اقرأ باسم ربك الذي خلق

22 Dec 2017

Hayatun Nabi – Barzakhi Zindagi

                          

Nabi ﷺ ki wafat par sab se pahle jo masla utha tha wo yahi masla tha ke ALLAH K RASUL SAW KO MAUT AAGAYI YA NAHI?
lekin isi waqt iska faisla bhi hogaya, aur SAHABA-E-KIRAM rz ka IJMA bhi ke nabi saw wafat paa gaye ab duniya me zinda nahi hain.
AUR
AULIYA ALLAH KE SARDAR ABU BAKAR SIDDIQUE RZ KI is baat ke bad ke jo mohammed saw ka pujari tha isko malum ho ke mohammed (saw) ko to maut aagai aur jo Allah aur Allah ko pujta tha wo jaan le ke allah zinda wa jaweed hai se maut nahi.
umar rz ko gham tha ke rasul saw wafat paa gaye aur main (yani abu bakar rz) kalala ke masla ke bare me puri tafseel daryaft na krsaka.
SOCHO
AGAR aap saw qabar mubarak me isi tarha zinda hote, jis tarha wafat se pahle the, yani aap saw ki hayat barzakhi nahi, balki deenwi hotei aur koi apni baat aap saw ko suna sakta hota to SAHABA KIRA ZARUR APNI PARESHANIYA AUR MUSHKILAT AAP SAW KO PESH KARTE, KAM AZ KAM IS BARE ME AAP SAW SE DUA HI KARWATE, LEKIN AISE KOI BAAT KISI SAHABI SE SAHI TAUR PAR SAABIT NAHI.
agar inlogo (sahaba kiram rz) ko khayal hota ke NABI SAW ZINDA WA JAWEED HAIN TO WO KABHI
i)
INKA KHALEEFA MUNTAKHIB NAHI KARTE
ii)
NA APNE NABI KI TAJHEEZ WA TAQFEEN (KAFAN DAFAN) NAHI KARTE
iii)
NA NABI SAW KO QABAR ME UTARTE
iv)
NA IJTEHAAD KI ZAROORAT PESH AATI
v)
AUR NA RIJAAL KI CHHAAN BEEN AUR AHADEES KI TEHQEEQ ME MEHNAT KARNA PADTHI
vi)
JIS CHEEZ KI ZAROORAT HOTI QABAR PAR PAHONCH KAR DARIYAFT (POOCH) LETE
vii)
ABU BAKAR RZ IRTIDAAD KE MAUQE PAR WAHAN RAHNUMAAI KARTE
viii)
UMAR RZ QAHET KE WAQT AAP SAW KI QABAR MUBARAK SE RAHNUMAI KARTE
ix)
USMAN RZ FITNE KE WAQT
AUR
x)
AAISHA RZ AUR ALI RZ. JANG-E-JAMAL AUR SIFFEEN KE MAUQE PAR AAP SAW SE RAHNUMAI HAASIL KARTE.
LEKIN AISA NAHI HUA KYUNKI AAP SAW DUNIYAWI ZINDAGI GUZAR KE FAUT HO CHUKE THE LEHAZA UNKIZ ZINDAGI BARZAKHI YA UKHRAWI HAI.
1)
IMAM BUKHARI RA QABAR ME HAYATUN NABI KE RADD KE LIYE EK HADIS LAKAR SABIT KARTE HAIN KE NABI SAW APNI QABAR ME ZANDA NAHI BALKE JANNAT KE AALA TAREEN MUQAAM PAR ZINDA HAIN.
EK LAMBI HADIS KA AAKHRI HISSA YE HAI.
TARJUMA: (NABI SAW FARMATE HAIN) MAIN NE KAHA TUM DONO MUJHE RATBHAR GHUMATE PHIRATE RAHE. AB BATAO KE MAINE JO KUCH DEKHA WO SAB HAI KYA? dono ne kaha. bahetar. ………………………..
wo pahela ghar jisme aap daakhil hue the wo aam momineen ka ghar tha. aur ye ghar shohda ke ghar hai. aur mai jibrail hu aur ye mere sathi mikaail hai. zara apna sar upar to uthaiye. maine (rasul saw ne) apna sar uthaya to maine apne sar ke upar ek badal sa dekha. indono ne kaha ke ye aapka muqaam hai. maine (rasul saw) ne kaha ke mujhe chhorr do ke main apne ghar me daakhil ho jaaun. un dono ne kaha ke ABHI AAP SAW KI UMAR KA KUCH HISSA BAAQI HAI JISKO AAP NE POORA NAHI KIYA HAI AGAR AAPKO POORA KAR LEIN TO APNE IS GHAR ME AAJAYEINGE.
(sahih bukhari, jild. 1, page 185, matbooa delhi)
is tarha imam bukhari ra ne saabit kar dikhaya ke wafat ke baad nabi saw aaisha raz ke hujre wali qabar me nahi balke jannat ke sab se acchhe ghar me zinda hia.
======
NOTE:
======
bukhari ki is hadees se bahot se baatein samne aagain. nabi saw ki wafat ke baad madina munawara ki qabr mubarak me nahi balke SHOHDA KI JANNAT SE BHI ACHHI JAGA K IS MUQAAM PAR ZINDA HAIN JO JANNATUL FIRDAUS SE OOPAR ARSH SE NECHE SAB SE BULAND MAQAAM HAI.
AUR IS BAAT KI MAZEED TAKEED KE LIYE NABI SAW KO JANNAT ME ZINDA HONE KE BAJAYE JO LOG MADINA KI QABAR ME ZINDA MANTE HAIN WO GALATI PAR HAIN.
