اقرأ باسم ربك الذي خلق

5 Jan 2018

Jummah Se Pahle Sunnat Namaz Padhne Ki Zaif Hadeeso Ki Tahkeek


Jummah Se Pahle Sunnat Namaz Padhne Ki Kuch Hadiths Milti Hai Lekin Wo Saari Hadith Usool E Muhaddiseen Par Zaif Hai.

۩ Pahli Riwayat:

Abu Abdir Rahman Al-Sulami riwayat karte hai: “Abdullah (bin Mas’ood) hame Jummah se pahle aur Jummah ke baad char rakat sunnat padhne ka farmaan dete the.

Musannaf Abdir Al-razzaaq (Vol 3,page 247,idaratul Quran).

Ye riwayat Zaif hai kyuki is riwayat ke ek raawi Sufyaan ath-Thawree Tadlees karte hue AN se riwayat karte hai.

Abdullah Ibn Mubaarak kahte hai ki

Sufyaan ath-Thawree Tadlees karte the.

(Tahdheeb Ut-tahdheeb 4/102)

Aur yahi Raae Imam Bukhari aur baki Muhaddiso ki bhi hai:

Imaam Bukhari :-

(Al-ellal Al-kabeer 2/966 Of Tirmidhi And At-tamheed 1/34)

Imaam Naseei :-

(Tabqaat Al-mudalliseen Page 32 Num 51)

Yahyaa Ibn Ma’een :-

(Sharh Ellal At-tirmidhi 1/357-358,al Kifaayah Fee Ilm Ar-riwaayah Page 361 Of Khateeb Al-baghdaadee)

Yahyaa Ibn Saeed Al-qattan :-

(Tahdheeb Ut-tahdheeb 11/192)

Khateeb Al-baghdaadee :-

(Al-kifaayah Page 361)

Haafidh Ibn As-saalah :-

(Muqaddimah Page 60)

Master Ameen Okaarvi Deobandi :-

Master Ameen Okaarvi Deobandi ek riwayat ki tankeed karte hai kyuki usme Sufyaan ath-Thawree Tadlees karte hai.

(Majmoo Rasaail Old Publication 3/331,tajalliyaat Safdar 5/470).

۩ Dusri Riwayat:

Abdullah (bin Mas’ood) riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ Jummah namaz se pahle char rakat sunnat padhte the. 

Musannaf Ibn Abi Shayba (Vol 4, Page 114, Al-majlis Al-ilmi)

Ye riwayat Zaif hai kyuki ye riwayat munqati(Tuta hua, broken) hai kyuki is riwyat ke ek raawi Abu Ubaydah bin Abdullah  ne apne walid Ibn Masood se ye riwayat suni hi nai thi. 

Imaam Shu’bah riwayat karte hai Amr bin Murrah se: "Maine Abu Ubaydah bin Abdullah se pucha kya apne Abdullah se kuch suna hai."  Unhone farmaya: "Nahi"

(Tabqaat Ibn Sa’d 6/210)

Imam Tirmizi farmate hai:

"Iska asli naam pata nahi aur na hi isne apne walid (Abdullah bin Mas’ood) se kuch suna hai"

(Al-jaami 1/28).

۩ Teesri Riwayat:

Ibrahim (Al-Nakh’ee)  riwayat karte hai ki sahaba jummah se pahle chaar rakat sunnat padha karte the. 

Musnnaf Ibn Abi Shaybah (Vol 4, Page 114, Al-majlis Al-illmi)

Ye riwayat Zaif hai kyuki isme ek raawi hai Sulemaan al-A’mash naam ka jo Tadlees karte hue AN se riwayat karta hai aur Ibraaheem an-Nakh’ee ne sirf kuch hi sahabao ko dekha tha lekin unhone unlogo maise kisi se riwayat nahi kiya.

(Tabqaat Al-mudalliseen Of Ibn Hajar 2/55).

•٠•●●•٠•

۩ Related article:-  
Read More »

Shaitaani Waswase Aur Unka Ilaaj


۞ Abu Hurairah r.a. Se riwayat hai ki Rasool ﷺ ne Farmaya, "Beshak! Allah ne meri Ummat ko un waswaso se darguzar farmaya hai, Jo seeno me paida hote hain. Jab tak log un par Amal na kare, ya zubani Izhar na kare.

Sahih Al Bukhari, hadith-2528. 

Fiqah al hadeeth:

۩1. Taibi Sharah Mishkaath me kalam ka khulasa ye hai ke, waswaso ki do qisme hai.

 Awwal: Jo baghair ikhtiyar ke, khud bakhud dil me paida hote hai, jis me aadmi ka zaati irada shamil nahi hota. Ye waswasa tamaam shariyato me Qabil e maafi hai.
Duwwam: Apne ikhtiyar aur Zaati Irade ke saath Dil me burai ka tasawwur paida karna. Ye waswasa Shariyat e Muhammadiya me is waqt tak qaabil e maafi hai, jab tak is waswase wala, zuban se izhaar ya Jismani Amal na karde.

