اقرأ باسم ربك الذي خلق

20 Jul 2018

Kisko Suna Jaye Aur Deen Ka Ilm Kisse Liya Jaye


Sawal: Apke mutabik ham Deen ka ilm kisse hasil kare aur kise sune aur kise na sune kyuki kuch log kahte hai ki agar hamne apne alawa dusro ko sunne ki ijazat dedi to wo bhatak sakte hai ?

Jawab:

Alhamdulillah..

Jis had tak Allah ne mujhe Ilm se nawaza hai, Mai is chiz ko Do (2) nukhta se dekhta hu. Pahla ye ki Deen kisse sikha jaye aur Dusra ye ki kisko suna jaye aur kisko nahi.

Sabse pahle ye jaan le ki kisi ko apna ustaad maan kar ilm hasil karna aur kisi ki koi baat sunne me fark hai. Maslan maine tahkeek ki aur fir ye paya ki fula shaks us usool se Deen sikhta aur sikhata hai jo usool mujhe haq lagta hai to ab mai usse Deen ka ilm hasil karunga.

Lekin agar mai apne kisi ustaad se ilm sikhta hu aur ek shaks mere paas aakar kahta hai ki dekho tumhare ustaad ki ye baat Quran aur sunnat ke khilaf hai aur mujhe wo apne kisi ustaad ka clip dikhata ya sunata hai to use sunna kahenge. Mai ye nahi kah sakta ki kyuki tumhare ustaad fula jamaat se hai isliye mai unki koi baat nahi sununga kyuki agar maine aesa kah diya to fir ye Taqleed hogi kyuki ab to maine aankh aur aql band kar li hai daleel milne ke bawujud.

Isi tarha jaise mai videos browse kar raha jisme mujhe kisi shaykh ki koi speech nazar agai aur mai use sunne lage aur mujhe unki baat samajh aane lagi halaki wo mere Jamaat ke nahi hai. To ise sunna kahenge na ki baqaidgi se ilm hasil karna kisi se.

Isliye kisi se ilm hasil karna aur kisi ki baat sunna, in dono me fark hai. Aur isi liye iske ahkaam bhi alag honge. Mai isi do (2) talluq se aage ki baate bayan karta hu in shaa Allah.

1۞ Deen Ka Ilm Kin Logo Se Hasil Kiya Jaye:

Is sawal ka jawab hame Quran ya sahih hadees me saaf taur par nahi milta hai. Islam me Ilm hasil karne ki bunyad 3 chizo par hai. Quran, Sahih Hadees aur Ummat ka Ijma. In teen chiz ki daleel ye hai:

۩ Jabir bin Abdullah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya,
"... Sabse behtareen kalaam Allah ki kitab hai aur sabse behtareen tareeqa Muhammad ﷺ ka tareeqa hai. sabse badtareen kaam Deen mein nayee nayee baaton ka paida karna hai …”

Sahih Muslim, Kitab al Juma, hadith- 2005.

۩ RasoolAllah ﷺ ne farmaya ki meri Ummat kabhi gumrahi par jama nahi hogi.

Mustadrak al-Haakim, volume- 1, page-116, Hadith- 399. Classed as Sahih by Shaykh Zubair Ali Zai.

Toh Ijma ka manna bhi sahih hadees ke manne ki tarha hai kyuki Ijma ki hujjat sahih hadees se sabit hoti hai. Toh Deen ka Ilm ap unse sikhe jo in teen chiz (Quran, Sahih Hadees, Ijma) ke mutabik apko Deen sikhate hai. 

۩ Imam Shafi r.h. farmate hai, "Kitab Allah (Quran) ya Sunnat e Rasool ﷺ (Sahih hadees) ke alawa koi qawl paband (binding) nahi hai."

Jimaa’ al-‘Ilm, page-11.


۩ Imam Shafi r.h. farmate hai, "Kisi ka bhi kabhi ye haq nahi hai ki wo bagair ilm ke kisi chiz ko halaal ya haraam kahe, aur Ilm Qur’aan ya Sunnah, ya ijmaa’ (scholarly consensus) ya qiyaas (analogy) ki ibarat (text) hai. End quote.

