki madad se khair maangta hu’n aur (husool e khair ke liey) tujh se tere qudrat ke zarie qudrat maangta hu’n aur main tujh se tera fazal azeem maangta hu’n, beshak tu (har cheez par) qaadir hai aur main (kisi cheez par) qaadir nahi. Tu (har kaam ke anjam ko) jaanta hai aur main (kuch) nahi jaanta aur tu tamaam ghaibo’n ka jaanne wala hai. Aey Allah! Agar tu jaanta hai ke ye kaam (jiska main iraada rakhta hu’n) mere liey mere deen, mere zindagi aur mere anjaam kaar ke lehaaz se behtar hai to ise mere liey muqaddar kar aur asaan kar phir is mein mere liey barkat paida farma aur agar tere ilm mein ye kaam mere liey mere deen, meri zindagi aur mere anjaam kaar ke lehaaz se bura hai to is (kaam) ko mujh se aur mujhe is se pher de aur mere liey bhalaai muhiyya kar jaha’n (kahee’n bhi) ho. Phir mujhe iske sath raazi karde.
Nabi e Rahmat ne farmaya ke phir apni haajat bayan karo.’

Sahih al Bukhari: al Tahajjud, hadith- 1162.

Tarfain me se har ek ki tawajjah ke liye Deen Daari aur aqhlaaq se badh kar koi cheez nahi hai. Chunanche ladke ke mutalliq Nabi ﷺ ne ladki ke wali  sahebaan ko nasihat farmayi ke "Jab tumhare paas aisa ladka (rishte ke liye aaye) jiske  aqlaaq aur deendari ko tum pasand karte ho to uski shadi kardo aur agar aisa nahi karoge,to zameen me fitna aur fasad hoga"

Jamia Tirmizi, 1084. Ibn e majah, 1967.

Aur ladki ke mutalliq Nabi ﷺ ne nasihat karte hue farmaya: (Muashre me aam taur par) Aurat se shadi 4 chizo ki wajah se ki jaaty hai; Maaldari, Hasbe nasb, Khubsurty aur Deendari. chunanche tum Deendar ko talash karlo tumhare hath khak alood kardegy".

Sahih al Bukhari, 4802 aur Sahih Muslim, 1466.

Hafiz Ibn e Hajar (r.h.) kahte hai:

"Is hadees ka matlab hai ke saheb e murawwat, aur deendaar shaks ko yahi zeeb deta hai ke iska mutma'a nazar har cheez ke bare me deendari hi ho, khususan aise muamilat me jo insan ke sath lambe arse tak rahe, chunanche Nabi ﷺ ne shadi ke khwahismand afraad ki  Deendar ladki talash karne ka hukum diya, kyunki deendary hi asal hazf hai"intahi".

Fathul bari"(135/9).

Sawal ke dusre hisse me mazkoor Quran ke zariye rehnumai hasil karne ke baare me yehai ke agar is se aap ki muraad faal nikalna murad ho,
to ye harqam kaam hai aur Quran ke faal nikalne ke qhud saqta(khud banaya hua) tariqo me se ye bhi hai ke Quran majeed ko kahi se bhi khola jaye, to agar nazar rehmat ya sawab wali ayat par padty hai to iska matlab hai ke banda jo bhi kaam karna chahta hai wo acha aur durust kaam hai aur agar muamla bar'aks ho to iska matlab bhi bar'aks hoga. Deen me iski koi buniyaad nahi hai, ye be-buniya tareeqa hai. Aur agar Quraan paak se rehnumai lene se aapki muraad ye ho ke itteba e Quran ki jaye aur iske ehkamaat par amal kia jaye to haqeeqat me yahi wo sa'adat mandi hai jis se badh kar koi  sa'adat mandi nahi.  Aur wo hai kitaab wa sunnat ki pairwi aur Allah ke yaha qiyamat ke din najaat.

•٠•●●•٠•
Read More »

2 Jan 2018

Aurat Ke Liye Khawind Aur Waledain Maise Kis Ki Itaat Zyada Zaruri Hai?


Shaykh Ibn Taymiyyah rahmaullah se darje zail sawal kiya gaya,

"Ek aurat shadi shuda hai aur wo walidain ke hukum se nikal kar khawind ke hukum me achuki hai, iske liye walidain ki ita'at karna zaruri hai ya apne khawind ki ita'at karna?"

Shaikh ul Islam Ibn Taymiyyah rehmaullah ka jawab tha, "Shadi ke baad Aurat ka khawind, aurat ke walidain se biwi ka zyada Malik hai, aur is par apne khawind ki ita'at zyada wajib hai. Allah subhanhu wa taala ka farman hai,

"Pas nek auratein farmabardaar hai, aur ghair haziry me hifazat karne wali hai,{is liye ke Allah ne (inhe) mehfuz rakha}."