۩2. Ummat e Muhammadiya ﷺ ko sabiqa ummato par Fazilat haasil hai.

۞ Abu Hurairah r.a. se riwayat hai ki Rasool ﷺ ke paas kuch Sahaba r.a. tashreef laaye aur Aap ﷺ se pucha, "Hum apne Dilo me aisi baate mahsus karte hai jinhe hum bayaan karna bohot bada (gunah ya ghalat kaam ) samajhte hai."
Aap ﷺ Ne farmaya,"Kya Tum ne aisa mahsus karliya hai?"
Unhone kaha,"Ji haan."
Aap ﷺ ne farmaya," Ye sareeh (waazeh) Eemaan hai."

Sunan Abu Dawud, Hadith-5092. Sahih (Shaikh Albani)

Fiqah al Hadeeth:

۩1. Bure waswaso se nafrat karna Khalis Eemaan ki nishani hai.
۩2. Zaati o Khufiya Masail ke liye Ulma e haq ki taraf Rujoo karna, taake wo kitab o sunnat ka hukm batade, bilkul sahih tareeqa hai.
۩3. Sahaba karam r.a. Imaan ke Ãala tareen darjaat par faaiz the.
۩4. Bure waswaso se bachne ke liye har waqt Kitaab o sunnat par amal aur azkaar e sahiha o kalmaat e taiyyeba me masroof rahna chahiye.

۞ Abu Hurairah r.a. se riwayat hai ki Rasool ﷺ ne farmaya, "Tumhare paas shaitaan aata hai, to kahta hai, Ise kis ne paida kiya? Ise kis ne paida kiya? Hatta ke wo kahta hai ki Tere Rabb ko kis ne paida kiya?
Jab baat yahan tak pohoch jaye to ASTAGHFAAR karna chahiye aur is khayaal ruk Jana chahiye.

Sahih al Bukhari, hadith-3276.

Fiqah al Hadeeth:

۩1. Dilo me bure waswase dalne wala shaitaan hai.
۩2. Bure khayalaat se bachne ka behtareen tariqa ye hai me Aadmi, ÀUOOZUBILLAH padhe, ASTAGHFAAR kare aur dil me ALLAH s.w.t. ka khauf taari kare.
۩3. Bure khayalaat se bachne ke liye puri koshish karni chahiye warna àin mumkin hai ke ye khayalaat insaan ko Kufr, Shirk aur Gunaah ki taraf fer de aur wo halaak hojaye.

۞ Abu Hurairah r.a. se riwayat hai ke Rasool ﷺ Ne farmaya, "Log ek dusre se Sawal (par sawal) karte rahenge, hatta ke kaha jayega, Allah ne ye makhlooq paida ki hai, pass Allah ko kis ne paida kiya hai? Jo shakhs ye (shaitani waswasa) mahsus kare to kah de, "Main Allah aur us ke Rasool par imaan laaya hu."

Sahih Muslim, hadith-242.

•٠•●●•٠•
Read More »

Ye Zaruri Nahi Ki Mauze Leather Ke Ho


Arabic zuban me chamde ke moze ke liye lafz istemal hota hai Khuffayn. Aur dusra lafz Jawrabayn hai. Arabic dictionary al-Qaamoos ke mutabik jo cheez lifaafe ki tarah pao’n par pahen lien wo Joraab hai.

Khuffayn par masah karna sunnat hai aur ispar hamare muashre me koi ikhtilaf nahi hai lekin ikhtilaf Joraab par hai.
Abu Bakr ibn al-‘Arabi (Ulema, born on 468 Hijri) farmate hain: "Joraab wo cheez hai jo pao’n ko dhaa’npne ke liey Oon ki bani jaati hai, jo paao ko garam rakhne ke liye pahni jati hai."

Juraab par masah karne par sahaba ka ijma bhi hai. Ek hadith hai,

Al-Mughirah ibn Shu'bah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne Wuzu kiya aur Jurabo aur Juto par masah farmaya.

Sunan Abu Dawud, Kitab Al-Tahara, hadith-159; Sunan Tirmidhi, Kitab Al-Tahara, hadith-99.

Lekin ye hadith Zaif hai kyuki isme Sufyan ath-Thawri Mudallis hai aur wo An se riwayat kar rahe hai. Lekin iske sath Imam Abu Dawud aur Imam Tirmidhi ne salaf ka manhaj likh diya hai aur wo hamare liye aham hai.

Is hadith ke baad Imam Abu Dawood ka Qawl hai:

Imam Abu Dawood farmate hai ki 'Ali b. Abi Talib, Ibn Mas'ud, al-Bara' b. 'Aziz, Anas b. Malik, Abu Umamah, Sahl b. Sa'd, 'Amr b. Huriath, Umar bin Khattab aur Ibn Abbas se Juraabo par masah karna sabit hai. 

