اقرأ باسم ربك الذي خلق

8 Apr 2020

Nabi ﷺ ka Akhlaq


Allah s.w.t. farmate hai,

“Aur beshak, Aap (ﷺ) akhlaq ke buland darje par fa'iz hai.”

Surah Qalam (68), ayat- 4.

۝ Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

“Mai sirf isliye bheja gaya hu taaki mai acche akhlaq ko kamil (perfect) kardu.”

Al adab al mufrad, hadees- 273. (Sahih)

۝ Rasool ﷺ achhe akhlaq ke liye dua bhi manga karte the ye kah kar,

اللَّهُمَّ كَمَا حَسَّنْتَ خَلْقِي فَحَسِّنْ خُلُقِي

Allaahumma kamaa ḥassanta khalqee fa ḥassin khuluqee.

'Aye Allah tune mere bahari shakl ko khubsurat banaya hai toh mere akhlaq ko bhi achha kar de.'

Sahih ibn Hibban (3/239). Ise al-Albani ne Irwa al-ghaleel (75) me sahih karaar diya hai.

۝ Hazrat Ayesha r.a. riwayat karti hai ki Khadija r.a. ne Rasoolullah ﷺ se farmaya,

'Khuda ki qasam Aap ko Allah kabhi ruswa nahi karega. Aap rishtedaro se sila-rahmi karte hai, Bekaso ka bojh uthate hai, Mufliso (gareebo) ki madad karte hai, Aap dil khol kar mahmaan nawazi karte hai aur mushkil ke waqt me Aap zaruratmando ka saath dete hai.'

Sahih al bukhari, kitab al wahee (1), hadees- 3.

۝ Masruq riwayat karte hai, ham Abdullah bin Amr r.a. ke sath baithe hue the jo hame hadees suna rahe the. Unhone kaha Allah ke Rasool ﷺ na to fahish the aur na hi mutafahhish, aur wo (RasoolAllah) kaha karte the ki tum maise sabse behtareen wo hai jo akhlaq me sabse achha ho.

Sahih al-bukhari, kitab ul adab (78), hadees- 6035.

۝ Anas r.a. riwayat karte hai, "Maine das saal tak Rasool ﷺ ki khidmat ki. Unhone mujhe kabhi 'uff' tak nahi kaha aur unhone mujhe kabhi kisi chiz ke bareme nahi toka ki tumne ye kyu nahi kiya, jo kaam maine nahi kiye ya fir us chiz ke bareme ye nahi kaha ki tumne ye kyu kiya, jo kaam maine kiye the.

Al Adab al Mufrad, hadees- 277. (Sahih)

۝ Abdullah riwayat karte hai,

Jaise mai (us waqt) aan hazrat ﷺ ko dekh raha hu ap ek paigambar (nooh a.s.) ki hikayat bayaan kar rahe the, un ki qaum waalo ne unko itna maara ki lahu-luhaan kar diya, wo apne munhh se khoon pochte the aur yu dua karte jaate, parwardigaar meri qaum waalo ko baksh de wo naadaan hai.

Sahih al Bukhari, kitab us titabatil murtadeena (88), hadees- 6929.

۝ Anas r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ na gaali dete the aur na fahash alfaz istemal karte the aur na laanat-malaamat karte the, agar ham me se kisi par naraz hote toh itna farmate ki ise kya ho gaya hai, iske peshani me khaak lage (arabi muhawra).

Sahih al Bukhari, kitab al adab (78), hadees- 6031.

۝ Jabir r.a. kahte hai, 'Kabhi aesa nahi hua ki Rasoolullah ﷺ se kisi ne koi cheez maangi ho aur aapne uske dene se inkaar kiya ho.'

Sahih al-Bukhari, kitab al adab (78), hadees- 6034.

۝ Abdur Rahman bin Abi Laila riwayat karte hai, Nabi ﷺ ke paas se ek jahanzah guzar toh Aap us (janaze) ke liye khade ho gaye. Fir Aap ﷺ se kaha gaya ki ye toh Yahudi ka janazah tha. Aap ﷺ ne farmaya, 'Kya us me jaan nahi hai'. (Yaani ki kya usme rooh nahi thi)

Sahih al Bukhari, kitab al janaiz (23), hadees- 1312, 1313.

۝ Ibn Jaz r.a. riwayat karte hai,

'Maine Rasoolullah ﷺ se zyada kisi ko muskurate hue nahi dekha'

Jamia Tirmizi, kitab al manaqib (49), hadees- 3641. Ise darussalaam ne hasan karaar diya hai.

۝ Abdullah bin Abi Qatada riwayat karte hai ki mere walid ne kaha ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Mai namaz der tak padhne ke iradah se khada hota hu, lekin kisi bachhe ke rone ki aawaz sun kar namaz ko halki (shorter) kar deta hu, kyuki uski maa ko (jo namaz me shareek hogi) taqleef me daalna bura samajhta hu.'

Sahih al Bukhari, kitab al aazaan (10), hadees- 707.

Allah se dua hai ki wo hame amal ki taufeek ata kare. aameen.

•٠•●●•٠•

Related: Achha Akhlaq - Deen Ki Ek Nayab Chiz
Read More »

6 Apr 2020

Nabi ﷺ ke Oontni ka Naam

en    ur   
Alhmdulillah..

Imam ibn Qayyim r.h. Nabi ﷺ ke jaanwaro ki fasal (section) me kahte hai ke jaanwaro me se Nabi ﷺ ke kaun kaun se janwar the:

'Oonto me Nabi ﷺ ke paas Qaswa naami oontni thi.

Kaha jata hai ke yeh wohi oontni hai jis par Nabi ﷺ ne Hijrat ka safar kiya.

Adbaa aur al-Jadaa ke baare me ikhtilaaf hai ke aaya yeh ek hi oontni ke do naam the ya ke do alehda alehda ontniya thi?

Adbaa woh oontni thi jise kisi bhi daud me haraya nahi gaya tha. Fir ek dehaati nawjawaan oont par aaya aur usne is oontni ko shikasht de di jo Musalmano ko bahut naa-gawaar guzri toh Nabi ﷺ farmaane lage,

'Allah taala ka haq hai ke duniya me jis kisi cheez ko bhi bulandi deta hai toh fir use pasti aur zawaal pazeer bhi karta hai.'

Badr waale din Nabi ﷺ ne Abu Jahl ka mahri oont (oont ki ek qism) maal e ganeemat me haasil kiya jis ke nathno (nose) me chandi thi toh Hudaybiyah waale din Nabi ﷺ ne mushriko ko aazaab dilane ke liye use hadiya kar diya.'

