اقرأ باسم ربك الذي خلق

4 Oct 2018

Islam Me Firqa-Wariyat Nahi - Dr. Farhat Hashmi

hi  -
Is article me ham Dr. Farhat Hashmi ke chand keemti naseehato ko apse share karna chahenge.

Allah pak farmate hai,

“Aye Musalmano! Tum Sab Kaho Ke Hum Allah Par Eemaan Laaye Aur Us Cheez Par Bhi Jo Hamari Taraf Utari Gayi Aur Jo Cheez Ibraheem, Ismail, Is’haaq, Yaqub (Alaihimussalaam) Aur Un Ki Aulaad Par Utari Gayi, Aur Jo Kuch Allah Ki Jaanib Se Moosa Aur Isa (Alaihima Assalam) Aur Dusre Ambiya Ko Diye Gaye, Hum Un Maise Kisi Ke Darmiyaan Farq Nahi Karte, Hum Allah Ke Farmabardaar Hai.

Agar Wo Tum Jaisa Eemaan Laaye, To Hidayat Paaye, Aur Agar Muh Mode To Wo Sarih Ikhtilaf Me Hai, Allah Un Se Ankareeb Aap Ki Kifaayath Karega, Aur Wo Khoob Sunne Aur Jaanne Wala Hai.”

Surah Baqara, Ayat-136-137.

Dr. Farhat Hashmi is ayat ki tafseer me farmati hai,

“Hamare yaha kya hai? Bas ham sirf apne ustaad ki izzat jante hai, apne alim ki, apne groh walo ki, apne imam ki, Bas! Kitni tang-nazri hai ye! Isi liye to sirf uske naam se pahchane jana chahte hai.
Agar (wo) kahe bhi ki nahi nahi aesi baat nahi. Aesi (baat) nahi to kya hai ke tum har waqt isi chakkar me pade hue ho ki apne Imam aur apne bade (ulema) ko bada sabit kar sako dusro par aur saara zor tumhara isi par ho, saare dalail tumhare isi ke liye ho ki sirf jisse tum wabasta (connected ho) uski superiority tum qayam kar sako baaki sab par. Isse to kabhi Deen me wusat nahi aa sakti, yahi to shakshiyat-parasti hai.

Jaha haq ho waha se lelo, jaha achhi baat ho utha lo. Jo achha kaam kar raha ho appreciate karo, jaha se faiz pahuche shukr-guzaar ho. Aur sab ka ehteraam karo, yahi hame sikhaya gaya  'la nufarriqu bayna ahadin minhum (Hum Un Maise Kisi Ke Darmiyaan Farq Nahi Karte)'. Haalaki Allah taala ne khud baaz ambiya ko baaz par fazeelat di hai jaisa ki Quran e paak me teesre sipaare ki ibtida me aata hai 'Tilka alrrusulu faddalna baAAdahum AAala baad (Ye Rasool, in maise ham ne baaz ko baaz par fazeelat di)', minhum man kallama Allah (baaz se Allah ne kalaam kiya hai), warafaAAa baAAdahum darajat (baaz ko darajat me bulandi di hai). Lekin hame kya tameez sikhayi gai? Tum mat comparison karo, la nufarriqu bayna ahadin minhum. Kyu? Isliye ki agar ek shaks ye kahe ke fula nabi fula nabi se badh kar hai, jaisa ki baaz auqat logo me hua bhi, toh Aap ne us chiz se rok diya sab ambiya ki izzat zaruri hai. Halanki kisi ke paas kitab aayi, kisi ke pas saheefa aya.

Dekhe Ibraheem a.s. ki kitab ka zikr nahi milta, sohfe Ibraaheem, saheefe!, yaani choti kitabe, kitab badi chiz hai saheefa usse mukhtalif cheez hai ya choti cheez hai.

Baaz anbiya se Allah talah ne kalaam kiya, lekin sab se nahi kiya. Eesa alaihisaalam ko kuch aur khasayas diye gaye. Sulaiman Alaihisaalam ki badshahat aur nubuwat ki kuch aur khususiyat thi Dawood alaihisaalam ko jismani aur maali quwwat be-panaah di gai. Har nabi ki koi na koi khususiyat hai.
Lekin hume kya kaha gaya hai? 
Hum unke darimayan farq nahi karte. Hum sab ko Nabi maante hai, sab ka ehtaraam karte hai, sabki taaleemat ko barhaq samajhte hai ki unhone haq pahuchaya bando ko.

Isi tarah uske baad kya hai, jitne bhi ulema e karaam hai, jo bhi Deen ka kaam karne wale hai, ham sab ki izzat karte hai, (chahe wo) kisi bhi school of though se ho.

Haa! Kyuki ambiya toh galati nahi karte, (wo) Masoom hote hai. Lekin aam Ulema jo hote hai, Insaan jo hote hai, un se galatiya bhi ho jaati hai. Toh Jaha wo galati kare, bas us galati ko ham nahi maante baaki jo unki achchi baat hai wo sab maante hai, sab ki izzat karte hai. 
Illah yeh ki koi shakhs Islam ke dayreh se nikal kar kufr Ki taraf chala jaye. Toh wo toh ek alag qissa ho jata hai.