Imam Tirmidhi is hadith ke baad farmate hai, 

 "Jurabo par masah karna agarche Naalain (shoes) na ho ye ahle ilm se boht logo ka qawl hai Aur is ke kayl hai Sufyan Ath-Thawri, ibn Mubarak, Imam Shafi, Imam Ahmad aur Ishaaq. Abu Muqatil As-Samarqandi ek baar Abu Haneefa ke paas unke maraz al maut(Wafat wala marz) me gaye pas unho ne paani mangaya aur unho ne wuzu kiya is haal mein ki un par Juraab the pas unho ne (un juraabo) par masah kiya. Fir kaha: Aaj maine wo kaam kiya jo pahle kabhi nahi kiya tha, maine Juraabo par masah kiya halanki wo naalain (shoes) ke alawah hai."

Isse ye bhi pata chala ki Imam Abu Hanifa ne apne aakhri waqt me apne pichle raaye se ruju kar liya. Imam Tirmidhi ne ek shart rakhi hai ki jurab moti honi chaiye (jisse khaal na dikh sake mauje pahenne ke baad).

Ibne Qadama kehte hain ke Sahaaba Ikram ka jurabo’n par masah karne ke jawaz par ijma’a hai.

Mughnee by Ibne Qadaama, Volume-1, P332, – Mas’alaa 426.

Yahyaa al-Bakka farmate hai, maine Ibn Umar se ye suna, "Jawrabayn par masah khuffayn par masah karne jaise hai".

Al-Musannaf by Ibn Abi Shaybah, 1/173. 

Ye ek aesi sunnat hai jo aksar mar chuki hai hamare muashre me, hame is sunnat ko zinda karna hoga. Allah ham sab ko taufeek de. aameen

•٠•●●•٠•
Read More »

Biwi Ko Tarjee Dee Jaye Ya Ke Walidah Ko ?


Ek shaqs ki walidah bhi hai aur biwi bhi to kya wo kharcha aur libaas aur dusri zaruriyaat wagaira me biwi ko walidah par tarje'e de sakta hai? Aur agar wo aisa kare to kya wo gunahgaar hoga?

ALHAMDULILLAH..

Agar wo walidah ki zaruriyaat puri karne walon me se hai aur wo walidah ki zaruriyaat ka khayal rakhta hai aur ise is ki kifayat ke liye deta hai to phir aisa kaam karne se wo gunahgaar nahi hoga.

Lekin afzal aur behtar ye hai ke wo walidah ke dil ko thees na phunchaye balke inhe khush rakhe aur inhe tarje'e de. Aur agar biwi ko tarje'e dena zarury ho to fir ye kaam Khufya (secret) tareeqe se kare jiska ilm walidah ko na ho aur walidah ke saath bhi husn e salook karta rahe.

Wallahu ta'ala a'alam

Fatawa Imam Nawawi r.h. , page:- 212.

•٠•●●•٠•
Read More »

Imam Bukhari Ka Ahlul Hadith Ko Jannati Jamaat Kahne Ka Matlab


Sawal: Hame Muhaddiso jaise Imam Bukhari wagaira ki kitabo me milta hai ki in Muhaddiso ne kaha tha Jo ek firqa Jannat me jayega wo ahle hadith hoga. Lekin Aapne Quran aur hadith ke hawale se bataye hai aur sabit bhi kiya ki RasoolAllah aur salaf ka aqidah tha ki wo apne apko sirf Musalman kahna pasand karte the aur jo ye na karta use salaf jahannam ke azaab se darate the. To ye kaise ho sakta hai ki in bade muhaddiso ne in hadith ko na samjha ho aur ahle hadith ka laqab istemal kiya ho, jabki wo to hamse behtar Quran aur sunnah ke samajhne wale the.

Jawab:

Alhamdulillah ..


Pahli baat yeh ki jis zuban me hame ye milta hai ki Imam Bukhari ne ye kaha tha wo Arabic zuban hai aur jab koi Arabic me ahle hadith kahta hai to iska matlab wo shaks NAHI hota jo Apne apko ahle hadith ka laqab deta hai ya ahle hadith ke laqab ko gale me locket ki tarha latka kar pahenta hai ya ahle hadees khandaan se hota hai balki isse murad wo log hai jo hadith se jude hue hai iska Tarjuma hai hai "Hadith wale (log)".


Bilkul Usi tarha ke jab ham ek shaks ko namazi kahte hai to isse ye murad nahi hota ki usne apne naam ya laqab namazi rakkha ho ya usne namazi naam ka locket pahna ho balki ham us shaks ko namazi kahenge jo namaz padhta ho ya namaz qayam karta ho.

