اقرأ باسم ربك الذي خلق

Showing posts with label Shirk and Tawheed. Show all posts
Showing posts with label Shirk and Tawheed. Show all posts

25 Dec 2017

Mazar aur Islam

hi  -
۩ Jabir r.a. riwayat karte hai ki Nabi ﷺ ne kabro par baithna, kabr ka Pakka karwana aur kabr par imarat banwana mana farmaya tha.

Sahih Muslim, kitab al Janaaez, hadees-2245.

۩ Shumama bin Shafayy r.a. ne bayan kiya, unhone kaha, 'Ham sarzameen e Rome ke jazirah 'Rhodes' me Fazalah bin Ubaid r.a. (sahabi) ke sath the ke hamara ek dost wafat paa gaya. Fazalah bin Ubaid r.a. ne un ke kabr ke baare me hukm diya toh us ko barabar kar diya gaya, Fir unhone kaha, “Mai ne RasoolAllah ﷺ se suna hai ke Aap ﷺ in (kabro) ko (zameen ke) barabar karne ka hukm dete the.”'

Sahih Muslim: kitab al Janaaez, hadees- 2242.

۩ Abu'l-Hayyaj al-Asadi r.a. ne kaha ki Ali r.a. ne unko kaha ki kya mai tumhe usi maqsad ke liye na bheju jis maqsad ke tahet RasoolAllah ﷺ ne mujhe bheja tha. (Wo ye hai) ki tum kisi tasweer ko na chorna magar use mita dena ya kisi unchi kabr ko na chorna magar use (zameen ke) barabar kar dena.

Sahih Muslim: kitab al Janaaez, hadees- 2243.

۩ Ayesha r.a. kahti hai ke jab Nabi ﷺ bimaar pad gaye toh Aap ﷺ ki baaz biwion (umme Salma aur umme Habiba) ne ek Girje ka zikr kya jise unhone Habsha me dekha tha jis ka naam Mariya tha. Umm Salma aur Umm habiba r.a. dono Habsha ke mulk me gayi thi. Unhone iski khubsurti aur is me rakhi hui tasveer ka bhi zikr kiya. Is par aa huzoor ﷺ ne sar mubarak utha kar farmaya, 'Yeh woh log hai ke jab un mein koi nek shakhs mar jata to uski kabr par ibadatgaah bana lete aur fir uski Tasveer usme rakh dete the, Allah ke nazdeek ye log saare makhluk me bad-tareen (bure) makhluk hai.'

Sahih al Bukhari, kitab al Janaaez, hadees- 1341.

۩ RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Aye Allah meri kabr ko but na banana jiski ibadat ki jaye. Allah ka us kaum par sakht gazab nazil hota hai jo apne nabiyo ki kabro ko ibaadat gaah bana lete hai.” 


Muwatta Imaam Malik, vol-9, page-88. 


۩ Jundub r.a. ne kaha: Maine Nabi ﷺ ko Aap ki wafaat se panch din pahle ye kahte hue suna, “Mai Allah ta'ala ke huzoor is cheez se bara'at ka izhaar karta hu ke tum me se koi mera khalil ho kyuke Allah ta'ala ne mujhe apna khalil bana liya hai, jis tarha usne Ibrahim a.s. ko apna khalil banaya tha, agar mai apni ummat maise kisi ko apna khalil banata toh Abu Bakr r.a. ko khalil banata. Khabardaar! Tum se pahle log apne ambiya aur nek logon ki kabron ko Ibadatgaah bana liya karte the, khabardaar! Tum kabron ko ibadatgaahe na banana, mai tum ko is se rokta hu.

Sahih Muslim, kitab al Masjid wa Mawazihis Salaat, hadees - 1188.


Note: Boht se log kahte hai ki ham baba ki ibadat kaha karte hai lekin ham to sirf unse dua mangte hai to unke ilm ke izafe ke liya bata du ki Hazrat-Noumaan- Bin-Bashir r.a. se riwayat hai RasoollAllah ﷺ ne farmaya, “Dua ek ibadat hai”.

Jamia -Tirmizi, Vol-no: 2, kitab ad Daawaat, hadees - 3372. Imam Tirmizi ne ise Hasan Sahih kaha.

۩ Imam Shafi' r. h. farmate hain:

وقد رأيت من الوالة من يهدم بم ّكة ما يبنى عليها، فلم أر الفقهاء يعيبون ذلک-

“Maine hukmaraano ko makkah e mukramah me qabro par se imaarate giraate dekha hai, (aur) fuqaha e karaam ko maine is par koi aeteraz karte nahi dekha.”

Kitab al-Umm 1/316.

•٠•●●•٠•
Read More »

Dua Ek Ibadat Hai


Aaj Ke Kuch Log Kahte Hain Ke Main Siwaaye Allah Ke Kisi Ki Ibaadat Nahi Karta Aur Nek Logon Ki Panaah Lena Aur Tangi Wa Takleef Me Mushkil Kushaai Ke Liye Unhe Pukaarna Koi Ibaadat Toh Nahi..

Jawab:

حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ مَنِيعٍ، حَدَّثَنَا مَرْوَانُ بْنُ مُعَاوِيَةَ، عَنِ الأَعْمَشِ، عَنْ ذَرٍّ، عَنْ يُسَيْعٍ، عَنِ النُّعْمَانِ بْنِ بَشِيرٍ، عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏”‏ الدُّعَاءُ هُوَ الْعِبَادَةُ ‏”‏ ‏.‏ ثُمَّ قَرَأََ ‏:‏ ‏(‏وقالَ رَبُّكُمُ ادْعُونِي أَسْتَجِبْ لَكُمْ إِنَّ الَّذِينَ يَسْتَكْبِرُونَ عَنْ عِبَادَتِي سَيَدْخُلُونَ جَهَنَّمَ دَاخِرِينَ ‏)‏ ‏.‏ قَالَ هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ ‏.‏ وَقَدْ رَوَاهُ مَنْصُورٌ وَالأَعْمَشُ عَنْ ذَرٍّ وَلاَ نَعْرِفُهُ إِلاَّ مِنْ حَدِيثِ ذَرٍّ ‏.‏ هُوَ ذَرُّ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ الْهَمْدَانِيُّ ثِقَةٌ وَالِدُ عُمَرَ بْنِ ذَرٍّ-

Hazrat Numan Bin Bashir Radi Allahu ‘anhu Se Riwayat Hai Ki Rasoollallah ﷺ Ne Farmaya, “Dua Ek Ibadat Hai.” Fir Aap ﷺ Ne (Surah Momin” Ki “Aayat-no-60 Ki) Tilawat Ki, “Aur Tumhare Rab Ka Farman Hai Ki Mujhe Pukaro, Main Tumhari Dua Qubool Karunga, Aur Jo Log Meri Ibaadat Se Takabbur Karte Hain Woh Zaleel-o-khuwar Hokar Jahannum Main Dakhil Honge.”

Jamia Tirmizi, kitab-ul- Dua, Hadith-no: 3372. Imam Tirmizi ne ise Hasan Sahih karaar diya hai.

Is Hadith Ki Roshni Me Agar Ap Kisi Se Dua Karte Hai To Goya Ap Uski Ibadat Karte Hai.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame sirf usi ki ibadat karne ki aur sirf usi se (gaibi) madad mangne ki taufeek ata kare. aameen.
Read More »

Notes on Shirk and Tawheed


۩ “Waqai, tum Allah ko chor kar jin ko pukarte ho, wo bhi tumhari tarah Allah ke banday hain, so tum inko pukaro! Phir inhe bhi chahye ke tumhara jawab de, agar tum sachay ho.”

[Surah A’raaf, surat 07, Ayat.194]

۩“(Aye Nabi ﷺ) Aap keh dijiye k”main tou sirf apne Rubb hi ko pukarta hun or Os k sath kisi ko shareek nahi kerta”[surah Jinn, surah # 72, ayat# 20].

۩ Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasoollall ah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Qabron par masjid bananey walo aur us par chirag karney walon par bhi laanat farmayee hai.

Sunan Abu Dawud, vol 2,1459.

(1) GAUS-E-AAZAM (Sabse Bada Faryaad Sunne Wala )

“Kaun hai jo beqarar ki dua sunta hai jab ke wo usse pukare aur kaun uski taklif ko door karta hai, aur kaun hai jo tumhe zameen ka khalifa banata hai ! Kya Allah ke sath aur koi Mabood hai ?