2)
bukhari ra ek aur hadis kai muqamat par apni sahih kitab bukhari me laye hain.
tarjuma:
saeed bin musayyab ra aur arwat bin zubair aur bahot se ahle ilm bayan karte hain ke aaisha rz ne kaha ke rasul Allah saw tandurusti ke zamane me farmaya karte the ke KISI NABI KO KABI BHI WAFAT NAHI DI JATI JAb TAK ISE JANNAT ME ISKA MUQAM DIKA NAHI DIYA JATA.
muqaam dikhadiye jane ke baad is ko intekhaab ka mauqa diya jata hai (k chahye duniya me rahe aur chahe to Allah ki mulaqat ko tarjeeh de) pass jab aap saw ka aakhri waqt aaya aur is haal me k aap saw ka sar mere zanu par tha aap saw ko thodi der ke liye ghas aaya phir aap saw hosh me aaye aur nigahein oopar chhat ki taraf gaardh de aur kaha” allah humma rafiqi alala (aye malik rafiq ala) pas main ne kaha, ye kahne ke baad ab aap saw hum duniya walo (ki refaqat) ikhtiyar na karenge. maine jan liya ko jo baat aap saw farmaya karte the usko sahih saabit hone ka waqt aagaya……..
(bukhari jild 2, page 939, matbooa delhi)
imam bukhari ne waaze kar diya ke jo log nabi saw ko apni madina wali qabr me zinda maante hain wo goya ye kahete hain ke nabi saw ne Allah ki refaaqat ke bajaye duniya walo ki refaaqat ko tarjeeh di.
DARASAL QABAR ME MURDA KE ZINDA HOJANE KA AQEEDAH HI TO QABAR PARASTI KI JAD HAI.
is baat me koi shak nahi ke nabi saw duniya ki zindagi guzar kar faut ho gaye hain.
“beshak tum wafaat paane wale ho aur ye lo gbhi marne wale hain”
(surah zumar: 30)
3.
sayadna abu bakar rz ne farmaya:
Sun lo! jo shaks (sayadna) mohammed saw ki ibadat karta to to beshak mohammed saw faut hogaye hain.
(sahih bukhari: 3668)
4
IS MAUQE PAR sayadna abubakar siddique raz ne (surah Aale imran 3: ayat 144) tilawat farmai thi.
INSE YE AAYAT SUN KAR (TAMAM) SAHABA KIRAM RZ NE YE AAYAT PADHNI SHURU KAR DI.
(BUKHARI, 1241, 1242)
5
SAYADNA UMAR RZI NE BHI ISE TASLEEM KAR LIYA (K RASUL SAW FAUT HO GAYE HAIN)
(BUKHARI 4454)
MALOOM HUA KE IS PAR SAHABA RZ AJMAIN KA IJMAA HAI KE NABI SAW FAUT HO GAYE HAIN.
6
SAYADNA AAISHA RZ NE FARMAYA:
NABI SAW FAUT HO GAYE … (BUKHARI: 4446)
7
SAYADNA AAISA RZ NE FARMAYA JO NABI BI BIMAR HOTA HAI TO ISE DUNIYA AUR AAKHIRAT KE DARMIYAN IKHTIYAR DIYA JATA HAI.
(BUKHARI: 4586, MUSLIM 2444)
AAP SAW NE DUNIYA KE BADLE AAKHIRAT KO IKHTIYAAR KAR LIYA. YAANI AAP SAW KI WAFAAT KE BAAD AAP SAW KI ZINDAGI UKHRAWI ZINDAGI HAI JISE BARZAKHI ZINDAGI BHI KAHTE HAIN.
8
SAYADNA ABU HURAIRA RZ APNI NAMAZ KE BARE ME FARMATE THE:
“AAP saw ki yahi namaz thi hatta ke AAP SAW DUNIYA SE CHALE GAYE.
(SAHI BUKHARI: 803)
9
HAAFIZ ZAHABI LIKHTE HIAN KE : AUR AAP SAW APNI QABR ME BARZAKHI TAUR PAR ZINDA HAIN. (SEERAL AAMUNBALA 9/161)
PHR AAGE WO YE PHILOSOPY LIKHTE HAIN KE YE ZINDAGI NA TO HAR LEHAZ SE DUNIYAWI HAI AUR NA HAR LEHAZ SE JANNATI HAI BALKE ASHAABE KAHE KI ZINDAGI SE MUSHABA HAI.
(PAGE NO. 161)
10
HAFIZ IBN HAJAR LIKHTE HAIN
beshak aap saw apni wafaat ke baad agarcha zinda hain lekin ye UKHRUWI ZINDAGI HAI DUNIYAWI ZINDAGI KE MUSHABA NAHI HAI, wallah alam.
(fatahul baari, j. 7, page 349 tehet H. 4042)
maloom hua ke nabi saw ZINDA HAIN LEKIN AAPKI ZINDAGI UKHRAWI WA BARZAKHI HAI, DUNIYAWI NAHI HAI.
11.
SAUDI ARAB KE JALEELUL QADR SHAIKH SAALEH ALFAUZAN LIKHTE HIAN K:
“jo shaks ye kaheta hai ke aap saw ki barzakhi zindagi duniya ki tarah hai wo shaks jhoota hai. ye man ghadat baatein karne walo ka kalam hai. (at-taaliq al-mukhtasar alal qaseeda noniya, jild. 2, page 684).