Bilkul isi tarha Imam Bukhari aur digar Muhaddiseeno ne Haq ki jamaat Ahlul Hadith ko kaha tha to isse murad wo nahi jo apne apko ahle hadith jamaat se mansub karta hai ya apne apko ahle hadith kahta hai ya ahle hadith khandan se belong karta hai balki unhone is haq ki jamaat me har us shaks ko shamil kiya tha jo hadith ko jamaa karta hai hadith par kaam karta hai, hadith padhta hai aur hadith par amal karta hai. 

Aur Sheikh ibn Taymiyya ka bhi yahi kahna hai. Sheikh ibn Taymiyya farmate hai,


Ham ahle Hadith se murad sirf unhe nahi lete jo sirf is par tahkeek karte hai, likhte hai ya riwayat karte hai, balki ham isse murad har us shaks ko lete jo hadith ko yaad karte hai, samajhte hai (aur) us par amal karte hai batini (dili) aur zahiri taur par.


Majmoo al-Fataawa, 4/95.


Is fatwe se baat aur clear ho gayi ki har wo shaks jo hadith par kaam karega, use padhega aur us par amal karega, toh wo jannati firqe se hoga. Koi khas naam ke group ko ye jannat ki basharat nahi hai aur naa hi Imam Bukhari ne kisi khas naam ke group ko ye jannat ki basharat di thi. Jab RasoolAllah ﷺ se pucha gaya tha ki jannati firqa kaunsa hai to unhone kisi khas jamaat ka naam nahi liya tha balki kaha tha jo unke aur unke sahaba ke naqshe qadam par chalenge wo hi jannati firqe me shumar honge.


RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Meri Ummah 73 firqo me bat jayegi aur wo sab jahannam me jayenge siwae ek ke. Sahabao ne pucha wo kaun firqa hoga”? Fir RasoolAllah ﷺ ne jawab diya wo, “Wo ek hi raasta hoga jis par ham aur hamare sahaba chale.”


SUNAN TIRMIDHI, HADEETH-171.


Toh jab RasoolAllah ne kisi khas firqe ka naam nahi liya na hi bataya to Imam Bukhari kaise kisi khas naam ke jamaat ka naam le sakte hai. Imam Bukhari raheemaulllah par koi wahee toh ayi nahi thi lekin unhone jo bhi bataya wo Quran aur sunnah ke dalail ke mutabik hi bataya. Ahle hadith alfaz jo unhone istemal kiya wo amal ke binah par istemal kiya tha jaise koi namaz padh kar hi namazi hota hai, roza rakh kar hi rozedaar hota hai, Hajj kar ke hi Haaji kahlata hai bilkul isi tarha. Isi liye Imam Bukhari ya Imam Muslim ne kabhi apne apko laqabi taur par ahle hadith/Salafi/Shiya/Sunni/Deobandi/Hanfi/Shafi wagaira kabhi nahi kaha. Aur Ulema bhi yahi kahte hai ki koi khas naam ka firqa ya jamaat jannat me nahi jayega:


Shaykh Saalih al Munajjid farmate hai:

Jannat ke sawal ke hawale se ki woh sirf Ahl as-Sunnah jamaat hi hai. Ye galat raae hai. Kisi bhi ulema ne aesa nahi kaha hai; balki Muhammad ﷺ ke sabhi ummati jinhone un ke pukar ka jawab diya wo jannat me dakhil honge; koi isse mahroom nahi rahega siwae un ke jo apne aediyo ke bal palat jaye aur unhone apne Islam ko mansukh kar diya wo amal kar ke jo unhe Islam se mukammal taur par bahar karde, aur wo Biddati jo shariah ke khilaf gaye aur ahl as- Sunnah se ikhtilaf kiya, wo un ahle tauheed ke gunah gaaro ki tarah pesh honge Allah ki marzi se jo azmat wala buland hai: agar usne chaha to wo saza dega aur agar usne chaha to wo muaf kar dega, fir sabka aakhri mukaam Jannat hoga, agar uski maut Tawheed par hui hai.


source:- http://islamqa.info/en/159301


To ab baat wazeh ho jani chaiye ki Jannati firqa apne laqab se jannat nahi jayega balki apne aamaal se jannat jayega. Lekin jo log fir bhi zidd par hai aur kahte hai ham ye explanation nahi manenge to unke liye fir anti-venom hai mere pas. Aur wo hai Imam Shafi ka qawl. Imam Shafi Imam Ahmad ibn Hambal ke Ustad hai aur Imam ibn Hambal Imam Bukhari ke Ustad hai. Matlab Imam Shafi Imam Bukhari ke dada ustad (ustad ke ustad) hai. Imam Shafi farmate hai ki:


"Ager Ahle-Bait ki mahabbat ka nam Rafazi hona hai,
     Toh Tum Gawaah ho jao be-shak main Rafazi hon."

