اقرأ باسم ربك الذي خلق

Showing posts with label Aqeedah. Show all posts
Showing posts with label Aqeedah. Show all posts

22 Dec 2017

Kya Shaheed Duniya Me Zinda Hote Hai?


Shaheedon ki roohain Allah s.w.t. ke pas Jannat may Zindah hain Qabron may nhi. Quran-e-kreem me do muqamaat pe Allah s.wt farmata hai,

“Aur Allah ki rah may qatl kye gae shuhadaa ko murda na kaho, wo zinda hain magr tum nahi samajhte.”

[
surah Al-Baqarah, surat 02, Ayat.154]

Is ayat may on logo ko jo Allah ki raah may qatl kye gae murda kehnay ki mumani’at hai or farmaya k wo zinda hain lekn tumhen sha’oor nhi. Ab swaal ye hai k onki zindagi kis qism ki hai, kia yeh zindagi dunyavi hai?

Ek aur ayat may Allah s.wt nay farmaya,

“Jo log Allah ki rah may shaheed kye gae on ko hergiz murda na samjho, bul k wo zinda hain apne Rub k pas, rozian dye jatay hain. Allah s.wt nay jo apna fazl inhen de rakha hai is say bohat khush hain or khushian mana rahay hain on logo ki baabat jo ab tak insay nhi milay in k peechay hain, is per k inhain na koi khof hai or na wo ghamgeen hongay.”

[surah Aali-Imran, surat 03, Ayat.169]

In dono ayaat may Allah s.wt nay shaheed ko murda samajhnay say mana’ farmaya, lekn inhi ayaat may yeh wazaahat bhi kerdi k “walaa killaa tash’uroon” yani tumhain onki zindagi ka sha’oor nhi, onki zindagi ko apni zindagi say tashbih na do, onki zindagi barzakhi hai dunyavi nhi, or doosri ayat may “inda-Rabbihim” k alfaaz shaahid hain k ‘wo to apne Rub k pas hain’ rozian dye jaatay hain yani wo to bharpoor zindagi guzar rahay hain jannaton may apne Rab k pas is lye in k e’zaaz-o-takreem k lye inhain murda mat kaho. Or wo on mujahideen fee sabeelillah k muta’alliq khushian mana rahay hain jo maidan-e-jang may lar rahay hain or ab tak shaheed ho k on say nhi milay, is bat per k onhain aanay wali barzakhi zindagi may na koi gham hoga or na koi khof.

Sahih Muslim may or deegar sahih rivayaaat may RasulAllah ﷺ Ka farman hai,

“Shaheedon ki roohen (Jannat me) sabz rung k parindon k seeno may hoti hai aur jannat main jis jaga chahen charti, chugti, urti phirti hain. Phir in qandeelon may aa ker beth jati hain jo arsh k neechay latak rahi hain, in k rab ne aik dafa inhen dekha or in say daryaaft kia k ab tum kia chahtay ho? Onhon nay jwab dia,

‘Allah tu nay to humay wo wo day rakha hai jo kisi ko nhi dia phir hamain kis cheez ki zaroorat hogi?’ Insay phir yehi swaal hua. Jab onho ne dekha k ab hamain koi jawaab dena hi hoga to kaha,

‘Ae Allah! hum chahtay hain k too hamain dobara dunya main bhaij day hum teri rah may phir larain phir shaheed ho kr teray paas aaen or shahaadat ka dugna darja paen’

Allah (subhanahu wata’ala) ne farmaya,

‘yeh nhi hosakta yeh to main likh chukka hun k koi bhi marnay k bad dunya ki taraf palat ker nhi jaega. koi or bat ho tou batlao’, 

phir shuhda ne jawab dya, 

‘phir dunya walon ko or humaray aziz-o-aqarab ko is bat say mutla kerdia jae k hum yahan kis qadr khush hain, or her tarah ki ne’maton say lutf andoz ho rahay hain’, 

Allah (s.wt) ne farmaya, 

‘han yeh ittila kiye deta hoon’ 

[chuna cheh is silsilay main mazkoora ayatain (yani surah Aali-Imran ayat 169) nazil hui.]” 

[Sahih Muslim, kitab Al-Imarah: baab beyan arwaahu-sshuhada fil-jannah, [020:4651] ] 

Maloom hua ke shaheedon ki roohen dunya may nhi bhatak rahin bul k jannat k mazay loot rahi hain. Or kisi ko bhi inteqaal k bad dobara dunya main aanay ki ijaazat nhi. 

Allah s.wt ka farman hai, 

“Or tum on logo ko nhi SUNA saktay jo qabron may (madfoon) hain.” 

[surah Al-Faatir, surat 35, Ayat.22] 

“Aur mat pukaro tum Allah k siwa kisi ko jo tumko nafa’ day sake or na nuqsaan pohncha sakay, agr aesa kro ge to MUSHRIK banjao ge.” 

[surah Younus, Surat#10, Ayat#106] .
Read More »

Imam Mahdi Ka Zahoor


Imam Mahdi a.s. nekokaar maise honge jo RasoolAllah ﷺ ke aal maise honge jo aakhri waqt me zahir honge jiske zarye Allah insani muamlat ko sidha karenge aur dunya ko achai aur insaf se bhar denge. 

Imam Mahdi ka naam “Muhammad ibn ‘Abd-Allaah al-Mahdi, ya Ahmad ibn ‘Abd-Allaah al-Mahdi hoga jo Nabi ﷺ ke ahle bayt me se sayyada Fatima r.a. ke bete sayyadna Hasan bin Ali r.a. ki aulad me se honge.

Hazrat Abdulla bin Masood r.t.a. bayan karte hain ke RasulAllah ﷺ ne farmaya, “Ager dunya ka ek roz bhi baki hoga to Allah taala us din ko taweel kardega hatta ke is me ek aise shakhs ko maboos farmayega jo mujh se hoga ya Aap ﷺ ne farmaya ke jo mere Ahle bayt se hoga. Us ka naam mere naam aur us ke walid ka naam mere walid ke naam ke mutabik hoga”.

(Jamia Tirmizi Hadith- 2230)

۞ IMAM MAHDI a.s. KI SIFAT :

Hazrat Abu Saeed Khudri r.t.a. bayan karte hain ke RasulAllah ﷺ ne farmaya, “Mahdi mujhse hoga yani meri nasal se hoga. Fir Aap ﷺ ne un ki jismani sifat bayan ki aur farmaya,

“Wo chaudi peshani aur lambi naak wala hoga. Wo zameen ko adl o insaf se isi tarah bhardega jaise wo zulm o zor se bhari huwi thi. Us ki hukumat 7 baras tak rahegi”.

Sunan Abu Daud Hadith- 4285.

Abu Sa’eed al-Khudri r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Wo(Imam Mehdi) ham maise honge jiske piche ‘Eesaa ibn Maryam namaz padhenge”.

(Reported by Abi Na’eem in Akhbaar al-Mahdi. Al-Albaani said it is saheeh; see al-Jaami’ al-Sagheer, 5/219, hadeeth 5796).