•٠•●●•٠•
Prepared by:- A. Sayed.
Read More »

Kia Ambia Karaam (a.s.) Ki Roohain Haazir-o-Naazir Hain??


Kya Ambia Kraam ki roohe dunya main haazir-o-naazir hain? Aaiye Kitabullah or sunnat yani Quran-o-sahih hadith say poochtay hain.

Allah (subhaanahu wata’ala) Hzrt. Eesa Alaihi salam ka zikr kerte huay farmata hai,

(Main Allah ki panah main ata hun shaytan mardud ke shar say)

وَإِذْ قَالَ اللَّهُ يَا عِيسَى ابْنَ مَرْيَمَ أَأَنتَ قُلْتَ لِلنَّاسِ اتَّخِذُونِي وَأُمِّيَ إِلَـٰهَيْنِ مِن دُونِ اللَّهِ ۖ قَالَ سُبْحَانَكَ مَا يَكُونُ لِي أَنْ أَقُولَ مَا لَيْسَ لِي بِحَقٍّ ۚ إِن كُنتُ قُلْتُهُ فَقَدْ عَلِمْتَهُ ۚ تَعْلَمُ مَا فِي نَفْسِي وَلَا أَعْلَمُ مَا فِي نَفْسِكَ ۚإِنَّكَ أَنتَ عَلَّامُ الْغُيُوبِ
مَا قُلْتُ لَهُمْ إِلَّا مَا أَمَرْتَنِي بِهِ أَنِ اعْبُدُوا اللَّهَ رَبِّي وَرَبَّكُمْ ۚ وَكُنتُ عَلَيْهِمْ شَهِيدًا مَّا دُمْتُ فِيهِمْ ۖ فَلَمَّا تَوَفَّيْتَنِي كُنتَ أَنتَ الرَّقِيبَ عَلَيْهِمْ ۚ وَأَنتَ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ شَهِيدٌ
“Aur wo waqt bhi qabl-e-zikr hai k jub Allah s.wt farmae ga k Ae Eesa Ibn Maryam! Kya too nay in logon say kehdia tha k mujhko or meri maa ko bhi ilava Allah k ma’bood qarar do? Eesa (A.S) arz karen gay,
“(Ae Allah!) too pak hai, mujhko kisi tarah zeba na tha k main aesi bat kehta k jis k kehnay ka mujhay koi haq nhi, agr main ne kaha hoga to tujhko iska ilm hoga. Too tou meray dil k under ki bat bhi janta hai or main tere nafs may jo kuch hai isko nhi janta. Ghaibon ka janne wala too hi hay. Main ne to in say or kuch nhi kaha magr sirf wohi jo too ne mujh say kehnay ko farmaya tha k ‘tum Allah ki bandagi ikhtyar kero jo mera Rab hai or tmhara bhi Rab hai.Main in per gawah raha jab tak in main mojood raha. Phir jub too nay mujhko (zinda) otha lia to too hi in per nigraan raha. Or too her cheez say khabrdaar hai.”
[Al-Quran, surah Al-Maidah, surat 05, Ayaat.116-117

Qara’een-e-kram, khat kasheeda (underlined) alfaz per zra ghor farmaiye kis tarah Hzrt Eesa alaihi salam apne Aalim-ul-ghaib honay ka inkar kar rahay hain or phir inka yeh farmana kis qadr wazeh hai k jab tak tu ne mujhko in may rakkha os waqt tak main inper gawah raha, yani yeh tou tu hi janta hai k inho ne meray bad kya kuch kia, kiun k ‘Aleem-ul-khabeer’ or ‘samee-ul-baseer’ (sub kuch sunne, dekhne or janne wala) to sirf tu hi hai.