Aur Hadees me Nabi kareem ﷺ ka farmaan hai, "Duniya behtreen maal wa mataa hai, aur duniya ki sab se behtreen maal wa mataa nek wa saleh aurat hai, jab tum ise dekho to wo tumhe kush kardee, aur jab use hukum doo to wo tumhary ita'at kare, aur jab tum usse ghayab(door safar par) ho to woo aap ke maal aur apni jaan ki hifazat karty hai" aur sahih Abi Hatim me Abu Hurairah r.a. anhu se marwi hai ke Rasool ﷺ ne farmaya jab aurat apne upar panch namaze farz namaze ada karty ho aur ramzaan ul mubarak ke roze rakhty ho, aur apni sharm gaah ki hifazat kare,aur apne khawind ki ita'at kare to wo jannat ke jis darwaze se chahe jannat me daqil hogy..

aur Sunan Tirmizi me Umme Salma r.z. se marwi hai ke Rasool ﷺ ne farmaya,"Jo aurat is halat me faut hui ke uska khawind uspar raazi tha to wo jannat me daqil hogy". Ise Tirmizi ne riwayat kia hai aur ise hasan qarar diya hai.

Abu Huraira r.z. bayan karte hai ke Nabi ﷺ ne farmaya, "Agar mai kisi ko kisi dusre ke liye sajdah karne ka hukum deta to aurat ko hukum deta ke wo apne khawind ko sajdah kare".

Ise Tirmizi ne riwayat kia hai aur ise hasan qaraar diya hai aur Abu Dawood ne darje zail alfaz se riwayat kiya hai. To mai aurton ko hukum deta ke wo apne khawind ko sajdah kare, kyunki Allah ne in par khawind ke buhut zyada huquuq rakhe hai. Aur Musnad Ahmed me Anas r.z. anhu se marwi hai ke Nabi ﷺ ne farmaya, Kisi bhi bashar(insan) ko kisi dusre bashr ke samne sajdah karna sahih nahi hai, aur agar kisi bashr ke samne sajdah karna sahih hota to mai aurat ko hukum deta ke apne khawind ko sajdah kare kyunki khawind ka biwi par azeem haq hai, is zaat ki qasam jis ke hath me mery jaan hai agar qawind ke qadm se is ke sar ek zaqhm ho aur us se peem aur khoon ras(nikal) raha ho aur biwi use aage badh kar chaat lee to bhi qawind ka haq adaa nahi kar sakty.

Shaikh ul Islam rahimaullah ne khawind ki ita'at ki fazeelat wali ahadees bhi naqal ki hai is silsile me ahadees bhut zyada hai jin me se chand ek zail me bayan ki jaaty hai

Zaid bin Sabit bayan karte hai ke Quran majeed me khawind ko sardaar ka laqab diya gaya hai, aur phir inhone darje zail Quraan bari taala tilawat kiya,

"AUR In Dono Ne Darwaze Ke Paas Apne Sardaar Ko Paya". Aur Ibn Khattab r.z. kahte hai.

"Nikah ghulami hai, jise tum me se har ek ko dekhna chahiye ke ke wo apni laqt e jigar beti ko kiski ghulami me de raha hai" aur Tirmizi wagera me warid hai ke nabi ﷺ ne farmaya: "Aurton ke sath behtar salook karo, kyunke ye aurten tumhare paas ghulam hai".

Chunanche aurat apne qawind ke paas ghulam aur qaidi jaisy hai is liye aurat apne qawind ke ghar se qawind ki ijazat ke bagair bahar nahi nikal sakty,chahe aurat ka walid ya walida ya phir koi aur hukum bhi dee to ummat ka muttafiqa faisla hai ke qawind ki ijazat ke bagair ghar se bahar nahi nikal sakti.

Aur agar khawind apni biwi ko kisi aur jagah muntaqil karna chahe aur upar wajib karde huqooq ki adayegy bhi kare aur biwi ke mutalliq Allah ki hudood ki bhi hifazat kare lekin aurat ka baap apni bety ko isme khawind ki ita'at se roke to aurat ko apne khawind ki ita'at karni chahiye baap ki nahi, kyunke is surat me iske walidain is par zulm kar rahe hai, inhe apni bachi ko is tarah ke qawind ki ita'at se rokne ka koi haq hasil nahi.