۞ IMAM MAHDI a.s. KA ZAHOOR KA WAQT:

Quran aur sunnah se exactly ye nahi pata chalta hai ki Mahdi a.s. ka zahoor kab hoga lekin wo aakhri waqt me ayenge. Unka nuzool Qayamat ki choti nishanio maise aakhri nishani hogi. Mahdi a.s. ka Zuhoor jo Dajjal se pahle aur ‘Eesa ibn Maryam ke nuzul hone se pahle honge. Ye in hadith se pata chalta hai.

Jabir r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya Eesaa ibn Maryam nazil honge aur inke Imam, Mahdi farmaenge, “Aaiye aur hamari namaz ki Imamat karye”, lekin wo farmayenge, “Nahi”, Ap logo maise koi Imamat kare, ye Allah ke taraf se is ummah ke liye izzat hai.

Narrated by Muslim, 225.

‘Abdullaah ibn Mas’ood r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, ” Dunya us waqt tak khatm nahi hogi jab tak mere ahle bait maise ek shaks jo mere naam ka hoga Arab ka Hukmaran na ban jaye.

Musnad Ahmad, 5/199, hadeeth 3573.

Kuch log Imam Mahdi ko jhutlane ke liye ek hadith pesh karte hai jisme RasoolAllah ﷺ ne farmaya hai,” ‘Eesa ibn Maryam se alag koi Mahdi nahi hai.” (matlab Eesa a.s. ke alawa aur koi nahi ayega is ummat me)

Lekin Is hadith ko Sheikh Albani ne Daif karar diya hai. Dalail ke liye dekhye:- al-Silsilah al-Da’eefah, 1/175, by al-Albaani .

۩ Agar apko Mehdi a.s. ke bareme Full Detail se janna hai to in authentic kitabo ko refer kare:

1. Al-Mahdi Haqeeqah wa laa Khuraafah by Shaykh Muhammad ibn Ismaa’eel.
2. Al-Mahdi al-Muntazar by Dr. ‘Abd al-‘Aleem al-bastawi.
3. Ashraat al-Saa’ah by Yoosuf al-Waabil.

•٠•●●•٠•
Read More »

RasoolAllah ﷺ Ka Saya (Shadow)


Kuch Log Kahte Hai Ki Rasulullah ﷺ Ka Saya Mubark Nahi Tha. Iski kya haqiqat hai?

RasoolAllah ﷺ Allah Ke Nabi Aur Insan The. Allah Ne Apko Silsila E Insaniyat se Hi Paida Kia Tha Aur Insan Hone Ke Aitbar Se Ye Bat Waazeh Hai Ki Insan Ka Saya Hota Hai.

Quran Me Allah Ne Irshad Farmaya,

۩ Aur Jitni Makhluqat Asmano Aur Jamin Me Hai Khushi Aur Nakhushi Se Allah Ta’ala Ke Aage Sajda Karti Hai Aur Unke Saye Bhi Subah Wa Sham Sajda Krte Hai.

[Al R’aad, Ayat 15]

Ek Aur Muqam Par Allah Rabbul Izzat Ka Farman Hai-

۩ Kya Unhone Allah Ki Makhluqat Me Se Kisi Ko Nahi Dekha Ki Iske Saye Dayain Aur Bayain Se Lautte Hai Yani Allah Ke Aage Aajiz Hokar Sar-Ba-Sujud Hote Hai.

[Al Nahal Ayat 47]

Hadith se Dalail: 

أَخْبَرَنِي  مُحَمَّدُ بْنُ الْمُؤَمَّلِ بْنِ الْحَسَنِ   ، ثَنَا   الْفَضْلُ بْنُ مُحَمَّدٍ الشَّعْرَانِيُّ  ، ثَنَا  الْفَضْلُ بْنُ مُحَمَّدٍ الْبَيْهَقِيُّ  ، ثَنَا  نُعَيْمُ بْنُ حَمَّادٍ  ، أَنْبَأَ  عَبْدُ اللَّهِ بْنُ وَهْبٍ  ، أَخْبَرَنِي  مُعَاوِيَةُ بْنُ صَالِحٍ  ، عَنْ  عِيسَى بْنِ عَاصِمٍ  ، عَنْ  زِرِّ بْنِ حُبَيْشٍ  ، عَنْ  أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ  ، قَالَ : بَيْنَمَا النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَآَلِهِ وَسَلَّمَ  يُصَلِّي ذَاتَ لَيْلَةٍ صَلاةً ، إِذْ مَدَّ يَدَهُ ، ثُمَّ أَخَّرَهَا ، فَقُلْنَا : يَا رَسُولَ اللَّهِ ، رَأَيْنَاكَ صَنَعْتَ فِي هَذِهِ الصَّلاةِ شَيْئًا ، لَمْ تَكُنْ تَصْنَعُهُ فِيمَا قَبْلَهُ ، قَالَ : ” أَجَلْ ، إِنَّهُ عُرِضَتْ عَلَيَّ الْجَنَّةَ ، فَرَأَيْتُ فِيهَا دَالَيَةً قُطُوفُهَا دَانِيَةٌ ، فَأَرَدْتُ أَنْ أَتَنَاوَلَ مِنْهَا شَيْئًا ، فَأُوحِيَ إِلَيَّ أَنِ اسْتَأْخِرْ ، فَاسْتَأْخَرْتُ ، وَعُرِضَتْ عَلَيَّ النَّارُ فِيمَا بَيْنِي وَبَيْنَكُمْ ، حَتَّى رَأَيْتُ ظِلِّي وَظِلَّكُمْ فِيهَا ، فَأَوْمَأْتُ إِلَيْكُمْ أَنِ اسْتَأْخِرُوا ، فَأُوحِيَ إِلَيَّ أَنْ أَقْرِهِمْ ، فَإِنَّكَ أَسْلَمْتَ وَأَسْلَمُوا ، وَهَاجَرْتَ وَهَاجَرُوا ، وَجَاهَدْتَ وَجَاهَدُوا ، فَلَمْ أَرَ لَكَ فَضْلا عَلَيْهِمْ إِلا بِالنُّبُوَّةِ ، فَأَوَّلْتُ ذَلِكَ مَا يَلْقَى أُمَّتِي بَعْدِي مِنَ الْفِتَنِ ” .

۩ Anas r.a. Se Riwayat Hai Ek Raat Nabi ﷺ Ne Hume Namaz Padhai Aur Namaz Ki Halat Me Apna Hath Achanak Aage Badhaya Magar Phir Jald Hi Piche Hata Liya.
Humne Arz Kiya Aye Allah Ke Rasool ﷺ! Aaj Apne Khilafe M’amul Namaz Me Ek Naya Amal Kiya Hai, Apne Ne Farmaya Nahi Balki Bat Ye Hai Ki Mere Samane Abhi-Abhi Jannat Pesh Ki Gai, Mene Usme Behtreen Fal Dekhe To Dil Me Aya Ki Usme Me Se Kuch Uchak Lu Magar Fauran Huqm Mila Piche Hat Jao,

Me Piche Hat Gaya. Fir Mujh Par Jahannam Pesh Ki Gai (hatta raytu zilli wa zillkum ), Uski Roshani Me Mene Apna Aur Tumhara Saya Dekha, Dekhte Hi Mene Tumhari Taraf Ishara Kiya Ki Piche Hat Jao.