Sahih Bukhari ki hadith main in ayaat ki tashreeh milti hai, Khaatam un-Nabiyeen Muhammad-ur-RasulAllah (ﷺ) Roz-e-Qyamat ka zikr kertay huay farmatay hain,
“(Qayamat k din) phir meray perokaron ko daen (jannat ki) taraf le jaya jaega, lekin baz ko baen (yani jahannum ki) taraf ghaseeta jaega. Main kahun ga ‘Ae meray Rab! meray ummati!’, lekin mujhay (Allah t’ala ki taraf say) bataya jaega k ‘(Ae Nabi!) Aap nhi jantay inho ne Aap k bad kia kiya, jub Aap insay juda huay to yeh Islam say phir gae thay’. Main os waqt wohi kahun ga jo (Allah k) nek banday Eesa ibne Maryam nay kaha tha k “Main in per gawah raha jab tak in main mojood raha. Phir jab too nay mujhko otha lia to too hi in per nigraan raha. Or too her cheez say khabrdaar hai.””
[Sahih Bukhari, Vol.4, kitab ul-Anbiya]
Is Ayat or sahih Ahadith say saabit hua k Ambia kram ghair haazir honay per ya fout honay per is dunya say bay khabr hotay hain.
Sahih Bukhari ki ek or Hadith may murtadeen k ilava on bid’ation ka bhi zikr hai jinhen RasulAllah (s.aw) hoz-e-kausar say pani pila rahe honge or onhe rok dia jaega, inko bhi Nabi (s.a.w) yehi samjhaen gay k yeh to meray farmabrdar ummati hain lekin Aap (s.a.w) ko mutla’ kia jae ga k ‘Ae Nabi (s.a.w) tum nhi jantay k inho ne tumharay jane k bad kia kuch kiya, inhon ne tumharay bad deen maain nai nai batain nikal li thin’, to Aap (s.a.w) farmaen gay “on k lye (jannat say) duri ho!, on k lye duri ho!” jinho ne meray bad deen ko badal dala.”
[Sahih Bukhari, Vol.8, kitab ur-Riqaaq]
Maloom hua k Nabi ﷺ bhi nhi jantay k on k ummatio ne on k inteqal k bad deen main kia kia bid’atain ijad kin, kiun k sirf Allah hi apne ilm say ‘Haazir-o-Naazir’ hai.
Mazeed Dalail:
Anbia kram (a.s) Ahl-e-Quboor main say hain, Allah (subhanahu wata’ala) farmata hai,
  • “Bayshak Allah jise chahta hai suna deta hai, Or tum on logo ko nahi suna saktay jo qabron may (madfoon) hain.” [surah Al-Faatir, surat 35, Ayat.22]
  • “In (ehl-e-quboor) k pus-e-pusht tou aik barzakh (rukawat) hai in k dubara jee uthne k din tak.” [surah Al-Muminoon 23:100]
Lafz barzakh k mani deevar, hijab, rukawat ya barrier k hain, or barzakh dono taraf say hota hai na k aik taraf say. Yani Jis tarah koi zinda shax murda ki barzakhi zindagi ko nahi dekh sakta, nahi sun sakta or na mehsoos kr sakta hai isi tarah murda bhi zinda ko na sun sakta hai na dekh sakta hai or na mehsoos ker sakta hai.
  • Allah (subhanahu wata’ala) farmata hai,
“Yeh ghaib ki khabrain hain jo hum tum per wahi kertay hain, warna (Ae Mohammad! s.a.w) tum os waqt on k pas mojood na thay jub wo apne qalam daal rahe thay k Maryam (a.s) ki kifaalat kon karega, or na tum os waqt in k pas thay jub wo jhagar rahe thay.” [surah Aali-Imran, Ayat#44]
  • Hazrt. Jundub bin Abdullah (radiAllahu anhu) say rivayat hai k main ne RasulAllah (ﷺ) ko inki wafaat say paanch roz qabl yeh farmatay huay suna k “Tum say pehlay log (yani yahud-o-nasara) Anbia ki qabron ko sajdah gah bana lia krtay thay. Khabrdar! tum Qabron ko sajdah gah na bana lena, main tumhain is tarz-e-amal say mana’ kerta hun.” [sahih Muslim, Kitab-ul-Masajid, Hadith no.532]
Ma’loom hua k Pichli ummatain yani yahud-o-nasara apne Awlia or Anbia ki Qabron ko ibadat gah bana lete, yani Onhain haajat rawai or mushkil kushai k liye pukartay or onhain Allah tak pohnchne ka wasila banatay thay (jo k Surah Yunus ayat#18 aur surah Zumar ki ayat#3 say saabit hai). Is per Allah (s.wt) ne farmaya, 
  • “Maseeh Ibne Maryam (A.S) sivae (Allah k) Rasul honay k or kuch bhi nhi, In say pehle bhi bohat say Rasul aa chukay hain or in ki walda aik rast baz (sachi) aurat thin. Or wo dono khana khatay thay, Aap dekhen kis tarah Hum in k samne dalail rakhtay hain, phir ghor kijiye kis tarah wo ultay phiray jatay hain. Aap Keh dijiye:”kia tum Allah k siva on ki ibaadat kertay ho jo na tumharay kisi nuqsaan k malik hain or na kisi nafa k, (bul k) Allah hi khub sunne or janne wala hai. [surah Al-Maidah, Ayaat#75-76]
