اقرأ باسم ربك الذي خلق

14 May 2019

Kya Shadi Ke Baad Biwi (Wife) Apne Naam Ke Sath Shauher Ka Naam Laga Sakti Hai?

hi     

Alhamdulillah..

Abu Zar r.a. riwayat karte hai ki Nabi ﷺ ne farmaya,

'Jis shaks ne bhi jaan-bujh kar apne baap ke siwa kisi aur ko apna baap banaya toh us ne kufr kiya aur jis shaks ne bhi apna nasab kisi aesi qaum se milaaya jis se uska koi talluq nahi hai toh wo apna thikaana jahannam me bana le.'

Sahih al bukhari, kitab al manaqib (61), hadees-3508.

Is hadees se kuch logo ne ye faham aqhaz kiya hai ki biwi apne naam ke aage shauhar ka naam nahi laga sakti hai. Dar asal ye galat hai, hadees me aesi kisi baat ka zikr nahi hai.

Arab me log apne baap ka naam badal kar apne apko kisi aur baap ki taraf mansoob kiya karte hai. Is liye Allah s.w.t. ne hame is cheez se mana farmaya. Misaal ke taur par Aap ﷺ  ke gulaam, Zaid ibn harisa, unko Zaib ibn Muhammad kaha jaata tha halaanke Muhammad ﷺ unke baap nahi the. Mazeed details ke liye Surah Ahzaab padh lein.

Toh darasal is chiz se mana farmaya gaya hai kyuki Islam sachhai ko pasand karta hai. Toh jo asal me kisi ka walid nahi hai use koi haq nahi hai ki wo uske walid ka muqam paaye.

۞ Ek Misaal:

Agar koi aurat hai, uska naam hai Ayesha binte Khalid yaani Ayesha khalid ki beti. Ab uski shady ek Momin naami ladke se ho jati hai. Aur ab wo agar apna naam Ayesha Momin rakh leti hai, toh isse usne apna baap ka naam nahi badla hai.

Baap ka naam tab baldla jayega jab wo likhe 'Ayesha binte Momin' yaani Ayesha Momin ki beti.

Aur us se agar pucha bhi jaye ki apke baap ka naam kya hai toh wo Khalid hi kahegi na ki Momin.

۞ Is Par Hamare Aslaaf e Deen Ka Faham

Hamari ek Maa hai jinko kaha jaat hai Umme Salamah r.a. Ye Aap ﷺ  ki biwi hai jo sab se aakhir me faut hui thi. Ab inka naam hai Umme Salamah yaani Salamah ki Maa. Agar is par bukhari ki hadees ka galat fahm liya jaaye toh inhone jab Rasoolullah se shady ki tab inhe khud ko apne baap ke alawa kisi aur ki taraf mansoob nahi karna chahiye tha.

Lekin inhone khud ko apne baap ki taraf mansoob nahi kiya aur iske bajaye apne aulaad ki taraf khud ko mansoob kiya. Toh baat wazeh hui ki hamare aslaaf ne bhi iska wahi fahm samjha tha jise hamne bayaan kiya hai.

Isi tarha ek aur sahabiya hai jinka naam hai Umme Sulaim. Inhone ne bhi khud ko apne bete Sulaim ki tafaf mansoob kiya.

Toh ye naam badalna wo nahi hai jisse hadees me mana farmaya gaya hai. Hadees me is se mana farmaya gaya hai ki koi Ayesha binte Khalid apne apko Ayesha binte Momin kahe. Toh ye hoga badalna warna badalna nahi hoga.

Aur Allah sabse behtar jaanta hai.

•٠•●●•٠•