اقرأ باسم ربك الذي خلق

Showing posts with label Firqa-Wariyat. Show all posts
Showing posts with label Firqa-Wariyat. Show all posts

7 Jan 2018

Dr. Zakir Naik - Firqa-Parasti




Upar ke Lecture ko Roman Urdu me Padhne ke Liye ye link check kare: [Roman Urdu of Firqa-parasti by Dr. Zakir Naik]
Read More »

Quran Me Ikhtilaf Ka Hal


Allah ‎ Farmate hai,

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا أَطِيعُوا اللَّهَ وَأَطِيعُوا الرَّسُولَ وَأُولِي الْأَمْرِ مِنكُمْ ۖ فَإِن تَنَازَعْتُمْ فِي شَيْءٍ فَرُدُّوهُ إِلَى اللَّهِ وَالرَّسُولِ إِن كُنتُمْ تُؤْمِنُونَ بِاللَّهِ وَالْيَوْمِ الْآخِرِ ۚ ذَ‌ٰلِكَ خَيْرٌ وَأَحْسَنُ تَأْوِيلًا- 

Aey Eman Walo! Allah Ki Itaat Karo Aur Rasool Ki Itaat Karo Aur Unlogo Ki Itaat Karo Jo Tum Mein Ikhtiyar Wale (Ulema, Imam Wagaira) Hai. Aur (Tumhare Bich) Agar Kisi Cheez Me Ikhtilaf  Ho Jaye To Use Lautao Allah Ki Taraf Aur Rasool Ki Taraf Agar Tumhe Allah Par Aur Qayamat Ke Din Par Eeman Hai. Yeh Boht Behtar Hai Aur Anjaam Ke Aetbaar Se Boht Acha Hai.

Surah Nisa, Ayat-59.

Subhan Allah! Kitni wazeh ayat hai. Hamare bich ke ikhtelafaat me agar ham is ayat par amal kare to hamare aksar ikhtelafaat dur ho jaye. Par ham maise aksar ko to ye bhi nahi pata ki Quran samajhne aur amal karne ki kitab hai. Ham to ise bas tilawat ki kitab samajhte hai. Iktilaf me hamara haal kya hota hai? Hamne jo bhi raaye banayi hoti hai ham usi par lakeer ke fakeer ban kar rah jate hai.

Ham ye dekhna bhi nahi chahte ki akhir Quran aur sunnat me iska hal kya bataya gaya hai. Quran saaf alfazo me kahta hai ki agar hamne apne itkhtilafaat ko Quran aur sunnat ke taraf na lautaya yaani apni raaye ko side me rakh kar ye nahi dekha ki Quran aur sunnat ki raaye kya hai toh goya hamne Allah aur roz e akhirat par eeman nahi rakhha. Itne sakht alfaz hai Quran ke. Lekin asal me hamara ye usool toh dur dur tak nahi hai, Hamara usool ye hai ki agar kisi baat me ikhtilaf ho jaye to bas jo hamare Jamaat ke ulema kah rahe hai wo hi haq hai. Agar is usool ko maan liya jaye toh ek Qadyani zindagi bhar sirf qadyani rahe, ek Shia sirf shia rahe aur ek Sunni sirf sunni hi rahe. Ham insan hai aur na masoom hai aur na farishte, to lazim hai hamse galtiya ho sakti hai. 

Hona to ye chahiye tha ki Ham dusre ki galati waazeh karne ke bawujud is Ehsaas me hon ki ho sakta hai Mai hi galat hu. Lekin Hamare mu'ashre me har banda paigambar hai, har bande ko baraheraast Wahee ayi hui hai, jo usne raaye qayam karli hai use hamesha ke liye karli hai, usme galti chore galti ke imkan (possibility) ko bhi manne ko tayar nahi hai. Hame ye yaad hona chahiye ki hamare liye final authority Allah aur uske Rasool hai koi Alim, Muhaddis ya Imam nahi. 

Sheikh Ibn Uthaymeen Farmate Hai, "Hamare Darmiyan Allah Ki Kitab Aur Rasool Allah Ki Sunnate Hai. Isliye Ham Iske Zarye Faisla Kare Na Ki Apne Khwahisho Ya Raae Ke Zarye Aur Na Hi Shakshiyato Ke Zarye. Har Shaks Se Galti Hoti Hai Aur Durustgi Bhi Hasil Hoti Hai Wo Kyu Na Wo Ilm Aur Ibadat Ke Hawale Se Kisi Bhi Mukam Par Pahoch Gaya Ho."  [source]

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame sidhi raah dikhaye. aameen.
Read More »

6 Jan 2018

Firqo Ko Ek Taraf Rakh Kar Khud Aage Badhe - Sheikh Ibn Al Uthaymeen


Shaykh ka ye Qawl unke ek dars (lecture) se liya gaya Jisme wo Imam Nawawi ki 40 hadith ki sharah bayan karte hai. Sheikh, Imam Nawawi ki 40 hadiso maise 28wi Hadith ke sharah me nasihat kar rahe hai. Wo 28wi hadith ye hai,

عَنْ أَبِي نَجِيحٍ الْعِرْبَاضِ بْنِ سَارِيَةَ رَضِيَ اللهُ عَنْهُ قَالَ: "وَعَظَنَا رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه و سلم مَوْعِظَةً وَجِلَتْ مِنْهَا الْقُلُوبُ، وَذَرَفَتْ مِنْهَا الْعُيُونُ، فَقُلْنَا: يَا رَسُولَ اللَّهِ! كَأَنَّهَا مَوْعِظَةُ مُوَدِّعٍ فَأَوْصِنَا، قَالَ: أُوصِيكُمْ بِتَقْوَى اللَّهِ، وَالسَّمْعِ وَالطَّاعَةِ وَإِنْ تَأَمَّرَ عَلَيْكُمْ عَبْدٌ، فَإِنَّهُ مَنْ يَعِشْ مِنْكُمْ فَسَيَرَى اخْتِلَافًا كَثِيرًا، فَعَلَيْكُمْ بِسُنَّتِي وَسُنَّةِ الْخُلَفَاءِ الرَّاشِدِينَ الْمَهْدِيينَ، عَضُّوا عَلَيْهَا بِالنَّوَاجِذِ، وَإِيَّاكُمْ وَمُحْدَثَاتِ الْأُمُورِ؛ فَإِنَّ كُلَّ بِدْعَةٍ ضَلَالَةٌ".

Abu Najih al-Irbad bin Sariyah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool Allah ﷺ ne wa’az (speech) farmaya jis se aankhon se Aansoo bah nikley aur dil kaanp uthey, humne arz kiya Ya RasoolAllah ﷺ ye to rukhsat karney waley ki naseehat hai Aap humse kisi cheez ka ahad le le, Aapney farmaya main tumko aise raste par chorh kar ja raha hu jiski raat bhi din ki tarah (roshan) hain is (raste) sey wo hi hatega jo Halaaq honey wala hoga. Tum mein se jo zinda rahega wo shadeed ikhtilaf dekhega tum par mera tareeqa aur mere hidayat yafta khulafa ka tareeqa lazim hai isko daanton se mazbut pakad lena. Nayi chizo se khabardaar rahna kyuki har Biddat ek gumarahi hai.

Fourty Hadith by Imam Nawawi, Hadith-28. [Rawaah Abu Dawud and Imam Tirmizi]

Ab Mai Sharah Bayan karta hu. Shaykh Ibn Uthaymeen ki Sharah Green Text me hogi aur mere explanatory notes, brackets aur black text me honge.

Sheikh ibn Uthaymeen is hadith ki sharah me farmate hai,

“Unke (RasoolAllah ﷺ ke) Bayan Se,

Jo Koi Tum Maise Zinda Rahega Wo Kafi Ikhtilaf Dekhega. To Mery Sunnat Par Amal Karna.
(Isse) Ye Sikha Jaa Sakta Hai Ki Agar Ummat Ke Andar Badi Taadaad Me Jamaate (groups) Ubhar Kar Samne Aaye. To In Me Khud Ko Kisi Jamat Me Shamil Nahi Karna Chaiye.

Maazi (Past) Me, Bahut Se Aise Jamat Zahir Hue Hai (Jaise): Khawarij, Mutazilah, Jahmiyyah, Shiah, Aur Rafidah Bhi.
Phir Baad Me Zahir Hue: Ikhwanis, Salafi, Tablighi Aur Tamaam Inki Tarah.

In Sab Ko Ek Tarf  Rakh De, aur Aage Chale. 

Isi Ki Taraf Nabi ﷺ Ne Hidayat Ki Hai Ki: “Meri Sunnat Par Amal Karna, Aur Hidayat Yafta Khalifa Ki Sunnat Par.”

Isme Koi Shak Nahi Ke Tamaam Musalmano Par Farz Hai Ki Wo Salaf As Saleh Ke Mazhab (Tarike) Ko Apna Mazhab (Tarika) Banaye. Ummat E Islamia Ke Liye Farz Hai Ke Wo Salaf Ke Mazhab Ko Apne Mazhab Banaye.

Shiddat-pasandi Se Unlogo Ki Tarafdari Nahi Karni Chaiye Jo Apne Ap Ko Salafi Kahte Hai.

Farq Ki Taraf Tawajjoh De.

Ek Toh Salaf Ka Raasta Hai Aur Dusra Salafio Ke Naam Se Ek Jamaat (Hizb) hai.

(Jamaat banane ka) Maksad Kya Hai?

Salaf Ki Pairwi Karna.

Kyun (Jamaat banana Fir) ? (matlab jamaat banaye bina bhi to pairwi ho sakti hai salaf ki)?

Isme Koi Shak Nahi Ki Salafi Bhai Haq Ke Sabse Zyada Kareeb Hai.

Lekin Inki Problem Bhi Wahi Hai Jo Dusre (Firqo) Ki Problem Hai,

(Wo Yeh) Ki In Maise Kuch Firqe Dusro Ko Gumrah Kahte Hai, Woh Unhe Bid’dati (Innovators) Aur Gunah-Gaar Kahte Hai.

Ham Iski Muzammat Nahi Karte, Agar Wo Iske Mustahik Ho, Lekin Ham Biddat Ko Is Tarah Se Handle Karne Ki Muzammat Karte Hai.