Al-Risaalah, page-39.

Lekin Agar Quran, Sahih hadees aur Ijma ke zarye Deen sikhane walo me bhi apko do (2) raaye nazar aate ho toh ap unlogo maise unse Deen sikhe jo hamare aslaaf (salaf as saaleh) ke tarike par Deen ko sikhate ho. Aur sirf zubani-kalami nahi balki unke tarike aur unke bayanat me nazar aye ye salaf ka raasta.

Yaani jab koi raaye Quran, sunnat aur Ijma me na mile to ap dekhe ki hamare aslaaf ki kya raaye thi us muamle me. Ye mujhe behtar tarika lagta hai kyuki wo log RasoolAllah ke zyada kareeb the baaki logo se. Aur RasoolAllah ﷺ ne khud unhe behtar zamana karar diya hai. Aur hamare aslaaf RasoolAllah ke baad sirf Sahaba, Tabaeen aur Tabe-Tabaeen hai aur koi nahi, jaisa ki hadees me zikr hai:

Abdullah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Sabse behtareen log mere zamane ke hai (RasoolAllah aur sahaba), aur fir wo jo iske baad ayenge (tabaeen), aur fir wo jo uske baad ayenge (tabe-tabaeen).”

Sahih al Bukhari, Kitab Ar Riqaaq, hadith- 6429.

Isliye Quran aur sahih hadees ke baad inki raaye par tawajjo diya jaye kyuki baaki logo se behtar in logo ne Deen ko samjha tha. Aur jaise apko hadeeso ke zarye malum hoga ki hamare aslaaf me bhi kayi muamle me ikhtilaf hue, toh agar inki raaye me ikhtilaf ho to fir ham wapis Quran aur sahih hadees ke taraf lautenge jaisa ki Allah ne hame Surah Nisa ayat - 59 me hukm diya hai. Isliye sahaba ho ya tabaeen ya tabe-tabaeen, inki baat ko ham sirf tab tak hi manenge jab tak ki inki raaye Quran aur sunnat se na taqraati ho kyuki puri Ummat ka ijma hai ki sirf RasoolAllah hi wo hasti the jo khatao (mistakes) se Allah ki hifazat me the aur kisi shaks ki ye haisiyat nahi ki uski baat Allah aur uske Rasool ke barabar rakha jaye aur usko aakhri authority mana jaye.

Aur ye khud hamare sahabao ka tarika raha hai ki jab unme bhi kabhi ikhtilaf hota tha to wo apne ikhtilaf ko Allah aur uske Rasool ki taraf lautaate the. Isi baat ka hukm Allah ne hame Surah Nisa ayat 59 me diya hai aur maine ek article banaya tha jisme maine boht si misaale di thi ki jab bhi sahaba me kabhi apas me ikhtilaf hote the aur unhe jab unki galti par hadeese batayi jaati thi toh wo fauran ruju kar liya karte the (wo article padhe).

2۞ Kisko Suna Jaaye Aur Kisko Nahi:

Mujhe sawal sun kar ye mahsoos ho raha hai ki kuch log hai jo aasmaan se mamoor hue hai unhone aapko ijazat deni hai ki kisko suna jaye aur kisko nahi. 

Sawal ye keh rahaa hai ke hum logon ko kaise ijazat de de ki wo hamare firqe ko chor kar dusre logo ki baat sune? Is par mai puchta hu ki Aapki kya haisiyat hai logo ko ijazat dene ki, ki kisko suna jaye kisko nahi? Ye ijazat khuda aur khuda ka paigambar de chuka hai. 

Unhone saaf saaf apni kitab me ye aelaan kar diya hai ke Nubuwat khatm ho gayi hai. Ab logon ka kaam hai ke wo daleel ki bunyad par jis chiz ko chahe qubul kare. Isme bilkul aise mehsoos hota hai ke koi khas tabaqa hai jo aasman se utra hai ki usko faisla karna hai ke logon ko kis chiz ki ijazat deni hai aur kis chiz ki ijazat nahi deni hai. 