Is aurat ko bhi haq hasil nahi ke wo qawind ki nafarmai me apni maa ki ita'at kare, ke is se qhula le ya phir jhagde taaki qawind ise Talaq de dee, yani biwi ko haq hasil nahi ke wo nan wa nafqa aur libas wa meher ke mutalliq aisa mutaliba kare jiski bina par qawind ise talaq de dee, agar qawind muttaqi ho aur biwi ke muamilaat me Allah se darne wala ho to biwi ko talaq lene ke mutalliq apne walidain ki ita'at karna halal nahi hogy.

Sunan e Arba'a aur sahih Ibn e Abi Hatim me Saubaan r.z. se hadees marwi hai ke Rasool ﷺ ne farmaya:"Jis Aurat ne bhi apne khawind se bagair kisi sabaq ke talaq ka mutakiba kia to is par jannat ki khushbu haram hai". aur ek dusr hadees me hai "Qhula lene wali hi munafiqaat hai".

Lekin  agar iske Walidain ise Allah ki ita'at ka hukum dete hai, masalan namz panchgana (5times) ki pabandi aur sachai ikhtiyar karne aur amanat wa diyanat karne ke sath sath fuzool kharchi se ijtinaab karne ka kahe to ye in ehkaam me shamil hai jo Allah aur iske Rasool ﷺ ka hukum bhi hai, ya phir jis se Allah aur iske Rasoolﷺ ne manaa farmaya hai. Isliye ise bhi usme in ki ita'at karny chahiye chahe ise walidain ke alawa koi dusra bhi ye baate kahe to ise ye manna hogy to phir agar walidain kahe to kaise nahi maanegy?

Aur jab khawind ise kisi aise kaam se rooke jiska hukum Allah aur iske Rasool ne diya ho ya phir use kisi aise kaam ko sar anjaam dene ka hukum de jis se Allah aur iske Rasool ﷺ ne manaa kia ho to use isme apne khawind ki ita'at nahi karny chahiye kyunki Nabi kareem ﷺ ka farmaan hai

"Allah khaliq ul mulk ki nafarmani me kisi maqhlooq ki ita'at nahi ki jaa sakty". Balke agar koi Malik apne naukar aur ghulam ko Allah ki ma'asiyat ka hukum dee to ghulam ko is ma'asiyat me apne malik ki ita'at karni jaayez nahi to fir aurat ko kaise majbuur kia jaa sakta hai ke wo Allah aur iske Rasool ﷺ ki ma'asiyat me apne khawind ya walidain ki ita'at kare kyunki khair wa bhalai to sirf Allah subhanahu wa ta'ala aur uske Rasool ﷺ  ki ita'at wa farmabardary me hai, aur Allah subhanahu wa ta'ala aur uske Rasool ﷺ ki nafarmani wa ma'asiyat me hai sary ki sary burai aur shar hai".

 Majmoo al Fatawa (32/261-264).

Shaikh ibn Taymiyyah rahimaullah ka mandarje bala ilmi aur mazboot jawab hi kafi hai jis se maqsad poora hojata hai, aapki walida ke liye jayez nahi ke wo aap aur aapki biwi ke ma'abain kharabi aur fitna paida kare, aur is silsile me Aap ke liye iski ita'at karna halal nahi, aur khawind ka haq aur iski ita'at Aap ki walida ki ita'at se zyada haq rakhty hai.

Biwi ke apne khawind ki ijazat ke bagair safar karna jayez nahi aur na hi wo kisi aise shaks ko khawind ke ghar me daqil kar sakty jise khawind na pasand karta ho, aur upar jo kuch bayan hua hai isme wo qawind ki ita'at chhor kar apni walida ki ita'at nahi kar sakty, kyunke khawind ki ita'at ka zyada haq hai.
Read More »

30 Dec 2017

Nikah me Ladki/Ladke ki Razamanddi


Nikah me Ladki/Ladke ki Razamanddi-

Nikah me ladka aur ladki dono ki razamanddi zaruri hoti hai.

Nabi (S.A.W) ka farmaan hai :

" Aurat ka nikah is ki ijazat ke bagair nahi kiya jayega "

kisi bhi aurat ko aise shakhs se shadi krne par majaboor krna jaiz nahi jis se woh shadi nahi krna chahti ho.

Nabi(S.A.W) ka farmaan hai :

" Ayem( Talaq Yafta ya bewah ) aurat wali se ziyada apne aap ki haqdaar hai, aur kanwari se is ki ijazat ke bare mein ijazat talab ki jayegi aur is ki ijazat is ki khamoshi hai "

Sahih muslim hadees number (1421 ) .

aur hadees mein Rasool Karim Allah alaihi wasallam ka farmaan hai :

" Shadi shuda aurat se mahswara ke baghair is ki shadi nahi ki jayegi , aur kanwari aurat ki shadi is ki ijazat ke baghair nahi ki jayegi".

sahaba ne arz kiya: Aye Allah ke Rasool (s.a.w) : is ki ijazat kaisi hogi ?