Khulasa ye hua k chahe wo Hzrt.Maryam (A.S) ho ya koi Rasul bhi ho, wo na tou humain nafa pohncha sakta hai or na nuqsan (agr hum ose pukaren), kiun k Wo pukarne walon ki pukar say be-khabr hai, or sirf Allah hi subkuch sunne or janne wala hai.
  • “Aur us say berh ker kon GUMRAAH ho sakta hai jo ALLAH K SIWA kisi doosrey ko PUKARAY, jo Qayamat tak us ki PUKAR ka jawab na de sakay, Bul k oskay PUKARNE se bhi Ghafil hon. Phir jub log roz-e-Akhrat ikatthay kiay jaengay tou wohi pukaray gae log in PUKARNE walon k dushman ban jaen gay, or inki parastish say saaf inkar ker den gay.” [Surah Al-Ahqaf Surat#46, Ayat#5]
Mandarjah bala ayat ka itlaaq fout shuda Anbiya or Buzurgon per hi hosakta hai jese k (wa iza hushiran Naas) yani “aur jub logon ko jama kia jaega” say wazeh hai. Yani Anbia aur auliya ka shumar logon main hota hai na k buton (idols) ka.
  • Wo Tamam sahih Ahadith jin main ummat ka salat-o-salam farishton k zariye Nabi (ﷺ) tak pohnchae janay ka zikr hai, maslan:
Abu Daud or Musnad Ahmad main Abu Huraira (radiAllahu anhu) say murvi hai k RasulAllah (ﷺ) ne farmaya,
“Apne gharon ko qabrain na banao (in main nawafil parha karo) or meri qabr ko jashn-e-ijtima na banao or mujh per drood parha karo, kiun k tumhara drood mujh per pohncha dia jata hai jahan kahin bhi tum ho (yani qabr k nazdeek ho ya door).
[sahih: Sunan Abu Daud, kitabul Manasik, baab: ziaratul quboor, raqm 2042. Mishkaat, kitabus salah, baab: Assalat alanNabi (s.a.w) raqm:926]
Aik dusri sahih Hadith main jo k sunan Nasai, Darmi, Musnad Ahmad, Ibn Habban, or Mustadrik Haakim main hai wazahat hai k jo darood-o-salam Nabi s.a.w per parha jata hai wo farishton k zarye Nabi tak pohnchaya jata hai, chuna cheh is k alfaaz hain,
“Allah (s.wt) ne roo-e-zamin per sayyaah farishtay muqarrar ker rakhay hain jo meri ummat ka salam mujh tak pohnchatay hain.” [Hasan: Sunan Nasai, kitabus sahev, baab: Al-tasleem alanNabi (s.a.w) raqm:1282]
Chuna cheh 
Hazrat Ali bin Al-Husayn (radiAllahu anhu) say murvi hai k onho ne aik aadmi ko dekha k wo salam k liye hujray main dakhil ho rha hai, tou onho ne osay mana kia or farmaya k main tujhay wo hadith na sunaon jo Huzur (s.a.w) ne beyan farmai thi? yani. “meri qabr ko mela na banana or na apne gharon ko qabrain banana (in main nawafil parhna), tumhara salammujh per pohncha dia jata hai jahan kahin bhi tum ho (yani qabr k nazdeek ho ya door).” [Hasn: Musnad Abi Ya’la al-Moosli 246/1]
Isi tarah dusri kutub-e-hadith main bhi aesi rivayaat mojood hain jo ba-wajood ikhtilaf-e-alfaaz k is mazmoon main mushtarik hain k “Ummat ka salat-o-salam farishton k zarye hi pohnchaya jata hai chahe kahin kahin say bhi parha jae.”
Pus, Agr Nabi (ﷺ) Hazir-o-nazir hotay ya inteqaal k baad bhi zindon ko sun saktay tou Darood-o-salam pohnchane k liye farishton ki koi zarurat nahi hoti.
  • “Bhlaa kon hai jo majboor ki pukaar ko qubool kerta hai jub wo osay pukarta hai, or takleef ko door kerta hai? (ilava Allah k?) Or tumko zamin per khalifa banata hai? kia Allah k sath koi or ma’bood bhi hai? (hergiz nhi) bul k tum bohat kam nasihat-o-ibrat qubool kertay ho.” [Surah An-Naml, Surat#27, Ayat#62]
Ma’loom hua k sirf Allah hi her jaga Apne ilm say Hazir-o-Naazir hai, yani Aalim-ul-ghaib, Samee-ul-Baseer aur Aleem-ul-Khabeer hona sirf Allah hi ki sifaat hain aur Allah ki sifaat main koi shareek nahin.
Jese kay Allah subhaanahu wata’ala ka farman hai,
(laisaka-mislihi shai’an wahuwa-samee-ul-baseer)
“Os jesi koi cheez nahin, aur Woh sub kuch Sunnay aur Dekhane wala hai” [surah Shuraa,42:11]
Ghair Hazir ya Fout shuda ko pukarne k mutalliq Allah (s.wt) ka Farman,
  • “Or mat pukaro tum Allah k siva kisi ko jo tumko nafa’ day sake or na nuqsaan pohncha sakay, agr esa kro gay to mushrik banjao gay.”
[surah Younus, Surat#10, Ayat#106]
Prepared by:- A.Sayed
Read More »