(Surah- Tul-Namal, Aayat-no–62)

(2) MUSKIL-KUSHA (Tamaam Mushkilen halkarne wala)

Agar tumhe Allah kisi mushkil me daal de to iske siwa isko koi door karne wala nahi aur agar wo tumhe kisi khaer(bhalai) se nawazna chahe to wo har chiz par qadir hai.

(Surah Anaam, ayat 17)

(3) DAATA (Sab Kuch Dene Wala)

Besak Allah bada denewala hai.

(Al-Quraan)

Jise chhata hai betiyan deta hai, jise chhata hai bete deta hai, jise chhata hai bete aur betiyan mila jhula kar deta hai, aur jise chhata hai banjh rakh deta hai, wo to janne wala Qudrat wala hai”

(ash Shura,49,50).

۩ Aye Nabi ﷺ in say kehdo,’main apni zaat k liye bhi kisi nafa-o-nuqsaan ka ikhtyar nahi rakhta, Allah hi jo kuch chahta hai hota hai, or agar mujhay ghaib ka ilm hota tou apne lye bohat say faiday hasil kar leta oR mujhay kabhi koi Nuqsaan na pohanchta, main tou mehez aik khabardaar karne walaor khushkhabri sunanay wala hun on logo k lye jo meri baat sunain.”[Al-Qur an,surah A’raaf, ayat#188]

۩ Aye Nabi ﷺ tum farmado ki mane tumse kabhi ye nahi kaha ki Allah ke khazane mere paas hai aur mane ye bhi nahi kaha ki me gaib ka ilm rakhta hu ar me tum se ye bhi nhi kehta ki me koi farishta hu me to chal pada us wahi pr jo meri taraf ki gai tum farmado kya andha ar aakh wala dono barabar ho sakte hai kya phir bhi tum sochte nahi.

SURAH 6, AYAT-50.

۩ Mohammad ﷺ: Aagah rahna unlogo se jinhone apne nabi aur nek bujurgo ki kabro ko ibadat ki jagah le liya hai lekin tum mese aisa koi mat karna mai tumhe mana farmata hu is chiz se.

Sahih al bukhari, thee Book of Prayers (Kjitab Al-Salat) [004:1083]

۩ Jabir r.a. riwayat karte hai ki nabi s.a.w. ne kabro par baithna, kabr ka pakka karwana aur kabr par imarat banwana mana farmaya tha.

Sahih Muslim, kitabul janaza,Kitab-4, Hadith-2116.

۩ Aur agar ALLAH tumhain koi takleef pochchana chahy to is k siwa usy koi door karne wala nahi or agar wo tumhary sath bhalai ka irada kary to koi us k fazal ko rad karne wala nahi wo apne bandon me se jisy chahta hy apna fazal pohchata hy aur wo bara bakhsne wala nihayat meherban hy (sura yunus ayat # 107).

۩ “Jin Jin Ko Ye Log Allah K Siwa Pukarte Hain, Wo (Log) Kisi Cheez Ko Paida Nahi Karsakte, Bulke Wo To Khud Paida Kye Gae Hain, (Aur Wo) Murde Hain, Zinda Nahi, Enhain To Ye Bhi Khabar Nahi K (Apni Qabron) Se Kab Uthae Jaenge.

[Surah Al Nehl 20-21 Ayah]

۩ Kya Allah Apne Bandon K Liye Kafi Nahi?

Ye Log Apko Allah K Siwa Auron Se Dara Rahe Hain,Jise Allah Gumrah Karde Iski Rahnumai Karne Wala Koi Nahi. (Surah-Zam ar, Aayat-no35)

۩ “Aur Allah-Taal a Par Jo Bharosa Rakhta Hai Iske Liye Allah Kafi Hai” (Surah-Tal aaq, Aayat-no 03)

۩ Agar Main Kisi Ko Hukum Deta Dusron Ko Sajda Karne Ka , Toh Aurton Ko Hukum Deta K Wo Apne Shohron Ko Sajda Kare.

Abu Dawood, Jild 2 Hadees, 373.

۩ Hazrat Ali Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki mere Habib Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne Kabristan mein Namaz parhney se mana farmaya hai

Sunan Abu Dawud, Vol 1, # 488.

۩ Hazrat Abu said khudri Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya sari zameen Namaz ki jagah hai siwaye Hamam aur Kabristan ke

Sunan Abu Dawud, Vol 1, # 490.

۩ Hazrat-Noumaan- Bin-Bashir {Radi Allahu ‘Anhu} se rivayat hai Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne farmaya Dua hi to ibaadat hai, phir apne”Surah-Tul-Momi n” ki “Aayat-no–60” padhi, Tumhare Parwardigar ne Farmaya Mujhe Pukaro Main Tumhari Dua Qabool Karunga , Aur Jo Log Meri Ibaadat Se Takabbur Karte Hain Woh Zaleel-O-Khuwar Hokar Jahannum Main Dakhil Honge.

( Jamia -Tirmizi, Vol-no: 2, Book:(Kitab-ul- Dua), Hadees-no:1297).

۩ “…. Ho sakta hai ki tum kisi cheezko napasand karo aur wah tumhare liye bahtar ho beshak Allah janta hai aur tum nahi jante”

(surah baqarah 216).

۩ Aap ﷺ ne un logo ke upar LAANAT ki hai, jo log KABRO par jakar chiraag jala te hai.

Abu Dawood:3230.

۩ Aap ﷺ ne KABRO par Masjid (Sajda karne ki jagah) bana ne walo par LAANAT farmayi hai.

Abu Dawood:3288

۩ Rasul ﷺ ne KABAR par BAITH ne se, KABRO ko PAKKHI karne se, KABRO ko OONCHA karne se, KABRO par kuch TAMEER karne se aur KABRO par likhe huye PATTAR laga ne se manaa farmaya hai.

Abu Dawood:3225.

۩ Rasul ﷺ ne farmaya: Jo shakhs kisi bhi KABAR par baith ta hai us se behtar hai ke wo AAG ke angaarey par baith jaye aur AAG uske jisam aur uske kapdo ko jalaa kar raaqh kar daale.

Muslim:2119.

Aur usse badhkar GUMRAAH kaun hai jo Allah ke alawa aiso ko PUKARE jo uska qayamat tak ka jawab nai de sakte, balki wo to GAFIL hai unke pukar se.

{Surah Al-Ahqaf 46:5}.

۩ Aur tumare RAB ne faisla farmaya hai ke Uske siwa kisi ki ibadat na karo

Surah Isra-23.

۩ Allah farmata hai ke jinko tum Allah ke siwa pukarte ho, wo toh tumari tarah ke bande hi hai

Surah Araaf-194.

۩ Tum Allah ko chhor kar kisi aur ko na pukaro, ye na tum ko faida de sakte hai aur na hi nuqsaan, agar tum ne Allah ko chod kar kisi aur ko pukara toh tum ZALIMO me se ho jaoge

Surah Yunus-106, 107

۩ Quran me SHIRK ko ZULM khaha gaya hai, hume maloom hua ke Allah ko chod kar kisi aur ko pukarna SHIRK hai.

AL QURAN

WOh LOOG ALLAH K SIWA AYSE CHEEZO KE IBADAT KRTAY HAIN JO NAA UNHAY NUKSAAN POCHA SAKTAY HAIN NAA FAIDA , OR KEHTAYHAIN YEH ALLAH K YAHA HAMARAY SHIFARSHI HAIN (SURAH YOUNUS 18).

Aap ﷺ Ne Kaha”Aye Allaah Meri Qabar Ko Budh Na Banana Jiski Puja Ki Jaye.Allaah Ka Us Khoum Par Saqt Gazab Nazil Hota Hai Jo Apne Nabiyo Ki Qabaro Ko Ebaadat Gaah Bana Letay Hai”.[Muwatta Imaam Malik 9:88].

Abu Waqid Al-Laithi r.a. riwayat karte hai ki jab rasool s.a.w. Hunain gaye to wo ek ped ke pass se guzre jise butparast log Dhat Anwat kahte the jisme wo log apne hathyaro ko tanga karte the.Sahabio ne kaha ki Ae Allah ke Rasool hamlogo ke liye bhi ek Dhat-Anwat bana dijiye jaise un logo ke pass hai.Yeh sunkar rasool s.a.w. ne farmaya, SubhanALLAH ye to waisi hi baat ho gai jaisa ke Musa a.s. ke sathio ne kaha tha ki Ek hamlogo ke liye Khuda bana dijiye jaisa unlogo ke pass hai. Wo ke jiske kabje me meri rooh hai tum beshak unlogo ki pairwy karoge jo tumse pahle guzar gaye hai.