Nabi(S.A.W) ne farmaya :

" Woh khamosh ho jaye "

Sahih Bukhari hadees number (4843 ) Sahih Muslim hadees number (1419).

is ki Daleel darj zail hadees hai :

Khansa Bint khazam ul ansariya (r.a) bayan krti hain ke :

" Un ke waalid ne un ki shadi krdi aur woh Saib ( Talaq Yafta ya bewi) thi, to is ne use napasand kiya aur Naba(S.A.W) ke paas aayi to Nabi(S.A.W) ne is ke nikah ko radd kar diya "

Sahih Bukhari hadees number (4845 ) .

aur Ibn Abbas (r.a) bayan krte hain ke :

" Ek kanwari ladki Nabi(S.A.W) ke paas aayi aur bayan krne lgi ke is ke waalid ne is ki shadi krdi hai aur woh makruh thi, to Nabi(S.A.W) ne usay inkhtiyaar de diya ".

Sunan abu Dawud hadees number (2096 ) Allamah Albani Rehma Allah ne use sahih qarar diya hai .

Oper jo kch bayan huwa hai is se maloom howa ke aurat razi nah ho to baaz ahal ilm ke haan nikah sahih nahi, aur kchh ulama kahte hain ke yeh aurat ki ijazat par moqoof hai, is bina par agar aurat khawind ke sath nahi rehna chahti ho to Qazi use Talaq de dega, aur is mein khawind ki raye ki nahi dekhega .

Jab kisi mard ka dil kisi larki se muallaq ho jis ka is ka nikah karna jaiz hai ya kisi larki ne kisi larke ko pasand karliya ho to is ka hal shadi ke ilawa kuch nhi-

kyunke Nabi sale Allah alaihi wasallam ka farmaan hai :

 Do mohabbat karne walon ke liye hum nikah ki misl kuch nahi dekhte .

Sunan Ibn maja hadees number (1847 ) Busari Rehma Allah ne usay sahih kaha hai aur allama albani Rehma Allah taala ne bhi ise silsilatul sahiha(624) mein use sahih qarar diya hai .

Mangetar ko shadi se pahle Dekhne ki Ijazat:

aur isi liye Nabi sale Allah alaihi wasallam ne ladke ko yeh ijazat di ki hai ke wo apni honay wali mangetar ko dekhe :

Mughira bin shoba razi Allah taala anho bayan karte hain kay mein ne aik aurat se mangni ki Nabi(S.A.W) farmanay lage:

Use dekhlo kyunke aisa karna tum dono ke mabain ziyada istiqraar ka baais banega.

Sunan Tirmizi hadees number (1087 ) Sunan Nisai hadees number (3235 ) Imam Tirmizi Rehma Allah taala ne usay hasan kaha hai.

Abu Huraira(r.a) bayan krte hain ke Nabi(S.A.W) ne farmaya:

" Jab tumahre paas aisay shakhs ka rishta aaye jis ka deen aur ikhlaq tumhe pasand ho to is ki shadi ( apni ladki se ) kr do, agar tum aisa nahi kroge to zameen mein wasee o Areez fasaad barpaa ho jaayegaa".

Sunan Tirmizi hadees number (1084 ) Allamah Rehma Allah ne sahih Tirmizi me use hasan qarar diya hai.

Wali ko jaiz nahi ke woh apni Wilayat mein rehne wali aurat ko munasib rishta ane par jis par ladki bhi razi ho se shadi na krne de.

Allah SWT ka farmaan hai:

{ to tum inhen un ke khawindo se nikah krne se na roko, jab ke woh apas mein dastoor ke mutabiq razamand hon. } Surah-al-baqrah (232 ).

