اقرأ باسم ربك الذي خلق

2 Jun 2018

Kya Sirf Kabr Me Pata Chalega Ki Haq Par Kaun Hai ?


Un Logo Ne Apne Paas Ilm Ajane Ke Baad Bhi Ikhtilaaf Kiya. ( Aur Woh Bhi ) Apas Ki Zid-bahes Ke Wajah Se Aur Agar Aap Ke Rab Ki Baat Aik Waqt Muqarrar Taq Ke Liye Pahlay Hi Se Qarar Pa Gayi Hui Nah Hoti To Yaqeenan Un Ka Faisla Ho Chuka Hota Aur Jin Logon Ko Un Ke Baad Kitaab Di Gayi Hai Woh Bhi Is Ki Taraf Se Uljan Walay Shak Mein Pade Hue Hain.

Quran, 42:14.

Is Ayat me unlogo ke liye bhi lamha e fikriya hai jo ye kahte hai ki hame to kabr me hi ya akhirat me hi pata chalega ki haq kya hai ya kaun sahih hai ya kaun galat. Ham maise boht log ye kahte hai. Iski kayi wajah ho sakti hai aur iski ek wajah ye bhi hoti hai ki hamare kuch bhaiyyo ke pas tahkeek karne ka waqt nahi hota. Ham social media, jobs aur apni family ko to ghanto waqt de sakte hai lekin Deen sikhne/samajhne ke liye waqt nahi hai hamare pas. 

Toh Allah upar ki Ayat me logo ko dante hue kahte hai ki tumhare pas Quran aa jane ke baad bhi tum ye kahte ho ki pata nai kya haq hai. Jab ki Quran ko to andhere me ek roshni kaha gaya hai khud Quran me. Ye waise hi baat hui ki ham kisi restro me jate hai aur hame menu card diya jata hai uske baad bhi ham kahte hai ki Allah !! Pata jane yaha par khane me kya serve karte hai. 

Bahane hamare dunya me kaam aa sakte hai, akhirat me nahi, agar Allah ne akhirat me puch liya ki hamare pas Quran aur hadith aane ke baad bhi ham zindagi bhar galat chizo par amal kyu karte rahe, to ham kya jawab denge Allah pak ko?

Jab Allah pak khud guarntee lete hai Quran me ki ap sachhe dil se hidayat (sahih tarika) talash karo aur Allah zarur hidayat dega, balki Allah ki zimmedari hai hidayat dena fir ham kyu nahi padhte quran ka tarjuma? Yaha kafir Quran padh kar Musalman ho rahe hai aur ham Quran ko almira me saja kar kahte hai ki Allah jane haq kya hai.. Ham kise bewakuf bana rahe hai? (shayad khud ko)!

Aj se Quran ka tarjuma padhna shuru kare. Kya pata kal ap is waqt kabr ke sawaalo ko face kar rahe ho !! Aur waha par apke jobs, apke careers, apke biwi-bachhe kaam nahi ayenge, waha apka Amal aur Quran apka sahara hoga

•٠•●●•٠•

Allah hame Quran samajh kar Padhne ki taufeek ata kare. aameen. 
Read More »

30 May 2018

RasoolAllah ﷺ Par Wahi Ki Shuruat Kaise Hui ?


Hazrat Ayesha r.a. ne batlaya ki Allah ke Rasool ﷺ par wahee ka shuruwati daur acche sachhe paakiza khawabo se shuru hua, Aap khawab mein jo kuch dekhte woh subha ki roshni ki tarah sahih aur sachha sabit hota. Fir min janib qudrat Aap tanhaai pasand ho gaye aur Aap ne Gaar e Hira mein Tanhai ikhtiyar farmate aur kayi kayi din aur raat wahaa musalsal Ibadat aur yaad e Elahi zikr o fikr me mashgul rahte, jab tak ghar aane ko dil na chahta, Aap apne saath safar ka khana liye huye waha rahte, Khana khatam hone par hi Aap Khadija r.a. ke paas tashreef laate aur kuch Khana saath lekar fir wahaan chale jaate.

