اقرأ باسم ربك الذي خلق

7 Dec 2019

Maqaam e Ibraheem kya Hai?


Ibraheem aur Ismail a.s. ko Allah taala ne Kaaba ki taameer aur uski bunyado ko buland karne ka hukm diya.

Ap dono mil kar tameer ka kaam karte jaate aur duae padhte jaate:

۩ 'Aye hamare Rab, tu ham se qubul farma, beshak tu hi khoob sunne wala khoob janne waala hai.'

Surah Baqarah (2), ayat- 127.

Taameer ke kaam me madad ke liye Ismail a.s. ek chattaan le kar aaye jis par khade ho kar kaam muqammal kiya gaya,

Aur wahi chattaan Maqaam e Ibraaheem ke naam se mashhur hai jis par aaj bhi Aap ke qadmo ke nishan maujud hai.

•٠•●●•٠•
Read More »

27 Nov 2019

Kya Rukyah Sunne Se Rukyah ka Maqsad Pura Ho Jata Hai?

en   -
Is tarha se (Tape ya mobile phone se) ruqyah sunna faydemand hai in shaa Allah. Bahut se logo ne isse fayda uthaya hai, agarche ek shaks ke liye sabse acha yahi rahega ki wo khud se Quran ki tilawat kare, ya koi aur uske liye padhe.

Shaykh Abd al Azeez ibn Baaz r.h. ne fatawa diya tha jisme ye tha ki radio se Surah al Baqarah sunna, shaitaan ko ghar se bhagaane ke maqsad ko pura karta hai.

Majmoo‘ Fataawa ash-Shaykh Ibn Baaz (24/413).

•٠•●●•٠•

source: islamqa.info
Read More »

12 Oct 2019

Quran ki Tilawat ko Radio/Recording Se Chalana Aur Tilawat Par Dhyan Na Dena

  en  -
  Shaykh Abdul Azeez ibn Baaz r.h. se sawaal kiya gaya, 

Ghar se baahar family ya rishte-daaro se milne jaane ke waqt Quran pak ko ghar me radio ya recorder par chalane ka kya hukm hai?[Yaani jab ham ghar me maujud na ho to Quran ki tilawat laga kar ghar se bahar chale jana ka kya hukm hai?]

 Shaykh ka jawab 

“Is me koi harj nahi hai, agar aas paas me bekaar ki baate na ki ja rahi ho.

Agar (tilawat) ke nazdeek koi bekaar ki baate, ya bolna-chaalna ya bahes kar raha ho toh ye thik nahi hai. Fir ye behtar hoga ki tilawat ko chala kar na jaya jaye, aur ise band kar dena chahiye, kyuki ye ek tarha se Quran ki be-aetbi (disrespect) hai.

Lekin agar radio khula hua ho aur aas-paas koi na ho ya aas paas koi ho jo ise sun raha ho, ya khamosh ho, ya so raha ho, toh fir isme koi harj nahi hai.” alfaz khatm.

•٠•●●•٠•

Read More »

7 Oct 2019

Rasoolullah ﷺ ki Hadees ka Ahtaraam


۩ Imam Malik ke shagird Abu Salamah Mansoor bin Salamah bin Abdul Azeez al-Khuza'yi r.h. (d. 210 hijri) farmate hai:

کان مالک بن أنس إذا أراد أن یخرج لیحدّث، توضأ وضوءه للصّلاة، ولبس أحسن ثیابه، ولبس قلنسوةً، ومشط لحیته، فقیل له فی ذلک؟ فقال: أوقّربه حدیث رسول اللہ ﷺ-

'(Imam) Malik bin Anas (al-Madani r.h.) jab hadees bayaan karne ke liye (ghar se) baahar aate toh namaz waala wuzu karte, achhe kapde pahente, (sar par) topi rakhte aur apni daadhi ki kanghi karte the.

Is baare me jab Ap se pucha gaya toh farmaya, 'Is tarha, Mai Rasoolullah ﷺ ki hadees ki taazeem karta hu.''

Al-Jaami' li Akhlaq ar-raawi wa Aadab as-saami, 903. Iski sanad Shaykh Zubair ali zai ke nazdeek sahih hai.

۩ Ma'mar bin Raashid farmate hai,

“Qatadah (tabayeen) is baat ko na-pasand karte the ke Rasoolullah ﷺ ki hadeese bagair wuzu ke bayaan ki jaaye.”

Al-Jaami' li Akhlaq ar-raawi wa Aadab as-saami, 975. Iski sanad Shaykh Zubair ali zai ke nazdeek sahih hai.

Allah se dua hai ki wo hame amal ki taufeek ata kare. aameen.