Mai to ye arz kar rahaa hoon ke ye to mazhab ke andar sawaal puchne ka muamla hai. 

Quran e majid to apne paigam ke bareme, jo saari duniya ke liye hai. Ye kahta hai ke :

"Man Sha'a Fal Yu'min Wa Man Sha'a Fal Yakfur."

Kahdo Ki Ye Tumhare Rab Ki Taraf Se Sach hai, Ab Jo Chaahe Eemaan Laaye Aur Jo Chaahe inkaar Kare.

Surah Kahf, Ayat- 29.

Ye Insaan ka buniyadi haq hai, ye usse koi bhi nahi chheen sakta. Usi ko faisla karna hai aur ap logon ko talqeen (mashwara) kar sakte hai wo sirf ye hai ye faisla khwahish ki buniyad pe na kijiye, daleel ke buniyad par kijiye. 

Hume logo ko Sirf educate karna hai. Lekin khuda logon ko ye faisla karne ka haq de chuka hai. To mai is haq ko aapse wapis nahi le sakta. Aur koi dusra bhi nahi le sakta. 

Is wajah se kisi ko bhi ye kahna ka haq nahi hai ke hum logon ko kaise ijazat de den ki wo dusro ko sune? 

Sawal ye hai ki ye ijazat dene ke liye aapke paas kya ikhteyaar-naamaa (certificate) hai? Wo dikha dijiye.. 

Aapke paas bhi wohi usool hai, ke apne jis chiz ko sahih samjha us chiz ko qubul kiya. Logon ke paas bhi yahi usool hai.

Logon ko Allah Ta’ala ne itni samajh, itna fahem de rakha hua hai ke agar woh sanjeedagi (seriousness) ke saath sahih baat ko janna chahenge to uski salahiyat unke andar moujud hai. Aur logo ke fahem par aitmaad karna chahiye. 

Allah pak Quran me farmate hai,

Aur Jo Hamare Rasto Me Jiddo-jahed Karenge, Ham Beshak Unhe Apni Raahe Dikha Denge. Aur Beshak Allah Neki Karne Walo Ke Sath Hai.

Surah Ankabut (29), Ayat 69.

To ab ye hamari tension nahi hai ki agar hamne use kisi ko bhi sunne ki ijazat dedi toh wo bhatak sakta hai, Allah pak upar ki ayat me wada kar rahe hai ki jo sach me haq ko talash karne wala hoga use Allah haq ka rasta dikha denge.

Aur agar yahi usool maan liya jaye ki sirf apne Jamaat ke logo ko sunna hai dusro ko nahi sunna hai to ek Qadyani zindagi bhar Qadyani hi rahe, ek shia sirf shia hi rahe zindagi bhar.

Aur Un Se Jab Kabhi Kaha Jata Hai Ke Allah Ta’ala Ki Utaari Hui Kitaab Ki Taraf Aao, Toh Wo Jawaab Dete Hai Ke Hum To Usi Tariqe Ki Pairwi Karenge Jis Par Hum Ne Apne Baap-dadaao Ko Paya Hai, Goya Un Ke Baap Daada Be-ilm Ho Aur Hidayt-yafta Bhi Na Ho.

Surah Baqara, Ayat-170.
•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame sirat e mustaqeem ata kare. aameen
Read More »

19 Jul 2018

Kya Saare Nek Ustaad Salafi Hote Hai ?

en     hi - 
۞ Aaiye ye sawal khud salafi alim Shaykh Saleh al Munajjid se puchte hai,

Shaykh Saleh al Munajjid salaf ka raasta samjhate hue kahte hai:

"... Lekin iska matlab ye nahi hai ki saare nek shaykh (ustaad) salafi hote hai ya fir saare salafi nek hai aur dusre log nek nahi hai, Nahi ! Ye muamla nahi hai.