Ye Wajib Hai Ki In Firqo Ke Rehnuma (leaders) Ek Sath Aye Aur Kahe Ki Hamare Darmiyan Allah Ki Kitab Aur Rasool Allah Ki Sunnate Hai. Isliye Ham Iske Zarye Faisla Kare Na Ki Apne Khwahisho Ya Raae Ke Zarye Aur Na Hi Shakshiyato Ke Zarye. Har Shaks Se Galti Hoti Hai Aur Durustgi Bhi Hasil Hoti Hai Wo Kyu Na Wo Ilm Aur Ibadat Ke Hawale Se Kisi Bhi Mukam Par Pahoch Gaya Ho.

Deen Islam (Quran, Sunnat) Hi Sirf Galti Se Paak Hai. (Na ki koi shakshiyat)

Hadith Me RasoolAllah Ne Us Raste Ke Taraf Hidayat Di Hai Jisme Ek Shaks Mahfuz Kar Sakta Hai Apne Ap Ko. (Aur Uska Hal Ye Hai Ki) Wo Apne Apko Kisi Bhi Firqe Se Na Milaye. Sirf Salaf As Saleh Ke Aur Nabi ﷺ Ke Tarike Par Aur Khulfa E Rashideen Ke Tarike Par (Chale).” End quote.


•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame Nabi ﷺ, Hidayat Yafta Khulafa e Rashideen aur salaf as Saaleh ki sunnat par amal karne ki taufeek de. aameen.
Read More »

Aadab e Ikhtilaf


Allah pak Quran e majeed me farmate hai

Dehaati log kehtay hain kay hum emaan laye. Aap keh dijiye kay darhaqeeqat tum emaan nahi laye lekin tum yun kaho kay hum islam laye(Muslim hue) halankay eeman to abhi tak tumharay dilon mein dakhil hi nahi hua hai.

Surah Hujurat (49), ayat: 14.

RasoolAllah ﷺ ne farmaya

“Wo Log jinhone Eeman ki kalemaat kahe hai lekin eeman to abhi tumhare dilo me dakhil bhi nahi hua hai! Musalmano ki burai mat karo na hi unki galtiya nikalo, kyuki jo bhi unki galtiya nikalega toh Allah uski galtiya nikalega wo kyuna apne ghar me hi ho.”

Narrated by Abu Dawood, no. 4880; classed as saheeh (authentic) by al-Albaani.

Aj Hamare Ummat ka haal kya hai? Gaur se dekha jaye toh jhagda, fasaad, bughz hi nazar ayega. Jab ki Ummat me ulfat aur Muhabbat farz hai aur Mustahab aamaal me ikhtilaf ho jaye to usme koi baat nahi hoti. Kyuki ikhtilaf sahaba ke daur se chalte aa rahe hai, ye aam baat hai lekin ye alag baat hai ki Kuch log bhul gaye hai ki ham sab ka zahen ek tarha ke nahi hai, ham sab ki soch alag hai to isi wajah se ham sab ki raaye alag ho sakti hai isme koi badi baat nahi.

Agar ham Quran aur sunnah padhenge to hame pata chalega ki sahaba me bhi ikhtilaf hota tha, lekin kya wo ek dusre par kufr, gushtakh e Rasool, manhajless ka fatawa dete the? Balki wo khule hue zahen se ek dusri ki baat sunte the aur jo kitab wa sunnah se nazdeek raaye ho usko maan liya karte the. Aur aj hmara Islam kya h? Agar ham 99% me ek ho lekin zara sa bhi hamne ek dusre se kisi muamle me ikhtilaf kar liya to us par pahle gumrah ke fatwo ki barish karte hai fir bad zubani aur aakhir me bure alfaz aur gali galoch par utar aate hai. Kya isi ka naam Islam hai? ki ham zara sa bhi ek dusre ko bardasht na kare? Allah ki Panaah!

Ham ye kyu soch lete hai ki sirf ham Hi sahih ho sakte hai. Kya ham Nabi ﷺ ke tarha masum hai? Beshak Nahi. Ham insan hai aur insan se Galatia hoti hai. Ham apne apko farishto ka darja kyu de dete hai ki hamse kabhi koi galti nahi ho sakti. Bas sirf ham sahih hai, hmara firqa haq hai baaki sab galat hai. Khuda ke liye zara aql istemal kare. Ham khud apas me aese Hi ladte rahenge to dusro ko Islam ki dawat kab denge. Gair Muslimo ke samne hmari izzat kya rah jaegi.

Aur Ham Islamic Speakers tak ko nahi chhorte jinhone tab Islam ke liye awaz buland ki thi jab ham sab shirk-biddat aur khurafaat me dube hue the. In sab se nikalne wale Hi wo speakers the. Par afsos un ko tak ham ne na chhora aur wo bhi sirf isliye kyuki ek ya kuch chizo me wo hamse muktalif raaye rakhte hai. Jin speakers ne dunya ke kone kone me ja kar Islam ki dawat di, jinhone hame aur ham jaise laakho Musalmano ko shirk biddat khurafaat se bahar nikala, jinhone ham ko bataya ki Islam kis chiz ka naam hai aur Muslim kise kahte hai? Aj ham gairo se pahle khud unpar hamla kar dete hai aur unko gumrah aur pata nahi kya kya bol jaate hai apni jahalat aur kam ilmi ki wajah se aur afsos dar afsos wo bhi sirf isliye ki wo hmse kuch baato me ikhtilaf rakhte h aur wo bhool jate hai ki sahaba me bhi ikhtilaf hua karte the.

Afsos ki hame Aadab e Ikhtilaf hi nahi pata aur ham badi badi Quran aur sunnat ki baate karte hai.

Ham is tarha khud garz aur jahalat me aachuke hai ki ab ham khud ko jannati aur baaki sabko gumraah aur Dozakhi kahne lage hai. Subhan Allah, Allah hu Akbar. Ye kis tarha ki jahalat hai. Wo sahaba e karaam jinhe Allah ne kaha ki Allah unse raazi aur wo Allah se raazi, kuch ko dunya me Hi jannat ki basharat mil gai. Iske bawujud unhone kabhi ye dawa nahi kiya ki wo jannati hai. Balki hmesha Allah se darte aur usse magfirat ki Ummeed rakhte rahe. Aur hairani ki baat hai ki aj ke log itne bade bade dawe krne lage hai jab ki unke amal aur sahaba ke amal ke bich ki duri wo Hazaar saal ke waqfe me bhi puri nahi kar sakte.
۩ Anas r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ek jawan ladke ke pas tashreef farmaya hue jo Maut ki halat me tha. RasoolAllah ﷺ ne us ladke se farmaya, "Apko kaisa lag raha hai?" Usne kaha, "Ae Allah ke Rasool, Mujhe Allah par Ummeed hai lekin mai apne gunaho se darta hu". 
RasoolAllah ﷺ ne Farmaya, "Ye do chiz (Ummeed aur Khauf) is surat e haal me ek shaks ke dil me nahi rahta lekin ye ki Allah use ata kar dega jiski wo ummeed karta hai aur use mahfooz rakhega us chiz se jisse wo Khauf me hai."

Sunan Ibn Majah, Kitabul Zuhd, Vol. 5, Book 37, Hadith 4261. Classed as Hasan by Sheikh Zubair Ali Zai r.h. 
SubhanAllah, ye hai ek sahaba ka Attitude. Ye sahabi ne ye nahi kaha ki Ae Allah ke Rasool Mai Haq pe hu, firqa e Najia se hu, Mai to apki sohbat me raha, Quran me Allah ne gawahi diya ki Allah Mujh se raazi, mai Allah se raazi, Nahiii!!! Balki Khauf aur ummeed ke bich ke maut par jo mara wo haq par mara.  SubhanAllah bade bade sahaba ne aesa nahi kaha ki mai Jannat me jaunga balki ummeed hamesha ki ke Allah Jannat de aur Jahannam se najaat de. 

Yaha to ham duniya me jite ji kah rahe hote hai ki mai hi Haq par hu, Mai hi Firqa e Najia se hu, hamara hi firqa jannati hai. Ye kah kar hamne apni islah ke purey darwaze band kar diye hai ki bhai Islah to tu kar apni mai to pahle se hi us jamaat se hu jo puri ki puri jannat jane wali hai. Yahi to tarika hai shaitaan ka ek Muslim ko gumraah karne ka. Tou lihaja hum ummid karte hai ke firqa-e-najia me rahe! Lekin Hum dawa nahi kar sakte ke hum firqa-e-najia se hai. Sahaba ne nahi kiya, bade bade Tabayeen ne nahi kiya, Khud Ulema ne nahi kiya to hamari kyu auqaat fir ki ham dawa kare, Jo Khairul Quroon me the, sabse behtareen zamane me the, jiski gawahi Allah ne di, RasoolAllah ne di, wo aese daawe na karte the, Ye ajeeb baat hai ki aaj ke baad ke daur ke log kaise himmat se karte hai. Pata nahi ye log aesi himmat kaha se laate hai ye bolne ke liye.

Khud ka manhaj sahih baaki sab ka manhaj galat, khud jannati baaki sab dozakhi, Khud Haq par baaki sab gumraah, khud aashiqe Rasool baaki sab gustakh e Rasool. Allah hu Akbar. Kya yahi Islam sikhata h? Islam toh gairo ko bhi apnane ki taleemat deta hai aur ham Apne Musalman bhai ke zara si ikhtilaf ko bhi bardasht nahi kar sakte. Ek dusre ke piche namaze nahi padhte, ek dusre ko salaam nahi karte, Jab ki sahaba Khwarij ko bhi salam kiya karte the aur unke piche namaz padha karte the jab ki khwarij sahaba ko unke muh par Kafir kaha karte the.
۩ Tariq bin Shihaab (Tabayee) r.h. bayan karte hai ke Mai Ali ibn e abi talib r.a. ke paas tha to unse sawal kiya gaya ke Kya Ahl e Neherwaan (ya'ni khawarij) mushrikeen hai? Ap r.a. ne farmaya ke (Nahi), Shirk se to wo Bhage hai. Fir pucha gaya to kya Fir wo munafiq hai? Ap r.a. ne Farmaya: Nahi! Munafiqeen to Allah ta'ala ko bahut hi kam yaad karne wale hote hai (ya'ani khawarij to had se zyada ibadat guzaar hai to wo munafiq kyun kar ho sakte hai). Fir pucha gaya ke aakhir wo (khawarij) kya hai?
Ali r.a. ne farmaya ye (hamare) aise (Musalman bhai) log hai jinhone hamare khilaaf baghawat ki hai.

Al Musannaf ibn Abi Shaiba, Hadith no- 39097, Isnad Sahih.