Dalail:- "Munaqib " Al Baihaqi 2/71,  "Munaqib " Al Razi: 51, "Tareekh Ibn Asakir" 14/407,  "Tabqat Al shaafiya" lilsabki 1/229, "Al Inteqaa" :90,91, "Moajjam al Adbaa" 17/320, "Uyun al tawarikh" 7/180.

Ab jo shaks ye kahta hai ki hame apne apko ahle hadith kahna chaiye to wo apne apko ajse ahle hadith kahne ke sath sath Rafazi bhi kahna shuru karde kyuki Imam Shafi ne khud ko rafzi kaha hai. Aur Imam Shafi Imam Bukhari ke ustad ke ustad hai. Ab is anti-venom ke zarye ho sakta hai unko baat samajh aa jaye aur wo kahe ki Imam Shafi ne ye to jo ahle baith se muhabbat karne walo Rafazi kaha hai ek amal ki bunyad par na ki laqab ki bunyad par, toh bhai mai bhi to pahli line se yahi samjha raha hu ki ahle hadith ka lafz hadith ko padhne ya is par amal karne walo ke liye use kiya tha na ki ek jamaat ya laqab ke taur par. Aakhir me mai kahna chahta hu ki wo apka amal hi hoga jo apko Kabr me aur maidan e Hashr me kaam ayega na ki gairullah ka diya hua apko laqab. Jaisa ke Allama Iqbal 'Tulu e Islam' me kahte hai-

        Amal Se Banti Hai Zindagi Jannat Bhi, Jahanum Bhi
            Ye Khaki Apni Fitrat Mein Na Noori Hai Na Naari Hai.

•٠•●●•٠•
Related articles:-
Read More »

Muqtalif Naamo Ki Taraf Mansoob Hokar Ummat Me Tafarruqa Paida Karna


Ye article Shaykh ibn Taymiyya ki ek kitab se hai jiska naam 'Al Wasiyat Al Qubra' hai. Is kitab me unhone apne aqide ke mutallik chand ek masle ka hal bataya hai. Unhi maslo me ek masla hai ki apne apko alag alag naam ya laqab dena. Kyuki jis tarah baaz logo ko sirf Allah kaafi nahi hota usi tarha kuch logo ko Allah ka diya hua naam (Muslim) kaafi nahi hota ye jaan kar bhi ki ye khubsurat naam Allah ne rakha hai, aur jab ye naam us paak zaat ne rakha hai toh isse behtar aur kya naam ho sakta hai Islam laane walo ke liye. Isi wajah se Sheikh ibn Taymiyya ne is kitab me unka radd kiya hai aur unhone kaha hai ki hame apne apko sirf Muslim kahna chaiye aur ye baat unhone apne aqal se nahi kahi hai, unhone salaf ke qawl ko nakal kar ke ye baat kahi hai taaki logo ko pata chale ki apne apko sirf Muslim kahna kisi khas jamaat ka ijtihad nahi hai balki ye Salaf ka Aqeeda aur Salaf ka Fahm hai.

Ab mai hubahu Sheikh ibn Taymiyya ke qawl ko pesh karta hu bina kisi kami ya izafe ke. Sheikh ibn Taymiyya farmate hai,

"Minjumla in baton ke jin se ummat me tafarruqa paida hota hai aur jinhe darmiyan me lakar ummat ko tarah tarah ke azmaish wa mehnat me dala jata hai, halanke Allah aur RasoolAllah ﷺ se in ki koi Dalail nahi. Ek ye bhi hai ke masalan kisi ko pucha jaye ke tu Shukayki hai ya Qarfandi ?  Ye lakab e batil hai, kyuki inke sahih hone me Allah ne koi daleel nahi utary. Allah ki kitab aur RasoolAllah  ki sunnat aur Salaf as-saliheen ke aqwaal ma'aroofa me inka mutlaq pata nahi chalta, na koi Shukayki hai na Qarfandi .
To jab kabhi kisi Musalman se is chiz ki nisbat pucha jaye to us par wajib hai ke ye jawab de ke mai na Shukayki hu na Qarfandi, balke Mai Musalman hoon, Allah ki kitab aur Rasoolallah ki sunnat ka muttabi hoon.

Ameer Muawiya r.a. se hame ye riwayat pahuchi hai ke inhone ek daf'a ibn e Abbas r.a. se pucha ke Ap Hazrat Ali r.a. ki millat par hai ya Usman r.a. ki? Inho ne kaha ke 'Na mai Ali ki millat par hoon, aur na Usmaan ki, Mai to RasoolAllah ki millat par hoon'.
Salaf as saliheen me se har ek yahi kahta tha, ' Ye tammam Naam (laqab) Gumrahi hai aur in ka anjaam dozakh hai.'
Ek Salaf farmate hai, Mai ye nahi janta ke dono ni'maton me se koun si ni'amat badi hai, ye ni'amat badi hai ke Allah ne mujhe Islam ki taraf rahnumayi ki ya ye ke Allah ne mujhe Gumraahi se alag kiya. Allah ne Quran me hume Musalman, Momim aur Abdullah kah kar pukara hai. Hum hargiz nahi chahte ke Allah ke tajweez kar'dah naamo ko chhor kar wo naam ikhtiyaar kare jo kisi khaas Qaum ne ba'tareeq ejaad kiya hoo aur unhone aur Un ke abaa wa ajdaad ne khud gadh liye ho. Halanke Allah ne Un ke mutalliq koi daleel nazil nahi farmayi."