SUNAN TIRMIDHI (Vol. 4, Book 7, Hadith 2180).

“Mushrikeen jin logo ko pukaar te hai, wo khud Allah se Qareeb ho ne ki talaash me rehte hai aur is fikar me rehte hai ke koun Allah ka zyaada muqarrab hai aur usi (Allah) ki rahmat ki ummeed rakhte hai aur uske azhaab se darte hai, beshak Tere Rabb ka azhaab waqaayi dar ne ki cheez hai.”

Surah Bani Israel:57.

Chaliye dekhte hai ki BABA(MAZARO WALE) jinse kuch muslim apni murade mangte hai..qayamat ke din wo kya jawab denge:

Aur jiss din Allah Taalaa inhen aur Allah ke alawa jinki yeh ibadat karte hai unhen jama keray ga ke kiya meray inn bandon ko tum ney gumrah kiya ya yeh khud hi raah say gumrah hogaye.

Woh jawab den gay kay tu pak zaat hai khud hume hi yeh zaiba na tha kay teray siwa auron ko apna MADATGAAR(AULIYA) banatay. Baat yeh hai kay tu ney enhen aur inn kay baap dadon ko aasoodgiyan ata farmaeen yahan tak kay woh naseehat bhula bethay yeh log thay hi halak hone wale.

Toh inhon ney to tumhen tumhari tamam baton mein jhutlaya ab na to tum mein azabon kay pherney ki taqat hai na madad kerney ki tum say jiss jiss ney zulm kiya hai hum ussay bara azab chakhayen gay.

Surah 25, ayat 17-19.

Shirk#1:

Bhar De Jholi Meri Ya Mohammad

Al-Quran: Ay Nabi keh dijiye insano se k tumhare nafa aur nuqsan ka ikhtiar sirf Allah k paas hy

(Surah Jin:21)

Shirk#2:

Shah-e-Madina, Sare Nabi Tere Dar Ke Sawali

Al-Quran: Ay logo! tum sirf Mere dar k faqeer ho

(Surah Fatir:15)

Shirk#3:

Jo Mang Dar-e-Must afa Se Maang

Al-Quran: jo mango sirf Mujh se mango, sirf Mai tumhari Dua Qabool krta hun

(Surah Momin:60)

Shirk#4:

Maula Ali Meri Kashti Paar Laga De

Al-Quran: Jab kashti mei sawar hote hain to Allah ko pukarte hain

(Surah Ankabut:65 ).

Hazrat Anas Bin Malik (Razi Allah unhuma) se Riwayat hai k Rasul Allah(Salal-Lah -u AalewaSallam) Ne Usman Bin Maz’un ki Qabar Par Nishaani k Taur par Ek Pathar Lagaya.

Hazrat Jaber (Razi Allah unhuma) Farmatey hai K Rasul Allah (Salal-Lahu AalewaSallam) Ne Qabaron ko Pukhta Banane Se Manaa Farmaya.

Hazrat Jaber (Razi Allah unhuma) Bayaan Farmatey hai k Rasul Allah (Salal-Lahu AalewaSallam) Ne Qabar par Kuch bhie Likhne se Manaa Kiya.

Hazrat Abu Sa’ed (Razi Allah unhuma) Se Riwayat hai k Nabi Kareem(Salal-La -hu AalewaSallam) Ne Qabar Par Emarat Bananey se Manaa Farmaya.

(Sunan Ibn-E Maja: Hadees Number: 1561-1564).

(Aye Nabi) Jab meray banday meray baray mein aap say puche to aap keh den kay mai unke boht hi qarib hun, har pukarney walay ki pukar ko jab kabhi woh mujhay pukaray sunta hu aur qabool kerta hun iss liye logon ko bhi chahaiye kay woh meri baat maan liya keren aur mujh per eeman rakhen taaki wo sahi raah paye.

Surah baqara, ayat 186.

•٠•●●•٠•
Read More »

24 Dec 2017

Qur’an Majeed Me Nazr Ka Bayaan

Isko Arabic zuban me Nazr, faarsi me Niyaaz, aur urdu me Mannat kahte hai.
Qur’an majeed ki 5 ayaton me nazar ka charcha huwa hai
1- "Tumne jo kuch bhi kharch kiya ho aur jo kuch bhi nazr maani, allah ko uska ilm hai aur zaalimon ka koi madadgaar nahi”
(Baqarah, 270)
Tashrih: yani kharch chaahe Allah ki raah ya shaitaan ki raah me ho aur nazar chaahe Allah ki raah me maani ho ya Allah ke elaawa kisi dusre ke liye, dono sooraton me insaan ki niyat aur use kaam ko Allah bakhoobi jaanta hai, jin logon ne Allah ke liye kharch kiya hoga aur uske liye nazr maani hogi wah uska sawaab paayege.
Aur jin zaalimon ne shaitaani raahon me kharch kiya hoga aur Allah ko chhod kar dusre ke liye nazaren maani hogi ,unko Allah ke azaab se bachane waala koi madadgaar nahi….
2- "jab imran ki aurat ne kaha ki mere Parwardigaar main us bacche ko jo mere pait(stomach) me hai teri nazr karti hun wah tere hi kaam ke liye qurbaan hoga meri is nazr ko kubool kar tu sunne waala aur jaanne waala hai”
( aal Imran 25)
Tashrih: yani hazrat Imran ki wife ne ummeed ke dinon me yah iqraar kiya aiy mere Allah! Main apne paida hone waale bacche ko tere deen ki khidmat ke liye qurban karne ki mannat maangti hun..
3- Hazrat Maryam ko Allah paak ne farmaya pas tu kha aur pee aur apni aankhen thandi kar phir agar koi insaan tujhe dikhaayi de to usse kah de ki maine Allah ke liye roze ki nazar maani hai, isliye aaj main kisi se baat na karungi”
(Maryam 26)
tashrih: Allah paak ne huqm diya ki aiy Maryam! Agar koi insan tujhe dikhaayi de to usse baat na karo balki ishaare se samjhaao ki maine Allah ke liye aaj khamosh karne ki mannat maani hai…
4- "Fir wah hajj karne waale apna mail Kuchail(gandagi) door kare aur apni nazaren poori karen aur is puraane ghar ka tawaaf karen”
(al Hajj 29)
5-  "(Nek log wo hai) jo apni nazaren poori karte hai aur us din se darte hain jiski buraayi faili hai”
(Dahar 7)
Qur’an majeed ki in ayaton se saabit huwa ki Allah ke bande usi ki nazar maante hai aur dusre ke naam ki nazar nahi maante……
Zaroorat poori karne waali Sirf Allah ki zaat hai, isliye Allah ke siwa kisi dusre ke naam par sadqa wa khairaat karna aur nazar-o-niyaaz dena khula shirk hai, jaise ” 11wi ki niyaaz” , imam zaafar ke kunde, bibi ji ka sahnak, shaheedon ki sabeel, hz hussain ra ka khichda, shah madaar ka murga, bari imam ka bakra, haji ghaib ki chaadar etc.
Prepared by:- A.Sayed
Read More »

Tawheed Aur Shirk

TAWHEED

Tawheed ka matlab hai “Ek” janna aur “Ek” kahna. Tawheed Se Muraad Allaah Ko Uski Zaat,Sifaat,Uski Ebaadat Aur Uske Huqooq Me Munfarid, Yekta AurBemisaal Maan’na.
Quran’Hadees Ki Roushni Me Tawheed Ki 3 Kisme Hai:

1.Tawheed’e’Ruboo’Biat
2.Tawheed Asma’Wa’Sifaat
3.Tawheed Ulu’hiat Ya Tawheed Al’Ebaada.

Tawheed’e’Ruboo’Biat Se Muraad Allaah ko Kae’naat Ki Har Cheez Ka Khaliq,Malik,Raziq Aur Tamaam Umoor ki TadBeer KarneWalaMaan’na.”
(Ay Nabi)Aap(In Mushrikeen se)Poocho Ke Tumko Aasman Aur Zameen Me Rizq Koun PahunchaTa Hai, Ya Tumhare Kaano Aur Aankho Ka Maalik Koun Hai Aur Jaandar ko Bejaan Se Aur Bejaan Ko Jaandar Se Koun Nikalta hai,Aur Tamaam Kaamo Ka Intezaam Koun Karta Hai,Wo fauran Kahenge Ke (Ye Sub Kaam Karne Wala)Allaah Hai.To UnSe Poocho Ke Phir Tum(Allaah Se)Darte Kyon Nahi.(Quran 10:31). Isse pata chala Mushrikeen e Makka Tawheed’e’Ruboo’Biat Ko mante the The.