۩ Abu Shihaab riwayat karte hai ki Hazrat Ibn Umar r.a. Khasbiya aur Khawarij ko salam kiya karte the jab ki wo apas me jang kiya karte the, aur wo (ibn Umar) kaha karte the ki Jo bhi koi “Hayya Alal Salaah” kahega mai is ka jawab dunga (matlab unke masjid me namaz padhunga) aur jo bhi “Hayya Alal Falaah” kahega mai uska bhi jawab dunga, lekin agar koi kahe ki ham Musalman bhaiyo ka katl kare ya unka maal lute tab ham inka sath nahi denge.

Sunan Kubra Baihaqi, Volume : 3, Hadith Number: 5305. Isnad Sahih.
Shaykh Ibn Taymiyya farmate hai,

Khawaarij jo gumrah hue, jinse ladne ka hukm RasoolAllah ne diya tha, aur jinse Ameer al-Mu’mineen ‘Ali r.a., ek hidayat-yafta Khalifa ne jang kari, aur jinse Sahaabah, Taabi‘een aur unke baad aane wale bade ulema bina ikhtilaf unse jang karne se muttakif hue, unhe ‘Ali ibn Abi Taalib, Sa‘d ibn Abi Waqqaas aur durse Sahaabah ne kafir nahi kaha; balki (in sahaba ne) unhe Musalman mana agarche unlogo ne inse jang ki thi…

Majmoo‘ al-Fataawa, 3/282. source: https://islamqa.info/en/182237

Ham aadab e ikhtilaf ke muamle me Sahaba aur salaf ke bilkul ulta kar rahe hai aur daawa karte hai ki ham salaf me tarike par chalne wale hai. Zara Kitab khol kar padhe toh ki hamare asal buzurgaane Deen, hmare salaf ka ikhtilaf ki halat me kya muamla hua karta tha fir apko pata chalega ki ham kidhar jaa rahe hai.

Shaykh Muhammad ibn ‘Uthaymeen ne farmaya

Jadeed daur me Kuch log jinhone salafiyyah ka rasta apnaya unlogo ne har us shaks ko gumraah kahna shuru kar diya jo unse ikhtilaf karta hai yaha tak ke agar wo shaks sahih ho, aur kuch logo ne Hibz ka rasta apnaya jis tarha se dusre groh(parties) ne apnaya tha jo apne ap ko Mazhab e Islam se hone ka dawah karte hai. Ye kuch aesa hai jo na-pasandida hai aur jiski manzuri nahi di ja sakti, aur unlogo se ye kahna chaiye: Salaf as saleh ke tarike ko dekho, wo kya kiya karte the? Un ke tarike ko dekho aur kaise wo khule dil ke the jab ikhtilaf ki surat aati thi jisme ijtihaad jaiyz hai (aur ikhtilaf kabile qubul hai). Woh bade masail me bhi Ikhtilaf karte the, eeman aur amal ke masail me. Ap ko kuch chize milengi, jaise, RasoolAllah ﷺ ka Allah ko dekhne pe inkar karna jab ki dusro ne kaha ki unhone dekha hai. Apne  kuch ko ye kahte hue dekha hoga ki qayamat ke din jo chiz tauli(weighted)  jayegi wo hai aamaal jab ki dusre log kahte the ki wo  to aamaal ki kitab hai jo tauli jayengi. Ap unhe dekhenge ki wo Fiqh ke muamlo me bhi kafi had tak ikhtilaf karte the, jaise Nikah, wirasat ka hissa, khareed aur farokhqt, aur dusre muamlo me. Lekin is ke bawujud unhone ek dusre ko gumraah nahi kaha.

Salafiyyah ek khas Jamaat ke taur par jiski alag khushusiyat ho jisme log un logo ke siwa sabko gumraah kahe, in logo ka salafiyyah se kuch lena-dena nahi hai. Jaha tak ke salafiya jiska matlab salaf ki pairwi karna eeman me, kalimaat aur aamaal me, ittihad, mutabqat aur shafkat aur muhabbat ke taraf bulana jaisa ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Momin ke Misaal ek jism me Muhabbat, rahmat aur shafkat ki tarha hai; jab koi ek hisse me takleef hoti hai toh fir baaki hissa bhi us ke sath jaagta hai aur bukhar me shamil ho jata hai- YE ASAL SALAFIYYAH HAI

[Liqaa’aat al-Baab al-Maftooh, 3/246]

Agar ikhtlaf ho bhi jaye kisi masle pe, toh ikhtilaf gusse, gazab, ladai-jhagda, kisi ki izzat utarne ya lanat-malamat karne pe hame aamada na kare. Agar apko waqai lagta hai ki apke kisi bhai me koi kami hai to usse pyar se baat kare, uske hidayat ke liye duae kare, use ache aqhlaq ke sath samjhaye na ki use badnaam kare use buri baate sunaye ya Fatawa baazi kare. Ye hai Hamare salaf ka aqhlaq aur unka manhaj.
Thabit bin Ad-Dahhak r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Jisne ek momin pe lanat ki to wo aesa hai ki usne uska katl kiya aur jisne ek momin ko Kafir kaha to ye aesa hai ki usne usko maar dala.”

 Sahih al-Bukhari, 6105.
Allama Iqbal Musalmano kahte hai,
Wa Na Karna Firqa Bandi Ke Liye Apni Zuban
Chup Ke Hai Baitha Huwa Hangama-e-Mehshar Yahan

Do not use your tongue for sectarianism
Resurrection Day’s tumult for booty is stalking

"Wasl Ke Asbab Paida Hon Teri Tehreer Se
Dekh! Koi Dil Na Dukh Jaye Teri Taqreer Se"

Your writings should pave the way for unity
Beware! No heart should be hurt by your speech
•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame aadab e Ikhtilaf ata kare. aameen.
Read More »

5 Jan 2018

Imam Bukhari Ka Ahlul Hadith Ko Jannati Jamaat Kahne Ka Matlab


Sawal: Hame Muhaddiso jaise Imam Bukhari wagaira ki kitabo me milta hai ki in Muhaddiso ne kaha tha Jo ek firqa Jannat me jayega wo ahle hadith hoga. Lekin Aapne Quran aur hadith ke hawale se bataye hai aur sabit bhi kiya ki RasoolAllah aur salaf ka aqidah tha ki wo apne apko sirf Musalman kahna pasand karte the aur jo ye na karta use salaf jahannam ke azaab se darate the. To ye kaise ho sakta hai ki in bade muhaddiso ne in hadith ko na samjha ho aur ahle hadith ka laqab istemal kiya ho, jabki wo to hamse behtar Quran aur sunnah ke samajhne wale the.

Jawab:

Alhamdulillah ..


Pahli baat yeh ki jis zuban me hame ye milta hai ki Imam Bukhari ne ye kaha tha wo Arabic zuban hai aur jab koi Arabic me ahle hadith kahta hai to iska matlab wo shaks NAHI hota jo Apne apko ahle hadith ka laqab deta hai ya ahle hadith ke laqab ko gale me locket ki tarha latka kar pahenta hai ya ahle hadees khandaan se hota hai balki isse murad wo log hai jo hadith se jude hue hai iska Tarjuma hai hai "Hadith wale (log)".


Bilkul Usi tarha ke jab ham ek shaks ko namazi kahte hai to isse ye murad nahi hota ki usne apne naam ya laqab namazi rakkha ho ya usne namazi naam ka locket pahna ho balki ham us shaks ko namazi kahenge jo namaz padhta ho ya namaz qayam karta ho.

Bilkul isi tarha Imam Bukhari aur digar Muhaddiseeno ne Haq ki jamaat Ahlul Hadith ko kaha tha to isse murad wo nahi jo apne apko ahle hadith jamaat se mansub karta hai ya apne apko ahle hadith kahta hai ya ahle hadith khandan se belong karta hai balki unhone is haq ki jamaat me har us shaks ko shamil kiya tha jo hadith ko jamaa karta hai hadith par kaam karta hai, hadith padhta hai aur hadith par amal karta hai. 

Aur Sheikh ibn Taymiyya ka bhi yahi kahna hai. Sheikh ibn Taymiyya farmate hai,


Ham ahle Hadith se murad sirf unhe nahi lete jo sirf is par tahkeek karte hai, likhte hai ya riwayat karte hai, balki ham isse murad har us shaks ko lete jo hadith ko yaad karte hai, samajhte hai (aur) us par amal karte hai batini (dili) aur zahiri taur par.


Majmoo al-Fataawa, 4/95.


Is fatwe se baat aur clear ho gayi ki har wo shaks jo hadith par kaam karega, use padhega aur us par amal karega, toh wo jannati firqe se hoga. Koi khas naam ke group ko ye jannat ki basharat nahi hai aur naa hi Imam Bukhari ne kisi khas naam ke group ko ye jannat ki basharat di thi. Jab RasoolAllah ﷺ se pucha gaya tha ki jannati firqa kaunsa hai to unhone kisi khas jamaat ka naam nahi liya tha balki kaha tha jo unke aur unke sahaba ke naqshe qadam par chalenge wo hi jannati firqe me shumar honge.


RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Meri Ummah 73 firqo me bat jayegi aur wo sab jahannam me jayenge siwae ek ke. Sahabao ne pucha wo kaun firqa hoga”? Fir RasoolAllah ﷺ ne jawab diya wo, “Wo ek hi raasta hoga jis par ham aur hamare sahaba chale.”


SUNAN TIRMIDHI, HADEETH-171.