Al Wasiyat Al Kubra, Chapter- Muqtalif Naamo Ki Taraf Mansoob Hokar Ummat Me Tafarruqa Paida Karna, Page- 75.

Ye Salaf aur Sheikh ibn Taymiyya ke qawl aur un ke aqide the. Mere liye insaf ka takaza ye bhi hai ke Sheikh ibn Taymiiyya aur Salaf ke qawl ke baad mai RasoolAllah ki hadith pesh karu taaki shak ki koi gunzaish baaki na rahe kyuki Salaf ka qawl aur RasoolAllah ki haadith bilkul ek jaisi hai.

Al-Harith Al-Ash'ari riwayat karte hai ki RasoolAllah ne farmaya : Mai tumhe paanch bato ka hukm deta hu jinka Allah taala ne mujhe Hukm diya hai. Pahla hai Jamaah, dusra hai itaat karna, teesra hai sunna, chautha hai Hijrat aur panchwa hai Jihad karna Allah ke raah me.

 Aur  jo shaks balisht barabar bhi Jamaah se elaida hua us ne goya Islam ki Tauk apne gardan se utaar fenka magar us surat me ke jamaah me wapis aajae aur puri tarah ameer ki itat kare.

aur jo bhi Islam ke zamane me jahiliyat ke naam se pukarna shuru kar de to wo dozakh me dale jane wale Khush wa khishak me honge

Ek shaks ne arz kiya: Ya RasoolAllah! agarche wo namaz padhe aur roza rakhe. Apne farmaya agarche wo namaz padhe aur roza rakhe. Pas tum apne aap ko us naam se pukaro jis naam se Allah ne tumhe pukara hai. Usne tumhara naam MUSLIM, MOMIN AUR ABDULLAH (ALLAH KA BANDA) RAKHA HAI .

Sunan Tirmidhi, – Vol. 1, Book 42, Hadith 2863. (Sahih)

  Allah se dua hai ki wo hame apne diye huwe khubsurat naamo ke andar mahfooz rakhe aur hame jahannam ke aag se bachale. aameen.

•٠•●●•٠•

Related articles:-
۩ SALAFI KA LAKAB- QURAN, SUNNAH, SALAF AUR ULEMA E DEEN KI RAAE
۩ IMAM BUKHARI KA AHLUL HADITH KO JANNATI JAMAAT KAHNA
۩ Salafiyat Ka Taaruf – Sheikh Ibn al Uthaymeen
۩ RASOOLALLAH KIS FIRQE SE THE?
Read More »

Bimari, Bimari Ki Duae Aur Bimar Ki Iyaadat



۞ Beemar Pursi:

۩ Rasool Allah ﷺ ne farmaya ke: ‘Musalman ke musalman par 5 huqooq hain:

• (Jab mile to ise salaam kahe ya iske) salaam ka jawaab de
• Jab beemar ho to iski iyaadat kare
• Jab mar jaae to iska janaaza padhe
• Jab da’awat de to ise qubool kare
• Agar wo cheenk par Alhadulillahi kahe to jawaab mein Yar hakumullah kahe.’

Sahih al Bukhari: al Janaaez, Hadith-1240 – Sahih Muslim: as Salaam, Hadith-2162.

۩ Sayyadna Ali r.a.riwayat karte hain ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jo musalman doosre musalman ki din ke awwal hisse mein (dopaher se pahle) iyaadat karta hai to 70,000 farishte iske liye shaam tak rahmat o maghfirat ki dua karte hain aur jo musalman din ke aakhri hisse mein (do pahar ke baad) iyaadat karta hai to 70,000 farishte is ke liye subah tak rahmat aur maghfirat ki dua karte hain nez iske liey bahisht mein bagh hai.’

Sunan Tirmizi: al Janaaez, Hadith-969 – Sunan Abu Dawood: al Janaaez, Hadith 3099. Ise Imam Ibn e Hibban (710) Imam Haakim (V1 P341,342) aur Haafiz Zahbi ne Saheeh kaha.

۩ Nabi e Rahmat ﷺ ne farmaya hai: ‘Musalman jab apne musalman bhai ki teemardaari ke liye jaata hai to wo waapas lautne tak jannat ke mewe chunta hai.’

Sahih Muslim: al Birri wal Silah, Hadith 2568.