Taqwa ka matlab wo amal karna jiska Allah aur uske Rasool ﷺ ne hukm diya hai aur us chiz se ruk jana jis chiz se Allah aur uske Rasool ne roka hai. Har shaks jo Allah aur uske Rasool ki itaat karta hai aur unki nafarmani se bachta hai wo Allah ki roshni ki pairwi kar raha hai aur wo muttaqi (pious) hai. Har shaks jo Allah ki nafarmani karta hai uski parhezgari me utni kami hai jitna wo nafarmani ya gunah karta hai.

Agar Taqwa se yahi murad hai to wo itni aasani se, khud ko salafi ya kuch aur kahne se hasil nahi hogi, ya kisi Jamaat (group) me shamil hone se. Balki ek shaks jitna zyada Taqwa ki wujuhat ko hasil karta hai - jaise Allah ke bareme (ilm) sikhna aur uske shariyat (law) ke bareme aur us par amal karna - utna zyada usko Taqwe ka hissa milega aur Islam me utna hi zyada uska darja buland hoga. 

... Jaise ki Islam aur Musalman jo karta hai isme fark karna zaruri hai, (isi tarha) Salafi manhaj aur Salafio me fark karna zaruri hai."


Shaykh ke is raaye ka khulasa (conclusion) yahi hua ki zaruri nahi ki apke Ustaad wahi ho jo apne apko salafi kahte ho balki agar koi apne apko salafi na kahe to wo bhi nek ustaad ho sakta hai kyuki amal zaruri hai naam nahi. Allah ke hukm par amal karna aur uski nafarmanio se bachna, iske zarye faisla hoga qayamat ke din na ki naamo se faisle hone hai qayamat ke din.

۞ Ek dusre alim aur Muhaddis Shaykh Zubair Ali Zai ki bhi kuch aesi hi raaye hai, aaiye dekhte hai:

Shaykh Zubair Ali Zai ek hadees ko samjhate hue kahte hai:

"Is Silsile Me Dr. Farhat Hashmi Ki Takreer "Ar Rijalu Qawwamuna Alan Nisayi" Ke Mauzu Par Bohut Mufeed Hai Jo Ki Cassette Ki Surat Me Market Me Dastiyab Hai."

Mahnama al Hadith Hazro by Shaykh Zubair Ali Zai, volume-50, page -13.
[scan: full page, specific paragrah].

Ab jaise ki apke ilm me hoga ki Dr. Farhat Hashmi apne apko Salafi kahna pasand nahi karti, wo apne apko sirf Muslim hi kahna pasand karti hai fir bhi Shaykh Zubair Ali Zai unki taareef karte hai aur unse Deen ka ilm lene ki salaah dete hai.

۞ Ek aur (salafi) Alim hai jinka naam Shaykh Asim Al Hakeem hai. Unse bhi jab ek shaks sawal puchta hai ki kya Dr. Farhat Hashmi se ilm le sakte hai toh wo kahte hai ki agar unke taqreer me badi galtiya nahi paayi jati hai to unse Deen ka ilm le sakte hai. [source]

Zara gaur kare ki Shaykh ye nahi kahte hai ki kyuki wo salafi nahi hai isliye unse Deen ka ilm hasil na kiya jaye.

Aur yahi tarika shuru se hamare ahle ilmo me raha hai. Abu Bakr, Umar, Usman, Ali, Hasan al-Basri r.h. , Ata ibn Abi Rabah r.h. , Imam Abu Haneefah, Imam Shafi, Imam Ahmad, Imam Malik, Imam Tabari, Imam Bukhari Imam Muslim, Imam Tirmidhi, Imam ibn Hajr asqalani, Imam Nawawi, Imam ibn Kaseer, ye sab bade Ustaado maise hai aur inlogo ne khud ko kabhi bhi salafi nahi kaha. Aur ye log ham sab ke, yaha tak ke khud salafi bhaiyo ke bhi ustaad hai aur ham sab inse Deen sikhte hai. Jab in logo se deen sikhne me hame ye nazar nahi aata ki ye salafi hai ya nahi fir aj ke zamane me ham kyu ye kahte hai ki agar koi salafi nahi to unse Deen ka ilm nahi le sakte. Kuch logo ko ye galat-fehmi ho sakti hai ki us zamane me firqe nahi the. Aesa nahi hai, Firqe to sahaba ke zamane se hi banna shuru ho gaya the aur Khawarij uski ek misaal hai jiska zikr Bukhari aur Muslim me hai.