Zaad al Maad, safa- 134.

•٠•●●•٠•
Read More »

3 Apr 2020

Hajj e Badal ke Ahkaam Aur Zawabat


Alhamdulillah..

Bahut se log hajj e badal me be-ahtiyati rawayye se kaam lete hai, jab ke hajj e badal ke liye khaas zawabit, sharait aur ahkamaat hai, jo ke niche diye gaye hai, Allah taala se ummeed hai ke in se faida hoga:

1۞ Hajjatul Islam (farz hajj) ki har lehaz se taaqat rakhne wale shakhs ki janib se hajj e badal nahi kiya ja sakta.

۩ Ibn Qudamah kahte hai:

“Is baat par ijma hai ke farz hajj ki taaqat rakhne waale shakhs ki taraf se koi dusra shakhs hajj nahi kar sakta, Ibn Munzir kahte hai, 'Ahle ilm ka is baat par ijma hai ke jis par Hajj farz ho aur woh uske ada karne ki taaqat bhi rakhta ho, toh uski taraf se kiye jaane wala hajj kifayat nahi karega.'” [alfaz khatm]

Al-Mughni, 3/185.

2۞ Hajj e badal aise mareez ki janib se kiya jayega jis ke shifayaab hone ki umeed na ho, ya badni taur par aajiz ho, ya mayyat ki taraf se hajj badal kiya jayega, kisi gareeb, ya siyasi aur amani taur par aajiz shakhs ki janib se hajj badal nahi kiya ja sakta.

۩ Imam Nawawi kahte hai:

“Jamhoor ulama e karaam is baat ke qayil hai ke hajj me mayyat, aur shifayaabi se mayoos aajiz ki janib se niyabat ki ja sakti hai, Qazi Iyaaz ne maliki fuqaha ki un ahadees jin me mayyat ki janib se roza rakhna aur hajj karne ka zikar milta hai, iski mukhalfat me unki janib se ek uzar pesh kiya hai ke ye riwayat muztarib (gair-sahih) hai, aur yeh uzar baatil hai, kyunke hadees me koi iztirab (harj) nahi, aur uske sahih hone ke liye Imam Muslim ka apni sahih me zikr karna hi kaafi hai.”

Sharh an-Nawawi ‘ala Muslim, 8/27.

Note: Niyabat ka matlab 'Hajj karne ke liye kisi dusre shaks ko muqarrar karna' [means, appointing proxy for performing Hajj]

Jis hadees ki janib Imam Nawawi ne ishara kiya hai ke baaz maliki ulama ne is par iztiraab ka hukm lagaya hai, woh hadees yeh hai,

۩ Abdullah bin Buraydah apne waalid se bayan karte hai ke ham RasoolAllah ﷺ ke paas baithe the ke ek khatoon ne aakar kaha, 'Maine apni walida ko ek londi sadqa me di thi, aur fir woh faut ho gai', toh Aap ﷺ ne farmaya, 'Tumhe tumhara ajar mil gaya hai, aur wirasat ki wajah se laundi tumhare paas fir wapis aagai hai.'
Us ne kaha, 'Allah ke Rasool! Meri walidah par ek mahine ke farz roze (rahne bache) the, toh kya mai yeh roze unki taraf se rakhu?
Aap ﷺ ne farmaya, 'Unki taraf se roze rakh lo.' Fir us ne kaha, 'Meri walidah ne kabhi bhi hajj nahi kiya, toh kya mai uski taraf se hajj kar sakti hu?'
Aap ﷺ ne farmaya, 'Uski taraf se hajj kar lo.

Sahih Muslim, hadees- 2697.

۩ Hafiz ibn Hajar r.h. kahte hai:

“Hajj me niyabat ke qayileen tamam ahle Ilm is baat par muttafiq hai ke kisi ki taraf se farz hajj nahi kiya ja sakta, siwaye faut shudgaan, ya faalij (paralysis) ke mareezo ke, chunancha un me woh mareez shaamil nahi ho sakte jin ke shifayaab hone ki ummeed hai, aur na hi majnoon (pagal), is liye ke use pagal-pan se thik hone ki ummeed hai, nah hi qaidi, is liye ke woh jail se bahar bhi aasakta hai, aur nah hi faqeer is liye ke woh bhi maaldaar ho sakta hai.” [alfaz khatm]

Fath ul-Baari, 4/70.

3۞ Maali taur par aajiz shakhs ki taraf se hajj badal nahi ho sakta, is liye ke gareeb aadmi par hajj farz nahi hai, jab ke hajj badal badani taur par aajiz shakhs ki taraf se kiya ja sakta hai.

۩ Daa'imah fatawa committee ke ulama se pucha gaya,

'Kya kisi ke liye jaiz hai ke woh Mecca se dur rahne wala apne kisi rishtedaar ki taraf se Umra ya Hajj kare? Aur uske paas Mecca aane ke liye wasail nahi hai, lekin badani taur par woh khud tawaaf wagaira kar sakta hai.

Toh unhone jawab diya,

“Aap ke sawal me zikr kiye hue rishtedaar par hajj us waqt tak wajib nahi jab tak woh maali taur par hajj ki taakat nahi rakhte ho, aur unki taraf se hajj ya umra karna jaiz nahi hai, is liye ke agar woh khud haram tak pahunch jaaye toh woh khud hi unki adayegi kar sakte hai, jab ke hajj o umra me niyabat mayyat ya jismani taur par aajiz shakhs ki taraf se hoti hai.” [alfaz khatm]

Fataawa al-Lajnah ad-Daa’imah, 11/52.

4۞ Koi shakhs bhi us waqt tak kisi ki taraf se hajj nahi kar sakta jab tak us ne apni taraf se hajj na kar liya ho, aur agar us ne apna hajj karne se pahle kisi ki taraf se kiya toh woh usi ki taraf se hoga, kisi dusre ki taraf se nahi hoga.

۩ Daa'imah fatwa committee ke ulama ne kaha:

'Kisi insaan ke liye yeh jaiz nahi ke woh apni taraf se hajj karne se pehle kisi ki taraf se hajj kare, iski daleel Ibn abbas se marwi hai ke Nabi ﷺ ne ek aadmi ko kahte hue suna, 'Mai Shubrumah ki taraf se haazir hu.' Aap ne farmaya, 'kya tumne apni taraf se hajj kiya hai?' Us ne kaha: 'Nahi'! Aap ne farmaya: 'Pahle apni taraf se hajj karo, fir Shubrumah ki taraf se karna.' [alfaz khatm]

Sheikh abdul alaziz ban abdul allah ban baz. .. Sheikh abdul allah ban غدیان

Fataawa al-Lajnah ad-Daa’imah, 11/50.