Allah Subhana ka to farman hai:

{ aur apnay mein se be nikah aurton ki shadi kardo }

{ aur apne naik saleh ghulamo aur londio ki bhi shadi kardo }

jab wali apni Wilayat me mojud aurat ko munasib aur barabar ke rishta ane par is ki shadi na kre jis se woh shadi krne par razi ho to is ne use shadi krne se rok diya, is terhan is ki Wilayat muntaqil ho kr baad wale asbah mard ko haasil ho , aur phir Qazi ko.

lekin kash hum is had tak na pohnche ke jis mein larki is baat ki jurrat kare ke jab iska walid aisay shakhs se shadi na karne de jo deeni aur akhlaqi lehaaz se is ka kafu ho to woh larki qaazi se jakr shikaayet kare,aur Qazi is ke waalid se kahe ke is ki shadi is shakhs se kardo wagerna mein karta hun ya phir tere ilawa koi wali kardega.

is liye ke ladki ko haq haasil hai ke jab is ka waalid usay shadi na karne de ( to woh qaazi se shikaayet kardey ) aur yeh us ka sharai haq hai kash hum is had tak na pohnchain-

is liye larkiyon ke waliyoon chahe woh waldain hon ya bhai waghera ko chahiye ke woh Allah taala ka taqwa aur khof ikhtiyar karte hue inhen shadi karne se na rokain, un ka haq hai kay jis ka deen wa akhlaq acha ho is se shadi kar dein.

haan yeh hai ke agar larki aisa larka inkhtiyaar kare jo deeni aur akhlaqi tour par behtar nahi to phir walii ko yeh haq haasil hai kay is se shadi na karne de aur mana krde , dekhein Al mughni: ( 383 / 9).

lekin agar larki deeni lehaaz se achay shakhs ko inkhtiyaar karti hai aur phir is ka walii sirf apne nafs ki khwahish par amal karte hue is se shadi nahi karne deta to Allah ki qasam yeh haraam hai aur phir haraam hi nahi balkay khayanat bhi hai, aisa karne se jo bhi fasaad peda ho ga woh is ka zimme daar hai aur is ka gunah bhi isi par hoga.

is maamla ko baat cheet aur Afham o Tafheem aur naseehat ke zariye hal krna chahiye, ho skta hai ke is rishta ke inkar mein waalid haq par ho, aur yeh bhi ho skta hai galti par ho.

waalid ki ita'at wa farmabrdari aur use razi krne ki hatta ul imkan koshish krni chahiye - is ke liye aap dua se muawnat len, aur istikhara aur kasrat se aamaal Saleha krein.

Allah SWT se dua krte hain ke woh hum ko khair o bhalayi par jama rkhe aur ita'at o razamandi ke kam mein muawenat farmaye. Ameen

wallah Aalam .

Prepared By: A.Sayed
Read More »

Nikah Me Wali Ki Ahmiyat


Wali ki Ahmiyat-

firstly-

Abu Musa Ashri r.a. byan krte hain ke Nabi ﷺ ne farmaya: "Wali ke bagair Nikah nahi hai.".

Narrated by Abu Dawood (2085), al-Tirmidhi (1101) and Ibn Maajah (1881) from Abu Moosa al-Ash’ari; classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Tirmidhi.

Aur ek Hadees me Nabi ﷺ ka farman hai:

"Jis Aurat ne bhi apne wali ki ijazat ke bagair Nikah kiya,Uska Nikah batil hai,Uska Nikah batil hai,Uska Nikah batil hai. Aur ager jhagda kare to uska jiska wali na ho uska Haakim wali hai.

Narrated by Ahmad (24417), Abu Dawood (2083) and al-Tirmidhi (1102); classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Jaami’ (2709).

Nabi ﷺ ka farmaan hai : Koi aurat kisi aurat ki shadi nah kare, aur nah hi koi aurat khud apni shadi khud kare, jo bhi apni shadi khud karti hai woh zania hogi.

Sunan Ibn maja hadees number (1782 ) dekhen sahih Ul jamia hadees number (7298 ) .

Aurat ka walii is ka waalid hai is ke baad jis ke baara mein woh wasiyat kare, phir is ka dada, aur iss ke oopar tak, phir is ke baad aurat ka beta, aur phir pota aur iss se neechay tak, phir is ke baad aurat ka saga bhai, phir waalid ki taraf se bhai, phir un dono ke betay, phir aurat ka saga chacha, phir waalid ki taraf se chacha, phir chacha ke betay, phir nasb ke lehaaz ke se qareebi shakhs jo ho walii banay ga jis terhan kay wirasat mein hai, aur phir jis ka koi walii nahi is ka walii musalman hukmaran ya phir is ka qaim maqam qaazi walii banay ga .

Aadmi ke liye Aqad nikah ke waqt walii ka hona wajib nahi hai. Aadmi ka ek walii ke baghair nikah ho jata hai-

Nabi ﷺ ka farmaan hai : Nikah ka elaan karo .

Musnad Ahmad sahih ul jamia mein usay hasan qaraar diya gaya hai dekhen sahih hadees number (1072 ).

•٠•●●•٠•

Prepared By: A.Sayed
Read More »