•٠•●●•٠•
Read More »

17 Jul 2018

Shaykh Zubair Ali Zai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai


Shaykh Zubair Ali Zai ek hadees ko samjhate hue Dr. Farhat Hashmi ki taareef karte hai aur unke bayan ko sunne ki naseehat karte hai.

Shaykh Zubair Ali Zai kahte hai:

"Is Silsile Me Dr. Farhat Hashmi Ki Takreer "Ar Rijalu Qawwamuna Alan Nisayi" Ke Mauzu Par Bohut Mufeed Hai Jo Ki Cassette Ki Surat Me Market Me Dastiyab Hai."

Mahnama al Hadith Hazro by Shaykh Zubair Ali Zai, volume-50, page -13.

Isse un logo ki baat ka bhi radd hota hai jo kahte hai ki bas hamare hi title wale ulema se Deen ki baate sikhni chahiye, kyuki ap sab ko malum hoga ki Shaykh Zubair Ali Zai apne apko ahle hadith kahna pasand karte the jab ki Dr. Farhat Hashmi apne apko sirf Muslim hi kahna pasand karti hai. Iska matlab yahi hua ki khair ki baate ap kahee se bhi le sakte hai jab tak wo Quran aur sahih hadith ke mutabik ho.

Yahi baat Shaykh Asim Al Hakeem [Salafi alim] bhi kahte hai

Shaykh Asim Al Hakeem se sawal kiya gaya. "Mera sawal ye hai ki kya ham Dr. Farhat Hashmi ki tafseer le sakte hai ? Maine abhi jald hi dekha hai ki Dr. Murtaza Bakhsh ek video me kahte hai ki unka aqeedah sahih nahi hai.. mai waqai me unke audios ko boht zyada sunta hu. Baraye baherbani isme meri madad kare."

Shaykh Asim Al Hakeem iske jawab me farmate hai:

"Mai nahi janta ki ye Dr. Murtaza Bakhsh kaun shaks hai lekin agar wo subut deta hai inki tafseer se aur wo (galati ke alfaz) Dr. Farhat hashmi ke zuban se hi nikli ho, jise suna jaa sake (yaani Murtaza Bakhs sirf ilzam hi na lagaye balki unki galti ko sunaye khud Dr. Farhat ki clip se) aur usme sangeen galti (serious mistake) ho, fir apko unhe nahi sunna chahiye.

Lekin, agar wo (Murtaza Baksh) unki burai karta hai bina daleel ke aur bas unki aur sabhi dusre ulema ki aur daaes ki tanqeed (criticize) karta hai jo log uske maslaq (cult) ki pairwi nahi karte jise wo naam-nihad manhaj kahta hai jaise ki kuch Neo Salafi hai, toh fir apko inhe  (Murtaza Baksh ko) nazar-andaaz karna chahiye aur inke taraf koi tawajjo nahi dena chahiye." End quote.
•٠•●●•٠•

۞ Dr. Farhat Hashmi ke lectures apko unke is App se mil sakenge:

۩ Android     ۩ iOS

۞ Is (Iqra') website ka Android App: 

Read More »

Islah Aur Haq Ka Raasta


Islah ka rasta kabhi bhi phool bhara rasta nahi hoga apke liye. Isme hamesha apko takleef aur tanz ka saamna karna padega. Kyuki insani fitrat hi aesi hai ki jab bhi ap kisi ko us raste ki taraf bulaoge jis par wo ya unke baap-dada na chale ho to wo itni asani se us raste ke taraf aamaada nahi hote. Badle me wo apne alawa baaki rasto se ikhtilaf karenge, apko baate sunanege, apko tanz karenge, ap par ilzam lagayenge.