 Yahi Tariqa jari raha yaha tak ki Aap par Haq nazil ho gaya aur Aap Gaar e Hira hi me the ki achank Hazrat Jibreel a.s. Aap ke paas haazir hue aur kahne lage ki Aye Muhammad! Padho! Aap farmate hai ki maine kaha ki mai padhna nahi janta. Aap farmate hai ki farishte ne mujhe pakad kar itne zor se dabaya ki meri taqat jawab de gai. Fir mujhe chhor kar kaha ki Padho!. Maine fir wahi jawab diya ki mai padha huaa nahi hu. Us Farishte ne mujhe nihayat hi zor se pakda ki mujhko sakht takleef mahsus hui, Fir usne kahaa ki padho! Maine kaha ki mai padha hua nahi hu. Farishte ne teesri baar mujh ko pakda aur teesri martaba fir mujh ko dabaya fir mujhe chhor diya aur kahne laga ki ‘Padho apne Rab ke naam se jis ne paida kiya aur insan ko khoon ki lothde se banaya, Padho aur Aap ka Rab bohut hi maherban hai.’ Pas yahi aayaten Aap Hazrat Jibril a.s. se sun kar is haal mai Gaar se wapis hue ke Aap ka dil us anokhe waqye se zor se dhadak raha tha . Aap Hazrat Khadija ke paas tashrif laye aur farmaya ki mujhe chadar udhaa do, mujhe chadar udhaa do. Chunanche Aap ko chadar udhaa diya gaya.

Jab Aap ka dar jata raha to Aap ne apni biwi Khadija r.a. ko tafseel ke saath ye waqya sunaya aur farmane lage ki mujh ko ab apni jaan ka khauf ho gaya hai. Aapki biwi Khadija r.a ne Aap se kaha ki Aap ka khayal sahih nahi hai, Allah ki qasam Aap ko Allah kabhi ruswa nahi karega. Aap rishtedaro se sila-rahmi karte hai, Bekaso ka bojh uthate hai, Muflison ki madad karte hai, Aap dil khol kar mahmaan nawazi karte hai aur Mushkil ke waqt me Aap zaruratmando ka saath dete hai. Fir Khadija r.a ne Rasool ﷺ ko Waraqa bin Naufal ke paas le gai, jo un ke chacha-zaad bhai the aur zamana e jahiliyat mai Nasrani mazhab ikhtiyar kar chuke the aur Ibraani zuban ke katib the, chunanche Injeel ko bhi hasb e manshaa e khuda wandi Ibraani zuban me likha karte the (Injeel siryani zuban mai nazil hui thi fir us ka tarjumaa Ibraani zuban mai hua, Waraqa isi ko likha karte the) . Woh bahut budhe ho gaye the yahaa tak ki un ki binaai (eyesight) bhi chali gai thi. 

Khadija r.a. ne un ke samne Aap ke haalaat bayan kiye aur kahaa ki aye chacha zaad bhai ! Apne bhatije (Muhammad) ki zubani zaraa unki kaifiyat sun lijiye, chunche Aap ﷺ ne shuru se aakhir pura waqya sunaya, jise sun kar Waraqa be ikhtiyar ho kar bol uthe ki ye to wahee naamus (raaz rakhne wala farishta) hai jise Allah ne Musa a.s. par wahee de kar bheja tha. Kaash! Mai jawaan umar ka hota aur us waqt tak zinda rahta jab Aap ki Qaum Aap ko is shahar se nikal degi. Rasool ﷺ ne ye sun kar taaj’jub se pucha ke kya woh log mujhe nikaal denge? Waraqa bole, Ji Haa! Jo shakhs bhi Aap ki tarah paigaam le kar aaya log us ke dushman hi hue hai. Agar mujhe Aap ki Nabuwat ka woh zamana mila to mai Aap ki puri madad karunga. Magar waraqa kuch hi dino ke baad inteqal kar gaye, fir kuch arse tak wahi ka silsila ruk gaya.

Sahih al-Bukhari, Vol. 1, Book 1, Hadith- 3.
Read More »

25 May 2018

Agar Kisi Shaks Ke Roze Rah Jaye Toh Wo Unki Qaza Kaise Kare ?


Alhamdulillah..

Agar kisi ne Ramadan al mubarak mein kisi uzr yaani safar ya bimari ya aurat ne haiz aur nifas ki wajah se roze chhore to woh Ramadan ke baad mein utne hi roze rakhega jitne usne chhore the kyuki Allah ka farmaan hai :

Toh Jo Koi Bhi Tum Mein Se Bemaar Ho Ya Musafir To Woh Dusray Ayyaam Mein Ginti Puri Karle.