5۞ Ek khatoon kisi mard ki taraf se hajj kar sakti hai, jaise ke mard kisi khatoon ki taraf se hajj kar saktha hai.

۩ Daa'imah fatwa committee ke ulama ne kaha:

“Hajj me niyabat jaiz hai, bashart ke niyabat karne wale ne pahle apna hajj kar liya ho, aise hi us aurat ke liye bhi hajj zaruri hai jise ap raqam is liye de rahe hai ke woh ap ki walidah ki taraf se hajj kare, is liye ke aurat hajj me kisi dusri aurat ya mard ki taraf se niyabat kar sakti hai, Rasoolullahﷺ se is baare me dalail sabit hai,” [alfaz khatm]

Fataawa al-Lajnah ad-Daa’imah, 11/52.

6۞ Kisi ke liye ye jaiz nahi ke ek hajj, do ya zyada afraad ki taraf se kare, Haa! Umra apne liye kar le ya kisi aur ke liye aur hajj kisi teesre shakhs ke liye kar sakte hai.

۩ Daa'imah committee ke ulama kehte hai:

“Hajj me mayyat ya aise zinda ki taraf se niyabat jaiz hai jo hajj karne ki taqat nahi rakhta, aur kisi ke liye yeh jaiz nahi ke woh ek hajj kar ke do shakhso ki janib se karde, is liye ke hajj sirf ek shakhs ki taraf se ho sakta hai, lekin agar hajj ek shakhs ki taraf se ho aur umra kisi aur ki taraf se kare toh yeh jaiz hai, bashart ye ke us ne apna hajj ya umra pahle se kiya hua ho.” [alfaz khatm]

Fataawa al-Lajnah ad-Daa’imah, 11/58.

7۞ Kisi ke liye ye jaiz nahi ke hajj e badal ka maqsad maal lena ho, balke maqsad hajj aur muqaddas jagah par pahunch kar apne bhai ki taraf se hajj kar ke us par ahsaan karna ho.

۩ Shaykh Muhammad ibn Saalih al Uthaymeen kahte hai:

“Hajj me kisi ki taraf se niyabat karna sunnat e Rasool me maujud hai, is liye ke ek khatoon ne Aap ﷺ se pucha, aur kaha, 'Allah taala ki janib se apne bandon par fareeza hajj mere waalid par abhi baaki hai, aur woh sawari par baith nahi sakte toh kya mai unki taraf se hajj kar lu? Aap ne farmaya, 'Haan!'

Aur hajj me raqam ke badle me niyabat karne ke bare me yeh hai ke agar insan ka maqsad sirf raqam ka husool hai toh is ke bare me Ibn Taymiyyah kahte hain, 'Jis ne sirf is liye hajj kiya ke khane-peene ko mil jayega, toh is ke liye akhirat me kuch nahi hai aur jo is liye raqam leta hai taa ke hajj kar sake toh is me koi harj nahi, is liye niyabat karne ke liye raqam wusool karte hue niyat yeh ho ke yeh raqam uske liye hajj ke dauran madadgaar hogi, aur yeh bhi niyat kare ke jis ki taraf se hajj kar raha hai uski zarurat puri hogi, is liye ke jo hajj e badal karwa raha hai woh zarurat-mand hai, aur use khushi hoti hai jab use koi hajj e badal karne wala mil jata hai, is liye hajj badal karne wale ko hajj ki adaigi ke zariye ahsaan ki niyat karni chahiye.” [alfaz khatm]

Liqaa’aat al-Baab al-Maftooh, 89, sawal- 6.

8۞ Jab koi Musalman faut ho jaye aur hajj farz hone ki sharaet mukammal hone ke bawujood fareeza e hajj ada na kar sake, toh uski taraf se uske maal me se hajj karwana zaruri hai, chahe us ne hajj ki wasiyat ki ho ya na ki ho.

۩ Daa'imah committee ke ulema karaam kahte hai:

“Jab koi Musalman faut ho jaye aur wujoob e hajj ki sharaet mukammal hone ke bawujud fareezae hajj ada na kar sake, toh uski taraf se uske maal me se hajj karna zaruri hai, chahe usne hajj ki wasiyat ki ho ya na ki ho, chunanche agar uski taraf se koi aisa shakhs hajj kar deta hai jis ka hajj karna durust ho, aur us ne pahle apni taraf se hajj kiya hua ho toh mayyat ki taraf se uska hajj karna durust hoga, aur mayyat se farz ki adaigi ke liye kaafi hoga.” [alfaz khatm]

Fataawa al-Lajnah ad-Daa’imah, 11/100.

9۞ Kya hajj e badal karne wale ko bhi utna hi sawab milega ke woh bhi aise hi wapas aayega jaise uski maa ne aaj hi use janam diya ho?

۩ Daa'imah committee ke ulama karaam kahte hai:

“Hajj badal karne wale ke bare me ye kahna ke use apna hajj karne ke barabar sawab mileyga, ya kam ya zyada toh yeh muamla Allah s.w.t. ke supurd hai.” [alfaz khatm]

Sheikh abdul alaziz ban basaz , sheikh abdul al razaq عفیفی, sheikh abdul allah ban غدیان, sheikh abdul allah ban منیع .

Fataawa al-Lajnah ad-Daa’imah, 11/100.

۩ Unlogo ne mazeed kaha:

“Jis shakhs ne ujrat leker ya bagair ujrat liye kisi ke liye hajj kiya toh uska sawab usi ko milega jis ki taraf se hajj ya umra kiya gaya hai, aur hajj ya umra badal karne wale ke liye bhi bahut hi azeem sawab ki umeed ki ja sakti hai, jo use uske ikhlaas aur niyat ke mutabik milega, aur jo koi bhi masjid al haram tak pohunch jaye aur waha kasrat se nawafil ada kare, aur deegar ibadaat bhi sar-anjaam de uske liye ikhlaas ki bunyaad par ajar azeem ki umeed ki ja sakti hai.” [alfaz khatm]

Fataawa al-Lajn ah ad-Daa’imah, 11/77, 78.