Tawheed Ulu’hiat Se Muraad Ye Hai Ke Allaah He Haqeeqi Aur Akela Mabud Hai.Yahi Wo Tawheed Hai Jisko Mushrikeen Makka Samet har Daur ke Mushrik Maan’ne Se Inkaar Karte Rahe. Namaz,Roza,Haj,Qurbani,Dua,Naz ar Wa Niaz…Sirf Allaah Ke liye Ho.”
Aur (Ay Logo) Tumhara Mabud To Bus Ek He Hai,Uske Alawa Koyi Ebaadat Ke Layaq Nahi,Wo Bahut Raham Karnewala Aur Meharbaan Hai”.(Quran 2:163)

Tawheed Asma’Sifaat Se Murad Ye Hai Ke Allaah Ke UnSab Asma Aur Sifaat Ka Iqraar Kiya Jaye Jin Se Allaah Ne Quran Me Apne Aap Ko Mousuf Kiya Ya Nabi s.a.w. Ne Ahadees Me Unka Zikar Kiya. Aur Allah ke Asma aur sifat me kisi ko shareek na kiya jaye.
Jaise Allaah Ne Kaha: “Aye Iblees Tujhe Usay Sajda Karne Se Kis Cheez Ne Roka Jise My Ne Apne 
Haatho Se Paida Kiya”.(Quran 38:75)

“Rehmaan Arsh Par Qayim Hai”.(Q 20:5)”

Allaah Ne Musa a.s. Se Kalam Kiya”(Q4:164)”

Allaah Aasmaani Duniya Par Nuzool Farmata Hai”.(Muslim:758)”

Us(Allaah)Jaisi Koyi Cheez Nahi”.(Quran 26:11)

Allaah Ke Asma Wa Sifaat Ko Haqeeqat Par Mahmoul Karte Huye Kisi Qisam Ki Taweel, Kaifiat, Tateel aur Tamseel Ke Bagair Emaan Lana Tawheed Asma Wa Sifaat Hai.

Dawat e Islami Ka Sahi Tarikekaar Ye Hai Ke Dawat Ka Aaghaas Tawheed Ke Prachar Se Kiya Jaye. Logo par Tawheed Aur Shirk Ke Fark Ko Wazeh Kiya Jaye.

“Pahli Cheez Jis Ki Taraf Logo Ko Dawat Di Jaye Wo Kalme Shahadat Hona Chahiye.” Yani Ye Ke Log Allaah Hi Ko Ilaah Waahid Maane.

[Bukhari:1395, Muslim:19]

SHIRK

Shirk Ka Logvi Mani hota hain SHARIK karna , aur Sharai Aetbar se Shareek ka matlab hota hai, ke Allah Tala ki “ ZAAT” Ya Phir “SIFAT” may kisi ko Sharik karna.

“Subse Bada Gunah Ye Hai Ke Tu Allaah Ke Saat Kisi Ko Shareek Kare Halan Ke Usne Tujhe Paida Kiya.”

Bukhari 4477, Sahih Muslim 86.

Allah Ke Saat Shirk Na Karna. Beshak Shirk Bada Bhari Zulm Hai.Quran 31:13.

Shirk Se Bache.Tawheed Parast Bane.

Shirk Karne Ka Nuksaan yeh Hai ki:

“Jisne Allaah Ke Sath Kisi Ko Shareek Tehraya,Allaah Ne Uspar Jannat Haram Kardiya.Uska Thikhana Jahannum Hai Aur Zalimo Ka Koyi Madadgar Na Hoga.”

[Quran 5:72]

“Jo Koyi Is Haalme Mare Ke Wo Allaah Ke Siwa Kisi Aurko Pukaarta Hoto Wo Jahannum May Dakhil Hoga.”

[Bukhari 4497, Muslim 92].

Shirk Karne wale Ko Uske Nek Aamal Faida nahi Denge. Nek Aamal(jaise Sadqa,Khairat,Namaz,Roza,…) Aqeede Shirk Ki Moujoodgi Me Bekar Ho Jate Hai Aur Allaah Ke Yaha Qabil Qabool Nahi Rehte. Chunache Allaah Ne 18 Jaleelul Qadar Anbiya Ka Naam Lene keBaad Farmaya:

“Aur Agar Unlogo Ne Shirk Kiya Hota To Unke Bhi Sub Aamal Zaya Ho Jate”.

[Quran 6:88].

La’ilaaha’illallaah Muhammadur Rasool Allaah Padh Ne Wala bhi Mushrik Ho Sakta Hai
RasoolAllah s.a.w. ne farmaya: “Tum Yaqeenun Apne Se Pehli Ummato Ki Pairwi Karoge, Aur Pehli Ummato Se Aapki Muraad Yahood Wa Nasara Hai”.

[Bukhari.3456,Muslim.2669]

“Kya Tu Ne Unhe Nahi Dekha Jinhe Kitab Ka Kuch Hissa Mila Hai Ke Wo But Aur Tagoot Par Emaan Laate Hai”.

[Quran 4:51]

RasoolAllah Sallellahualaihiwasallam Ne Kaha: “Qiyamat Us Waqat tak Khayam Na Hogi Jab Tak Meri Ummat Ki Ek Jamaat Mushriko Se Na Jaa Milay Aur Meri Ummat Ke Bahut Se Log But Parasti Na Kare”.

[Tirmizi 2219]

Jab Kisi Qabar ki ibadat Ho toh Usko But-Parasti Kaha Jayega. Ap Sallellahu Alaihi Wasallam Ne Kaha:

“Ay Allaah Meri Qabar Ko But Na Banana Jiski ibadat Ki Jaye. Allaah Ka Us Kaum Par Saqt Gazab Nazil Hota Hai Jo Apne Nabiyo Ki Qabaro Ko Ebaadat Gaah Bana Letay Hai”

[Muwatta Imaam Malik 9:88]

Aisha r.a. Farmati Hai ke SallellahuAlaihi Wasallam Ne Aakhri Waqat Me Farmaya:
“Yahood Wa Nasara ParAllaah Ki Laanat Ho, Unhone Apne Ambiya Ki Qabaro Ko Sajda Gaah Bana Liya”.Agar Is Baat Ka Khouf Na Hota Ke Sallellahu Alaihi Wasallam Ki Qabar Ko Bhi Sajda Gaah Banalia Jayega To Aap Ko Band Hijray Me Dafan Na kiya Jata Aur Aap Ki Bhi Qabar Khuli Hoti.

[Bukhari.1390, Muslim.529]

Mashuray Me Shirk Failne Ki Ek Aham Waja Ye Hai Ke Shaitan Awliya Allaah Se Muhabbat Ko Aad Banakar Guloo Karwata Hai. Kaum Noah Ko Dekhia “Wadd,Suwa,Ghutaif,Yauq,Nasr Noah Ki Khoum Ke Swaleheen The Jin Ki Logo Ne baadme Parashtish Shuru Kardi”.

[Bukhari 6:442]

“Aur Unhone Kaha Ke Tum Apne Mabudo Ko Hargis Na Cho’dna Aur Wadd,Suwa,Ghutaif,Yauq,Nasr KoKabhi Na Cho’dna”.

[Quran 71:23]

Mushrikeen Macca Bhi Allaah Ko Ilaah Mante The Magar Allaah Ke Alawa Aur Bahut Se Ilaah Banaye Huye The Aur Allaah Ko Subse Bada Ilaah mante The. Isliye Nabi Ki Dawat Par Mushrik Kahne Lage:
“kya Usne Itne Sare Mabudo Ki Jagah Bas Ek He Mabud Banaliya,Ye To Badi Ajeeb Bath Hai”.

[Quran 38:5]

(Unse)Kahiye, Apna Haal To Batao Agar Tum Par Allaah Ka Koi Azaab Aajaye Ya Qayamat Aa Pahunche To Kya Tum Allaah Ke Siwa Kisi Aur Ko Pukaroge. Agar Tum Sache Ho[To Batao] Balke tum Usi[Allaah] Ko Pukaroge, Fir Jis Dukh Ke lia Tum Pukaroge Agar Wo Chahe To Usko Door Kardega Aur Jin Ko Tum Shareek Banate Ho Us Waqat Un Subko Bhool Jaoge.