۞ Beemari Se Gunah Door Hote Hain:

۩ Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Allah Ta’ala jis shaqs ke sath bhalaai ka iraada karta hai ise takleef mein mubtelaa kardeta hai.’

Sahih al Bukhari, Hadith 5645.

۩ Aap ﷺ ne farmaya: ‘Musalman ko ranj, dukh, fikr aur gham paho’nchta hai, yaha’n tak ke agar ise kaanta (bhi) lagta hai to wo takleef is ke gunaho’n ka kaffara ban jaati hai.’

Sahih al Bukhari: Hadith-5640 – Sahih Muslim, al Birr wal Silah, Hadith- 2572.

۩ Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jab kisi musalman ko koi takleef paho’nchti hai to Allah Ta’ala is ki wajah se is ke gunaho’n ko is tarha mitaata hai jis tarha darakht ke patte jhadte hai.’

Sahih al Bukhari, Hadith-5647 – Sahih Muslim, Hadith- 2571.

۩ Nabi e Rahmat ﷺ ne farmaya: ‘Bukhaar (ho jaae to is) ko buraa na kaho kyou’nke bukhar aadmi ke gunah is tarha door karta hai jis tarha bhatti lohe ke mail ko door karti hai.’

Sahih Muslim, Hadith-2575.

۩ Nabi e Rahmat ﷺ ka irshad hai: ‘Allah Ta’ala musaafir aur mareez ko in amaal ke baraabar ajar deta hai jo wo ghar mein aur tandrusti ki haalat mein kiya karta tha.’

Sahih al Bukhari, al Jihaad wal Seer, Hadith-2996.

۞ Beemari Mein Sabr Ki Fazeelat:

۩ Nabi e Rahmat ﷺ ne farmaya ke Allah Ta’ala farmata hai: ‘Jab main kisi bande ko iski 2 mehboob cheezo’n (ankho’n) mein azmaata hu’n (ise beenai se mehroom karta hu’n) fir agar wo sabr kare to iske badle mein ise jannat du’nga.’

Sahih al Bukhari, Hadith-5653.

۩ A’ataa riwayat karte hain ke mujhe Ibne Abbas r.a. ne kaha kya main tujhe jannati aurat dikhlaou’n? Main ne kaha dikhlao to Ibne Abbas ne farmaya ke Rasool Allah ﷺ ke paas ye kaali aurat aai aur arz ki ke mujhe mirgee ka daura padta hai aur mera satar (T: Private Parts) khul jaata hai, Aap mere liye Allah se dua karie’n. Aap ﷺ ne farmaya: ‘Agar tu sabar karegi to tere liye jannat hai aur agar chaahe to dua kiye deta hu’n. Wo kahne lagi: ‘Main sabar karu’ngi, fir kaha: Mera satar khul jaata hai Allah se dua karie’n ke wo na khule. (Taake main be parda na hou’n).’ Chunaache Aap ne is ke liey dua farmaai.’

Sahih al Bukhari, Hadith-5656.

۞ Iyaadat Ki Duaei’n:

Jab mareez ki iyaadat ke liye jaei’n to Rasool Allah ﷺ ki zabaan e mubarak se nikli hui mundarja zel duaei’n is ke haq mein karei’n:

۩ Pahli Dua:

Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jo shaqs apne musalman bhai ki teemardaari ke liye jaata hai aur iske sar ke paas baith kar saat martaba ye kalimaat padhta hai to shifayaab ho jaata hai Illa ye ke iski maut ka waqt hi aachuka ho.’

"Asalullahal A’azeema Rabbal A’arshil A’azeem Aie’n Yashfiyaka"

[Main Azeem o Bartar Allah, Arsh Azeem Ke Rab Se Sawaal Karta Hu’n Ke Tujhe Shifaa Se Nawaaze]

Sunan Abu Dawood: al Janaaez, Hadith-3106. Ise Imam Ibne Hibban, Imam Haakim V1 P346 V4 P416) aur Imam Nawawi ne Saheeh kaha.

۩ Dusri (2) Dua:

Rasool Allah 1 Araabi ki iyaadat ke liye tashreef le gae aur is se ye kalimaat kahe:

"Laa Baasa Tuhoorun In Shaa Allahu"

[Darr Nahi (gham na kar) Agar Allah Ne Chaaha To (yehi beemari tujhe gunaaho’n se) Paak Karne Waali Hai.]

Sahih al Bukhari:, Hadith-5656.

۩ Teesri (3) Dua:

Aisha Siddiqa r.a. farmati hain ke Nabi e Rahmat ﷺ mareez (ke jism) par apna daaya’n hath ferte aur ye dua padhte the:

أَذْهِبِ الْبَأْسَ رَبَّ النَّاسِ وَاشْفِ أَنْتَ الشَّافِي لَا شِفَاءَ إِلَّا شِفَاؤُكَ شِفَاءٌ لَا يُغَادِرُ سَقَمَاً

‘Azhibil Basa Rabbannasi Washfi Antash Saafi Laa Shifaa‐a Illa Shifaa oka Shifaa‐ann Laa Yugaadiru Saqamann’

[Aey Insano’n Ke Rabb! Beemari Ko Door Kar Aur Shifaa de. Tu Hi Shifaa Dene Waala Hai. Teri Shifaa Ke Siwaa Koi Shifaa Nahi Aisee Shifaa (de) Jo Kisi Beemari Ko Nahi Chodti.’]