Mustadrak al-Hakim, 4/456; Imam al-Dhahabi Agreed with Hakim in Talkhees, Ibne Khuzaimah Mentioned in his Saheeh vol 2 page 50 hadeeth no 892 and Dr Muhammad Mustafa in Notes of Saheeh Ibne Khuzaimah said Chain is Authentic, Hafidh Zia ul din Al Maqdisi`ee Authenticated in Al Mukhtarah:2136, Imam Abu Awanah Authenticated and said هَذَا الْحَدِيثُ يُسَاوِي أَلْفَ حَدِيثٍ “This Hadeeth is Equal to One Thousand Ahadeeth” in إتحاف المهرة  Raqam 1063 .

Ek Aur Sahih Hadith Me Hai:

۩ Aisha r.a. riwayat karti hai ki Sayyida Zainab r.a. Aur Sayyida Safiya r.a. Ek Safar Me Nabi ﷺ Ke Sath Thi, Safiya r.a Ke Pas Ek Oont (camel) Tha Aur Wo Bimar Ho Gaya Jab Ki Zainub r.a. Ke Pas 2 Oont the. Rasol ﷺ Ne Farmaya, “Tum Ek Zayad Oont Safiya r.a Ko De Do”, Toh Unhone Kaha Mai Is Yahudiya Ko Kyo Du ? (Sayyida Safiyyah was originally a Jew). Is Par Rasool ﷺ Naraz Ho Gaye, Taqriban 3 Mah Tak Zainub r.a. Ke Pas Na Gaye Hatta Ki Zainub r.a. Ne Mayus Hokar Apna Saman Bandh Liya. Sayyida zainub r.a Farmati Hai ki Mai Achanak Dekhti Hu Ki Dopahar Ke Waqt Nabi e ﷺ Ka Saya Aa Raha Hai.

Musnad Ahmad, 6/132, Hadith no.25046, Tabqaat ul Kubra vol 8 page 27 Hadeeth no: 10011,Majma az zawaid vol 4 page page 323. Sanad Sahih By Zubair Ali Zai.

•٠•●●•٠•
Read More »

Haq Baat Ki Tashdeek – Shaitan Ke Taraf Se Bhi


Aj ke firqa parasti ke daur me log ek dusre ko samajhna to dur ki baat sunne tak ko nahi pasand karte. Wo bhi sirf isliye kyuki wo kahte ki fula shaks hamare firqe ya jamaat ka nahi hai. Ye is tarha ki shiddat pasandi pe log aa gaye hai. Ek wo 1400 saal pahle ka zamana tha jaha par ek shaks (Rasoolallah ﷺ) ne do groh ke logo ko (Ansaar aur Muhajireen) is tarha se ek kar diya tha jaise lagta tha ki wo dono apas me khoon ke talluk se bhi badh kar talluk rakhte ho aur ek aj 1400 saal baad ke log hai jo Rasoolallah ko manne ka dawa toh karte hai lekin fir bhi apas me ek dusre ko samajhna yaha tak ke sunna bhi gawara nahi karte. Aiye dekhte hai ki hamare Rasool ﷺ ka tarika kya tha:

Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai, unho ne kaha, "Rasool ﷺ ne mujhe sadqa e fitr ki hifazat par muqarrar farmaya. Fir ek shaksh aaya aur dono haaton se (khuzoore) sametne laga. Maine use pakad liya aur kaha ki mai tumhe Rasool ﷺ ki khidmat mein pesh karung, fir Abu Huraira r.a. ne ye pura qissa bayan kiya. (Jo sadqa e fitr churaane aaya tha usne kaha ki Rasool ﷺ ke paas na le chalo iske badle mai tumhe kuch alfaz sikhata hu jisse tumhe fayda hoga) Usne kaha Jab tum raat Ko Apne bistar par sone jao toh Ayat al Kursi padh liya karo. Fir subah tak Allah tala ki taraf se tumhari hifazat karne wala ek Farishta muqarrar ho jaye ga aur shaitan tumhare paas bhi nahi aa sakega. (Hazrat Abu Huraira r.a. ne ye baat Aap ﷺ se bayan ki toh) Nabi ﷺ ne farmaya, "Usne tumse Sach kaha hai, agarche wo jhuta hai, wo shaytan tha."

Sahih al Bukhari, Kitab Fazail al Quran, hadith- 5010.

Ye tha hamare Rasool ﷺ ka tarika jo shaitan ke haq baat ko bhi tashdeek karte the aur ek aj ke daur ke kuch log hai ki agar kisi shaks se zara si galti ho jaye to use zero se multiply kar dete hai. Ye hadees un par bhi radd hai jo kahte hai ki sirf apne jamaat ki baat sunni chaiye. Is hadith se hame pata chala ki haq baat ki tashdeed karni chaiye wo kyu na shaitan ke taraf se bhi ho. Aur isi tarha ka hukm surah Nisa, ayat-59 me bhi diya gaya hai.

۩ Is mauzu ke silsile me pahla aetraz:

Kuch zyada aqalmand log kahte hai ke is hadith par ab amal nahi kar sakte kyuki ab haq baat par mohar lagane ke liye RasoolAllah nahi hai. Agar RasoolAllah ﷺ nahi hai to kya hua unki hadeese to hai na ummat me, Aap ﷺ ki hadeeso ke zarye haq baat par mohar lagaya jayega aur mere bhai RasoolAllah ke farmaan me aur Aap ﷺ ke sahih hadeeso me koi fark nahi hai jaise Allah ke farman me aur Quran me koi fark nahi hai.

۩ Is mauzu ke silsile me dusra aetraz:

Aur kuch boht zyada aqalmand log kahte hai ki RasoolAllah ne shaitan ki baat tashdeek ki toh Abu Hurairah r.a. ne baat maan li lekin kya iske baad Abu Hurairah shaitan ke ilmi majlis me baithne laga? Toh fir ham kaise fasiq/fajir shaks ki baat ko qubul kar sakte hai?

Iska jawab ye hai ki pahli baat hamne kabhi nahi kaha ki agar koi shaks apke nazdeek is layk nahi hai ki ap unse ilm lena pasand kare to ap jakar unki majaalis me baithna shuru kar dein lekin agar wahi shaks jise ap us layk nahi samajhte apse kahta hai ki Allah ek hai aur kahta hai ki ye baat surah ikhlas me likhi hai. Toh ab ap kya karenge? Ye kahenge ki ham apki is baat ko tasleem nahi karenge kyuki ap hamare jamaat se nahi hai ya fir jakar surah ikhlas padhenge? ummeed hai ki haq ki talash karne wale logo ko jawab mil gaya hoga. Toh ap kisi ki ilmi majlis me mat baithen lekin kisi ke sach baat ko tashdeek kare jaise sahabi e Rasool ne kiya tha.