[Quran Al’Anaam:40,41]

Mushrikeen Makka Gairullaah Ki Ebadat Kyon Kiya Karte?? Allah iska jawab deta hai:

“Hum Unki Ebaadat Sirf Isliye Karte Hai Ke Wo Allaah Ki Nazdeeki Ke Martabe Tak Humari rasayi Karade”.

[Quran Sura Zumar:3]

Yani Mushrikeen Makka Gairullaah ko Apna Sifarishi Aur Allaah Ke Qareeb Ka Zariya Samajhte The.
“Wo Kahte Hai Ke Ye Allaah Ke Paas Humare Sifarishi Hai”.

[Quran Sura Yunus:18].

Aap ﷺ Ne Kaha,”Ye Aise Log Hai Jab Inme se Koi Nek Banda Marjata To Uski Qabar Par Sajda Gaah Banadete Hai Aur Tasveere Bana Dete Hai. Ye Allah Ke Nazdeek Badtareen Maqlooq Hai”.

[Bukhari.427,Muslim.528]

Kya Aaj Neak Logo Ki Qabaro Ko Aisa He Nahi Karte? Isiliye Quran May Allaah Farmata Hai,

“Beshak Tum Allah Ke Siwa Jin Ko Pukaarte Ho Wo Tum Jaise Bande He Hai”.

[Quran Surah Al’Aaraf.194]

Jin Awlia Allah Ko Mushrikeen Pukarte The Unke Bareme Bataya:

“Murde Hai, Zinda Nahi.Unko Ye Bhi Maloom Nahi Ke ye Kab Uthaye Jayenge”.[Quran 16:21]
“Aur Jab [Qiyamat Ke Din]Log Jama Kiye Jayenge Wo Unke Dushman Ho Jayenge Aur Unki Ebaadat Ka Inkar kar Denge.

[Quran 46:6]

Allah Ki Zaat Me Shirk Ka Mafhoom ye Hai ki “Na Ussay Koyi Paida Huwa Naahi Wo Kisi se Paida Huwa”

(Quran 112:3)

“Yaqeenan Wo Kafir Hai Jo Kehte Hai Ke Isa Ibn Mariyam He Allaah Hai”.(Quran 5:72)”
Aur Unhone Uskay Baaz Bando Ko Uska Juzz Tehraa Diya.Beshak(Aisa) Insan Khullam Khula Na ShukraHai”.

(Quran 43:15)

Ap ﷺ Ko Allaah Ke Noor Mese Noor Kehna Allaah Ka Juzz Banane Ke Barabar Hai-Shirk Hai.

•٠•●●•٠•
Read More »

22 Dec 2017

Tawheed Ki Fazilat


۩ Abdullah (bin Umar) Radhi Allah Anha riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ko teen chize di gayi thi (Meraj wali raat): Unhe paanch namaze di gai thi, Unhe Surah Baqara ki Ikhtitami(akhri) ayat di gai thi, aur unki ummat ke unlogo ko sangeen gunaho ki maafi di gai thi jo Allah ke sath kisi ko shareek nahi karte.

Sahih Muslim, 173.

۩ Hazrat Abu Hurairah r.a. kahte hain rasool ﷺ ne farmaya, har nabi ke liye ek dua aisi hai jo zaroor qabool hoti hai tamam ambiya ne woh dua dunia main hi maang li, lekin main ne apni dua qayamat ke din apni ummat ki shafa’at ke liye mahfooz kar rakhi hai, meri shafa’at in shaa allah har us shakhs ke liye hogi jo is haal main mara ke usne kisi ko allah ke sath shareek nahin kiya.

Sahih Muslim, Kitab Al-Imaan, Hadith 399.

Allah Hum Sabko Rasool ﷺ Ki Shafa’at Naseeb Farmaye… Aameen.

۩ Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya: ‘jis Musalman Ke Janaaza Mein Aise 40 Aadmi Shaamil Ho Jo Allah Ke Sath Shirk Na Karte Ho’n To Allah Ta’ala Is (maiyyat Ke Haq) Mein Inki Sifaarish Qubool Karta Hai.’

Sahih Muslim: al Janaaez, Hadith- 948.

۩ Hazrat Anas bin Malik r.a. kahte hai maine Rasoolallah ﷺ ko farmate hue suna hai. Allah farmata hai, aiy ibn-e-adam tu jab tak mujhe pukarta rahega aur mujh se bakhshish ki ummeed rakhega main tujh se sar-zad hone wala har gunah bakhshta rahunga, aiy ibn-e-adam mujhe koi parwah nahi agar tumhare gunah aasman kinare tak pohach jaein aur tu mujh se bakhshish talab kare to main tujhe bakhsh doonga, aiy ibn-e-adam mujhe parwah nahin tu ruye zameen ke barabar gunah lekar aaye aur mujh se is haal main mile ke kisi ko mere sath shareek na kiya ho to main ruye zameen ke barabar hi tumhe maghfirat ata karunga(yani sare gunah maaf kar doonga).

Jami at-Tirmizi, kitab ad dua, 3540. (Hasan)

SubhanAllah Hamara Allah Kitna Raheem Hai Apne Rahmat Se GunahGaar Bande Ko Bakhsh Deta Hai.. Kaash Hamein Allah swt Se Mangna To Aajye Bus WOhi Duaon Ko Aur Hamari Pukaar Ko Sunne Wala Hai Uske Siwa Koee Aur Nahin. Aur sath me ye bhi gaur karne wali baat hai ki ek sahih riwayat(hadith) ke mutabik gairullah ko pukarna Allah ke sath shareek karna hai to hame sirf aur sirf Allah ko pukarna chaiye. Allah ke siwa koi nahi hai jo hamari mushkilo ko dur kar sakta hai ya hamari zara si bhi madad kar sakta hai.

Allah se dua hai ki hame un logo me shumaar kare jo Allah ke sath shirk nahi karte. aameen.
Read More »

Shirk Kya Hai?


Allah pak farmate hai

Beshak Allah nahi bakshega ki us ke sath shirk kiya jaye aur baksh dega jo is ke ilawa hoga, jise wo chahega. Aur jo koi Allah ke sath shirk kare, toh wo gumraahi me boht dur nikal gaya.

Surah Nisa, ayat 116.

Halanki shirk se mutallik aur bhi boht si ayat is surah se piche guzar chuki hai lekin ye ayat boht hi aham hai jisme shirk karne wale ki muafi ki koi ummeed nahi.

Shirk kya hai?

Shirk hai, shareek karna Allah ke siwa kisi makhlook ko, ibadat , muhabbat, Taazeem me, Allah ke barabar samajhna. Allah taala ki makhsoos sifaat me; maslan, Khaliq, Raziq, Hajat rawa, mushkil kusha. Allah taala ki in sifat me kisi aur ko shareek samajhna ki koi aur bhi ye sab kuch kar sakta hai.

Qayamat ke din mushrikeen kahenge

“Allah ki kasam ham khuli gumraahi me the jab ham tumko Rabbul-aalameen ke barabar karar dete the.”

Surah-ashurah,aayat-97-98.

Iska matlab Allah ke barabar kisi ko karar dena, uski zaat me, uski sifaat me, uske hukuk me, uske ikhtiyaraat me, Yahi Shirk Kahlata Hai.

Shirk ko Zulm bhi kaha gaya hai. Zulm kisi ke haq me kami ke liye istemal hota hai. Allah ka haq ye hai ki uske barabar kisi ko na samjha jaye, kisi bhi chiz me, uski kisi bhi sifat me, uski hasti ki kisi bhi pahlu me. Aur agar koi aesa kare to wo aese gunah ka aetekab kar raha hai ki jiski muafi nahi. Yaad rakhiye ki gunah kai kism ke hai. Kuch aese hai jo insan bhul chuk me khata kar jata hai aur fir us ke baad neki karta hai to har neki khata ko mita deti hai. Kuch gunah aese hai ke jin ke liye sirf neki karna kaafi nahi balki unki bataur e khas muafi mangna bhi zaruri hai. Jab insan un gunaho par muafi mangta hai to wo muaf ho jate hai. Kuch gunah aese hai ki jin par sirf muafi bhi kafi nahi jab tak ke insan un huquq ki adayegi na kare jo wo kisi ke haq me maar raha hai; maslan kisi ki chori ki ya kisi ki ilzam-tarashi ki. Toh aese me jab tak ke wo chiz sahib e haq ko wapis na ki jaye, uska nuksan na pura kiya jaye, us shaks se muafi na mangi jaye jaise huquq al ibaad me kotahi, to us waqt tak wo gunah muaf nahi hote. To shirk bhi un gunaho maise ek gunah hai ki jis par insan jabtak sache dil se muafi mang kar fir ayinda ke liye wo kaam chhor na nahi deta us waqt tak muafi nahi ho sakti.