Kya Shaheed Duniya Me Zinda Hote Hai?


Shaheedon ki roohain Allah s.w.t. ke pas Jannat may Zindah hain Qabron may nhi. Quran-e-kreem me do muqamaat pe Allah s.wt farmata hai,

“Aur Allah ki rah may qatl kye gae shuhadaa ko murda na kaho, wo zinda hain magr tum nahi samajhte.”

[
surah Al-Baqarah, surat 02, Ayat.154]

Is ayat may on logo ko jo Allah ki raah may qatl kye gae murda kehnay ki mumani’at hai or farmaya k wo zinda hain lekn tumhen sha’oor nhi. Ab swaal ye hai k onki zindagi kis qism ki hai, kia yeh zindagi dunyavi hai?

Ek aur ayat may Allah s.wt nay farmaya,

“Jo log Allah ki rah may shaheed kye gae on ko hergiz murda na samjho, bul k wo zinda hain apne Rub k pas, rozian dye jatay hain. Allah s.wt nay jo apna fazl inhen de rakha hai is say bohat khush hain or khushian mana rahay hain on logo ki baabat jo ab tak insay nhi milay in k peechay hain, is per k inhain na koi khof hai or na wo ghamgeen hongay.”

[surah Aali-Imran, surat 03, Ayat.169]

In dono ayaat may Allah s.wt nay shaheed ko murda samajhnay say mana’ farmaya, lekn inhi ayaat may yeh wazaahat bhi kerdi k “walaa killaa tash’uroon” yani tumhain onki zindagi ka sha’oor nhi, onki zindagi ko apni zindagi say tashbih na do, onki zindagi barzakhi hai dunyavi nhi, or doosri ayat may “inda-Rabbihim” k alfaaz shaahid hain k ‘wo to apne Rub k pas hain’ rozian dye jaatay hain yani wo to bharpoor zindagi guzar rahay hain jannaton may apne Rab k pas is lye in k e’zaaz-o-takreem k lye inhain murda mat kaho. Or wo on mujahideen fee sabeelillah k muta’alliq khushian mana rahay hain jo maidan-e-jang may lar rahay hain or ab tak shaheed ho k on say nhi milay, is bat per k onhain aanay wali barzakhi zindagi may na koi gham hoga or na koi khof.

Sahih Muslim may or deegar sahih rivayaaat may RasulAllah ﷺ Ka farman hai,

“Shaheedon ki roohen (Jannat me) sabz rung k parindon k seeno may hoti hai aur jannat main jis jaga chahen charti, chugti, urti phirti hain. Phir in qandeelon may aa ker beth jati hain jo arsh k neechay latak rahi hain, in k rab ne aik dafa inhen dekha or in say daryaaft kia k ab tum kia chahtay ho? Onhon nay jwab dia,

‘Allah tu nay to humay wo wo day rakha hai jo kisi ko nhi dia phir hamain kis cheez ki zaroorat hogi?’ Insay phir yehi swaal hua. Jab onho ne dekha k ab hamain koi jawaab dena hi hoga to kaha,

‘Ae Allah! hum chahtay hain k too hamain dobara dunya main bhaij day hum teri rah may phir larain phir shaheed ho kr teray paas aaen or shahaadat ka dugna darja paen’

Allah (subhanahu wata’ala) ne farmaya,

‘yeh nhi hosakta yeh to main likh chukka hun k koi bhi marnay k bad dunya ki taraf palat ker nhi jaega. koi or bat ho tou batlao’, 

phir shuhda ne jawab dya, 

‘phir dunya walon ko or humaray aziz-o-aqarab ko is bat say mutla kerdia jae k hum yahan kis qadr khush hain, or her tarah ki ne’maton say lutf andoz ho rahay hain’, 

Allah (s.wt) ne farmaya, 

‘han yeh ittila kiye deta hoon’ 

[chuna cheh is silsilay main mazkoora ayatain (yani surah Aali-Imran ayat 169) nazil hui.]” 

[Sahih Muslim, kitab Al-Imarah: baab beyan arwaahu-sshuhada fil-jannah, [020:4651] ] 

Maloom hua ke shaheedon ki roohen dunya may nhi bhatak rahin bul k jannat k mazay loot rahi hain. Or kisi ko bhi inteqaal k bad dobara dunya main aanay ki ijaazat nhi. 

Allah s.wt ka farman hai, 

“Or tum on logo ko nhi SUNA saktay jo qabron may (madfoon) hain.” 

[surah Al-Faatir, surat 35, Ayat.22] 

“Aur mat pukaro tum Allah k siwa kisi ko jo tumko nafa’ day sake or na nuqsaan pohncha sakay, agr aesa kro ge to MUSHRIK banjao ge.” 

[surah Younus, Surat#10, Ayat#106] .
Read More »

Imam Mahdi Ka Zahoor


Imam Mahdi a.s. nekokaar maise honge jo RasoolAllah ﷺ ke aal maise honge jo aakhri waqt me zahir honge jiske zarye Allah insani muamlat ko sidha karenge aur dunya ko achai aur insaf se bhar denge. 

Imam Mahdi ka naam “Muhammad ibn ‘Abd-Allaah al-Mahdi, ya Ahmad ibn ‘Abd-Allaah al-Mahdi hoga jo Nabi ﷺ ke ahle bayt me se sayyada Fatima r.a. ke bete sayyadna Hasan bin Ali r.a. ki aulad me se honge.

Hazrat Abdulla bin Masood r.t.a. bayan karte hain ke RasulAllah ﷺ ne farmaya, “Ager dunya ka ek roz bhi baki hoga to Allah taala us din ko taweel kardega hatta ke is me ek aise shakhs ko maboos farmayega jo mujh se hoga ya Aap ﷺ ne farmaya ke jo mere Ahle bayt se hoga. Us ka naam mere naam aur us ke walid ka naam mere walid ke naam ke mutabik hoga”.