Lekin jo shaks Musalman hai, Deen ki khidmat kar raha hai, agar usse koi kami kotahi  ho jati hai, apko maloom hai ki umuman kami-kotahi kaha hui? Ijtehadi maumlat me. Iztehadi kaha?
Jab Quran aur Sunnat ka waazeh hukum nahi tha, Ulema ne koshishe kar ke masaail ka hal dhundha.
Kisi ne ek hal bataya kisi ne dusra bataya. Ab kya hua? ek ki baat dusro se mukhtalif ho gayi. 

Aap dekhye ki koshish karne ke baad agar koi aalim ek masla batata hai, (aur) agar usse galati bhi ho jaati hai toh apko pata hai (ke) us galati par bhi usko ajar hai, Hadees me yeh baat aati hai. Allah tala toh usko uski galati par ajar de rahe hai. Aur ham usko muaf nahi kar rahe hai aur uske khilaf toofan uthaye hue hai aur usko negate kar rahe hai, degrade kar rahe hai.

Hame kisne haq diya hai yeh sab kuch karne ka. Hame kisne chun kar is masnad pe bithaya hai ki tum logo ke baare me fatwe do. Nahi! hamara ye kaam nahi (hai). 
Hamara kya kaam hai?
Jo bhi koi achchi baat kar raha hai wo sab achche hai. Illah ye ki agar koi baat wo durust nahi kar raha toh bas ham wo nahi lenge.

Aap dekhen, misaal ke taur par ap (bazaar se) chawal (rice) khareed ke laati hai ya Tamatar khareed kar laati hai. Ap jab usko kaat te hai toh uska ek hissa kuch kharab nikal aata hai.
(Toh kya) Ap saara Tamatar (dust) bin me fek dete hai? Karte hai aisa? Nahi!!
Kya karte hai? 
Jo Kharab hissa hota hai usko kaat kar alag rakh dete hai, baaki ko dho kar istemal karte hai. Aur aisa hi hona chahiye na? Agar koi shakhs ek choti si daag ki bina par saara  Fruit bin me utha kar fek de toh Aap kahengi iska dimag chal gaya hai.
Lekin Deen ke maumle me hum aisi hi himaakate karte hai. Agar kisi se ek galati ho gayi, kyuki wo insan hai na? Toh us bina par uski har baat buri ho gayi.
Har chiz bin me chali gayi, uska toh naam bhi na lo. Kya wo tumhara Musalman bhai nahi?

Quran us dil me sahih tarah aata hai jis Dil me wusat aati hai. Nafrate nikalti hai, tazkiya hota hai, dil chamakte hai, hasad, bugz, mael se paak hote hai, Fir Allah ki marifat aati hai, fir hikamat ilqa hoti hai, Fir Deen ki barkate hoti hai, fir Islam ka paigam dunya me aam hota hai. Aaj kyun aam nahi ho raha? Ham to apne ghar me ajanabi ho gaye (hai). Musalman mulk, Islami jamhuriyat, Pakistan me Islam ajanabi hota ja raha hai. Padhe likhe logon me, anpadh logon me, Kyu hua ye? Kabhi socha aapne? In nafarton ki wajah se hua, ke jab koi Deen ka naam leta hai, sab haath dhoke uske piche pad jaate hai. Agar waqai sincerely ham Deen ke khadim banna chahte hai toh hame apna mijaaz badalna hoga. Aur mijaaz is Quran ke mutabik.

Aur ham kisi Nabi ke taraf nahi mansub kar rahe apne apko, kisi alim ke taraf nahi!, kisi Imam ki taraf nahi! 'Lahu Muslimoon', Allah ki taraf, uske Musalman, uske farmabardaar, uske tabedaar. [Allah pak farmate hai]

“Agar Wo Tum Jaisa Eemaan Laaye, To Hidayat Paaye, Aur Agar Muh Mode To Wo Sarih Ikhtilaf Me Hai, Allah Un Se Ankareeb Aap Ki Kifaayath Karega, Aur Wo Khoob Sunne Aur Jaanne Wala Hai.”
Surah Baqara, Ayat-137.

Yaani ibtedaai taur par jab Quran nazil ho raha tha to khitaab kisko tha? Sahaba e karaam ko tha, uske baad hamse bhi hai lekin sahaba e karaam ko ek model banaya gaya ki agar baaki dunya ke log eemaan laaye, 'bi-mishli maa antum' jaisa eemaan tum laaye ho, kaisa eemaan tha unka?' kulu amanna billah se le kar end tak', nahnu lahu muslimoon. Jo is tarike ka eeman laaye, fir wo hidayat-yafta hue.

Sahaba e karaam jaisa eeman, mujhe zara ap bataiye sahaba e karaam kis groh maise the? Kya maslak tha unka? Wo Hanafi the ya Shafai the ya Maliki the? Wo kaun the?
Wo bas Musalmaan the!
Unka kaunsa sect tha? wo sunni the ya shia the?  Musalman the! Farmaya aesa hi eemaan agar baaki log laaye, (toh) ye hai hidayat.
Aur agar log munh mod jaaye, aesa eemaan na laaye, is baat se ittifaak na kare, isse agree na kare aur apne apko groho me baant ke rakhe, toh asal masla fir kya hai, maraz kya hai? Wo darasal zidd me mubtilah hai, mukhalifat ka shikaar hai, alag rahna chahte hai. Kharabi fir waha hai, tum me nahi, tum itmenan rakho ki jo kar rahe ho durust kar rahe ho, bigaad hai toh fir unme hai jo is tarike par na aaye.” End quote.


•٠•●●•٠•

Allah hame in keemti naseehato par amal karne ki taufeek ata kare. aameen.