Shirk, sabse bada Gunaah

RasoolAllah ﷺ ne farmaya ki sabse bada gunah ye hai ki tum Allah ke sath kisi ko shareek karo, halanke usne tujhko paida kiya.

Bukhari 4477, Muslim 86.

Shirk karne ka nuksaan kya hai

…Jo bhi Allah ke sath shirk kare, Allah ne us par jannat ko haraam karar diya hai aur uska thikana aag hai aur in zalimo ke liye koi madadgaar nahi.

Surah al Maida ayat 72

Shirk ka sabse bada nuksan ye hai ki shirk karna wale par jannat haraam hai. RasoolAllah ﷺ ne farmaya,

“Jo koi is haal me mare ki wo Allah ke siwa kisi aur ko pukarta ho to wo jahannam me dakhil hoga.

[Bukhari4497,Muslim 92].

Shirk ke sath nek aamaal fayda nahi dete:

Shirk nek aamaal ko aag ki tarah jalata chala jata hai. Quran e paak me Allah taala ne Hazrat Ibrahim, Ishhaq, Yakoob, Dawood aur suleman alaihimussalam samet 18 paigambaro ka naam lekar farmaya,

“Agar ye sab shikr karte(18 Ambiya jinme ye sab bade bade Ambiya shamil hai) to inke bhi aamaal inse zaya ho jate.”

To Khwah koi paigambar bhi kyu na ho lekin agar wo bhi shirk kare to unke bhi aamaal zaya ho sakte hai.

۞ Shirk ki jadd( root):

Shirk ki sabse bunyadi wajah ya sabse bunyadi sabab kisi ki Muhabbat me gulu hai. Kisi bhi nek insan, kisi bhi Paigambar ke Muhabbat me gulu, muhabbat me hadd se badhna. Gulu hadd se badhne ko kahte hai. Hadd se badhne ka matlab ye hai ki insan, us insan me atak kar Allah ke ahkaam ko bhul jaye. Allah ke hudud ko paamaal karne lage. Us insan ki Muhabbat Allah ki Muhabbat se badh jaye.

Qaum e Nooh ki misaal apke samne hai ki unke bade bade but; yadd, swaa, Inko wo pujte the aur ye unke Qaum ke buzurgaane-deen ke nek logo ke but the. In ke yaha jab koi shaks boht nek hota aur apni neki me boht mashhoor ho jata to log uski baat ko Allah ki baat ke barabar ya usse bhi badhkar karar dene lagte. Aur jab wo faut ho jata to uski but bana kar use pujne lagte aur kahte ki inhone hamko Khuda se milaya hai, Lihaza hamare Khuda yahi hai. Jese ek Urdu ka bhi sher hai

“Haqeeqat me dekho to khwaja Khuda hai

Khwaja ke dar pe sajda rawa hai”

Ab ye Moiniddeen Chishti ke taraf ishara hai. Khwaja ko Khuda kaise banaliya hai unhone khud se?, Kyunki wo pahle khwaja se impress hue phir unki ibadat se phir unke taqwa se Phir unse mohabbat karne lage Phir unki mohabbat aqeedat me badly aur aqeedat shirk me badal gaya, iska ye matlab nahi ke kisi se Mohabbat nahi karny chahiye.

Jahan Allah ki Khatir ki hui Muhabbat insan ko arsh e elahy ke saye tale jagah degy Wahi Muhabbat me had se badhna, Had se badhne se murad kya hai? Ye hai ki Allah ke hukum ko piche chor dena Aur uske hukum ko agee le aana, Allah ko sajdah karne ke bajaye unko sajdah karne lagna, Allah se dua mangne ke bajaye unke aage duae mangne lagna, Allah ki Muhabbat se badh kar unse mohabbat karne lagna, Kyun ki Quran majeed me ata hai, “Wo log jo imaan laye hai wo Allah ki mohabbat me sab se zyada shadeed hote hai”. Iska ye matlab nahi hai ki kisi insan se mohabbat nahi honi chahiye Ya zyada mohabbat nahi honi chahiye. Ap dekhe ke Nabi ﷺ ki Muhabbat hai To apki Muhabbat Eemaan ka hissa hai, Koi shaqs us waqt tak momin nahi ho sakta jab tak wo Ap ﷺ ko apne walidain se, apni aulad se, tamaam insano se badh kar mohabbat na kare, Lekin us mohabbat ki limit kya hai? Sab insano se zyada lekin Allah ke barabar nahi Kyun ki agar barabar agaye to ye shirk ho gaya, ya Allah se badh kar bhi nahi, kyunki ba’az awqaat kya hota hai, Allah se bhi badha dete hai jaise Haaly ne kaha tha ki “Paighambaro ka rutba Khuda se badhaye”.

Masalan eesaiyon ke paas shirk kaha se aya, Hazrat Eesa(a.s) ki mohabbat wo me is had tak badhe unki aqeedat aur ehtraam me ke unhe Khuda ka beta bana diya, Kisi bhi nek insaan ki mohabbat ek pasandeedah amal hai Jaise ek shair hai, “mai neak logo se mohabbat rahta hoon halanke mai un me se nahi hoon”, Ye ummeed par ki shyad Allah mujhe bhi neki ki taufeeq de. Kyunke insan jis se mohabbat karta hai usy ke naqshe qadam pe chalta hai, aur iska sila kya hai kisi naek insaan se mohabbat karne ka Hadees me aata hai, “Insaan usi ke sath hoga jis se wo mohabbat karta hoga”. Sahaba e kraam kahte hai ki is hadees ko sun kar hame itny khushy hui ke shayad is se pehle kabhi hui ho. Kyunki hum Huzoor ﷺ ko apni jaan maal har cheez se badh kar chahte the. Aap ﷺ se bahut zyada mohabbat rakhte the Isi tarah baad ke atwaar me bhi Ya’ani Aap ﷺ ka muqaam to apka hai Phir uske baad hum dekhte hai ke Jaise ahle baith hai, Aap ﷺ ke ghar wale Phir uske ba’ad deegar neak log hai, jaise saleheen jis ke piche zikr padha, Kisi bhi saleh insan jisko ap neak samjhte ho asal neki to Allah hi ko pata hai kisi ki, Hum kisi se uska muamla sirf uske zahir par karte hai.

Dilon ka haal hum nahi jante ke koi andar se kya hai lehaza kisi bhi insaan jisko aap nek samjhte ho aur us se aap muhabbat rakhte ho, khwah wo moujuda daur ka ho ya pichle daor ka, isme koi burai nahi. Masalan Aap dekhte hai ki jab hum Muslim Heros me muqtalif sahaba ya sahabiyat ka padhte hai to hamary ankhos se ansu ajate hai. Ba’az auqaat hamare dil me unke liye bohut mohabbat paida hoty hai, isme koi haraj nahi, neak logo se mohabbat karna unke raste pe chalna, unke tareeqe ko apnana,unko apna ideal banana isme koi burai nahi hai.

kyun?

isliye ke Quraan pak me ata hai, “hame sidha rasta dikha un logo ka rasta jin par tune in’am kia” ya’ni jinhe tune hidayat di, jo tery taraf jate hai, tujhse milate hai, tujh se jodte hai, to koi aisa insaan khwah maazi ka ho ya haal ka ho khwah kisi mulk shaher ka ho,

koi bhi insan jisse talluq Allah ki mohabbat me izafe ka sabab bane. Allah ta’ala ke qhurb(nazdeeki) ka sabab bane,wo saary mohabbat jayez hai aur pasandeeda hai aur ek tarah se ibadat hai. Aisy hi mohabbat ibadat hai, har mohabbat ibadat nahi hoty.