(Jamia Tirmizi Hadith- 2230)

۞ IMAM MAHDI a.s. KI SIFAT :

Hazrat Abu Saeed Khudri r.t.a. bayan karte hain ke RasulAllah ﷺ ne farmaya, “Mahdi mujhse hoga yani meri nasal se hoga. Fir Aap ﷺ ne un ki jismani sifat bayan ki aur farmaya,

“Wo chaudi peshani aur lambi naak wala hoga. Wo zameen ko adl o insaf se isi tarah bhardega jaise wo zulm o zor se bhari huwi thi. Us ki hukumat 7 baras tak rahegi”.

Sunan Abu Daud Hadith- 4285.

Abu Sa’eed al-Khudri r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Wo(Imam Mehdi) ham maise honge jiske piche ‘Eesaa ibn Maryam namaz padhenge”.

(Reported by Abi Na’eem in Akhbaar al-Mahdi. Al-Albaani said it is saheeh; see al-Jaami’ al-Sagheer, 5/219, hadeeth 5796).

۞ IMAM MAHDI a.s. KA ZAHOOR KA WAQT:

Quran aur sunnah se exactly ye nahi pata chalta hai ki Mahdi a.s. ka zahoor kab hoga lekin wo aakhri waqt me ayenge. Unka nuzool Qayamat ki choti nishanio maise aakhri nishani hogi. Mahdi a.s. ka Zuhoor jo Dajjal se pahle aur ‘Eesa ibn Maryam ke nuzul hone se pahle honge. Ye in hadith se pata chalta hai.

Jabir r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya Eesaa ibn Maryam nazil honge aur inke Imam, Mahdi farmaenge, “Aaiye aur hamari namaz ki Imamat karye”, lekin wo farmayenge, “Nahi”, Ap logo maise koi Imamat kare, ye Allah ke taraf se is ummah ke liye izzat hai.

Narrated by Muslim, 225.

‘Abdullaah ibn Mas’ood r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, ” Dunya us waqt tak khatm nahi hogi jab tak mere ahle bait maise ek shaks jo mere naam ka hoga Arab ka Hukmaran na ban jaye.

Musnad Ahmad, 5/199, hadeeth 3573.

Kuch log Imam Mahdi ko jhutlane ke liye ek hadith pesh karte hai jisme RasoolAllah ﷺ ne farmaya hai,” ‘Eesa ibn Maryam se alag koi Mahdi nahi hai.” (matlab Eesa a.s. ke alawa aur koi nahi ayega is ummat me)

Lekin Is hadith ko Sheikh Albani ne Daif karar diya hai. Dalail ke liye dekhye:- al-Silsilah al-Da’eefah, 1/175, by al-Albaani .

۩ Agar apko Mehdi a.s. ke bareme Full Detail se janna hai to in authentic kitabo ko refer kare:

1. Al-Mahdi Haqeeqah wa laa Khuraafah by Shaykh Muhammad ibn Ismaa’eel.
2. Al-Mahdi al-Muntazar by Dr. ‘Abd al-‘Aleem al-bastawi.
3. Ashraat al-Saa’ah by Yoosuf al-Waabil.

•٠•●●•٠•
Read More »

RasoolAllah ﷺ Ka Saya (Shadow)


Kuch Log Kahte Hai Ki Rasulullah ﷺ Ka Saya Mubark Nahi Tha. Iski kya haqiqat hai?

RasoolAllah ﷺ Allah Ke Nabi Aur Insan The. Allah Ne Apko Silsila E Insaniyat se Hi Paida Kia Tha Aur Insan Hone Ke Aitbar Se Ye Bat Waazeh Hai Ki Insan Ka Saya Hota Hai.

Quran Me Allah Ne Irshad Farmaya,

۩ Aur Jitni Makhluqat Asmano Aur Jamin Me Hai Khushi Aur Nakhushi Se Allah Ta’ala Ke Aage Sajda Karti Hai Aur Unke Saye Bhi Subah Wa Sham Sajda Krte Hai.

[Al R’aad, Ayat 15]

Ek Aur Muqam Par Allah Rabbul Izzat Ka Farman Hai-

۩ Kya Unhone Allah Ki Makhluqat Me Se Kisi Ko Nahi Dekha Ki Iske Saye Dayain Aur Bayain Se Lautte Hai Yani Allah Ke Aage Aajiz Hokar Sar-Ba-Sujud Hote Hai.

[Al Nahal Ayat 47]

Hadith se Dalail: 