•٠•●●•٠•

source: Maqalat by Zubair ali zai, jild- 2, safa- 565. [download]
Read More »

8 Sept 2019

Ashura ki Namaz


 Sawal 

Hamare muashre me kuch log 10 Muharram ko Ashura ki namaz padhte hai. Kya aesi koi namaz hamare deen me hai? Maherbani farma kar is mauzu par roshni daale.

 Jawab 

Alhamdulillah..

Maah e Muharram bahut hi azeem aur ba-barkat maheena hai. Ye maheena hijri saal ka pahla aur hurmat waale maheeno me se ek hai, jin ke baare me Allah taala ka farmaan hai:

'Haqeeqat yeh hai ke mahino ki tadaad jab se Allah ne aasmaan o zameen ko paida kiya hai, Allah ki kitab me baara (12) hi hai, aur in me se chaar hurmat waale (mahine) hai. Yahi thik zaabta hai lihaza in chaar (4) mahino me apne upar zulm na karo.'

Surah Tawba ﴾9﴿, ayat- 36.

Jaha tak ashure ki namaz ki baat hai toh hamare deen me aesi koi namaz nahi hai jo kitab ya sunnat me maujud ho. Ashure ki namaz aesi namaz hai jise na Rasoolullah ﷺ ne padhi, na hi kisi sahabi ne aur na hi hamare chaar imam ne. Lihaza ye deen me nayi baat shamil karna hai. Aur Deen me nayi baat shamil karna gumrahi hai jo jahannam me le jati hai.

۩ Ayesha r.a. riwayat karti hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Jisne hamare is deen me kuch aisi baat shamil ki jo usme se nai hai toh wo amal mardud hai.'

Sahih al bukhari, book of peacemaking ﴾53﴿, hadees- 2697.

۩ Jabir bin Abdullah r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'.. Sabse behtareen tareeqa Muhammad ﷺ ke tareeqa hai. Sabse badtareen kaam (Deen me) nayi-nayi baato ka paida karna hai, aur har biddat gumrahi hai.'

Sunan ibn majah, kitab as sunnah (muqaddamah), hadees- 45. Ise darussalaam ne sahih karaar diya hai.

Lihaza hame deen me nayi baat shamil karne aur us par amal karne se rukna chahiye aur wapis sunnat ke raaste par chalna chahiye.

Kuch log kah sakte hai ki namaz hi toh padhte hai, koi galat kaam thodi hai ki ye gunah hoga. Toh iske jawab me guzarish hai ki Allah aur uske Rasool ki nafarmani bhi toh gunah hai, chahe wo zahiri taur par sawaab ka kaam lage.

Misaal ke taur par Magrib ki farz rakat 3 hai. Ab koi kahe ki mai 1 rakat zyada padhna chahta hu 4 rakat, aur fir kahe namaz hi toh zyada padhi gai hai koi gunah ka kaam thodi kiya gaya hai. Ji ye bilkul gunah hai kyuki Apne Allah ke Rasool ke khilaf kaam kiya hai, unhone 3 padhne ko kaha tha aur ap 4 padh rahe hai. Ap ko namaz padhne ke liye gunah nahi milega lekin Rasool ke hukm ke khilaf kaam karne ka gunah milega.

۩ Sa'id Ibn al Musayyib r.h. (Tabaeen) ne ek shaks ko suraj tulu hone ke baad do rakat se zyada padhte hue dekha, sajda aur ruko me izafa karte hue, toh unhone use mana kiya ye karne se. Us shaks ne jawab diya: 'Aye Aba Muhammad, kya Allah mujhe namaz padhne ke liye saza dega? Unhone kaha: 'nahi, Lekin Wo Tumhe Sunnat Se Ikhtilaf Karne Ke Liye Saza Dega'.

Sunan al kubra, 2/466.

۩ Sahl bin Sa'd r.a. riwayat karte hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'(Qayamat ke din) Mere kuch saathi hauz e kausar par mere saamne laaye jayenge aur mai unhe pahchan lunga lekin fir woh mere samne se hata diye jayenge. Mai is par kahunga ki yeh toh mere saathi hai. Lekin mujh se kaha jayega ke Aap ko maloom nahi ke unhone aap ke baad kya kya nayi cheeze ijaad kar li thi.
Is par mai kahunga ke dur ho woh shakhs jis ne mere baad deen me tabdeeli kar li thi.'

Sahih al bukhari, kitab ur-riqaaq, ﴾81﴿, hadees- 6582, 6584.

Mazeed dalail ke liye ye article padhe: https://www.iqrakitab.com/2017/12/biddat.html

Lihaza hame chahiye ki ham sunnat se muhabbat kare aur biddat yaani gair-nabi ke tarike se parhej kare taaki ham qayamat ke din Rasoolullah ﷺ ki sifarish ke haq-daar ho sake.