Toh jab RasoolAllah ne kisi khas firqe ka naam nahi liya na hi bataya to Imam Bukhari kaise kisi khas naam ke jamaat ka naam le sakte hai. Imam Bukhari raheemaulllah par koi wahee toh ayi nahi thi lekin unhone jo bhi bataya wo Quran aur sunnah ke dalail ke mutabik hi bataya. Ahle hadith alfaz jo unhone istemal kiya wo amal ke binah par istemal kiya tha jaise koi namaz padh kar hi namazi hota hai, roza rakh kar hi rozedaar hota hai, Hajj kar ke hi Haaji kahlata hai bilkul isi tarha. Isi liye Imam Bukhari ya Imam Muslim ne kabhi apne apko laqabi taur par ahle hadith/Salafi/Shiya/Sunni/Deobandi/Hanfi/Shafi wagaira kabhi nahi kaha. Aur Ulema bhi yahi kahte hai ki koi khas naam ka firqa ya jamaat jannat me nahi jayega:


Shaykh Saalih al Munajjid farmate hai:

Jannat ke sawal ke hawale se ki woh sirf Ahl as-Sunnah jamaat hi hai. Ye galat raae hai. Kisi bhi ulema ne aesa nahi kaha hai; balki Muhammad ﷺ ke sabhi ummati jinhone un ke pukar ka jawab diya wo jannat me dakhil honge; koi isse mahroom nahi rahega siwae un ke jo apne aediyo ke bal palat jaye aur unhone apne Islam ko mansukh kar diya wo amal kar ke jo unhe Islam se mukammal taur par bahar karde, aur wo Biddati jo shariah ke khilaf gaye aur ahl as- Sunnah se ikhtilaf kiya, wo un ahle tauheed ke gunah gaaro ki tarah pesh honge Allah ki marzi se jo azmat wala buland hai: agar usne chaha to wo saza dega aur agar usne chaha to wo muaf kar dega, fir sabka aakhri mukaam Jannat hoga, agar uski maut Tawheed par hui hai.


source:- http://islamqa.info/en/159301


To ab baat wazeh ho jani chaiye ki Jannati firqa apne laqab se jannat nahi jayega balki apne aamaal se jannat jayega. Lekin jo log fir bhi zidd par hai aur kahte hai ham ye explanation nahi manenge to unke liye fir anti-venom hai mere pas. Aur wo hai Imam Shafi ka qawl. Imam Shafi Imam Ahmad ibn Hambal ke Ustad hai aur Imam ibn Hambal Imam Bukhari ke Ustad hai. Matlab Imam Shafi Imam Bukhari ke dada ustad (ustad ke ustad) hai. Imam Shafi farmate hai ki:


"Ager Ahle-Bait ki mahabbat ka nam Rafazi hona hai,
     Toh Tum Gawaah ho jao be-shak main Rafazi hon."

Dalail:- "Munaqib " Al Baihaqi 2/71,  "Munaqib " Al Razi: 51, "Tareekh Ibn Asakir" 14/407,  "Tabqat Al shaafiya" lilsabki 1/229, "Al Inteqaa" :90,91, "Moajjam al Adbaa" 17/320, "Uyun al tawarikh" 7/180.

Ab jo shaks ye kahta hai ki hame apne apko ahle hadith kahna chaiye to wo apne apko ajse ahle hadith kahne ke sath sath Rafazi bhi kahna shuru karde kyuki Imam Shafi ne khud ko rafzi kaha hai. Aur Imam Shafi Imam Bukhari ke ustad ke ustad hai. Ab is anti-venom ke zarye ho sakta hai unko baat samajh aa jaye aur wo kahe ki Imam Shafi ne ye to jo ahle baith se muhabbat karne walo Rafazi kaha hai ek amal ki bunyad par na ki laqab ki bunyad par, toh bhai mai bhi to pahli line se yahi samjha raha hu ki ahle hadith ka lafz hadith ko padhne ya is par amal karne walo ke liye use kiya tha na ki ek jamaat ya laqab ke taur par. Aakhir me mai kahna chahta hu ki wo apka amal hi hoga jo apko Kabr me aur maidan e Hashr me kaam ayega na ki gairullah ka diya hua apko laqab. Jaisa ke Allama Iqbal 'Tulu e Islam' me kahte hai-

        Amal Se Banti Hai Zindagi Jannat Bhi, Jahanum Bhi
            Ye Khaki Apni Fitrat Mein Na Noori Hai Na Naari Hai.

•٠•●●•٠•
Related articles:-
Read More »

Muqtalif Naamo Ki Taraf Mansoob Hokar Ummat Me Tafarruqa Paida Karna


Ye article Shaykh ibn Taymiyya ki ek kitab se hai jiska naam 'Al Wasiyat Al Qubra' hai. Is kitab me unhone apne aqide ke mutallik chand ek masle ka hal bataya hai. Unhi maslo me ek masla hai ki apne apko alag alag naam ya laqab dena. Kyuki jis tarah baaz logo ko sirf Allah kaafi nahi hota usi tarha kuch logo ko Allah ka diya hua naam (Muslim) kaafi nahi hota ye jaan kar bhi ki ye khubsurat naam Allah ne rakha hai, aur jab ye naam us paak zaat ne rakha hai toh isse behtar aur kya naam ho sakta hai Islam laane walo ke liye. Isi wajah se Sheikh ibn Taymiyya ne is kitab me unka radd kiya hai aur unhone kaha hai ki hame apne apko sirf Muslim kahna chaiye aur ye baat unhone apne aqal se nahi kahi hai, unhone salaf ke qawl ko nakal kar ke ye baat kahi hai taaki logo ko pata chale ki apne apko sirf Muslim kahna kisi khas jamaat ka ijtihad nahi hai balki ye Salaf ka Aqeeda aur Salaf ka Fahm hai.

Ab mai hubahu Sheikh ibn Taymiyya ke qawl ko pesh karta hu bina kisi kami ya izafe ke. Sheikh ibn Taymiyya farmate hai,

"Minjumla in baton ke jin se ummat me tafarruqa paida hota hai aur jinhe darmiyan me lakar ummat ko tarah tarah ke azmaish wa mehnat me dala jata hai, halanke Allah aur RasoolAllah ﷺ se in ki koi Dalail nahi. Ek ye bhi hai ke masalan kisi ko pucha jaye ke tu Shukayki hai ya Qarfandi ?  Ye lakab e batil hai, kyuki inke sahih hone me Allah ne koi daleel nahi utary. Allah ki kitab aur RasoolAllah  ki sunnat aur Salaf as-saliheen ke aqwaal ma'aroofa me inka mutlaq pata nahi chalta, na koi Shukayki hai na Qarfandi .
To jab kabhi kisi Musalman se is chiz ki nisbat pucha jaye to us par wajib hai ke ye jawab de ke mai na Shukayki hu na Qarfandi, balke Mai Musalman hoon, Allah ki kitab aur Rasoolallah ki sunnat ka muttabi hoon.

Ameer Muawiya r.a. se hame ye riwayat pahuchi hai ke inhone ek daf'a ibn e Abbas r.a. se pucha ke Ap Hazrat Ali r.a. ki millat par hai ya Usman r.a. ki? Inho ne kaha ke 'Na mai Ali ki millat par hoon, aur na Usmaan ki, Mai to RasoolAllah ki millat par hoon'.
Salaf as saliheen me se har ek yahi kahta tha, ' Ye tammam Naam (laqab) Gumrahi hai aur in ka anjaam dozakh hai.'
Ek Salaf farmate hai, Mai ye nahi janta ke dono ni'maton me se koun si ni'amat badi hai, ye ni'amat badi hai ke Allah ne mujhe Islam ki taraf rahnumayi ki ya ye ke Allah ne mujhe Gumraahi se alag kiya. Allah ne Quran me hume Musalman, Momim aur Abdullah kah kar pukara hai. Hum hargiz nahi chahte ke Allah ke tajweez kar'dah naamo ko chhor kar wo naam ikhtiyaar kare jo kisi khaas Qaum ne ba'tareeq ejaad kiya hoo aur unhone aur Un ke abaa wa ajdaad ne khud gadh liye ho. Halanke Allah ne Un ke mutalliq koi daleel nazil nahi farmayi."

Al Wasiyat Al Kubra, Chapter- Muqtalif Naamo Ki Taraf Mansoob Hokar Ummat Me Tafarruqa Paida Karna, Page- 75.

Ye Salaf aur Sheikh ibn Taymiyya ke qawl aur un ke aqide the. Mere liye insaf ka takaza ye bhi hai ke Sheikh ibn Taymiiyya aur Salaf ke qawl ke baad mai RasoolAllah ki hadith pesh karu taaki shak ki koi gunzaish baaki na rahe kyuki Salaf ka qawl aur RasoolAllah ki haadith bilkul ek jaisi hai.

Al-Harith Al-Ash'ari riwayat karte hai ki RasoolAllah ne farmaya : Mai tumhe paanch bato ka hukm deta hu jinka Allah taala ne mujhe Hukm diya hai. Pahla hai Jamaah, dusra hai itaat karna, teesra hai sunna, chautha hai Hijrat aur panchwa hai Jihad karna Allah ke raah me.

 Aur  jo shaks balisht barabar bhi Jamaah se elaida hua us ne goya Islam ki Tauk apne gardan se utaar fenka magar us surat me ke jamaah me wapis aajae aur puri tarah ameer ki itat kare.

aur jo bhi Islam ke zamane me jahiliyat ke naam se pukarna shuru kar de to wo dozakh me dale jane wale Khush wa khishak me honge

Ek shaks ne arz kiya: Ya RasoolAllah! agarche wo namaz padhe aur roza rakhe. Apne farmaya agarche wo namaz padhe aur roza rakhe. Pas tum apne aap ko us naam se pukaro jis naam se Allah ne tumhe pukara hai. Usne tumhara naam MUSLIM, MOMIN AUR ABDULLAH (ALLAH KA BANDA) RAKHA HAI .

Sunan Tirmidhi, – Vol. 1, Book 42, Hadith 2863. (Sahih)

  Allah se dua hai ki wo hame apne diye huwe khubsurat naamo ke andar mahfooz rakhe aur hame jahannam ke aag se bachale. aameen.

•٠•●●•٠•

Related articles:-
۩ SALAFI KA LAKAB- QURAN, SUNNAH, SALAF AUR ULEMA E DEEN KI RAAE
۩ IMAM BUKHARI KA AHLUL HADITH KO JANNATI JAMAAT KAHNA
۩ Salafiyat Ka Taaruf – Sheikh Ibn al Uthaymeen
۩ RASOOLALLAH KIS FIRQE SE THE?
Read More »

Salafiyat Ka Taaruf - Shaykh Ibn al Uthaymeen

Alhamdulillah

Salafiyat hai haqiqat me Manhaj e Nabawi wa Manhaj e Sahaba ki itaat ka naam hai; kyuki wahi hamare salaf hai, aur ham se aage hai, chunanche unke naqsh e qadam par chalna hi "Salafiyat" kahlata hai.