Aur ye Allah ka aesa qanun hai ki isse Ambiya e karaam bhi na bach sake hai. Ambiya e karaam ko bhi inhi takleefo se guzarna pada hai. Wo isliye bhi kyuki agar apko ek badi manzil paani hai to apko mehnat aur qurbani to deni padegi. Ambiya e karaam, sahaba e karaam aur hamare aslaaf ki zindagi is qurbani aur takleefo se bhari padi hai. Sahaba ne to apni jaane bhi luta di is raste ke liye.

Hame unki zindagi se ye sikhna hoga ki ham kabhi bhi haq ke khilaf koi sauda na kare. Ham hamesha haq ka parcham lahraaye, wo kyuna kitni hi museebato, takleefo, tanz aur ilzamo ka samna karna pade. Agar ap bas apne logo ko khush karne me lage rahenge to kabhi bhi ap haq nahi kah sakte, wo baat alag hai ki haq ko untak behtreen akhlaq aur aadab e islah ko nazar me rakh kar pohchaya jaye jaise hamare Rasool aur aslaaf pohchaya karte the. Lekin agar ap haq is liye na bole ki apke chahne wale apse naraz ho jayenge, ap par taan o tashnee shuru kar denge, ap par ilzam tarashi shuru kar denge to ye soch le ki ap kabhi bhi haq ke musafir nahi ban sakte, ap kabhi bhi hamare Nabi aur aslaaf ke tarike par nahi ho sakte.

Zindagi me hamesha apke raste me Do (2) mod (turn) ayega. Ek mod to ye hoga ki us par phool ke raste biche honge, us par na apko taan o tashnee sunni padegi na hi khud par jhute ilzamaat sunna padega aur na hi apko koi qurbani deni hogi lekin us raste par apko kabhi haq ka koi musafir nahi milega, us raste par sirf khawhishe hongi.

Ek dusra rasta hoga jo kaanto se bicha hoga us raste par safar karna mushkil dikhyai dega jo ki takleefo se bhara hoga, us raste par apko apno ki narazgi leni padegi, apko taan o tashnee sunni padegi apko mushkilo ka samna karna padega. Lekin apko us raste par RasoolAllah ki sohbat milegi, apko us raste par sahaba e karaam milenge, apko us raste par nek aslaaf milenge. Aur us raste ke aakhir me apko Allah ki Jannat aur usse badi chiz apne Rab ki raza milegi jo apse kah raha hoga ki tumhara imtehan ab khatm hua, Tum mujhse raazi the aur ab mai tumse raazi hua. Tumhare liye ab Jannat me hamesha ki zindagi hai jinke niche nahre bah rahi haii, jaha par tum ko paak biwiya milengi. Aur yahi asal qamyabi hai.

Jinhone haq ka sath diya aur haq ke sath khade hue, apne logo ki mukhalifat ki parwaah kiye bagair wo Abu Bakr aur Umar kah laaye. Aur jin logo ne haq ka inkar kiya wo Abu Jahal kah laaye. Ab apko ye taye karna hai ki apko kiska sath dena hai. Apko kiske sath rahna hai akhirat me.