Allah se dua hai ki wo hame sirat e mustaqeem ata kare. aameen.

•٠•●●•٠•

Related: Ashura Ka Roza
Read More »

23 Aug 2019

Mufti ki Sifaat | Imam Ahmad

en 
 Sawal 

Jo shakhs fatwe dene ke liye khud ko tayyaar karna chahta ho toh us me kaun si sifaat ka hona zaruri hai?

 Jawab 

Alhamdulillah..

Hafiz Ibn Qayyim r.h. kahte hai,

Abu Abdullah ibn Battah ne apni kitab Al-Khala' me naqal kiya hai ki Imam Ahmad r.h. ne kaha,

Kisi bhi shakhs ko fatawa dene ke mansab par qayam nahi hona chahiye jab tak ke us (shaks) me paanch sifaat na ho,

۩1. Us ki niyat honi chahiye, agar us ki niyat hi nahi toh fir na toh us par noor hai aur na hi us ke kalaam par noor hoga .

۩2. Us ke paas Ilm, sabr, waqaar aur sakeenat ho.

۩3. Use Ilm par mazbut girift honi chahiye.

۩4. Uski shakshiyat mazbut honi chahiye aur logo ki tanqeed us par asar-andaaz nahi honi chahiye.

۩5. Use logo ki maarfat (pahchan) honi chahiye.

A’laam Al-Muwaqqi’een, 4/153.

•٠•●●•٠•

Ye Imam Ahmad r.h. (tabe-tabaeen) ka qawl hai. Is se hame unke Ilm aur unki shakshiyat ka ilm hota hai. Allah unhe Jannat me buland darja ata kare aur unke ilm se ham sab ko fayda uthane ki taufeek ata kare. aameen.
Read More »

4 Aug 2019

Zul Hijjah ki Takbeerat ka Waqt Aur Alfaaz

 en   ur   hi
۞ Takbeerat ke Alfaaz

Ulema e karaam ke in Takbeerat ke alfaz ke mutallik ikhtilaf hai,

1. Pahli raaye ke mutabik Takbeer ke alfaz:

Allahu akbar, Allahu akbar, laa ilaaha ill-Allah, Allahu akbar, Allahu akbar, wa lillaahi’l-hamd.

2. Dusri raaye ke mutabik Takbeer ke alfaz:

Allahu akbar, Allahu akbar, Allahu akbar, laa ilaaha ill-Allah, Allahu akbar, Allahu akbar, Allahu akbar, wa lillaahi’l-hamd.

3. Teesri raaye ke mutabik Takbeer ke alfaz:

Allahu akbar, Allahu akbar, Allahu akbar, laa ilaaha ill-Allah, Allahu akbar, Allahu akbar, wa lillaahi’l-hamd.

(In teen maise) koi bhi alfaaz takbeerat ke liye ap kah sakte hai kyunke Nabi ﷺ se takbeerat ki koi khaas alfaz riwayat nahi hai.

۞ Takbeerat ka Waqt

Takbeerat ki Do kisme hai:

1. Kisi bhi waqt ki Takbeer: Yaani jin ke liye koi khaas waqt muqarrar nahi hai, balke har waqt, subah wa shaam, namazo se pahle aur baad me, kisi bhi lamhe kahi ja sakti hai.

2. Khaas waqt ki Takbeer: Yaani woh Takbeerat jo sirf namazo ke baad kahi jati hai.

Chunanche kisi bhi waqt ki takbeer Zul hijja ke pahle 10 din, aur ayyaam e tashreek ke dauraan kisi bhi waqt kahi ja sakti hai, jiska waqt Zul hijjah ki shuruat hi se shuru ho jayega (yaani, Zul Qadah ke aakhri din suraj gurub hone ke baad waqt shuru ho jayega) aur ayyaam e tashreek ke aakhir tak jaari rahega (yaan, 13 Zul hijjah ke din suraj guroob hone tak).

Jab ke khaas waqt ki takbeerat  ka waqt Arfah ke din fajr se shuru hokar aakhri yaum e tashreek ke aakhri din suraj gurub hone tak rahta hai.

Is dauraan kisi bhi waqt ki takbeer bhi kahi jayengi. Chunanche jis waqt Imam farz namaz se salaam fer kar teen baar 'AstaghfiruAllah' kahne ke baad, 'Allahumma anta al-salaam wa minka al-salaam, tabaarakta yaa za’l-jalaali wa’l-ikraam' kah le toh takbeerat  kahega.

Yeh Hajj na karne waale ke liye hai, rahi baat Hajj karne waalo ki toh wo Yaum un nahar [10 Zul hijjah] ki zohar se shuru karenge.

Aur Allah sabse behtar janta hai.

•٠•●●•٠•

source: Islamqa.info
Read More »