۩ Is mauzu ke silsile me teesra aetraz:

Kuch bhai Ibn Sireen r.h. ka ek qawl Sahih Muslim se dete hai ki unhone kaha ki Ye ilm Deen hai toh ap ye dekho ki ap apna Deen kisse le rahe ho.

Pahli baat ye hai ki Ibn Sireen r.h. ka ye qawl aam ilm ke bareme nahi hai balki isnaad ke ilm ke liye hai. Imam Muslim ne is hadith par ye baab bandha hai "باب فِي أَنَّ الإِسْنَادَ مِنَ الدِّينِ" yaani "Isnaad Deen maise hai." To isse baat wazeh hui ki yaha par Ibn Sireen r.h. isnaad ki ilm ki baat kar rahe hai na ki aam ilm e deen ki. Aur ye dono ilm me boht farq hai. Usool e hadees ka ilm ek alag ilm ki speciality hai. Aur isme itni zyada sakhti karni boht zaruri hai kyuki aam ilm toh kitab o sunnat se pata chal jata hai ki kitna sach hai lekin is field me sab kuch ek raawi par depend hota hai, jo bhi raawi RasoolAllah ﷺ ke taraf nisbat kar ke bolega wo Ummat ka Deen ban jayega. Jab ki aam ilm to kitab o sunnat me dekhne ke baad asani se pata chal jata hai ki kahne wala shaks sach kah raha hai ya jhut.

Misaal ke taur par isi Sahih Muslim ki hadith no. 30 me likha hai,

Ibn Abi Zinad apne walid se riwayat karte hai ki maine Madinah me aese 100 admi paye jo nek sirat the magar unhe hadith riwayat karne ka ahal nahi samjha jata tha, aur unki hadith qubul nahi ki jati thi, kaha jata tha ki ye is (ilm) ke ahal nahi hai.

Sahih Muslim ka Muqaddamah, hadith- 30.

Ye isliye kyuki in logo ko usool e hadith ka ilm nahi tha, yaani koi bhi akar hadith ke naam par inhe kuch suna de to wo ise hadith samajh kar aage bayan kar denge. Toh isi liye usool e hadees ke ilm par aam deeni ilm qiyas nahi kiya ja sakta warna fir upar ki hadees ke mutabik toh jo shaks ilm e hadees ya ilm e isnaad se waqif na ho usse ilm lena haraam ho jayega unke usool ke nazdeek.

Dusri baat hamare Deen ne hame ye sikhaya hai ki jab ap kisi se ilm lete ho to uska rang, nasal, zuban, mazhab, zaat, firqa nahi balki uski daleel dekho. Dekho kya wo apni baat ke daleel me Quran ya sahih hadith pesh kar raha hai ya nahi. RasoolAllah ﷺ ne khud farmaya hai ki jab tak Allah ki kitab aur meri sunnat ko mazbuti se pakde rahoge tab tak gumrah nahi hoge. [Mustadrak al Hakim, hadith - 318, sahih]. Mazeed ilm ke liye ye article padhe: https://www.iqrakitab.com/2018/07/kisko-suna-jaye-aur-deen-ka-ilm--kisse-liya-jaye.html

•٠•●●•٠•

Allah Se Dua Hai Ki Wo Hame Firqa-parasti Se Upar Uthne Ki Taufeek Ata Kare. Aameen.
Read More »

Waseela Aur Aslaaf E Ummat Ka Tarika E Kaar


Kisi nek shaqs ke wasile ki kai surtein hai, ba'az jayez hai aur ba'az na-jayez hai. In me se jis Surat ki ta'eed salaf saliheen se hoti hai, wo hi jayez hai aur mashru hogi.

Aaiye Sahaba aur Taba'een ke daur mei chalte hai aur dekhte hai ke wo nek logo ke wasile ka kya mafhoom samjhate the:

۩ Daleel no.1

Sahabi e Rasool Sayyidna Muawiya r.a. ne apne daur me Barish ke liye ek bohat hi nek Tabayi Yazid bin Aswad rahimullah ka wasila pakda tha.

Ek riwayat ke alfaz hai:

إن الناس قحطو ابد مشق، فخرج معاوية يستسقي بيزيد بن الأسود… 

"Damishq me log qahet-zada hogaye toh Sayyidna Muawiya r.a. Yazid bin Aswad r.h. ke wasile se barish talab karne ke liye nikle."

( تاريخ أبي زرعة الدمشقي:602/1، تاريخ دمشق:112،111/65، وسنده صحيح )

Yaha qarayeen karaam (readers) gaur farmaiye ke yeh bilkul wahi alfaz hai jo Sahih al Bukhari mei hai ke is me(استسقي بالعباس بن عبدالمطلب) ke alfaz hai aur is me (يستسقي بيزيد بن الأسود) ke alfaz hai.

Ab dekhe ke Sayyidna Muawiya r.a. ne Allah ta'la ko jo Yazid bin Aswad r.h. ka waasta diya tha,
isse kya murad thi?

Ek dusri riwayat mei iski wazahat hai is riwayat ke alfaz yeh:

"Ek dafa qahat pada, Muawiya bin Abu sufyan r.a. aur Damishq ke log barish talab karne ke liye nikle. Jab Muawiya r.z. minmbar par baith gaye farmaya, Yazid bin Aswad Jarshi r.h. kaha hai?
Logo ne inko awaz di, wo logo ko phalangte hue aye.
Muawiya r.a. ne inko hukm diya to wo mimbar par chadh gaye aur Ap ke qadmo ke pas baith gaye. Muawiya r.a. ne yunh dua ki:

Aye Allah! Hum teri taraf apne mei se sab se behtar aur afzal shaqs ki sifarish lekar aye hai, Aye Allah! Ham tere pas Yazid bin Aswad jarshi ki sifarish lekar aye hai. (Fir farmaya)
Yazid! Allah ta'la ki taraf hath uthaiye aur (dua farmaiye), Yazid ne hath uthaya aur logo ne bhi hath uthaye. Jald hi afaq ki maghribi janib ek dhaal numa badal ka tukda namodar hua, hawa chali aur barish shuru hogai. Hatta ke mahsus hua ke log apne gharou tak bhi na pohanch payein.

 (المعرفة والتاريخ ليعقوب بن سفيان الفسوي:219/2، تاريخ دمشق:112/65، وسنده صحيح)

Hafiz ibn Hajar r.h. ne is aasaar ki sanad ko "Sahih" qarar diya hai (الإصابة في تميز الصحابة:697/6).

Malum hua ke Sahaba karam r.a. zinda aur maujud nek logo se dua kara ke iska hawala Allah ko dete the, yahi inka nek logo se Tawassul lene ka tariqa tha.