Surah Baqarah (2), Ayat-185.

Muazah r.a. Bayan Karti Hai Ki Maine Hazrat Aisha r.a. Se Arz. Kiya, Kya Wajah Hai Ki Ek Haiza Aurat Rozo Ki Qaza Karti Hai Lekin Namazo Ki Qaza Nahi Karti Hai ? Hazrat Ayesha r.a. Ne Farmaya, Kya Tum Huraura (Iraq ka ek shahar) Se Ho? Maine Kaha, Mai Haruriya se Nahi Hu Lekin Sirf Puchna Chahti Hu. Ayesha r.a. Farmati Hai, Hum Nabi ﷺ Ke Zamane Me Haiza Hote The Aur Hame Rozo Ke Qaza Ka Hukm Diya Jata Tha Lekin Hume Namazo Ki Qaza Ka Huqm Nahi Diya Jata Tha.

Sahih Muslim, Kitab al Haiz, Hadith- 335.

Ramadaan ke rozon ki qaza ka waqt dusra ramadaan shuru hone tak hai yaa'ni Ramadan shuru hone se pahle Ramadan ke roze rakhna honge, chahe ek-ek kar ke rakhe ya ikhatte rakh le.

Lekin bagair kisi wajah ke agle Ramadan tak der karna jaiz nahi hoga.

Aur agar woh bagair kisi wajah ke jaan bujh kar roze chore to is ki do halate hain:

Pahli haalat:

"Agar to inhone raat ko hi roza na rakhne ki niyat karli toh isse roza ki qaza mein roza rakhna sahih nahi hoga kyuki roza ka waqt muqarrar hai, is liye jis ne bhi jaan bujh kar tark kar diya is ke liye waqt niklne ke baad woh roza sahih nahi hogi."

Dusri haalat:

"Inhone raat ko roza rakhne ki niyat to ki aur roza rakh bhi liya lekin fir din ke waqt bagair kisi uzr ke roza tod diya, to is shakhs par is din ke roze ki qaza wajib hogi kyuki is ne roza shuru kar liya tha aur use Nazar (vow) ki tarha bana liya is liye is ki qaza wajib hogi."

Aur jis ne baghair kisi uzr ke roza toda use Allah ke haan tauba o astagfar aur apne is fael par nidamat ka izhaar karna hoga aur aindah aisa na karne ka pukhta iradah karna hoga, aur is ke sath sath kasrat se aamaal saleha karna hoga yaani nawafili roze wagaira aur dusri ibadaat kare, Kyuki Allah s.w.t. ka farmaan hai:

Aur Yaqeenan Mai Aise Shakhs Ko Bahut Zyada Bakhsh Dene Wala Hu Jo Tauba Karta Aur Imaan Laane Ke Sath Sath Nek O Saleh Aamaal Karta Aur Hidaayat Ikhtiyar Karta Hai.

Surah Ta-Ha (20), Ayat-82.

Aur Allah sabse behtar janta hai.
Read More »

21 May 2018

Jibraeel Ki Imaamat


حَدَّثَنَا مُسَدَّدٌ، حَدَّثَنَا يَحْيَى، عَنْ سُفْيَانَ، حَدَّثَنِي عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ فُلاَنِ بْنِ أَبِي رَبِيعَةَ، - قَالَ أَبُو دَاوُدَ هُوَ عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ الْحَارِثِ بْنِ عَيَّاشِ بْنِ أَبِي رَبِيعَةَ - عَنْ حَكِيمِ بْنِ حَكِيمٍ، عَنْ نَافِعِ بْنِ جُبَيْرِ بْنِ مُطْعِمٍ، عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ أَمَّنِي جِبْرِيلُ عَلَيْهِ السَّلاَمُ عِنْدَ الْبَيْتِ مَرَّتَيْنِ فَصَلَّى بِيَ الظُّهْرَ حِينَ زَالَتِ الشَّمْسُ وَكَانَتْ قَدْرَ الشِّرَاكِ وَصَلَّى بِيَ الْعَصْرَ حِينَ كَانَ ظِلُّهُ مِثْلَهُ وَصَلَّى بِيَ - يَعْنِي الْمَغْرِبَ - حِينَ أَفْطَرَ الصَّائِمُ وَصَلَّى بِيَ الْعِشَاءَ حِينَ غَابَ الشَّفَقُ وَصَلَّى بِيَ الْفَجْرَ حِينَ حَرُمَ الطَّعَامُ وَالشَّرَابُ عَلَى الصَّائِمِ فَلَمَّا كَانَ الْغَدُ صَلَّى بِيَ الظُّهْرَ حِينَ كَانَ ظِلُّهُ مِثْلَهُ وَصَلَّى بِيَ الْعَصْرَ حِينَ كَانَ ظِلُّهُ مِثْلَيْهِ وَصَلَّى بِيَ الْمَغْرِبَ حِينَ أَفْطَرَ الصَّائِمُ وَصَلَّى بِيَ الْعِشَاءَ إِلَى ثُلُثِ اللَّيْلِ وَصَلَّى بِيَ الْفَجْرَ فَأَسْفَرَ ثُمَّ الْتَفَتَ إِلَىَّ فَقَالَ يَا مُحَمَّدُ هَذَا وَقْتُ الأَنْبِيَاءِ مِنْ قَبْلِكَ وَالْوَقْتُ مَا بَيْنَ هَذَيْنِ الْوَقْتَيْنِ ‏"‏ ‏.