Ap jitne bhi unche muqam par pahuch jaye, apko hmesha ilm ke imtehan se guzarna padega. Apko us unche muqam ko chor kar aur zyada uncha muqam milega agar ap us ilm ke imtehaan me qamyab ho gaye. Us unche muqam par fir apko unlogo ka sath chorna hoga jinka sath aapne apno ko chor kar pakda tha, kyuki ye dunyawi imtehan ka sirf ek mod nahi hai, har raste me Allah apko aazmayega aur isi liye Jannat me 7 darje hai. Iski misaal Salman Farsi r.a. hai jo ki sabse pahle aatish-parast the fir wo Isaai hue aur fir wo Muslim hue. Jitni zyada mahnat, jitni zyada qurbani, jitna zyada Taqwa, utna hi bada darja jannat me. Hamesha khud se ye sawal puchte rahe:
۩ Kya Humne Apne Apko Taa'subaat Se Pak Karne Ki Koshish Ki Hai ?
۩ Kya Hum Ab Bhi Jazbaat Main Beh Jate Hein ?
۩ Kya Ab Bhi Hum Usi Jagah Par Khade Hain Ke Pahle Agar Ek Shakhs Ki Aqeedat (Andhi-takleed ; Blind-following) Main Mubtala The Toh Ab Kisi Doosray Shakhs Ki Aqeedat Main Mubtala Hogye Hain ?
۩  Kya Is Ilm Ke Safar Main Waqayi Ab Hum Khalis Daleel Ki Bunyaad Par Cheezo Ko Samjhte Hain ?
۩ Agar Koi Hamari Maani Hui Raa'ye Se Mukhtalif Cheez Ki Taraf Humain Bulaye To Hamara Response Gair Tassubana Hota Hai ?
۩ Kya Hum Aj Bhi Poori Tawajjoh Se Uski Bat Sun'nay Ke Liye Amaa'da Hojaty Hain ?
۩ Kya Hamary Andar Ye Cheez Moujood Hai Ke Agar Hamari Ghalti Hum Par Waa'zeh Ki Jayegi Toh Hum Haq Ko Maan Lenge ?
Abu Hurairah r.a. riwayat Karte Hai aur wo Kahte Hai Ki, Log Kahte Hai Ke Abu Hurairah Bohot Haadeese Bayaan Karte Hai. (Aur Mai Kahta Hu Ke) Quran Me 2 Aayate Na Hoti To Mai Ek Bhi Hadith Bayan Na Karta. [fir Ye Aayat Padhi, (Tarjuma)].. “Jo Log Allah Ki Naazil Ki Hui Daleelo Aur Aayato Ko Chupate Hai…( Aakhir Aayat, رحيم) Tak.” [surah Baqara, Ayat- 159 And 160].
(Waqya Ye Hai Ke) Humare Muhajireen Bhai To Bazaar Ki Khareed O Farokht Me Lage Rahte The Aur Ansaar Bhai Apni Jaayedado (properties) Me Mashgool Rahte The Lekin Mai (Abu Huraira) Rasool ﷺ Ke Sath Jee Bhar Kar Rahta Aur Un Majliso Me Hazir Rahta Jinme Dusre Haazir Na Hote Aur Wo Baate Mahfooz Rakhta Jo Dusre Mahfoz Nahi Rakhte The.”

Sahih Al Bukhari, Kitab al Ilm, Hadith-118.

Zindagi apki, Faisla apka, Amal apka, Kabr me hisaab apse, aur Jaza ya saza bhi ap hi se.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame Ilm ke safar ka sachha musafir banaye rakhe. aameen.
Read More »