Jabki "Salafiyat" ko koi insan apna khas manhaj bana kar is manhaj ki mukhalifat karne wale Musalmano ko gumraah karar de, chahe wo haq par hi kyu na ho, aur salafiyat ko Giroh-bandi wa firqah wariyat ka zariya banana, bila shubah ye amal salafiyat ke khilaf hai, kyuki salaf saliheen sab ke sab sunnat RasoolAllah ﷺ par ittefak wa ittehad ke sath qayam rahne ki dawat dete aye hai, Wo kisi shaks ko bina bar-taweel mukhalifeen raaye rakhne ke wajah se gumraah nahi kahte the, ha albatta aaqaid ke bareme salaf saaliheen mukhalif raaye rakhne wale ko gumrah kahte the, jabki Fiqhi aur amali masaail me salaf saaliheen narmi baratte the.

Lekin hamare is daur me Kuch log jinhone salafiyyah ka rasta apnaya unlogo ne har us shaks ko gumraah kahna shuru kar diya jo unse ikhtilaf karta hai yaha tak ke agar wo shaks sahih ho, aur kuch logo ne Hibz ka rasta apnaya jis tarha se dusre groh(parties) ne apnaya tha jo apne ap ko Mazhab e Islam se hone ka dawah karte hai. Ye kuch aesa hai jo na-pasandida hai aur jiski manzuri nahi di ja sakti, aur unlogo se ye kahna chaiye: Salaf as saleh ke tarike ko dekho, wo kya kiya karte the? Un ke tarike ko dekho aur kaise wo khule dil ke the jab ikhtilaf ki surat aati thi jisme ijtihaad jaiyz hai (aur ikhtilaf kabile qubul hai). Woh bade masail me bhi Ikhtilaf karte the, eeman aur amal ke masail me. Ap ko kuch chize milengi, jaise, RasoolAllah ﷺ ka Allah ko dekhne pe inkar karna jab ki dusro ne kaha ki unhone dekha hai. Apne  kuch ko ye kahte hue dekha hoga ki qayamat ke din jo chiz tauli(weighted)  jayegi wo hai aamaal jab ki dusre log kahte the ki wo  to aamaal ki kitab hai jo tauli jayengi. Ap unhe dekhenge ki wo Fiqh ke muamlo me bhi kafi had tak ikhtilaf karte the, jaise Nikah, wirasat ka hissa, khareed aur farokhqt, aur dusre muamlo me. Lekin is ke bawujud unhone ek dusre ko gumraah nahi kaha.

Salafiyyah ek khas Jamaat ke taur par jiski alag khushusiyat ho jisme log un logo ke siwa sabko gumraah kahe, in logo ka salafiyyah se kuch lena-dena nahi hai. Jaha tak ke salafiya jiska matlab salaf ki pairwi karna eeman me, kalimaat aur aamaal me, ittihad, mutabqat aur shafkat aur muhabbat ke taraf bulana jaisa ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Momin ke Misaal ek jism me Muhabbat, rahmat aur shafkat ki tarha hai; jab koi ek hisse me takleef hoti hai toh fir baaki hissa bhi us ke sath jaagta hai aur bukhar me shamil ho jata hai- YE ASAL SALAFIYYAH HAI

[Liqaa’aat al-Baab al-Maftooh, 3/246]

Shaykh Muhammad ibn ‘Uthaymeen (may Allah have mercy on him).

•٠•●●•٠•
Versions of this Article:         ۩   ENGLISH        ۩   URDU
Read More »

31 Dec 2017

RasoolAllah Kis Firqe Se The?

hi  -
۞ Allah pak Quran Majeed me farmate hai:

02.135 Yeh kehtay hain kay yahud-o-nasaaraa bann jao to hidayat pao gay.

02.140 Kya tum kehtay ho kay ibrahim aur ismail aur ishaq aur yaqoob (aleyhim-us-salam) aur unn ki aulad yahudi ya nasrani thay? 

Yahi baat aaj musalmano ko sochni chaiye, RasoolAllah ﷺ aur Sahaba Deobandi the ya barelwi the ya ahle hadith the, shia the ya sunni the?? In taksimo se upar hone ki zarurat hai hame. Kisi maslak ki pairwi karna galat nahi hai jabtak wo Quran aur sunnah se match karta hai lekin apne ap ko usse identify karana aur us maslak ko mukaddam rakhna deen par aur us maslak ke liye hi mehnat aur mushakkat aur bhag-daud karna usi ke liye ye chiz bilkul Islam ke talimaat ke khilaf hai jo ke Allah ke deen ne hame sikhai hai.

۩ Rasoolullah ﷺ ne farmaya: "Meri Ummah 73 firqo me bat jayegi aur wo sab jahannam me jayenge siwae ek ke. Sahabao ne pucha wo kaun firqa hoga"? Fir RasoolAllah s.a.w. ne jawab diya wo, "Wo ek hi raasta hoga jis par ham aur hamare sahaba chale."

Jamia Tirmizi, hadees- 171.

Allah pak jawab dete hai:

Ibrahim to na yahudi thay na nasrani thay bulkay woh to yak tarfa (sirf) musalman thay woh mushrik bhi na thay.

Quran, 3:67.

'..ussi Allah ne tumhara naam Musalman rakha hai is Quran se pahle aur is me bhi..

Quran, 22.78.

Kya Allah ne jo hame naam diiya hai usse behtar koi aur naam ho sakta hai???

Allah pak Quran e Majeed me farmate hai:

۩ Sab Milkar Allah Ki (Hidayat Ki) Rassi Ko Mazbuti Se Thaam lo' Aur Aapas Me (Firqon Me) Na Banto.

Surah aal e Imran (3), ayat 103.

۩ Be-shak jin logo ne apne deen ko baanta aur firqa-firqa ban gaye, Aap ﷺ ka unse koi talluq nahi, bas un ka muamla Allah ke hawale hai. Phir in ko in ka kiya hua jatla diya jaayega.

Surah Anaam(6), ayat 159.

۩ Unlogo ke tarah na hona jinhone Allah ke sath auro ko shareek kiya aur na hi unlogo ki tarah jinhone apne Deen ko baat diya aur firqe-firqe ho gaye,  har giroh uss cheez par khush hai jo un ke pas hai(ki bas wahi log haq par hai).

Surah Room(30), ayat- 31,32.

Allah hame firqa-parasti se upar uthne ki taufeek inayat farmaye..aameen.

•٠•●●•٠•
Read More »

Salafi Ka Laqab- Quran, Sunnah, Salaf Aur Ulema E Deen Ki Raae


ALHAMDULILLAH, WASSALATO WASSALAM ALA RASOOLALLAH..

Allah pak Quran me farmate hai:

..Aur hamne yeh kitab nazil farmaee hai jiss mein her cheez ka shafi biyan hai aur hidayat aur rehmat aur khuskhabri hai musalmanon kay liye.

(al Israa :89)

RasoollAllah ﷺ ne farmaya

" Sabse behtar amr (amal ke liye) Allah ki kitab hai aur sabse behtar tareeqa Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke tareeqa hai sabse badtareen kaam Deen mein nayee nayee baton ka paida karna hai aur har Nayee baat gumrahi hai..."

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 45 (Sahih)

Muslim ummah me ek groh hai jab ham unse puchte hai ki ap kaun ho wo kahte hai ki ham ahle hadith hai. So mai puchta hu ki ahle hadith ka matlab kya hota hai. Wo kahte hai ki ham Quran aur sunnah wale hai, Quran aur hadith wale. Fir mai ne kaha sahi hai..lekin agar ap ahle hadith kahte hai to mai apne ap ko ahle sahih hadith kahna chahunga kyuki mai sirf Quran aur sahih hadith ki pairwi karta hu.. Yaha dusre muslims bhi hai jo zaif hadith aur maudu hadith ko follow karte hai.. isiliye mai ahle sahih hadith hu agar ap hame kuch bulana chahe.

So mai in logo se puchta hu ki agar ap Quran aur  hadith ko mante hai to Quran ki konsi ayat kahti hai ki apne apko ahle hadith kahna chaiye ya Hadith ki konsi riwayat kahti hai ki apne ap ko ahle hadith bulana chaiye. Unlogo se ye sawal puchne ke baad koi jawab nahi aata.
Toh ab jab Kyuki Quran ya sunnah ki koi daleel nahi hai isliye mai  apne ap ko ahle hadith nahi kahta aur isi liye mai pakka ahle hadith hu..ap log kachhe ahle hadith hai.
Ab ye aql ki hi to baat hai ki jab ap Quran aur hadith pe amal karna ka  dawa karte hai to koi bhi Quran ki ayat ya sahih hadith me nahi hai ki apne ap ko ahle hadith bulana chaiye.

Ek aur groh ke log hai ahle hadith ke hi tarha jo apne ap ko Salafi kahte hai. Main Puchta hu ki salafi ka matlab kya hai to wo kahte hai ki Salafi ka matlab Salaf as saliheen ki pairwi karna. To mai kahta hu ki wo to mai bhi salaf as saliheen ki pairwi karta hu. Ham Allah ki itat karte hai aur Rasool ki itat karte hai aur salaf as saliheen ki pairwi karte hai. Par fir mai puchta hu ki kya Quran ki koi ayat hai jo kahti hai ki apne ap ko salafi kahna chaiye. Wo kahte hai nahi. Fir mai puchta hu kya koi Sahih hadith hai jo kahti hai ki apne ap ko salafi kahna chaiye. To woh kahte hai: Nahi. LEKIN ek mere salafi dost hai jisne mujhe ek hadith di usme Rasool Allah ne kaha: Mai Ek Salaf Hu. Aur unhone daleel di SAHIH MUSLIM!!!

Maine chq kiya to wo hadith Sahih Muslim me maujud thi. Par wo adhi hadith thi. Puri hadith ye hai ki RasoolAllah s.a.w. apni beti Fathima r.a. se kahte hai ki MAI TUMHARA BEHTAREEN SALAF HU.
Ab mere samajh me ye nahi ata hai ki  is hadith se ye kaise sabit hota hai ki apne ap ko salafi kahna chaiye. Is hadith me RasoolAllah kah rahe hai apne beti Fathima r.a. se ki Mai tumhara behtareen salaf hu, ye nahi kah rahe hai ki mai SALAFI hu.
SALAF aur SALAFI me boht fark hai.

Fir bhi aiye ham is hadith ko samajhte hai

Sahih Muslim hadith:
“Mohammad s.a.w. apni beti se kahte hai ki Mai tumhare liye ek behtareen salaf hu.”