Daleel no:2

Sayidna Muawiya r.a. ke alawa Sahabi e Rasool, Zahaak bin Qais r.a. ne bhi isi nek sahabi ka wasila pakda tha, Is riwayat ke alfaz bhi mulahiza farmaye:

"Zahaak bin Qais r.a. barish talab karne ke liye (khule maidan me) nikle to Yazid bin Aswad r.h. se kaha,
"(Allah ke samne) Bohat zyada rone wale! Khade ho jaiye(aur barish ke liye dua kijiye)."

(المعرفة والتاريخ:220/2، تاريخ أبي زرعة الدمشقي:602/1، تاريخ دمشق:220/65، وسنده صحيح)

Qarayeen karam hi bataiye ke kya Sayyidna Muawiya r.a. aur Sayyidna Zahaak bin Qais r.a. ko wasile ke mafhoom ka zyada ilm tha ya bad wale adwar ke kisi Shaqs ko?

Fir kisi ek bhi Sahabi ya Taba'ee ya siqah muhaddis se zaat ke wasile ka jawaz sabit nahi. Kya ab bhi koi zee'shaoor shaqs Sahih Al Bukhari wali hadith mei mazkur wasile se zat ka wasila murad lega?

Shaikh Ibn Taimiyyah r.h. farmate hai:

"RasoolAllah ﷺ ki moujudi ya ghair moujudgi ya wafat ke bad, RasoolAllah ﷺ ki zaat ka wasila pesh karna, Allah tala ko apki zaat ya deegar Ambiya karam a.s. ki zaat ki qasam dena ya Ambiya karam a.s. ko pukar kar un se hajat talabi karna, sab kamo ka hukm ek hai. Sahaba karam r.a. aur Taba'een ke haan yeh kam maroof na tha.

Iske bar'aks Sayyidna Umar bin Khattab r.a. aur Sayyidna Muawiya bin Abu sufian r.a., inke sath moujud Sahaba karam r.a. aur inke bad ane wale taba'een jab khushk sali mei mubtela hote to wo zinda, nek logo,
Maslan Sayyidna Abbas r.a. aur Yazid bin Aswad r.h. se dua karate aur is dua ko wasila banakar Allah se barish talab karte the, inhone aisi surate hal mei kabhi bhi RasoolAllah ﷺ ka wasila pakad kar barish talab nahi ki, na RasoolAllah ﷺ
ki Qabar e Mubarak ke pas na kisi aur ki Qabr ke pas balke Sayyidna Abbas r.a. aur Yazid bin Aswad r.a. ki taraf chale gaye.
Wo dua me RasoolAllah ﷺ ka wasila dene ke bajaye RasoolAllah ﷺ par Durud o Salam bhejte the. Sayyidna Umar bin Khattab r.a. ne farmaya tha ke
Aye Allah! Pahle Ham tere Nabi ﷺ ko tere darbar mei wasila banate the aur tu hame barish inayat farmata tha, Ab hum tere pas apne Nabi ke chacha ka wasile ke liye aye hai, lehaza hame bairsh ata farma, ya'ani sahaba karam ne jab RasoolAllah ﷺ ki hayat mubaraka me iqhtiyar kiye jane wale tariqe ko iqhtiyar karna (RasoolAllah ﷺ se dua karna) mumkin na samjha to iske badle me is tariqe (Sayyidna Abbas r.a. ki dua) ko iqhtiyar kar liya.

Yeh bhi to hosakta tha ke wo RasoolAllah ﷺ ki farmabadari par ate aur Aap ki zaat ka wasila iqhtiyar karte ya khule maidaan me jakar apni Dua me apka wasila in alfaz mei pesh karte jin se Allah ko makhluq ki qasam dena ya maqhluq ke waste se sawal karna lazim aata. Wo kah sakte the ke Aye Allah! Ham Tujhse tere Nabi ﷺ ke muqam o martabe ke tufael sawal karte hai ya tujhse tere Nabi ki qasam dete hai wagaira wagaira, jaisa ke ba'az log karte hai (lekin Sahaba e karam ne aisa nahi kiya)".

(مجموع الفتاوي:318/1) 

Qabile ghaur baat to yeh hai ke Salaf e saliheen raah e aetedal par the sunnat ke muttabe the, kisi zinda ya faut shuda shaqs ki zaat ke wasile ka inki zindagio me sabit nahi milta.

Shaikh ibn Taimmiya r.h. likhte hai:

"Fir ummat ke aslaaf wa aimma aur aj tak ke ulma e karam barish talab karne ke hawale se nek zinda logo ka wasila lene me sahaba karam r.a. ke tariqe par chalte hai. In me kahi ek se bhi yeh manqul nahi ki inhone fautshudgan ka wasila pesh kiya ho, inhone na Rasulo ka wasila pakda, na Ambiya ka aur na aam nek logo ka. Jo shaqs yeh dawa kare ke zinda aur faut shuda dono ka wasila barabar hai, halanke ulma e Islam, aslaaf e ummat aur ummat ke behtareen log is barabari ke qa'el na the, fir wo is biddati wasile se bezar hone walo ko kafir aur gumrah qarar de to Allah tala hi iske qaul wa fel par is se nimat le".

 (الرد علي البكري لابن تيمية،ص:127،126)

Salaf Salaheen ki pairwi hi Ahle Sunnat ka sha'ar hai.



۩ Daleel no:3

Sayydina Anas bin Malik r.a. se riwayat hai, "Jab Sahaba karam ne tastar ko Fatah kiya to waha Taboot mei ek shaqs ka jism dekha, iski naak hamre ek hath ke barabar thi. Waha ke log is taboot ke wasile se galbah wa barish talab kiya karte the. Sayyidna Abu Musa r.a. ne Ameerul Momineen Sayyidna Umar bin Khattab r.a. ki taraf khat likha aur sara waqia sunaya, Sayyidna Umar r.a. ne jawab me likha ki yeh Allah ta'ala ke Nabiyo mai se ek Nabi hai. Na Aag Nabi ko khati hai na zameen, fir faramaya, Tum aur tumhare sathi koi aisi jaga dekho jiska tum dono ke alawa kisi ko ilm na ho,waha is taboot ko dafan kardo. Sayydna Anas bin Malik r.a. bayan karte hai ke main aur Sayyidna Abu Musa gaye aur ise (ek gumnam jaga me) dafan kardia.

(مصنف ابن أبي شيبه:4/7، الرقم:33819، وسنده صحيح) 

Yani Sayyidna Umar r.a. aur deegar Sahaba karam r.a. Anbiya karam a.s. ke jism ya inki zaat ko wasila banana jayez nahi samajhte the. Ajmi elaqou ke kuffar is Tawassul ke qa'ael the, un ke is fael e shani ko khatam karne ke liye Sayyidna Umar r.a. ne is Nabi ke jism ko gumnaam jagah dafan karne ka hukm de diya."