16 Jul 2018

Firqo Se Alag Ho Jao - Nabi ﷺ Ka Hukm

english  -
حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ مُوسَى، حَدَّثَنَا الْوَلِيدُ، قَالَ حَدَّثَنِي ابْنُ جَابِرٍ، قَالَ حَدَّثَنِي بُسْرُ بْنُ عُبَيْدِ اللَّهِ الْحَضْرَمِيُّ، قَالَ حَدَّثَنِي أَبُو إِدْرِيسَ الْخَوْلاَنِيُّ، أَنَّهُ سَمِعَ حُذَيْفَةَ بْنَ الْيَمَانِ، يَقُولُ كَانَ النَّاسُ يَسْأَلُونَ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم عَنِ الْخَيْرِ، وَكُنْتُ أَسْأَلُهُ عَنِ الشَّرِّ مَخَافَةَ أَنْ يُدْرِكَنِي‏.‏ فَقُلْتُ يَا رَسُولَ اللَّهِ إِنَّا كُنَّا فِي جَاهِلِيَّةٍ وَشَرٍّ، فَجَاءَنَا اللَّهُ بِهَذَا الْخَيْرِ، فَهَلْ بَعْدَ هَذَا الْخَيْرِ مِنْ شَرٍّ قَالَ ‏"‏ نَعَمْ ‏"‏‏.‏ قُلْتُ وَهَلْ بَعْدَ ذَلِكَ الشَّرِّ مِنْ خَيْرٍ قَالَ ‏"‏ نَعَمْ، وَفِيهِ دَخَنٌ ‏"‏‏.‏ قُلْتُ وَمَا دَخَنُهُ قَالَ ‏"‏ قَوْمٌ يَهْدُونَ بِغَيْرِ هَدْيِي تَعْرِفُ مِنْهُمْ وَتُنْكِرُ ‏"‏‏.‏ قُلْتُ فَهَلْ بَعْدَ ذَلِكَ الْخَيْرِ مِنْ شَرٍّ قَالَ ‏"‏ نَعَمْ دُعَاةٌ إِلَى أَبْوَابِ جَهَنَّمَ، مَنْ أَجَابَهُمْ إِلَيْهَا قَذَفُوهُ فِيهَا ‏"‏‏.‏ قُلْتُ يَا رَسُولَ اللَّهِ صِفْهُمْ لَنَا فَقَالَ ‏"‏ هُمْ مِنْ جِلْدَتِنَا، وَيَتَكَلَّمُونَ بِأَلْسِنَتِنَا ‏"‏ قُلْتُ فَمَا تَأْمُرُنِي إِنْ أَدْرَكَنِي ذَلِكَ قَالَ ‏"‏ تَلْزَمُ جَمَاعَةَ الْمُسْلِمِينَ وَإِمَامَهُمْ ‏"‏‏.‏ قُلْتُ فَإِنْ لَمْ يَكُنْ لَهُمْ جَمَاعَةٌ وَلاَ إِمَامٌ قَالَ ‏"‏ فَاعْتَزِلْ تِلْكَ الْفِرَقَ كُلَّهَا، وَلَوْ أَنْ تَعَضَّ بِأَصْلِ شَجَرَةٍ حَتَّى يُدْرِكَكَ الْمَوْتُ وَأَنْتَ عَلَى ذَلِكَ ‏"‏‏.

Hudhaifa bin Al-Yaman r.a. riwayat karte hai ki Log RasoolAllah ﷺ se khair wa bhalai ke mutallik puchte the lekin mai apse burai ke bareme pucha karta tha, is dar se ki kahi mai usme mubtilah na ho jau chunanche mai ne arz kiya: Ae Allah ke Rasool! Ham jahalat aur burai me mubtilah the ke Allah tala ne hame ye bhalai aur khair ata farmaya toh kya is khair ke baad fir koi shar (burai) hai? Ap ne farmaya: Ha, Maine arz kiya Kya us shar ke baad bhi koi khair hai? Apne farmaya: Ha aur usme thodi kharabi aur mail hai . Mai ne arz kiya: Us ki mael kya hai? Apne farmaya: Aese log jo meri sunnat ke alawa dusre tarike par chalenge aur mere hidayat ke elawa kisi nayi chizo ko ghadenge, un ke baaz aamaal ko mana jayega aur baaz ko na-pasand kiya jayega. Mai ne arz kiya: To kya is khair ke baad bhi koi shar hai? Ap ne farmaya: Ha, kuch log honge jo dusro ko jahannam ke darwaze ke taraf bulayenge, aur jo bhi unlogo ki baat qubul karega use is (jahannam) me jhok diya jayega.
 Maine arz kiya: Aye Allah ke Rasool! Hamare liye unka hal bayan farmaye. Aap ﷺ ne farmaya: Acha, wo hami maise honge, hamari hi zuban bolenge. Maine Arz kiya Ae Allah ke Rasool! Agar mai wo zamana paau to ap mujhe kis baat ka hukm farmate hai?

Aap ﷺ Ne Farmaya: Musalmano Ki Jamaah Aur Unke Imaam Ko Lazim Pakde Rakho. Maine Arz Kiya: Agar Musalman Ki Jamaah Aur Un Ke Imam Na Ho Tab Mai Kya Karu? Aap ﷺ Ne Farmaya: Tab Un Tamam Firko Se Juda Ho Jao Agarche Tumhe Darakht Ke Jado Ko Danto Se Chabana Pade, Hatta Ke Us Sabit Kadam Ke Halat Me Tumhari Maut Aa Jaye.

Sahih al Bukhari, Virtues and Merits of the Prophet (pbuh) and his Companions, hadith- 3606.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame tamam firqo se dur rakhe. aameen.
Read More »