Fir is ke baad is me ehtiyaat kis cheez ki zarury hai? agar hum kisi bhi insaan se Allah ke liye mohabbat karte ho to kabhi aisa na ho ki us insaan ki kisi ghalat baat ko hum sahih kahne lage ya uske kisi ghalat amal ko hum sahih kahne lage, aur us tassub me mubtala ho kar us ke haq me dalail dene shuru karde ke nahi nahi chunke ye baat falan ne farmai hai, aur falan mera pasandeeda hai, lehaza agar wo ghalt bhi kahega to mai usko bhi sahih samjhunga, Nahi!!”

Koi bhi insaan Allah aur uske Rasool ki baat se takraty hui baat kahe to uski baat nahi lii jayegy. Khwah walidain hi kyun na ho, aulaad hi kyun na ho, ustaad hi kyun na hoo, koi aur insaan hi kyun na ho, kyun ke jahan mohabbat ibadat hai wahan mohabbad me etedaal se badhna shirk ki taraf lee jata hai. Ab ye ek bareek sa farq hai, Aap me se har ek ko ye farq maloom hona chahiye. Kyunke humne dekha hai ke hamare yahan aksar do extreme hai. Ya to ek aisy extreme hai jo kisi bhi nek insaan ka aisa garbeedah bana dety hai ke Allah, Rasool, Deen, Ta’aleem Shariyat, har chiz bhul jaty hai. Sab shariyate piche chali jaty hai. Sab Allah ke hukum piche namaaz roza se bhi jate hai log wo khte hai ki yahi hamare sab kuch hai. ye hame aage paar kara denge. Ye ek exteme hai kya karte hai, unke naam par qurbani karte hai unke naam par sadqah, khairaat, nazar wa niyaz dete hai. Fir unko unhi se apne tamaam rishte istewar karte hai, hat’ta ke Allah se mangna bhul jaate hai aur unse mangna shuru kar dete hai, unke dar pe sajdah rawah hai kahna shuru kar dete hai,

ye ek extreme hai.

Dusry extreme kya hai?

Ke insaan har mohabbat ko ye keh ke khatam karde ke nahi ye to shirk hai, ya kisi se bhi zyada mohabbat nahi karny chahiye ke ye napasandedah hai, nahi” ya’ani aap kisi se bhi kahin tak bhi mohabbat kar sakte hai, napasandedah us waqt hoty hai wo jab Aap uske hukum ho eham qarar de aur Allah ke hukum ko pichee kar de. Uski sohbat me baith ke aap namaz taqeer se padhe,

ke ji hum Allah ki baate kar rahe hai kyun ki ba’az auqat insan kehta hai ki mujhe falan se Allah ki Khatir Mohabbat hai aur uski majlis me mai baith kar Allah ki mohabbat mehsoos kar sakta hoon. Ab aap baith gaye majlis me, ab aise baithe ke na aap khud namaz padhy na usko padhne dy, ya khud bhi padhi to deer se padhy,aur usko bhi deer kara dy hai. 

To koi mohabbat khwah kitny bhi Allah ke liye ho, lekin agar Allah ki khatir mohabbat karte hai, aur us mohabbat me.

nahi

Barehaal shirk ka darwaza yaha se khulta hai, kisi ki mohabbat me ghulu aur is tarah ke iske muqable me Allah ta’ala ki zaat piche chali jaye. Allah ke Rasool ﷺ ki sunnat piche chali jaye, aise me phir kya kia jaye? Ahtiyaat kaise ki jaye? kyunke insaan ke liye etedaal par qayam rehna nihayat mushkil hai. Aasaan hota hai ek taraf latak jana ya dusry taraf latak jaana, masalan chal rahe hai agar aap daye taraf kisi pe sahara le le to apko chalna asan hai, aur agar bayen taraf lele to asan hai, khud apne paaon par chalna ya sidhiyan utarna chadna kya hai? Mashaqat wala kaam hai lekin yahi etedaal Allah ko pasandeedah hai, ke aap na idhar jhuke is inteha pe na us inteha pe balki uske bar’aks etedaal pe qayam rahe. Etedaal pe qayam rahte hue mohabbat nihayat pasandedah hai,

wo kamon ko asaann kar dety hai, nekiyon ko asaan bana dety hai, wo kaam jo insaan aqal ke zariye salon me nahi karsakta wo mohabbat ke zariye ek jist me kar jata hai.

Allah se dua hai ki wo hame shirk jaise gunahe Kabira se bachae wo kyu na shirk e asgar ho ya shirk e akbar.
Read More »

Taweez Se Shifa Kaise Mil Jati Hai?


ALHAMDULILLAH..

Aj Muslim ummah ke kuch log ka ye haal hai ki wo nafa pahle dekhte hai aur Deen ko baad me. Agar unhe kisi chiz se fayda mil rahi ho to wo hargiz ye nahi dekhenge ki us ke bareme shariah kya kahti hai aur agar kabhi kadaar dekh bhi liya to fatawa shopping karte hai, matlab kuch molvio se puchte hai aur jo molvi un ke haq me fatawa deta hai use qubul kar lete hai aur baaki sabko gumraah karar de dete hai aur khud aashiq e Rasool ka locket pahen lete hai. Aur agar ap kitab o sunnah ka ilm rakhte hai to isme koi hairani ki baat nahi hai kyuki RasoolAllah ﷺ ye farma kar gaye the:

RasoolAllah ﷺ ne farmaya Tum zaroor apne se pehle Logon ke qadam ba qadam pairwi karoge hatta ke agar woh Goh (Chipkali ke mushaba rengne wala aik Janwar) ke suraakh mein gusein honge aur tum bhi is me dakhil hoge. Arz kiya gaya: Ya Rasoolallah! Kya inse Yahood o Nasara murad hain?

RasoolAllah ﷺ ne Irshad farmaya: (Agar ye nahi)To aur Kon?

Narrated by al-Bukhaari, 1397; Muslim, 4822.

Ye hadith isliye pesh ki hai kyuki yahud aur nasara bhi isi tarha ke amal karte the. Wo apne alimo ki baat ko Allah ki baat se zyada darja dete the. Allah swt farmate hai:

“Inn logon ney Allah ko chor ker apney aalimon aur darwishon ko apna Rab banaya hai aur Marium kay betay Maseeh ko halankay unhen sirf aik akelay Allah hi ki ibadat ka hukum diya gaya tha jiss kay siwa koi mabood nahi woh pak hai unn kay shareek muqarrar kerney say.”

[Tawba(9):31].

Aaj yahi haal Muslim Ummah ke kuch logo ka hai, wo apne liye halal kar lete jo unhe nafa de wo chahe kisi bhi shakal me ho jaise sood, taweez, gande, wagaira. Aur isi ki shakal hai Taweez jise kuch logo ne halal samajh liya hai jab ki is par boht sakht hadith hai jiska aage hoga in shaa Allah. [Taweez ke bareme detail se padhne ke liye ye check kare].Lekin fir bhi log kahte hai ki agar ye galat hai to isse shifa kaise ho jata hai. To un becharo ko ye pata hona chaiye ki Allah to unhe bhi rizk aur nafa deta hai jo Pattharo se mangte hai, toh kya ab ham Pathharo se mangna shuru kar de, nauzbillah!!! Ab rahi baat ki taweez se kaise shifa milti hai to ye sawal ka jawab bhi unhe mil jata agar wo quran aur sunnah ka ilm rakhte lekin inlog ko Quran aur sunnah ka ilm kaise ho jab ki ye Deen ko molvi sahab ka halwa samajhte hai ki jo molvi sahab ne kaha bas wahi shariat ho gai, Deen ki samajh unko naseeb hoti hai jo log koshish karte hai. Lekin inhe halwa khane se fursat mile tab na ye koshish kare.

Taweez se kaise shifa ho jata hai darj zel hadith me zikr hai:

Ibn Mas’ud ki biwi Zaynab r.a. riwayat karti hai ki Abdullah ibn Mas’ud ne unke gale me ek dhaga dekha aur pucha ki ye kya hai?