Hazrat Ibn e Abbas r.a. Ne Bayan Farmaya Ke Rasool Allah ﷺ Nay Irshad Farmaya: Jibraeel e Ameen Alihis Salam Ne Kaaba Muazzma Ke Pas Do (2) Martaba Meri Imamat Karai. Pas Unho Ne Mujhe Zohar Ki Namaz Padhai Jab Ke Sooraj Dhal Gaya Tha Aur Abhi Is Ki Miqdar Tasmay (laces) Kah Barabar Thi Aur Asar Ki Namaz Padhai Jab Ke Saya Ek Mishl Huwa Tha Aur Maghrib Ki Namaz Padhai Jab Ke Rozadaar Roza Iftar Karta Hai Aur Isha Ki Namaz Padhai Jab Shfaq (twilight) Guroob Hua Aur Fajr Ki Namaz Padhai Jab Kah Rozadar Par Khana Peena Haram Ho Jata Hai.

Aur Jab Dusra Din Hua To Unhone Mujhy Zohar Ki Namaz Padhai Jab Ke Saya Ek Mishl Tha Aur Asar Ki Namaz Padhai Jab Ke Saya Do Mishl Tha Aur Maghrib Ki Namaz Padhai Jab Rozadar Roza Iftar Karta Hai. Aur Isha Ki Namaz Padhai Jab Ke Raat Ka Teesra Hissa Guzar Chuka Tha Aur Subha Ki Namaz Padhai Jab Munasib Roshni Thi.

Fir (Jibraeel) Meri Taraf Mutawajje Hue Aur Kaha: Aye Muhammad ﷺ ! Ye Ap Se Pahle Aane Wale Ambiya Alihimus Salam Ka Waqt E Namaz Hai Aur Namaz Ka Waqat In Dono Waqtoon Kay Darmiyan Hai.

Sunan Abu Dawood: Kitab as Salah, Hadith- 393. Sunan Tirmizi: Kitab as Salah, Hadith- 149. Ise Imam Tirmizi, Imam Ibn e Khuzaima, Imam Haakim, Imam Zahabi aur Imam Abu Bakar ibn al Arabi ne Saheeh kaha hai.

Imamat Jibraeel a.s. Ki Is Hadees Se Ma’aloom Hua Ke Namaz Ka Darja Itna Buland, Iski Ahmiyat Allah Ke Nazdeek Itni A’ala O Rafe’e Aur Ise Maqsoos Haiyyat, Muqarra Qaedo’n, Muta’aina Zaabto’n Aur Nihayat Khushu O Khuzo Se Ada Karna Is Qadr Zaroori Hai Ke Allah Ta’ala Ne Ta’aleem E Ummat Ke Liye Jibraeel Ko Imam E Ambiya Ke Paas Bheja. Jibraeel A.s. Ne Allah Ke Hukm Ke Mutabiq Rasool Allah ﷺ   Ko Namaz Ki Kaifiyat, Haiyyat, Iske Auqaat Aur Iske Qaede Sikhae Aur Fir Aap Jibraeel A.s. Ki Baate Aur Sikhae Hue Waqto’n, Tareeqo’n, Qaedo’n Aur Zaabto’n Ke Mutabiq Namaz Padhte Rahe Aur Ummat Ko Bhi Yahi Hukam Diya Ke "Tum Us Tarha Namaz Padho Jis Tarha Tum Mujhe Namaz Padhte Hue Dekhte Ho."  (Sahih al Bukhari: Kitab al Azan, Hadith- 631).
Read More »

20 May 2018

Kya Masaa'il Hal Karne Ke Liye Namaz Me Taakheer (delay) Jaiz Hai ?