۩ Daleel no:4

Abu Al-Aaliyah (Tabayi) rahimullah bayan karte hai, "Hamne jab Tastar ko Fatah kiya to har mizan ke baitul maal me ek charpayi dekhi. Is par ek faut shuda shaqs pada tha. Iske sar ke pas ek Kitab thi. Hamne wo kitab pakdi aur ise Umar bin khattab r.a. ki khidmat me le gaye. Unhone Hazrat Kaab Ahbaar Tabayi rahimullah ko bulaya jinhone is Kitab ka Arbi me tarjuma kardiya. Main Arabo mai se wo pahla shaqs tha jisne is kitab ko padha. Mai isko yun padh raha tha goya Qur'an ko padh raha hu. Abu Al-Aliya ke shagird kahte hai, "Maine Abu Al-Aaliyah se pucha ke is kitab me kya likha tha, unhone farmaya, "Isme Ummat e Muhammadia ki Seerat, Maamlaat, Deeen, tumhare lehje aur bad wale halaat. Maine arz kia, "Apne us faut shuda shaqs ka kya kiya"? Unhone farmaya, Hamne Din ke waqt muqtalif jagaho par Terah (13) Qabrein khodi, Fir raat k waqt inme se ek mei ise dafan kardia aur sab Qabren zamin ke barabar kardi. Is tarha karne ka maqsad yeh tha ke logo ko sahih Qabar ka ilm na ho aur wo Qabar kushai na kar sake. Maine arz kiya,Wo log is faut shuda shaqs se kya ummeed rakhte the?
Unhone faramaya, Unka khayal yeh tha ke jab wo qateh saali me mubtela hote hai to iski charpayi ko bahar nikaalne se un ko barish ata'a ki jati hai.
Maine pucha, Apke qayal me wo Shaqs kon tha? Unhone kaha, Jise Daniyal a.s. kaha jata hai. Maine pucha, Ap ke khayal me wo kitne arsa se faut ho chuka tha? Unhone kaha, "Teen sau (300) saal se.
Maine pucha, Kya iske jism me koi tabdeeli aayi thi? Unhone jawab dia: Nahi, bas guddi se chand Baal gire the, kyunke Ambiya karam a.s. ke jism me na zamin Tasarruf karti hai na darinde ise khaate hai."

(السيرة لابن إسحاق، ص:67،66، طبع دارالفكر، بيروت، دلائل النبوة للبيھقي:382،381/1، طبع دار الكتب العلمية، بيروت) 

In dono aasar se sabit hua ke Sahaba karam aur Ambiya karam ke jismo aur un ki Qabron se tawassul ko najayez samjhte the. Isliye inhone bade ehtemam se Daniyal Nabi a.s. ke jism mubaraka ko chupa diya take na logo ko inki khabar ka ilm ho aur na wo inse tawassul kar sake.

Ba'az log Khayanat ilmi se kaam lete hue in riwayaaat ke aadhe tukde samayeen ke samne rakhte hai aur inhe batate hai ke Ambiya karam ke ajsaam aur inki Qabro se tawassul Sahaba karam r.a. ke zamane me bhi liya jata tha. Yeh log agle tukde dakaar jate hai jinme wazahat hai ke yeh kaam ajmi kuffar ka tha aur Sahaba karaam ne inke is kaam ko jayez nahi samajha aur na inhe is kaam ki ijazat di balke iske sadbaab ke liye entehaai aqdamaat kiye.

Ye harkat badtareen khiyanat hai, dunya me to Allah ne aise naam nihad scholars ko mohlat di hui hai, lekin aise log roz e qayamat azab ilahi se nahi bach payenge, agar Allah ne chaha. Ab bhi mouqa hai, inhe hashar aur hisab se zarur jana chahiye.

Is bare me Shaikh ibn Taimiyyah rahimullah farmate hai, "Salaf saliheen (sahaba wa tabayeen) is darwaze (ambiya wa saulaheen ke tawassul) ko band karte the, jab musalmano ne tastar ke ilaqe ko Fatah kiya to waha ek faut shuda salamat shaqs ko dekha, inhone ise Daniyal Nabi qarar diya. Iske qareeb ek Kitab thi, jisme waqyaat ka zikr tha. Is ilaqe ke log iske tawassul se barish talab karte the.
Sayyidna Abu Musa Ash'ari ne is bare me Umar r.a. ko khat likha to inhone jawaban farmaya ke din ko 13 Qabren khodi jaye, phir raat ke andhere me in me se ek me Daniyal a.s. ko dafan kardiya jaye, phir Qabar ka nishan mita diya jaye take log shirk me mubtela na ho.

(مجموع الفتاوي:170/27) 

Shaikh Ibn Tamiyyah rahimullah farmate hai, "Is waqye me Muhajireen aur Ansar Sahaba karam r.z. ne Daniyal a.s. ki Qabar ko chupaya hai take log iski waja se shirk o biddat me mubtela na ho. Isse malum hota hai ke Sahaba karaam, Ambiya karam wa saleh ki qabrou se tawassul ko najayez samjhte the.
•٠•●●•٠•
Related:
۩ NEK LOGO KA WASILA LAGA KAR DUA MANGNE KE AHKAAM
Read More »

Khud Ko Sirf Teen (3) Naam Dena Hi Salaf Ka Tarika Tha


Allah ne Quran aur Sahih Hadeeso me Musalmano ko boht se naamo se mukhatib kiye hai. Un maise kuch naam amalan diye gaye hai Jaise sahaba, Mujahireen, Ansaar, wagaira aur kuch name laqaban diye gaye hai matlab as a Label (Title). Ab Gaur karne wali baat ye hai ki Amalan naam Amal karne se banta hai na ki bina amal kiye, Jaise Jin sahabao ne RasoolALlah ke sath hijrat ki thi Mecca se Madinah unhe Muhajireen kaha gaya. Ab ye sirf unlogo ko kaha gaya hai Jinhone Hijrat ki thi na ki baaki sahabao ko jo baad me aye ya jo Hijrat na kar sake. Aur Ansaar un Madina ke logo ko kaha jata hai Jinhone Hijrat ke baad RasoolALLah aur Apke sahaba ki madad ki. Toh isi liye Muhajireen ko Ansar nahi kaha ja sakta aur Ansar ko Muhajireen nahi kaha ja sakta.

Lekin Deen me Laqab ka muamla alag hai, Laqab even bina amal kiye bhi diya ja sakta. Misaal ke taur par agar koi Musalman sharabi hai to use ham gair-Muslim nahi kahenge agarche uski harkate gair-Muslim ki hi tarha kyu na ho.

Isi liye Deen me in do chizo me fark hai. Ek amalan (by action) aur ek Laqaban (by Label).

Aur ye mera khud ka fahm nahi hai balki ye hamare aslaaf (salaf) ka fahm hai jisse kuch log ilm ke kami ki wajah se nawakif hai. Dalail ke taur par mai Hazrat Ali r.a. ka qawl pesh karna chahunga.