۩ Imam ibn Hazam kahte hai:

Dawood kahte hai ke unhone kaha, 'Maine Saeed bin Musayyab ko kaha, 'Aye Abu Muhammad! Un dono me se kis ko sawab milega, hajj badal karne wale ko ya jis ki taraf se hajj kiya ja raha hai usko?' Toh Saeed n kaha, Be-shak Allah taala un dono ko dene ki wusat rakhta hai.'

Ibn Hazam (is par) kahte hai, Saeed r.h. ne sach kaha.

Al-Muhalla, 7/61.

Aamaal e Hajj se hat kar hajj badal karne wala jo koi bhi amal karega uska sawab uske karne wale ko milega, maslan, haram me namazo ki adaegi, quran majeed ki tilawat, wagaira sab ka sawab isi karne wale ko milega na ke jis ki taraf se hajj kiya ja raha hai.

۩ Shaykh Muhammad ibn Saalih al Uthaymeen kahte hai:

“Hajj se jude amal ka tamaam sawab usi ko milega jis ne use hajj me apna wakeel bana kar bheja hai, Jab ke uske alawa namazo ka izafi ajar aur nawafil tawaf aur qirat e quran ka sawab usi ko milega jo hajj kar raha hai.” [alfaz khatm]

Ad-Diya’ al-Laami‘ min al-Khutab al-Jawaami‘, 2/476.

10۞ Mustahab ye hai ke aulaad apne walidain ki taraf se Hajj kare, aur kareebi rishtedaar apne azeez ke liye, lekin agar fir bhi koi kisi ko ujrat de kar hajj ke liye bhej deta hai toh ye bhi jaiz hai.

۩ Shaykh Abd al-Azeez ibn Baaz se pucha gaya:

'Mai chhota sa tha us waqt meri walida faut ho gayi thi, toh maine ek ba-aetmaad shakhs ko unki janib se hajj karne ke liye ujrat de kar bhej diya tha, mere walid bhi faut ho chuke hai, aur maine apne kuch rishtedaro se suna hai ke unhone hajj kiya tha.

Toh kya mere liye jaiz hai ke mai kisi ko apni walida ki taraf se hajj karne ke liye bhej du, ya mujhe khud hi unki taraf se hajj karna hoga? Aise hi kya mai apne walidain ki taraf se hajj karu, aur maine suna hai ke unhone pahle hajj kiya tha?

Toh unhone jawab diya:

“Agar tum khud ja kar hajj karo aur sharai taur par mukammal manasik ko ahtemaam ke sath ada karo to ye waqai afzal hai, aur agar kisi baa-aetemad shakhs ko ap ujrat dekar unki taraf se hajj karwa dete hai toh koi harj nahi.

Afzal yahi hai ke Aap unki taraf se hajj aur Umra dono kare, aise hi ap jisko bhej rahe hai woh unki janib se hajj aur Umra kare, yeh apki taraf se apne waledain ke liye neki aur ahsaan hoga, Allah taala ap se aur ham se tamam nekiya qubool farmaye.” [alfaz khatm]

Fataawa ash-Shaykh Ibn Baaz, 16/408.

11۞ Kisi ki taraf se Hajj karne ki yeh shart nahi hai ke hajj karne wale ko uske naam ka ilm ho, balke sirf uski taraf se niyat hi kaafi hai.

۩ Daa'imah committee ke Ulama se pucha gaya:

Mere aziz o iqarab me taqreeban chaar afraad hai, chacha aur dada, un me khawateen aur mard dono shamil hai, jin me se kuch ke naamo ka mujhe nahi pata, aur me chahta hu ke unki taraf se hajj badal ke liye kuch logo ko apne zaati kharche par bhej du, toh mai kya karu?

Toh unhone jawab diya:

“Agar surat e haal aise hi hai jaise ap ne zikr ki toh jin khawateen o hazraat ke naam ap jante ho un ke bare me toh koi ashkaal nahi, aur jin mard o khawateen ke naamo ka apko ilm nahi ap unki umar, aur awsaf ko maddhe nazar rakhte hue unki taraf se niyat kar satke hai, hajj badal ke liye sirf niyat hi kaafi hai, chahe apko unke naamon ka ilm nah bhi ho.” [alfaz khatm]

Fataawa al-Lajnah ad-Daa’imah, 11/172.

12۞ Jis shakhs ne kisi ko apni taraf se hajj ke liye zimmedaar banaya toh usse aage kisi aur shakhs ko zimmedaar banane ki ijazat nahi hai illa ke zimmedaar banane wale ki razamandi haasil ho jaye.

۩ Shaykh Muhammad ibn Saalih al-‘Uthaymeen kahte hai:

“Kisi bhi niyabi hajj karne wale ke liye yeh jaiz nahi ke woh kisi aur ko wakeel banaye chahe thodi ya zyada raqam de yaha tak ke zimmedaar banane wale ki taraf se ijazat haasil kar le.” [alfaz khatm]

Ad-Diyaa’ al-Laami‘ min al-Khutab al-Jawaami, 2/478.

13۞ Kya nawafil hajj ke liye niyabat ho sakti hai?

Ulema e karaam ka is bare me ikhtilaf hai, chunanche ibn Uthaymeen ne is baat ko ikhtiyar kiya hai ke niyabat sirf aur sirf farz hajj hi me ho sakti hai.

Shaykh kahte hai:

“Agar aadmi ne farz ada kar liya hai aur uska iradah bane ke kisi ko apni taraf se nawafil hajj ya Umra karne ke liye bheje, toh is bare me ulama e karaam ka ikhtilaf hai, kuch ulama ne ise jayez qaraar diya hai aur kuch ne mana qarar diya, mere nazdeek behtar yeh hai ke yeh mana hi hai, is liye kisi ke liye ye jaiz nahi ke woh kisi ko apni taraf se nawafil hajj ya Umra karne ke liye zimmedaar banaye, is liye ibadat me asal yeh hai ke insan khud yeh ibadat kare, ye aise hi hai jaise koi apni taraf se roze rakhne ke liye zimmedaar muqarrar nahi kar sakta. Ha agar koi faut ho jaye aur us par farz roze baaki ho toh uski taraf se wali roze rakhega. Isi tarha hajj hai, aur hajj ek aisi ibadat hai jo insan khud apne badan se karta hai, yeh koi maali ibadat nahi hai jis me asal hadaf mohtaaj shakhs hota hai, aur jab ibadat badni ho ke insaan khud use ada kare toh koi bhi dusra shakhs uski taraf se ada nahi kar sakta, ma siwaye un ibadaat ke jin ke bare me sunnat me bayan kar diya gaya, jab ke nawafil hajj ke bare me koi aisi daleel maujud nahi jis me kisi ki taraf se nawafil hajj karne ki ijazat di gayi ho, yahi mauquf Imam Ahmad se manqool do riwayat me se ek hai, meri murad ke insaan kisi ko nawafil hajj ya umra me apni taraf se zimmedar nahi bana sakta chahe woh khud qadir ho ya na ho.”