Unhone farmaya, “Ye ek dhaga hai jisme mere liye ruqya kiya gaya hai. Unhone us dhage ko unke gale se tod diya aur kaha: ‘Aap’, Ibn Masud ki khandan ko Shirk ki koi zarurat nahi hai. Beshak, maine RasoolAllah ko ye kahte suna ki Kay Daam(wo Daam Jis Mein Shirkya Alfaz hun ) Taweez Or Tawila ye Sab Shirk Hain.
Zaynab ne farmaya, “Ap ye kya kahte hai? Meri aankho me Tashanj(aithan) tha isliye mai fula fula yahudi aadmi ke pas gai thi aur jab bhi wo ruqye se ilaaj karta, dard kam ho jata.
Ibn Masud r.a. ne farmaya: Ye shaitaan ka kaam hai. Shaitan apne hath se chubhata hai aur jab is par ruqyah kiya jata hai, wo apne hath ko hata leta hai. Ye tumhare liye kaafi hoga agar tum wo kaho jo RasookAllah kaha karte the:
‘Athhib il-ba’s, rabb an-nas, washfi ant ash-shafi, la shifa illa shifa uk, shifaan la yughadiru saqama’
Tarjuma:- Aye Insano ke Rab! Door karde ye bimari aur Shifa de tu hi Shifa dene wala hai, nahi koi Shifa teri Shifa ke siwa aur (aisi shifa jisse) koi takleef baki na rahe.

Recorded by Abu Dawud, hadith-3883; judged hasan by al-Albani (Mishkat ul-Masabih no. 4552).

Is hadith se hame ye pata chalta hai ki Taweez pahenna shirk hai jaise ke khud Ibn Masud r.a. ne farmaya hai upar aur sath hi ye bhi pata chala ki Taweez se shifa kaise mil jati hai aur agar ham par bimari ka asar ho jaye to kya padha jaiy. Par afsos aj ke kuch Muslims Allah se se zyada dhaage, kabr aur murdo par Tawakkal rakhte hai.

Allah se dua hai ki wo hame shirk se bachae aur Tawheed ke upar hame maut ata kare. aameen.

•٠•●●•٠•

Prepared by:- Faisal Khan

Read More »

Sahaba Ka Aqidah Aur Tawassul/istighasa


Hamne pahle hi ek article me bayan kiya hai ki aslaaf e ummat ka tarika kya tha waseele ke mutallik. Ab ham kuch aham hadith pesh karna chahenge jisse hame sahaba ka aqida pata chalega ki kya wo Gaibi taur par RasoolAllah ﷺ se madad mangne ka aqida rakhte the?

۝ Abu Huraira r.a. raiwayat karte hai ki RasoolALlah ﷺ ne jasusi ke liye (10 admio ki) ek Jamaat rawana ki aur un par Asim bin Sabit r.a. ko Ameer mukarrar farmaya. Jab wo Usfan aur Mecca Mukarrama ke darmiyan pohche toh Kabila e Bani Hudhail jiska naam Lihyan tha unlogo ne 100 teer-andaazo ka lashkar rawana kiya jo unki khoj lagata hua waha pohucha aur un par teer barsana shuru kiye. Is par Asim bin Sabit ne Arz kiya,

اللَّهُمَّ أَخْبِرْ عَنَّا نَبِيَّكَ صلى الله عليه وسلم


Aye Allah hamare haal ki khabar hamare Nabi ko farma de.
Fir unhone 7 logo ko shaheed kar diya aur 3 log ko qaid kar liya, aur unme bhi 2 shaheed kar diye gaye.

Sahih al-Bukhar, Kitab Al-Maghaazi (64), Hadith-3989. [summary of a long hadith]

۝ Anas bin Malik r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ki khidmat me kuch log hazir hue aur arz kiya ki hamare sath kuch logo ko bheje jo hame Quran wa sunnat ki taleem de, toh Ap ﷺ ne 70 Ansariyo ko unke sath rawana kiya jinko 'Qurra' (Qirat karne wale) kaha jata tha unme mere mamu 'Haram r.a.' bhi the. Ye log raat ke waqt Quran padhte the, (Quran) ke maane (meaning) par guftugu aur gaur o fikr karte the, aur Din ko masjid me pani lakar rakhte the aur jungle se lakdiya lakar farokh karte the aur usse ashaab e Suffa aur zaruatmando ke liye khana kharidte the.Nabi ﷺ ne inhe unki taraf bheja. Unlogo ne 70 Ansariyo ko manzil par pahuchne se pahle hi shaheed kar diya toh un sahabao ne marte dam ye dua kia,

اللَّهُمَّ بَلِّغْ عَنَّا نَبِيَّنَا أَنَّا قَدْ لَقِينَاكَ فَرَضِينَا عَنْكَ وَرَضِيتَ عَنَّا


Ae Allah ‎ﷻ hamare mutallik hamare Nabi ﷺ ko ittela farma de ki ham tujh se mulaqat kar chuke hai. Ham tujh se raazi aur tu hamse raazi.
(Jibrail a.s. ne) Nabi ko khabar di to Nabi ﷺ ne apne ashaab se irshad farmaya ki tumhare sathi shaheed kar diye gaye hai aur unhone ye dua ki, 'Ae Allah ‎ﷻ hamare mutallik........hamse raazi.'

Sahih Muslim, Kitab al Amara (33), Hadith 4682.

In do Hadith me Ummat ke 3 masail ka hal maujud hai:
  1. Sahaba ne Nabi ﷺ ko nahi balki sirf Allah ko pukara Jab ki Nabi ﷺ faut bhi nahi hue the, zinda the lekin Gaib me the (matlab sahabao se dur the).
  2. Sahaba ka ye aqidah nahi tha ki Nabi ﷺ Hazir wa Nazir hai warna wo Allah se kyu kar kahte ki hamare haal ki khabar Nabi ﷺ ko pohcha de agar Nabi ﷺ hazir wa nazir hai. Aur Nabi ﷺ ko ye waqya khud pata nahi chala balki Jibrail a.s. ne bataya tab unhe pata chala.
  3. In dono hadith me sahabao ne Nabi ﷺ ke wasile ke bagair dua mangi.
Allah se dua hai ki wo hame sahabao ke tarike aur aqide par ta-umr rakhe aur Quran aur Hadith ko samajh kar padhne ki taufeek de. aameen.
Related:
۩ WASEELA AUR ASLAAF E UMMAT KA TARIKA E KAAR
۩
 KYA ALLAH HAMARE LIYE KAAFI NAHI?
۩
 Download PDF : Dua sirf Allah hi se- 
UrduHindi
Read More »

Ataai, Gair-mustakil Biz-zaat Aur Mahdud Ka Fark


Allah ne insano ki chand sifaat ko apni sifat e kamil ka mazhar banaya hai. Masalan niche di gai ayat me batayi gai insan ki sifat e ataai, gair-mustakil bizzaat aur mahdud hai aur Allah ‎ﷻ ki sifat e kamil mukhtalif hai. Isi liye sirf Samee' aur Baseer ke alfaz ek jaise hone se shirk nahi hoga. Allah ‎ﷻ farmate hai,

إِنَّا خَلَقْنَا الْإِنسَانَ مِن نُّطْفَةٍ أَمْشَاجٍ نَّبْتَلِيهِ فَجَعَلْنَاهُ سَمِيعًا بَصِيرًا

Beshak Hamne insan ko mile jule nutfe se paida kiya taaki unko azmaye. Pas ise Samee' aur Baseer (Yani sunne aur dekhne wala) bana diya.

Surah 76, ayat-2.

Magar jo sifat e kamila Allah ‎ﷻ ne apne liye khas farma liya hai masalan Ibadat aur Gaib me Madad ke liye pukarna, Yaani Dua ko in sifaat ko ataai, gair mustakil bizzaat aur mahdud ka fark rakhne ke bawujud makhluq me manna khalisatan shirk hai aur na-kabile muafi gunah hai. Is wajah se haqiqat ko samajhne ke liye niche di gai hadith par gaur farmaye:

Abdullah bin Abbas r.a. se riwayat hai ki ek sahabi r.a. Ap ﷺ ki khidmat me hazir hue aur arz kiya,
"Jo Allaah Chahe Aur Jo Aap Chahe”. Nabi ‎ﷺ Ne Farmaya, "Tum Ne To Mujhe Allaah Ke Barabar Bana diya. Balke ye Kaho, "Jo Allaah Akela Chahe"

Musnad Imam Ahmad, Jild 1, Hadith no: 3247.

Ab is hadith par gaur karne se ye haqiqat bilkul wazeh ho jati hai ki wo Sahabi ne yakeenan RasoolAllah ﷺ ko ataai ikhtiyar ka malik aur gair mustakil bizzat ka aqidah rakh kar hi to kaha tha, magar apne use shirk karar diya aur us sahabi ki islah farmayi.  Hamari aakhe kholne ke liye ek hi misaal kafi hai alhamdulillah.
Allah se dua hai ki wo hame Kitab wa sunnat par gaur o fikr karne ki taufeek de. aameen.
Related:
۩ Dua Ek Ibadat hai
Read More »