Is hadith me ek baap apni beti se kah raha hai ki Mai tumhare liye ek behtareen salaf hu. Ab Alfazi taur par salaf ka matlab purvaj(forefather) hota hai.
So agar mai apni beti se kahta hu ki mai tumhara salaf hu to isme koi dikkat nahi. Ek Arab eesai agar apni beti se kahta hai ki mai tumhara salaf hu to isme koi dikkat nahi hai. Toh Alfazi taur par koi dikkat nahi hai lekin Islamic taur par hamlog ko ye kahna galat hai kyuki ham salaf nahi hai ham khalaf hai aur ye baat khud salafi ulema tasleem karte hai. Khalaf ka matlab jo  salaf ke baad me aye. Islamically taur par salaf sahaba, tabaeen aur tabe-tabaeen ko kahte hai. Isliye ham salaf nahi ho sakte ham khalaf hai. Ham salaf ke baad me aye hai.

Kuch log kahte hai ki hame apne apko salafi isliye kahna chaiye kyuki Ab Islam me boht se group aa gae hai aur RasoolAllah ke zamane me group nahi the sirf ek Islam tha. Aiye dekhte hai iski kya haqiqat hai:

Hame Quran, Sunnah aur tarikh se pata chalta hai ki:

RasoolAllah ke zamane me Munafik log the, wo munafik the sahabao ne fir bhi apna lakab nahi badla. Unke zamane me khariji(Khawarij)  bhi the, wo apne ap ko khawarij kahte the par sahaba fir bhi apne apko muslim kahte the. Kya sahabao ne kaha ki chalo apne ap ko naya naam dete hai? NAhii!!! sahaba apne ap ko fir bhi sirf muslim kahte the. Rasool ke zamane me Mutazali(Mutazalites) bhi the lekin sahaba ne fir bhi apne ap ko sirf muslim kaha. Toh RasoolAllah ke zamane me bhi ikhtilaf tha fir bhi unlogo ne apne ap ko sirf Muslim hi kaha.

Baki jo baat rahi apne ap ko salafi kahne ki TO MERA SAWAL!!! Kaun sa salafi?? Kya apko pata hai Ab salafio me bhi groh(groups) hai. Kya mai apne ap ko Kutubi salafi kahu ya Madkhali salafi ya Sururi salfi. Mai aur bhi salafio ke naam bata sakta hu. Ab salafio me bhi boht se groh ho gae hai. Aur agar ap UK jayenge- Ma shaa Allah!! SubhanAllah!! Allahu akbar, waha par boht se groh hai salafio ke andar, ek salafi dusre salafi se jhagadte hai aur ek salafi dusre salafi ko Kafir kahte hai. Nauzbillah!

So ab sawal ye hai ki ap kaun se salafi ho. Dekhye ap jo bhi lakab apne ap ko de use tafrakka(divisions) hona hi hai. Jab Shia aye logo ne kaha ki ham sunni hai, fir se ek groh bana ahle sunnah wal jamaah, fir usme bhi batwara hua- hanafi, shafi, malaki, hambli aur ab ham aye hai salafi aur ahle hadiths ko lekar. Aur ab isme bhi batwara hai. Jo bhi ham lakab apne apko denge usme tafarruku hona hi hai. Yaha tak ke Allah ne jo hame naam diya hai Muslim usme bhi divisions honge aur Allah ke Rasool ne hame bataya tha ye. Hame aisa nahi sochna chaiye ki jo lakab ham denge usme  tafarraku nahi hoga. Kya ap sochte hai ki Allah ko nahi pata tha ki Muslim Ummah bategi? Allah ko beshak pata tha, Allah ke Rasool ne hame bataya bhi fir bhi Rasool ne ye nahi kaha ki batware ke baad apne ap ko ahle hadith kahna ya salafi kahna.
Agar ap Mumbai jayenge to waha ahle hadiths ke 2 groh hai- pahla Jamiat ahle hadith aur dusra Gurba ahle hadith. So ab ham apne ap ko kaun sa ahle hadith kahu?? Ek ahle hadith dusre ahle hadith par ilzaam laga raha hai. Aur maine abhi jaldi hi ek kitab padhi hai “TRUE SALAFI” ke naam se. Ab ye True salafi kya hai??? Allahu alam

Kuch log aur hai jo kahte hai ki salafi short cut hai. Ye kahne ke bajae ki ham Quran, hadith aur salaf ke tarike par amal karte hai. Ham short me bolte hai ki ham salafi hai. AB MERA SAWAL:

Salaf as-saliheen behtar hai ye Muhammad s.a.w. behatar hai. Zahir si baat hai Muhammad s.a.w. to fir apne apko salafi kyu kaho balki Mohammadi kaho!! Ab Muhammad s.a.w. bade hai ya Allah. Zawab hai Allah..To jo apni khwahishe Allah ko saupta hai use Muslim kahte hai. To Muslim kya na kahe apne apko.

Aur jab ap Kerela jayenge to waha ahle hadith nahi kahte waha apne apko Mujahideen kahte hai, kerala nadvathul mujahideen (KNM) Jo ki Ahle Hadith manhaj se talluk rakhte hai.
Agar ap Saudi Arabia jayenge to waha ahle hadith nahi kahte apne apko, waha boht kam log jante hai ki ahle hadith kise kahte hai, waha wo apne ap ko salafi kahte hai. Lekin ham jante hai ki ahle hadith aur salafi ek hi hai lekin sirf naam fark hai. To Jab kuch log kahte hai ki apne apko salafi kaho to kya india ke ahle hadith salafi nahi hai???
To hame pata chala ki Salafi se behtar Muhammadi hai aur Muhammadi se behtar Muslim hai. So isi liye hame apne apko sirf Muslim kahna chaiye, awwal me Muslim aur aakhir me muslim!!!

JAHA TAK ULMA E DEEN KI RAAE HAI. TO APNE APKO SALAFI BULANE ME ULEMAO ME IKHTILAF HA. IS MUAMLE ME ULEMA DO GROUP ME BATE HAi. Ek group ke ulema kahte hai ki apne apko salafi kahna farz hai aur unmese hai  Sheikh Albani, Sheikh saleh al Fawzaan. LEKIN DUSRE GROUP KE ULEMA BHI HAI JO KAHTE HAI KI APNE APKO SALAFI KAHNA GALAT HAI. ULMA JO QURAN, SUNNAH AUR SALAF AS SALIHEEN ME YAKEEN KARTE HAI.
Sabse pahle mai unka hawala dena chahta hu jise salafi boht zyada ehtram dete hai- SHEIKH IBN TAYMIYYA

Ek kitab hai "CALL TO ISLAM AND THE CALLER" naam se jisme 40 hadise hai. Sabse aakhri hadith jisme likha hai:

RasoolAllah ne farmaya : Mai tumhe paanch bato ka hukm deta hu jinka Allah taala ne mujhe Hukm diya hai. Pahla hai Jamaah, dusra hai itaat karna, teesra hai sunna, chautha hai Hijrat aur panchwa hai Jihad karna Allah ke raah me.

 Aur  jo shaks balisht barabar bhi Jamaah se elaida hua us ne goya Islam ki Tauk apne gardan se utaar fenka magar us surat me ke jamaah me wapis aajae aur puri tarah ameer ki itat kare.

aur jo bhi Islam ke zamane me jahiliyat ke naam se pukarna shuru kar de to wo dozakh me dale jane wale Khush wa khishak me honge

Ek shaks ne arz kiya: Ya RasoolAllah! agarche wo namaz padhe aur roza rakhe. Apne farmaya agarche wo namaz padhe aur roza rakhe. Pas tum apne aap ko us naam se pukaro jis naam se Allah ne tumhe pukara hai. Usne tumhara naam MUSLIM, MOMIN AUR ABDULLAH (ALLAH KA BANDA) RAKHA HAI .
Sunan Tirmidhi, - Vol. 1, Book 42, Hadith 2863. (Sahih)
YE HADITH SAAF TAUR PAR KAHTI HAI KI AGAR AP APNE APKO IN 3 NAAMO KE ALAWA KUCH AUR BULATE HO TO APNE APKO JAHANNAM ME BULA RAHE HO.

Sheikh Ibn Taymiya kahte hai is is hadith ki tafseer me ki

“Ek salaf kahte hai ki mujhe pata nahi ki indono chiz maise mai Allah ka shurk kis chiz par zyada karu, Mujhe Islalm me lane ke liye ya mujhe Gumrahi se dur rakhne ke liye.
Aur tum apne apko kisi naam(lakab)se nahi bula sakte siwae jo tumhe Allah ne naam diye hai Quran me aur wo hai- Muslim, Momin aur Abdullah.”

Al Wasiyat Al Kubra, Chapter- Muqtalif Naamo Ki Taraf Mansoob Hokar Ummat Me Tafarruqa Paida Karna, Page- 75.

Ye hai kahna Sheikh Ibn Taymiyya ka. Kuch logo ko galat famy hai ki Sheikh Ibn Taymiya ne kaha ki apne ap ko salafi kahna chaiye. Ye baat bilkul galat hai aur upar ke dalail se ye sabit hota hai, Sheikh Ibn Taymiya kahte hai ki hame salaf as saliheen ki pairwi karni chaiye, To yeh to mai bhi kahta  hu. Sheikh Ibn Taymiyya ne kabhi nahi kaha ki apne ap ko salafi bulao.

Ab Dusre ulma jo kahte hai ki apne ap ko salafi kahna galat hai wo hai SHEIKH IBN UTHAYMEEN .

Ek kitab hai Sheikh Ibn Uthaymeen ki jiska naam "Until when will we differ" hai  jisme likha hai:

Ek Indian Sheikh Ibn Uthaymeen se ek sawal karta hai:

Sawal karne wala shaks- Mere Mulk me log “Ikhwani” aur “Tableegi” ke taraf bulate hai. Kya wo haq par hai ya batil par?

Sheikh Ibn Uthaymeen- “Agar koi shaks “Ikhwani” “Tableegi” ya SALAFI ke taraf bulata hai to wo BATIL hai.

 Taken from the book ‘Until when will we differ’, page-36 by Sheikh Muhammad bin Saalih al-'Uthaymeen. 

SO AB MAI SHEIKH IBN UTHAYMEEN KA FATAWE KI PAIRWI KARTA HU. TOH AB AGAR KOI BHI SALAFI MUJH PE UNGLI UTHATA HAI TO USE PAHLE SHEIKH IBN UTHAYMEEN PAR UNGLI UTHANA PADEGA.

AUR kuch log kahte hai ki Sheikh Ibn Uthaymeen kahte hai ki apne ap ko salafi kahna chaiye. Par ye bilkul galat hai Sheikh ye kahte hai ki hame salaf as saliheen ki pairwi karna chaiye aur ye to mai bhi kahta hu.