Aur jab ham is qawl par qayem rahenge toh is se sahib e haisiyat aur jismani taaqat rakhne wale logo ko raghbat milegi ke woh khud apni taraf se hajj kare, isi liye kuch log kayi salo tak Mecca nahi jate sirf is baat par aetemaad karte hue ke ham to har saal apni taraf se hajj e badal karwa dete hai, toh is se har saal hajj rah jata hai ke is ne apni taraf se hajj ke liye wakeel bana diya hai. [alfaz khatm]

Fatawa Islamia, 2/192,193.

14۞ Hajj e badal ke liye qabil aetemaad, sachhe aur ameen logo ko talaash kiya jaye, jinhe manasik e hajj ka ilm bhi ho.

Daa'imah committee ke ulema e karaam kahte hai:

“Jo shakhs kisi ko apna nayeb (proxy) muqarrar karna chahta hai, use chahiye ke deendaar, ameen logo ko talaash kare aur unhi ko apna nayeb muqarrar kare, taa ke wajbaat ki adaegi ke hawale se uska dil mutmaeen rahe.”

Fataawa al-Lajnah ad-Daa’imah, 11/53.

Aur Allah sabse behtar janta hai.

•٠•●●•٠•
Read More »

2 Apr 2020

Dua ke Fazail Aur Masail


Dua ka Lafzi Maana Pukarna Aur Bulana Hai.

۞1. Irshad baari taala hai,

وَ قَالَ رَبُّکُمُ ادْعُوْنِیؔ اَسْتَجِبْ لَکُمْ - اِنَّ الَّذِیْنَ یَسْتَکْبِرُوْنَ عَنْ عِبَادَتِیْ سَیَدْخُلُوْنَ جَھَنَّمَ دٰخِرِیْنَ

“Aur tumhare Rab ne kaha, 'Mujhse Dua maango mai tumhari Dua qubool karunga, beshak jo log meri ibadat (dua) se takabbur karte hai toh woh zaleel wa ruswa hokar jahannam me dakhil honge.”

Surah Momin (40), ayat- 60.

۩ Allah taala ne farmaya:

اُجِیْبُ دَعْوَۃَ الدَّاعِ اِذَا دَعَانِ فَلْیَسْتَجِیْبُوْا لِیْ

“Jab dua karne waala dua karta hai toh mai uski dua qubool karta hun, lihaza mujh se (hi) dua maango.”

Surah Baqarah (2), ayat- 186.

۩ Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
الدعاء هي العبادة

'Dua ibadat hi hai.'

Sunan Abu Dawud, hadees- 1479, Iski sanad sahih hai. Jamia Tirmizi, kitab-ul- Dua, hadees- 3372. Imam Tirmizi ne ise hasan sahih karaar diya hai.

۩ Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

إذا سألت فاسأل وإذا استعنت فاستعن بالله

“Jab tum sawaal karo toh Allah se sawaal karo (yaani Allah se dua maango) aur jab madad maango toh Allah se madad maango.”

Jamia Tirmizi, hadees- 2516. Ise Imam Tirmizi ne hasan sahih karar diya hai.

۩ Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

“Tum me se har aadmi apne Rab se hi har haajat (dua) maange, hatta ke jute ka tasmah (strap) agar toot jaye toh woh bhi Allah se hi maange.”

Jamia Tirmizi, kitab ad daawaat (48), hadees- 3604. Is hadees ki sehat 'hasan' hai.

Sabit hua ki apni tamaam musibato, bimariyo, zaroorato aur hajat me sirf Allah se hi dua mangni chahiye.
_________

۞2. Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

Jo Muslim (musalman) dua karta hai, jis me gunah ya qata rahmi nahi hoti toh use teen cheeze di jaati hai:

۩ Ya toh uski dua jaldi qubool karli jati hai.
۩ Ya uski dua ko uske liye qayamat ka zakheera bana diya jata hai.
۩ Ya usse kisi musibat ko taal diya jata hai.

Al Adab al Mufrad, hadees- 710. Is hadees ko sahih karaar diya gaya hai.
_________

۞3. Allah taala ki hamd wa sana aur Nabi ﷺ par durood padhne ke baad maangi hui dua qubool hoti hai.

Dekhiye Jamia Tirmizi, hadees- 593. Is hadees ki sehat 'hasan' sahih hai.

_________

۞4. Dua me haath uthana yaani haath utha kar dua mangna bahut si sahih ahadees se sabit hai.

Maslan dekhiye Sahih al Bukhari, hadees- 4323, 4339, 6341. Sahih Muslim, hadees- 2498.

_________

۞5. Dua me chehre par haath ferna bilkul sahih hai.

Siqah Tabayeen Imam Abu Nayeem wahab bin kaisaan r.h. ne farmaya,

Maine (Sayyeduna) ibn Umar aur ibn Zubair r.a. ko dekha, woh dono dua karte, apni dono hatheliya (apne) chehre par ferte the.

Al Adab al Mufrad, hadees- 609. Is hadees ki sehat 'hasan' hai.

Is riwayat par baaz un naas ki jarah jamhoor ki tauseek ke khilaf hone ki wajah se mardood hai.

۩ Imam Mamar ibn rashid r.h. (154 a.h.) dua me seene tak haath uthate aur fir apne chehre par ferte the.

Musannaf ibn Abdur Razzaq, hadees- 5003,Is hadees ki sehat 'sahih' hai.

۩ Imam Ishaq bin Rahawaih in ahadees (jinme chehre par haath ferne ka zikr hai) par amal karna mustahsan (achha) samjhte the.

Mukhtasar qiyam-ul lail lil Marwazi, safa- 304.
_________

۞6. Raat ke aakhri hisse me dua qubool ki jati hai hai.

Dekhiye Sahih al Bukhari, hadees- 1145. Sahih Muslim, hadees- 758.

 Rasoolullahﷺ ne farmaya:

۩ 'Azaan aur iqamat ke dauraan me dua radd nahi hoti, lihaza dua mango.'