Agar koi Musalman do (2) afraad ya do girohoon ke maabain sulah karne ke liye jaye aur namaz ka waqt ho jaye, aur use andesha ho ke agar majmaa bikhar gaya to fir sulah mumkin nahi ho gi to aisi soorat mein pahli jamaat se namaz moakhhar karne mein koi harj nahi hai, lehaza woh baad mein namaz ba-jamaat ada kare ya agar jamaat na bhi mile to akaile hi namaz ada kar le, ye jamaat chorney ya jamaat ko qadray moakhhar karne ke liye uzr ban sakta hai.

Sahl ibn Sa‘d r.a. kahte hain ke Banu ‘Amr ibn ‘Awf ke kuch afraad ki baahmi takraar (dispute) thi to Nabi ﷺ apne chand sahaba ke sath un ke paas sulah karwane ke liye gaye aur namaz ka waqt ho gaya lekin Aap ﷺ wapas na aaye. Bilal r.a. ne namaz ke liye Azaan kah di, Nabi ﷺ fir bhi wapas na pohonch paye, To Bilal r.a. Abu Bakr Siddique r.a. ke paas aaye aur batlaya ke Nabi ﷺ namaz ke liye nahi pohonch sake aur namaz ka waqt ho gaya hai to kya Ap logon ki jamaat karwaoge? Toh unhone kaha : Agar tum kahte ho to padha deta hu, toh is par Bilal r.a. ne Iqamat kahi aur Abu Bakr r.a. ne jamaat karwai..

Bukhari, Hadith- 2690. Sahih Muslim, Hadith-421.

Aur agar ye wo namaz ho jise aane wali namaz yani Zohr ko Asar ke sath ya Maghrib ko Isha ke sath ada kiya ja sake toh is namaz ko aane wali namaz ke sath milane ki ijazat hai, is mein koi harj nahi, dono namaze jama ki ja sakti hain.

Ahadees uzr ki soorat mein do namazon ko jama karne ki ijazat deti hain chahe ek shaks ghar me hi ho aur wo safar ki halat me na ho.

Ibn e Abbas r.a. se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne Madeena mein Zohar aur Asar ko jama karke padha. Hala’nke wahan na (dushman ka) kahuf tha aur na hi safar ki halat thi..

Ibne Abbas r.a. se poocha gaya ke Aap ne aisa kyo’n kiya toh unho’n ne ye jawab diya ke Aap ﷺ apni Ummat ko mushkil mein nahi dalna chahte the.

Sahih Muslim, hadith -1516.

Ibn Rajab al-Hanbali r.h. kahte hain, "Imam Ahmad ne sarahat (bina shak) ke sath zaruri kaam ke wajah se do namazon ko jama karne ki ijazat di hai".

Aur Ibn Sireen r.h. kahte hai, "Zarurat aur kaam ki wajah se do (2) Namazon ko jama karne mein koi harj nahi hai, Albatta ise aadat nahi banaya ja sakta". End quote.

Fath al-Baari by Ibn Rajab (3/93).

Lekin ek namaz ko moakhar (delay) kar ke aisi namaz ke sath ada karna jis ke sath namaz jama kar ke ada karna jaiz na ho [maslan : asar ko maghrib ke sath jama karna, aur Fajar ko Zuhar ke sath jama karna] to aisa amal durust nahi hai.

Balke wajib yahi hai ke namaz ko is ke waqt mein hi ada kya jaye, chunancha woh masjid ki namaz ba-jamaat logon mein sulah ki gharz se chhor de aur fir jin ki sulah karwa raha hai un ke sath ba-jamaat namaz ada kar le, taake logon ke bikharne se pahle sulah bhi ho jaye aur namaz bhi ba jamaat ada ho jaye.

Aur Allah sab se behtar janta hai.
Read More »