Ye hai Sheik Ibn Uthaymeen ka video hai jisme wo batate hai ki Salaf as saliheen ki pairwi karna aur Apne ap ko salafi kahna ye 2 alag chiz hai: https://www.youtube.com/watch?v=PAwdFii9gKI

Toh ham ye Tasleem karte hai ki salaf ke manhaj ki pairwi karni chaiye. To Manhaj ke talluk se mai salafi hu par lakab ke talluk se mai sirf Muslim Hu. Awwal me Muslim aur Akhir me Muslim jaise hamare Rasool aur sahaba the .

Shaykh Muhammad ibn ‘Uthaymeen farmate hai:

Salafiyyah ek khas Jamaat ke taur par jiski alag khushusiyat ho jisme log un logo ke siwa sabko gumraah kahe, in logo ka salafiyyah se kuch lena-dena nahi hai. Jaha tak ke salafiya jiska matlab salaf ki pairwi karna eeman me, kalimaat aur aamaal me, ittihad, mutabqat aur shafkat aur muhabbat ke taraf bulana jaisa ki RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya: “Momin ke Misaal ek jism me Muhabbat, rahmat aur shafkat ki tarha hai; jab koi ek hisse me takleef hoti hai toh fir baaki hissa bhi us ke sath jaagta hai aur bukhar me shamil ho jata hai- YE ASAL SALAFIYYAH HAI

[Liqaa’aat al-Baab al-Maftooh, 3/246]

Mai apni bato ko do hadiths se khatam karna chahta hu:

Arfaja r.a. kahte hai ki RasoolAllah ne farmaya Ek waqt ayega jab buri chize hongi muashre me aur jab bhi kabhi koi shaks Muslim Ummat ke Ittehad(unity) me khalal(disrupts) dalta hai toh us par Talwaar se hamla karo chahe wo koi bhi ho aur agar wo fir bhi nahi rukta to uska katl kardo.
Sahih Muslim, The Book on Government (Kitab Al-Imara) [020:4565].

Hudhaifa bin Al-Yaman r.a. riwayat karte hai ki Log RasoolAllah ﷺ se khair wa bhalai ke mutallik puchte the lekin mai apse burai ke bareme pucha karta tha, is dar se ki kahi mai usme mubtilah na ho jau chunanche mai ne arz kiya: Ae Allah ke Rasool! Ham jahalat aur burai me mubtilah the ke Allah tala ne hame ye bhalai aur khair ata farmaya toh kya is khair ke baad fir koi shar (burai) hai? Ap ne farmaya: Ha, Maine arz kiya Kya us shar ke baad bhi koi khair hai? Apne farmaya: Ha aur usme thodi kharabi aur mail hai . Mai ne arz kiya: Us ki mael kya hai? Apne farmaya: Aese log jo meri sunnat ke alawa dusre tarike par chalenge aur mere hidayat ke elawa kisi nayi chizo ko ghadenge, un ke baaz aamaal ko mana jayega aur baaz ko na-pasand kiya jayega. Mai ne arz kiya: To kya is khair ke baad bhi koi shar hai? Ap ne farmaya: Ha, kuch log honge jo dusro ko jahannam ke darwaze ke taraf bulayenge, aur jo bhi unlogo ki baat qubul karega use is (jahannam) me jhok diya jayega.
 Maine arz kiya: Aye Allah ke Rasool! Hamare liye unka hal bayan farmaye. Aap ﷺ ne farmaya: Acha, wo hami maise honge, hamari hi zuban bolenge. Maine Arz kiya Ae Allah ke Rasool! Agar mai wo zamana paau to ap mujhe kis baat ka hukm farmate hai?

AAP ﷺ NE FARMAYA: MUSALMANO KI JAMAAH AUR UNKE IMAAM KO LAZIM PAKDE RAKHO. MAINE ARZ KIYA: AGAR MUSALMAN KI JAMAAH AUR UN KE IMAM NA HO TAB MAI KYA KARU? AAP ﷺ NE FARMAYA: TAB UN TAMAM FIRKO SE JUDA HO JAO AGARCHE TUMHE DARAKHT KE JADO KO DANTO SE CHABANA PADE, HATTA KE US SABIT KADAM KE HALAT ME TUMHARI MAUT AA JAYE.

Sahih al Bukhari, Virtues and Merits of the Prophet (pbuh) and his Companions, hadith- 3606.

•٠•●●•٠•

Taken From a lecture of Dr. Zakir Naik [Unity in Muslim Ummah]

Related articles:
۩ IMAM BUKHARI KA AHLUL HADITH KO JANNATI JAMAAT KAHNA
۩
 Salafiyat Ka Taaruf – Sheikh Ibn al Uthaymeen
۩ Muqtalif Naamo Ki Taraf Mansoob Hokar Ummat Me Tafarruqa Paida Karna
۩
 RASOOLALLAH KIS FIRQE SE THE???
Read More »

22 Dec 2017

Khud Ko Sirf Teen (3) Naam Dena Hi Salaf Ka Tarika Tha


Allah ne Quran aur Sahih Hadeeso me Musalmano ko boht se naamo se mukhatib kiye hai. Un maise kuch naam amalan diye gaye hai Jaise sahaba, Mujahireen, Ansaar, wagaira aur kuch name laqaban diye gaye hai matlab as a Label (Title). Ab Gaur karne wali baat ye hai ki Amalan naam Amal karne se banta hai na ki bina amal kiye, Jaise Jin sahabao ne RasoolALlah ke sath hijrat ki thi Mecca se Madinah unhe Muhajireen kaha gaya. Ab ye sirf unlogo ko kaha gaya hai Jinhone Hijrat ki thi na ki baaki sahabao ko jo baad me aye ya jo Hijrat na kar sake. Aur Ansaar un Madina ke logo ko kaha jata hai Jinhone Hijrat ke baad RasoolALLah aur Apke sahaba ki madad ki. Toh isi liye Muhajireen ko Ansar nahi kaha ja sakta aur Ansar ko Muhajireen nahi kaha ja sakta.

Lekin Deen me Laqab ka muamla alag hai, Laqab even bina amal kiye bhi diya ja sakta. Misaal ke taur par agar koi Musalman sharabi hai to use ham gair-Muslim nahi kahenge agarche uski harkate gair-Muslim ki hi tarha kyu na ho.

Isi liye Deen me in do chizo me fark hai. Ek amalan (by action) aur ek Laqaban (by Label).

Aur ye mera khud ka fahm nahi hai balki ye hamare aslaaf (salaf) ka fahm hai jisse kuch log ilm ke kami ki wajah se nawakif hai. Dalail ke taur par mai Hazrat Ali r.a. ka qawl pesh karna chahunga.

۩ Tariq bin Shihaab (Tabayee) r.h. bayan karte hai ke Mai Ali ibn e abi Talib r.a. ke paas tha to unse sawal kiya gaya ke Kya Ahl e Neherwaan (ya’ni khawarij) mushrikeen hai? Ap r.a. ne farmaya ke (Nahi), Shirk se to wo Bhage hai. Fir pucha gaya to kya Fir wo munafiq hai? Ap r.a. ne Farmaya: Nahi! Munafiqeen to Allah ta’ala ko bahut hi kam yaad karne wale hote hai (ya’ani khawarij to had se zyada ibadat guzaar hai to wo munafiq kyun kar ho sakte hai). Fir pucha gaya ke aakhir wo (khawarij) kya hai?

Ali r.a. ne farmaya ye (hamare) aise (Musalman bhai) log hai jinhone hamare khilaaf baghawat ki hai.

Al Musannaf ibn Abi Shaiba, Hadith no- 39097, Isnad Sahih.

۩ Shaykh Ibn Taymiyya farmate hai,

Khawaarij jo gumrah hue, jinse ladne ka hukm RasoolAllah ne diya tha, aur jinse Ameer al-Mu’mineen ‘Ali r.a., ek hidayat-yafta Khalifa ne jang kari, aur jinse Sahaabah, Taabi‘een aur unke baad aane wale bade ulema bina ikhtilaf unse jang karne se muttakif hue, unhe ‘Ali ibn Abi Taalib, Sa‘d ibn Abi Waqqaas aur durse Sahaabah ne kafir nahi kaha; balki (in sahaba ne) unhe Musalman mana agarche unlogo ne inse jang ki thi.

Majmoo‘ al-Fataawa, 3/282. source: https://islamqa.info/en/182237

Ab Gaur karne wali baat hai ki Khawarij wo jamaat hai jo Sahaba ko unke muh par kafir kaha karti thi lekin fir bhi Ali r.a. ne unhe kafir, munafik nahi kaha jab ki unka amal ek Musalman jaisa tha hi nahi. Isse ye sabit hua ki ye Laqab bina amal ke bhi de sakte hai.

Deen e Islam me amalan naam ki mumaniya nahi payi jaati hai, jaise Ham namaz padhne wale shaks ko namazi kahte hai, Hajj karne wale shaks ko Haji kahte hai. Lekin laqaban taur par Teen naam (Muslim, Momin aur Abdullah) ke alawa baaki naam rakhne par sakht Hadeese aur salaf ke aqwaal maujud hai. Aur hadith me in teen laqab ke alawa baaki laqab ko Jahalat ka laqab kaha gaya hai aur to jahannam ke azaab tak ka zikr ho gaya hai.

حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ إِسْمَاعِيلَ، حَدَّثَنَا مُوسَى بْنُ إِسْمَاعِيلَ، حَدَّثَنَا أَبَانُ بْنُ يَزِيدَ، حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ أَبِي كَثِيرٍ، عَنْ زَيْدِ بْنِ سَلاَّمٍ، أَنَّ أَبَا سَلاَّمٍ، حَدَّثَهُ أَنَّ الْحَارِثَ الأَشْعَرِيَّ حَدَّثَهُ أَنَّ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏”‏ إِنَّ اللَّهَ أَمَرَ يَحْيَى بْنَ زَكَرِيَّا بِخَمْسِ كَلِمَاتٍ أَنْ يَعْمَلَ بِهَا وَيَأْمُرَ بَنِي إِسْرَائِيلَ أَنْ يَعْمَلُوا بِهَا وَإِنَّهُ كَادَ أَنْ يُبْطِئَ بِهَا فَقَالَ عِيسَى إِنَّ اللَّهَ أَمَرَكَ بِخَمْسِ كَلِمَاتٍ لِتَعْمَلَ بِهَا وَتَأْمُرَ بَنِي إِسْرَائِيلَ أَنْ يَعْمَلُوا بِهَا فَإِمَّا أَنْ تَأْمُرَهُمْ وَإِمَّا أَنَا آمُرُهُمْ ‏.‏ فَقَالَ يَحْيَى أَخْشَى إِنْ سَبَقْتَنِي بِهَا أَنْ يُخْسَفَ بِي أَوْ أُعَذَّبَ فَجَمَعَ النَّاسَ فِي بَيْتِ الْمَقْدِسِ فَامْتَلأَ الْمَسْجِدُ وَقَعَدُوا عَلَى الشُّرَفِ فَقَالَ إِنَّ اللَّهَ أَمَرَنِي بِخَمْسِ كَلِمَاتٍ أَنْ أَعْمَلَ بِهِنَّ وَآمُرَكُمْ أَنْ تَعْمَلُوا بِهِنَّ أَوَّلُهُنَّ أَنْ تَعْبُدُوا اللَّهَ وَلاَ تُشْرِكُوا بِهِ شَيْئًا وَإِنَّ مَثَلَ مَنْ أَشْرَكَ بِاللَّهِ كَمَثَلِ رَجُلٍ اشْتَرَى عَبْدًا مِنْ خَالِصِ مَالِهِ بِذَهَبٍ أَوْ وَرِقٍ فَقَالَ هَذِهِ دَارِي وَهَذَا عَمَلِي فَاعْمَلْ وَأَدِّ إِلَىَّ فَكَانَ يَعْمَلُ وَيُؤَدِّي إِلَى غَيْرِ سَيِّدِهِ فَأَيُّكُمْ يَرْضَى أَنْ يَكُونَ عَبْدُهُ كَذَلِكَ وَإِنَّ اللَّهَ أَمَرَكُمْ بِالصَّلاَةِ فَإِذَا صَلَّيْتُمْ فَلاَ تَلْتَفِتُوا فَإِنَّ اللَّهَ يَنْصِبُ وَجْهَهُ لِوَجْهِ عَبْدِهِ فِي صَلاَتِهِ مَا لَمْ يَلْتَفِتْ وَآمُرُكُمْ بِالصِّيَامِ فَإِنَّ مَثَلَ ذَلِكَ كَمَثَلِ رَجُلٍ فِي عِصَابَةٍ مَعَهُ صُرَّةٌ فِيهَا مِسْكٌ فَكُلُّهُمْ يَعْجَبُ أَوْ يُعْجِبُهُ رِيحُهَا وَإِنَّ رِيحَ الصَّائِمِ أَطْيَبُ عِنْدَ اللَّهِ مِنْ رِيحِ الْمِسْكِ وَآمُرُكُمْ بِالصَّدَقَةِ فَإِنَّ مَثَلَ ذَلِكَ كَمَثَلِ رَجُلٍ أَسَرَهُ الْعَدُوُّ فَأَوْثَقُوا يَدَهُ إِلَى عُنُقِهِ وَقَدَّمُوهُ لِيَضْرِبُوا عُنُقَهُ فَقَالَ أَنَا أَفْدِيهِ مِنْكُمْ بِالْقَلِيلِ وَالْكَثِيرِ ‏.‏ فَفَدَى نَفْسَهُ مِنْهُمْ وَآمُرُكُمْ أَنْ تَذْكُرُوا اللَّهَ فَإِنَّ مَثَلَ ذَلِكَ كَمَثَلِ رَجُلٍ خَرَجَ الْعَدُوُّ فِي أَثَرِهِ سِرَاعًا حَتَّى إِذَا أَتَى عَلَى حِصْنٍ حَصِينٍ فَأَحْرَزَ نَفْسَهُ مِنْهُمْ كَذَلِكَ الْعَبْدُ لاَ يُحْرِزُ نَفْسَهُ مِنَ الشَّيْطَانِ إِلاَّ بِذِكْرِ اللَّهِ ‏”‏ ‏.‏ قَالَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم ‏”‏ وَأَنَا آمُرُكُمْ بِخَمْسٍ اللَّهُ أَمَرَنِي بِهِنَّ السَّمْعُ وَالطَّاعَةُ وَالْجِهَادُ وَالْهِجْرَةُ وَالْجَمَاعَةُ فَإِنَّهُ مَنْ فَارَقَ الْجَمَاعَةَ قِيدَ شِبْرٍ فَقَدْ خَلَعَ رِبْقَةَ الإِسْلاَمِ مِنْ عُنُقِهِ إِلاَّ أَنْ يَرْجِعَ وَمَنِ ادَّعَى دَعْوَى الْجَاهِلِيَّةِ فَإِنَّهُ مِنْ جُثَا جَهَنَّمَ ‏”‏ ‏.‏ فَقَالَ رَجُلٌ يَا رَسُولَ اللَّهِ وَإِنْ صَلَّى وَصَامَ قَالَ ‏”‏ وَإِنْ صَلَّى وَصَامَ فَادْعُوا بِدَعْوَى اللَّهِ الَّذِي سَمَّاكُمُ الْمُسْلِمِينَ الْمُؤْمِنِينَ عِبَادَ اللَّهِ ‏”‏ ‏.‏ هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ غَرِيبٌ ‏.‏ قَالَ مُحَمَّدُ بْنُ إِسْمَاعِيلَ الْحَارِثُ الأَشْعَرِيُّ لَهُ صُحْبَةٌ وَلَهُ غَيْرُ هَذَا الْحَدِيثِ-

Al-Harith Al-Ash’ari riwayat karte hai ki Nabi ﷺ ne farmaya : Mai tumhe paanch bato ka hukm deta hu jinka Allah taala ne mujhe Hukm diya hai. Pahla hai Jamaah, dusra hai itaat karna, teesra hai sunna, chautha hai Hijrat aur panchwa hai Jihad karna Allah ke raah me.

Aur jo shaks balisht barabar bhi Jamaah se elaida hua us ne goya Islam ki Tauk apne gardan se utaar fenka magar us surat me ke jamaah me wapis aajae aur puri tarah ameer ki itat kare.

Aur jo bhi Islam ke zamane me jahiliyat ke naam se pukarna shuru kar de to wo dozakh me dale jane wale Khush wa khishak me honge.

Ek shaks ne arz kiya: Ya RasoolAllah! Agarche wo namaz padhe aur roza rakhe? Ap ﷺ ne farmaya, Agarche wo namaz padhe aur roza rakhe. Pas tum apne aap ko us naam se pukaro jis naam se Allah ne tumhe pukara hai. Usne tumhara naam MUSLIM, MOMIN AUR ABDULLAH (ALLAH KA BANDA) RAKHA HAI.

Sunan Tirmizi, – Vol. 1, Book 42, Hadith 2863. (Classed As Sahih by Sheikh Zubair Ali Zai)

Ab ek chiz aur gaur e talab hai ki Allah ne hame boht se naamo se Pukara hai fir yaha par sirf 3 naamo ki permission kyu mil rahi hai. Iska jawab ye hai ki baaki naam amalan (by action) hai lekin ye teen Laqaban (by label) naam hai.

Is Hadees pe Salaf ka Fahm:

۩ Shaykh ibn Taymiyya farmate hai,

“Minjumla in baton ke jin se ummat me Firqa-Parasti paida hoti hai aur jinhe darmiyan me lakar ummat ko tarah tarah ke azmaish wa mehnat me dala jata hai, halanke Allah aur RasoolAllah ﷺ se in ki koi Dalail nahi. Ek ye bhi hai ke masalan kisi ko pucha jaye ke tu Shukayki hai ya Qarfandi ? Ye lakab e batil hai, kyuki inke sahih hone me Allah ne koi daleel nahi utary. Allah ki kitab aur RasoolAllah ﷺ ki sunnat aur Salaf as-saliheen ke aqwaal ma’aroofa me inka mutlaq pata nahi chalta, na koi Shukayki hai na Qarfandi.

Toh jab kabhi kisi Musalman se is chiz ki nisbat pucha jaye to us par wajib hai ke ye jawab de ke mai na Shukayki hu na Qarfandi, balke Mai Musalman hoon, Allah ki kitab aur Rasoolallah ki sunnat ka muttabi hoon.

Ameer Muawiya r.a. se hame ye riwayat pahuchi hai ke inhone ek daf’a ibn e Abbas r.a. se pucha ke Ap Hazrat Ali r.a. ki millat par hai ya Usman r.a. ki? Inho ne kaha ke ‘Na mai Ali ki millat par hoon, aur na Usmaan ki, Mai to RasoolAllah ki millat par hoon’.

Salaf as saliheen me se har ek yahi kahta tha, ‘ Ye tamaam Naam (laqab) Gumrahi hai aur in ka anjaam dozakh hai.’

Ek Salaf farmate hai, Mai ye nahi janta ke dono ni’maton me se koun si ni’amat badi hai, ye ni’amat badi hai ke Allah ne mujhe Islam ki taraf rahnumayi ki ya ye ke Allah ne mujhe Gumraahi se alag kiya. Allah ne Quran me hume Musalman, Momim aur Abdullah kah kar pukara hai. Hum hargiz nahi chahte ke Allah ke tajweez kar’dah naamo ko chhor kar wo naam ikhtiyaar kare jo kisi khaas Qaum ne ba’tareeq ejaad kiya hoo aur unhone aur Un ke abaa wa ajdaad ne khud gadh liye ho. Halanke Allah ne Un ke mutalliq koi daleel nazil nahi farmayi balke wo laqab bhi bid’at hai.”

Al Wasiyat Al Kubra, Chapter- Muqtalif Naamo Ki Taraf Mansoob Hokar Ummat Me Tafarruqa Paida Karna, Page- 75.

Is liye hame Khud ko sirf Muslim, Momin ya Abdullah kahna chaihiye. Baaki naam jo hai jaise Shiya, Sunni, Barelwi, Tablighi, Ahle hadith (salafi), ye tamam laqab se bachna chaiye taaki ham Allah aur Rasool ke farman aur salaf ke fahm ke mutabik amal kar sake. RasoolAllah ne ta-umr khud ko sirf Musalman kaha. Aur Allah pak Quran me farmate hai,

“Laqad Kaana Lakum Fii Rasoolil-laahi Uswatun Hasana”

“RasoolAllah Tumhare Liye Ek Behtreen Misaal Hai.” 

Quran, 33:21.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame Deen e Islam ko apne firqo ke bajaye salaf ke fahm se samajhne ki taufeek ata kare. aameen.

Read More »