Sahih ibn Khuzaimah, hadees- 427, Iski sanad 'sahih' hai.

۩ Banda jab sajde me ho toh woh apne Rab ke bahut qareeb hota hai, lihaza sajde me kasrat se dua maange.

Sahih Muslim, hadees- 482.

۩ Jumah ke din khutbe se namaz ke ikhtitaam tak ke darmiyani waqt me dua qubool hoti hai.

Sahih Muslim, hadees- 853.

۩ Jumah ke din aakhri ghadi (yaani asar ke baad magrib tak) me dua qubool hoti hai.

Sahih al Bukhari, kitab ul Juma, hadees- 935. Jamia Tirmizi, hadees- 489. Iski sanad 'sahih' hai.

•٠•●●•٠•

source: Maqalaat - Tahkeeki, islaahi aur ilmi, vol-4, page- 567 | Shaykh Zubair ali zai r.h.
note: The article has been edited without changing the meaning and the reference may vary from the original work, for better presentation.
Read More »

1 Apr 2020

Bimari | Aazmaish ya Azaab?


Sabse pahle to yeh ke koi bhi khudse Ta'ayyiun (decide) nahi kar sakta hai ke ye saza hai ya Rahmat ya Azmaish.

Ek Ayat me Allah s.w.t. farmate hai,

'Tumhe koi bhi takleef ya aazmaish aati hai wo tumhare hatho ki kamai hoti hai'.

Surah Shura (42), ayat- 30.

Dusri Ayat me hai ke,

'Jo bhi musibat aati hai Allah s.w.t. ke izan se aati hai.'

Surah Taghabun (64), ayat- 11.

۩ Abu Said Khudri aur Abu Hurairah r.a. se riwayat hai ke, Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Musalmaan ko ranj, dukh, fikr aur gam pahunchta hai yaha tak ki agar use kaanta bhi chubhta hai toh wo takleef uske gunhaon ka kaffara ban jati hai.'

Sahih al Bukhari, kitab al marazi (75), hadees- 5641, 5642.

✦ Sabaq

Lehaza hame Bimari aur Sehat dono surat e haal me Allah ta’ala ka shukr ada karna chahiye. Bimari Aazmaish bhi hai aur gunaaho ka kaffara bhi. Hame har haal me sabr o shukar ada karna chahiye.

In do (2) kaamo se Allah ta’ala hamare gunaah bhi mita deta hai aur aakhirat me ajar e azeem bhi ata farmata hai.

Allah ta'ala apne bando se bahut mOhabbat karta hai, aur wo apne kisi bhi bande par uski taqat se zyada bOjh nahi dalta.

۩ 'Allah kisi ko uske bardasht se badh kar us par bojh nahi daalta.'

Surah Baqarah (2), ayat- 286.

۩ Sabr karne waalo ko unki mazduri be-hisaab milegi.

Surah Az-Zumar (39), ayat- 10.

۩ Aur unke sabr ke badle unhe jannat aur reshmi libaas diye jaayenge.

Surah Insan (76), ayat- 12.

۩ Aur Allah sabr karne waalo se Muhabbat karta hai.

Surah Aal e Imran (3), ayat- 146.

Har bimari ka ilaj maujood hai, Allah taala ne koi aisi bimari nahi utaari jis ki dawa bhi naazil na ki ho.

Abu Hurairah r.a. se riwayat hai ke Nabi ﷺ ne farmaya,

'Allah taala ne koi aisi bimari nahi utaari jis ki dawa naazil na ki ho.'

Sahih al bukhari, kitab at tibb (76), hadees- 5678.

Kalonji Aur Shahed dono ke fayde ke bare me Quran wa hadees se pata chalta hai.

1. Kalonji

۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki maine Rasoolullah ﷺ se suna,

'Siyah daano (kalonji) me har beemari se shifa hai siwaye Maut ke.'

Sahih al bukhari, kitab at tibb (76), hadees- 5688.

2. Shahed

Shahed ki makhhi ko arabi me nahal kahte hai jiske naam se Quran me puri ek surah maujud hai. Isi baat se andazah lagaya ja sakta hai ki insani zindagi me Shahad ki kya ahmiyat hogi.

Allah rabbuul izzat Quran e muqaddas me irshad farmata hai ki,

'Aur tumhare Rab ne Shahad ki makhhi ko ilhaam kiya ki pahado me aur darakhto me aur log jo chatriya uthate hai, un me apne ghar banao. 
Fir har kism ke falo se apni khuraak hasil kar, fir un raasto par chalo jo tumhare Rab ne tumhare liye aasaan bana diya hai.

Is makkhi ke pet se woh mukhtalif rango wala mashroob nikalta hai jis me logo ke liye shifa hai. Yaqeenan in sab baato me un logo ke liye nishani hai jo sochte samajhte ho.'

Surah Nahl (16), ayat- 69.

Iske alawa kuch Duaye hai jo Ap Bimari me padh sakte hai shifa ke liye,

۩ اللَّهُمَّ أَذْهِبِ الْبَأْسَ رَبَّ النَّاسِ وَاشْفِ فَأَنْتَ الشَّافِي لاَ شِفَاءَ إِلاَّ شِفَاؤُكَ شِفَاءً لاَ يُغَادِرُ سَقَمًا-

Allahumma Azhibil ba'sa rabban naas washfi. Antash shaafee. Laa shifaa-a illaa shifaa-uka. Shifaa-al laa yughaa diru saqamaa.

Aye logo ke Rab! Bimari ko door karde, aur shifa de, Tu hi shifa dene wala hai, aisi shifa ke bimari bilkul na rahe.

Jamia Tirmizi, kitab ad dawaat (48), hadees- 3565. Ise darussalaam ne sahih karaar diya hai

۩ Syedna Usman Bin Abu al Aas Saqafi r.a. kahte hai,

Mai jis din se Musalman hua tha usi din se mere jism ke 1 hisse me dard hota tha. Mai ne is ki shikayat Allah ke Rasool ﷺ se ki to Aap ﷺ ne farmaya,

"Jism me jis jagah dard hai wahaa apna hath rakhho aur teen (3) baar Bismillah kaho fir 7 martaba ye Dua padho:

أَعُوذُ بِاللَّهِ وَقُدْرَتِهِ مِنْ شَرِّ مَا أَجِدُ وَأُحَاذِرُ

'Auzu Billahi Wa Qudratihi Min Sharri Ma Ajidu Wa Uhaziru'

'Mai Allah ki zaat aur us ki qudrat ke sath panah chahta hu is takleef se jo mujhe lahaq hai aur har us takleef se jis se mai bahut darta aur mohtaat rahta hun.'