۩ Tariq bin Shihaab (Tabayee) r.h. bayan karte hai ke Mai Ali ibn e abi Talib r.a. ke paas tha to unse sawal kiya gaya ke Kya Ahl e Neherwaan (ya’ni khawarij) mushrikeen hai? Ap r.a. ne farmaya ke (Nahi), Shirk se to wo Bhage hai. Fir pucha gaya to kya Fir wo munafiq hai? Ap r.a. ne Farmaya: Nahi! Munafiqeen to Allah ta’ala ko bahut hi kam yaad karne wale hote hai (ya’ani khawarij to had se zyada ibadat guzaar hai to wo munafiq kyun kar ho sakte hai). Fir pucha gaya ke aakhir wo (khawarij) kya hai?

Ali r.a. ne farmaya ye (hamare) aise (Musalman bhai) log hai jinhone hamare khilaaf baghawat ki hai.

Al Musannaf ibn Abi Shaiba, Hadith no- 39097, Isnad Sahih.

۩ Shaykh Ibn Taymiyya farmate hai,

Khawaarij jo gumrah hue, jinse ladne ka hukm RasoolAllah ne diya tha, aur jinse Ameer al-Mu’mineen ‘Ali r.a., ek hidayat-yafta Khalifa ne jang kari, aur jinse Sahaabah, Taabi‘een aur unke baad aane wale bade ulema bina ikhtilaf unse jang karne se muttakif hue, unhe ‘Ali ibn Abi Taalib, Sa‘d ibn Abi Waqqaas aur durse Sahaabah ne kafir nahi kaha; balki (in sahaba ne) unhe Musalman mana agarche unlogo ne inse jang ki thi.

Majmoo‘ al-Fataawa, 3/282. source: https://islamqa.info/en/182237

Ab Gaur karne wali baat hai ki Khawarij wo jamaat hai jo Sahaba ko unke muh par kafir kaha karti thi lekin fir bhi Ali r.a. ne unhe kafir, munafik nahi kaha jab ki unka amal ek Musalman jaisa tha hi nahi. Isse ye sabit hua ki ye Laqab bina amal ke bhi de sakte hai.

Deen e Islam me amalan naam ki mumaniya nahi payi jaati hai, jaise Ham namaz padhne wale shaks ko namazi kahte hai, Hajj karne wale shaks ko Haji kahte hai. Lekin laqaban taur par Teen naam (Muslim, Momin aur Abdullah) ke alawa baaki naam rakhne par sakht Hadeese aur salaf ke aqwaal maujud hai. Aur hadith me in teen laqab ke alawa baaki laqab ko Jahalat ka laqab kaha gaya hai aur to jahannam ke azaab tak ka zikr ho gaya hai.

حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ إِسْمَاعِيلَ، حَدَّثَنَا مُوسَى بْنُ إِسْمَاعِيلَ، حَدَّثَنَا أَبَانُ بْنُ يَزِيدَ، حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ أَبِي كَثِيرٍ، عَنْ زَيْدِ بْنِ سَلاَّمٍ، أَنَّ أَبَا سَلاَّمٍ، حَدَّثَهُ أَنَّ الْحَارِثَ الأَشْعَرِيَّ حَدَّثَهُ أَنَّ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏”‏ إِنَّ اللَّهَ أَمَرَ يَحْيَى بْنَ زَكَرِيَّا بِخَمْسِ كَلِمَاتٍ أَنْ يَعْمَلَ بِهَا وَيَأْمُرَ بَنِي إِسْرَائِيلَ أَنْ يَعْمَلُوا بِهَا وَإِنَّهُ كَادَ أَنْ يُبْطِئَ بِهَا فَقَالَ عِيسَى إِنَّ اللَّهَ أَمَرَكَ بِخَمْسِ كَلِمَاتٍ لِتَعْمَلَ بِهَا وَتَأْمُرَ بَنِي إِسْرَائِيلَ أَنْ يَعْمَلُوا بِهَا فَإِمَّا أَنْ تَأْمُرَهُمْ وَإِمَّا أَنَا آمُرُهُمْ ‏.‏ فَقَالَ يَحْيَى أَخْشَى إِنْ سَبَقْتَنِي بِهَا أَنْ يُخْسَفَ بِي أَوْ أُعَذَّبَ فَجَمَعَ النَّاسَ فِي بَيْتِ الْمَقْدِسِ فَامْتَلأَ الْمَسْجِدُ وَقَعَدُوا عَلَى الشُّرَفِ فَقَالَ إِنَّ اللَّهَ أَمَرَنِي بِخَمْسِ كَلِمَاتٍ أَنْ أَعْمَلَ بِهِنَّ وَآمُرَكُمْ أَنْ تَعْمَلُوا بِهِنَّ أَوَّلُهُنَّ أَنْ تَعْبُدُوا اللَّهَ وَلاَ تُشْرِكُوا بِهِ شَيْئًا وَإِنَّ مَثَلَ مَنْ أَشْرَكَ بِاللَّهِ كَمَثَلِ رَجُلٍ اشْتَرَى عَبْدًا مِنْ خَالِصِ مَالِهِ بِذَهَبٍ أَوْ وَرِقٍ فَقَالَ هَذِهِ دَارِي وَهَذَا عَمَلِي فَاعْمَلْ وَأَدِّ إِلَىَّ فَكَانَ يَعْمَلُ وَيُؤَدِّي إِلَى غَيْرِ سَيِّدِهِ فَأَيُّكُمْ يَرْضَى أَنْ يَكُونَ عَبْدُهُ كَذَلِكَ وَإِنَّ اللَّهَ أَمَرَكُمْ بِالصَّلاَةِ فَإِذَا صَلَّيْتُمْ فَلاَ تَلْتَفِتُوا فَإِنَّ اللَّهَ يَنْصِبُ وَجْهَهُ لِوَجْهِ عَبْدِهِ فِي صَلاَتِهِ مَا لَمْ يَلْتَفِتْ وَآمُرُكُمْ بِالصِّيَامِ فَإِنَّ مَثَلَ ذَلِكَ كَمَثَلِ رَجُلٍ فِي عِصَابَةٍ مَعَهُ صُرَّةٌ فِيهَا مِسْكٌ فَكُلُّهُمْ يَعْجَبُ أَوْ يُعْجِبُهُ رِيحُهَا وَإِنَّ رِيحَ الصَّائِمِ أَطْيَبُ عِنْدَ اللَّهِ مِنْ رِيحِ الْمِسْكِ وَآمُرُكُمْ بِالصَّدَقَةِ فَإِنَّ مَثَلَ ذَلِكَ كَمَثَلِ رَجُلٍ أَسَرَهُ الْعَدُوُّ فَأَوْثَقُوا يَدَهُ إِلَى عُنُقِهِ وَقَدَّمُوهُ لِيَضْرِبُوا عُنُقَهُ فَقَالَ أَنَا أَفْدِيهِ مِنْكُمْ بِالْقَلِيلِ وَالْكَثِيرِ ‏.‏ فَفَدَى نَفْسَهُ مِنْهُمْ وَآمُرُكُمْ أَنْ تَذْكُرُوا اللَّهَ فَإِنَّ مَثَلَ ذَلِكَ كَمَثَلِ رَجُلٍ خَرَجَ الْعَدُوُّ فِي أَثَرِهِ سِرَاعًا حَتَّى إِذَا أَتَى عَلَى حِصْنٍ حَصِينٍ فَأَحْرَزَ نَفْسَهُ مِنْهُمْ كَذَلِكَ الْعَبْدُ لاَ يُحْرِزُ نَفْسَهُ مِنَ الشَّيْطَانِ إِلاَّ بِذِكْرِ اللَّهِ ‏”‏ ‏.‏ قَالَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم ‏”‏ وَأَنَا آمُرُكُمْ بِخَمْسٍ اللَّهُ أَمَرَنِي بِهِنَّ السَّمْعُ وَالطَّاعَةُ وَالْجِهَادُ وَالْهِجْرَةُ وَالْجَمَاعَةُ فَإِنَّهُ مَنْ فَارَقَ الْجَمَاعَةَ قِيدَ شِبْرٍ فَقَدْ خَلَعَ رِبْقَةَ الإِسْلاَمِ مِنْ عُنُقِهِ إِلاَّ أَنْ يَرْجِعَ وَمَنِ ادَّعَى دَعْوَى الْجَاهِلِيَّةِ فَإِنَّهُ مِنْ جُثَا جَهَنَّمَ ‏”‏ ‏.‏ فَقَالَ رَجُلٌ يَا رَسُولَ اللَّهِ وَإِنْ صَلَّى وَصَامَ قَالَ ‏”‏ وَإِنْ صَلَّى وَصَامَ فَادْعُوا بِدَعْوَى اللَّهِ الَّذِي سَمَّاكُمُ الْمُسْلِمِينَ الْمُؤْمِنِينَ عِبَادَ اللَّهِ ‏”‏ ‏.‏ هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ غَرِيبٌ ‏.‏ قَالَ مُحَمَّدُ بْنُ إِسْمَاعِيلَ الْحَارِثُ الأَشْعَرِيُّ لَهُ صُحْبَةٌ وَلَهُ غَيْرُ هَذَا الْحَدِيثِ-