Sahih al Bukhari: al Tibb, Hadith-5750 ; Sahih Muslim: al Salaam, Hadith-2191.

Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jab kisi musalman ko takleef (museebat ya nuqsaan) paho’nchey to wo ye kahe:

"Inna Lillahi wa Inna Ilaihi Rajioon, Allahumma Ajurnee Fee Musibati waqhliflee Khairam Minha"

[Ham Sab Allah Ke Liye Hain Aur Isi Ki Taraf Laut Kar Jaane Waale Hain. Aey Allah Mujhe Meri Museebat Mein Ajar Aur Nemul Badal (dono’n) Ataa Farma’],

To Allah Ta’ala Is ke badle mein is se acchi cheez inaayat farma deta hai.’

Sahih Muslim: al Janaaez, Hadith-918.

۩ Cho’nti (4) Dua Ma’auzaat Ka Dam:

Ummul Momineen Aisha r.a. riwayat karti hain ke Nabi e Rahmat ﷺ beemar hote to apne aap par ma’auzaat se [Quran ki aaqhir 2 suratie’n(Surah falaq aur Surah Naas)] dam karte aur apne jism par apna hath ferte. Jab Aap bahot beemar hue to main ma’auzaat padh kar Rasool Allah par beemari ki haalat mein phu’nkti aur Aap hi ka hath Aap par pherti kyou’nke Aap ke hath mubaarak mein mere hath se ziyada barkat thee.

Sahih al Bukhari: Fazaael al Quran, Hadith 5016 – Sahih Muslim: al Salaam, Hadith 2192.

۩ Paa’nchweei’n (5) Dua:

Usmaan bin Abil A’aas se riwayat hai ke inho’n ne Nabi e Akram ﷺ se jism ke dard ki shikaayat ki. Aap ﷺ ne farmaya: Apna hath dard ki jagah par rakho phir 3 baar Bismillah kaho aur 7 dafa ye kalimat padho:

"A’auzu Billahi wa Qudratihi Min Sharri Maa Ajidu wa Ohaaziru"

[Main Allah Aur Iski Qudrat Ke Sath Panaah Maangta Hu’n Is Cheez Ki Buraai Se Jo Main Paata (Mehsoos Karta) Hu’n aur Is Se Darta Hu’n.]

(Usman farmate hain ke) Main ne ise tarha kiya to Allah Ta’ala ne meri takleef door kardi.

Sahih Muslim: al Salam, Hadith-2202.

۩ Chati (6) Dua:

Rasool Allah ﷺ Hasan aur Husain ko in alfaaz ke sath dam kiya karte the:

‘A’auzu Bikalimaatillahit Taamati Min Kulli Shaitaaniyou’n wa Haamatin wa Min Kulli A’ayouninllammatin.

[Main Tum Dono’n Ko Allah Ke Poore Kalimaat Ke Sath (iski) Panaah Mein Deta Hu’n Har Shaitan Aur Har Zehreele Jaanwar Aur Har Nazar e Bad Ki Buraai Se]

Fir farmaya: Tumhaare baat Ibraheem (A‐) (bhi) in kalimaat ke sath Ismaeel aur Ishaaq (Aa‐) ke liey (Allah ki) panaah talab kiya karte the (inhei’n dam karte the).’

Sahih al Bukhari: Kitaab Ahaadisul Ambiya Hadith-3371.

۩ Saatwie’n (7) Dua:

Abu Saeed Khudree r.a. se riwayat hai ke Jibraeel (a.s.) ne kaha: Aey Muhammad ﷺ ! kya Aap beemaar hain?

Aap ne farmaya: Haa’n to Jibraeel (a.s.) ne (ye) padh kar (Aap par dam kiya):

Bismillahi Arqeeka Min Kulli Shai‐in Yuzeeka Min Sharri Kullin Nafsin Au A’ayounin Haasidin Allahu Yashfeeka Bismillahi Arqeeka.

[Allah Ta’ala Ka Naam Lekar Main Aap Par Dam Karta Hu’n Har Is Cheez Se Jo Aap Ko Takleef De, Har Nafs Aur Har Hasad Karne Waali Aa’nkh Ke Shar Se, Allah Ta’ala Aap Ko Shifaade. Main Allah Ka Naam Lekar Aap Par Dam Karta Hu’n.]

Sahih Muslim: al Salaam, Hadith-2186.

•٠•●●•٠•
Read More »