Sahih Muslim, kitab al salaam (39), hadees- 5737.

Iske alaawa Aap Subah Sham ke Azkaar ki pabandi kijiye. Allah s.w.t. par bharosa rakhye aur Astaghfaar karte rahye.

In shaa Allah Allah s.w.t. jald hi shifa ata karega.

Ham Allah s.w.t. se Dua karte hai ke Allah hame har Bimari se mahfuz rakhe aur sunnato par amal karne ki taufeeq ata farmaye.

JazakAllah khair

Prepared by: A. Sayed
•٠•●●•٠•

Related: Bimari aur Waba (Mahamaari) Se Bachao ki Duae Aur Azkaar
Read More »

28 Mar 2020

Bimari aur Waba (Mahamaari) Se Bachao ki Duae Aur Azkaar

hi   ur   en
Alhamdulillah..

Sunnat me aisi bahot si ahadees hai jo Musalmaan ko masnoon aise azkaar aur duao par pabandi ki targeeb dilati hain jo insaan ko takleef, nuqsaan aur har qism ki munfi sargarmi se mahfooz rakh sakti hai. In duao ke umoom me mukhtalif qism ki tamam bimariya aur wabayi amraaz shamil hai, in me se chand ahadees niche hai:

۩ Usman bin Affan r.a. kahte hai ke  "Mai ne Rasoolullah ﷺ ko farmate hue suna,

Jo shaks bhi kahe -

بِسْمِ اللَّهِ الَّذِي لَا يَضُرُّ مَعَ اسْمِهِ شَيْءٌ فِي الْأَرْضِ وَلَا فِي السَّمَاءِ وَهُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ-

Bismillahillazi la yazurru ma‘a ismihi shay’un fi’l-ard wa la fi’l-sama wa huwa al-samee ul aleem.

'Allah ke naam se mai panah haasil karta hu jiske naam se koi bhi cheez asmaan ya zameen me takleef nahi pahuchati aur wo sunne wala aur jaanne wala hai.'

Jisne ye dua subah ke waqt teen baar padhi toh sham tak ise koi bhi achanak aafat nahi pahuchegi.

Sunan Abu Dawood, hadees- 5088. Jamia Tirmizi, hadees- 3388. Ise Imam Tirmizi ne sahih aur darussalaam ne hasan karaar diya hai. 

۩ Abu Huraira r.a. kahte hai ke ek shaks Nabi ﷺ ke paas aaya aur usne kaha, ' Allah ke Rasool! Mujhe raat ko bichhu kaatne ki wajah se bahot zyada takleef hui.' Toh Aap ﷺ ne farmaaya:

Agar tum sham ke waqt ye keh dete ke 

أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ

A’oozu bi kalimaat Allah at-taammaaati min sharri ma khalaq

Mai Allah ke kamil kalimaat ki panaah me aata hu iski tamaam tar makhluqaat ke shar se.

Toh tumhe wo nuksaan na pahunchata.

Sahih Muslim, hadees- 6880.

۩ Abdullah bin Khubaib r.a. kahte hai, ham ek shadeed andheri aur barish waali raat me Rasoolullah ﷺ ko talaash karne ke liye nikle ke Aap hame namaz padha de toh ham ne Aap ko talaash kar liya, Aap ﷺ ne milte hi kaha,

(Kya tum ne namaz padh li hai?) Toh mai ne koi jawab nahi diya, is par Aap ﷺ ne farmaya, (kaho) mai ne fir bhi kuch nahi kaha, toh Aap ﷺ ne teesri baar farmaya: (kaho), Mai ne arz kiya, 'Allah ke Rasool mai kya kahu?' Toh Aap ﷺ ne farmaya, Tum subah aur sham ke waqt 'Qul huwallahu Ahad' (Surah Ikhaas) aur iske sath suratul falaq aur surat an naas teen teen baar padha karo, ye tumhe har cheez se kafi ho jayegi.

Is hadees ku tirmizi (3575) aur Abu Dawood (5082) ne riwayat kiya hai.

۩ Allama ibn baaz r.h. kahte hai,

'Tamam makhluqaat ke har kism ke shar se tahaffuz aur aafiyat paane ke sath sath pur aman rahne ke liye insaan Allah taala ke kaamil kalimaat ki panaah subah aur shaam teen teen baar Allah taala se maange aur kahe:

أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ 

A‘auzu bi kalimaat Allaah at-taammaati min sharri ma khalaq

Tarjuma: Mai Allah ke kamil kalimaat ki panah me aata hu iske tamaam tar makhluqaat ke shar se.

Isliye ke aesi riwayaat sabit hai jinme in alfaaz ko aafiyat ka sabab karaar diya gaya hai. Isi tarah subah aur sham ye alfaaz bhi padhe: 

بِسْمِ اللَّهِ الَّذِي لَا يَضُرُّ مَعَ اسْمِهِ شَيْءٌ فِي الْأَرْضِ وَلَا فِي السَّمَاءِ وَهُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ

Bismillah illazi la yazurru ma‘a ismihi shay’un fi’l-ard wa la fi’l-sama’ wa huwa al-samee‘ ul-‘aleem

Tarjuma: Allah ke naam se mai panah hasil karta hu jiske naam se koi bhi cheez aasmaan ya zameen me taklif nahi pahunchati aur wo sunne wala aur jaanne wala hai] isliye ke Rasoolullah ﷺ ne batlaya hai ke jo shaks bhi subah ke waqt teen baar in alfaaz ko padhe to isko sham tak koi bhi cheez nuqsaan nahi pahunchati, aur jo shaks shaam ke waqt padhle toh subah tak ise koi cheez nuqsaan nahi pahunchati.

Toh Quran aur Sunnat se sabit ye tamam Azkaar har kism ki burai, shar aur takleef se tahaffuz ka ba'is hai. Isliye har momin mard aur aurat ko in azkaar ki muqarrarah auqaat me pabandi karni chahiye, nez inhe padhte hue Allah taala par mukammal atemaad ho aur qalbi taur par mutmayeen bhi ho ke Allah taala hi har cheez ko qayam rakhe hue hai, wahi har cheez ke baare me ilm rakhta hai, aur har cheez par qadir bhi hai, iske siwa koi mabood e barhaq nahi aur na hi iske siwa koi Parwardigaar hai, isi ke hath me nafa wa nuksaan ka kamil ikhteyaar hai, aur wahi har cheez ka malik hai.