Al-Harith Al-Ash’ari riwayat karte hai ki Nabi ﷺ ne farmaya : Mai tumhe paanch bato ka hukm deta hu jinka Allah taala ne mujhe Hukm diya hai. Pahla hai Jamaah, dusra hai itaat karna, teesra hai sunna, chautha hai Hijrat aur panchwa hai Jihad karna Allah ke raah me.

Aur jo shaks balisht barabar bhi Jamaah se elaida hua us ne goya Islam ki Tauk apne gardan se utaar fenka magar us surat me ke jamaah me wapis aajae aur puri tarah ameer ki itat kare.

Aur jo bhi Islam ke zamane me jahiliyat ke naam se pukarna shuru kar de to wo dozakh me dale jane wale Khush wa khishak me honge.

Ek shaks ne arz kiya: Ya RasoolAllah! Agarche wo namaz padhe aur roza rakhe? Ap ﷺ ne farmaya, Agarche wo namaz padhe aur roza rakhe. Pas tum apne aap ko us naam se pukaro jis naam se Allah ne tumhe pukara hai. Usne tumhara naam MUSLIM, MOMIN AUR ABDULLAH (ALLAH KA BANDA) RAKHA HAI.

Sunan Tirmizi, – Vol. 1, Book 42, Hadith 2863. (Classed As Sahih by Sheikh Zubair Ali Zai)

Ab ek chiz aur gaur e talab hai ki Allah ne hame boht se naamo se Pukara hai fir yaha par sirf 3 naamo ki permission kyu mil rahi hai. Iska jawab ye hai ki baaki naam amalan (by action) hai lekin ye teen Laqaban (by label) naam hai.

Is Hadees pe Salaf ka Fahm:

۩ Shaykh ibn Taymiyya farmate hai,

“Minjumla in baton ke jin se ummat me Firqa-Parasti paida hoti hai aur jinhe darmiyan me lakar ummat ko tarah tarah ke azmaish wa mehnat me dala jata hai, halanke Allah aur RasoolAllah ﷺ se in ki koi Dalail nahi. Ek ye bhi hai ke masalan kisi ko pucha jaye ke tu Shukayki hai ya Qarfandi ? Ye lakab e batil hai, kyuki inke sahih hone me Allah ne koi daleel nahi utary. Allah ki kitab aur RasoolAllah ﷺ ki sunnat aur Salaf as-saliheen ke aqwaal ma’aroofa me inka mutlaq pata nahi chalta, na koi Shukayki hai na Qarfandi.

Toh jab kabhi kisi Musalman se is chiz ki nisbat pucha jaye to us par wajib hai ke ye jawab de ke mai na Shukayki hu na Qarfandi, balke Mai Musalman hoon, Allah ki kitab aur Rasoolallah ki sunnat ka muttabi hoon.

Ameer Muawiya r.a. se hame ye riwayat pahuchi hai ke inhone ek daf’a ibn e Abbas r.a. se pucha ke Ap Hazrat Ali r.a. ki millat par hai ya Usman r.a. ki? Inho ne kaha ke ‘Na mai Ali ki millat par hoon, aur na Usmaan ki, Mai to RasoolAllah ki millat par hoon’.

Salaf as saliheen me se har ek yahi kahta tha, ‘ Ye tamaam Naam (laqab) Gumrahi hai aur in ka anjaam dozakh hai.’

Ek Salaf farmate hai, Mai ye nahi janta ke dono ni’maton me se koun si ni’amat badi hai, ye ni’amat badi hai ke Allah ne mujhe Islam ki taraf rahnumayi ki ya ye ke Allah ne mujhe Gumraahi se alag kiya. Allah ne Quran me hume Musalman, Momim aur Abdullah kah kar pukara hai. Hum hargiz nahi chahte ke Allah ke tajweez kar’dah naamo ko chhor kar wo naam ikhtiyaar kare jo kisi khaas Qaum ne ba’tareeq ejaad kiya hoo aur unhone aur Un ke abaa wa ajdaad ne khud gadh liye ho. Halanke Allah ne Un ke mutalliq koi daleel nazil nahi farmayi balke wo laqab bhi bid’at hai.”

Al Wasiyat Al Kubra, Chapter- Muqtalif Naamo Ki Taraf Mansoob Hokar Ummat Me Tafarruqa Paida Karna, Page- 75.

Is liye hame Khud ko sirf Muslim, Momin ya Abdullah kahna chaihiye. Baaki naam jo hai jaise Shiya, Sunni, Barelwi, Tablighi, Ahle hadith (salafi), ye tamam laqab se bachna chaiye taaki ham Allah aur Rasool ke farman aur salaf ke fahm ke mutabik amal kar sake. RasoolAllah ne ta-umr khud ko sirf Musalman kaha. Aur Allah pak Quran me farmate hai,

“Laqad Kaana Lakum Fii Rasoolil-laahi Uswatun Hasana”

“RasoolAllah Tumhare Liye Ek Behtreen Misaal Hai.” 

Quran, 33:21.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame Deen e Islam ko apne firqo ke bajaye salaf ke fahm se samajhne ki taufeek ata kare. aameen.

Read More »