أَخْبَرَنِي  مُحَمَّدُ بْنُ الْمُؤَمَّلِ بْنِ الْحَسَنِ   ، ثَنَا   الْفَضْلُ بْنُ مُحَمَّدٍ الشَّعْرَانِيُّ  ، ثَنَا  الْفَضْلُ بْنُ مُحَمَّدٍ الْبَيْهَقِيُّ  ، ثَنَا  نُعَيْمُ بْنُ حَمَّادٍ  ، أَنْبَأَ  عَبْدُ اللَّهِ بْنُ وَهْبٍ  ، أَخْبَرَنِي  مُعَاوِيَةُ بْنُ صَالِحٍ  ، عَنْ  عِيسَى بْنِ عَاصِمٍ  ، عَنْ  زِرِّ بْنِ حُبَيْشٍ  ، عَنْ  أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ  ، قَالَ : بَيْنَمَا النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَآَلِهِ وَسَلَّمَ  يُصَلِّي ذَاتَ لَيْلَةٍ صَلاةً ، إِذْ مَدَّ يَدَهُ ، ثُمَّ أَخَّرَهَا ، فَقُلْنَا : يَا رَسُولَ اللَّهِ ، رَأَيْنَاكَ صَنَعْتَ فِي هَذِهِ الصَّلاةِ شَيْئًا ، لَمْ تَكُنْ تَصْنَعُهُ فِيمَا قَبْلَهُ ، قَالَ : ” أَجَلْ ، إِنَّهُ عُرِضَتْ عَلَيَّ الْجَنَّةَ ، فَرَأَيْتُ فِيهَا دَالَيَةً قُطُوفُهَا دَانِيَةٌ ، فَأَرَدْتُ أَنْ أَتَنَاوَلَ مِنْهَا شَيْئًا ، فَأُوحِيَ إِلَيَّ أَنِ اسْتَأْخِرْ ، فَاسْتَأْخَرْتُ ، وَعُرِضَتْ عَلَيَّ النَّارُ فِيمَا بَيْنِي وَبَيْنَكُمْ ، حَتَّى رَأَيْتُ ظِلِّي وَظِلَّكُمْ فِيهَا ، فَأَوْمَأْتُ إِلَيْكُمْ أَنِ اسْتَأْخِرُوا ، فَأُوحِيَ إِلَيَّ أَنْ أَقْرِهِمْ ، فَإِنَّكَ أَسْلَمْتَ وَأَسْلَمُوا ، وَهَاجَرْتَ وَهَاجَرُوا ، وَجَاهَدْتَ وَجَاهَدُوا ، فَلَمْ أَرَ لَكَ فَضْلا عَلَيْهِمْ إِلا بِالنُّبُوَّةِ ، فَأَوَّلْتُ ذَلِكَ مَا يَلْقَى أُمَّتِي بَعْدِي مِنَ الْفِتَنِ ” .

۩ Anas r.a. Se Riwayat Hai Ek Raat Nabi ﷺ Ne Hume Namaz Padhai Aur Namaz Ki Halat Me Apna Hath Achanak Aage Badhaya Magar Phir Jald Hi Piche Hata Liya.
Humne Arz Kiya Aye Allah Ke Rasool ﷺ! Aaj Apne Khilafe M’amul Namaz Me Ek Naya Amal Kiya Hai, Apne Ne Farmaya Nahi Balki Bat Ye Hai Ki Mere Samane Abhi-Abhi Jannat Pesh Ki Gai, Mene Usme Behtreen Fal Dekhe To Dil Me Aya Ki Usme Me Se Kuch Uchak Lu Magar Fauran Huqm Mila Piche Hat Jao,

Me Piche Hat Gaya. Fir Mujh Par Jahannam Pesh Ki Gai (hatta raytu zilli wa zillkum ), Uski Roshani Me Mene Apna Aur Tumhara Saya Dekha, Dekhte Hi Mene Tumhari Taraf Ishara Kiya Ki Piche Hat Jao.

Mustadrak al-Hakim, 4/456; Imam al-Dhahabi Agreed with Hakim in Talkhees, Ibne Khuzaimah Mentioned in his Saheeh vol 2 page 50 hadeeth no 892 and Dr Muhammad Mustafa in Notes of Saheeh Ibne Khuzaimah said Chain is Authentic, Hafidh Zia ul din Al Maqdisi`ee Authenticated in Al Mukhtarah:2136, Imam Abu Awanah Authenticated and said هَذَا الْحَدِيثُ يُسَاوِي أَلْفَ حَدِيثٍ “This Hadeeth is Equal to One Thousand Ahadeeth” in إتحاف المهرة  Raqam 1063 .

Ek Aur Sahih Hadith Me Hai:

۩ Aisha r.a. riwayat karti hai ki Sayyida Zainab r.a. Aur Sayyida Safiya r.a. Ek Safar Me Nabi ﷺ Ke Sath Thi, Safiya r.a Ke Pas Ek Oont (camel) Tha Aur Wo Bimar Ho Gaya Jab Ki Zainub r.a. Ke Pas 2 Oont the. Rasol ﷺ Ne Farmaya, “Tum Ek Zayad Oont Safiya r.a Ko De Do”, Toh Unhone Kaha Mai Is Yahudiya Ko Kyo Du ? (Sayyida Safiyyah was originally a Jew). Is Par Rasool ﷺ Naraz Ho Gaye, Taqriban 3 Mah Tak Zainub r.a. Ke Pas Na Gaye Hatta Ki Zainub r.a. Ne Mayus Hokar Apna Saman Bandh Liya. Sayyida zainub r.a Farmati Hai ki Mai Achanak Dekhti Hu Ki Dopahar Ke Waqt Nabi e ﷺ Ka Saya Aa Raha Hai.

Musnad Ahmad, 6/132, Hadith no.25046, Tabqaat ul Kubra vol 8 page 27 Hadeeth no: 10011,Majma az zawaid vol 4 page page 323. Sanad Sahih By Zubair Ali Zai.

•٠•●●•٠•
Read More »