Fataawa ash-Shaykh Ibn Baaz (3/454, 455).

۩ Isi tarah Abdullah ibn e Umar r.a. se marwi hai ke Rasoolullah ﷺ subah ya shaam ke waqt in kalimaat ki pabandi kiya karte hai. 

اَللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ الْعَافِيَةَ فِي الدُّنْيَا وَالآخِرَةِ، اَللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ الْعَفْوَ وَالْعَافِيَةَ فِي دِينِي وَدُنْيَايَ وَأَهْلِي وَمَالِي، اَللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَاتِي وَآمِنْ رَوْعَاتِي، اَللَّهُمَّ احْفَظْنِي مِنْ بَيْنِ يَدَيَّ وَمِنْ خَلْفِي وَعَنْ يَمِينِي وَعَنْ شِمَالِي وَمِنْ فَوْقِي وَأَعُوذُ بِعَظَمَتِكَ أَنْ أُغْتَالَ مِنْ تَحْتِي-

Allahumma inni as’aluka al-‘aafiyata fi’d-dunya wa’l-aakhirah. Allahumma inni as’aluka al-‘afwa wa’l-‘aafiyata fi deeni wa dunyaaya wa ahli wa maali. Allahumma astur ‘awraati wa aamin raw‘aati. Allahumm ihfazni min bayni yadayya wa min khalfi wa ‘an yameeni wa ‘an shimaali, wa min fawqi, wa a‘auzu bi ‘azamatika an ughtaala min tahti.

Tarjuma: Ya Allah! Mai tujh se duniya aur aakhirat me har tarah ki aafiyat talab karta hu. Ya  Allah! Mai tujh se apne deen, duniya aur apne pariwaar (family) aur apne maal me tujh se aafiyat (hifazat) ka sawaal karta hu.

Ya Allah mere ayeb chupade. Aur mujhe mere khadshaat wa khatraat se aman ata farma. Ya Allah! mere aage, mere peeche, mere daaye, mere baaye aur mere upar se meri hifazat farma. Aur mai teri azmat ke zarye se is baat se panaah chahta hu ke mai apne neeche ki taraf se halaak kar diya jaau.

Sunan Abu Dawood, hadees- 5074. Sunan ibn e Maajah, hadees- 3871. Ise darussalaam ne sahih karaar diya hai.

۩ Abdullaah bin Umar r.a. se marwi hai ke Rasoolullah ﷺ ki dua me umuman ye alfaaz shamil hote the ke:

اَللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ زَوَالِ نِعْمَتِكَ ، وَتَحَوُّلِ عَافِيَتِكَ ، وَفُجَاءَةِ نِقْمَتِكَ ، وَجَمِيعِ سَخَطِكَ

Allahumma inni a‘oozu bika min zawaali ni‘amatika wa tahawwul ‘aafiyatika wa fujaa’ati niqmatika wa jamee‘i sakhatika.

Tarjuma: Ya Allah! Mai tujh se teri nemato ke zawal, teri janib se aafiyat ke khatme, teri achanak pakad aur teri har tarah ki naarazi se teri panah chahta hu.

Sahih Muslim, hadees- 6944.

۩ Sayyidina Anas bin Malik r.a. kahte hai ke Rasoolullah ﷺ farmaya karte the:

اَللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ الْبَرَصِ وَالْجُنُونِ وَالْجُذَامِ وَمِنْ سَيِّئْ الْأَسْقَامِ

Allahumma inni aauzu bika min al-barasi wa’l-junooni wa’l-judhaami wa min sayyi’ il-asqaam

Tarjuma: Aye Allah! Mai Bars, pagal pan, kodh aur buri beemaariyo se teri panah chahta hu.

Musnad Imam Ahmed, hadees- 12592. Sunan Abu Dawood, hadees- 1554.

۩ Is hadees ki sharah me Allama Teebi r.h. kahte hai,

'Rasoolullah ﷺ ne mutlaq taur par beemariyo se panah nahi maangi, iski wajah ye ho sakti hai ke kuch beemaariyo ki takleef kam hoti hai lekin is beemari par sabr ki badaulat milne waala ajar bahot zyada hota hai, aur wo bimariya daaemi (chronic) nahi hoti balke aarzi hoti hain, jaise ke bukhar, sar dard aur aankh dard wagaira, isliye Aap ﷺ ne daaemi beemaariyo se panah maangi hai, kyunke insaan daaemi beemaariyo se khud bhi tang aajata hai, aur dost ahbaab bhi mutanaffir se ho jate hai, log baat cheet aur ilaaj ke liye bhi nahi aate aur insaan khud apne ap se bezar hojata hai.'

Allamah Taibi ki Guftagu Azeemabaadi r.h. ne Abu Dawood ki sharah me zikr ki hai. (source- islamqa)

Wa Allahu alam.

•٠•●●•٠•
Read More »

26 Mar 2020

Ghar Me Ba Jamaat Saff Banane ka Tareeqa

Pic
۩ Ibn e Umar r.a. se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

‘Akele shaks ki namaz se, jamat ke sath namaz padhna 27 darje (sawaab) rakhta hai.’

Sahih al Bukhari, kitab al Azaan﴾10﴿, hadees- 645.

۞ Baap Aur Beta ki Jama'at

Baap Imamat karega, Beta uska muqtadi hoga aur Baap ke Dayen (right) tarf khada hoga.

۞ Baap Aur Mardo ki Jama'at

Baap Imamat karega toh mard hazraat pichli (2nd) waali saf me Muqtadi honge.

۞ Shauhar aur Biwi ki Jama'at

Shauhar Imam ki jagah hoga aur Biwi bilkul Imam ke piche (2nd) saf me khadi hogi.

۞ Shauhar, biwi aur ek Mard ki Jama'at

Shauhar Imamat karega, ek Mard us ke Daayi (Right) taraf hoga. Aur Biwi Imam ke Bilkul piche (2nd) saf me khadi hogi.

۞ Shauhar, Biwi Aur zyada Mardo Ki Jama'at

Shauhar Imamat karega, Mard piche (2nd) waali saf me honge, aur Biwi aakhir (3rd) wali saf me hogi.

۞ Shauhar, Biwi aur Sab Aulad

Shauhar Imamat karega, ladke piche (2nd) saf me honge, biwi or baaki ladkiya akhir (3rd) wali saf me hongi.

•٠•●●•٠•

Download Image of this article
Read More »